SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
3: Kitab-ul-Ilm — Ilm Aur Uske Mutaalligaat Ka Bayan
[Knowledge/كتاب العلم]
[59 To 134]
[59 To 134]
Baab 1: Ilm Ki Fazilat Irshad-e-Baari Ta'ala Hai: “Allah Ta'ala Tum Mein Se Un Logo'n Ko Darajaat Ke Etebaar Se Bulandi Ataa Farmaega, Jo Imaan Laae Aur Jinhe'n Ilm Diya Gaya, Aur Allah Ta'ala Tumhaare Amaal Se Poori Tarah Baa-khabar Hai”. [Surah al Mujaadila: 11] Uske alaawa farmaan-e-Ilaahi hai: “(Aap keh deejiye) Mere Rabb! Mere Ilm Mein Gaata Farm." [Surah Taaha: 114] |
Baab 2: Jis Shakhs Se Koi Ilmi Masla Dariyaaft Kiya Jaae Aur Wo Kisi Baat Mein Masroof Ho, To (usey chaahiye ke) Wo Apni Baat Poori Kare, Phir Jawaab De. |
Narrated Abu Huraira: While the Prophet (ﷺ) was saying something in a gathering, a Bedouin came and asked him, "When would the Hour (Doomsday) take place?" Allah's Apostle (ﷺ) continued his talk, so some people said that Allah's Apostle (ﷺ) had heard the question, but did not like what that Bedouin had asked. Some of them said that Alllah's Apostle (ﷺ) had not heard it. When the Prophet (ﷺ) finished his speech, he (ﷺ) said, "Where is the questioner, who enquired about the Hour (Doomsday)?" The Bedouin said, "I am here, O Allah's Apostle (ﷺ)." Then the Prophet (ﷺ) said, "When honesty is lost, then wait for the Hour (Doomsday)." The Bedouin said, "How will that be lost?" The Prophet (ﷺ) said, "When the power or authority comes in the hands of unfit persons, then wait for the Hour (Doomsday.)" Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek martaba Nabi (ﷺ) majlis mein logo'n se kuch bayan kar rahe the, ke ek dehaati Aapke paas aya aur kehne laga: “Qiyaamat kab aaegi?” Rasool Allah (ﷺ) (usey koi jawab diye baghair) apnie baato'n mein masroof rahe. (Haazireen mein se) kuch log kehne lagey: “Aap ne dehaati ki baat ko sun to liya, lekin usey pasand nahi farmaya”. Aur baaz kehne lagey: “Aisa nahi hai, balke, aapne sunaa hi nahi”. Jab Aap apni guftagu khatam kar chuke to farmaya: “Qiyaamat ke mutaalliq poochne waala kaha'n hai?” Dehaati ne kaha: “Haa'n Yaa Rasool Allah (ﷺ) Main haazir hoo'n”. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ja amaanat zaae kardi jaae, to qiyaamat ka intezaar karo”. Usne dariyaaft kiya: “Apnaaat kis tarah zaae hogi?” Aapne farmaya: “Jab (zimmedaari ke) kaam naa-ahl logo'n ke supurd kar diye jaae'n to qiyaamat ka intezaar karna."
|
Baab 3: Ilmi Baate'n Ba-awaaz-e-Buland Kehna Narrated 'Abdullah bin 'Amr: Once the Prophet (ﷺ) remained behind us in a journey. He joined us while we were performing ablution for the prayer which was over-due. We were just passing wet hands over our feet (and not washing them properly) so the Prophet addressed us in a loud voice and said twice or thrice: "Save your heels from the fire." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): “Ek safar mein Nabi (ﷺ) ham se peeche reh gae the, phir Aap hame'n is haalat mein mile ke ham se namaz mein der ho gai thi, aur ham (jaldi-jaldi) wazoo kar rahe the. Ham apne paao'n (khoob dhone ki bajaae un) par masah ki tarah tar haath pherne lagey, ye dekh kar Aap ne ba-awaaz-e-buland do (2) yaa teen (3) martaba farmaya: Dozakh mein jaane waali ediyo'n par afsos!".
|
Baab 4: Mohaddis Ka Haddasna, Akhbarna Aur Anbanaa Jaise Alfaz Istemal Karna Hamein Imam Humaidi ne bataaya ke Mohaddis Ibne Uyaynah ke nazdeek Haddasna (حَدَّثَنَا), Akhbarna (أَخْبَرَنَا), Anbanaa (أَنْبَأَنَا) aur Sametu (سمعت) baraabar haisiyat rakhte hain. Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “Rasool Allah (ﷺ) ne hame'n hadees bayan farmaai, aur Aap saadiq-o-masdooq hain”. Hazrat Shaqeeq ne Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat kiya, ke “Maine Nabi (ﷺ) se ek baat suni”. Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: “Rasool Allah (ﷺ) ne ham se do (2) hadeese'n bayan farmaee'n”. Hazrat Abul Aaliya ne riwayat kiya, Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se, unho'n ne Nabi (ﷺ) se aur Aap ne apne buzurg-o-bartar parwardigaar se bayan kiya. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se riwayat ki, unho'n ne apne Rabb se bayan farmaya. Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se riwayat kiya, aur kaha: “Rasool Allah (ﷺ) isey tumhare Rabb Azzo Wajal se bayan karte hain”. Narrated Ibn 'Umar: Allah's Apostle (ﷺ) said, "Amongst the trees, there is a tree, the leaves of which do not fall and is like a Muslim. Tell me the name of that tree." Everybody started thinking about the trees of the desert areas. And I thought of the date-palm tree but felt shy to answer the others then asked, "What is that tree, O Allah's Apostle (ﷺ)?" He (ﷺ) replied, "It is the date-palm tree." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Darakhto'n mein ek aisa darakht bhi hai, jo kabhi pat-jhad nahi hota, aur musalman ko usse tashbeeh di jaa sakti hai, bataao wo kaunsa darakht hai?” Ye sun kar Sahaba Ikraam ke khayalaat jungle ke darakhto'n ki taraf gae. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ), kehte hain: “Mere dil mein khayaal aaya ke wo khajoor ka darakht hai, magar main (kehte hue) sharma gaya”. Phir Sahaaba Ikraam ne arz kiya: “Yaa Rasool Allah! Aap farmae'n wo kaunsa darakht hai?” Aap ne farmaya: “Wo khajoor ka darakht hai”
|
Baab 5: Ilm-o-Salaahiyat Ka Jaaeza Lene Ke Liye Ustaad Ka Shaagirdo'n Ke Saamne Koi Masla Pesh Karna Narrated Ibn 'Umar: The Prophet (ﷺ) said, "Amongst the trees, there is a tree, the leaves of which do not fall and is like a Muslim. Tell me the name of that tree." Everybody started thinking about the trees of the desert areas. And I thought of the date-palm tree. The others then asked, "Please inform us what is that tree, O Allah's Apostle (ﷺ)?" He replied, "It is the date-palm tree." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Darakhto'n mein ek darakht aisa hai, jiske patte nahi jhadte, aur wo musalman ke mushaaba hai. Mujhe batlaao wo kaunsa darakht hai?” Is par logo'n ne sehraai darakhto'n ka khayaal kiya. Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: “Mere dil mein aaya ke wo khajoor ka darakht hai (lekin buzurgo'n ki maujoodgi mein bataane mein mujhe sharm aai)”. Aakhir Sahaba Ikraam (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “Allah ke Rasool! Aap hi bataa deejiye wo kaunsa darakht hai?” Aap ne farmaya: “Wo khajoor ka darakht hai”
|
Baab 6: Tareeqa-e-Taaleem Ka Bayan Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Aap keh deejiye! Mere Rabb! Mere Ilm Mein Izaafa Forma" [Surah Taha: 114] Malhooza: Saheeh Bukhari ke baaz nuskho'n mein "Baab Maaja Fil Ilm" ka baab nahi hai, aur baaz mein zail ka baab nahi hai, balke usko lafz baab ke baghair pehle baab ke saath hi bayan kiya gaya hai. Hamaare nuskhe mein is par bhi baab ka lafz hai. Ziyaada saheeh baat yehi maloom hoti hai, ke ye do (2) nahi, ek hi baab hai aur wo bhi pehla. Uski taaeed isse bhi hoti hai, ke zail ke baab par number nahi hai. Wallahu Alam |
Baab: Shaagird Ka Ustad Ke Saamne Padhna Aur Pesh Karna Narrated Anas bin Malik: While we were sitting with the Prophet (ﷺ) in the mosque, a man came riding on a camel. He made his camel kneel down in the mosque, tied its foreleg and then said: "Who amongst you is Muhammad?" At that time the Prophet (ﷺ) was sitting amongst us (his companions) leaning on his arm. We replied, "This white man reclining on his arm." The an then addressed him, "O Son of 'Abdul Muttalib." The Prophet (ﷺ) said, "I am here to answer your questions." The man said to the Prophet (ﷺ), "I want to ask you something and will be hard in questioning. So do not get angry." The Prophet (ﷺ) said, "Ask whatever you want." The man said, "I ask you by your Lord, and the Lord of those who were before you, has Allah sent you as an Apostle to all the mankind?" The Prophet (ﷺ) replied, "By Allah, yes." The man further said, "I ask you by Allah. Has Allah ordered you to offer five prayers in a day and night (24 hours)? He (ﷺ) replied, "By Allah, Yes." The man further said, "I ask you by Allah! Has Allah ordered you to observe fasts during this month of the year (i.e. Ramadan)?" He (ﷺ) replied, "By Allah, Yes." The man further said, "I ask you by Allah. Has Allah ordered you to take Zakat (obligatory charity) from our rich people and distribute it amongst our poor people?" The Prophet (ﷺ) replied, "By Allah, yes." Thereupon that man said, "I have believed in all that with which you have been sent, and I have been sent by my people as a messenger, and I am Dimam bin Tha'laba from the brothers of Bani Sa'd bin Bakr." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek martaba ham masjid mein Nabi (ﷺ) ke saath baithe the ke- ek oont sawaar aaya, aur apne oont ko masjid mein bithaa kar baandh diya, phir poochne laga: “Tum mein Muhammad (ﷺ) kaun hain?” Nabi (ﷺ) us waqt Sahaaba (رضي الله عنهم) mein takiya lagaae baithe the, ham ne kaha: “Ye safed rang waale, takiya lagaae baithe hain”. Wo aapse kehne laga: “Aye farzand-e-Abdul Muttalib!”. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “(Pooch) main tujhe jawaab deta hoo'n”. Usne Nabi (ﷺ) se kaha: “Main aapse kuch dariyaaft karne waala hoo'n, aur us mein sakhti karu'nga, aap dil mein mujh par naaraaz naa ho'n”. Aap ne farmaya: “(koi baat nahi) jo chaahe pooch!”. Usne poocha: “Main aapko aapke parwardigaar aur aap se pehle logo'n ke maalik ki qasam de kar poochta hoo'n, kya Allah Ta'ala ne aapko tamaam insaano ki taraf maboos kiya hai?” Aap ne farmaya: "Hoon, Allah gawaah hai”. Phir usne poocha: “Main aapko Allah ki qasam deta hoor'n, kya Allah Ta'ala ne aapko din raat mein 5 namaze'n padhne ka hukum diya hai?” Aap ne farmaya: “Haa'n, Allah shaahid hai”. Phir usne kaha: “Main aapko Allah ki qasam deta hoo'n, kya Allah Ta'ala ne saal bhar mein ramzan ke roze rakhne ka hukum diya hai?” Aap ne farmaya: “Haa'n, Allah gawaah hai”. Phir kehne laga: “Main aapko qasam deta hoo'n, kya Allah Ta'ala ne aapko hukum diya hai ke aap hamaare umaraa se sadqa le kar hamaare fuqaraa par tagseem kare'n?” Aap ne farmaya: "Hoon, Allah gawaah hai”. Iske baad wo shakhs kehne laga: “Main us (shariyat) par imaan laata hoo'n jo aap laae hain, main apni qaum ka numaainda ban kar haazir-e-khidmat hua hoo'n. Mera naam Zimaam bin Tha'alaba hai, aur Qabila-e-Saad bin Bakar se taalluq rakhta hoo'n”. Is hadees ko Moosa aur Ali bin Abdul Hameed ne bhi Sulaiman aur Saabit ke waaste se Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ). se marfooan bayan kiya hai.
|
Baab 7: Manawalah Ka Bayaan, Nez Ahle Ilm Ka Ilmi Baate'n Likh Kar Deegar Shehro'n Mein Bhejne Ka Zikr Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne musaahaf ki kitaabat karaai aur unhe'n chaaro'n taraf bhej diya. Hazrat Abdullah bin Umar, Yahya bin Saeed aur Imam Maalik ke nazdeek ye makaataba jaaez hai. Baaz ahle hijaaz ne manawalah ke jawaaz par Nabi 2 ki ek hadees se istedlaal kiya hai, jabke aap ne ameer-e-Lashkar ko ek maktoob diya aur taakeed farmaai ke falaa'n muqaam tak pohonchne se qabl tum ne usey padhna nahi, jab wo us mugaam par pohonch gae to unho'n ne wo maktoob logo'n ko padh kar sunaaya aur unhe'n aapke hukum ki ittela di. Once Allah's Apostle (ﷺ) gave a letter to a person and ordered him to go and deliver it to the Governor of Bahrain. (He did so) and the Governor of Bahrain sent it to Chousroes, who read that letter and then tore it to pieces. (The sub-narrator (Ibn Shihab) thinks that Ibn Al-Musaiyab said that Allah's Apostle (ﷺ) invoked Allah against them (saying), "May Allah tear them into pieces, and disperse them all totally.)" Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne apna khat ek shakhs ke hamraah bheja aur usse farmaya: “Ye khat Bahrain ke governer ko poh'ncha de”. Phir haakim-e-bahrain ne usko kisra tak poh'ncha diya. Kisra ne usey padhkar chaak kar diya. Raawi (ibne Shihaab) ne kaha: Mera khayaal hai ke ibne musaiyyib ne kaha: “(is waaqea ko sun kar) Rasool Allah (ﷺ) ne unke liye bad-dua ki, ke wo har tarah reza-reza kar diye jaae'n”.
|
Baab 7: Manawalah Ka Bayaan, Nez Ahle Ilm Ka Ilmi Baate'n Likh Kar Deegar Shehro'n Mein Bhejne Ka Zikr Once the Prophet wrote a letter or had an idea of writing a letter. The Prophet was told that they (rulers) would not read letters unless they were sealed. So the Prophet got a silver ring made with "Muhammad Allah's Apostle (ﷺ)" engraved on it. As if I were just observing its white glitter in the hand of the Prophet (ﷺ). Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne ek khat likha, yaa likhne ka iraada farmaya, to aap se kaha gaya: “Wo log baghair mohr lagaa khat nahi padhte”. Tab aap ne chaandi ki ek anghoti banwaai, jis par “Muhammad Rasool Allah” ke alfaaz kunda the. Hazrat Anas 4 ka bayan hai ke (uski khoobsurati meri nazar mein khab gai) gooya ab bhi aapke haath mein uski safedi ko dekh raha hoo'n. (Shu'ba kehte hain) Maine Qatada se poocha: “Us par “Muhammad Rasool Allah” ke alfaaz kunda the, Ye alfaaz kiske bayan karda hain?” Unho'n ne kaha: “Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke."
|
Baab 8: Ilmi Majaalis Mein Jo Shakhs Majlis Ke Aakhir Hi Mein Baith Gaya Aur Jisne Halqe Ke Andar Jagah Dekhi Aur Wahaa'n Jaakar Baitha Narrated Abu Waqid Al-Laithi: While Allah's Apostle (ﷺ) was sitting in the mosque with some people, three men came. Two of them came in front of Allah's Apostle (ﷺ) and the third one went away. The two persons kept on standing before Allah's Apostle (ﷺ) for a while and then one of them found a place in the circle and sat there while the other sat behind the gathering, and the third one went away. When Allah's Apostle (ﷺ) finished his preaching, he said, "Shall I tell you about these three persons? 1. One of them be-took himself to Allah, so Allah took him into His grace and mercy and accommodated him, 2. The second felt shy from Allah, so Allah sheltered Him in His mercy (and did not punish him), 3. While the third turned his face from Allah and went away, so Allah turned His face from him likewise. " Ravi Hazrat Abu Waagjid al Laithi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek martaba Rasool Allah (ﷺ) masjid mein logo'n ke hamraah baithe hue the, itne mein teen (3) aadmi aae. Un mein se do (2) to Rasool Allah (ﷺ) ke paas aagae, aur ek waapas chala gaya. Raawi ne kaha ke wo dono kuch der Rasool Allah (ﷺ) ke paas thehre rahe, un mein se ek ne halqe mein gunjaaesh dekhi to baith gaya aur doosra sab se peeche baith gaya, teesra to waapas hi jaa chuka tha. Jab Rasool Allah (ﷺ) (wa'az se) faarigh hue to farmaya: “Kya main tumhe'n un teeno aadmiyo'n ka haal naa bataaou'n? 1. Un mein se ek ne Allah ki taraf panaah li, to Allah ne bhi usey apni taraf jagah dedi, 2. Doosra sharmaya to Allah ne bhi usse sharm ki aur 3. Teesre ne roo-gardaani ki, to Allah Ta'ala ne bhi usse eraaz farmaya”
|
Baab 9: Irshad-e-Nabai : “Basa Augaat Wo Shakhs, Jise Hadees Pohchaai Jaae, Wo Sunne Waale Se Ziyaada Yaad Rakhne Waala Hota Hai” Ka Bayan Narrated 'Abdur Rahman bin Abi Bakra's father: Once the Prophet (ﷺ) was riding his camel and a man was holding its rein. The Prophet (ﷺ) asked, "What is the day today?" We kept quiet, thinking that he might give that day another name. He (ﷺ) said, "Isn't it the day of Nahr (slaughtering of the animals of sacrifice)" We replied, "Yes." He (ﷺ) further asked, "Which month is this?" We again kept quiet, thinking that he might give it another name. Then he (ﷺ) said, "Isn't it the month of Dhul-Hijja?" We replied, "Yes." He (ﷺ) said, "Verily! Your blood, property and honor are sacred to one another (i.e. Muslims) like the sanctity of this day of yours, in this month of yours and in this city of yours. It is incumbent upon those who are present to inform those who are absent because those who are absent might comprehend (what I have said) better than the present audience." Ravi Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dafa Nabi (ﷺ) apne oont par baithe hue the, aur ek shakhs uski nakeel yaa baag thaame hue tha, aap ne farmaya: “Ye kaunsa din hai?” Ham log is khayaal se khamosh rahe, ke shayad aap uske asal naam ke alaawa koi aur naam bataae'nge. Aap ne farmaya: “Ye qurbaani ka din nahi?” Ham ne arz kiya: “Kyou'n nahi”. Phir Aap ne farmaya: “Ye kaun sa mahina hai?” Phir ham is khayaal se chup rahe ke shayad aap uska koi aur naam rakhe'nge. Aap ne farmaya: “Kya ye maah dhul-hajja nahi?” Ham ne kaha: “Kyou'n nahi”. Tab aapne farmaya: “Tumhare khoon, tumhare maal, aur tumhari aabrooe'n ek doosre par isi tarah haraam hain, jaisa ke tumhare yahaa'n is shahr, aur is mahine mein, is din ki hurmat hai. Chaahiye ke jo yahaa'n haazir hai, wo ghayab ko ye khabar poh'ncha de, is liye ke shayad haazir aise shakhs ko khabar karde jo is baat ko usse ziyaada yaad rakhe”
|
Baab 10: Ilm Ka Martaba Guftaar-o-Kirdaar Se Pehle Hai Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Aap Jaan Len Ke Allah Ke Siwa Koi Maabood-e-Haqeeqi Nahi (aur apne gunaaho'n se istighfaar kare'n).” [Surah Muhammad: 19] Allah Ta'ala ne ilm se ibteda ki hai aur ulama hazraat Ambiya (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke waaris hain. Un abmiya ne wiraasat mein ilm choda hai. Jis ne us ilm ko haasil kiya, usne ambiya ki meeraas ka waafir hissa haasil kar liya aur jo shakhs husool-e-ilm ke liye kisi raaste par gaamzan hoga, Allah Ta'ala uske liye Jannat ka raasta asaan farma de ga. Nez irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Allah Ta'ala Se Uske Bando'n Mein Se Sirf Ulama Hi Darte Hain” [Surah Faatir: 28] Nez farmaya: “Quran Ki Bayan Karda Misaalo'n Ko Sirf Ulama Hi Samajhte Hain” . [Surah Ankaboot: 43] Ahle jahannum kahe'nge: “Agar Ham Sunte Yaa Aqgal Rakhte To Dozakh Waalo'n Mein Naa Hote”. [Surah Mulk: 10] Nez farmaya: “Kya Jaahil Aur Aalim Baraabar Ho Sakte Hain?” [Surah Zumar: 9] Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ke saath Allah Ta'ala bhalaai ka iraada farmata hai, usey deent muaamalaat mein baseerat ataa kar deta hai”. Aur “Illm to seekhne hi se aata hai”. Hazrat Abu Zar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apni guddi ki taraf ishaara karte hue farmaya: “Agar tum shamsheer baraa'n meri garden par rakh d aur mujhe gumaan ho ke main garden alag hone se pehle pehle apni zubaan se koi aisa kalma bayan kar sakoo'nga, jise maine Nabi (ﷺ) se suna hai, to main zaroor us kalme ko adaa karoo'nga”. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne “(كُونُوا رَبَّانِيِّينَ)" ki tafseer mein irshad farmaya: “Daanishwar, ahle ilm aur fuqaha ban jaao. Aur ye bhi kaha jaata hai ke Rabbani wo hai, jo bade masaael se qabl chote chote masaael se logo'n ki tarbiyyat kare”. [ Surah aale Imran: 79 ] |
Baab 11: Nabi (ﷺ) Wa'az-o-Taaleem Mein (mauga-o-mahal ka) Khayaal Rakhte Taake Log Mutanaffir Naa Ho Jaae'n The Prophet (ﷺ) used to take care of us in preaching by selecting a suitable time, so that we might not get bored. (He abstained from pestering us with sermons and knowledge all the time). Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): “Nabi (ﷺ) hamaare ukta jaane ke andeshe se hame'n wa'az-o-naseehat karne ke liye waqt aur mauga-o-mahel ka khayaal rakhte the”
|
Baab 11: Nabi (ﷺ) Wa'az-o-Taaleem Mein (mauga-o-mahal ka) Khayaal Rakhte Taake Log Mutanaffir Naa Ho Jaae'n The Prophet (ﷺ) said, "Facilitate things to people (concerning religious matters), and do not make it hard for them and give them good tidings and do not make them run away (from Islam)." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “(deen mein) aasaani karo, sakhti naa karo, aur logo'n ko khush-khabri sunaao, unhe'n (dara-dara kar) mutanaffir naa karo”
|
Baab 12: Ahle Ilm Ke Liye Taaleemi Augaat Ki Ta'aiyyin Karna Narrated Abu Wail: 'Abdullah used to give a religious talk to the people on every Thursday. Once a man said, "O Aba 'Abdur-Rahman! (By Allah) I wish if you could preach us daily." He replied, "The only thing which prevents me from doing so, is that I hate to bore you, and no doubt I take care of you in preaching by selecting a suitable time just as the Prophet (ﷺ) used to do with us, for fear of making us bored." Ravi Hazrat Abu Waael: Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) har jumeraat logo'n ko wa'az kiya karte the. Ek shakhs ne unse arz kiya: “Aye Abu Abdur Rahman! Main chahta hoo'n, ke aap hame'n rozaana wa'az- o-naseehat farmaya karein". Aap ne farmaya: “Mujhe us kaam se ye cheez maane hai ke main tumhe'n uktaahat mein nahi daalna chahta aur main pand-o-naseehat mein tumhare jazbaat ka khayaal rakhta hoo'n, jis tarah Nabi (ﷺ) wa'az karte waqt hamaare jazbaat ka khayaal rakhte the, taake ham ukta na jaae."
|
Baab 13: Jiske Saath Allah Bhalaai Chahta Hai, Usey Deen Ki Samajh Ataa Farma Deta Hai I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "If Allah wants to do good to a person, He makes him comprehend the religion. I am just a distributor, but the grant is from Allah. (And remember) that this nation (true Muslims) will keep on following Allah's teachings strictly and they will not be harmed by any one going on a different path till Allah's order (Day of Judgment) is established." Ravi Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unho'n ne dauran-e-khutba mein kaha: Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Allah Ta'ala jiske saath bhalaai chahta hai usey deen ki samajh inaayat kar deta hai, aur main to sirf taqgseem karne waala hoo'n aur dene waala tu Allah hi hai aur (islam ki) ye jamaat hamesha Allah ke hukum par qaaem rahegi, jo unka mukhaalif hoga, unhe'n nugsaan nahi pohcha sakega, yahaa'n tak ke Allah ka hukum yaane qiyaamat aajaae”
|
Baab 14: Ilm Mein Faham-o-Baseerat Ka Bayaan Narrated Ibn 'Umar: We were with the Prophet (ﷺ) and a spadix of date-palm tree was brought to him. On that he said,"Amongst the trees, there is a tree which resembles a Muslim." I wanted to say that it was the datepalm tree but as I was the youngest of all (of them) I kept quiet. And then the Prophet (ﷺ) said, "It is the date-palm tree." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Mujaahid kehte hain: Main Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke saath madina tak raha, lekin maine unhe'n ek hadees ke siwaa aur koi cheez Rasool Allah (ﷺ) se bayan karte hue nahi suna. Unho'n ne kaha: Ham Nabi (ﷺ) ke paas baithe the ke aap ki khidmat mein khajoor ka gooda laaya gaya. Aapne farmaya: “Darakhto'n mein ek aisa darakht hai jiski misaal musalman ki tarah hai”. Maine iraada kiya ke bataau'n wo khajoor hai, lekin main logo'n mein sabse chota tha, is liye khamosh raha. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Wo khajoor ka darakht hai”.
|
Baab 15: Ilm-o-Hikmat Mein Rashk Karna Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: “Sardar banne se pehle ilm haasil karo”. Abu Abdullah (Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain: “Sardar bonne ke baad bhi ilm haasil karo, kyou'nke Rasool Allah (ﷺ) ke Sahaaba Ikraam (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne badi umr mein bhi ilm haasil kiya”. The Prophet (ﷺ) said, "Do not wish to be like anyone except in two cases: 1. A person, whom Allah has given wealth and he spends it righteously; 2. The one whom Allah has given wisdom (the Holy Qur'an) and he acts according to it and teaches it to others." (Fateh-al-Bari page 177 Vol. 1) Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Rashk jaaez nahi, magar do (2) (aadmiyo'n ki) khaslato'n par: 1. Us shakhs (ki aadat) par, jise Allah Ta'ala ne maal diya ho aur wo usey raah- e-haq mein kharch karta ho. 2. Us shakhs (ki aadat) par, jise Allah ne (Quran-o-Hadees ka) Ilm de rakha ho, aur wo uske mutaabiq faisle karta ho, aur logo'n ko uski taleem deta ho”
|
Baab 16: Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Ka Dariya Mein Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Ke Paas Jaane Ka Bayaan Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “(Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne usse kaha:) Kya (Is shart par) Main Tera Itteba Kar Sakta Hoo'n, Ke Tu Mujhe Us Mein Se Sikhaae Jo Tujhe Bhalaai Sikhaai Gai Hai." [Surah Kahaf: 66 ] Narrated Ibn 'Abbas: That he differed with Hur bin Qais bin Hisn Al-Fazari regarding the companion of (the Prophet) Moses. Ibn 'Abbas said that he was Khadir. Meanwhile, Ubai bin Ka'b passed by them and Ibn 'Abbas called him, saying "My friend (Hur) and I have differed regarding Moses' companion whom Moses, asked the way to meet. Have you heard the Prophet mentioning something about him? He said, "Yes. I heard Allah's Apostle saying, "While Moses was sitting in the company of some Israelites, a man came and asked him. "Do you know anyone who is more learned than you? Moses replied: "No." So Allah sent the Divine Inspiration to Moses: 'Yes, Our slave Khadir (is more learned than you.)' Moses asked (Allah) how to meet him (Khadir). So Allah made the fish as a sign for him and he was told that when the fish was lost, he should return (to the place where he had lost it) and there he would meet him (Al-Khadir). So Moses went on looking for the sign of the fish in the sea. The servant-boy of Moses said to him: Do you remember when we betook ourselves to the rock, I indeed forgot the fish, none but Satan made me forget to remember it. On that Moses said: 'That is what we have been seeking? (18.64) So they went back retracing their foot-steps, and found Khadir. (And) what happened further to them is narrated in the Holy Qur'an by Allah. (18.54 up to 18.82) Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke unka aur Hazrat Hur bin Qais bin Hasan al Fazaari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke saathi ke mutaalliq ikhtelaaf ho gaya. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wo Saathi Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain. Isi asna mein Hazrat Ubai bin Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka unke paas se guzar hua, to Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne unhe'n bulaya, aur kaha ke mera aur mere is saathi ka Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke us ham-nasheen ke mutaallig baahami ikhtelaaf ho gaya hai, jiski mulagaat ke liye Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne raasta dariyaaft kiya tha. Kya aapne Nabi (ﷺ) se uske mutaalliq kuch suna hai? Unho'n ne kaha: Haan, maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmaate hue suna hai: “Ek din Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Bani Israel ki ek jamaat mein tashreef farma the, itne mein ek aadmi aaya, aur aapse dariyaaft kiya ke aap kisi shakhs ko apne se ziyaada aalim jaante hain? Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne faramaya: Nahi. Us par Allah Ta'ala ne Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) par wahee naazil farmaai: Kyou'n Nahi! Hamaara banda Khizar (tumse ziyaada daana hai). Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne Allah Ta'ala se arz ki: Usse milne ki kya soorat hai? Allah Ta'ala ne ek machli ko unse mulaqaat ki alaamat qaraar diya, aur unse keh diya ke jab tum machli ko gumm paao, to fauran waapas laut padna, kyou'nke waha'n qareeb hi tumhari usse mulaqgaat hogi. Uske baad Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) chale aur dariya mein machli ki alaamat talaash karte rahe. Phir (ek muqaam par) Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se unke khaadim ne kaha ke aapne dekha ke jab ham patthar ke paas baithe the, to main (wahee'n) machli ko bhool gaya aur shaitan hi ne mujhe uska zikr bhulaaya. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne farmaya: Yehi to wo cheez thi, jiske ham mutalaashi the, chunache wo dono apne nagsh-haae-qadam talaash karte hue un par waapas hue, to Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se mulagaat ho gai. Phir un dono ka wohi qissa hai, jo Allah Azzawajal ne apni kitab mein bayan farmaya hai”.
|
Baab 17: Dua-e-Nabawi: “Aye Allah! Isey Quran Ka Ilm De”. Narrated Ibn 'Abbas: Once the Prophet (ﷺ) embraced me and said, "O Allah! Bestow on him the knowledge of the Book (Qur'an)." Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek martaba Rasool Allah (ﷺ) ne apne seene se lagaaya aur dua di, “Aye Allah! Isey apni kitaab ka ilm ataa farma”
|
Baab 18: Naa-baaligh Ladke Ka Kis Umar Mein Samaa'-e-Hadees Durust Hai? Narrated Ibn 'Abbas: Once I came riding a she-ass and had (just) attained the age of puberty. Allah's Apostle (ﷺ) was offering the prayer at Mina. There was no wall in front of him and I passed in front of some of the row while they were offering their prayers. There I let the she-ass loose to graze and entered the row, and nobody objected to it. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unho'n ne farmaya: Main ek din gadhi par sawaar ho kar aaya, us waqt main qareeb-ul-buloogh tha. Aur Rasool Allah (ﷺ) Mina mein kisi deewaar ko saamne kiye baghair namaz padh rahe the. Main ek saff ke aage se guzra aur gadhi ko charne ke liye chodh diya, aur khud shaff mein shaamil ho gaya, mujh par kisi ne eteraaz nahi kiya.
|
Baab 18: Naa-baaligh Ladke Ka Kis Umar Mein Samaa'-e-Hadees Durust Hai? When I was a boy of five, I remember, the Prophet (ﷺ) took water from a bucket (used far getting water out of a well) with his mouth and threw it on my face. Ravi Hazrat Mahmood bin Rabee (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unho'n ne farmaya: Mujhe (ab tak) Nabi (ﷺ) ki ek kulli yaad hai,jo aapne ek dol se paani le kar mere chehre par ki thi, us waqt main 5 baras ka tha.
|
Baab 19: Husool-e-Ilm Ke Liye Safar Karna Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek hadees ke liye Hazrat Abdullah bin Unais (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki taraf ek (1) maah ki masaafat ka safar kiya. Narrated Ibn 'Abbas: That he differed with Hur bin Qais bin Hisn Al-Fazari regarding the companion of the Prophet Moses. Meanwhile, Ubai bin Ka'b passed by them and Ibn 'Abbas called him saying, "My friend (Hur) and I have differed regarding Moses' companion whom Moses asked the way to meet. Have you heard Allah's Apostle mentioning something about him? Ubai bin Ka'b said: "Yes, I heard the Prophet mentioning something about him (saying) while Moses was sitting in the company of some Israelites, a man came and asked him: "Do you know anyone who is more learned than you? Moses replied: "No." So Allah sent the Divine Inspiration to Moses: '--Yes, Our slave Khadir is more learned than you. Moses asked Allah how to meet him (Al-Khadir). So Allah made the fish a sign for him and he was told when the fish was lost, he should return (to the place where he had lost it) and there he would meet him (Al-Khadir). So Moses went on looking for the sign of the fish in the sea. The servant-boy of Moses said: 'Do you remember when we betook ourselves to the rock, I indeed forgot the fish, none but Satan made me forget to remember it. On that Moses said, 'That is what we have been seeking.' So they went back retracing their footsteps, and found Kha,dir. (and) what happened further about them is narrated in the Holy Qur'an by Allah." (18.54 up to 18.82) Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke unka aur Hazrat Hurr bin Qais bin Hasan Fazaazi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke ham-nasheen ke mutaalliq ikhtelaaf ho gaya. Daree'n-asna unke paas se Hazrat Ubai bin Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) guzre. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne unhe'n bulaa liya, aur farmaya ke mera aur mere is saathi ka Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke ham-nasheen ke mutaalliq ikhtelaaf ho gaya hai. Jinse mulaqaat ke liye Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne raasta poocha tha. Kya aapne Rasool Allah (ﷺ) se unke halaat ke mutaalliq kuch suna hai? Hazrat Ubai bin Kaab d ne farmaya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Haan, maine Nabi (ﷺ) ko unke halaat bayan karte hue suna hai. Aap farmate the: Ek martaba Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Bani Israel ki ek jamat mein the. Achaanak ek aadmi aaya aur kehne laga: Kya aap kisi ko apne se ziyaada aalim jaante hain? Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne farmaya: Nahi. Tab Allah Ta'ala ne Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) par wahee naazil farmaai: Kyou'n nahi! Hamaara banda Khizar (aapse ziyaada aalim hai). Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne Allah se unki mulagaat ka raasta poocha. Allah Ta'ala ne machli ko unke liye nishaan muqarrar kar diya, aur unse keh diya gaya ke jab tum machli ko gumm paao to waapas laut aana, qareeb hi kahee'n tumhaari usse mulagaat ho jaaegi. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) dariya mein machli ki alaamat talaash karte rahe. Tab Hazrat musa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke khaadim ne unse arz ki: Kya aapne dekha tha jab ham patthar ke paas thehre the, to main (wahee'n) machli bhool gaya aur mujhe shaitan hi ne bataane se ghaafil kar diya. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne farmaya: Yehi to wo cheez thi, jiske ham mutalaashi the. Chunache wo dono apne nagsh-haae-qadam talaash karte hue un par waapas hue to wahaa'n Hazrat Khizar se mulaqaat ho gai. Phir aagey unka qissa wohi hai, jo Allah Ta'ala ne apni kitab mein bayan farmaya hai.
|
Baab 20: Ilm Seekhne Aur Sikhaane Waale Ki Fazilat Narrated Abu Musa: The Prophet (ﷺ) said, "The example of guidance and knowledge with which Allah has sent me is like abundant rain falling on the earth, some of which was fertile soil that absorbed rain water and brought forth vegetation and grass in abundance. (And) another portion of it was hard and held the rain water and Allah benefited the people with it and they utilized it for drinking, making their animals drink from it and for irrigation of the land for cultivation. (And) a portion of it was barren which could neither hold the water nor bring forth vegetation (then that land gave no benefits). The first is the example of the person who comprehends Allah's religion and gets benefit (from the knowledge) which Allah has revealed through me (the Prophets and learns and then teaches others. The last example is that of a person who does not care for it and does not take Allah's guidance revealed through me (He is like that barren land.)" Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala ne jo hidaayat-o-ilm mujhe de kar bheja hai, uski misaal tez bearish ki si hai, jo zameen par barse. Saaf aur umdah zameen to paani ko jazb kar leti hai aur bohot saa ghaas aur sabza ugaati hai. Jabke sakht zameen paani ko rokti hai. Phir Allah Ta'ala usse logo'n ko faaeda pohchaata hai. Log khud bhi peete hain, aur jaanwaro'n ko bhi saeraab karte hain, aur uske zariye se kehti-baadi bhi karte hain. Aur kuch bearish aise hisse par barsi jo saaf aur chatiyal maidaan tha. Wo naa to paani ko rokta hai, aur naa sabza hi ugaata hai. Pas yehi misaal us shakhs ki hai, jisne Allah ke deen mein samajh haasil ki, aur jo taalimaat de kar Allah Ta'ala ne mujhe maboos kiya hai, unse usey faaeda hua, yaane usne unhe'n khud seekha aur doosro'n ko sikhaaya. Aur yehi us shakhs ki misaal hai isne sar tak naa uthaay aur Allah ki hidayat ko, jo main de kar bheja gaya hoo'n, qubool naa kiya”.
|
Baab 21: Ilm Ka Uth Jaana Aur Jahaalat Ka Aam Ho Jaana Rabia Raae ka irshad hai, ke kisi aise shakhs ke liye jiske paas ilm ka kuch bhi hissa hai, ye durust nahi ke wo apne aapko zaae karde. Narrated Anas: Allah's Apostle (ﷺ) said, "From among the portents of the Hour are (the following): 1. Religious knowledge will be taken away (by the death of Religious learned men). 2. (Religious) ignorance will prevail. 3. Drinking Alcoholic drinks (will be very common). 4. There will be a prevalence of open illegal sexual intercourse." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ye qiyaamat ki alaamato'n mein se hai, ke 1. Ilm uth jaaega 2. Jahaalat phail jaaegi 3. Sharaab ba-kasrat nosh ki jaaegi, aur 4. Zinakaari aam ho jaaegi."
|
Baab 21: Ilm Ka Uth Jaana Aur Jahaalat Ka Aam Ho Jaana Narrated Anas: I will narrate to you a Hadith and none other than I will tell you about after it. I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying: From among the portents of the Hour are (the following): 1. Religious knowledge will decrease (by the death of religious learned men). 2. Religious ignorance will prevail. 3. There will be prevalence of open illegal sexual intercourse. 4. Women will increase in number and men will decrease in number so much so that fifty (50) women will be looked after by one man. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Rasool Allah (ﷺ) ko farmate hue suna, “Qiyaamat ki nishaniyo'n mein se hai ke: 1. Ilm- e-deen kam ho jaaega, 2. Jahaalat ghaalib ho jaaegi, 3. Zinakaari aam ho jaaegi, 4. Aurate'n ziyaada aur mard kam ho'nge, yahaa'n tak ke 1 mard 50 aurato'n ka kafeel hoga”
|
Baab 22: Fazilat-e-IIm Ka Bayaan Narrated Ibn 'Umar: Allah's Apostle (ﷺ) said, "While I was sleeping, I saw that a cup full of milk was brought to me and I drank my fill till I noticed (the milk) its wetness coming out of my nails. Then I gave the remaining milk to 'Umar Ibn Al-Khattab" The companions of the Prophet (ﷺ) asked, "What have you interpreted (about this dream)? "O Allah's Apostle (ﷺ)!" He (ﷺ) replied, "(It is religious) knowledge." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Rasool Allah (ﷺ) se suna, aap farma rahe the: “Main ek martaba so raha tha ke mere saamne doodh ka pyaala laaya gyaa. Maine usey pi-liya, yahaa'n tak ke seraabi mere naakhuno'n se zaahir hone lagi. Phir maine apna bachaa hua doodh Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko de diya”. Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne farz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Aapne iski kya taabeer ki? Aap ne farmaya: “Iski taabeer ilm hai.”
|
Baab 23: Sawaari Waghaira Par Sawaar Rehkar Fatwa Dena Narrated 'Abdullah bin Amr bin Al 'Aas: Allah's Apostle (ﷺ) stopped (for a while near the Jimar) at Mina during his last Hajj for the people and they were asking him questions. A man came and said, "I forgot and got my head shaved before slaughtering the Hadi (sacrificing animal)." The Prophet (ﷺ) said, "There is no harm, go and do the slaughtering now." Then another person came and said, "I forgot and slaughtered (the camel) before Rami (throwing of the pebbles) at the Jamra." The Prophet (ﷺ) said, "Do the Rami now and there is no harm." The narrator added: So on that day, when the Prophet was asked about anything (as regards the ceremonies of Hajj) performed before or after its due time, his reply was: "Do it (now) and there is no harm." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr bin (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) Hajjatul Widaa ke mauga par Mina mein un logo'n ke liye khade the, jo aapse masaael pooch rahe the. Ek shakhs aaya aur kehne lagaa: Mujhe khayaal nahi raha, maine qurbaani se pehle apna sar mundhwaa liya hai? Aap ne farmaya: “Ab zibah karlo, kuch muzaaeqa nahi”. Phir ek shakhs aaya aur arz kiya: Laa-ilmi se maine ramee se pehle qurbaani Karli hai? Aap ne farmaya: “Ab ramee karlo, koi harj nahi”. (Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain:) Us din aapse jis baat ki baabat bhi poocha gaya, jo kisi ne pehle karli yaa baad mein, to Aapne farmaya: “Ab karlo, kuch harj nahi”.
|
Baab 24: Jisne Haath Yaa Sar Ke Ishaare Se Fawat Ka Jawaab Diya Narrated Ibn 'Abbas: Somebody said to the Prophet (ﷺ) (during his last Hajj), "I did the slaughtering before doing the Rami.' The Prophet (ﷺ) beckoned with his hand and said, "There is no harm in that." Then another person said, "I got my head shaved before offering the sacrifice." The Prophet (ﷺ) beckoned with his hand saying, "There is no harm in that." Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hajjatul Wida ke mauqa par Nabi (ﷺ) se poocha gaya: Maine ramee se pehle zibah kar liya hai? Aap (ﷺ) ne haath se ishaara farmaya: “Koi gunah nahi”. Phir kisi na kaha: Maine zibah se pehle apna sar mudhwaa liya hai? Aap (ﷺ) ne haath se ishaara farmaya: “Koi gunah nahi hai”
|
Baab 24: Jisne Haath Yaa Sar Ke Ishaare Se Fawat Ka Jawaab Diya Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "(Religious) knowledge will be taken away (by the death of religious scholars) ignorance (in religion) and afflictions will appear; and Harj will increase." It was asked, "What is Harj, O Allah's Apostle?" He (ﷺ) replied by beckoning with his hand indicating "killing." (Fateh-al-Bari Page 192, Vol. 1) Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Aainda zamaane mein ilm uthaa liya jaaega, jahaalat aur fitne aam ho'nge aur harj ziyaada hoga”. Arz kiya gaya: Yaa Rasool Allah! Harj kya cheez hai? Aapne apne dast-e-mubarak se is tarah tircha ishaara karke farmaya, goya aap ki muraad qatal thi.
|
Baab 24: Jisne Haath Yaa Sar Ke Ishaare Se Fawat Ka Jawaab Diya Narrated Asma: I came to 'Aisha while she was praying, and said to her, "What has happened to the people?" She pointed out towards the sky. (I looked towards the mosque), and saw the people offering the prayer. Aisha said, "Subhan Allah." I said to her, "Is there a sign?" She nodded with her head meaning, "Yes." I, too, then stood (for the prayer of eclipse) till I became (nearly) unconscious and later on I poured water on my head. After the prayer, the Prophet (ﷺ) praised and glorified Allah and then said, "Just now at this place I have seen what I have never seen before, including Paradise and Hell. No doubt it has been inspired to me that you will be put to trials in your graves and these trials will be like the trials of Masiah-ad-Dajjal or nearly like it (the sub narrator is not sure which expression Asma' used). You will be asked, 'What do you know about this man (the Prophet Muhammad)?' Then the faithful believer (or Asma' said a similar word) will reply, 'He is Muhammad Allah's Apostle (ﷺ) who had come to us with clear evidences and guidance and so we accepted his teachings and followed him. And he is Muhammad.' And he will repeat it thrice. Then the angels will say to him, 'Sleep in peace as we have come to know that you were a faithful believer.' On the other hand, a hypocrite or a doubtful person will reply, 'I do not know, but I heard the people saying something and so I said it.' (the same). " Ravi Hazrat Asma bint Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Unho'n ne kaha: Main Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas aai, jabke wo namaz padh rahi thee'n. Maine kaha: Logo'n ka kya haal hai, yaane wo pareshan kyou'n hain? Unho'n ne aasmaan ki taraf ishaara kiya, (yaane dekho sooraj ko grahan laga hua hai). Itne mein log ('namaz-e-kasoof ke liye) khade hue to Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Subhan-Allah! Maine poocha (ye grahan) kya koi (azaab yaa qiyaamat ki) alaamat hai? Unho'n ne sar se ishaara kiya: “Haa'n”. Phir main bhi (namaz ke liye) khadi ho gai, hatta ke mujh par ghashi taari hone lagi, to maine apne sar par paani daalna shuru kar diya. Phir (jab namaz khatam ho chuki, to) Nabi (ﷺ) ne Allah Ta'ala ki hamd-o-sana ki aur farmaya: “Jo cheeze'n ab tak mujhe nahi dikhaai gai thee'n, unhe'n mein apni is jagah se dekh liya hai, hatta ke Jannat aur dozakh ko bhi. Aur meri taraf ye wahee bheji gai, ke qabro'n mein tumhaari aazmaaesh hogi, jaise maseeh-e-dajjaal yaa uske qareeb qareeb fitne se aazmaae jaaoge”. ...(raawi-e-hadees Fatima ne kaha:) Mujhe yaad nahi ke Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne in (lafz misl aur qareeb) mein se kaunsa kalma kaha tha... Aur kaha jaaega ke tujhe us shakhs, yaane Rasool Allah (ﷺ) se kya waagfiyat hai? Imandaar yaa yaqeen rakhne waala. ...(Fatima ne kaha:) Mujhe yaad nahi ke Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne un dono (momin aur moqin) mein se kaunsa kalma kaha tha... Kahega ke woo Hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain, jo hamaare paas khuli nishaaniya'n aur hidaayat le kar aae the. Ham ne unka kaha maana, aur unki pairawi ki. Wo Muhammad (ﷺ) hain. Teen (3) baar aisa hi kahega, chunaache usse kaha jaaega: Tu mazey se soja, beshak ham ne jaan liya ke tu Muhammad (ﷺ) par imaan rakhta hai, aur munaafiq yaa shak karne waala. ...(Fatima ne kaha:) Mujhe yaad nahi ke Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne in (lafz munaafig aur murtaab) mein se kaunsa kalma kaha tha... Kahega: Main kuch nahi jaanta, haa'n logo'n ko jo kehte suna, main bhi wohi kehne laga.
|
Baab 25: Nabi : Ka Wafad-e-Abdul Qais Ko Is Par Amaada Karna Ke Wo Imaan Aur Ilm Ki Hifaazat Kare'n Aur Unse Un Logo'n Ko Muttala Kare'n Jo Unke Peeche Hain Hazrat Maalik bin Huwairis (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Nabi ne hamse farmaya: “Ab tum log apne ahle-khaana ki taraf waapas laut jaao aur unhe'n taaleem do”. Narrated Abu Jamra: I was an interpreter between the people and Ibn 'Abbas. Once Ibn 'Abbas said that a delegation of the tribe of 'Abdul Qais came to the Prophet who asked them, "Who are the people (i.e. you)? (Or) who are the delegates?" They replied, "We are from the tribe of Rabi'a." Then the Prophet (ﷺ) said to them, "Welcome, O people (or said, "O delegation (of 'Abdul Qais).") Neither will you have disgrace nor will you regret." They said, "We have come to you from a distant place and there is the tribe of the infidels of Mudar intervening between you and us and we cannot come to you except in the sacred month. So please order us to do something good (religious deeds) and that we may also inform our people whom we have left behind (at home) and that we may enter Paradise (by acting on them.)" The Prophet (ﷺ) ordered them to do four things, and forbade them from four things. He ordered them to believe in Allah Alone, the Honorable the Majestic and said to them, "Do you know what is meant by believing in Allah Alone?" They replied, "Allah and His Apostle know better." Thereupon the Prophet (ﷺ) said, "(That means to testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is His Apostle, to offer prayers perfectly, to pay Zakat, to observe fasts during the month of Ramadan, (and) to pay Al-Khumus (one fifth of the booty to be given in Allah's cause)." Then he (ﷺ) forbade them four things, namely Ad-Dubba.' Hantam, Muzaffat (and) An-Naqir or Muqaiyar(These were the names of pots in which alcoholic drinks used to be prepared). The Prophet (ﷺ) further said, "Memorize them (these instructions) and tell them to the people whom you have left behind." Ravi Hazrat Abu Jamrah: Maine Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aur logo'n ke darmiyaan tarjumaani ke faraaez anjaam deta tha. Ek martaba Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Qabila-e-Abdul Qais ka wafad Nabi (ﷺ) ki khidmat mein aaya, to Aap ne farmaya: “Kaunsa wafad hai, yaa ye kaun log hain?”. Unho'n ne kaha: Rabia khandaan se. Aap ne qaum yaa wafad ko kaha: “Khush aamadeed, naa ruswa hue aur naa nadaamat hi ki koi baat hai”. Unho'n ne arz kiya: Ham bohot door-daraaz ki masaafat se aap ki khidmat mein haazir hue hain. Hamaare aur aapke darmiyaan kuffaar-e-muzir ka ye qabeela haael hai. Is liye ham hurmat waale mahino'n ke alaawa kisi aur mahine mein aapke paas nahi aasakte. Lehaaza aap hame'n koi aisa kaam bataa deejiye, ke ham apne peeche waalo'n ko isse muttala kar de'n, aur uske sabab ham Jannat mein daakhil ho jaae'n. Aap ne unhe'n 4 cheezo'n ka hukum diya aur 4 cheezo'n se manaa farmaya. Aapne unhe'n ek Allah par imaan laane ka hukum diya. Phir farmaya: “Tum jaante ho, ek Allah par imaan laane ka kya matlab hai?” Unho'n ne arz kiya: Allah aur uska rasool hi ziyaada jaanne waale hain. Aapne farmaya: “Is baat ki gawaahi dena ke Allah ke siwa koi maabood-e-haqeeqi nahi aur Muhammd Allah ke rasool hain, namaz qaaem karna, zakat adaa karna, aur ramzan ke roze rakhna aur maal-e-ghanimat mein se paachwaa'n hissa adaa karna hai”. Aur unhe'n dabaa, hamtum aur mazfat ke istemaal se manaa farmaya. Shu'ba ka bayaan hai ke kabhi kabhi Abu Jamrah ne unke saath nageer ka bhi zikr kiya aur kabhi mafat ki jagah mugaiyyir kaha. Phir Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum unhe'n khoob yaad rakho aur un logo'n ko muttala karo, jo tumhaare peeche reh gae hain”
|
Baab 26: Dar-pesh Masle Ke Liye Safar Karna (aur apne ahel ko taaleem dena) Narrated 'Abdullah bin Abi Mulaika: 'Uqba bin Al-Harith said that he had married the daughter of Abi Ihab bin 'Aziz. Later on a woman came to him and said, "I have suckled (nursed) Uqba and the woman whom he married (hiswife) at my breast." 'Uqba said to her, "Neither I knew that you have suckled (nursed) me nor did you tell me." Then he rode over to see Allah's Apostle (ﷺ) at Medina, and asked him about it. Allah's Apostle (ﷺ) said, "How can you keep her as a wife when it has been said (that she is your foster-sister)?" Then Uqba divorced her, and she married another man. Ravi Hazrat Uqba bin Haaris (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Unho'n ne Abu Ihaab bin Aziz ki beti se nikah kiya, to ek aurat aai aur kehne lagi ke maine Ugba aur uski biwi ko doodh pilaaya hai. Hazrat Ugba ne kaha: Mujhe to ilm nahi ke toone mujhe doodh pilaaya hai, aur naa pehle toone iski khabar di. Phir Hazrat Uqba sawaar ho kar Rasool Allah (ﷺ) ke paas Madina Munawwara aagae, aur aapse masla poocha. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “(Tu us aurat se) kaise (sohbat karega) jab ke aisee baat kahi gai hai?” Aakhir Uqba ne us aurat ko chodh diya, aur usne kisi doosre shakhs se nikah kar liya.
|
Baab 27: Tehseel-e-Ilm Ke Liye Baart Muqarrar Karna Narrated 'Umar: My Ansari neighbor from Bani Umaiya bin Zaid who used to live at 'Awali Al-Medina and used to visit the Prophet (ﷺ) by turns. He used to go one day and I another day. When I went I used to bring the news of that day regarding the Divine Inspiration and other things, and when he went, he used to do the same for me. Once my Ansari friend, in his turn (on returning from the Prophet), knocked violently at my door and asked if I was there." I became horrified and came out to him. He said, "Today a great thing has happened." I then went to Hafsa and saw her weeping. I asked her, "Did Allah's Apostle (ﷺ) divorce you all?" She replied, "I do not know." Then, I entered upon the Prophet (ﷺ) and said while standing, "Have you divorced your wives?" The Prophet (ﷺ) replied in the negative. On what I said, "Allahu-Akbar (Allah is Greater)." (See Hadith No. 119, Vol. 3 for details) Ravi Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main aur mera ek ansari padosi Banu Umaiyya bin Zaid ke gaao'n mein raha karte the, jo Madina ki (mashriqi jaanib) bulandi ki taraf tha. Ham Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein baari baari aate the. Ek din wo aata aur ek din main. Jis din wo aata, us roz ki wahee waghaira ka haal main usey bataa deta aur jis din wo aata wo bhi aisa hi karta. Ek din aisa hua ke mera ansari dost apni baari par gaya. (jab waapas aaya to) usne mere darwaaze par zor se dastak di, aur kehne lagaa ke wo (Umar) yahaa'n hain? Main ghabra kar baahar aaya to wo bola: Aaj bohot badaa saaneha hua hai. (Rasool Allah (ﷺ) ne apni azwaaj ko talaaq dedi hai). Main Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gaya, to wo ro rahi thee'n. Maine kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne tumhe'n talaaq dedi hai? Wo bolee'n: Mujhe ilm nahi hai. Main phir Nabi (ﷺ) ke paas haazir ho kar khade khade arz ki: Kya aap ne apni biwiyo'n ko talaaq dedi hai? Aap ne farmaya: “Nahi”. To maine (maare khushi ke) Allahu Akbar kaha.”
|
Baab 28: Kisi Naa-pasandeeda Baat Par Waaz-o-Taaleem Ke Waqt Izhaar-e-Naaraazi Karna Narrated Abu Mas'ud Al-Ansari: Once a man said to Allah's Apostle (ﷺ), "O Allah's Apostle (ﷺ)! I may not attend the (compulsory congregational) prayer because so and so (the Imam) prolongs the prayer when he leads us for it. The narrator added: "I never saw the Prophet (ﷺ) more furious in giving advice than he was on that day. The Prophet (ﷺ) said, "O people! Some of you make others dislike good deeds (the prayers). So whoever leads the people in prayer should shorten it because among them there are the sick the weak and the needy (having some jobs to do)." Ravi Hazrat Abu Masood Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek shakhs ne arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Mere liye namaz ba- jamaat padhna mushkil ho gaya hai, kyou'nke falaa'n sahaab namaz bohot lambi padhaate hain. (Abu Masood Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain:) Maine Nabi (ﷺ) ko naseehat ke waqt us din se ziyaada kabhi ghusse mein nahi dekha. Aapne farmaya: “Logo! Tum deen se nafrat dilaane waale ho, dekho jo koi logo'n ko namaz padhaae, usey chaahiye ke takhfeef kare, kyou'nke un (mugqtadiyo'n) mein bimaar, naatawaa'n aur saaheb-e-hagjat bhi hote hain”
|
Baab 28: Kisi Naa-pasandeeda Baat Par Waaz-o-Taaleem Ke Waqt Izhaar-e-Naaraazi Karna Narrated Zaid bin Khalid Al-Juhani: A man asked the Prophet (ﷺ) about the picking up of a "Luqata" (fallen lost thing). The Prophet (ﷺ) replied, "Recognize and remember its tying material and its container, and make public announcement (about it) for one year, then utilize it but give it to its owner if he comes." Then the person asked about the lost camel. On that, the Prophet (ﷺ) got angry and his cheeks or his Face became red and he (ﷺ) said, "You have no concern with it as it has its water container, and its feet and it will reach water, and eat (the leaves) of trees till its owner finds it." The man then asked about the lost sheep. The Prophet (ﷺ) replied, "It is either for you, for your brother (another person) or for the wolf." Ravi Hazrat Zaid bin Khaalid Johani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek shakhs ne Nabi (ﷺ) se giri hui cheez ke mutaalliq dariyaat kiya. Aap ne farmaya: “Uske bandhan yaa bartan aur thaili ki pehchaan rakh aur ek saal tak logo'n se poochta reh, phir usse faaeda utha. Is dauraan mein agar uska maalik aajaae to uske hawaale karde”. Phir us shakhs ne poocha ke gumshuda oont ka kya hukum hai? Ye sun kar aap is qadar ghussa hue ke aapke rukhsaar-e-mubarak surkh ho gae, yaa aapka chehra-e-mubarak surkh ho gaya (raawi ko shak hai) aur farmaya: “Tujhe oont se kya gharz hai? Uski mashak aur uska mauza uske saath hai, jab paani par pohochega, paani peelega, aur darakht se char le ga, usey chodh de, yahaa'n tak ke uska maalik usey dhoondh le”. Phir us shakhs ne kaha: Accha, gumshuda bakri? Aap ne farmaya: “Wo tumhari, yaa tumhare bhaai (maalik) ki, yaa bhediye ki hai”
|
Baab 28: Kisi Naa-pasandeeda Baat Par Waaz-o-Taaleem Ke Waqt Izhaar-e-Naaraazi Karna Narrated Abu Musa: The Prophet (ﷺ) was asked about things which he did not like, but when the questioners insisted, the Prophet (ﷺ) got angry. He (ﷺ) then said to the people, "Ask me anything you like." A man asked, "Who is my father?" The Prophet (ﷺ) replied, "Your father is Hudhafa." Then another man got up and said, "Who is my father, O Allah's Apostle (ﷺ)?" He (ﷺ) replied, "Your father is Salim, Maula (the freed slave) of Shaiba." So when 'Umar saw that (the anger) on the face of the Prophet (ﷺ). He said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! We repent to Allah (Our offending you)." Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) se chand aisee baate'n poochi gaee'n, jo aapke mizaaj ke khilaaf thee'n. Jab is qism ke sawalaat ki aapke saamne takraar ki gai, to aapko ghussa aagaya. Phir logo'n se dariyaaft farmaya: “Accha jo chaaho mujhse poocho”. Us par ek shakhs ne arz kiya: Mera baat kaun hai? Aap ne farmaya: “Tera baat Huzaafa hai”. Phir doosre shakhs ne khade ho kar kaha: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Mera baap kaun hai? Aap ne farmaya: “Tera baat Saalim hai, jo Shaiba ka Ghulam hai”. Phir jab Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne aapke chehra-e-mubarak par asaar-e-ghazab dekhe to kehne lagey: Yaa Rasool Allah zl Ham Allah Azzawajal ki baargaah mein tauba karte hain.”
|
Baab 29: Mohaddis Yaa Imaam Ke Saamne Do (2) Zaanu Baithne Ka Bayaan Narrated Anas bin Malik: One day Allah's Apostle (ﷺ) came out (before the people) and 'Abdullah bin Hudhafa stood up and asked (him) "Who is my father?" The Prophet (ﷺ) replied, "Your father is Hudhafa." The Prophet (ﷺ) told them repeatedly (in anger) to ask him anything they liked. 'Umar knelt down before the Prophet (ﷺ) and said thrice, "We accept Allah as (our) Lord and Islam as (our) religion and Muhammad as (our) Prophet." After that the Prophet became silent. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) tashreef laae to Hazrat Abdullah bin Huzaafa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne khade ho kar sawaal kiya: Mere waalid kaun hain? Aapne farmaya: “Tumhaare waalid Huzaafa hain”. Phir aapne baar-baar farmaya: “Mujhse dariyaaft karo”. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) do (2) zaanu baith gae, aur kehne lagey: Ham Allah ke Rabb hone, islaam ke deen hone aur Hazrat Muhammad (ﷺ) ke nabi hone par khush hain. To Rasool Allah (ﷺ) khamosh ho gae.
|
Baab 30: Khoob Samjhaane Ke Liye Ek Baat Ko Teen (3) Martaba Dohraana Aap (ﷺ) ne farmaya: “Agaah raho aur jhoot bolna...” In kalimaat ko baar baar dohraate rahe. Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai: Nabi (ﷺ) ne teen (3) martaba ye farmaya: “Kya maine fareeza-e-tableegh adaa kar diya”. Whenever the Prophet (ﷺ) asked permission to enter, he knocked the door thrice with greeting and whenever he spoke a sentence (said a thing) he used to repeat it thrice. (See Hadith No. 261, Vol. 8). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab salaam karte to teen (3) baar salaam karte, aur jab koi baat farmaate to usey teen (3) martaba dohraate (Taa-aanke usey khoob samajh liya jaae).
|
Baab 30: Khoob Samjhaane Ke Liye Ek Baat Ko Teen (3) Martaba Dohraana Whenever the Prophet (ﷺ) spoke a sentence (said a thing), he used to repeat it thrice so that the people could understand it properly from him and whenever he asked permission to enter, (he knocked the door) thrice with greeting. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab koi ahem baat farmaate to usey teen (3) baar dohraate., taake usey acchi tarah samajh liya jaae. Aur jab kisi qaum ke paas tashreef laate, to unhe'n 3 martaba salaam kehte the.”
|
Baab 30: Khoob Samjhaane Ke Liye Ek Baat Ko Teen (3) Martaba Dohraana Once Allah's Apostle (ﷺ) remained behind us in a journey. He joined us while we were performing ablution for the 'Asr prayer which was over-due. We were just passing wet hands over our feet (not washing them properly) so the Prophet (ﷺ) addressed us in a loud voice and said twice or thrice, "Save your heels from the fire." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ham se ek safar mein peeche reh gae. Phir aap hame'n aamile, jabke Asr ka waqt ho chuka tha, aur ham wazoo kar rahe the. Chunache ham apne pairo'n par paani ka haath pherne lagey, to aapne ba-awaaz-e-buland do (2) yaa teen (3) martaba farmaya: “Ediyo'n ke liye aag se kharaabi hai”
|
Baab 31: Apni Laundi Aur Ahle Khaana Ko Taaleem Dena Narrated Abu Burda's father: Allah's Apostle (ﷺ) said "Three persons will have a double reward: 1. A Person from the people of the scriptures who believed in his prophet (Jesus or Moses) and then believed in the Prophet Muhammad (i .e. has embraced Islam). 2. A slave who discharges his duties to Allah and his master. 3. A master of a woman-slave who teaches her good manners and educates her in the best possible way (the religion) and manumits her and then marries her." Ravi Hazrat Abu Musa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Teen (3) shakhs aise hain jinhe'n doogna sawaab milega: 1. Wo shakhs jo ahle kitaab mein se apne Nabi par aur phir Muhammad (ﷺ) par imaan laaya. 2. Wo ghulaam jo Allah Ta'ala ka aur apne maalikaan ka haq adaa karta raha, 3. Wo shakhs, jiske paas uki laundi ho, phir wo usey acchi tarah taaleem-o-adab se aaraasta karke aazaad karde, baad azaa'n usse nikah kar le, to usey dohara sawaab milega”.
|
Baab 32: Imam Ka Aurto'n Ko Naseehat Karna Aur Unhe'n Taaleem Dena Once Allah's Apostle (ﷺ) came out while Bilal was accompanying him. He went towards the women thinking that they had not heard him (i.e. his sermon). So he preached them and ordered them to pay alms. (Hearing that) the women started giving alms; some donated their ear-rings, some gave their rings and Bilal was collecting them in the corner of his garment. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) : Rasool Allah (ﷺ) (eid ke din mardo'n ki saff se aurto'n ki jaanib) nikle, aur aapke hamraah Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Aapko khayaal hua ke shayad aurto'n tak meri awaaz nahi pohchi, is liye aapn ne unhe'n naseehat farmaai, aur sadqa-o-khairaat dene ka hukum diya. To koi aurat apni baal aur koi apni anghoti daalne lagi aur Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) (un zewaraat ko) apne kapde mein jamaa karne lagey. Is hadees ko Ismail (Ibne Atiya) ne Ayub se, unho'n ne Ataa se, unho'nne Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat kiya. Hazrat Ibne Abbas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Main Nabi (ﷺ) par gawaahi deta hoo'n.
|
Baab 33: Hadees-e-Nabawi Ke Husool Ke Liye Hirs Karna Narrated Abu Huraira: I said: "O Allah's Apostle (ﷺ)! Who will be the luckiest person, who will gain your intercession on the Day of Resurrection?" Allah's Apostle (ﷺ) said: O Abu Huraira! "I have thought that none will ask me about it before you as I know your longing for the (learning of) Hadiths. The luckiest person who will have my intercession on the Day of Resurrection will be the one who said sincerely from the bottom of his heart "None has the right to be worshipped but Allah." And 'Umar bin 'Abdul 'Aziz wrote to Abu Bakr bin Hazm, "Look for the knowledge of Hadith and get it written, as I am afraid that religious knowledge will vanish and the religious learned men will pass away (die). Do not accept anything save the Hadiths of the Prophet. Circulate knowledge and teach the ignorant, for knowledge does not vanish except when it is kept secretly (to oneself)." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) : Unho'n ne arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Qiyaamat ke din aap ki sifaarish se kaun ziyaada hissa paaega? To Aap ne farmaya: “Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Mujhe yaqeen tha ke tujhse pehle koi mujhse ye baat nahi poochega. Kyou'nke main dekhta hoo'n ke tujhe hadees ki badi hirs hai. Qiyaamat ke din meri shafaa-at se sabse ziyaada bahra-war wo shakhs hoga, jisne apne dil yaa khuloos-e-niyyat se ﻵ ﺍِﻟَﻪَ ﺍِﻟّﺎ ﺍﻟﻠّﻪُ kaha hoga”
|
Baab 34: Ilm Kis Tarah Uthaa Liya Jaaega? Narrated Abdullah Ibn Dinar Also narrates the same (above-mentioned statement) as has been narrated by 'Umar bin 'Abdul'Aziz up to "The religious scholar (learned men) will pass away (die)." Hazrat Umar bin Abdul Aziz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Abu Bakar bin Hazam ko likha: Dekho! Jo Rasool Allah (ﷺ) ki ahadees hain, unhe'n likhlo, is liye ke mujhe ilm mit jaane aur ulama ke khatam hone ka andesha hai. Is silsile mein sirf Nabi zk ahadees hi qubool karna. Ulama ko chaahiye ke wo ilm ko phailaae'n, aur ilmi majaalis ka ehtemaam kare'n. Taake jaahil bhi jaan le'n, is liye ke lim chupaane hi se zaae hota hai. I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "Allah does not take away the knowledge, by taking it away from (the hearts of) the people, but takes it away by the death of the religious learned men till when none of the (religious learned men) remains, people will take as their leaders ignorant persons who when consulted will give their verdict without knowledge. So they will go astray and will lead the people astray." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr bin Al Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) : Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate suna: “Allah Ta'ala deen ke ilm ko aise nahi uthaaega ke band'n ke seenor'n se nikaal le, balke ahle ilm ko maut de kar ilm ko uthaaega. Jab koi aalim baaqi nahi rahega, to log jaahilo'n ko peshwa bana le'nge. Unse masaael pooche jaae'nge to wo baghair ilm ke fatwe de kar khud bhi gumrah ho'nge, aur doosro'n ko bhi gumrah kare'nge”. Farbaree ne is hadees ke mazmoon ko Hishaam se ek doosri sanad se bhi haasil kiya hai.
|
Baab 35: Kya Aurto'n Ko Taaleem Ke Liye Alaaheda Din Muqarrar Kiya Jaa Sakta Hai? Narrated Abu Said Al-Khudri: Some women requested the Prophet (ﷺ) to fix a day for them as the men were taking all his time. On that he promised them one day for religious lessons and commandments. Once during such a lesson the Prophet (ﷺ) said, "A woman whose three children die will be shielded by them from the Hell fire." On that a woman asked, "If only two die?" He (ﷺ) replied, "Even two (will shield her from the Hell-fire)." Ravi Hazrat Abu Sayeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Chand aurto'n ne Rasool Allah (ﷺ) se arz kiya: Mard aapse faaeda uthaane mein hamse aage badh gae hain, is liye aap apni taraf se hamaare liye koi din muqarrar farma den. Aapne unki mulaqaat ke liye ek din ka waada kar liya, chunaache us din aap ne unhe'n naseehat farmaai aur shariyat ke ahkaam bataae. Aap ne unhe'n jo baate'n talqeen farmaee'n, un mein ek ye bhi thi: “Tum mein se jo aurat apne teen (3) bacche aagey bhej degi, to uske liye dozakh ki aag se hijab ban jaae'nge”. Ek aurat ne arz kiya: Agar koi do (2) bheje to? Aap ne farmaya: “Do (2) ka bhi yehi hukum hai” .
|
Baab 35: Kya Aurto'n Ko Taaleem Ke Liye Alaaheda Din Muqarrar Kiya Jaa Sakta Hai? As above (the sub narrators are different). Abu Huraira qualified the three children referred to in the above mentioned Hadith as not having reached the age of committing sins (i.e. age of puberty) . Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Wo teen (3) bacche jo gunah ki umar, yaane buloogh tak naa pohche ho'n”
|
Baab 36: Ek Masla SunneKe Baad Samajhne Ke Liye Dobarah Puchna Narrated Ibn Abu Mulaika: Whenever 'Aisha (the wife of the Prophet ﷺ) heard anything which she did not understand, she used to ask again till she understood it completely. Aisha said: "Once the Prophet (ﷺ) said, "Whoever will be called to account (about his deeds on the Day of Resurrection) will surely be punished." I said, "Doesn't Allah say: "He surely will receive an easy reckoning." (84.8) The Prophet (ﷺ) replied, "This means only the presentation of the accounts but whoever will be argued about his account, will certainly be ruined." Ravi Ibn-e-Abi Malaika: Nabi (ﷺ) ki zauja mohtarma Syeda Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) jab koi aisi baat sunti jise samajh na paati to dobaara poochti taake samajh len. Nabi (ﷺ) ne farmaya : "Qayamat ke din jisse muhaasba hua, use azaab diya jaayega." To is par Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne arz kiya : Allah Ta'ala to farmata hai : "Uska hisaab aasaani se liya jaayega." [Suarah Al Inshiqaaq: 8] Aapne farmaya : "(Yeh hisaab nahi hai) balke is se muraad aamaal ki peshi hai, lekin jisse hisaab mein jaanch partaal ki gayi wo yaqeenan halaak ho jaayega."
|
Baab 37: Hazereen Ko Chahiye Ke Wo Ghair Hazir Logon Ko Ilm Baatein Pahoncha Dein Narrated Said: Abu Shuraih said, "When 'Amr bin Said was sending the troops to Mecca (to fight 'Abdullah bin Az-Zubair) I said to him, 'O chief! Allow me to tell you what the Prophet (ﷺ) said on the day following the conquests of Mecca. My ears heard and my heart comprehended, and I saw him with my own eyes, when he said it. He glorified and praised Allah and then said, "Allah and not the people has made Mecca a sanctuary. So anybody who has belief in Allah and the Last Day (i.e. a Muslim) should neither shed blood in it nor cut down its trees. If anybody argues that fighting is allowed in Mecca as Allah's Apostle (ﷺ) did fight (in Mecca), tell him that Allah gave permission to His Apostle (ﷺ), but He did not give it to you. The Prophet (ﷺ) added: Allah allowed me only for a few hours on that day (of the conquest) and today (now) its sanctity is the same (valid) as it was before. So it is incumbent upon those who are present to convey it (this information) to those who are absent." Abu- Shuraih was asked, "What did 'Amr reply?" He said 'Amr said, "O Abu Shuraih! I know better than you (in this respect). Mecca does not give protection to one who disobeys (Allah) or runs after committing murder, or theft (and takes refuge in Mecca). Ravi Hazrat Umaro bin Saeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unhone (governor-e-madina) Umaro bin Saeed se kaha jabke wo makkah ki taraf fauj bhej raha tha : Ameer (governor) Sahab ! Mujhe izazat den ke mai tujhe wo hadees sunaun jo Nabi (ﷺ) ne Fataah Makkah ke dusre din bayaan farmayi thi. Jise mere kaano ne suna, dil ne yaad rakha aur meri dono aankhon ne Aapko dekha jab Aapne yeh hadees bayaan farmayi. Aapne Allah ki Hamd-o-Sana bayaan karne ke baad farmaya : "Makkah (mein jung-o-jidaal karne) ko Allah ne haraam kiya hai logon ne ise haraam nahi kiya, Agar koi shakhs Allah aur aakhirat par imaan rakhta hai to uske liye jayez nahi ke makkah mein khoona rezi kare, ya wahan se koi darakht kaate. Agar koi Shakhs Rasool Allah ﷺ ke qetaal se jawaaz paida kare to us se kah dena ke Allah ne Apne Rasool ko to izazat di thi lekin tumhe nahi di hai. Aur mujhe bhi din mein kuch waqt ke liye izazat thi aur aaj iski hurmat phir waisi hi ho gayi jaise kal thi. Jo shakhs yahan haazir hai use chahiye ke gaayeb ko yeh khabr pahucha de." Hazrat Abu Shareeh se poocha gaya : Umaro bin Saeed ne (hadees sunn kar) Kya kaha ? (Unhone farmaya :) Umaro ne kaha : Abu Shareeh ! Mai aapse zyada jaanta hun. Bila shuba makkah kisi gunaahgar ko panaah nahi deta, na kisi ko qatl karke faraar hone wale ko aur na chori karke bhaagne wale ko. Yeh baat Hazrat Ibn-e-Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se bayaan ki hai.
|
Baab 37: Hazereen Ko Chahiye Ke Wo Ghair Hazir Logon Ko Ilm Baatein Pahoncha Dein Narrated Abu Bakra: The Prophet (ﷺ) said. No doubt your blood, property, the sub-narrator Muhammad thought that Abu Bakra had also mentioned and your honor (chastity), are sacred to one another as is the sanctity of this day of yours in this month of yours. It is incumbent on those who are present to inform those who are absent." (Muhammad the Sub narrator used to say, "Allah's Apostle (ﷺ) told the truth.") The Prophet (ﷺ) repeated twice: "No doubt! Haven't I conveyed Allah's message to you. Ravi Hazrat Abu Bakra (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne Aapne farmaya : "Bila shuba tumhari jaane, tumhare amwaal, Muhammad bin Sireen kahte hain. Aapne yeh bhi farmaya : Tumhari izzaten, tum par isi tarah haraam hain jis tarah tumhare aaj ke din ki hurmat tumhare is mahine mein hai. Khabrdaar ! Haazir, gaayeb tak yeh baat pahucha de." Muhammad bin Sireen farmate hain : Rasool Allah (ﷺ) ne sach farmaya, aisa hi hua. "Aagaah raho ! Jawaab do, Kya Maine fariza-e-tableegh ada kar diya ?" Aapne aisa do (2) baar farmaya.
|
Baab 38: Nabi Par Jhooth Bolne Ka Gunah Narrated 'Ali: The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire." Ravi Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : "(Dekho) Mujh par jhooth na baandhee , kyou'nke jo shakhs mujh par jhoot baandhega , wo yaqeenan dozakh mein jayega."
|
Baab 38: Nabi Par Jhooth Bolne Ka Gunah Narrated 'Abdullah bin Az-Zubair: I said to my father, 'I do not hear from you any narration (Hadith) of Allah's Apostle (ﷺ) as I hear (his narrations) from so and so?" Az-Zubair replied. l was always with him (the Prophet) and I heard him saying "Whoever tells a lie against me (intentionally) then (surely) let him occupy, his seat in Hellfire. Ravi Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine apne waalid Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: (Waalid mohtaram!) Main aapko Rasool Allah (ﷺ) se ahadees bayaan karte hue nahi dekhta hoo'n, jis tarah falaa'n falaa'n bayaan karte hain? Unho'n ne farmaya: Main kabhi Rasool Allah (ﷺ) se alag nahi hua, lekin mein aapko ye farmaate hue suna hai: “Jo koi mujh par jhoot baandhega, wo apna thikaana aag mein banaale”.
|
Baab 38: Nabi Par Jhooth Bolne Ka Gunah Narrated Anas: The fact which stops me from narrating a great number of Hadiths to you is that the Prophet (ﷺ) said: "Whoever tells a lie against me intentionally, then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Mujhe ziyaada hadeese'n bayan karne se ye baat rokti hai ke Nabi (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Jo shakhs mujh par jaan boojh kar (boot bolega, wo apna thikaana jahannum mein banaale”.
|
Baab 38: Nabi Par Jhooth Bolne Ka Gunah Narrated Salama: I heard the Prophet (ﷺ) saying, "Whoever (intentionally) ascribes to me what I have not said then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire." Ravi Hazrat Salama bin Akwa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Jo shakhs meri taraf wo baat mansoob kare, jo maine nahi kahi, wo apna thikaana aag mein banaale”.
|
Baab 38: Nabi Par Jhooth Bolne Ka Gunah Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "Name yourselves with my name (use my name) but do not name yourselves with my Kunya name (i.e. Abul Qasim). And whoever sees me in a dream then surely he has seen me for Satan cannot impersonate me. And whoever tells a lie against me (intentionally), then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Mere naam (Muhammad aur Ahmad) par naam rakho, magar meri kunniyat (Abul Qaasim) par kunniyat na rakho aur yaqeen karo, jisne mujhe khwaab mein dekha, usne yageenan mujh hi ko dekha hai, kyou'nke shaitan meri soorat mein nahi aa sakta aur jo daanista mujh par jhot baandhe, wo apna thikaana jahannum mein banaale”
|
Baab 39: Ilmi Baate'n Tehreer Karna Narrated Ash-Sha'bi: Abu Juhaifa said, "I asked Ali, 'Have you got any book (which has been revealed to the Prophet (ﷺ) apart from the Qur'an)?' 'Ali replied, 'No, except Allah's Book or the power of understanding which has been bestowed (by Allah) upon a Muslim or what is (written) in this sheet of paper (with me).' Abu Juhaifa said, "I asked, 'What is (written) in this sheet of paper?' Ali replied, it deals with The Diyya (compensation (blood money) paid by the killer to the relatives of the victim), the ransom for the releasing of the captives from the hands of the enemies, and the law that no Muslim should be killed in Qisas (equality in punishment) for the killing of (a disbeliever). Ravi Hazrat Ash-Sha'bi: Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya, aaya tumhare paas koi kitaab hai? Unho'n ne farmaya: Nahi, hamaare yahaa'n paas Allah ki kitab aur wo faham hai, jo ek musalman mard ko di jaati hai, yaa jo kuch us saheefe mein maujood hai. Maine poocha: Is saheefe mein kya hai? Unho'n ne farmaya: Diyyat ke ahkaam, qaidi ko chudaane ka bayaan aur ye ke kisi musalman ko kaafir ke badle mein qatal naa kiya jaae.
|
Baab 39: Ilmi Baate'n Tehreer Karna Narrated Abu Huraira: In the year of the Conquest of Mecca, the tribe of Khuza'a killed a man from the tribe of Bani Laith in revenge for a killed person, belonging to them. They informed the Prophet (ﷺ) about it. So he rode his Rahila (she-camel for riding) and addressed the people saying, "Allah held back the killing from Mecca. (The sub-narrator is in doubt whether the Prophet (ﷺ) said "elephant or killing," as the Arabic words standing for these words have great similarity in shape), but He (Allah) let His Apostle and the believers over power the infidels of Mecca. Beware! (Mecca is a sanctuary) Verily! Fighting in Mecca was not permitted for anyone before me nor will it be permitted for anyone after me. It (war) in it was made legal for me for few hours or so on that day. No doubt it is at this moment a sanctuary, it is not allowed to uproot its thorny shrubs or to uproot its trees or to pick up its Luqatt (fallen things) except by a person who will look for its owner (announce it publicly). And if somebody is killed, then his closest relative has the right to choose one of the two-- the blood money (Diyya) or retaliation having the killer killed. In the meantime a man from Yemen came and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Get that written for me." The Prophet (ﷺ) ordered his companions to write that for him. Then a man from Quraish said, "Except Al-Iqhkhir (a type of grass that has good smell) O Allah's Apostle, as we use it in our houses and graves." The Prophet (ﷺ) said, "Except Al-Idhkhiri.e. Al-Idhkhir is allowed to be plucked." Ravi Hazrat Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Fataah makkah ke saal Khuja'ah ne Banu Lais ke ek shakhs ko apne us maqtool ke badle mein qatl kar diya jise Banu Lais ne qatl kiya tha. Nabi (ﷺ) ko iski ittela di gayi, Aap apni ootni par sawaar huye aur ek khutba diya : "Allah Ta'ala ne Makkah se qatl ya feel (haathi) ko rok diya. Imaam Bukhari ne kaha : Abu Naeem ne aise hi (shak ke saath) kaha hai. Aur Rasool Allah (ﷺ) aur Ahl-e-Imaan ko un (kaafiron) par ghalib kar diya gaya. Khabrdaar ! Makkah mujhse pahle kisi ke liye halaal nahi hua aur na mere baad kisi ke liye halaal hoga. Aagaah raho ! Yeh mere liye bhi din mein ek ghadi ke liye halaal hua tha. Khabrdaar ! Wo is waqt bhi haraam hai. Wahan ke kaante na kaate jaayen, na uske darakht qatah kiye jaayen, elaan karne wale ke elawa wahan ki giri huyi cheez koi na uthaaye. Aur jiska koi azeez maara jaaye, use do (2) mein se ek ka ikhteyaar hai : Deet qubool karle ya qisaas dilwaya jaaye." Itne mein ek yamni shakhs aaya aur usne arz kiya : Ya Rasool Allah ! (Yeh masayel) mujhe likh dijiye. Aapne farmaya : "Achcha Abu Falaan ko likh do." Quraish ke ek shakhs ne arz kiya : Ya Rasool Allah ! (اذخر اذخر) (khushboo daar ghaas, yaani iske kaatne ki izazat dijiye), isliye ke hum use apni gharon aur qabron mein istemaal karte hain. To Nabi (ﷺ) ne farmaya : "Haan magar اذخر." Yaani wo kaat sakte ho.
|
Baab 39: Ilmi Baate'n Tehreer Karna Narrated Abu Huraira: There is none among the companions of the Prophet (ﷺ) who has narrated more Hadiths than I except 'Abdallah bin Amr (bin Al-'As) who used to write them and I never did the same. Ravi Hazrat Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ke Sahaba-e-Kiraam (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mein Hazrat Abdullah Ibn-e-Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke elawa aur koi mujhse zyada hadeesen bayaan karne wala nahi, kyunki wo likha karte the mai likhta nahi tha. Dusri sanad se Hazrat Muammir ne Wahab bin Munbah ki mutabiat ki hai, wo Hazrat Abu Hurairah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se wabasta Hemaam bin Munbah riwayat karte hain.
|
Baab 39: Ilmi Baate'n Tehreer Karna Narrated 'Ubaidullah bin 'Abdullah: Ibn 'Abbas said, "When the ailment of the Prophet (ﷺ) became worse, he said, 'Bring for me (writing) paper and I will write for you a statement after which you will not go astray.' But 'Umar said, 'The Prophet (ﷺ) is seriously ill, and we have got Allah's Book with us and that is sufficient for us.' But the companions of the Prophet (ﷺ) differed about this and there was a hue and cry. On that the Prophet (ﷺ) said to them, 'Go away (and leave me alone). It is not right that you should quarrel in front of me." Ibn 'Abbas came out saying, "It was most unfortunate (a great disaster) that Allah's Apostle (ﷺ) was prevented from writing that statement for them because of their disagreement and noise. (Note: It is apparent from this Hadith that Ibn 'Abbes had witnessed the event and came out saying this statement. The truth is not so, for Ibn 'Abbas used to say this statement on narrating the Hadith and he had not witnessed the event personally. See Fath Al-Bari Vol. 1, p.220 footnote.) (See Hadith No. 228, Vol. 4). Ravi Hazrat Ibn-e-Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) bahut bimaar ho gayen to Aapne farmaya : "Likhne ka samaan laao taake mai tumhare liye ek tahreer likh dun jiske baad tum gumraah nahi hoge." Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha : Nabi (ﷺ) par bimaari ka ghalba hai aur hamare paas Allah ki kitaab maujood hai, wo hame kaafi hai. Logon ne ikhtelaaf shuru kar diya aur shor-o-gul mach gaya. Tab Aapne farmaya : "Mere paas se uth jaao, Mere yahan ladayi jhagre ka kya kaam hai ?" Phir Hazrat Ibn-e-Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) nikle, farmate the : Tamaam masayeb se badi musibat wo hai jo Rasool Allah (ﷺ) aur Aapki tahreer ke darmiyaan haayel ho gaye.
|
Baab 40: Raat Ko Ilm-o-Naseehat Ki Baate'n Karna Narrated Um Salama: One night Allah's Apostle (ﷺ) got up and said, "Subhan Allah! How many afflictions have been descended tonight and how many treasures have been disclosed! Go and wake the sleeping lady occupants of these dwellings (his wives) up (for prayers). A well-dressed (soul) in this world may be naked in the Hereafter. " Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ek raat bedaar hue to farmaya: “Subhan- Allah! Aaj raat kitne fitne naazil kiye gae, aur kitne khazaane khole gae. Un hijro'n mein sone waaliyo'n ko jagaao, kyou'nke duniya mein bohot si kapde pehenne waaliyaa'n aisee hain, jo aakhirat mein barhana ho'ngi”
|
Baab 41: Raat Ko Ilmi Baate'n Karna Narrated 'Abdullah bin 'Umar: Once the Prophet (ﷺ) led us in the 'Isha' prayer during the last days of his life and after finishing it (the prayer) (with Taslim) he (ﷺ) said: "Do you realize (the importance of) this night?" Nobody present on the surface of the earth tonight will be living after the completion of one hundred years from this night." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne apni aakhri umr mein hame'n namaz-e-isha padhaai. Salaam ke baad jab khade hue to farmaya: “Tum is raat ki ehmiyat ko jaante ho, aaj ki raat se 100 barast baad koi shakhs, jo ab zameen par maujood hai, zinda nahi rahega”
|
Baab 41: Raat Ko Ilmi Baate'n Karna Narrated Ibn 'Abbas: I stayed overnight in the house of my aunt Maimuna bint Al-Harith (the wife of the Prophet ﷺ) while the Prophet (ﷺ) was there with her during her night turn. The Prophet (ﷺ) offered the 'Isha' prayer (in the mosque), returned home and after having prayed four Rakat, he slept. Later on he got up at night and then asked whether the boy (or he used a similar word) had slept? Then he got up for the prayer and I stood up by his left side but he made me stand to his right and offered five Rakat followed by two more Rakat. Then he slept and I heard him snoring and then (after a while) he left for the (Fajr) prayer. Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine ek raat Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma, apni khaala Hazrat Maimoona bint Haaris (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke yahaa'n basar ki. Us raat Nabi (ﷺ) bhi unhi ke paas the. Nabi (ﷺ) ne Isha (masjid mein) adaa ki, phir apne ghar tashreef laae aur chaar (4) rakat padhkar so rahe. Phir bedaar hue aur farmaya: “Kya baccha so gaya hai?” Yaa isse milti julti baat farmaai, aur phir namaz padhne lagey, maine bhi aap ki baae’n jaanib khada ho gaya. Aap ne mujhe apni daaee’n jaanib kar liye aur 5 rakat padhee’n. Uske baad do (2) rakat (Sunnat-e-fajr) adaa kee’n. Phir so gae, yahaa’n tak ke maine aapke kharaate bharne ki awaaz suni. Phir (subah ki) namaz ke liye baahar tashreef le gae.
|
Baab 42: Ilmi Baato'n Ko Yaad Rakhna Narrated Abu Huraira: People say that I have narrated many Hadiths (The Prophet's (ﷺ) narrations). Had it not been for two verses in the Qur'an, I would not have narrated a single Hadith, and the verses are: "Verily those who conceal the clear sign and the guidance which We have sent down . . . (up to) Most Merciful." (2:159-160). And no doubt our Muhajir (emigrant) brothers used to be busy in the market with their business (bargains) and our Ansari brothers used to be busy with their property (agriculture). But I (Abu Huraira) used to stick to Allah's Apostle contented with what will fill my stomach and I used to attend that which they used not to attend and I used to memorize that which they used not to memorize. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Log kehte hain: Abu Huraira ne boho ahadees bayaan ki hain. Agar kitabullah mein do (2) aayate'n naa hotee'n to main ek bhi hadees bayaan naa karta. Phir unho'n ne un ayaat ko tilaawat kiya: "Jo Log Chupaate Hain Un Khuli Hui Nishaaniyo'n Aur Hidaayat Ki Baato'n Ko Jo Ham Ne Naazil Keen... Ar Raheem tak." [Surah Baqara: 159-160] Beshak hamaare muhaajir bhaiyyo'n ko bazaar mein khareed-o-farokht ka shughal rehta tha, aur hamaare ansari bhai amwaal-o-ziraa-at ke shughal mein lagey rehte the, lekin Abu Huraira to apna pait bharne ke liye Rasool Allah (ﷺ) ke maujood rehta tha, aur aise mauga par haazri rehta, jahaan log haazir naa rehte, aur wo baate'n yaad kar leta, jo doosre log yaad naa kar sakte the.
|
Baab 42: Ilmi Baato'n Ko Yaad Rakhna Ibn Abi Fudaik narrated the same as above (Hadith...119) but added that the Prophet (ﷺ) had moved his hands as if filling them with something and then he emptied them in the Rida' of Abu Huraira. Ibrahim bin Munzir ne bhi Abu Fudaik ke tareeq se Ibne Abi Za-ab se ye riwayat bayaan ki hai. Albatta us mein (غرف بیدیہ) ki jagah (غرف بیدیہ فیہ) ke alfaaz hain. I said to Allah's Apostle (ﷺ), "I hear many narrations (Hadiths) from you but I forget them." Allah's Apostle (ﷺ) said, "Spread your Rida' (garment)." I did accordingly and then he moved his hands as if filling them with something (and emptied them in my Rida') and then said, "Take and wrap this sheet over your body." I did it and after that I never forgot any thing. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Main aapse bohot si hadeese'n suntan hoo'n, lekin bhool jaata hoo'n. Aap ne farmaya: “Apni chaadar phailaao”. Maine chaadar phailaai to aap ne apne dono haatho'n se chullu sa banaaya (aur chaadar mein daal diya), Phir farmaya: “Isey apne oopar lapet lo”. Maine usey lapet liya, uske baad main koi cheez nahi bhoola.
|
Baab 42: Ilmi Baato'n Ko Yaad Rakhna Narrated Abu Huraira: I have memorized two kinds of knowledge from Allah's Apostle (ﷺ). I have propagated one of them to you and if I propagated the second, then my pharynx (throat) would be cut (i.e. killed). Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Rasool Allah (ﷺ) se (ilm ke) do (2) zarf (bartan) yaad kiye. Un mein se ek to maine zaahir kar diya hai. Agar doosre ko bhi zaahir kar du'n to mera ye gala kaat diya jaae.
|
Baab 43: Ulama Ki Baate'n Sunne Ke Liye Khamosh Rehna The Prophet (ﷺ) said to me during Hajjat-al-Wida': Let the people keep quiet and listen. Then he said (addressing the people), "Do not (become infidels) revert to disbelief after me by striking the necks (cutting the throats) of one another (killing each other)." Ravi Hazrat Jariri bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne Hajjatul Wida ke mauqa par unse farmaya: “Logo'n ko khamosh karaao”. Uske baad aapne farmaya: “Aye logo! Mere baad ek doosre ki gardane'n maar ke, phir kaafir naa ban jaana” .
|
Baab 44: Jab Aalim Se Poocha Jaae Ke Logo'n Mein Kaun Ziyaada Jaanne Waala Hai?... Jab Aalim Se Poocha Jaae Ke Logo'n Mein Kaun Ziyaada Jaanne Waala Hai? To Behtar Hai Ke Wo Apne Ilm Ko Allah Ke Hawaale Karde, Yaane “(اللّه اعلم)" Kehde Narrated Said bin Jubair: I said to Ibn 'Abbas, "Nauf-Al-Bakali claims that Moses (the companion of Khadir) was not the Moses of Bani Israel but he was another Moses." Ibn 'Abbas remarked that the enemy of Allah (Nauf) was a liar. The Prophet (ﷺ) said, "Once the Prophet Moses stood up and addressed Bani Israel. He was asked, "Who is the most learned man amongst the people. He said, "I am the most learned." Allah admonished Moses as he did not attribute absolute knowledge to Him (Allah). So Allah inspired to him "At the junction of the two seas there is a slave amongst my slaves who is more learned than you." Moses said, "O my Lord! How can I meet him?" Allah said: Take a fish in a large basket (and proceed) and you will find him at the place where you will lose the fish. So Moses set out along with his (servant) boy, Yusha' bin Nuin and carried a fish in a large basket till they reached a rock, where they laid their heads (i.e. lay down) and slept. The fish came out of the basket and it took its way into the sea as in a tunnel. So it was an amazing thing for both Moses and his (servant) boy. They proceeded for the rest of that night and the following day. When the day broke, Moses said to his (servant) boy: "Bring us our early meal. No doubt, we have suffered much fatigue in this journey." Moses did not get tired till he passed the place about which he was told. There the (servant) boy told Moses, "Do you remember when we betook ourselves to the rock, I indeed forgot the fish." Moses remarked, "That is what we have been seeking. So they went back retracing their foot-steps, till they reached the rock. There they saw a man covered with a garment (or covering himself with his own garment). Moses greeted him. Al-Khadir replied saying, "How do people greet each other in your land?" Moses said, "I am Moses." He asked, "The Moses of Bani Israel?" Moses replied in the affirmative and added, "May I follow you so that you teach me of that knowledge which you have been taught." Al-Khadir replied, "Verily! You will not be able to remain patient with me, O Moses! I have some of the knowledge of Allah which He has taught me and which you do not know, while you have some knowledge which Allah has taught you which I do not know." Moses said, "Allah willing, you will find me patient and I will not disobey you in aught. So both of them set out walking along the sea-shore, as they did not have a boat. In the meantime a boat passed by them and they requested the crew of the boat to take them on board. The crew recognized Al-Khadir and took them on board without fare. Then a sparrow came and stood on the edge of the boat and dipped its beak once or twice in the sea. Al-Khadir said: "O Moses! My knowledge and your knowledge have not decreased Allah's knowledge except as much as this sparrow has decreased the water of the sea with its beak." Al-Khadir went to one of the planks of the boat and plucked it out. Moses said, "These people gave us a free lift but you have broken their boat and scuttled it so as to drown its people." Al-Khadir replied, "Didn't I tell you that you will not be able to remain patient with me." Moses said, "Call me not to account for what I forgot." The first (excuse) of Moses was that he had forgotten. Then they proceeded further and found a boy playing with other boys. Al-Khadir took hold of the boy's head from the top and plucked it out with his hands (i.e. killed him). Moses said, "Have you killed an innocent soul who has killed none." Al-Kha,dir replied, "Did I not tell you that you cannot remain patient with me?" Then they both proceeded till when they came to the people of a town, they asked them for food, but they refused to entertain them. Then they found there a wall on the point of collapsing. Al-Khadir repaired it with his own hands. Moses said, "If you had wished, surely you could have taken wages for it." Al-Khadir replied, "This is the parting between you and me." The Prophet (ﷺ) added, "May Allah be Merciful to Moses! Would that he could have been more patient to learn more about his story with Al-Khadir. " Ravi Hazrat Saeed bin Jubair: Maine Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se arz kiya: Nauf Bakaali ye kehta hai ke Musa, Moosa Bani Israel nahi the, balke wo koi aur Moosa the. Unho'n ne farmaya: Ghalat kehta hai Allah ka dushman. Farmaya, Hazrat Ubi bin Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah ke Nabi Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ek din Bani Israel mein khutba dene ke liye khade hue, to unse poocha gaya: Sab logo'n mein badaa aalim kaun hai? Unho'n ne kaha: Main sabse bada aalim hoo'n. Allah ne un par itaab farmaya, kyou'nke unhor'n ne ilm ko Allah ke hawaale naa kiya. Phir Allah ne un par wahee bheji ke mere bando'n mein ek badnda, do (2) dariyaao'n ke milne ki jagah par, aisa hai, jo tujhse ziyaada ilm rakhta hai. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Aye parwardigaar! Meri unse kyou'nkar mulaqaat hogi? Hukum hua: Ek machli ko thaele mein rakho. Jaha'n wo gumm ho jaae, wohi uska thikaana hai. Phir Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) rawaana hue aur unka khaadim Yoosha bin Noon bhi saath tha. Un dono ne ek (1) machli ko thaele mein rakh liya. Jab ek patthar ke paas pohche to dono apne sar us par rakh kar so gae. Us dauraan mein machli thaele se nikal kar dariya mein chali gai, jisse Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) aur unke khaadim ko ta'ajjub hua. Phir dono baqiyya din aur ek raat chalte rahe. Subah ko Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne apne khaadim se kaha: Naashta laao! Ham to is safar se thak gae hain. Moosa jab tak us jagah se aage nahi nikal gae, jiska unhe'n hukum diya gaya tha, us waqt tak unho'n ne kuch thakaawat mehsoos na ki. Us waqt unke khaadim ne kaha: Kya aapne dekha ke jab ham patthar ke paas baithe the, to machli (nikal bhaagi thi aur main uska zikr karna) bhool gaya. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Ham to uski talaash mein the. Aakhir-o-dono khoj lagaate hue apne paao'n ke nishaano'n par waapas laute. Jab us patthar ke paas pohche, to dekha ke ek aadmi kapda lapete hue, yaa apne kapde mein lipta hua hai. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne usey salaam kiya. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Tere mulk mein salaam kaha'n se aaya? Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: (main yahaa'n ka rehne waala nahi hoo'n, balke) Main Moosa hoo'n. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Kya Bani Israel ke Moosa ho? Unho'n ne kaha: Hoon, Phir Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Kya main is ummeed par tumhare hamraah ho jaaou'n, jo kuch hidaayat ki tumhe'n taaleem di gai hai, wo mujhe bhi sikhaa doge. Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Tum mere saath rehkar sabr nahi kar sakoge. Musa! Baat dar-asl ye hai ke Allah Ta'ala ne ek (qism ka) ilm mujhe diya hai, jo tumhaare paas nahi hai, aur tumko ek qism ka ilm diya hai, jo mere paas nahi hai. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: In Sah Allah, tum mujhe saabit paaoge, aur main kisi kaam mein aap ki naa-farmaani nahi karoo'nga. Phir wo dono samandar ke kinaare chale, unke paas koi kashti na thi, itne mein ek kashti guzri, unho'n ne kashti waalo'n se kaha: Hame'n sawaar karlo. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) pehchaan liye gae, is liye kashti waalo'n ne baghair ujrat ke bithaa liya. Itne mein ek chidiyaa aai aur kashti ke kinaare baith kar usne samandar mein ek-do (1-2) chonche'n maaree'n. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) goya hue: Aye Musa! Mere aur tumhare ilm ne Allah ke ilm se sirf chidiya ki choch ki ba-qadar hissa liya hai. Phir Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kashti ke takhto'n mein se ek takhta ukhaad daala. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) kehne lagey un logo'n ne to hame'n baghair kiraae ke sawaar kiya aur aap ne ye kaam kiya ke unki kashti mein ched kar daala, taake ahle kashti ko gharq kar do. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne farmaya, Kya maine na keh diya tha, ke tum mere saath rehkar sabr nahi kar sakoge. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne jawaab diya: Meri bhool-chook par muwaakhaza na kare'n”. [Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ka pehla eteraaz bhool ki wajah se tha.] Phir dono (kashti se utar kar) chale, ek ladka mila, jo doosre ladko se khel raha tha. Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne uska sar pakad kar alag kar diya. Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) na kaha: Aap ne ek maasoom jaan ko naa-haq qatal kiya. Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Maine aapse nahi kaha tha, ke aap se mere saath sabr nahi ho sakega?” [Ibne Uyaynah ne kaha: Ye ziyaada taakeedi alfaaz hain (kyou'nke is mein لک ka izaafa hai)] “Phir dono chalte-chalte ek gaao'n ke paas pohche. Wahaa'n ke baashindo'n se unho'n ne khaana maanga to unho'n ne unki mehmaani karne se saaf inkaar kar diya. Isi dauraan mein dono ne ek deewaar dekhi, jo girne ke qareeb thi. Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne usey apne haath se sahaara de kar seedha kar diya. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Agar tum chaahte to us par ujrat le lete? Hazrat Khizar (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) bole: Bas yahaa'n se hamaare tumhaare darmiyan judaai ki ghadi aapohchi hai”. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) par rahem farmae! Ham jaante the, kaash Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) sabr karte to un ke aur haalaat bhi hamse bayaan kiye jaate” .
|
Baab 45: Jo Aalim Baitha Ho, Usse Khade-Khade Sawaal Karna Narrated Abu Musa: A man came to the Prophet (ﷺ) and asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! What kind of fighting is in Allah's cause? (I ask this), for some of us fight because of being enraged and angry and some for the sake of his pride and haughtiness." The Prophet (ﷺ) raised his head (as the questioner was standing) and said, "He who fights so that Allah's Word (Islam) should be superior, then he fights in Allah's cause." Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ki khidmat mein ek shakhs aaya aur poochne laga: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Allah ki raah mein ladna kisey kehte hain? Kyou'nke ham mein se koi ghusse ki wajah se ladta hai, aur koi hamiyyat ke sabab jung karta hai. Rasool Allah (ﷺ) ne uski taraf apna sar-e-mubarak uthaaya. Abu Moosa kehte hain: aap ne apna sar-e-mubarak is liye uthaaya tha ke wo khada tha. Phir aap (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs is liye lade ke Allah ka bol-baala ho, to aisee ladaai Allah Azzawajal ki raah mein hai” .
|
Baab 46: Ramee-e-Jamaar Ke Wagt Sawal Karna Aur Fatwa Dena Narrated 'Abdullah bin 'Amar: I saw the Prophet (ﷺ) near the Jamra and the people were asking him questions (about religious problems). A man asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I have slaughtered the Hadi (animal) before doing the Rami." The Prophet (ﷺ) replied, "Do the Rami (now) and there is no harm." Another person asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I got my head shaved before slaughtering the animal." The Prophet (ﷺ) replied, "Do the slaughtering (now) and there is no harm." So on that day, when the Prophet (ﷺ) was asked about anything as regards the ceremonies of Hajj performed before or after its due time his reply was, "Do it (now) and there is no harm." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) ko jamre ke qareeb baae'n-haalat dekha ek aapse saalaat kiye jaa rahe hain, chunache ek shakhs ne kaha: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Maine ramee se pehle qurbani Karli hai? Aap ne farmaya: “Ab ramee karlo, koi harj nahi”. Al-gharz kisi bhi cheez ki tagdeem-o-taakheer ke mutaalliq sawaal kiya gaya to aap ne uska jawaab diya: “Ab karlo, koi harj nahi”.
|
Baab 47: Irshaad-e-Baari Ta'ala: “Tumhe'n Sirf Thoda Sa Ilm Diya Gaya Hai” Ki Tafseer Narrated 'Abdullah: While I was going with the Prophet (ﷺ) through the ruins of Medina and he was reclining on a datepalm leaf stalk, some Jews passed by. Some of them said to the others: Ask him (the Prophet ﷺ) about the spirit. Some of them said that they should not ask him that question as he might give a reply which would displease them. But some of them insisted on asking, and so one of them stood up and asked, "O Abul-Qasim ! What is the spirit?" The Prophet (ﷺ) remained quiet. I thought he was being inspired Divinely. So I stayed till that state of the Prophet (while being inspired) was over. The Prophet (ﷺ) then said, "And they ask you (O Muhammad) concerning the spirit --Say: The spirit -- its knowledge is with my Lord. And of knowledge you (mankind) have been given only a little)." (17.85) Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main Nabi (ﷺ) ke saath madina ke veeraane mein chal rahe the. Raaste mein chand yahoodiyo'n ke paas se guzra hua. Unho'n ne aapas mein kaha: Unse rooh ke mutaalliq sawaal karo. Un mein se ek ne kaha: Tum unse aisa sawaal na karo, ke jiske jawaab mein wo aisee baat kahe'n, jo tumhe'n naa-gawaar guzre. Baaz ne kaha: Ham to zaroor pooche'nge. Aakhir un mein se ek shakhs khada hua aur kehne laga: Aye Abul Qaasim! Rooh kya cheez hai? Aap khamosh rahe. Maine (dil mein) kaha ke aap par wahee utar rahi hai, chunache main khada ho gaya. Jab wahee ki kaifiyat khatam ho gai to aap par ye aayat tilaawat ki, “(Aye Paighambar!) Ye Log Aapse Rooh Ke Mutaalliq Poochte Hain, Kehdo Ke Rooh Mere Maalik Ka Hukum Hai, Aur Unhe'n Bohot Kam Ilm Kiya Gaya Hai”.
|
Baab 48: Andesha-e-Kotaah-fahmi Ke Pesh-e-Nazar Kuch Pasandeeda Cheeze'n Tark Kar Dena Taake Log Kisi Sangeen Ghalati Mein Mubtalaa Naa Ho Jaae'n Narrated Aswad: Ibn Az-Zubair said to me, "Aisha used to tell you secretly a number of things. What did she tell you about the Ka'ba?" I replied, "She told me that once the Prophet (ﷺ) said, 'O 'Aisha! Had not your people been still close to the pre-Islamic period of ignorance (infidelity)! I would have dismantled the Ka'ba and would have made two doors in it; one for entrance and the other for exit." Later on Ibn Az Zubair did the same. Ravi Hazrat Aswad: Mujhse Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) tujhse bohot raaz ki baate'n farmaya karti thee'n, to Ka'abe ke mutaalliq unho'n ne tujhse kya hadees bayan ki hai? Maine kaha: Mujhse unho'n ne ye kaha tha: Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Aye Ayesha! Agar teri qaum ke logo'n ka zamaana qareeb naa hota”. ... Ibne Zubair ne kaha: Yaane kufr (jaahiliyyat) ke qareeb naa hota (nae-nae islam mein daakhil naa hue hote)... “To main Ka'abe ki is ta'ameer ko mandham kar deta aur uske do (2) darwaaze bana deta. Ek se log daakhil hote aur doosre darwaaze se nikal jaate”. Chunache Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (apne daur- e-hukumat mein) aisa hi kar diya. Chunache Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (apne daur-e-hukumat mein) aisa hi kar diya.
|
Baab 49: Ilmi Baate'n Kuch Logo'n Ko Batlaana Aur Kuch Ko Naa Batlaana, Us Andeshe Se Ke Wo Samajh Nahi Paae'nge. The above mentioned Statement of 'Ali. Ravi Hazrat Abu Tufail: Hazrat Abu Tufail se riwayat hai, wo Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se yehi irshad bayan karte hain. Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Logo'n ke saamne aisee baate'n bayan karo, jinhe'n wo pehchaante hain, kya tum chaahte ho ke Allah aur uske Rasool ki takzeeb ki jaae?
|
Baab 49: Ilmi Baate'n Kuch Logo'n Ko Batlaana Aur Kuch Ko Naa Batlaana, Us Andeshe Se Ke Wo Samajh Nahi Paae'nge. Narrated Anas bin Malik: "Once Mu'adh was along with Allah's Apostle (ﷺ) as a companion rider. Allah's Apostle (ﷺ) said, "O Mu'adh bin Jabal." Mu'adh replied, "Labbaik and Sa'daik. O Allah's Apostle!" Again the Prophet (ﷺ) said, "O Mu'adh!" Mu'adh said thrice, "Labbaik and Sa'daik, O Allah's Apostle!" Allah's Apostle (ﷺ) said, "There is none who testifies sincerely that none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is his Apostle, except that Allah, will save him from the Hell-fire." Mu'adh said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Should I not inform the people about it so that they may have glad tidings?" He (ﷺ) replied, "When the people hear about it, they will solely depend on it." Then Mu'adh narrated the above-mentioned Hadith just before his death, being afraid of committing sin (by not telling the knowledge). Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dafa Hazrat Moaaz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah sawaari par peeche baithe the, aap ne farmaya: “Aye Moaaz bin Jabal!” Unho'n ne arz kiya: Yaa Rasool Allah sl Saadat- mandi ke saath haazir hoo'n. Phir Aap ne farmaya: “Aye Moaaz!” Unho'n ne phir arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) main haazir hoo'n. Teen (3) martaba aisa hua. Phir aap ne farmaya: “Jo koi sacche dil se ye gawaahi de ke Allah ke siwa koi maabood-e-haqgeeqi nahi, aur Muhammad (ﷺ) uske Rasool hain to Allah us par dozakh ki aag haraam kar deta hai”. Hazrat Moaaz ne arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Kya main logo'n mein uski tash-heer naa karunga taake wo khush ho jaae'n? Aap ne farmaya: “Aisa karega to unhe'n usi par bharosa ho jaaega”. Phir Hazrat Moaaz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (apni wafaat ke qareeb, kitmaan-e-ilm ke) gunah se bachne ke liye ye hadees logo'n ko bayaan ki.
|
Baab 49: Ilmi Baate'n Kuch Logo'n Ko Batlaana Aur Kuch Ko Naa Batlaana, Us Andeshe Se Ke Wo Samajh Nahi Paae'nge. Narrated Anas: I was informed that the Prophet (ﷺ) had said to Mu'adh, "Whosoever will meet Allah without associating anything in worship with Him will go to Paradise." Mu'adh asked the Prophet (ﷺ), "Should I not inform the people of this good news?" The Prophet (ﷺ) replied, "No, I am afraid, lest they should depend upon it (absolutely)." Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Mujhse bayaan kiya gaya ke ek martaba Nabi (ﷺ) ne Hazrat Moaaz bin Jabar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: “Jo shakhs Allah se baae'n-haalat milega, ke usne Allah ke saath kisi ko sharek nahi kiya hoga to wo yageenan Jannat mein daakhil hoga”. Hazrat Moaaz (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) bole: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Kya main logo'n ko us baat ki bashaarat na suna doo'n? Aap ne farmaya: “Nahi, mujhe andesha hai ke log us par bharosa kar baithe'nge” .
|
Baab 50: Ilm Ke Liye Shara Se Kaam Lena (Durust Nahi) Hazrat Mujahid kehte hain: Hayaa karne waala aur takabbur karne waala ilm haasil nahi kar sakta. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Ansaar ki aurte'n kya khoob hain, unhe'n deen mein samajh haasil karne mein sharm daaman-geer nahi hoti. Narrated Um Salama: Um-Sulaim came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "Verily, Allah is not shy of (telling you) the truth. Is it necessary for a woman to take a bath after she has a wet dream (nocturnal sexual discharge?) The Prophet (ﷺ) replied, "Yes, if she notices a discharge." Um Salama, then covered her face and asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Does a woman get a discharge?" He (ﷺ) replied, "Yes, let your right hand be in dust (An Arabic expression you say to a person when you contradict his statement meaning "you will not achieve goodness"), and that is why the son resembles his mother." Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) Rasool Allah (ﷺ) ki paas aae'n aur arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Allah Ta'ala haq baat bayaan karne se nahi sharmata, kya aurat ko ehtelaam ho to a ghusl karna chaahiye? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Haa'n jabke (apne kapde par) paani dekhe”. Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne (sharm se) apna mu'n chupaa liya aur arz kiya: Rasool Allah (ﷺ) Kya aurat ko bhi ehtelaam hota hai? Aap ne farmaya: "Haan tera haath khaak aalooda ho, phir bacche ki soorat maa'n se kyou'nkar milti hai?”
|
Baab 50: Ilm Ke Liye Shara Se Kaam Lena (Durust Nahi) Narrated 'Abdullah bin 'Umar: Once Allah's Apostle (ﷺ) said, "Amongst the trees there is a tree, the leaves of which do not fall and is like a Muslim, tell me the name of that tree." Everybody started thinking about the trees of the desert areas and I thought of the date-palm tree but felt shy (to answer). The others asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! inform us of it." He (ﷺ) replied, "it is the date-palm tree." I told my father what had come to my mind and on that he (ﷺ) said, "Had you said it I would have preferred it to such and such a thing that I might possess." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Darakhto'n mein ek darakht aisa hai jiske pattey nahi jhadte. Uski shaan musalman ki tarah hai, batao wo kaunsa darakht hai?” Ye sun kar logo'n ke khayalaat jungle ke darakhto'n ki taraf gae, Lekin mere zehen mein ye aaya ke wo khajoor ka darakht hai. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: (lekin) Mujhe sharm daaman-geer ho gai. Logo'n ne arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ) Aap hi bataae'n wo kaunsa darakht hai? Aap ne farmaya: “Wo khajoor ka darakht hai”. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Maine apne waalid-e-giraami (Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se wo baat bayaan ki jo mere dil mein aai thi, to unho ne kaha: Kaash! Tumne ye baat kehdi hoti, to ye mere liye badi daulat hoti.
|
Baab 51: Sharm Ki Wajah se Doosro'n Ke Zariye Se Masla Dariyaaft Karna I used to get the emotional urethral discharge frequently so I requested Al-Miqdad to ask the Prophet (ﷺ) about it. Al-Miqdad asked him and he replied, "One has to perform ablution (after it)." Ravi Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Meri mazee* bohot nikla karti thi, maine Hazrat Miqdaad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha ke wo Nabi (ﷺ) se uska hukum pooche'n, chunache unho'n ne dariyaaft kiya to aap ne farmaya: “Mazee ke liye wazoo karna chaahiye”
|
Baab 52: Masjid Mein Ilm Ki Baate'n Karna Aur Fatwa Dena Narrated Nafi: 'Abdullah bin 'Umar said: "A man got up in the mosque and said: O Allah's Apostle (ﷺ) 'At which place you order us that we should assume the Ihram?' Allah's Apostle (ﷺ) replied, 'The residents of Medina should assure the Ihram from Dhil-Hulaifa, the people of Syria from Al-Ju,hfa and the people of Najd from Qarn." Ibn 'Umar further said, "The people consider that Allah's Apostle (ﷺ) had also said, 'The residents of Yemen should assume Ihram from Yalamlam.' " Ibn 'Umar used to say, "I do not: remember whether Allah's Apostle (ﷺ) had said the last statement or not?" Ravi Nafi: Hazrat Abdullah bin Umar(رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ek shakhs masjid mein khada hua aur kehne laga: Yaa Rasool Allah (ﷺ)! Aap hame'n kis muqaam se ehraam baandhne ka hukum dete hain? Aap ne farmaya: “Ahle Madina Dhul-Hulaifa se, Shaam ke log Johfa se, aur Najd ke baashinde Qarn se ehraam baandhe'n”. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha, Log kehte hain: Rasool Allah (ﷺ) ne ye bhi farmaya, “Yemen waale Yalamlam se ehraam baandhe'n” . Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kaha karte the: Maine Rasool Allah (ﷺ) se ye (aakhri) baat acchi tarah samajh nahi saka.
|
Baab 53: Sawaal Se Ziyaada Jawaab Dene Ka Bayaan Narrated Ibn 'Umar: A man asked the Prophet (ﷺ): "What (kinds of clothes) should a Muhrim (a Muslim intending to perform 'Umra or Hajj) wear? He (ﷺ) replied, "He should not wear a shirt, a turban, trousers, a head cloak or garment scented with saffron or Wars (kinds of perfumes). And if he has n slippers, then he can use Khuffs (leather socks) but the socks should be cut short so as to make the ankles bare." (See Hadith No. 615, Vol. 2). Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) se ek shakhs ne poocha: Jo shakhs ehraam baandhe wo kya pehne? Aap ne farmaya: “Na kurta, naa pagdi, naa pajama, na topi, aur naa wo kapda jis mein wars yaa zaafraan lagi ho, aur agar jooti na ho to mauze pehen le, aur unhe'n oopar se kaat le, taake wo takhno'n se neeche ho jaae'n”.
|
PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT