SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
4: Kitab-ul-Wuzoo - Wazoo Se Mutaalliq Ehkaam-o-Masaael
[Ablutions/كتاب الوضوء]
[135 To 247]
Baab 1: Wuzoo Ke Mutaallig Kya Waarid Hai? Nez irshad-e-Baari Ta'ala (ki wazaahat): “Aye Imaan Waalo! Jab Tum Namaz Ke Liye Utho, To Apne chehre Aur Haath Kohniyo'n Tak Dholo, Aur Apne Saro'n Ka Masah Karo, Aur Apne Paao'n Bhi Takhno'n Tak (dholo)”. [Surah al Maaida: 6] Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Nabi (ﷺ) ne bayan farmaya: “Azaa-e-wazoo ka ek-ek martaba dhona farz hai”. Nez aap ne un azaa ko do-do (2-2) baar aur teen-teen (3-3) baar bhi dhoya hai, haa'n 3 martaba se ziyaada nahi dhoya. Aur ahle ilm ne wazoo mein paani ka hadd se ziyaada istemaal naa-pasand kiya hai, aur isse bhi makrooh qaraar diya hai ke log Nabi (ﷺ) ke fe'el se tajaawuz kare'n. |
Baab 2: Wazoo Ke Baghair Namaz Qubool Nahi Hoti Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle (ﷺ) said, "The prayer of a person who does, Hadath (passes, urine, stool or wind) is not accepted till he performs (repeats) the ablution." A person from Hadaramout asked Abu Huraira, "What is 'Hadath'?" Abu Huraira replied, " 'Hadath' means the passing of wind from the anus." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ka wazoo toot jaae (usey hadas ho jaae) uski namaz qubool nahi hoti jab tak wazoo naa kare”. Ek Hadhrami ne poocha: Aye Abu Huraira! Hadas kya hai? Unho'n ne kaha: Fasaaun yaa ziraatun (yaane wo hawaa jo paa-khaane ke mugaam se khaarij ho).
|
Baab 3: Wazoo Ki Fazilat Aur Un Logo'n Ka Bayaan Jinki Peshaaniya'n Aur Haath Paao'n Wazoo Ke Asaraat Ki Wajah Se Chamakdaar Ho'nge. Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet (ﷺ) saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" from the trace of ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).' " Ravi Nu'am Al-Mujmir: Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha, Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate suna hai: “Meri ummat ke log qiyaamat ke din bulaae jaae'nge, jabke wazoo ke nishanaat ki wajah se unki peshaaniyaa'n aur haath paao'n chamake ho'nge. Ab jo koi tum mein se apni chamak badhaana chaahe to usey badhaae”.
|
Baab 4: Shaik Ki Buniyad Par Wazoo Naa Kare Jab Tak (Be-wazoo hone ka) Yaqeen Naa Ho Jaae Narrated 'Abbas bin Tamim: My uncle asked Allah's Apostle (ﷺ) about a person who imagined to have passed wind during the prayer. Allah's Apostle (ﷺ) replied: "He should not leave his prayers unless he hears sound or smells something." Ravi Hazrat Ibaad bin Tameem: Hazrat Ibaad bin Tameem Apne chacha se riwayat karte hain, unho'n ne Rasool Allah (ﷺ) ke saamne ek aise shakhs ka haal bayaan kiya jise ye khayaal ho jaata tha, ke wo dauran-e-namaz mein kisi cheez (hawaa nikalne) ko mehsoos kar raha hai. Aap ne farmaya: “Wo namaz se us waqt tak naa phire jab tak hawaa nikalne ki awaaz yaa boo naa paae”.
|
Baab 5: Wazoo Mein Takhfeef Ka Bayaan Narrated Kuraib: Ibn 'Abbas said, "The Prophet (ﷺ) slept till he snored and then prayed (or probably lay till his breath sounds were heard and then got up and prayed)." Ibn 'Abbas added: "I stayed overnight in the house of my aunt, Maimuna, the Prophet slept for a part of the night, (See Fateh-al-Bari page 249, Vol. 1), and late in the night, he got up and performed ablution from a hanging water skin, a light (perfect) ablution and stood up for the prayer. I, too, performed a similar ablution, and then I went and stood on his left. He drew me to his right and prayed as much as Allah wished, and again lay and slept till his breath sounds were heard. Later on, the Mua'dhdhin (call maker for the prayer) came to him and informed him that it was time for Prayer. The Prophet (ﷺ) went with him for the prayer without performing a new ablution." (Sufyan said to 'Amr that some people said, "The eyes of Allah's Apostle (ﷺ) sleep but his heart does not sleep." 'Amr replied, "I heard 'Ubaid bin 'Umar saying that the dreams of Prophets were Divine Inspiration, and then he recited the verse: 'I (Abraham) see in a dream, (O my son) that I offer you in sacrifice (to Allah)." (37.102) (See Hadith No. 183) Ravi Kuraib: Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha, Nabi (ﷺ) yahaa'n tak ke kharaate bharne lagey, phir aap ne (bedaar ho kar) namaz padhi. Kabhi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Nabi (ﷺ) karwat par lete, yahaa'n tak ke saans ki awaaz aane lagi, phir bedaar ho kar aap ne namaz padhi. Phir Hazrat Sufiyan ne is riwayat ko dobaara tafseel se bayaan kiya ke Ibne Abbas ne farmaya: Maine apni khala Hazrat Maimuna (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar raat guzaari. Nabi (ﷺ) raat ke kisi hisse mein bedaar hue. Jab kuch raat guzar gai to aap khade hue aur latakte hue mashkeeze se halka wazoo farmaya. Amr (raawi) us (wazoo) ka halka pann aur maamooli hona bayan karta hai. Aur khade ho kar namaz padhne lagey. Maine bhi aap hi ki tarah wazoo kiya, phir main aakar aap ki baae'n jaanib khada ho gaya... Sufiyan ne kabhi yasaar ke bajaae shimaal ka lafz istemaal kiya... Aap ne mujhe phera aur apni daaee'n jaanib khada kar liya. Phir aap ne jis qadar Allah ki taufeeq muyassar aai, (tahajjud ki) namaz adaa farmaai, phir karwat ke bal leit kar so gae, hatta ke kharaate bharne lagey. Phir moazzin aaya aur usne aapko namaz ki ittela di. Aap uske saath namaz ke liye tashreef le gae. Aap ne namaz padhi aur wazoo nahi farmaya. (Sufiyan kehte hain) Ham ne (apne ustaad) Amr se kaha: Kuch logo'n ka khayaal hai ke neend ka asar Rasool Allah (ﷺ) ke dil par nahi, balke sirf aankh par hota tha. Amr ne jawab diya: Maine Obaid bin Umair ko ye kehte suna hai ke Hazraat-e-Ambiya (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke khwaab wahee hote hain, phir darj-e-zel aayat ko bataur-e-daleel tilaawat farmaya: “Maine Khwaab Mein Dekh Raha Hoo'n Ke Maine Tumhe'n Zibah Kar Raha Hoo'n” [Surah as Saaffaat: 102]
|
Baab 6: Mukammal Wazoo Karna Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka irshad hai: Wazoo poora karne ka matlab, acchi tarah saaf karna hai. Narrated Usama bin Zaid: Allah's Apostle (ﷺ) proceeded from 'Arafat till when he reached the mountain pass, he dismounted, urinated and then performed ablution but not a perfect one. I said to him, ("Is it the time for) the prayer, O Allah's Apostle (ﷺ)?" He (ﷺ) said, "The (place of) prayer is ahead of you." He rode till when he reached Al-Muzdalifa, he dismounted and performed ablution and a perfect one, The (call for) Iqama was pronounced and he led the Maghrib prayer. Then everybody made his camel kneel down at its place. Then the Iqama was pronounced for the 'Isha' prayer which the Prophet (ﷺ) led and no prayer was offered between the two. prayers ('Isha' and Maghrib). Ravi Hazrat Usama bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dafa Rasool Allah (ﷺ) arafaat se laute, jab ghaati mein pohche to aap utrey, peshaab kiya, phir wazoo farmaya, lekin wazoo poora na kiya. Maine arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ) Namaz ka waqt qareeb hai? Aap ne farmaya: “Namaz aage chal kar padhe'nge”. Phir aap sawaar hue, jab muzdalifa aae to utre aur poora wazoo kiya, phir namaz ki takbeer kahi gai aur aap ne maghrib ki namaz adaa ki. Uske baad har shakhs ne apna oont apne muqaam par bithaaya, phir isha ki takbeer hui aur aap ne namaz padhi aur dono ke darmiyan nafil waghaira nahi padhe."
|
Baab 7: Chullu Bhar Kar Dono Haatho'n Se Mu'n Dhona Narrated 'Ata' bin Yasar: Ibn Abbas performed ablution and washed his face (in the following way): He ladled out a handful of water, rinsed his mouth and washed his nose with it by putting in water and then blowing it out. He then, took another handful (of water) and did like this (gesturing) joining both hands, and washed his face, took another handful of water and washed his right forearm. He again took another handful of water and washed his left forearm, passed wet hands over his head and took another handful of water and poured it over his right foot (up to his ankles) and washed it thoroughly and similarly took another handful of water and washed thoroughly his left foot (up to the ankles) and said, "I saw Allah's Apostle (ﷺ) performing ablution in this way." Ravi 'Ata' bin Yasar: Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne wazoo kiya aur apna mu'n dhoya. Is tarah ke paani ka ek chullu le kar usse kulli ki aur naak mein paani daala, phir ek aur chullu paani liya, haath milaakar usse mu'n dhoya, phir ek chullu paani se apna daaya'n haath dhoya, phir ek aur chullu paani liya aur usse apna baayaa'n haath dhoya, phir apne sar ka masah kiya. Baad azaa'n ek chullu paani apne daae'n paao'n par daala aur usey dhoya, phir doosra chullu paani le kar apna baayaa'n paao'n dhoya. Uske baad kehne lagey: Maine Rasool Allah (ﷺ) ko isi tarah wazoo karte hue dekha hai.
|
Baab 8: Har Kaam Ke Waqt Bismillah Kehna, Hatta Ke Jimaa Ke Waqt Bhi Allah Ka Naam Liya Jaae The Prophet (ﷺ) said, "If anyone of you on having sexual relations with his wife said (and he must say it before starting) 'In the name of Allah. O, Allah! Protect us from Satan and also protect what you bestow upon us (i.e. the future offspring) from Satan, and if it is destined that they should have a child then, Satan will never be able to harm that offspring." Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi apni biwi ke paas jaae to kahe: Allah ke naam se, Aye Allah! Hame'n shaitaan se mehfooz rakh aur usey bhi shaitan se mehfooz rakh, jo tu hame'n inaayat farmae. Phir un dono ko agar koi aulaad naseeb ho, to shaitan usey nugsaan nahi pohchaa sakega”.
|
Baab 9: Bait-ul-Khula Jaane Ki Dua Narrated Anas: Whenever the Prophet (ﷺ) went to answer the call of nature, he used to say, "Allah-umma inni a'udhu bika minal khubuthi wal khaba'ith i.e. O Allah, I seek Refuge with You from all offensive and wicked things (evil deeds and evil spirits)." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab bait-ul-khula jaate to farmate: “Aye Allah! Main naapaak cheezo'n aur napaakiyo'n se teri panaah chahta hoo'n”. Ibne Ararah ne is hadees ki Shu'ba se ye alfaaz riwayat kiye hain: Jab aap bait-ul-khula ke liye aate. Aur Moosa ne Hammad ke waaste se bayan kiya: jab daakhil hote. Aur Saeed bin Zaid ne kaha: Hame'n Abdul Aziz ne bayaan kiya ke jab aap bait-ul-khula jaane ka iraada farmate (to mazkoora dua padhte).
|
Baab 10: Bait-ul-Khula Ke Paas Paani Rakhna Narrated Ibn 'Abbas: Once the Prophet (ﷺ) entered a lavatory and I placed water for his ablution. He asked, "Who placed it?" He was informed accordingly and so he said, "O Allah! Make him (Ibn 'Abbas) a learned scholar in religion (Islam)." Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):: Ek dafa Nabi (ﷺ) bait-ul-khula gae, to maine aapke liye wazoo ka paani rakh diya. Aapn ne (baahar nikal kar) poocha: “Ye paani kisne rakha hai? Aapko bataya gaya, to aap ne farmaya: Aye Allah! Usey deen ki samajh ataa farma”
|
Baab 11: Qaza-e-Hajat Ke Waqt Qibla-rukh Na Baitha Jaae, Illa Ye Ke Koi Imarat Ho, Jaise Deewaar Waghaira Allah's Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you goes to an open space for answering the call of nature he should neither face nor turn his back towards the Qibla; he should either face the east or the west." Ravi Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab koi qazaa-e-hajat ke liye jaae to qible ki taraf na mu'n kare aur na pusht, balke mashriq yaa maghrib ki taraf mu'n kiya karo”
|
Baab 12: Eento'n Par Baith Kar Qazaa-e-Haajat Karna Narrated 'Abdullah bin 'Umar: People say, "Whenever you sit for answering the call of nature, you should not face the Qibla or Bait-ul Maqdis (Jerusalem)." I told them. "Once I went up the roof of our house and I saw Allah's Apostle (ﷺ) answering the call of nature while sitting on two bricks facing Bait-ul-Maqdis (Jerusalem) (but there was a screen covering him. ' (FatehAl-Bari, Page 258, Vol. 1). Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Kuch logo'n ka khayaal hai ke jab tum qazaa-e- haajat ke liye baitho to baitullah aur bait-ul-muqaddas ki taraf mu'n naa karo, halaa'nke main ek din apne ghar ki chatt par Chadha to dekha ke Rasool Allah (ﷺ) qazaa-e-haajat ke liye do kacchi eento'n par bait-ul-muqaddas ki taraf mu'n karke baithe hain. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Waase bin Hibban se kaha: Shayad tum un logo'n mein se ho, jo apne sureno'n par namaz padhte hain. (yaane zameen se chimat kar) Waase ne kaha: Wallah! Main nahi jaanta (ke aapka matlab kya hai?). Maalik kehte hain: (Ibne Umar) isse wo shakhs muraad lete hain, jo namaz padhne aur zameen se ooncha naa ho, sajda us tarah kare ke zameen se lagaa rahe.
|
Baab 13: Aurto'n Ka Qazaa-e-Haajat Ke Liye Baahar Jaana Narrated 'Aisha: The wives of the Prophet (ﷺ) used to go to Al-Manasi, a vast open place (near Baqia at Medina) to answer the call of nature at night. 'Umar used to say to the Prophet "Let your wives be veiled," but Allah's Apostle (ﷺ) did not do so. One night Sauda bint Zam'a the wife of the Prophet (ﷺ) went out at 'Isha' time and she was a tall lady. 'Umar addressed her and said, "I have recognized you, O Sauda." He said so, as he desired eagerly that the verses of Al-Hijab (the observing of veils by the Muslim women) may be revealed. So Allah revealed the verses of "Al-Hijab" (A complete body cover excluding the eyes). Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ki azwaaj-e-mutahharaat raat ko gazaa-e-haajat ke liye manaasei ki taraf jaati thee'n, isse muraad khula maidaan hai. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) ki khidmat mein arz kiya karte the ke aap apni biwiyo'n ko parde ka hukum dein. Lekin Rasool Allah (ﷺ) aisa naa farmaate, chunache ek raat Isha ke waqt Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Sauda bin Zama'h (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) (qazaa-e-haajat ke liye) baahar niklee'n aur wo qad aawar thee'n, to Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne unhe'n awaaz di aur kaha: Aye Sauda! Ham ne tumhe'n pehchaan liya hai. (Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye is liye kaha) unki khwahish thi ke parde ka hukum naarzil ho, chunache Allah Ta'ala ne parde ka hukum naazil farma diya.
|
Narrated 'Aisha: The Prophet (ﷺ) said to his wives, "You are allowed to go out to answer the call of nature." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ne (apni azwaaj-e-mutahharaat رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا se) farmaya: “(Allah Ta'ala ki taraf se) tumhe'n apni haajat ke liye baahar nikalne ki ijaazat marhammat farmadi gai hai”. Hishaam kehte hain: Isse qazaa-e-haajat ke liye ghar se nikalna muraad hai.
|
Baab 14: Gharo'n Mein Qazaa-e-Haajat Ka Intezaam Karna Narrated 'Abdullah bin 'Umar: I went up to the roof of Hafsa's house for some job and I saw Allah's Apostle (ﷺ) answering the call of nature facing Sham (Syria, Jordan, Palestine and Lebanon regarded as one country) with his back towards the Qibla. (See Hadith No. 147). Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main ek din Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar ki chatt par apni kisi haajat ke pesh-e-nazar Chadha, to maine dekha ke Rasool Allah (ﷺ) qible ki taraf pusht aur shaam (bait- ul-mugaddas) ki taraf mu'n kiye hue gazaa-e-haajat kar rahe hain.
|
Narrated 'Abdullah bin 'Umar: Once I went up the roof of our house and saw Allah's Apostle answering the call of nature while sitting over two bricks facing Bait-ul-Maqdis (Jerusalem). (See Hadith No. 147). Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main ek din apne ghar ki chatt par Chadha to dekha ke Rasool Allah (ﷺ) do (2) eento'n par baithe bait-ul-muqaddas ki taraf mu'n kiye gazaa-e-haajat kar rahe hain.
|
Baab 15: Paani Se Istenjaa Karna Whenever Allah's Apostle (ﷺ) went to answer the call of nature, I along with another boy used to accompany him with a tumbler full of water. (Hisham commented, "So that he might wash his private parts with it.)" Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab qazaa-e-haajat ke liye nikalte to main aur ek aur ladka apne saath paani ka ek bartan le kar aate, (raawi-e-hadees Hishaam kehte hain) Yaane Rasool Allah (ﷺ) usse istenjaa karte.
|
Baab 16: Doosre Shakhs Ki Tahaarat Ke Liye Paani Hamraah Le Jaana Hazrat Abu Darda (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Kya tumhaare yahaa'n na'alain mubarak, aab-e-tahaarat aur takiya uthaane waala khaadim maujood nahi hai? Whenever Allah's Apostle (ﷺ) went to answer the call of nature, I along with another boy from us used to go behind him with a tumbler full of water. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) jab qazaa-e-haajat ke liye baahar jaate, to main aur ham mein se ek ladka aapke saath ho jaate the, aur hamaare saath paani ki chaagal hoti thi.
|
Baab 17: Istenjaa Ke Liye Paani Ke saath Barchi Le Jaana Narrated Anas bin Malik: Whenever Allah's Apostle (ﷺ) went to answer the call of nature, I along with another boy used to carry a tumbler full of water (for cleaning the private parts) and an 'Anza (spear-headed stuck). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) jab qazaa-e-haajat ke liye jaate, to main aur ek ladka paani ki chaagal aur ek barchi le kar aapke saath ho jaate. Aap paani se istenja karte the. Nazar aur Shazaan ne Hazrat Shu'ba se is (Muhammad bin Jaafar) ki mataabeat ki hai. Anazah us laathi ko kehte hain, jiske aage lohe ka phal lagaa ho.
|
Baab 18: Daae'n Haath Se Istenja Karne Ki Mumaaneat Narrated Abu Qatada: Allah's Apostle (ﷺ) said, "Whenever anyone of you drinks water, he should not breathe in the drinking utensil, and whenever anyone of you goes to a lavatory, he should neither touch his penis nor clean his private parts with his right hand." Ravi Hazrat Abu Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi shakhs koi cheez nosh karey, to bartan mein saans na le. Nez jab bait-ul-khula aae, to daae'n haath se apni sharm-gaah ko na chooe aur naa usse istenja kare”.
|
Baab 19: Peshaab Karne Waqt Daae'n Haath Se A'azo-e-Mastoor Ko Naa Pakde The Prophet (ﷺ) said, "Whenever anyone of you makes water he should not hold his penis or clean his private parts with his right hand. (And while drinking) one should not breathe in the drinking utensil ." Ravi Hazrat Abu Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se jab koi peshaab karey to apne a'zoo-e-mastoor ko daae'n haath se naa thaame, aur na daae'n haath se istenja kare, aur na bartan mein saans hi le”.
|
Baab 20: Dehlo'n Se Istenja Karna Narrated Abu Huraira: I followed the Prophet (ﷺ) while he was going out to answer the call of nature. He used not to look this way or that. So, when I approached him he said to me, "Fetch for me some stones for ' cleaning the privates' parts (or said something similar), and do not bring a bone or a piece of dung." So I brought the stones in the corner of my garment and placed them by his side and I then went away from him. When he finished (from answering the call of nature) he used them. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek din Nabi (ﷺ) qazaa-e-haajat ke liye baahar gae to main bhi aapke peeche ho liya. Aap (ki aadat-e-mubaraka thi ke chalte waqt) daae'n baae'n na dekhte. Jab main aapke qareeb pohcha to aap ne farmaya: “Mujhe dhele talaash kar do, maine unse istenja karu'nga... Yaa uski misl koi aur lafz istemaal farmaya... lekin haddi aur gobar na laana”. Chunache maine apne kapde ke kinaare mein kai dhele le kar aaya aur unhe'n aapke paas rakh diya, aur khud ek taraf hat gaya. Phir jab aap qgazaa-e-haajat se faarigh hue to dhelo'n se istenja farmaya.
|
Baab 21: Leed Waghaira Se Istenja Na Kiya Jaae Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain: Is hadees ko Ibrahim bin Yusuf ne bhi bayan kiya hai, wo apne baap Yusuf se, wo Abu Ishaq se riwayat karte hain, unho'n ne kaha: Mujhe ye hadees Abdur Rahman bin Aswad ne bayaan ki. The Prophet (ﷺ) went out to answer the call of nature and asked me to bring three stones. I found two stones and searched for the third but could not find it. So took a dried piece of dung and brought it to him. He took the two stones and threw away the dung and said, "This is a filthy thing." Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ek dafa qazaa-e-haajat ke liye tashreef le gae aur mujhe teen (3) patthar laane ka hukum diya. Chunache mujhe do (2) patthar to mil gae, talaash- e-bisyaar ke ba-wujood teesra na mil saka, to maine (khushk) leed li, aur wo aapke paas le aaya. Aap ne dono patthar to le liye, aur led ko phenk diya aur farmaya: “Ye paleed hai”.
|
Baab 22: Wazoo Mein A'azaa Ko Ek-Ek (1-1) Baar Dhona Narrated Ibn 'Abbas: The Prophet (ﷺ) performed ablution by washing the body parts only once. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne wazoo mein a'azaa ko ek-ek baar dhoya.
|
Baab 23: Wazoo mein A'azaa Ko Do-Do (2-2) Baar Dhona Narrated 'Abdullah bin Zaid: The Prophet (ﷺ) performed ablution by washing the body parts twice. Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne a'azaa-e-wazoo ko do-do baar dhoya.
|
Baab 24: Wazoo Mein A'azaa Ko Teen-Teen (3-3) Baar Dhona Narrated Humran: (The slave of 'Uthman) I saw 'Uthman bin 'Affan asking for a tumbler of water (and when it was brought) he poured water over his hands and washed them thrice and then put his right hand in the water container and rinsed his mouth, washed his nose by putting water in it and then blowing it out. then he washed his face and forearms up to the elbows thrice, passed his wet hands over his head and washed his feet up to the ankles thrice. Then he said, "Allah's Apostle (ﷺ) said 'If anyone Performs ablution like that of mine and offers a two-Rakat prayer during which he does not think of anything else (not related to the present prayer) then his past sins will be forgiven.' " After performing the ablution 'Uthman said, "I am going to tell you a Hadith which I would not have told you, had I have not been compelled by a certain Holy Verse (the sub-narrator 'Urwa said: This verse is: "Verily, those who conceal the clear signs and the guidance which we have sent down...)" (2:159). I heard the Prophet (ﷺ) saying, 'If a man performs ablution perfectly and then offers the compulsory congregational prayer, Allah will forgive his sins committed between that (prayer) and the (next) prayer till he offers it. Ravi Humran: Hazrat Usman bin Affaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke Maula Humran se riwayat hai, unho'n ne kaha: Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek data paani ka bartan mangwaaya aur apne haatho'n par teen (3) martaba paani daal kar unhe'n dhoya, phir daae'n haath ko bartan mein daal kar paani liya, kulli ki, naak mein paani daala aur usey saaf kiya. Phir apne mu'n aur dono haatho'n ki kohniyo'n samet teen (3) dafa dhoya. Baad-azaan sar ka masah kiya, phir apne paao'n takhno'n samet teen (3) baar dhoe. Phir kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo bhi mere is wazoo ki tarah wazoo kare, aur uske baad do (2) rakat adaa kare, aur unki adaaegi ke dauraan mein koi khayaal dil mein na laae, to uske saabeqa tamaam gunah bakhsh diye jaae'nge”.
|
Narrated Humran: After performing the ablution 'Uthman said, "I am going to tell you a Hadith which I would not have told you, had I not been compelled by a certain Holy Verse (the sub narrator 'Urwa said: This verse is: "Verily, those who conceal the clear signs and the guidance which we have sent down...)" (2:159). I heard the Prophet (ﷺ) saying, 'If a man performs ablution perfectly and then offers the compulsory congregational prayer, Allah will forgive his sins committed between that (prayer) and the (next) prayer till he offers it. Ravi Humran: Janab Humraan hi se riwayat hai ke jab Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne wazoo kar liya to farmaya: Main tumhe'n ek hadees na sunaau'n? Agar Quran mein ek aayat na hoti to main tumhe'n wo hadees na sunaata. Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmaate hue suna hai: “Jo shakhs acchi tarah wazoo kare aur namaz padhe, to jitney gunah us namaz se doosri namaz tak ho'nge, wo bakhsh diye jaae'nge”. Hazrat Urwah ne kaha: Wo aayat ye hai: “Beshak Wo Log Jo Hamaari Naazil Karda Khuli Aayaat Aur Hidayaat Ko Chupaate Hain, Iske Baad Ke Ham Kitaab Mein Unhee'n Logo'n Ke Liye Saaf Bayaan Kar Chuke Hain, Un Par Allah Bhi Laanat Bhejta Hai, Aur Laanat Karne Waale Bhi Un Par Laanat Karte Hain”. [Surah Baqara: 159]
|
Baab 25: Wazoo Mein Naak Saaf Karna Isey Hazrat Usman, Hazrat Abdullah bin Zaid, aur Hazrat Ibne Abbas (رضي الله عنهم) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai. The Prophet (ﷺ) said, "Whoever performs ablution should clean his nose with water by putting the water in it and then blowing it out, and whoever cleans his private parts with stones should do it with an odd number of stones." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs wazoo kare, wo naak saaf kare aur jo dhele se istenja kare, wo taaq dhele le”
|
Baab 26: Istenja Mein Taaq Dehle Istemaal Karna Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you performs ablution he should put water in his nose and then blow it out and whoever cleans his private parts with stones should do so with odd numbers. And whoever wakes up from his sleep should wash his hands before putting them in the water for ablution, because nobody knows where his hands were during sleep." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: Jab tum mein se koi wazoo kare to apni naak mein paani daale aur usey saaf kare. Aur jo shakhs dhele se istenja kare to taaq dhelo'n se kare. Aur jab tum mein se koi sokar uthe to wazoo ke paani mein apne haath daalne se pehle unhe'n dhole, kyou'nke tum mein se kisi ko khabar nahi ke raat ke waqt uska haath kahaa'n kahaa'n phirta raha hai.
|
Baab 27: Dono Paao'n Dhone Chaahiye'n, Qadmo'n Par Masah Nahi Karna Chaahiye The Prophet (ﷺ) remained behind us on a journey. He joined us while we were performing ablution for the 'Asr prayer which was over-due and we were just passing wet hands over our feet (not washing them thoroughly) so he addressed us in a loud voice saying twice or thrice, "Save your heels from the fire." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ek safar mein ham se peeche reh gae, phir aap ne hamko paa liya jabke asar ka waqt khatam ho raha tha. Ham wazoo karne lagey aur jaldi jaldi paao'n par haath pherne lagey. Aap ne do (2) yaa teen (3) martaba buland awaaz se pukaar kar kaha: “Ediyo'n ke liye aag ka azaab hai”.
|
Baab 28: Wazoo Mein Kulli Karna Is hukum ko Hazrat Ibne Abbas aur Hazrat Abdullah bin Zaid (رضي الله عنهم) ne Nabi (ﷺ) se naqal farmaya hai. (The freed slave of 'Uthman bin 'Affan) I saw 'Uthman bin 'Affan asking (for a tumbler of water) to perform ablution (and when it was brought) he poured water from it over his hands and washed them thrice and then put his right hand in the water container and rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and then blowing it out. Then he washed his face thrice and (then) forearms up to the elbows thrice, then passed his wet hands over his head and then washed each foot thrice. After that 'Uthman said, "I saw the Prophet (ﷺ) performing ablution like this of mine, and he said, 'If anyone performs ablution like that of mine and offers a two-Rakat prayer during which he does not think of anything else (not related to the present prayer) then his past sins will be forgiven. ' Ravi Hazrat Humraan: Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke aazaad-karda ghulam Hazrat Humraan se riwayat hai, unho'n ne Hazrat Usman Hazrat Humraan ko dekha ke unho'n ne wazoo ke liye paani mangwaaya, phir usey apne dono haatho'n par daala aur unhe'n teen (3) martaba dhoya, uske baad apna daaya'n haath bartan mein daala, kulli ki, aur naak mein paani chadhaaya, phir usey saaf kiya. Baad azaa'n apna chehra teen (3) martaba dhoya, apne dono haath kohniyo'n tak teen (3) baar dhoe, phir sar ka masah kiya, phir har paao'n ko teen (3) dafa dhoya. Uske baad unho'n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko apne us wazoo ki tarah wazoo karte dekha hai, nez Aap (ﷺ) ne ye bhi farmaya: “Jis shakhs ne mere is wazoo ki tarah wazoo kiya aur do (2) rakat baae'n-taur par padhe'n ke apne dil se baate'n na kee'n, tu Allah Ta'ala uske saabeq gunah moadf kar de ga”
|
Baab 29: Ediyo'n Ka Dhona Hazrat Ibne Sireen wazoo karte wagt anghoti ki jagah bhi dhoya karte the. I heard Abu Huraira saying as he passed by us while the people were performing ablution from a utensil containing water, "Perform ablution perfectly and thoroughly for Abul-Qasim (the Prophet ﷺ) said, 'Save your heels from the Hell-fire.' " Ravi Muhammad bin Ziyaad: Maine Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna, jab wo hamaare paas se guzarte aur log bartan mein wazoo kar rahe hote to farmaate: Logo! Wazoo poora karo, kyou'nke Abul Qaasim Hazrat Humraan ne farmaya: “Khushk ediyo'n ke liye aag ka azaab hai”.
|
Baab 30: Jooto'n Par Masah Karne Ke Bajaae, Unhe'n Pehne Hue Paao'n Dhona Narrated 'Ubaid Ibn Juraij: I asked 'Abdullah bin 'Umar, "O Abu 'Abdur-Rahman! I saw you doing four things which I never saw being done by anyone of you companions?" 'Abdullah bin 'Umar said, "What are those, O Ibn Juraij?" I said, "I never saw you touching any corner of the Ka'ba except these (two) facing south (Yemen) and I saw you wearing shoes made of tanned leather and dyeing your hair with Hinna; (a kind of dye). I also noticed that whenever you were in Mecca, the people assume l, harm on seeing the new moon crescent (1st of Dhul-Hijja) while you did not assume the Ihlal (Ihram)--(Ihram is also called Ihlal which means 'Loud calling' because a Muhrim has to recite Talbiya aloud when assuming the state of Ihram)--till the 8th of Dhul-Hijja (Day of Tarwiya). 'Abdullah replied, "Regarding the corners of Ka'ba, I never saw Allah's Apostle touching except those facing south (Yemen) and regarding the tanned leather shoes, no doubt I saw Allah's Apostle (ﷺ) wearing non-hairy shoes and he used to perform ablution while wearing the shoes (i.e. wash his feet and then put on the shoes). So I love to wear similar shoes. And about the dyeing of hair with Hinna; no doubt I saw Allah's Apostle (ﷺ) dyeing his hair with it and that is why I like to dye (my hair with it). Regarding Ihlal, I did not see Allah's Apostle (ﷺ) assuming Ihlal till he set out for Hajj (on the 8th of Dhul-Hijja)." Ravi Hazrat Obaid bin Juraij: Ek martaba Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: Aye Abu Abdur Rahman! Main aapko chaar (4) aisee cheeze'n karte dekha hoo'n, jo aapke saathiyo'n mein se koi nahi karta. Hazrat Ibne Umar Hazrat Humraan ne farmaya: Ibne Juraij! Wo kya? Maine arz kiya: Main dekhta hoo'n ke aap hajre aswad aur rukn-e-yamaani ke alaawa baitullah ke kisi konay ko haath nahi lagaate. (doosre) aap sabti oote pehne hain aur, (teesre) zard khizaab istemaal karte hain. (Chauthe) Makkah mein doosre log to dhul hajja ka chaand dekhte hi ehraam bandh lete hain, magar aap aathwe'n (8) taareekh tak ehraam nahi baandhte. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Baitullah ke kono'n ko choone ki baat to ye hai ke maine Rasool Allah (ﷺ) ko dono yamaani rukno'n ke alaawa aur kisi rukn ko haath lagaate nahi dekha. Aur sabti jooto'n ke mutaalliq ye hai ke maine Rasool Allah (ﷺ) ko aisee jootiyaa'n pehne dekha hai, jin par baal na the, aur aap un mein wazoo farmate the. Lehaza main un jootiyo'n ko pehenna pasand karta hoo'n. Aur jaha'n tak zard khizaab ki baat hai to maine Rasool Allah (ﷺ) ko zard khizaab istemaal karte dekha hai, is liye main bhi usey istemaal karna pasand karta hoo'n. Aur ehraam baandhne ki baat ye hai ke maine Rasool Allah (ﷺ) ko us waqt tak ehraam baandhte nahi dekha jab tak aap ki sawaari aapko le kar seedhi khadi na ho jaati (yaane aathwee'n (8) dhul-hajja ko).
|
Baab 31: Wazoo Aur Ghusl Mein Daae'n Jaanib Se Shuru Karna That the Prophet (ﷺ) at the time of washing his deceased daughter had said to them, "Start from the right side beginning with those parts which are washed in ablution." Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne apni beti ke ghusl ke mutaalliq aurto'n se farmaya: Ghusl daae'n jaanib aur wazoo ke mugamaat se shuru kare'n.
|
Narrated 'Aisha: The Prophet (ﷺ) used to like to start from the right side by wearing shoes, combing his hair and cleaning or washing and doing anything else. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Jab Nabi (ﷺ) ne joota pehenna hota, kanghi karni yaa paaki haasil karni hoti. Al-gharz aapko har zishaan kaam mein daae'n jaanib se aghaaz karna accha lagta tha.
|
Baab 32: Namaz Ka Waqt Aajaane Par Wazoo Ke Liye Paani Talaash Karna Aur Hazrat Aeysha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Subah ki namaz ka waqt aagaya, paani talaash kiya gaya, to na mila. Aakhir tayammum ki aayat utri. Saw Allah's Apostle (ﷺ) when the 'Asr prayer was due and the people searched for water to perform ablution but they could not find it. Later on (a pot full of) water for ablution was brought to Allah's Apostle (ﷺ). He put his hand in that pot and ordered the people to perform ablution from it. I saw the water springing out from underneath his fingers till all of them performed the ablution (it was one of the miracles of the Prophet ﷺ). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) ko is haalat mein dekha ke namaz-e-asr ka waqt ho chuka tha, logo'n ne wazoo ke liye paani talaash kiya, magar na mila. Aakhir Rasool Allah (ﷺ) ke paas (ek bartan mein) wazoo ke liye paani laaya gaya, to aap ne apna haath-e-mubarak us bartan mein rakh diya aur logo'n ko hukum diya ke usse wazoo kare'n. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Maine dekha ke paani aap ki angusht-haae-mubarak ke neeche se phoot raha tha. Yahaa'n tak ke sab logo'n ne wazoo kar liya.
|
Baab 33: Us Paani Ka Hukum Jisse Insaa Ke Baal Dhoe Gae Ho'n Hazrat Ataa insaani baalo'n se soot aur rassiyaa'n banana mein koi harj nahi samajhte the. Nez kutto'n ke jhoote paani aur unke masjid mein aane jaane ka hukum. Hazrat Imam Zohri farmate hain ke jab kutta bartan mein mu'n daal jaae aur uske alaawa paani na ho, to usi se wazoo kar liya jaae. Hazrat Sufiyan kehte hain: Irshad-e-Baari Ta'ala: “Tum Paani Na Paao To Tayammum Karlo” [Surah an Nisa: 43] se yehi baat samajh mein aati hai, kyou'nke kutte ka jhoota bhi paani hi hai, lekin uske istemaal se dil mein karaahat paida hoti hai. Lehaza us paani se wazoo bhi kar le aur tayammum bhi kar le. |
Narrated Ibn Sirrn: I said to 'Abida, "I have some of the hair of the Prophet which I got from Anas or from his family." 'Abida replied. "No doubt if I had a single hair of that it would have been dearer to me than the whole world and whatever is in it." Ravi Hazrat Ibne Sireen: Maine Obaida Salmaani se kaha: Hamaare paas Nabi- e-Akram (ﷺ) ke moo-e-mubarak hain, jo hame'n Hazrat Anas b yaa unke ahle-khaana ki taraf se miley hain. Us par Hazrat Obaida ne kaha: Agar mere paas un mein se ek baal bhi hota to mujhe duniya-o-maa-feeha se ziyaada mehboob hota.
|
Narrated Anas: When Allah's Apostle (ﷺ) got his head shaved, Abu- Talha was the first to take some of his hair. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Jab Nabi-e-Akram (ﷺ) ne apna sar mundwaaya to sabse pehle Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne aapke moo-e-mubarak liye the.
|
Baab: Jab Kutta Bartan Se Peele To Bartan Saat (7) Martaba Dhoya Jaae Allah's Apostle (ﷺ) said, "If a dog drinks from the utensil of anyone of you it is essential to wash it seven times." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jab kutta tum me se kisi ke bartan me se peeley, to chahiye ke use saat martaba dhoye".
|
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "A man saw a dog eating mud from (the severity of) thirst. So, that man took a shoe (and filled it) with water and kept on pouring the water for the dog till it quenched its thirst. So Allah approved of his deed and made him enter Paradise." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): “Ek shakhs ne kutte ko dekha jo shiddat-e-pyaas ki wajah se geeli mitti chaat raha tha, chunaache us shakhs ne apna moza liya aur us mein paani bhar-bhar kar usey pilaana shuru kar diya, yahaa'n tak ke wo khoob ser ho gaya. Allah Ta'ala ne uske amal ki qadar karte hue usey Jannat ataa farmadi”
|
Narrated Hamza bin 'Abdullah: My father said. "During the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ), the dogs used to urinate, and pass through the mosques (come and go), nevertheless they never used to sprinkle water on it (urine of the dog.)" Ravi Hazrat Hamza bin 'Abdullah: Mere walid ne farmaya, "Rasool Allah (ﷺ) ke zamaane mein kutte masjid mein (peshaab karte aur) aate jaate the, aur Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) waha'n kisi jagah par paani nahi chidakte the."
|
Narrated 'Adi bin Hatim: I asked the Prophet (ﷺ) (about the hunting dogs) and he replied, "If you let loose (with Allah's name) your tamed dog after a game and it hunts it, you may eat it, but if the dog eats of (that game) then do not eat it because the dog has hunted it for itself." I further said, "Sometimes I send my dog for hunting and find another dog with it. He said, "Do not eat the game for you have mentioned Allah's name only on sending your dog and not the other dog." Ravi Hazrat Adi bin Haatim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi-e-Akram (ﷺ) se (kutte ke shikaar ke mutaallig) dariyaaft kiya, to Aap ne farmaya: “Jab tu apne sidhaae hue kutte ko chode aur wo shikaar kare to usey khaale. Agar wo kutta khud usse kuch khaale to usey mat khaa, kyou'nke ab usne shikaar apne liye kiya hai”. Maine phir arz kiya: Baaz dafa main apne kutte ko shikaar ke liye chodta hoo'n, phir uske saath kisi doosre kutte ko bhi paata hoo'n? Aap ne farmaya: “Aise shikaar ko mat khaa, kyou'nke toone apne kutte par bismillah padhi thi, doosre kutte par nahi padhi”
|
Baab 34: Jis Shakhs Ka Maugif Ho Ke Wazoo Sirf Us Hadas Se Hai Jo Dono Raasto'n, Yaae Qabl Yaa Dubur Se Nikle Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Yaa Tum Mein Se Koi Jaae Zarooat Se Aaya Ho”. Aur Hazrat Ataa ne kaha: Jiski dubur se keeda yaa a'zoo-e-mastoor se joo'n ki tarah koi cheez nikle, to wo dobaara wazoo kar le. Aur Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar koi dauraan-e-namaz mein hansde to wo namaz dobaara padhe, lekin wazoo dobaara na kare. Aur Hasan Basri ne kaha: Jisne apne (sar ke) baal mundwaae, yaa naakhun katraae, yaa apne mozay utaar daale to us par wazoo ka a'adaa nahi. Nez Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wazoo laazim nahi hota magar hadas (be-wazoo hone) se. Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan kiya jaata hai ke Nabi (ﷺ) Ghazwa-e-Zaat-ur-Riqaa mein the, ke ek shakhs ko teer laga. Us mein se bohot sa khoon baha, lekin usne rukoo aur sajda kiya aur namaz padhta raha. Aur Hasan Basri ne kaha: Musalman apne zakhmo'n se choor hone ke ba-wujood hamesha namaz padhte rahe. Taawus, Muhammad bin Ali, Ataa aur Hijaaz ke ahle ilm ka kehna hai ke khoon nikalne se wazoo nahi toot-ta. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek dafa phunsi ko dabaaya to usse khoon nikal aaya, lekin unho'n ne wazoo nahi kiya. Aur Hazrat Ibne Abi Awfa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne khoon thooka, lekin namaz padhte rahe. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Imam Hasan Basri ne kaha: Jo koi sengi lagwaae to sirf sengi ki jagah dho daale. |
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle (ﷺ) said, "A person is considered in prayer as long as he is waiting for the prayer in the mosque as long as he does not do Hadath." A non-Arab man asked, "O Abii Huraira! What is Hadath?" I replied, "It is the passing of wind (from the anus) (that is one of the types of Hadath)." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Banda us waqt tak namaz mein rehta hai jab tak wo masjid mein namaz ka intezaar karta hai. Ba-sharte-ke usey hadas laahiq na ho”. Ek ajami shakhs ne sawaal kiya: Abu Huraira! Hadas kya hai? Farmaya: Hadas awaaz, yaane goz ko kehte hain.
|
Narrated 'Abbas bin Tamim: My uncle said: The Prophet (ﷺ) said, "One should not leave his prayer unless he hears sound or smells something." Ravi Hazrat Ibaad bin Tamim: Hazrat Ibaad bin Tamim apne chacha se riwayat karte hain, Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tak namaz padhne waala (hadas ki) awaaz na suney, yaa badboo na mehsoos kare, us waqt tak apni namaz na chode”
|
Narrated 'Ali: I used to get emotional urethral discharges frequently and felt shy to ask Allah's Apostle about it. So I requested Al-Miqdad bin Al-Aswad to ask (the Prophet ﷺ) about it. Al-Miqdad asked him and he replied, "One has to perform ablution (after it)." Ravi Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Meri mazee ba-kasrat khaarij hoti thi, lekin Rasool Allah (ﷺ) se uske mutaalliq dariyaaft karne mein mujhe sharm aati thi. Is liye maine Hazrat Miqdaad bin Aswad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Tum masla dariyaaft karo. Unho'n ne poocha to Aap ne farmaya: “Us mein sirf wazoo hai”, aur is hadees ko Shu'ba ne bhi Amash se bayan kiya hai.
|
Narrated Zaid bin Khalid: I asked 'Uthman bin 'Affan about a person who engaged in intercourse but did not discharge. 'Uthman replied, "He should perform ablution like the one for ar ordinary prayer but he must wash his penis." 'Uthman added, "I heard it from Allah's Apostle (ﷺ)." I asked 'Ali Az-Zubair, Talha and Ubai bin Ka'b about it and they, too, gave the same reply. (This order was cancelled later on and taking a bath became necessary for such cases). Ravi Hazrat Zaid bin Khalid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Agar koi shakhs (apni biwi se) jimaa kare, lekin usey inzaal na ho, to (us par ghusl hai yaa nahi)? Unho'n ne jawab diya: Wo namaz ke wazoo ki tarah wazoo kare aur apne a'zoo-e-mastoor ko dho daale. Phir Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Maine ye masla Nabi-e-Akram (ﷺ) se suna hai. (Hazrat Zaid kehte hain) chunache maine ye masla Hazrat Ali, Hazrat Zubair, Hazrat Talha aur Hazrat Ubai bin Kaab (رضي الله عنهم) se dariyaaft kiya, to unho'n ne bhi mujhe yehi jawab diya.
|
Nazar bin Wahab ne mataabeat ki aur kaha ke ye hadees ham se Shu'ba ne bayan ki, nez Ghundar aur Yahya ne Shu'ba se Wazoo naqal nahi kiya. Narrated Abu Said Al-Khud: Allah's Apostle (ﷺ) sent for an Ansari man who came with water dropping from his head. The Prophet (ﷺ) said, "Perhaps we have forced you to hurry up, haven't we?" The Ansari replied, "Yes." Allah's Apostle (ﷺ) further said, "If you are forced to hurry up (during intercourse) or you do not discharge then ablution is due on you (This order was cancelled, later on, i.e. one has to take a bath). Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne ek ansari aadmi ko bulaya, wo is haalat mein haazir hua ka uske sar se paani tapak raha tha. Aap ne farmaya: “Shayad ham ne tujhe jaldi mein daal diya hai”. Usne kaha: Ji haa'n. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tujhe jaldi mein mubtalaa kar diya jaae, yaa inzaal ko rok diya jaae to tujh par sirf wazoo kar lene zaroori hai”.
|
Baab 35: Doosre Ko Wuzoo Karaana Narrated Usama bin Zaid: "When Allah's Apostle (ﷺ) departed from 'Arafat, he turned towards a mountain pass where he answered the call of nature. (After he had finished) I poured water and he performed ablution and then I said to him, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Will you offer the prayer?" He replied, "The Musalla (place of the prayer) is ahead of you (in Al-Muzdalifa)." Ravi Hazrat Usama bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) jab arafaat se waapas hue to ghaati ki taraf gae aur haajat se faarigh hue. Hazrat Usama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Phir maine paani daalna shuru kiya aur aap wazoo farmate rahe. Maine arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya aap namaz padhe'nge? Aap ne farmaya: “Namaz ki jagah tere aage hai”
|
Narrated Al-Mughira bin Shu'ba: I was in the company of Allah's Apostle (ﷺ) on one of the journeys and he went out to answer the call of nature (and after he finished) I poured water and he performed ablution; he washed his face, forearms and passed his wet hand over his head and over the two Khuff, (leather socks). Ravi Hazrat Mugheera bin Shu'ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Wo Rasool Allah (ﷺ) ke saath ek safar mein the. Aap qazaa-e- haajat ke liye tashreef le gae (jab aap faarigh ho kar aae) to Hazrat Mugheera (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne paani daalna shuru kiya aur aap wazoo farmate rahe. Chunache aap ne chehra-e-aqdas aur dono haath dhoe, sar ka masah farmaya. Aur dono mozo'n par bhi masah kiya.
|
Baab 36: Hadas Waghaira (be-wazoo hone) Ke Baad Quran Padhna Hazrat Mansoor, Ibrahim Nakhai se riwayat karte hain ke Hammaam mein Quran padhne aur baghair wazoo khat likhne mein koi muzaaeqa nahi. Hazrat Hammad, Janab Ibrahim Nakhai se bayan karte hain ke agar Hammaam waale tah-band baandhe ho'n to unhe'n salaam karo, ba-soorat-e-deegar unhe'n salaam na kaha jaae. |
Narrated 'Abdullah bin 'Abbas: That he stayed overnight in the house of Maimuna the wife of the Prophet, his aunt. He added: I lay on the bed (cushion transversally) while Allah's Apostle (ﷺ) and his wife lay in the lengthwise direction of the cushion. Allah's Apostle (ﷺ) slept till the middle of the night, either a bit before or a bit after it and then woke up, rubbing the traces of sleep off his face with his hands. He then recited the last ten verses of Sura Al-Imran, got up and went to a hanging water skin. He then Performed the ablution from it and it was a perfect ablution, and then stood up to offer the prayer. I, too, got up and did as the Prophet (ﷺ) had done. Then I went and stood by his side. He placed his right hand on my head and caught my right ear and twisted it. He prayed two Rakat then two Rakat and two Rakat and then two Rakat and then two Rakat and then two Rakat (separately six times), and finally one Rak'a (the Witr). Then he lay down again in the bed till the Mu'adhdhin came to him whereupon the Prophet (ﷺ) got up, offered a two-light Rakat prayer and went out and led the Fajr prayer Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Maimuna (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) jo unki khala hain, ke ghar ek raat basar ki. Unho'n ne kaha: Main to bistar ke arz mein let gaya, jabke Rasool Allah (ﷺ) aur aap ki ahliya, dono bistar ke tool mein mahoo-e-isteraahat hue. Rasool Allah (ﷺ) so gae, ta-aa'nke jab aadhi rat hui, yaa usse kuch pehle yaa kuch baad, to aap bedaar hue aur baith kar haath ke zariye se chehra-e-mubarak se neend ke asaraat door karne lagey. Phir aap ne Surah aale Imran Ki aakhri 10 ayaat tilaawat farmaee'n. Phir aap latke hue mashkeeze ki taraf mutawajja hue, aur usse acchi tarah wazoo farmaya, phir namaz padhne lagey. Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke main bhi utha aur wohi kuch kiya jo aap ne kiya tha. Phir maine uthkar aapke pehlu mein jaa khada hua, chunache aap ne apna daaya'n haath mere sar par rakha aur mera daaya'n kaan pakad kar usey maroda. Phir aap ne do (2) rakat adaa kee'n, phir do (2) rakat, phir do (2) rakat, phir do (2) rakat, phir do (2) rakat aur phir do (2) rakat padhee'n. Phir witr padhe aur let gae, ta-aan'nke moazzin aaya. Phir aap khade hue aur halki si do (2) rakat adaa keen, phir baahar nikle aur namaz-e-fajr padhi.
|
Baab 37: Shadeed Aur Sakht Qism Ki Ghashi Hi Se Wuzoo Toot-ta Hai Narrated Asma' bint Abu Bakr: I came to 'Aisha the wife of the Prophet during the solar eclipse. The people were standing and offering prayer and she was also praying. I asked her, "What is wrong with the people?" She beckoned with her hand towards the sky and said, "Subhan Allah." I asked her, "Is there a sign?" She pointed out, "Yes." So I, too, stood for the prayer till I fell unconscious and later on I poured water on my head. After the prayer, Allah's Apostle (ﷺ) praised and glorified Allah and said, "Just now I have seen something which I never saw before at this place of mine, including Paradise and Hell. I have been inspired (and have understood) that you will be put to trials in your graves and these trials will be like the trials of Ad-Dajjal, or nearly like it (the sub-narrator is not sure of what Asma' said). Angels will come to every one of you and ask, 'What do you know about this man?' A believer will reply, 'He is Muhammad, Allah's Apostle (ﷺ), and he came to us with self-evident truth and guidance. So we accepted his teaching, believed and followed him.' Then the angels will say to him to sleep in peace as they have come to know that he was a believer. On the other hand, a hypocrite or a doubtful person will reply, 'I do not know but heard the people saying something and so I said the same.' " Ravi Hazrat Asma bint Abi Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas us waqt gai, jab suraj ko grahan laga hua tha. Dekha ke log khade namaz padh rahe hain, aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) bhi khadi namaz padh rahi hain. Maine kaha: Logo'n ka kya haal hai? To unho'n ne apne haath se aasmaan ki taraf ishaara kiya aur SubhanAllah kaha. Maine kaha: Kya koi nishaani hai? Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne ishaara kiya ke haa'n. Main bhi namaz ke liye khadi ho gai, ta-aan'nke mujhe ghashi ne dhaank liya aur main apne sar par paani bahaane lagi. Jab Rasool Allah (ﷺ) namaz se faarigh hue to aap ne Allah Ta'ala ki hamd-o-Sanaa ki, phir farmaya: “Maine apne is muqaam mein har wo cheez dekhi jo mujhe pehle na dikhaai gai thi, hatta ke maine Jannat aur dozakh ko bhi dekha. Mere paas wahee aai hai ke tum apni qabro'n mein maseeh-e-dajjaal ke fitne ke mumaasil yaa uske qareeb qareeb aazmaae jaaoge...” (raawiya-e-hadees Faatima kehti hain:) Main nahi jaanti ke Hazrat Asma ne (lafz- e-misl yaa qareeb mein se) kaunsa lafz kaha tha... “Tum se ek ke paas (qabar mein farishte) bheje jaae'nge aur usse kaha jaaega ke us shakhs (Muhammad sè) ke mutaalliq tum kya jaante ho? To Maloom nahi, Asma ne kya lafz kaha tha... “To wo kahega ke ye Muhammad-ur-Rasool Allah (ﷺ) hain, jo hamaare paas mo 'jezaat aur hidayaat le kar aae the. Ham ne unki daawat ko qubool, un par imaan laae aur unki itaa-at ki. Phir use kaha jaaega ke araam se so jaao. Ham pehle hi jaante the ke the ke tum uska yaqeen rakhte ho. Raha munagfiq yaa murtaab.... (fatime ne kaha:) Mujhe yaad nahi Asma ne kiya kha tha... To wo kahega: Mujhe maloom nahi. Maine logo'n ko kuch kehte suna tha to maine bhi wo keh diya”.
|
Baab 38: Poore Sar Ka Masah Karna Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Aur Apne Saro'n Ka Masah Karo”. [Surah al Maaida: 6] Hazrat Ibne Musaiyyib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Aurat mard ki tarah hai, wo apne sar par masah karegi. Hazrat Imam Maalik (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) se sawaal kiya gaya: Aaya ye kaafi hai ke insaan apne sar ke kuch hisse ka masah kar le? To unho'n ne Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki hadees (jo aagey aarahi hai) bataur-e-daleel pesh ki, yaane poore sar ka masah karna zaroori hai. |
Narrated Yahya Al-Mazini: A person asked 'Abdullah bin Zaid who was the grandfather of 'Amr bin Yahya, "Can you show me how Allah's Apostle (ﷺ) used to perform ablution?" 'Abdullah bin Zaid replied in the affirmative and asked for water. He poured it on his hands and washed them twice, then he rinsed his mouth thrice and washed his nose with water thrice by putting water in it and blowing it out. He washed his face thrice and after that, he washed his forearms up to the elbows twice and then passed his wet hands over his head from its front to its back and vice versa (beginning from the front and taking them to the back of his head up to the nape of the neck and then brought them to the front again from where he had started) and washed his feet (up to the ankles). Ravi Yahya Maazini: Ek shakhs ne Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha, aur wo Amr bin Yahya ke dada hain: Kya aap mujhe dikha sakte hain ke Rasool Allah (ﷺ) kis tarah wazoo kiya karte the? Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Haan. Chunache unho'n ne paani mangwaaya aur apne haatho'n par daala aur unko do (2) martaba dhoya. Phir teen (3) martaba kulli ke liye mu'n mein aur naak mein paani daala. Phir teen (3) baar apna chehra dhoya. Baad azaa'n apne haatho'n ko kohniyo'n tak do (2), do (2) martaba dhoya. Phir apne sar ka dono haatho'n se masah kiya, haatho'n ko aagey se le gae, aur peeche se laae. Masah sar ke agle hisse se shuru kiya aur uske pichle hisse tak le gae. Phir jaha'n se shuru kiya tha, waha'n tak haatho'n ko laae. Phir dono paao'n dhoe.
|
Baab 39: Pairo'n Ko Takhno'n Tak Dhona Narrated 'Amr: My father saw 'Amr bin Abi Hasan asking 'Abdullah bin Zaid about the ablution of the Prophet (ﷺ). 'Abdullah bin Zaid asked for an earthenware pot containing water and in front of them performed ablution like that of the Prophet (ﷺ). He poured water from the pot over his hand and washed his hands thrice and then he put his hands in the pot and rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and then blowing it out with three handfuls of water. Again he put his hand in the water and washed his face thrice and washed his forearms up to the elbows twice, and then put his hands in the water and then passed them over his head by bringing them to the front and then to the rear of the head once, and then he washed his feet up to the ankles. Ravi Amr bin Abi Hasan: Unho'n ne Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se Nabi (ﷺ) ke wazoo ke mutaalliq dariyaaft kiya to unho'n ne paani ka bartan mangwaaya aur unhe'n Nabi (ﷺ) ka wazoo karke dikhaya, chunache bartan ko jhuka kar apne haath mein paani liya aur haatho'n ko teen (martaba) dhoya. Phir bartan mein haath daal kar paani liya. Usse kulli ki, naak mein paani chadhaaya aur usey saaf kiya. Ye sab kaam teen (3) chulluo'n se kiye. Phir bartan mein haath daala aur chehra-e-mubarak ko teen (3) baar dhoya. Baad azaa'n dono haatho'n ko kohniyo'n tak do (2) martaba dhoya. Phir apna haath daala aur igbaal-o-idbaar ke saath ek martaba sar ka masah kiya. Uske baad apne dono paao'n takhno'n tak dhoe.
|
Baab 40: Logo'n Ke Wuzoo Se Bache Hue Paani Ko Kaam Mein Laana Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne ahle khana ko us paani se wazoo karne ka hukum diya, jo miswaak karne ke baad bach raha tha. Narrated Abu Juhaifa: Allah's Apostle (ﷺ) came to us at noon and water for ablution was brought to him. After he had performed ablution, the remaining water was taken by the people and they started smearing their bodies with it (as a blessed thing). The Prophet (ﷺ) offered two Rakat of the Zuhr prayer and then two Rakat of the 'Asr prayer while an 'Anza (spear-headed stick) was there (as a Sutra) in front of him. Abu Musa said: The Prophet (ﷺ) asked for a tumbler containing water and washed both his hands and face in it and then threw a mouthful of water in the tumbler and said to both of us (Abu Musa and Bilal), "Drink from the tumbler and pour some of its water on your faces and chests." Ravi Hazrat Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek din Rasool Allah (ﷺ) dopaher ke waqt hamaare yahaa'n tashreef laae. Aapke paas wazoo ka paani laaya gaya to aapne wazoo farmaya. Phir log aapke wazoo se baaqi maanda paani lene lagey aur badan par malne lagey. Phir Nabi-e-Akram (ﷺ) ne Zohar aur asr ki do (2), do (2) rakat adaa keen aur dauran-e-namaz mein aapke saamne ek barchi gaadi gai thi.
|
Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi-e-Akram (ﷺ) ne ek pyaala mangwaya jis mein paani tha. Phir aap ne us pyaale mein apne dono haath aur chehra-e-mubarak dhoya aur us mein kulli farmaai. Phir un dono se farmaya: “Us mein se kuch paani nosh jaan karlo aur kuch apne chehro'n aur seeno'n par daal lo”.
|
Narrated Ibn Shihab: Mahmud bin Ar-Rabi' was the person on whose face the Prophet (ﷺ) had ejected a mouthful of water from his family's well while he was a boy, and 'Urwa (on the authority of Al-Miswar and others) who testified to each other, said, "Whenever the Prophet (ﷺ), performed ablution, his companions were nearly fighting for the remains of the water." Ravi Ibn Shihab: Ye wohi Hazrat Muhammad bin Rabee (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) hain, jin ke chehre par Rasool Allah (ﷺ) ne unhi ke kooe'n ke paani se kulli farmaai thi, jab ke wo bacche the. Hazrat Urwah Janab Miswar waghaira se bayan karte hain, un mein se har ek doosre ki tasdeeq karta hai: Jab Nabi-e-Akram (ﷺ) wazoo farmate to Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) aapke wazoo se bache hue paani ko lene ke liye aapas mein jhagadte the.
|
Baab: Bilaa Unwaan Narrated As-Sa'ib bin Yazid: My aunt took me to the Prophet (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! This son of my sister has got a disease in his legs." So he passed his hands on my head and prayed for Allah's blessings for me; then he performed ablution and I drank from the remaining water. I stood behind him and saw the seal of Prophethood between his shoulders, and it was like the "Zir-al-Hijla" (which means the button of a small tent, but some said 'egg of a partridge.' etc.) Ravi Hazrat Saaeb bin Yazeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Meri Khala mujhe Nabi (ﷺ) ke paas le gaee'n aur arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Mera bhaanja bimaar hai. To aap ne mere sar par haath phera aur mere liye barkat ki dua farmaai. Phir aap ne wazoo kiya to maine aap ko wazoo se bachaa hua paani pee liya. Phir main aapke pas-e- pusht khada hua aur mohr-e-nabuwwat ko dekha jo aapke dono kandho'n ke darmiyan chappar khat ki ghandi (yaa kabootar ke ande) jaisee thi.
|
Baab 41: Ek Hi Chullu Se Kulli Karna Aur Naak Mein Paani Daalna (On the authority of his father) 'Abdullah bin Zaid poured water on his hands from a utensil containing water and washed them and then with one handful of water he rinsed his mouth and cleaned his nose by putting water in it and then blowing it out. He repeated it thrice. He, then, washed his hands and forearms up to the elbows twice and passed wet hands over his head, both forwards and backwards, washed his feet up to the ankles and said, "This is the ablution of Allah's Apostle (ﷺ)." Ravi Amr bin Yahya: Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bartan se apne dono haatho'n par paani undela aur unko dhoya, phir dhoya. Yaa (you'n kaha ke) ek hi chullu se kulli ki aur naak mein paani daala, teen (3) baar aisa kiya. Phir dono haatho'n ko kohniyo'n tak do (2), do (2) baar dhoya aur sar par masah kiya, aagey aur peeche dono taraf se. Aur dono paao'n takhno'n tak dhoe, phir kaha: Rasool Allah (ﷺ) is tarah wazoo kiya karte the.
|
Baab 42: Sar Ka Masah Ek Baar Karna Yehi riwayat Mus aur Wuhaib ne bayan ki to kaha ke sar par ek (1) baar masah kiya. Narrated Amr bin Yahya: My father said, "I saw Amr bin Abi Hasan asking 'Abdullah bin Zaid about the ablution of the Prophet (ﷺ). Abdullah bin Zaid asked for an earthenware pot containing water and performed ablution in front of them. He poured water over his hands and washed them thrice. Then he put his (right) hand in the pot and rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and then blowing it out thrice with three handfuls of water Again he put his hand in the water and washed his face thrice. After that, he put his hand in the pot and washed his forearms up to the elbows twice and then again put his hand in the water and passed wet hands over his head by bringing them to the front and then to the back and once more he put his hand in the pot and washed his feet (up to the ankles.)" Ravi Amr bin Yahya: Hazrat Amr bin Abi Hasan se riwayat hai, unho’n ne Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se Nabi (ﷺ) ke wazoo ke mutaalliq dariyaaft kiya, to unho'n ne paani ka ek bartan mangwaaya aur logo'n ke saamne wazoo kiya. (Pehle) unho'n ne bartan ko jhukaaya aur (paani le kar) dono haatho'n ko teen (3) martaba dhoya, phir bartan mein haath daala aur paani ke teen (3) chulluo'n se teen (3) martaba kulli ki, naak mein paani daala aur usey saaf kiya. Phir bartan mein haath daala aur paani le kar 3 martaba kohniyo'n tak do (2) baar dhoya, phir bartan mein haath daala aur sar par aage aur peeche dono taraf se masah kiya, phir bartan mein haath daala aur apne dono paao'n dhoe.
|
Baab 43: Mard Ka Apni Biwi Ke saath Wuzoo Karna Aur Aurat Ke Wuzoo Se Baaqi Maanda Paani Ko Istemaal Karna Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne garam paani se (aur) ek nasraani aurat ke ghar se paani le kar wazoo farmaya. Narrated 'Abdullah bin 'Umar: "During the lifetime of Allah's Messenger (ﷺ) men and women used to perform ablution together." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ke zamaane mein mard, aurte'n milkar wazoo kiya karte the.
|
Baab 44: Nabi (ﷺ) Ka Apne Wuzoo Se Baagi Maanda Paani Behosh Par Chidakna Allah's Apostle (ﷺ) came to visit me while I was sick and unconscious. He performed ablution and sprinkled the remaining water on me and I became conscious and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! To whom will my inheritance go as I have neither ascendants nor descendants?" Then the Divine verses regarding Fara'id (inheritance) were revealed. Ravi Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) meri iyaadat ke liye tashreef laae, main aisa sakht bimaar tha ke koi baat na samajh sakta tha. Aap ne wazoo farmaya aur wazoo se bachaa hua paani mujh par chidka to main hosh mein aagaya. Maine arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Mera waaris kaun hoga? Mera to koi kalaalah hi waaris banega, tab aayat-e-wiraasat naazil hui.
|
Baab 45: Tub, Lagan, Aur Lakdi Yaa Patthar Ke Bartan Mein Wuzoo Yaa Ghusl Karna Narrated Anas: It was the time for prayer, and those whose houses were near got up and went to their people (to perform ablution), and there remained some people (sitting). Then a painted stove pot (Mikhdab) containing water was brought to Allah's Apostles (ﷺ) The pot was small, not broad enough for one to spread one's hand in; yet all the people performed ablution. (The sub-narrator said, "We asked Anas, 'How many persons were you?' Anas replied 'We were eighty or more"). (It was one of the miracles of Allah's Apostle ﷺ). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dafa namaz ka waqt ho gaya, to jis shakhs ka ghar qareeb tha wo to apne ghar (wazoo karne ke liye) chala gaya, jabke kuch log baaqi reh gae. Phir Rasool Allah (ﷺ) ke paas ek patthar ka bartan laaya gaya, jis mein kuch paani tha. Wo itna chota tha ke aap us mein apni hatheli na phaila sakey, lekin (uske ba-wujood) sab logo'n ne usse wazoo kar liya. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha gaya ke tum us waqt kitne log the? Unho'n ne farmaya: 80 se kuch ziyaada the.
|
Narrated Abu Musa: Once the Prophet (ﷺ) asked for a tumbler containing water. He washed his hands and face in it and also threw a mouthful of water in it. Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne ek bada pyaala mangwaaya jis mein paani tha. Aap ne us mein haath mu'n dhoe, aur us mein kulli farmaai.
|
Narrated 'Abdullah bin Zaid: Once Allah's Apostle (ﷺ) came to us and we brought out water for him in a brass pot. He performed ablution thus: He washed his face thrice, and his forearms to the elbows twice, then passed his wet hands lightly over the head from front to rear and brought them to the front again and washed his feet (up to the ankles). Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) tashreef laae to ham ne aapke liye ek tasht mein paani pesh kiya, jo peetal ka bana hua tha. Aap ne wazoo farmaya, yaane teen (3) baar mu'n dhoya, do-do (2-2) baar apne haath dhoe. Phir apne sar ka is tarah masah kiya ke aagey se peeche aur peeche se aagey laae. Aakhir mein aap ne apne dono paao'n dhoe.
|
Narrated 'Aisha: When the ailment of the Prophet (ﷺ) became aggravated and his disease became severe, he asked his wives to permit him to be nursed (treated) in my house. So they gave him permission. Then the Prophet (ﷺ) came (to my house) with the support of two men, and his legs were dragging on the ground, between 'Abbas, and another man." 'Ubaid-Ullah (the sub-narrator) said, "I informed 'Abdullah bin 'Abbas of what Aisha said. Ibn Abbas said: 'Do you know who was the other man?' I replied in the negative. Ibn 'Abbas said, 'He was 'Ali (bin Abi Talib)." 'Aisha further said, "When the Prophet (ﷺ) came to my house and his sickness became aggravated he ordered us to pour seven skins full of water on him so that he might give some advice to the people. So he was seated in a Mikhdab (brass tub) belonging to Hafsa, the wife of the Prophet (ﷺ). Then, all of us started pouring water on him from the water skins till he beckoned us to stop and that we have done (what he wanted us to do). After that, he went out to the people." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Jab Nabi (ﷺ) bimaar hue aur aap ki bimaari shiddat ikhteyaar kar gai to aap ne deegar azwaaj-e-mutahharaat se timaar-daari ke liye mere ghar mein qiyaam ki ijaazat chaahi. Chunache sabne ba-khushi ijaazat dedi. Phir Nabi (ﷺ) (Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar jaane ke liye) do (2) aadmiyo'n ke sahaare apne paao'n ghaseet-te hue nikle. Wo do (2) aadmi Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur ek doosre shakhs the. Raawi-e- hadees Obaidullah kehte hain: Jab mein Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ye hadees sunaai to unho'n ne kaha: Tum jaante ho ke wo doosre shakhs kaun the? Maine kaha: Nahi! To unho'n ne farmaya: Wo Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) bayan karti hain ke Nabi (ﷺ) ne apne ghar daakhil hone ke baad, jab bimaaris hiddat ikhteyaar kar gai, to farmaya: “Mere oopar 7 mashak (Sa) paani daalo, jin ke band naa khole gae ho'n. Shayad main (tandrust ho kar) logo'n ko wasiyyat kar sakoo'n”. Phir aapko ek badey tub mein bithaa diya gaya, jo aap ki zauja-e-mohtarma Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ka tha. Phir ham aapke jism-e-mubarak par un mashako'n ka paani daalne lagee'n, yahaa'n tak ke aap hame'n ishaara karne lagey ke bas tum apna kaam kar chukee'n, phir aap logo'n ke paas baahar tashreef le gae.
|
Baab 46: Tasht Se Wuzoo Karna Narrated 'Amr bin Yahya: (On the authority of his father) My uncle used to perform ablution extravagantly and once he asked 'Abdullah bin Zaid to tell him how he had seen the Prophet performing ablution. He asked for an earthenware pot containing water and poured water from it on his hands and washed them thrice, and then put his hand in the earthen-ware pot and rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and then blowing it Out thrice with one handful of water; he again put his hand in the water and took a handful of water and washed his face thrice, then washed his hands up to the elbows twice, and took water with his hand, and passed it over his head from front to back and then from back to front, and then washed his feet (up to the ankles) and said, "I saw the Prophet performing ablution in that way." Ravi Amr bin Yahya: Amr bin Yahya apne waalid se riwayat karte hain ke mere chacha (Amr bin Abil Hasan) Wuzoo karte wagt bohot ziyaada paani bahaate the. Unho'n ne Hazrat Abdullah bin Zaid : se darkhwaast ki, ke aap mujhe Nabi ke wazoo se gaah farmae'n. Chunache unho'n ne paani ka ek tasht mangwaaya, aur usse apne dono haatho'n par paani undela. Phir unhe'n teen (3) martaba dhoya. Phir us tasht mein haath daal kar ek hi chullu paani se teen baar kulli ki, aur naak mein paani daal kar usey saaf kiya. Phir unho'n ne apna haath bartan mein daala, dono haatho'n mein paani le kar teen (3) martaba apne chehre ko dhoya, phir apne dono haath kohniyo'n tak do-do (2-2) baar dhoe. Uske baad unho'n ne apne haath mein paani liya aur usse apne sar ka masah kiya. Masah ke waqt haatho'n ko peeche le gae, phir aage laae. Phir apne dono paao'n dhoe, aur farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko isi tarah wazoo karte hue dekha hai.”
|
Narrated Thabit: Anas said, "The Prophet (ﷺ) asked for water and a tumbler with a broad base and no so deep, containing a small quantity of water was brought to him whereby he put his fingers in it." Anas further said, 'noticed the water springing out from amongst his fingers." Anas added, ' estimated that the people who performed ablution with it numbered between seventy to eighty." Ravi Thabit: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai,"Rasool Allah (ﷺ) ne ek bartan mein paani mangwaaya to ek kam gehraai waala pyaala laaya gaya, jis mein thoda sa paani tha. Aap ne apni angusht haae mubarak ko us mein rakh diya." Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain: Maine Aap ki ungliyo'n se paani ke chashme phoot-te dekhe. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mazeed farmate hain: Maine un logo'n ka andaaza lagaaya jinho'n ne us paani se wazoo kiya tha, to unki taadaad 70-80 ke darmiyaan thi.
|
Baab 47: Ek Mudd Se Wuzo Karna Narrated Anas: The Prophet (ﷺ) used to take a bath with one Saor up to five Mudds (1 Sa'= Mudds) of water and used to perform ablution with one Mudd of water. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab ghusl farmate to ek saa’ se 5 mudd tak paani istemaal karte aur ek mudd paani se wazoo kar lete.
|
Baab 48: Mozo'n Par Masah Karna Narrated 'Abdullah bin 'Umar: Sa'd bin Abi Waqqas said, "The Prophet (ﷺ) passed wet hands over his Khuffs." 'Abdullah bin 'Umar asked Umar about it. 'Umar replied in the affirmative and added, "Whenever Sa'd narrate a Hadith from the Prophet (ﷺ), there is no need to ask anyone else about it." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Wo Hazrat Sa'ad bin Abi Waqqas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne mozo'n par masah kiya. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jab Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ye masla dariyaaft kiya to unho'n ne bhi isbaat mein jawaab diya (aur) farmaya: Jab Sa'ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) tumse koi hadees bayan kare'n to kisi doosre se uske mutaalliq mat poocha karo. Moosa bin Uqba kehte hain ke unhe'n Abu An-nazar ne ba-waasta Abu Salama khabar di, ke Hazrat Sa'ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye hadees bayan ki aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne bete Abdullah se aisa hi kaha.
|
Narrated Al-Mughlra bin Shu'ba: Once Allah's Apostle (ﷺ) went out to answer the call of nature and I followed him with a tumbler containing water, and when he finished, I poured water and he performed ablution and passed wet hands over his Khuffs. Ravi Hazrat Mugheera bin Shu'ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) qazaa-e-haajat ke liye baahar tashreef le gae, to Hazrat Mugheera (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi paani ka ek bartan le kar saath ho gae. Jab aap haajat se faarigh hue to unho'n (Mugheera (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) ne aap par paani daala aur aap ne wazoo kiya. Phir aap ne apne mozo'n par masah kiya.
|
Narrated Ja'far bin 'Amr bin Umaiya Ad-Damri: My father said, "I saw the Prophet (ﷺ) passing wet hands over his Khuffs." Ravi Hazrat Amr bin Umaiyya Zamri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) ko apni pagdi aur dono mozo'n par masah karte hue dekha hai. Ma'amar ne Yahya bin Abi Kaseer se ba-waasta Abu Salama aan Amr, Imam Auzaai ki mataabe-at ki hai, unho'n (amr) ne kaha: Maine Nabi-e-Akram (ﷺ) ko (aisa karte) dekha hai.
|
Narrated Ja'far bin 'Amr: My father said, "I saw the Prophet (ﷺ) passing wet hands over his turban and Khuffs (leather socks)." Ravi Ja'far bin 'Amr: Hazrat Amr bin Umaiyya Zamri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apne baap se riwayat karte hai, ke mai ne rasool kareem (ﷺ) ku apne amama aaur mozon par masah karte dekha. Isku riwayat kiya muammar ne yahya se, wo abu salma se, unhone umru se mutabiat ki aur kaha ke mai ne Rasoolullah (ﷺ) ku dekha (aap waaqi aisa hi kiya karte the)
|
Baab 49: Mozo'n Ko Ba-wazoo Pehenne Ka Bayan Narrated 'Urwa bin Al-Mughira: My father said, "Once I was in the company of the Prophet (ﷺ) on a journey and I dashed to take off his Khuffs. He ordered me to leave them as he had put them after performing ablution. So he passed wet hands or them. Ravi Hazrat Mugheera bin Shu'ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main ek safar mein Nabi (ﷺ) ke hamraah tha. (Aap wazoo kar rahe the) mein jhuka taake aapke dono mozay utaaru'n to aap ne farmaya: “Unhe'n rehne do, maine unhe'n ba-wazoo pehna tha”. Phir aap ne un par masah farmaya.
|
Baab 50: Bakri Ka Gosht Aur Sattu Khaane Ke Baad Wuzoo Na Karne Ka Bayaan Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, aur Hazrat Usman (رضي الله عنهم) ne (gosht) tanaawul farmaya, lekin uske baad wazoo nahi kiya. Allah's Apostle (ﷺ) ate a piece of cooked mutton from the shoulder region and prayed without repeating ablution. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne bakri ke shaane ka gosht tanaawul farmaya, phir namaz padhi aur wazoo nahi kiya.
|
Narrated Ja'far bin 'Amr bin Umaiya: My father said, "I saw Allah's Apostle (ﷺ) taking a piece of (cooked) mutton from the shoulder region and then he was called for prayer. He put his knife down and prayed without repeating ablution." Ravi Hazrat Amr bin Umaiyya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ko dekha ke aap bakri ke shaane se gosht kaat-kaat kar khaa rahe hain. Aapko namaz ke liye bulaya gaya to aapne churi rakhdi, namaz padhi aur naya wazoo nahi kiya.
|
Baab 51: Sattu Khane Ke Baad Wuzoo Ke Bajaae Sirf Kulli Karna In the year of the conquest of Khaibar, I went with Allah's Apostle (ﷺ) till we reached Sahba,' a place near Khaibar, where Allah's Apostle (ﷺ) offered the 'Asr prayer and asked for food. Nothing but Sawrq was brought. He ordered it to be moistened with water. He and all of us ate it and the Prophet (ﷺ) got up for the evening prayer (Maghrib prayer), rinsed his mouth with water and we did the same, and he then prayed without repeating the ablution. Ravi Hazrat Suwaid bin Noman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Wo fatah-e-khaybar ke saal Rasool Allah (ﷺ) ke saath gae the. Jab muqaam-e-suhbaa par pohche, jo khaybar ke qareeb tha, to aap ne namaz-e-asr adaa ki, phir zaad-e-safar talab farmaya to sattu laae gae. Aap ne unhe'n taiyyaar karne ka hukum diya, chunache wo taiyyaar shuda sattu Rasool Allah (ﷺ) aur ham sab ne khaae. Uske baad aap namaz-e maghrib ke liye khade hue. Aap ne sirf kulli farmaai aur ham ne bhi kulli ki. Phir aap ne namaz padhaai aur naya wazoo nahi kiya.
|
Narrated Maimuna: The Prophet (ﷺ) ate (a piece of) mutton from the shoulder region and then prayed without repeating the ablution. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi-e-Akram (ﷺ) ne unke paas bakri ke shaane ka gosht tanaawul farmaya, phir namaz padhi aur wazoo nahi kiya.
|
Baab 52: Doodh Peene Ke Baad Kulli Karna Narrated Ibn 'Abbas: Allah's Apostle (ﷺ) drank milk, rinsed his mouth and said, "It has fat." Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne ek data doodh nosh farmaya, to kulli ki aur farmaya: “Is (doodh) mein chiknaahat hoti hai”. Zohri se bayan karne mein Yunus aur Saaleh bin Keesaan ne Aqeel ki mataabe-at ki hai.
|
Baab 53: Neend Se Wuzoo Karna, Nez Ek (1) Yaa Do (2) Baar Oonghne Yaa Jho'nka Aajaane Se Wuzoo Zaroori Nahi Allah's Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi namaz padh raha ho, us dauraan mein agar usey oongh aajaae to wo so jaae, taake uski neend poori ho jaae, kyou'nke agar koi oonghte hue namaz padhega to wo nahi jaanta ke wo apne liye istighfaar kar raha hai, yaa khud ko bad-dua kar de raha hai".
|
Narrated Anas: The Prophet (ﷺ) said, "If anyone of you feels drowsy while praying, he should sleep till he understands what he is saying (reciting)." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab koi tum mein se namaz ke dauraan mein oonghne lagey, to usey so jaana chaahiye, ta-aa'nke jo padh raha hai, usey samajhne ke qaabil ho jaae”.
|
Baab 54: Hadas Ke Baghair Wuzoo Karna Narrated 'Amr bin 'Amir: Anas said, "The Prophet (ﷺ) used to perform ablution for every prayer." I asked Anas, "What you used to do?' Anas replied, "We used to pray with the same ablution until we break it with Hadath." Ravi Amr bin 'Amir: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai,"Nabi (ﷺ) har namaz ke liye wazoo kiya karte the." (Raawi Amr bin Amir kehte hain) maine poocha: Aap Hazraat (Sahaaba) ka kya maamool tha? To Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham mein se ek shakhs ko us waqt tak wazoo kaafi hota tha, jab tak usey hadas laahiq na hota.
|
Narrated Suwaid bin Nu'man: In the year of the conquest of Khaibar, I went with Allah's Apostle till we reached As-Sahba' where Allah's Apostle (ﷺ) led the 'Asr prayer and asked for food. Nothing but Sawiq was brought and we ate it and drank (water). The Prophet (ﷺ) got up for the (Maghrib) Prayer, rinsed his mouth with water and then led the prayer without repeating the ablution. Ravi Hazrat Suwaid bin Noman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ham khybar ke saal Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah rawaana hue. Jab ham muqaam-e-Suhbaa par pohche to Rasool Allah (ﷺ) ne hame'n namaz-e-asr padhaai. Jab aap namaz se faarigh hue to aap ne khane (zaad-e-safar) mangwaae, chunache sattu ke alaawa aur koi cheez pesh na ki jaa saki. Pas ham ne khaaya aur piya. Phir Nabi (ﷺ) maghrib ke liye khade hue aur aap ne kulli ki aur maghrib ki namaz padhaai, aur wazoo nahi farmaya.
|
Baab 55: Apne Peshab Se Ehtiyaat Na Karna Kabira Gunah Hai Narrated Ibn 'Abbas: Once the Prophet (ﷺ), while passing through one of the grave-yards of Medina or Mecca heard the voices of two persons who were being tortured in their graves. The Prophet (ﷺ) said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid)." The Prophet (ﷺ) then added, "Yes! (they are being tortured for a major sin). Indeed, one of them never saved himself from being soiled with his urine while the other used to go about with calumnies (to make enmity between friends). The Prophet (ﷺ) then asked for a green leaf of a date-palm tree, broke it into two pieces and put one on each grave. On being asked why he had done so, he replied, "I hope that their torture might be lessened, till these get dried." Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) madina ya makkah ke kisi baagh se guzre to waha'n do (2) aadmiyo'n ki awaaz suni, jinko qabar mein azaab ho raha tha. Us waqt Aap ne farmaya: “Un dono ko azaab ho raha hai, lekin ye azaab kisi badi baat par nahi diya jaa raha”. Phir farmaya: “Haa'n (badi hi hai) un mein se ek to apne peshaab se ehtiyaat nahi karta tha, aur doosre chugal-khori ki aadat mein mubtalaa tha”. Phir aap ne ek tar shaakh mangwaai, uske do (2) tukde karke har qabar par ek-ek tukda gaad diya. Aap se arz kiya gaya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ) Aapne aisa kyou'n kiya? Aap ne farmaya: Ummeed hai ke jab tak ye khushk na ho jaae'n, un dono par azaab halka kar diya jaaega.
|
Baab 56: Peshaab Ko Dhona Nabi (ﷺ) ne saaheb-e-qabar ke mutaalliq farmaya: “Wo apne peshab se ehtiyaat nahi karta tha”. Aur aap ne insaano'n ke peshab ke alaawa aur kisi cheez ka zikr nahi farmaya. Whenever the Prophet (ﷺ) went to answer the call of nature, I used to bring water with which he used to clean his private parts. Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab rafa-e-haajat ke liye baahar tashreef le jaate to main aapke liye paani le kar jaaya karta, jisse aap istenja karte.
|
Baab: Bila-Unwaan Narrated Ibn 'Abbas: The Prophet (ﷺ) once passed by two graves and said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid). One of them never saved himself from being soiled with his urine, while the other used to go about with calumnies(to make enmity between friends)." The Prophet (ﷺ) then took a green leaf of a date-palm tree, split it into (pieces) and fixed one on each grave. They said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Why have you done so?" He (ﷺ) replied, "I hope that their punishment might be lessened till these (the pieces of the leaf) become dry." (See the foot-note of Hadith 215). Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ka guzar do (2) qabro'n se hua. Aap ne farmaya: “In dono ko azaab ho raha hai aur azaab bhi kisi badi baat ke silsile mein nahi hai. Ek to un mein se peshaab se ehtiyaat nahi karta tha, aur doosra chugli karta phirta tha”. Phir aap ne ek taaza shaakh li aur darmiyan se cheer kar usey do (2) hisso'n mein tagseem kiya aur har qabar par ek-ek tukda gaad diya. Sahaba Ikraam ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ): Aap ne aisa kyou'n kiya? Irshad hua: “Jab tak ye shaakhe'n khushk na ho, shayad unke azaab mein takhfeef ho jaae”. Ibne Muthanna ne kaha: Hame'n Wakee ne hadees bayan ki, unho'n ne Amash se tahdees ke seeghe se naqal kiya, wo kehte hain: Maine Mujahid se isi tarah suna.
|
Baab 57: Nabi (ﷺ) Aur Sahaba Ikraam Ne Dehaati Ko Kuch Na Kaha, Yahaa'n Tak Ke Wo Masjid Mein Peshab Se Faarigh Ho Gaya The Prophet (ﷺ) saw a Bedouin making water in the mosque and told the people not to disturb him. When he finished, the Prophet asked for some water and poured it over (the urine). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne ek dehaati ko dekha jo masjid mein peshab kar raha tha, aap ne farmaya: “Usey kuch na kaho”. Ta-aa'nke jab wo peshab se faarigh ho gaya to aap ne paani mangwaya aur usey peshab par baha diya.
|
Baab 58: Masjid Mein Kiye Hue Peshab Par Paani Bahaana Narrated Abu Huraira: A Bedouin stood up and started making water in the mosque. The people caught him but the Prophet (ﷺ) ordered them to leave him and to pour a bucket or a tumbler of water over the place where he had passed the urine. The Prophet (ﷺ) then said, "You have been sent to make things easy and not to make them difficult." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dehaati khada hua aur usne masjid hi mein peshab kar diya. Logo'n ne usey rokna chaaha to Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Usey chod do aur uske peshab par paani se bhara hua ek dol bahaa do, kyou'nke tum log aasaani paida karne ke liye bheje gae ho, tumhe'n sakhti karne ke liye nahi bheja gaya”.
|
Narrated Anas bin Malik: The Prophet said as above (219). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hame'n Abdaan ne bayan kiya hai, unko Abdullah ne, unko Yahya bin Saeed ne batlaaya. Unho'n ne kaha: Maine Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko Nabi (ﷺ) se bayan karte hue suna. Hadees no. 219
|
Baab: Peshaab Par Paani Bahaana Narrated Anas bin Malik: A Bedouin came and passed urine in one corner of the mosque. The people shouted at him but the Prophet (ﷺ) stopped them till he finished urinating. The Prophet (ﷺ) ordered them to spill a bucket of water over that place and they did so. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek arabi aaya aur usne masjid ke ek konay mein peshab karna shuru kar diya. Logo'n ne usey daa'nta to Nabi (ﷺ) ne unhe'n rok diya. Jab wo peshab se faarigh hua to Nabi (ﷺ) ne paani ke ek dol ka hukum diya, chunache wo dol uske peshab par baha diya gaya. |
Baab 59: Baccho'n Ka Peshaab Narrated 'Aisha: (The mother of faithful believers) A child was brought to Allah's Apostle (ﷺ) and it urinated on the garment of the Prophet (ﷺ). The Prophet (ﷺ) asked for water and poured it over the soiled place. Ravi Hazrat Ummul Momineen Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ke paas ek baccha laaya gaya, usne aapke kapde par peshab kar diya, to aap ne paani mangwaaya aur us par baha diya.
|
Narrated Um Qais bint Mihsin: I brought my young son, who had not started eating (ordinary food) to Allah's Apostle (ﷺ) who took him and made him sit in his lap. The child urinated on the garment of the Prophet (ﷺ), so he asked for water and poured it over the soiled (area) and did not wash it. Ravi Hazrat Umme Qais bin Mehsan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Wo Rasool Allah (ﷺ) ke paas apna chota baccha le kar aaee'n, jo abhi khana nahi khaata tha. Rasool Allah (ﷺ) ne usey apni godh mein bitha liya to usne aap ke kapde par peshab kar diya. Aap ne paani mangwakar us par chidak diya, lekin usey dhoya nahi.
|
Baab 60: Khade Hue Aur Baith-kar Peshab Karna Narrated Hudhaifa: Once the Prophet (ﷺ) went to the dumps of some people and passed urine while standing. He then asked for water and so I brought it to him and he performed ablution. Ravi Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ka ek qaum ke koodey-karkat ke dher par se guzar hua. To waha'n aap ne khade ho kar peshab kiya, phir aap ne paani maanga to paani le aaya, chunache aap ne wazoo farmaya.
|
Baab 61: Apne Saathi Ke Qareeb Aur Deewaar Ki Aad Mein Peshab Karna The Prophet (ﷺ) and I walked till we reached the dumps of some people. He stood, as any one of you stands, behind a wall and urinated. I went away, but he beckoned me to come. So I approached him and stood near his back till he finished. Ravi Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main khud ko aur Nabi (ﷺ) ko dekh raha hoo'n ke ham jaa rahe hain. Aap kisi qaum ke koode-karkat ke dher (ghoore) par pohche, jo ek deewaar par tha, aur aap waha'n is tarah khade hue, jis tarah tum mein se koi shakhs khada hota hai, phir peshab kiya. Main aapke qareeb se hat gaya. Aap ne ishare se mujhe bulaya. Main haazir hua aur aapke peeche khada ho gaya, ta-aa'nke aap peshab se faarigh ho gae.
|
Baab 62: Kisi Qaum Ke Ghoore Par Peshab Karna Narrated Abu Wail: Abu Musa Al-Ash'ari used to lay great stress on the question of urination and he used to say, "If anyone from Bani Israel happened to soil his clothes with urine, he used to cut that portion away." Hearing that, Hudhaifa said to Abu Wail, "I wish he (Abu Musa) didn't (lay great stress on that mat ter)." Hudhaifa added, "Allah's Apostle (ﷺ) went to the dumps of some people and urinated while standing." Ravi Hazrat Abu Waael: Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) peshab ke muaamale mein bohot tashaddud se kaam lete the, aur kehte the ke bani israel mein agar kisi ke kapde ko peshab lag jaata to wo mutaassira kapde ko kaat deta tha. Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Kaash wo aisa (tashaddud) na karte. Rasool Allah (ﷺ) kisi qaum ke ghoore par tashreef le gae aur waha'n aap ne khade ho kar peshab kiya.
|
Baab 63: Khoon Ka Dhona Narrated Asma': A woman came to the Prophet (ﷺ) and said, "If anyone of us gets menses in her clothes then what should she do?" He (ﷺ) replied, "She should (take hold of the soiled place), rub it and put it in the water and rub it in order to remove the traces of blood and then pour water over it. Then she can pray in it." Ravi Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ek aurat Nabi (ﷺ) ke paas aai aur arz kiya: Bataaiye ham mein se agar kisi aurat ko haiz aae aur kapde ko lag jaae to wo kya kare? Aap ne farmaya: “Usey khurac daale, phir paani daal kar ragde aur dho-daale, phir us mein namaz padhle”.
|
Narrated 'Aisha: Fatima bint Abi Hubaish came to the Prophet and said, "O Allah's Apostle (ﷺ) I get persistent bleeding from the uterus and do not become clean. Shall I give up my prayers?" Allah's Apostle (ﷺ) replied, "No, because it is from a blood vessel and not the menses. So when your real menses begins give up your prayers and when it has finished wash off the blood (take a bath) and offer your prayers." Hisham (the sub-narrator) narrated that his father had also said, (the Prophet ﷺ told her): "Perform ablution for every prayer till the time of the next period comes." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Fatima bint Abi Habeesh (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) Nabi (ﷺ) ke paas haazir hui aur kehne lagi: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Main aisee aurat hoo'n ke aksar msutahaaza rehti hoo'n aur uski wajah se paak nahi ho sakti, kya main namaz chodh doo'n? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Nahi, namaz mat chod. Ye ek rag ka khoon hai, haiz nahi. Phir jab tere haiz ka waqt aajaae to namaz chod de aur jab waqt guzar jaae to (apne badan aur kapdo'n se) khoon dho kar namaz adaa kar”. Hishab ne kaha: Mere waalid (Urwah bin Zubair) ne kaha: (Aap ne farmaya:) “Phir har namaz ke liye wazoo kar hatta ke wohi (haiz ka) waqt phir aajaae”.
|
Baab 64: Manee Ka Dhona Aur Usey Khurach Daalna, Neez Jo Ratoobat Aurat Se Lag Jaae, Uska Dhona I used to wash the traces of Janaba (semen) from the clothes of the Prophet (ﷺ) and he used to go for prayers while traces of water were still on them (water spots were still visible). Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Nabi (ﷺ) ke kapde se janaabat ke asaraat ko dho daalti thi aur aap unhi kapdo'n mein namaz ke liye baahar tashreef le jaate, jabke paani ke dhabbe aapke kapde mein baagi hote (nazar aate) the.
|
Narrated Sulaiman bin Yasar: I asked 'Aisha about the clothes soiled with semen. She replied, "I used to wash it off the clothes of Allah's Apostle (ﷺ) and he would go for the prayer while water spots were still visible. " Ravi Hazrat Sulaiman bin Yasaar: Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se sawal kiya: Jis kapde ko manee lag jaae to (kaise paak kiya jaae)? Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Main Rasool Allah (ﷺ) ke kapdo'n se manee dho daalti, phir aap namaz ke liye baahar tashreef le jaate aur dhone ke nishaan, yaane paani ke dhabbe kapde par baaqi reh jaate.
|
Baab 65: Jab Manee Waghaira Dhoe Aur Uska Asar Zaael Na Ho Narrated 'Amr bin Maimun: I heard Sulaiman bin Yasar talking about the clothes soiled with semen. He said that 'Aisha had said, "I used to wash it off the clothes of Allah's Apostle (ﷺ) and he would go for the prayers while water spots were still visible on them. Ravi Amr bin Maimoon: Amr bin Maimoon se riwayat hai ke maine Hazrat Sulaiman bin Yasaar se manee aalood kapde ke mutaalliq sawaal kiya to unho'n ne kaha: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Main Rasool Allah (ﷺ) ke kapde se manee dho daalti thi, phir aap namaz ke liye tashreef le jaate, jabke dhone ka nishaan, yaane paani ke dhabbe kapde par baaqi reh jaate.
|
Narrated 'Aisha: I used to wash the semen off the clothes of the Prophet (ﷺ) and even then I used to notice one or more spots on them. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ke kapdo'n se dhoti thee'n. (Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha:) Phir main us dhone ka ek dhabba yaa kai dhabbe aapke kapdo'n mein dekhti thi.
|
Baab 66: Oont Bakriyo'n Aur Deegar Chaupaayo'n Ke Peshab, Nez Bakriyo'n Ke Baadey Ka Hukum Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Dar-ul-Bareed aur Sirgeen mein namaz adaa ki. Jabke jungle, yaane maidaani ilaaga unke pehlu mein tha, aur unho'n ne farmaya: yahaa'n aur wahaa'n dono baraabar hain. |
Narrated Abu Qilaba: Anas said, "Some people of 'Ukl or 'Uraina tribe came to Medina and its climate did not suit them. So the Prophet (ﷺ) ordered them to go to the herd of (Milch) camels and to drink their milk and urine (as a medicine). So they went as directed and after they became healthy, they killed the shepherd of the Prophet (ﷺ) and drove away all the camels. The news reached the Prophet (ﷺ) early in the morning and he sent (men) in their pursuit and they were captured and brought at noon. He then ordered them to cut their hands and feet (and it was done), and their eyes were branded with heated pieces of iron, They were put in 'Al-Harra' and when they asked for water, no water was given to them." Abu Qilaba said, "Those people committed theft and murder, became infidels after embracing Islam and fought against Allah and His Apostle ." Ravi Abu Qilaba: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai,"Qabeela-e-Ukl aur Uraina ke kuch log madina munawwara aae, aur unhe'n yahaa'n ki aab-o-hawaa muwaafiq na aai to Nabi (ﷺ) ne unhe'n doodh waali oontniyo'n mein jaane ka hukum diya. Ke Wahaa'n jaakar unka doodh aur peshab istemaal kare'n, chunache wo log chale gae. Aur jab wo sehat-mand ho gae to unho'n ne Nabi (ﷺ) ke charwaahe ko qatal kar daala aur jaanwar haa'nk kar le gae. Subah ke waqt (Rasool Allah (ﷺ) ko jab) ye khabar pohchi to aap ne unke ta'aqqub mein chand aadmi rawaana kiye, chunache sooraj buland hote hi un sabko giraftaar kar liya gaya. Phir aap ke hukum se unke haath paao'n kaate gae, aur unki ankho'n mein garm salaaiya'n pheri gaee'n. Uske baad garam sanglaakh par unhe'n daal diya gaya. Wo paani maangte the, lekin unhe'n paani nahi diya jaata tha. Abu Qilaaba ne farmaya: Unlogo'n ne chori ki, khoon-e-naa-haq kiya, imaan ke baad murtad hue, aur Allah aur rasool ke saath unho'n ne elaan-e-jung kiya (is liye ye saza tajweez ki gai).
|
Narrated Anas: Prior to the construction of the mosque, the Prophet (ﷺ) offered prayers at sheepfolds. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) masjid (e nabawi) banne se pehle bakriyo'n ke baadey mein namaz padh liya karte the.
|
Baab 67: Un Najaasato'n Ka Bayaan Jo Ghee Yaa Paani Mein Gir Jaae'n Imam Zohri bayan karte hain ke paani ke istemaal mein koi muzaaeqa nahi, jab tak najaasat uska maza, boo, yaa rang na badle. Hazrat Hammad ne farmaya: Murdaar ke baal aur paro'n mein (agar wo paani mein gir jaae'n) koi muzaaeqa nahi. Zohri farmate hain: Murdaar jaanwar, masalan: Haathi waghaira ki haddiyo'n ke mutaalliq maine bohot se ulama-e-salaf ko paaya ke wo unki kanghi banaakar istemaal karte the aur un mein tel (oil) rakhte the. Nez unke istemaal mein koi harj mehsoos nahi karte the. Imam Ibne Sireen aur Ibrahim farmate hain ke haathi daant ki tijaarat mein koi harj nahi. |
Narrated Maimuna: Allah's Apostle (ﷺ) was asked regarding ghee (cooking butter) in which a mouse had fallen. He said, "Take out the mouse and throw away the ghee around it and use the rest." Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) se ek chuhiya ke mutaalliq poocha gaya, jo ghee mein gir gai thi? Aap ne farmaya: “Usey nikaal do, aur uske qareeb jis qadar ghee ho, usey bhi phenk do, phir apna baaqi ghi istemaal karlo”
|
Narrated Maimuna: The Prophet (ﷺ) was asked regarding ghee in which a mouse had fallen. He said, "Take out the mouse and throw away the ghee around it (and use the rest.)" Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) se sawaal hua ke chooha agar ghee mein gir pade to kya kare'n? Aap ne farmaya: “Choohe aur uske aas-paas ke ghee ko phenk do”. Hazrat Maa'n kehte hain: Imam Maalik (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne hame'n kai martaba ye hadees bayan ki aur wo you'n kehte the: A'n Ibne Abbas a'n Mimoona.
|
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "A wound which a Muslim receives in Allah's cause will appear on the Day of Resurrection as it was at the time of infliction; blood will be flowing from the wound and its colour will be that of the blood but will smell like musk." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah ki raah mein musalman ko jo zakhm lagta hai, qiyaamat ke din wo apni asli haalat mein hoga, jaise zakhm lagte waqt tha, khoon beh raha hoga, uska rang to khoon jaisa hoga, magar khushboo kastoori ki tarah hogi”.
|
Baab 68: Khade Paani Mein Peshab Karna Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle (ﷺ) said, "We (Muslims) are the last (people to come in the world) but (will be) the foremost (on the Day of Resurrection)." The same narrator told that the Prophet (ﷺ) had said, "You should not pass urine in stagnant water which is not flowing then (you may need to) wash in it." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ham (duniya mein) aakhir mein aane waale hain, lekin (qiyaamat ko sabqat kar jaane waale hain”
|
Narrated Abu Huraira: "You should not pass urine in stagnant water which is not flowing then (you may need to) wash in it." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Aur isi sanad ke saath (marwi hai ke) Aap ne ye bhi farmaya: “Tum mein se koi shakhs aise rukey paani mein peshaab na kare, jo chalta nahi, phir us mein ghusi bhi kare”.
|
Baab 69: Jab Namazi Ki Pusht Par Gandagi Yaa Murdaar Daal Diya Jaae To Uski Namaz Kharab Nahi Hogi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) agar namaz padhte hue apne kapde par khoon dekhte to namaz jaari rakhte aur kapda utaar dete. Hazrat Saeed bin Musaiyyib aur Imam Sha'abi bayan karte hain: Jab koi shakhs aisee haalat mein namaz padhe ke uske kapde par khoon yaa manee lagi ho, yaa uska rukh ghair qible ki taraf ho, yaa usne tayammum se namaz padhi ho, phir waqt ke andar usey paani muyassar aagaya ho, to wo namaz ka iaada nahi karega. |
Narrated 'Abdullah bin Mas'ud: Once the Prophet (ﷺ) was offering prayers at the Ka'ba. Abu Jahl was sitting with some of his companions. One of them said to the others, "Who amongst you will bring the abdominal contents (intestines, etc.) of a camel of Bani so and so and put it on the back of Muhammad, when he prostrates?" The most unfortunate of them got up and brought it. He waited till the Prophet (ﷺ) prostrated and then placed it on his back between his shoulders. I was watching but could not do anything. I wish I had some people with me to hold out against them. They started laughing and falling on one another. Allah's Apostle (ﷺ) was in prostration and he did not lift his head up till Fatima (Prophet's (ﷺ) daughter) came and threw that (camel's abdominal contents) away from his back. He raised his head and said thrice, "O Allah! Punish Quraish." So it was hard for Abu Jahl and his companions when the Prophet (ﷺ) invoked Allah against them as they had a conviction that the prayers and invocations were accepted in this city (Mecca). The Prophet (ﷺ) said, "O Allah! Punish Abu Jahl, 'Utba bin Rabi'a, Shaiba bin Rabi'a, Al- Walid bin 'Utba, Umaiya bin Khalaf, and 'Uqba bin Al Mu'it (and he mentioned the seventh whose name I cannot recall). By Allah in Whose Hands my life is, I saw the dead bodies of those persons who were counted by Allah's Apostle (ﷺ) in the Qalib (one of the wells) of Badr. Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ek dafa Ka'aba ke paas namaz padh rahe the. Abu Jahal aur uske saathi waha'n baithe hue the. Wo aapas mein kehne lagey: Tum mein se kaun jaata hai ke fulaa'n qabile ki oontni ki baccha-daani le aae, jise wo sajde ki haalat mein Muhammad (ﷺ) ki pusht par rakh de? Chunache un mein se ek sabse ziyaada bad-bakht utha aur usey utha laaya, phir dekha raha. Jab Nabi (ﷺ) sajde mein gae to usne usey aapke dono shaano'n ke darmiyaan pusht par rakh diya. Main ye sab kuch dekh to raha tha, lekin kuch na kar sakta tha. Kaash ke mujhe tahaffuz haasil hota, phir wo hanste-hanste ek doosre par girne lagey. Rasool Allah (ﷺ) sajde hi mein pade rahe, apna sar nahi uthaaya, ta-aa'nke Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aaee'n aur aap ki pusht par se usey utha kar phenk diya. Tab aap ne apna sar-e-mubarak uthaaya aur teen (3) martaba you'n bad-dua ki: “Yaa Allah Quraish se badla le”. Rasool Allah (ﷺ) ka you'n bad-dua karna un par bada giraa'n guzra, kyou'nke wo jaante the ke is shahr mein dua qubool hoti hai. Phir aap ne naam-ba-naam farmaya: “Yaa Allah! Abu Jahal se inteqaam le, Utbah bin Rabia, Shaiba bin Rabia, Waleed bin Utba, Umaiyya bin Khalaf, aur Uqba bin Abi Mu'ayt ki halaakat ko apne oopar laazim kar”. Saatwe'n shakhs ka bhi naam liya, lekin main wo bhool gaya. Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Qasam hai us zaat ki, jiske haath mein meri jaan hai! Maine un logo'n ko dekha, jinka naam Rasool Allah (ﷺ) ne liya tha, wo badr ke kooe'n mein mare pade the.
|
Baab 70: Kapde Mein Thook Aur Balgham Waghaira Lag Jaane Ka Bayaan Urwah ne Hazrat Miswar aur Marwan se naqal kiya hai, ke Nabi (ﷺ) Hudaibiya ke saal nikle. Uske baad unho'n ne hadees bayan ki. Us mein hai ke Nabi (ﷺ) ne jab thooka to logo'n mein se kisi na kisi ke haath par gira aur unho'n ne usey apne mu'n aur badan par mal liya. |
Narrated Anas: The Prophet (ﷺ) once spat in his clothes. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne ek martaba apne kapde mein thooka, Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Is hadees ko Ibne Mariyam ne tafseel ke saath bayan kiya. Unho'n ne kaha: Ham ne Yahya bin Ayyub se ba-waasta-e-Humaid suna, unho'n ne kaha: Maine Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se Nabi (ﷺ) ki yehi riwayat suni.
|
Baab 71: Nabeez Aur Nasha-aawar Cheezo'n Se Wuzoo Jaaez Nahi Imam Hasan aur Abul Aaliya ne aisee cheezo'n se wazoo karne ko makrooh khayaal kiya hai. Hazrat Ataa ne kaha: Mere nazdeek nabeez aur doodh se wazoo karne ke bajaae tayammum kar lena behtar hai. |
Narrated Aisha: The Prophet (ﷺ) said, "All drinks that produce intoxication are Haram (forbidden to drink). Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Har wo mashroob jo nasha aawar ho, haraam hai”
|
Baab 72: Aurat Ka Apne Baap Ke Chehre Se Khoon Dhona Abul Aaliya ne kaha: Mere paao'n par masah kar do, kyou'nke wo sehat-mand nahi hai. Narrated Abu Hazim: Sahl bin Sa'd As-Sa'idi, was asked by the people, "With what was the wound of the Prophet (ﷺ) treated? Sahl replied, "None remains among the people living who knows that better than I. 'Ali used to bring water in his shield and Fatima used to wash the blood off his face. Then straw mat was burnt and the wound was filled with it." Ravi Abu Hazim: Logo'n ne Hazrat Sahal bin Sa'ad Sa'adi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se sawaal kiya: Nabi (ﷺ) ke zakhm par kaunsi dawaa istemaal ki gai thi? Unho'n ne farmaya: Uske mutaalliq mujhse ziyaada jaanne waala koi shakhs nahi raha. Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apni dhal mein paani laate the, aur Syeda Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aapke chehra-e-mubarak se khoon dhoti thee'n. Phir ek boriya laaya gaya, aur usey jalaane ke baad uski raakh ko aapke zakhm mein bhar diya gaya.
|
Baab 73: Miswaak Karna Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Main ek raat Nabi (ﷺ) ke yahaa'n raha to aap ne miswaak ki. |
Narrated Abu Burda: My father said, "I came to the Prophet (ﷺ) and saw him carrying a Siwak in his hand and cleansing his teeth, saying, 'U' U'," as if he was retching while the Siwak was in his mouth." Ravi Abu Burda: Hazrat Abu Moosa Aha'ari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai,"Main ek dafa Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua, to aap apne haath-e-mubarak se miswaak kar rahe the. Miswaak aap ke mu'n mein thi, aur aap ea-ea (fi Ka) ki awaaz nikaal rahe the, goya aap qae kar rahe hain.
|
Narrated Hudhaifa: Whenever the Prophet (ﷺ) got up at night, he used to clean his mouth with Siwak. Ravi Hazrat huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool kareem (ﷺ) Jab raat ko uthte to apne muh ko miswak se saaf karte.
|
Baab 74: Bade Shakhs Ko Pehle Miswaak Dena Narrated Ibn 'Umar: The Prophet (ﷺ) said, "I dreamt that I was cleaning my teeth with a Siwak and two persons came to me. One of them was older than the other and I gave the Siwak to the younger. I was told that I should give it to the older and so I did." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Maine apne aapko khwaab mein miswaak karte dekha, phir mere paas do (2) shakhs aae, un mein ek Umar mein doosre se bada tha. Maine un mein se chote ko miswaak dedi, to mujhe hidaayat ki gai ke badey ka lihaaz karo, tab maine wo miswaak bade ko dedi”. Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain ke Naeem ne Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ba-riwayat Ibne Mubarak aan Usama a'an Naafe is hadees ko mukhtasar bayan ki hai.
|
Baab 75: Baa-wazoo Sone Ki Fazilat Narrated Al-Bara 'bin 'Azib: The Prophet (ﷺ) said to me, "Whenever you go to bed perform ablution like that for the prayer, lie on your right side and say, "Allahumma aslamtu wajhi ilaika, wa fauwadtu amri ilaika, wa alja'tu Zahri ilaika raghbatan wa rahbatan ilaika. La Malja' wa la manja minka illa ilaika. Allahumma amantu bikitabika-l-ladhi anzalta wa bina-biyika-l ladhi arsalta" (O Allah! I surrender to You and entrust all my affairs to You and depend upon You for Your Blessings both with hope and fear of You. There is no fleeing from You, and there is no place of protection and safety except with You O Allah! I believe in Your Book (the Qur'an) which You have revealed and in Your Prophet (Muhammad) whom You have sent). Then if you die on that very night, you will die with faith (i.e. or the religion of Islam). Let the aforesaid words be your last utterance (before sleep)." I repeated it before the Prophet (ﷺ) and when I reached, "Allahumma amantu bikitabika-l-ladhi anzalta (O Allah I believe in Your Book which You have revealed)." I said, "Wa-rasulika (and your Apostle)." The Prophet (ﷺ) said, "No, (but say): 'Wanabiyika-l-ladhi arsalta (Your Prophet whom You have sent), instead." Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne mujhse farmaya: “Jab tum apni khwaab-gaah mein jaao to pehle wazoo karo, phir apne daae'n pehlu par leit kar ye dua padho: "اللهم أسلمت وجهي إليك ، وفوضت أمري إليك ، وألجأت ظهري إليك ، رغبة ورهبة إليك ، لا ملجأ ولا منجا منك إلا إليك ، اللهم آمنت بكتابك الذي أنزلت ، وبنبيك الذي أرسلت” [Aye Allah! Tere sawaab ke shauq mein aur tere azaab se darte hue, maine khud ko tere supurd kar diya aur apna kaam tujhe so'np diya, nez tujhe apna pusht-panaah bana liya. Tujhse bhaag kar kahee'n panaah aur thikaana nahi, magar tere hi paas. Aye Allah! Main us kitaab par imaan laaya jo toone utaari aur tere us nabi par yaqeen kiya, jise toone bheja]. Abh agar tum us raat mein mar jaao, to fitrat-e-islaam par maroge, neez ye duaiya kalimaat sab baato'n se faarigh ho kar (bilkul sote waqt) padho”. Hazrat Baraa 5 kehte hain ke maine ye kalimaat aapke saamne dohraae. Jab main is jagah pohcha: “اللهم آمنت بكتابك الذي أنزلت” to uske baad maine “ورسولك” keh diya to aap ne farmaya: “Nahi, balke you'nkaho “ونبيك الذي أرسلت"
|
PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT