SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

2: Kitab-ul-Imaan - Imaaniyaat Ka Bayan
[Belief/كتاب الإيمان]
[8 To 58]


 

       Baab 1: Nabi (ﷺ) Ke Irshad-e-Giraami: “Islam Ki Buniyad paach Cheezo'n Par Hai”






Wazaahat :

Aur wo (imaan) qaul-o-fe'l (dono) par mushtamil hai, nez wo ziyadati aur kami ko qubool karta hai. Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “(Wohi hai jisne ahle imaan ke dilo'n mein tamaaniyat utaari) taake unke imaan mein mazeed imaan ki afzoni ho”. “(Wo chand naujawaan the, jo apne Rabb par imaan laae the) aur ham ne unko hidayat mein taraqqi bakhshi thi”. “Aur jo log raah-e-raast ikhtiyar karte hain Allah Ta'ala unko raast-rawi mein taraqqi ataa farmata hai”. Aur irshad-e-Baari Ta'ala hai. “Aur wo log jinho'n ne hidayat qubool ki, Allah ne unko (aur ziyada) hidayat mein badha diya aur unhe'n unka taqwa ataa farmaya”. Aur iman laane waalo'n ka iman badhe. Aur Allah Ta'ala ka farmaan hai: “(aur jab koi surah utarti hai to un mein se baaz wo log hain jo poochte hain ke) Usne tum mein se kiske imaan mein izaafa kiya hai? Tu jo haqeeqi ahle iman hote hain, wo surah unke iman mein izaafa karti hai”. Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “(Aur wo jin se logo'n ne kaha ke tumhare khilaaf badi fauje'n jamaa hain) Unse daro, to (ye sun kar) unka iman aur badh gaya”. Nez Allah Ta'ala ka farmaan: “Aur us cheez ne unke imaan-o-itaa-at mein aur izaafa kar diya”.
Aur Allah ke liye kisi se mohabbat karna uar bughz rakhna dakhil-e-imaan hai. Hazrat Umar bin Abdul Aziz ne (apne governer) Hazrat Adi bin Adi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko likha ke iman ke liye faraaez-0-ahkaam, nez hudood aur sunan hain. Jisne unko poora kiya, usne apne iman ko mukammal kiya aur jisne un tamam ko poora naa kiya, usne apne imaan ko naagis rakha. Agar main zinda raha to tumhare liye un tamam cheezo'n ko zaroor bayan karu'nga taake tum un par amal kar sako aur agar mujhe zindagi naa mili to mujhe bhi tumhare paas rehne ka utna shauq nahi hai. Hazrat Ibrahim ez ka qaul (quran mein naqal hua) hai: “Lekin main qalbi itmenan chahta hoo'n”. Hazrat Moaaz (bin Jabal) : ne (Hazrat Aswad bin Hilal se) kaha: Hamaare saath baith taake chand lamhaat ke liye apne iman ko taaza kar le'n. Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Yageen poora iman hai. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: Insan us waqt tak taqwa ki haqeeqat ko nahi paa sakta, jab tak aisee cheezo'n ko na chodh de, jo dil mein khatakti hoo'n. Imam Mujahid & (is irshad-e-baari ki tafseer mein) farmate hain: “Allah ne tumhare liye wohi deen muqarrar kiya hai (jiske qaem karne ka nuh ko hukum diya tha)”. Uska matlab ye haike aye Muhammad! Ham ne tumhe'n aur nuh ko ek hi deen ki
wasiyyat ki thi. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) “شرعة ومنهاجا‏ ” ki tafseer karte hue farmate hain. “der” se murad qaanoon-e- ilaahi aur lg wse murad us qaanoon par amal karne ka tareeqa hai.








       Baab 2: Tumhari Dua Se Muraad Tumhara Imaan Hai. 







Wazaahat :

Irshad-e-Baari Ta'ala Hai: “(Aye Paighambar!) Keh Deejiye: Agar Tumhari Dua Naa Hoti To Mera Rabb Tumhari Mutlaq Parwana Karta”. Aur Arabi lughat mein dua ke maane imaan bhi hain.


Narrated Ibn 'Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) said: Islam is based on (the following) five (principles):

1. To testify that none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah's Apostle.
2. To offer the (compulsory congregational) prayers dutifully and perfectly.
3. To pay Zakat (i.e. obligatory charity) .
4. To perform Hajj. (i.e. Pilgrimage to Mecca)
5. To observe fast during the month of Ramadan.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) 

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Islam ki buniyad 5 cheezo'n par hai, 
1. Us baat ki shahaadat ke Allah ke siwa koi maabood-e-haqeeqi nahi, aur ye ke Hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain, 
2. Namaz qaaem karna, 
3. Zakat ada karna, 
4. Hajj karna aur 
5. Ramzan ke roze rakhna”.



Reference : Sahih al-Bukhari 8

 : Book 2, Hadith 1





       Baab 3: Umoor Iman Ka Bayan







Wazaahat :

Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Saari Achaai Mashriq-o-Maghrib Ki Taraf Mu'n Kar Lene Hi Mein Nahi, Balke Haqeeqat Ke Etebaar Se Accha Wo Shakhs Hai, Jo Allah Ta'ala Par Qiyamat Ke din Par Farishto'n Par, Kitabullah Par Aur Ambiya Par Iman Rakhne Waala Ho. Aur Maal Se Mohabbat Karne Ke Ba-wujood Qaraabat-daaro'n, Yateemo'n, Miskeeno'n, Musaafiro'n Aur Sawaal Karne Waalo'n Ko De, Ghulamo'n Ko Aazaad Kare, Namaz Ki Paabandi Aur Zakat Ki Adaaegi Kare. Jab Waada Kare To Usey Poora Kare, Tang-dasti, Dukh-dard Aur Ladaai Ke Waqt Sabr Kare. Yehi Log Sacche
Hain, Aur Yehi Parehezgar Hain”. [Surah al Baqara: 177]

(Nez farmaya:) “Yageenan un mominon ne falah paai (jo apni namazo'n mein khushoo karne waale hain)... alakh”. [Surah al Mominoon: 1]


Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "Faith (Belief) consists of more than sixty branches (i.e. parts). And Haya (This term "Haya" covers a large number of concepts which are to be taken together; amongst them are self respect, modesty, bashfulness, and scruple, etc.) is a part of faith."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) se bayan karte hain ke Aap ne farmaya: “Iman ki 60 se kuch zaaed shaakhe'n hain, aur hayaa bhi imaan ki ek shakh hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 9

 : Book 2, Hadith 2





      Baab 4: Musalan Wo Hai Jiski Zuban Aur Haath Se Doosre Musalman Mehfooz Rahe’n







Narrated 'Abdullah bin 'Amr:

The Prophet (ﷺ) said, "A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue and hands. And a Muhajir (emigrant) is the one who gives up (abandons) all what Allah has forbidden."


Ravi Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: 
“Musalman wo hai, jiski zuban se aur haath se doosre musalman mehfooz rahe’n. Aur muhajir wo hai jo un kaamo’n ko chod de jise Allah Ta’ala ne manaa farmaya hai”.


Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne farmaya: 

Aur Abu Muawiya ne kaha: Hame’n (ye) hadees Dawood ne bayan ki, unko Amir (Sha’abi) ne, unho’n ne kaha: Maine Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas se suna, wo Nabi (ﷺ) se bayan karte hain. Aur Abdul Aala ne Dawood se bayan ki, unho’n ne Amir (sha’abi) se, unho’n ne Abdullah bin Amr bin Aas se, unho’n ne Nabi (ﷺ) se.



Reference : Sahih al-Bukhari 10

 : Book 2, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 
6484





     Baab 5: Kaunsa (Saaheb e) Islam Afzal Hai?






Narrated Abu Musa:

Some people asked Allah's Apostle 
(ﷺ), "Whose Islam is the best? i.e. (Who is a very good Muslim)?" 
He (ﷺ) replied, "One who avoids harming the Muslims with his tongue and hands."


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Wo kehte hain ke logo’n ne sawal kiya: “Aye Allah ke Rasool! Kaunsa (saaheb e) islam afzal hai?” 
Aapne farmaya: “Jiski zuban aur haath se doosre musalman mehfooz rahe’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 11

 : Book 2, Hadith 4




      Baab 6: Khana Khilaana, Islam Ka Hissa Hai






Narrated 'Abdullah bin 'Amr:
A man asked the Prophet (ﷺ), "What sort of deeds or (what qualities of) Islam are good?" 
The Prophet (ﷺ) replied, 'To feed (the poor) and greet those whom you know and those whom you do not Know.


Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Wo kehte hain ke logo’n ne sawal kiya: “Aye Allah ke Rasool! Kaunsa (saaheb e) islam afzal hai?” 
Aapne farmaya: “Jiski zuban aur haath se doosre musalman mehfooz rahe’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 12

 : Book 2, Hadith 5
 
: Also see Hadith No. 
28, 6236



       Baab 7: Apni Pasandeeda Cheez Ko Apne bhai Ke Liye Pasand Karna Imaan Ka Hissa Hai 







Narrated Anas: 

The Prophet (ﷺ) said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself."


Ravi Hazrat Ansa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi shakhs momin nahi ho sakta, yahaa’n tak ke apne bhai ke liye wohi cheez pasand kare, jo apne liye pasand karta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 13

 : Book 2, Hadith 6





       Baab 8: Rasool Allah (ﷺ) Se Mohabbat Bhi Imaan Ka Hissa Hai







Narrated Abu Huraira:

"Allah's Apostle (ﷺ) said, "By Him in Whose Hands my life is, none of you will have faith till he loves me more than his father and his children."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai! Tum mein se koi bhi imaandaar nahi ho sakta, taa-aa’nke main usey uske waalid aur uski aulaad se ziyaada mehboob naa ban jaaou’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 14

 : Book 2, Hadith 7





       Baab 8: Rasool Allah (ﷺ) Se Mohabbat Bhi Imaan Ka Hissa Hai







Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said "None of you will have faith till he loves me more than his father, his children and all mankind."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi momin nahi ho sakta, jab tak ke main uske nazdeek uske waalid, uski aulaad aur tamaam logo’n se ziyaada mehboob naa ho jaaou’n”



Reference : Sahih al-Bukhari 15

 : Book 2, Hadith 8





      Baab 9: Imaan Ki Mithaas Ka Bayaan






Narrated Anas:

The Prophet 
(ﷺ) said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:

1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else. 
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake. 
3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Teen (3) khaslate’n aisee hain ke jis mein ye paida ho jaae’n usne imaan ki sheerni ko paaliya. 

1. Allah aur uska Rasool uske nazdeek baaqi tamaam cheezo’n se ziyada mehboob ho’n.
2. Jis shakhs se bhi mohabbat rakhe mahez Allah ke liye mohabbat rakhe, aur 
3. Wo kufr mein laut jaane ko aisa bura khayaal karey jaisa ke aag mein giraae jaane ko bura samajhta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 16

 : Book 2, Hadith 9
 
: Also see Hadith No. 
21, 6041, 6941




       Baab 10: Ansaar Ki Mohabbat Imaan Ki Nishaani Hai 






Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "Love for the Ansar is a sign of faith and hatred for the Ansar is a sign of hypocrisy."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Iman ki nishaani ansaar se mohabbat rakhna aur nifaaq ki nishaani ansaar se bughz rakhna hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 17

 : Book 2, Hadith 10
 
: Also see Hadith No. 
3784





      Baab 11: Bila-Unwaan






Narrated 'Ubada bin As-Samit:

Who took part in the battle of Badr and was a Naqib (a person heading a group of six persons), on the night of Al-'Aqaba pledge: Allah's Apostle 
(ﷺ) said while a group of his companions were around him, "Swear allegiance to me for: 

1. Not to join anything in worship along with Allah. 
2. Not to steal. 
3. Not to commit illegal sexual intercourse. 
4. Not to kill your children. 
5. Not to accuse an innocent person (to spread such an accusation among people). 
6. Not to be disobedient (when ordered) to do good deed."

The Prophet 
(ﷺ) added: "Whoever among you fulfills his pledge will be rewarded by Allah. And whoever indulges in any one of them (except the ascription of partners to Allah) and gets the punishment in this world, that punishment will be an expiation for that sin. And if one indulges in any of them, and Allah conceals his sin, it is up to Him to forgive or punish him (in the Hereafter)." 
'Ubada bin AsSamit added: "So we swore allegiance for these." (points to Allah's Apostle (ﷺ))


Ravi Hazrat Ubaada bin Saamit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ubaada bin Saamit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai, aur ye Badari sahaabi aur Uqba waali raat ke naqba mein se ek naqeeb hain, Rasool Allah (ﷺ) ne, jab ke aapke ird-gird sahaaba ki ek jamat thi. Farmaya: “Tum sab mujhse ek baat par bait karo ke-

1. Allah ke saath kisi ko shareek naa thehraoge, 
2. Chori nahi karoge, 
3. Zina nahi karoge, 
4. Apni aulaad ko qatal nahi karoge. 
5. Apne haath aur pao’n ke saamne (deeda-daanista) kisi par iftara-pardazi nahi karoge, aur 
5. Acche kaamo’n mein naafarmani na karoge. 

Phir jo koi tum mein se ye ehed poora karega, uska sawab Allah ke zimme hai, aur jo koi un gunaho’n mein se kuch kar baithe aur usey duniya mein uski saza mil jaae to uska gunah utar jaaega. Aur jo koi un jaraem mein se kisi ka irtekaab kare, phir Allah ne duniya mein uski parda-poshi farmaai, to wo Allah ke hawaale hai, ke chaahe to (qiyamat ke din) usey sazaa de yaa maaf karde”. Ham ne un sab sharto’n par Rasool Allah (ﷺ) se bait Karli.



Reference : Sahih al-Bukhari 18

 : Book 2, Hadith 11
 
: Also see Hadith No.
 
3892, 3893, 3999, 4894, 6784, 6801, 6873, 7055, 7199, 7213, 7468





       Baab 12: Fitno’n Se Faraar Bhi Deen Ka Hissa Hai






Narrated Abu Said Al-Khudri:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "A time will come that the best property of a Muslim will be sheep which he will take on the top of mountains and the places of rainfall (valleys) so as to flee with his religion from afflictions."


Ravi Hazrat Abu Sayeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “o zamaana qareeb hai, jab musalman ka behtareen maal bakriyaa’n ho’ngi, jinko le kar wo pahaado’n ki chotiyo’n aur bearish ke muqamaat ki taraf nikal jaaega, aur fitno’n se raah-e-farar ikhteyaar karke apne deen ko bachaa le ga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 19

 : Book 2, Hadith 12
 
: Also see Hadith No. 
3300, 3600, 6495, 7088





       Baab 13: Farmaan-e-Nabawi (ﷺ)






Wahahat:

“Allah ke mutaalliq main tumse ziyaada jaanne waala hoo’n”. Aur is baat ka suboot ke ma’arefat dil ka fe’el hai, is liye ke Allah Ta’ala ka farmaan hai: “Uski Pakad Us Cheez Par Hogi, Jo Tumhare Dilo’n Ka Fe’el Hai”. [Surah Baqara: 225]


Narrated 'Aisha:

Whenever Allah's Apostle 
(ﷺ) ordered the Muslims to do something, he used to order them deeds which were easy for them to do, (according to their strength endurance). They said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! We are not like you. Allah has forgiven your past and future sins." 
So Allah's Apostle (ﷺ) became angry and it was apparent on his face. 
He (ﷺ) said, "I am the most Allah fearing, and know Allah better than all of you do."




Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unho’n ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) jab Sahaba Ikraam ko hukum dete to unhi kaamo’n ka hukum dete, jin ko wo ba-asaani kar sakte the. 
Unho’n ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool! Hamaara haal aap jaisa nahi hai. Allah ne aap ki agli pichli har kotaahi se darguzar farmaya hai”. 
Ye Sun kar Aap (ﷺ) is qadar naaraaz hue, ke aapke chehra-e-mubarak par ghusse ka asar zaahir hua, 
Phir aap ne farmaya: “Main tum sabse ziyaada parhezgaar aur Allah ko jaanne waala hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 20

 : Book 2, Hadith 13




     Baab 14: Jo Kufr Mein Jaana Us Tarah Naa-pasand Karta Ho, Jaise Aag Mein Phenka Jaana, To Ye Imaan Hi Se Hai







Narrated Anas:

The Prophet 
(ﷺ) said, "Whoever possesses the following three qualities will taste the sweetness of faith: 
1. The one to whom Allah and His Apostle become dearer than anything else. 
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake. 
3. Who hates to revert to disbelief (Atheism) after Allah has brought (saved) him out from it, as he hates to be thrown in fire."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: 
“Jis shakhs mein teen (3) khaslate’n ho’ngi, wo imaan ki sheerni paa le ga. 
1. Jis shakhs ko Allah aur uska rasool poori duniya se ziyaada mehboob ho’n, 
2. Jo shakhs kisi bande se mohabbat kare to sirf Allah ke liye kare, aur 
3. Jo shakhs kufr se nikalne ke baad kufr ki taraf lautne ko us tarah bura samjhe, goya usey aag mein daala jaa raha hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 21

 : Book 2, Hadith 14





     Baab 15: Ahle Imaan Ka Amaal Ke Lihaaz Se Ek Doosre Se Afzal Hona







Narrated Abu Said Al-Khudri:

The Prophet (ﷺ) said, "When the people of Paradise will enter Paradise and the people of Hell will go to Hell, Allah will order those who have had faith equal to the weight of a grain of mustard seed to be taken out from Hell. So they will be taken out but (by then) they will be blackened (charred). Then they will be put in the river of Haya' (rain) or Hayat (life) (the Narrator is in doubt as to which is the right term), and they will revive like a grain that grows near the bank of a flood channel. Don't you see that it comes out yellow and twisted"


Ravi Hazrat Abu Sayeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jannat waale Jannat mein aur jahannum waale jahannum mein chale jaae’nge, to Allah Ta’ala farmaega: Jis Shakhs Ke Dil Mein Raai Ke Daane Baraabar Imaan Ho, Usey Jahannum Se Nikaal Laao. To aise logon ko jahannum se nikaalan jaaega jo-ke jal kar siyaah ho chuke ho’nge. Phir unhe’n paani yaa zindagi ki neher mein daala jaaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 22 

 : Book 2, Hadith 15
 
: Also see Hadith No. 
4581, 4919, 6560, 6574, 7438, 7439 





       Baab 15: Ahle Imaan Ka Amaal Ke Lihaaz Se Ek Doosre Se Afzal Hona







Narrated Abu Said Al-Khudri:

Allah's Apostle 
(ﷺ) said, "While I was sleeping I saw (in a dream) some people wearing shirts of which some were reaching up to the breasts only while others were even shorter than that. Umar bin Al Khattab was shown wearing a shirt that he was dragging." The people asked, "How did you interpret it? (What is its interpretation) O Allah's Apostle (ﷺ)?" 
He (the Prophet ﷺ) replied, "It is the Religion."


Ravi Hazrat Abu Sayeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Main ek martaba so raha tha, ke ba-haalat-e-khwaab logo’n ko dekha, wo mere saamne laae jaate hain, aur wo kurta pehne hue hain. Baaz kurta chaatiyo’n tak hain, aur kuch logo’n ke usse bhi kam. Aur Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko mere saamne is haalat mein laaya gaya ke wo kurta pehne hue hain, aur usey zameen par ghaseet rahe hain”. 
Sahaaba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne poocha: “Aye Allah ke Rasool! Aap iski kya taabeer karte hain?” 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Deen”.



Reference : Sahih al-Bukhari 23

 : Book 2, Hadith 16
 
: Also see Hadith No. 
3691, 7008, 7009





 Baab 16: Hayaa Juzz-e-Imaan Hai






Narrated 'Abdullah (bin 'Umar):

Once Allah's Apostle 
(ﷺ) passed by an Ansari (man) who was admonishing to his brother regarding Haya'. 
On that Allah's Apostle (ﷺ) said, "Leave him as Haya' is a part of faith."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek ansari mard ke paas se guzre, jabke wo apne bhai ko samjha raha tha ke tu itni sharm kyou’n karta hai? 
Rasool Allah (ﷺ) ne usse farmaya: “Usey (uske haal par) chodde, kyou’nke sharm to imaan ka hissa hai.”



Reference : Sahih al-Bukhari 24

 : Book 2, Hadith 17
 
: Also see Hadith No. 6118
 





       Baab 17: Phir Agar Wo Tauba Kare’n, Namaz Qaaem Kare’n, Aur Zakat De’n To Unka Raasta Chod-do*







Narrated Ibn 'Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) said: "I have been ordered (by Allah) to fight against the people until they testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is Allah's Apostle (ﷺ), and offer the prayers perfectly and give the obligatory charity, so if they perform a that, then they save their lives an property from me except for Islamic laws and then their reckoning (accounts) will be done by Allah."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Mujhe hukum milaa hai ke main logo’n se jung jaari rakhu’n, yahaa’n tak ke wo us baat ki shahaadat de’n ke Allah ke siwaa koi maabood-e-haqeeqi nahi, aur Hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke rasool hain. Poore adaab se namaz adaa kare’n, aur zakat de’n. Jab wo ye karne lage’n, to unho’n ne apne maal-o-jaan ko mujhse bachaa liya, siwaae haq islam ke, aur unka hisaab Allah ke supurd hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 25

 : Book 2, Hadith 18
 
: *
[ Surah Tauba: 5]





       Baab 18: Us Shakhs Ki Daleel Jo Kehta Hai Ke Imaan Amal Hi Ka Naam Hai







Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Aur Ye Jannat Hai Jiske Tum Apne Amal Ke Badle Mein Waaris Bane Ho”. [ Surah Zukhruf: 76]
Nez, Quran-e-Majeed mein hai: “Qasam Hai Tere Rabb Ki! Ham Unse Zaroor Baaz-purs Kare’nge Har Us Cheez Ki Jo Wo Karte Rahe Hain”. [Surah Hijr: 92-93]
Is aayat ke mutaalliq aksar ahle ilm kehte hain ke isse muraad "لا إله إلا الله" ke mutaalliq sawal hona hai. Nez irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Aisee Hi Kamiyaabi Ke Liye Amal Karne Waalo’n Ko Amal Karna Chaahiye”. [Surah as Saaffaat: 61]


Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle 
(ﷺ) was asked, "What is the best deed?" 
He (ﷺ) replied, "To believe in Allah and His Apostle (Muhammad). 
The questioner then asked, "What is the next (in goodness)? 
He (ﷺ) replied, "To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's Cause." 
The questioner again asked, "What is the next (in goodness)?" 
He (ﷺ) replied, "To perform Hajj (Pilgrim age to Mecca) 'Mubrur, (which is accepted by Allah and is performed with the intention of seeking Allah's pleasure only and not to show off and without committing a sin and in accordance with the traditions of the Prophet)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) se dariyaaft kiya gaya:
“Kaunsa amal Afzal hai?”
Aap ne farmaya: “Allah aur Uske Rasool (ﷺ) par imaan laana”.
Sawaal kiya gaya: “Phir kaunsa?”
Farmaya: “Allah ki raah mein jihaad karna”.
Poocha gaya: “Phir kaunsa?”
Farmaya: “Wo Hajj, jo qubool ho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 26

 : Book 1, Hadith 19
 
: Also see Hadith No. 1519
 





     Baab 19: Agar Islaam Se Uske Haqeeqi (Sharai) maane Muraad Na Ho’n, Balkey Zaahiri Itaa-at Muraad Ho, Yaa Qatal Ke Khauf Se (Koi Shakhs) Musalman Kehelwaae (To Lughawi Haisiyat Se Ye Itlaaq Durust Hai) 









Irshaad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Dehaati Kehte Hain Ke Ham Imaan Laae. Aap Keh Deejiye! Tum Dar-haqeeqat Imaan Nahi Laae Ho, Balkey You’n Kaho Ke Ham Islaam Laae Hain (mukhaalifat chodkar itaa-at guzaar ho gae hain)”. [Surah al Hujaraat: 14]
Baaz auqaat islaam apne haqeeqi (sharai) maano’n mein istemaal hota hai, jaisa ke irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Yaqeenan Allah Ke Yahaa’n Deen To Islaam Hi Hai”.
Aur Jo Islam Ke Siwa Kisi Aur Deen Ka Mutalaashi Hoga, To Wo Usse Hargiz Qubool Nahi Kiya Jaaega. [ Surah aale Imran: 19]


Narrated Sa'd:

Allah's Apostle 
(ﷺ) distributed (Zakat) amongst (a group of) people while I was sitting there but Allah's Apostle (ﷺ) left a man whom I thought the best of the lot. 
I asked, "O Allah's Apostle! Why have you left that person? By Allah I regard him as a faithful believer." 
The Prophet (ﷺ) commented: "Or merely a Muslim." 
I remained quiet for a while, but could not help repeating my question because of what I knew about him. 
And then asked Allah's Apostle (ﷺ), "Why have you left so and so? 
By Allah! He is a faithful believer." 
The Prophet (ﷺ) again said, "Or merely a Muslim." 
And I could not help repeating my question because of what I knew about him. Then the Prophet (ﷺ) said, "O Sa'd! I give to a person while another is dearer to me, for fear that he might be thrown on his face in the Fire by Allah."


Ravi Hazrat Sa’ad bin Abi Waqaas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne chand logo’n ko kuch maal diya, aur (wo) Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) waha’n baithe the. Aap ne ek shakhs ko chod diya, yaane usey kuch na diya, halaa’nke wo tamaam logo’n mein se mujhe ziyaada pasand tha. 
Maine kaha: “Aye Allah ke Rasool! Aap ne fulaa’n shakhs ko chod diya, Allah ki qasam! Main to usey momin samajhta hoo’n”. 
Aap ne farmaya: “(momin) yaa musalman!”. 
Main thodi der khamosh raha, phir uske mutaalliq main jo jaanta tha, usne mujhe bolne par majboor kar diya. Maine dobaara arz kiya: “Aap ne fulaa’n shakhs ko kyou’n nazar-andaaz kar diya? Allah ki qasam! Main to usey momin khayaal karta hoo’n”. 
Aap ne farmaya: “(momin) yaa musalman!”. 
Main thodi der chup raha, phir uske mutaalliq main jo jaanta tha, usne mujhe majboor kiya, to maine teesri marataba wohi arz kiya, aur Rasool Allah (ﷺ) ne bhi wohi farmaya. 
Uske baad Aap goya hue: “Aye Sa’ad! Main ek shaksh ko kuch deta hoo’n, halaa’nke doosra shakhs mujhe usse ziyaada mehboob hota hai. Ye us andeshe ke pesh-e-nazar, ke kahee’n aisa naa ho, ke (wo apni kamzori ki wajah se islaam se phir jaae aur) Allah Ta’ala usey aundhe mu’n dozakh mein daal de”. 
Is hadees ko Yunus, Saaleh, Ma’amar, aur Zohri ke bhateeje ne bhi Zohri se riwayat hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 27

 : Book 2, Hadith 20
 
: Also see Hadith No. 1478





       Baab 20: Salaam Ki Ishaa-at Bhi Islaam Ka Hissa Hai






Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: 

“Teen (3) khaslate’n aisee hain, jisne unhe’n jamaa kar liya, usne imaan mukammal kar liya, apne nafs se insaaf karna, duniya mein salaam phailaana aur tang-dasti ke ba-wujood Allah ki raah mein kharch karna”.


Narrated 'Abdullah bin 'Amr:

A person asked Allah's Apostle 
(ﷺ), "What (sort of) deeds in or (what qualities of) Islam are good?" 
He (ﷺ) replied, "To feed (the poor) and greet those whom you know and those whom you don't know."


Ravi Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek shakhs ne Rasool Allah (ﷺ) se dariyaft kiya: Kaunsa islam behtar hai? 
Aap ne farmaya: “Tum khana khilaao, aashna aur naa-aashna sabko salaam karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 28

 : Book 2, Hadith 21 





     Baab 21: Khaawind Ki Naa-shukri Bhi Kufr Hai, Lekin Kufr-kufr Mein Farq Hai







Narrated Ibn 'Abbas: 

The Prophet (ﷺ) said: "I was shown the Hell-fire and that the majority of its dwellers were women who were ungrateful." 
It was asked, "Do they disbelieve in Allah?" (or are they ungrateful to Allah?) 
He (ﷺ) replied, "They are ungrateful to their husbands and are ungrateful for the favors and the good (charitable deeds) done to them. If you have always been good (benevolent) to one of them and then she sees something in you (not of her liking), she will say, 'I have never received any good from you."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Maine dozakh dekhi to waha’n aksar aurate’n thee’n (kyou’nke) wo kufr karti hain”. Logo’n ne kaha: “Kya wo Allah ke saath kufr karti hain?”
Aap ne farmaya: “Nahi, balkey wo apne khaawind ka kufr karti hain, yaane naa-shukri karti hain aur ehsaan farmaosh hain. Wo you’n ke agar tu saari umr aurat se accha sulook kare, phir wo maamuli se (naa-gawaar) baat tujh mein dekhe to kehne lagti hai, ke mujhe tujhse kabhi araam nahi mila”.



Reference : Sahih al-Bukhari 29 

 : Book 2, Hadith 22
 
: Also see Hadith No.
 
731, 738, 1052, 3202, 5197





      Baab 22: Gunah, Jaahiliyyat Ke Kaam Hain Aur Unka Murtakib Kaafir Nahi Hota, Albatta Shirk Ka Murtakib (yaa kufr ka motaqid) Zaroor Kaafir Ho Jaata Hai 






Farmaan-e-Nabawi (ﷺ) hai: 

“(Aye Abu Zar! Tere andar abhi jaahiliyyat ki khaslat baaqi hai”.


Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Allah Ta’ala Shirk Ko Moaaf Nahi Karega, Uske Alaawa Jis Gunah Ko Chaahega Bakhsh De Ga”. [Surah an Nisa: 48]


Narrated Al-Ma'rur:

At Ar-Rabadha I met Abu Dhar who was wearing a cloak, and his slave, too, was wearing a similar one. I asked about the reason for it. 
He replied, "I abused a person by calling his mother with bad names." 
The Prophet (ﷺ) said to me, 'O Abu Dhar! Did you abuse him by calling his mother with bad names You still have some characteristics of ignorance. Your slaves are your brothers and Allah has put them under your command. So whoever has a brother under his command should feed him of what he eats and dress him of what he wears. Do not ask them (slaves) to do things beyond their capacity (power) and if you do so, then help them.' "


Ravi Hazrat Ma’aroor (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ):

Hazrat Ma’aroor (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke main Rabzah (jagah) mein Hazrat Abu Zar Ghaffari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se mila. Dekha to unho’n ne aur unke Ghulam ne ek jaisa joda zeb-tan kiya hua hai. 
Maine unse uski baabat poocha to unho’n ne farmaya: “Maine ek shakhs ko baae’n-taur gaali di, ke usey maa ki aar dilaai”. 
Nabi-e-Akram (ﷺ) ne (ye sun kar) farmaya: “Toone usey uski maa’n se aar dilaai hai? Abhi tak tujh mein jaahiliyyat ka asar baaqi hai. Tumhaare Ghulam tumhaare bhai hain, unhe’n Allah Ta’ala ne tumhare tasarruf mein rakha hai. Chunache jis shakhs ka bhai uske qabze mein ho, usey chaahiye ke usey wohi khilaae jo khud khaata hai, aur usey wohi libaas pehnaae, jo wo khud pehenta hai. Aur unse wo kaam naa lo, jo unki taaqat se ziyaada ho, aur agar aise kaam ki unhe’n zehmat do, to khud bhi unka haath bataao”.



Reference : Sahih al-Bukhari 30

 : Book 2, Hadith 23
 
: Also see Hadith No.
 2545, 6050





       Baab: Aur Agar Ahle Imaan Mein Se Do (2) Giroh Aapas Mein Qitaal Kare’n To Unke Darmiyan Sulah Karaado.* 







Is Muqaam Par Allah Ta’ala Ne Jung-o-Qitaal Ke Ba-wujood Dono Giroho’n Ke Liye Lafz-e-Momineen Istemaal Farmaya Hai.


Narrated Al-Ahnaf bin Qais:

While I was going to help this man ('Ali Ibn Abi Talib), Abu Bakra met me and asked, "Where are you going?" 
I replied, "I am going to help that person." 
He said, "Go back for I have heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, 'When two Muslims fight (meet) each other with their swords, both the murderer as well as the murdered will go to the Hell-fire.' 
I said, 'O Allah's Apostle! It is all right for the murderer but what about the murdered one?' Allah's Apostle (ﷺ) replied, "He surely had the intention to kill his companion."


Ravi Ahnaf bin Qais:

Ahnaf bin Qais ka bayan hai ke main us shakhs (Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) ki madad ke liye chala. Raaste mein mujhe Hazrat Abu Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) miley. 
Unho’n ne poocha: “Kaha’n ka iraada hai?” 
Maine kaha: “Mera iraada us shakhs ki madad karne ka hai”. 
Unho’n ne farmaya: “Waapas ho jaao, maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai: Jab do (2) musalman apni apni talwaare’n le kar aapas mein lad-pade’n to qaatil aur maqtool dono jahannumi hain”. 
Maine arz kiya: “Aye Allah ke Rasool! Ye to qaatil hai (uska jahannumi hona samah mein aata hai) lekin maqtool ka kya jurm hai?”
Aap ne farmaya: “Uski khwahish bhi doosre saathi ko qatal karne ki thi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 31

 : Book 2, Hadith 24
 
: Also see Hadith No. 
6875, 7083
 : *[Surah al Hujaraat: 9]





       Baab 23: Ek Zulm Ka Doosre Zulm Se Kamtar Hona






Narrated 'Abdullah:

When the following Verse was revealed: "It is those who believe and confuse not their belief with wrong (worshipping others besides Allah.)" (6:83), the companions of Allah's Apostle 
(ﷺ) asked, "Who is amongst us who had not done injustice (wrong)?" 
Allah revealed: "No doubt, joining others in worship with Allah is a great injustice (wrong) indeed." (31.13)


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: “Jo Log Imaan Laae Aur Unho’n Ne Apne Imaan Ko Zulm Ke saath Alooda Nahi Kiya, Wohi Log Hain Jinke Liye Aman Hai, Aur Wohi Hidaayat Yaafa Hain” [ Surah al Anaam: 82 ]
To Nabi (ﷺ) ke Sahaba Ikraam (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “(Aye Allah ke rasool!) Ham mein se kaun aisa hai, jisne zulm nahi kiya?” Tab Allah Ta’ala ne ye aayat utaari: “Yaqeenan Shirk Zulm-e-Azeem Hai”. [Surah Luqman: 13]



Reference : Sahih al-Bukhari 32 

 : Book 2, Hadith 25
 
: Also see Hadith No. 
3360, 3428, 3429, 3629, 4776, 6918, 6937 





      Baab 24: Munaafiq Ki Nishaniyaa’n






Narrated Abu Huraira: 

The Prophet (ﷺ)said, "The signs of a hypocrite are three: 
1. Whenever he speaks, he tells a lie. 
2. Whenever he promises, he always breaks it (his promise ). 
3. If you trust him, he proves to be dishonest. (If you keep something as a trust with him, he will not return it.)"


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Munaafiq ki teen (3) nishaaniya’n hain:
1. Jab baat kahe to jhoot bole, 
2. Jab waada kare to khilaaf-warzi kare, aur 
3. Jab uske paas amaanat rakhi jaae to khayaanat kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 33

 : Book 1, Hadith 26
 
: Also see Hadith No. 
2682, 2749, 6095





     Baab 24: Munaafiq Ki Nishaniyaa’n






Narrated 'Abdullah bin 'Amr:

The Prophet 
(ﷺ) said, "Whoever has the following four (characteristics) will be a pure hypocrite and whoever has one of the following four characteristics will have one characteristic of hypocrisy unless and until he gives it up. 
1. Whenever he is entrusted, he betrays. 
2. Whenever he speaks, he tells a lie. 
3. Whenever he makes a covenant, he proves treacherous. 
4. Whenever he quarrels, he behaves in a very imprudent, evil and insulting manner."


Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: 
“Chaar (4) baate’n jis mein ho’ngi, wo to khaalis munaafiq hoga. Aur jis mein un mein se koi ek (1) bhi hogi, us mein nifaaq ki ek (1) khaslat hogi. Yahaa’n tak ke wo usey tark karde. 

1. Jab uske paas amaanat rakhi jaae, to khayaanat kare, 
2. Jab baat kare to jhoot bole, 
3. Jab ehed kare to daghabaazi kare, aur 
4. Jhagde to be-hooda bakwaas kare”. 

Is hadees ko Shu’ba ne bhi Amash se riwayat karne mein (Sufiyan ki) mataabeat ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 34

 : Book 1, Hadith 27
 
: Also see Hadith No. 
2459, 3178 





    Baab 25: Shab-e-Qadar Ka Qiyaam Bhi Juzz-e-Imaan Hai






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Whoever establishes the prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping to attain Allah's rewards (not to show off) then all his past sins will be forgiven."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Jo shakhs imaan ka taqaaza samajh kar sawab ki niyyat se shab-e-qadar ka qiyaam karega, uske saabeqa gunah bakhsh diye jaae’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 35

 : Book 2, Hadith 28
 
: Also see Hadith No. 
37, 38, 1901, 2008, 2009, 2014





      Baab 26: Jihaad Imaan Ka Hissa Hai






Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "The person who participates in (Holy battles) in Allah's cause and nothing compels him to do so except belief in Allah and His Apostles, will be recompensed by Allah either with a reward, or booty (if he survives) or will be admitted to Paradise (if he is killed in the battle as a martyr). Had I not found it difficult for my followers, then I would not remain behind any sariya going for Jihad and I would have loved to be martyred in Allah's cause and then made alive, and then martyred and then made alive, and then again martyred in His cause."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala us shakhs ke liye zimmedaari leta hai, jo uski raah mein (jihaad ke liye) nikle. Usey ghar se sirf is baat ne nikaala, ke wo mujh (Allah) par imaan rakhta hai, aur mere rasoolo’n ki tasdeeq karta hai, to main usey us sawaab yaa maal-e-ghanimat ke saath waapas karu’nga, jo usne jihaad mein paaya. Yaa usey (Shaheed banakar) jannat mein daakhil karu’nga”. 
Aur (Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya): “Agar main apni ummat ke liye usey dushwaar naa samajhta, to kabhi chote se chote lashkar se bhi peeche naa baith rehta aur meri ye aarzu hai ke Allah ki raah mein maara jaaou’n, phir zinda kiya jaaou’n, phir maara jaaou’n, phir zinda kiya jaaou’n, phir maara jaaou’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 36

 : Book 2, Hadith 29
 
: Also see Hadith No. 2787, 2797, 2972, 3123, 7226, 7227, 7457, 7463 





       Baab 27: Ramzan Mein Taraweeh Padhna Bhi Imaan Ka Hissa Hai







Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said: "Whoever establishes prayers during the nights of Ramadan faithfully out of sincere faith and hoping to attain Allah's rewards (not for showing off), all his past sins will be forgiven."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Jo shakhs ramzan mein imandaar ho kar, husool-e-sawaab ke liye raat ke waqt qiyaam karega, to uske saabeqa gunah maaf kar diye jaae’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 37

 : Book 2, Hadith 30





      Baab 28: Sawaab Ki Niyyat Se Ramzan Ke Rozey Rakhna Imaan Ka Hissa Hai







Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Whoever observes fasts during the month of Ramadan out of sincere faith, and hoping to attain Allah's rewards, then all his past sins will be forgiven."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Jis shakhs ne apne imaan ke pesh-e-nazar husool-e-sawaab ke liye maah-e-ramzan ke rozey rakhe, uske tamaam guzishta gunah bakhsh diye jaae’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 38

 : Book 2, Hadith 31




    Baab 29: Deen Asaan Hai






Farmaan-e-nabawi (ﷺ) hai: 

“Allah ke nazdeek sabse ziyaada mehboob deen, deen-e-haneef hai, jiski buniyad sahoolat par rakhi gai hai”.


Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "Religion is very easy and whoever overburdens himself in his religion will not be able to continue in that way. So you should not be extremists, but try to be near to perfection and receive the good tidings that you will be rewarded; and gain strength by worshipping in the mornings, the nights." (See Fath-ul-Bari, Page 102, Vol 1).


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: 
“Beshak deen-e-islaam bohot asaan hai, aur jo shakhs deen mein sakhti karega, to deen us par ghaalib aajaaega. Is liye miyaana-rawi ikhteyaar karo, aur (etedaal ke saath) qareeb raho, aur khush ho jaao. Subah aur dopaher ke baad aur kuch raat mein ibaadat karne se madad haasil karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 39

 : Book 2, Hadith 32
 
: Also see Hadith No. 
5673, 6463, 7235





  Baab 30: Namaz Bhi Imaan Ka Juzz Hai






Irshad Baari Ta’ala hai: 

“Allah Ta’ala Tumhaare Imaan Ko Zaae Karne Aala Nahi Hai”. [Surah Baqara: 143]
Isse muraad bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n kar ke adaa ki gai namaze’n hain.


Narrated Al-Bara' (bin 'Azib):

When the Prophet 
(ﷺ) came to Medina, he stayed first with his grandfathers or maternal uncles from Ansar. He offered his prayers facing Baitul-Maqdis (Jerusalem) for sixteen or seventeen months, but he wished that he could pray facing the Ka'ba (at Mecca). The first prayer which he offered facing the Ka'ba was the 'Asr prayer in the company of some people. Then one of those who had offered that prayer with him came out and passed by some people in a mosque who were bowing during their prayers (facing Jerusalem). 
He said addressing them, "By Allah, I testify that I have prayed with Allah's Apostle facing Mecca (Ka'ba).' Hearing that, those people changed their direction towards the Ka'ba immediately. Jews and the people of the scriptures used to be pleased to see the Prophet (ﷺ) facing Jerusalem in prayers but when he changed his direction towards the Ka'ba, during the prayers, they disapproved of it. 

Al-Bara' added, "Before we changed our direction towards the Ka'ba (Mecca) in prayers, some Muslims had died or had been killed and we did not know what to say about them (regarding their prayers.) Allah then revealed: And Allah would never make your faith (prayers) to be lost (i.e. the prayers of those Muslims were valid).' " (2:143).


Ravi Hazrat Bara bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab (hijrat karke) Madina tashreef laae to pehle apne dadhiyaal yaa nanhiyaal, jo ansaar se the, ke yahaa’n utre aur (madina mein) 16 yaa 17 mahine bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n karke namaz padhte rahe. Albatta aap chaahte the ke aap ka qibla ka’abe ki taraf ho jaae (chunaache ho gaya). 
Aur pehle namaz jo aap ne (Ka’abe ki taraf) padhi, wo asar ki namaz thi, aur aapke hamra kuch aur log bhi the, phir un mein se ek shakhs nikla aur kisi masjid waalo’n ke paas se uska guzra hua, wo (bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n kiye hue) rukoo ki haalat mein the, to usne kaha: “Main Allah ko gawah banakar kehta hoo’n ke maine Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah makkah ki taraf namaz padhi hai”. (ye sunte hi) Wo log jis haalat mein the, usi haalat mein baitullah ki taraf phir gae aur jab aap bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n karke namaz padhte the, to yahoodi aur doosre ahle kitab (nasaara) bohot khush hote the, lekin jab aap ne apna mu’n baitullah ki taraf pher liya to ye unhe’n bohot naagawaar guzra.

Isi hadees mein Zuhair (raawi) ne ba-waasta-e-Abu Ishaq, Baraa se ye bhi bayan kiya ke tahweel-e-qibla se pehle kuch log faut aur Shaheed ho chuke the. Unke mutaalliq hame’n maloom naa tha, ke unhe’n namazo’n ka sawab milega yaa nahi? To Allah Ta’ala ne ye aayat utaari: “Aisa Nahi Hai Ke Allah Ta’ala Tumhara Imaan (namaze’n) Zaae Karde”. [Surah Baqara: 143, Muddasir: 31]



Reference : Sahih al-Bukhari 40

 : Book 2, Hadith 33





       Baab 31: Admi Ke Islam Ki Khoobi






Narrated Abu Said Al-Khudri:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "If a person embraces Islam sincerely, then Allah shall forgive all his past sins, and after that starts the settlement of accounts, the reward of his good deeds will be ten times to seven hundred times for each good deed and one evil deed will be recorded as it is unless Allah forgives it."


Ravi Hazrat Abu Sayeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) se suna, aap farma rahe the: 
“Jab koi banda musalman ho jaata hai, phir islam par acchi tarah ka kaar-band rehta hai, to Allah Ta’ala uske tamaam gunaaho’n ko moaaf kar deta hai, jin ka usne qabl az islaam irtekaab kiya tha. Aur uske baad phir qisaas ka usool chalta hai ke ek neki ka badla 10 gunaa se le kar 700 gunaa tak diya jaata hai, aur buraai ka badla to buraai ke mutaabiq hi diya jaata hai, magar ye ke Allah Ta’ala usse darguzar farmaa le”.



Reference : Sahih al-Bukhari 41

 : Book 1, Hadith 34 





      Baab 31: Admi Ke Islam Ki Khoobi






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "If any one of you improve (follows strictly) his Islamic religion then his good deeds will be rewarded ten times to seven hundred times for each good deed and a bad deed will be recorded as it is."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

[Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Jab tum mein se koi apne islam ko accha kare to har wo acchai jisko wo bajaa laaega, 10 gunaa se 700 guna tak likhi jaaegi, aur har wo bura kaam jo wo karta hai to wo utna hi likha jaata hai (jitna usne kiya hai)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 42

 : Book 1, Hadith 35





       Baab 32: Allah Ta’ala Ko Deen (ka) Wo (amal) Bohot Pasand Hai Jo Hamesha Kiya Jaae







Narrated 'Aisha:

Once the Prophet 
(ﷺ) came while a woman was sitting with me. 
He (ﷺ) said, "Who is she?" 
I replied, "She is so and so," and told him about her (excessive) praying. 
He (ﷺ) said disapprovingly, "Do (good) deeds which is within your capacity (without being overtaxed) as Allah does not get tired (of giving rewards) but (surely) you will get tired and the best deed (act of Worship) in the sight of Allah is that which is done regularly."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ek martaba unke paas tashreef laae, waha’n ek aurat baithi hui thi. 
Aapne poocha: “Ye kaun hai?” 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “Ye fulaa’n aurat hai aur uski (kasrat e) namaz ka haal bayan karne lage’n”. 
Aap ne farmaya: “Ruk jaao! Tum apne zimme sirf wohi kaam lo jo (hamesha) kar sakte ho. Allah ki qasam! Allah Ta’ala sawaab dene se nahi uktaata, tum hi ibaadat karne se thak jaaoge. Aur Allah Ta’ala ko sabse ziyaada mehboob, itaa-at ka wo kaam hai jiska karne waala us par hameshgi kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 43

 : Book 2, Hadith 36
 
: Also see Hadith No. 1151 





   Baab 33: Imaan Mein Kami-beshi Ka Bayaan






Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“(Ye chand naujawaan (ashaab-e-kahaf) apne Rabb par imaan laae the) Aur Ham Ne Unko Hidaayat Mein Taraqqi Di Thi”. [Surah Kahaf: 13]
“Aur Taake Ahle Imaan Ke Imaan Mein Izaafa Ho Jaae”. [Surah Muddasir: 31]
Nez farmaya: “Aaj Ke Din Maine Tumhaare Liye Tumhaara Deen Mukammal Kar Diya Hai”. [Surah Maaida: 3 ]
Aur jab kamaal mein se koi cheez baaqi reh jaae, to usko kami kaha jaata hai.


Narrated Anas:

The Prophet 
(ﷺ) said, "Whoever said "None has the right to be worshipped but Allah and has in his heart good (faith) equal to the weight of a barley grain will be taken out of Hell. 
And whoever said: "None has the right to be worshipped but Allah and has in his heart good (faith) equal to the weight of a wheat grain will be taken out of Hell. 
And whoever said, "None has the right to be worshipped but Allah and has in his heart good (faith) equal to the weight of an atom will be taken out of Hell."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: 
“Jisne "لا إله إلا الله" kaha aur uske dil mein ek jau ko baraabar neki (imaan) ho, wo dozakh se (zaroor) niklega. Aur jisne "لا إله إلا الله" kaha aur uske dil mein ek zarra baraabar neki (imaan) ho, wo bhi dozakh se (zaroor) niklega”.

Hazrat Imam Abu Abdullah Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain: 

“Abaan ne ba-riwaayat Qatada, ba-waasta-e-Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se lafz-e-khair ki jagah "imaan" ka lafz naqal kiya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 44

 : Book 2, Hadith 37 
 
: Also see Hadith No. 4476, 6565, 7410, 7440, 7509, 7510, 7516 





        Baab 33: Imaan Mein Kami-beshi Ka Bayaan






Narrated 'Umar bin Al-Khattab:

Once a Jew said to me, "O the chief of believers! There is a verse in your Holy Book Which is read by all of you (Muslims), and had it been revealed to us, we would have taken that day (on which it was revealed as a day of celebration." 
'Umar bin Al-Khattab asked, "Which is that verse?" 
The Jew replied, "This day I have perfected your religion For you, completed My favor upon you, And have chosen for you Islam as your religion." (5:3) 
'Umar replied,"No doubt, we know when and where this verse was revealed to the Prophet (ﷺ). It was Friday and the Prophet was standing at 'Arafat (i.e. the Day of Hajj)"


Ravi Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek yahoodi ne unse kaha: “Aye Ameer-ul-Momineen! Tumhaari kitab (Quran) mein ek aisee aayat hai jise tum padhte rehte ho, agar wo aayat ham yahoodiyo’n par naazil hoti to ham us din ko eid ka din thehraa lete”.
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “Wo kaunsi aayat hai?” 
Yahoodi bola ye aayat: “Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Kaamil Kar Diya Aur Tum Par Apni Nemat Poori Kardi Aur Deen-e-Islam Ko Tumhaare Liye Pasand Kar Liye”. [ Surah al Maaida: 3]
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: “Ham us din aur us muqaam ko jaante hain jis mein ye aayat Nabi (ﷺ) par naazil hui. Ye aayat juma ke din utri jab Aap arafaat mein khade the”.



Reference : Sahih al-Bukhari 45

 : Book 2, Hadith 38
 
: Also see Hadith No. 
4407, 4606, 7268 





Baab 34: Zakat, Islam Ka Hissa (rukn) Hai






Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Unhe’n Sirf Yehi Hukum Diya gaya Tha Ke Yaksoo Ho Kar Ibaadat Allah Ke Liye Khaas Rakhe’n, Namaz Qaaem Kare’n, Zakat Dete Rahe’n, Yehi Mazboot Deen Hai”. [ Surah Baiyyinah: 5]


Narrated Talha bin 'Ubaidullah:

A man from Najd with unkempt hair came to Allah's Apostle and we heard his loud voice but could not understand what he was saying, till he came near and then we came to know that he was asking about Islam. 
Allah's Apostle (ﷺ) said, "You have to offer prayers perfectly five times in a day and night (24 hours)." 
The man asked, "Is there any more (praying)?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "No, but if you want to offer the Nawafil prayers (you can)." 
Allah's Apostle (ﷺ) further said to him: "You have to observe fasts during the month of Ramad, an." 
The man asked, "Is there any more fasting?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "No, but if you want to observe the Nawafil fasts (you can.)" 
Then Allah's Apostle (ﷺ) further said to him, "You have to pay the Zakat (obligatory charity)."
The man asked, "Is there any thing other than the Zakat for me to pay?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "No, unless you want to give alms of your own." 
And then that man retreated saying, "By Allah! I will neither do less nor more than this."

Allah's Apostle (ﷺ) said, "If what he said is true, then he will be successful (i.e. he will be granted Paradise)." 


Ravi Hazrat Talha bin Obaidullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Talha bin Obaidullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke ahle najd se ek shakhs paraaganda mu (baal) Rasool Allah (ﷺ) ke paas aaya. Ham uski awaaz ki gan-ganaahat sun rahe the, magar ye naa samajhte the ke kya kehta hai, taa-aa’nke wo nazdeek aapohcha. Tab maloom hua ke wo islam ke mutaalliq pooch raha hai. 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Din raat mein paanch (5) namaze’n hain”. 
Usne kaha: “Unke alaawa (bhi) mujh par koi namaz farz hai?” 
Aap ne farmaya: “Nahi, magar ye to koi apni khushi se padhe”. 
(Phir) Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aur ramzan ke roze rakhna”. 
Usne arz kiya: “Aur to koi roza mujh par farz nahi?” 
Aapne farmaya: “Nahi, magar ye ke tu apni khushi se rakhe”. 
Hazrat Talha kehte hain, Rasool Allah (ﷺ) ne usse zakat ka bhi zikr kiya. 
Usne kaha: “Mujh par uske alaawa (koi aur sadqa bhi) farz hai?” 
Aapne farmaya: “Nahi, magar ye ke tu apni khushi se de”. 
Hazrat Talha ne kaha: “Phir wo shakhs ye kehta hua peeche hata, Allah ki Qasam! Main usse ziyaada yaa kam nahi karu’nga”. 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar ye sach keh raha hai tu kamiyaab ho gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 46

 : Book 2, Hadith 39
 
: Also see Hadith No. 
1891, 2678, 6956 





Baab 35: Janaaze Ke saath Jaana Imaan Ka Hissa Hai






Narrated Abu Huraira: 

Allah's Apostle (ﷺ) said, "(A believer) who accompanies the funeral procession of a Muslim out of sincere faith and hoping to attain Allah's reward and remains with it till the funeral prayer is offered and the burial ceremonies are over, he will return with a reward of two Qirats. Each Qirat is like the size of the (Mount) Uhud. He who offers the funeral prayer only and returns before the burial, will return with the reward of one Qirat only."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Jo koi imandaar ho kar husool-e-sawaab ki niyyat se kisi musalman ke janaaze ke saath jaae aur namaz aur dafan se faarigh hone tak uske saath rahe to wo do (2) qiraat sawaab le kar waapas aata hai. Har qiraat ohud pahaad ke baraabar hai, aur jo shakhs janaaza padhkar dafan se pehle laut aae to-o-ek qiraat sawaab le kar laut-ta hai”.


Usman al Moazzin (raawi) ne Awf se bayan karne mein Rauh (ki mataabeat ki hai, chunache usne kaha: “Hame’n Auf ne Muhammad se, unho’n ne Hazrat Abu Huraira se, unho’n ne Nabi (ﷺ) se uski tarah bayan kiya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 47

 : Book 2, Hadith 40
 
: Also see Hadith No. 1323, 1325 





     Baab 36: Momin Ko Darna Chaahiye Ke Kahee’n Uske Amaal Be-khabari Mein Zaae Naa Ho Jaae’n







Hazrat Ibrahim Tamimi kehte hain: 

“Jab bhi maine apne qaul-o-fe’l ka taqaabul kiya to khatra laahiq hua ke kahee’n meri takzeeb naa kardi jaae” aur Ibne Abi Mulaikata ne kaha: “Meri mulaqaat Rasool Allah (ﷺ) ke 30 Sahaaba Ikram (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se hui hai, un mein se har ek ko apne mutaalliq nifaaq ka andesha tha. Un mein se koi ye naa kehta tha ke mera imaan jibraeel-o-mikaeeljaisa hai”. Hasan Basri se manqool hai ke nifaaq se momin ke alaawa aur koi nahi darta aur usse munaafiq ke alaawa aur koi be-fikr nahi hota. Us baab mein baahami jung-o-jidaal aur gunaaho’n par israar, nez tauba naa karne se bhi daraaya gaya hai. Kyou’nke irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Momin daanista apne gunaaho’n par israar nahi karte”. [Surah aale Imran: 135]


Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) said, "Abusing a Muslim is Fusuq (an evil doing) and killing him is Kufr (disbelief)." 


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Zubaid bin Haaris se riwayat hai, unho’n ne kaha: 
“Maine Hazrat Abu Waael se murjiya ke mutaalliq dariyaft kiya (ke unka aqeeda hai ke gunah se aadmi faasiq nahi hota) unho’n ne uske jawaab mein Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat pesh ki, ke Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: 
“Musalman ko gaali dena fisq aur usse ladna kufr hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 48

 : Book 2, Hadith 41
 
: Also see Hadith No. 6044, 7076
 





 Baab 36: Momin Ko Darna Chaahiye Ke Kahee’n Uske Amaal Be-khabari Mein Zaae Naa Ho Jaae’n







Narrated 'Ubada bin As-Samit: 

"Allah's Apostle went out to inform the people about the (date of the) night of decree (Al-Qadr) but there happened a quarrel between two Muslim men. 
The Prophet (ﷺ) said, "I came out to inform you about (the date of) the night of Al-Qadr, but as so and so and so and so quarrelled, its knowledge was taken away (I forgot it) and maybe it was better for you. Now look for it in the 7th, the 9th and the 5th (of the last 10 nights of the month of Ramadan)."


Ravi Hazrat Ubadah bin Saamit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek dafa shab-e-qadar bataane ke liye (apne hujre se) nikle. Itne mein do (2) musalman aapas mein jhagad pade. Aap ne farmaya: “Main to us liye baahar nikla tha, ke tumhe’n shab-e-qadar bataau’n, magar falaa’n falaa’n aadmi jhagad pade, us liye wo (mere dil se) uthaali gai, aur shayad yehi tumhaare haq mein mufeed ho. Ab tum shab-e-qadar ko ramzan ki 27th, 29th aur 25th raat mein talash karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 49 

 : Book 1, Hadith 42
 
: Also see Hadith No. 2023, 6049 





Baab 37: Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Ka Nabi (ﷺ) se Imaan, Islam, Ehsaan Aur Qiyaamat Ke Ilm Ke Mutaalliq Dariyaft Karna








Phir Nabi (ﷺ) ka jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke liye un ummoor ka bayan farmaana. Phir Aapn ne farmaya: 

“Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) tumhe’n, tumhara deen sikhaane ke liye aae the”. Us muqaam par aap ne un tamam cheezo’n ko deen shumaar farmaya hai, nez un baato’n ke bayan mein jo Rasool Allah (ﷺ) ne wafat Abdul Qais ke saamne bayan farmaai thee’n, aur irshad-eBaari Ta’ala: “Jo islam ke alaawa koi doosra deen ikhteyar karega, wo usse hargiz qubool nahi kiya jaaega”. [Surah aale Imran: 85]


Narrated Abu Huraira:

One day while the Prophet 
(ﷺ) was sitting in the company of some people, (The angel) Gabriel came and asked, "What is faith?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, 'Faith is to believe in Allah, His angels, (the) meeting with Him, His Apostles, and to believe in Resurrection." 
Then he further asked, "What is Islam?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "To worship Allah Alone and none else, to offer prayers perfectly to pay the compulsory charity (Zakat) and to observe fasts during the month of Ramadan." 
Then he further asked, "What is Ihsan (perfection)?" 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "To worship Allah as if you see Him, and if you cannot achieve this state of devotion then you must consider that He is looking at you." 
Then he further asked, "When will the Hour be established?"
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "The answerer has no better knowledge than the questioner. But I will inform you about its portents.

1. When a slave (lady) gives birth to her master.
2. When the shepherds of black camels start boasting and competing with others in the construction of higher buildings. And the Hour is one of five things which nobody knows except Allah.

The Prophet 
(ﷺ) then recited: "Verily, with Allah (Alone) is the knowledge of the Hour--." (31. 34) 
Then that man (Gabriel) left and the Prophet asked his companions to call him back, but they could not see him. 
Then the Prophet (ﷺ) said, "That was Gabriel who came to teach the people their religion." Abu 'Abdullah said: He (the Prophet ﷺ) considered all that as a part of faith.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi-e-Akram (ﷺ) logo’n ke saamne tashreef farma the, ke achaankat ek shakhs aap ki khidmat mein haazir hua aur poochne laga; “Imaan kya hai?” 
Aapne farmaya: “Imaan ye hai ke tum Allah par, uske farishto’n par aur roz-e-hashar Allah ke huzoor pesh hone par, aur Allah ke rasoolo’n par imaan laao aur qiyaamat ka yaqeen karo”.
Usne mazeed sawal kiya: “Islaam kya hai?” 
Aap ne farmaya; “Islaam ye hai ke tum mahez Allah ki ibaadat karo aur uske saath kisi ko shareek naa banaao, namaz theek taur par adaa karo, aur farz zakat adaa karo, aur ramzan ke roze rakho”. 
Phir usne poocha: “Ehsaan kya hai?” 
Aap ne farmaya: “Ehsaan ye hai ke tum Allah ki ibaadat us tarah karo go yaa tum usey dekh rahe ho, agar tum usey nahi dekh rahe ho, to wo to tumhe’n dekh raha hai”. 
Usne kaha: “Qiyamat kab barpa hogi?” 
Aap ne farmaya: “Jisse sawal kiya gaya hai, wo bhi sawal karne waale se ziyaada nahi jaanta, albatta main tumhe’n qiyaamat barpa hone ki kuch nishaaniya’n bataae deta hoo’n: 

1. Jab laundi apni malika ko janegi, aur 
2. Jab oonto’nke ghair maroof siyaah-faam charwaahe falak-bos imaarate’n banaanemein ek doosre par baazi le jaae’nge (to qiyaamat qareeb hogi)”. Dar-asl qiyaamat un 5 baato’n mein se hai, jin ko Allah ke siwa aur koi nahi jaanta. 

Phir aapne ye aayat tilaawat farmaai: “Beshak Allah hi ko qiyamat ka ilm hai…” (31. 34)
Uske baad wo shakhs waapas chala gaya, to Aap ne farmaya: “Usey mere paas laao”. Chunache logo’n ne usey talash kiya lekin uska koi suraagh naa mila to aapne farmaya: “Ye jibraeel the, jo logo’n ko unka deen sikhaane aae the”.


Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne kaha: 

“Rasool Allah (ﷺ) ne un tamaam cheezo’n ko imaan qaraar diya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 50

 : Book 1, Hadith 43
 
: Also see Hadith No. 4777
 





Baab 38: Bila-unwaan






Narrated 'Abdullah bin 'Abbas:

I was informed by Abu Sufyan that Heraclius said to him, "I asked you whether they (followers of Muhammad) were increasing or decreasing. You replied that they were increasing. And in fact, this is the way of true Faith till it is complete in all respects. I further asked you whether there was anybody, who, after embracing his (the Prophets) religion (Islam) became displeased and discarded it. You replied in the negative, and in fact, this is (a sign of) true faith. When its delight enters the heart and mixes with them completely, nobody can be displeased with it."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: “Mujhe Abu Sufiyan ne bataaya ke Harqil ne unse dariyaft kiya tha ke uske pairokaar taraqqi pazeer hain, yaa rooba-e-inhetaat?”
To tumne bataaya ke din-ba-din ziyaada hote jaa rahe hain. Yaqeenan imaan ka muaamala isi tarah hota hai, taa-aanke wo paaya-e-takmeel ko pohoch jaae.
Phir maine tumse poocha: “Uske muttabe-een mein se koi deen mein daakhil hone ke baad usey bura samajhte hue murtad bhi ho jaata hai?”, to tum ne jawaab diya: “Nahi”. Aur imaan ka yehi haal hota hai. Jab uski bashaashat dilo’n mein saraayat kar jaati hai, to phir koi shakhs usse naaraaz nahi hota.



Reference : Sahih al-Bukhari 51

 : Book 2, Hadith 44





    Baab 39: Apne Deen Ki Khaatir Gunaho’n Se Alag Ho Jaane Waale Ki Fazilat







Narrated An-Nu'man bin Bashir:

I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, 'Both legal and illegal things are evident but in between them there are doubtful (suspicious) things and most of the people have no knowledge about them. So whoever saves himself from these suspicious things saves his religion and his honor. And whoever indulges in these suspicious things is like a shepherd who grazes (his animals) near the Hima (private pasture) of someone else and at any moment he is liable to get in it. (O people!) Beware! Every king has a Hima and the Hima of Allah on the earth is His illegal (forbidden) things. Beware! There is a piece of flesh in the body if it becomes good (reformed) the whole body becomes good but if it gets spoilt the whole body gets spoilt and that is the heart.


Ravi Hazrat Noman bin Basheer (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) se suna, Aap farma rahe the: 
“Halal zaahir hai aur haram bhi zaahir hai, aur un dono ke darmiyan kuch mushtaba cheeze’n hain, jinhe’n aksar log nahi jaante. Chunache jo shakhs un mushtaba cheezo’n se bach gaya, usne apne deen aur apni aabru ko bacha liya, aur jo koi un mushtaba cheezo’n mein mubtalaa ho gaya, uski misaal us charwaahe ki si hai, jo shahi charahgaah ke aas paas (apne jaanwaro’n ko) charaae, qareeb hai ke charah-gaah ek andar uska jaanwar ghus jaae. Agaah raho ke har baadshah ki ek charah-gaah hoti hai. Khabardaar! Allah ki charah-gaah uski zameen mein haram karda cheeze’n hain. Sunlo! Badan mein ek tukda (gosht ka) hai, jab wo sawaar jaata hai, to saara badan sawaar jaata hai, aur jab wo bigad jaata hai to saara badan kharaab hoj aata hai. Agaah raho! Wo tukda dil hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 52

 : Book 2, Hadith 45
 
: Also see Hadith No. 2051 





     Baab 40: Khums Ka Adaa Karna Juzz-o-Imaan Hai






Narrated Abu Jamra:

I used to sit with Ibn 'Abbas and he made me sit on his sitting place. He requested me to stay with him in order that he might give me a share from his property. So I stayed with him for two months. Once he told (me) that when the delegation of the tribe of 'Abdul Qais came to the Prophet 
(ﷺ), the Prophet (ﷺ) asked them, "Who are the people (i.e. you)? (Or) who are the delegate?" 
They replied, "We are from the tribe of Rabi'a." 
Then the Prophet (ﷺ) said to them, "Welcome! O people (or O delegation of 'Abdul Qais)! Neither will you have disgrace nor will you regret." 
They said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! We cannot come to you except in the sacred month and there is the infidel tribe of Mudar intervening between you and us. So please order us to do something good (religious deeds) so that we may inform our people whom we have left behind (at home), and that we may enter Paradise (by acting on them)." 
Then they asked about drinks (what is legal and what is illegal). 
The Prophet (ﷺ) ordered them to do four things and forbade them from four things. He ordered them to believe in Allah Alone and asked them, "Do you know what is meant by believing in Allah Alone?" 
They replied, "Allah and His Apostle know better." 
Thereupon the Prophet (ﷺ) said, "It means: 

1. To testify that none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah's Apostle. 
2. To offer prayers perfectly 
3. To pay the Zakat (obligatory charity) 
4. To observe fast during the month of Ramadan. 
5. And to pay Al-Khumus (one fifth of the booty to be given in Allah's Cause). 

Then he forbade them four things, namely, Hantam, Dubba,' Naqir Ann Muzaffat or Muqaiyar; (These were the names of pots in which Alcoholic drinks were prepared) (The Prophet mentioned the container of wine and he meant the wine itself). 
The Prophet (ﷺ) further said (to them): "Memorize them (these instructions) and convey them to the people whom you have left behind."


Ravi Hazrat Abu Jamrah:

Main Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas baitha karta tha, wo mujhe khaas apne takht par bithaate. 
Ek dafa kehne lagey: “Tum mere paas kuch roz iqaamat karo, main tumhare liye apne maal mein se kuch hissa muqarrar kar du’nga”. 
To main unke yahaa’n do (2) maah tak iqaamat pazeer raha. 
Phir unho’n ne farmaya: Jab wafad-e-abdul qais Nabi (ﷺ) ke paas aaya to Aap ne farmaya: “Ye kaun log hain, yaa kaun se numaainde hain?” 
Unho’n ne kaha: “Ham khandaan-e-rabia ke log hain”. 
Aap ne farmaya: “Tum araam ki jagah aae ho, na zaleel hoge, aur na sharminda!” 
Phir un logo’n ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool! Ham maah-e-haraam ke alaawa doosre dino’n mein aapke paas nahi aasakte, kyou’nke hamaare aur aapke kuffaar, muzir ka qabila rehta hai. Lehaza aap khulaase ke taur par hame’n koi aisee baat bataa de’n ke ham apne peeche waalo’n ko uski ittela kar de’n, aur ham sab us (par amal karne) se jannat mein daakhil ho jaae’n”. 
Aur unho’n ne aap se mashrubaat ke mutaalliq bhi poocha, to aap ne unhe’n 4 baato’n ka hukum diya aur 4 baato’n se mana kiya: “Aap ne unhe’n ek Allah par imaan laane ka hukum diya”. 
Phir aap ne farmaya: “Tum jaante ho, akele Allah par imaan laana kya hai?” 
Unho’n ne kaha: “Allah aur uska rasool hi khoob waaqif hain”. 
Aap ne farmaya: 

1. Is baat ki gawahi dena ke Allah ke alaawa aur koi laayaq-e-ibaadat nahi, aur Hazrat Muhammad (ﷺ) uske rasool hain, 
2. Namaz thaak tareeqe se adaa karna, 
3. Zakat dena, 
4. Ramzan ke roze rakhna aur 
5. Maal-e-ghanimat se paachwa’n hissa adaa karna. 

Aur (sharaab-saazi ke) 4 bartano’, yaane (1) bade matko’n, (2) kaddu se tayyar karda pyaalo’n, (3) lakdi se taraashe hue lagan aur (4) tarcole se range hue roghani bartano’n se unhe’n manaa kiya. 
Phir aap ne farmaya: “In baato’n ko yaad rakho aur apne peeche waalo’n ko in se muttala kar do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 53

 : Book 2, Hadith 46
 
: Also see Hadith No. 
87, 523, 1398, 3095, 3510, 4368, 4369, 6176, 7266, 7556 





Baab 41: Amaal Ka Madaar Niyyat Aur Ehtesaab Par Hai Aur har insaan ke liye wohi hai, jiski usne niyyat ki hai







Amaal Ka Madaar Niyyat Aur Ehtesaab Par Hai Aur har insaan ke liye wohi hai, jiski usne niyyat ki hai. Us mein imaan, wazoo, namaz, zakat, hajj, roza, aur doosre ahkaam bhi shaamil hain.

Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Keh Deejiye, Har Shakhs Apni Niyyat Ke Mutaabiq Amal Paira Hai”. [Surah al Isra: 84]
“Shakilah ke maane niyyat hain aur insaan ka apne ahel-o-ayaal par ba-niyyat-e-sawaab kharch karna sadqa hai, aur Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Lekin jihaad aur niyyat baaqi hain”.


Narrated 'Umar bin Al-Khattab:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "The reward of deeds depends upon the intention and every person will get the reward according to what he has intended. So whoever emigrated for Allah and His Apostle, then his emigration was for Allah and His Apostle. And whoever emigrated for worldly benefits or for a woman to marry, his emigration was for what he emigrated for."


Ravi Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Amaal ka daro madaar niyyat par hai, har insaan ko wohi milega, jo usne niyyat ki. Agar koi apna watan Allah aur uske Rasool ke liye chodta hai, to uski hijrat Allah aur uske Rasool ke liye hogi. Agar kisi ki hijrat duniya haasil karne ke liye, yaa kisi aurat se shaadi rachaane ke liye ho, to uski hijrat usi kaam ke liye hai, jiske liye usne hijrat ki”.



Reference : Sahih al-Bukhari 54

 : Book 2, Hadith 47





      Baab 41: Amaal Ka Madaar Niyyat Aur Ehtesaab Par Hai Aur har insaan ke liye wohi hai, jiski usne niyyat ki hai







Narrated Abu Mas'ud:

The Prophet (ﷺ) said, "If a man spends on his family (with the intention of having a reward from Allah) sincerely for Allah's sake then it is a (kind of) alms-giving in reward for him.


Ravi Hazrat Abu Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: 
“Jab mard apne ahle-oayaal par sawaab ki niyyat se kharch karta hai, to wo uske haq mein sadqa ban jaata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 55

 : Book 2, Hadith 48
 
: Also see Hadith No. 4006, 5351 





     Baab 41: Amaal Ka Madaar Niyyat Aur Ehtesaab Par Hai Aur har insaan ke liye wohi hai, jiski usne niyyat ki hai







Narrated Sa'd bin Abi Waqqas:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "You will be rewarded for whatever you spend for Allah's sake even if it were a morsel which you put in your wife's mouth."


Ravi Hazrat Sa’ad bin Abi Waqaas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: 
“Tumhe’n us nutfe par zaroor ajar diya jaaega, jisse tumhaara maqsad Allah ki raza ka husool ho, hatta ke us luqme par bhi jo tum apni biwi ke mu’n mein daalo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 56

 : Book 2, Hadith 49
 
: Also see Hadith No. 
129, 2742, 2744, 3936, 4409, 5354, 5659, 5668, 6373, 6733 





Baab 42: Deen Khair-khwahi Ka Naam Hai






Nabi-e-Akram (ﷺ) Ka Farmaan: 

Deen Khair-khwahi Ka Naam Hai. Ye Khair-khwahi Allah, Uske Rasool, Ahle Islam, Hukumraano’n Aur Aam Musalmano Ke saath Honi Chaahiye


Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Jab Wo Allah Aur Uske Rasool Ke saath Khair-khwahi Ka Talluq Rakhe’n”. [ Surah Tauba: 91]


Narrated Jarir bin Abdullah:

I gave the pledge of allegiance to Allah's Apostle 
(ﷺ) for the following: 
1. offer prayers perfectly 
2. pay the Zakat (obligatory charity) 
3. and be sincere and true to every Muslim.


Ravi Hazrat Jarir bin Abdullah al Jabali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) se: 
1. Namaz padhne, 
2. Zakat dene, aur 
3. Har musalman se khair-khwahi karne (ke iqraar) par bait ki”



Reference : Sahih al-Bukhari 57

 : Book 1, Hadith 50
 
: Also see Hadith No. 524, 1401, 2157, 2714, 2715, 7204 





Baab 42: Deen Khair-khwahi Ka Naam Hai






Narrated Ziyad bin'Ilaqa:

I heard Jarir bin 'Abdullah (Praising Allah). On the day when Al-Mughira bin Shu'ba died, he (Jarir) got up (on the pulpit) and thanked and praised Allah and said, "Be afraid of Allah alone Who has none along with Him to be worshipped.(You should) be calm and quiet till the (new) chief comes to you and he will come to you soon. Ask Allah's forgiveness for your (late) chief because he himself loved to forgive others." 

Jarir added, "Amma badu (now then), I went to the Prophet (ﷺ) and said, 'I give my pledge of allegiance to you for Islam." 
The Prophet (ﷺ) conditioned (my pledge) for me to be sincere and true to every Muslim so I gave my pledge to him for this. By the Lord of this mosque! I am sincere and true to you (Muslims). 
Then Jarir asked for Allah's forgiveness and came down (from the pulpit).


Ravi Ziyaad bin Ilaaqa:

Unho’n ne kaha: Maine Hazrat Jarir bin Abdullah al Bajali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna, jis din Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki wafaat hui, to wo khutbe ke liye khade hue, Allah ki hamd-o-sana ki, aur kaha: “Tumhe’n sirf Allah se darna chaahiye, jiska koi shareek nahi, nez tumhe’n doosre ameer ke aane tak tahammul-oitmenan se rehna chaahiye, bas wo anqareeb hi aajaae’nge”. 
Phir farmaya: “Apne ameer ke liye dua-e-maghfirat karo, kyou’nke wo khud bhi moaaf karne ko pasand karta tha”. 
Phir kaha: “Tumhe’n maloom hona chaahiye ke main ek dafa Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua, aur arz ki: Aye Allah ke Rasool! Main Aapse islam par bait karna chaahta hoo’n, to Aap ne mujhse har musalman ke saath khair-khwahi karne ka ehed liya, phir usi shart par maine aapse bait Karli. Mujhe is masjid ke Rabb ki qasam! Main tumhaara khair-khwah hoo’n, phir aapne istighfaar kiya aur mimbar se neehce utar aae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 58

 : Book 1, Hadith 51




PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT