SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
5: Kitab-ul-Ghusl — Ghusl Se Mutaalliq Ehkaam-o-Masaael
[Bathing/كتاب الغسل]
[248 To 293]
Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Aur Agar Tum Ba-haalat-e-Janaabat Ho, To Ghusl Karlo Aur Agar Tum Bimaar Ho, Yaa Safar Ki Haalat Mein Ho, Yaa Tum Mein Se Koi Qazaa-e-Haajat-e-(faarigh ho kar) Aaya Ho, Yaa Tumne Aurto'n Se Ikhtelaat Kiya Ho Aur Tumhe'n Paani Na Miley To Tum Paak Mitti Se Tayammum Karlo, Usey Apne Chehro'n Aur Haatho'n Par Malo. Allah Tum Par Kisi Qism Ki Tangee Nahi Daalna Chaha, Balkey Uska Iraada Tumhe'n Paak Karne Aur Tumhe'n Bhar-poor Nemat Dene Ka Hai, Taake Tum Shukar Adaa Karte Raho” [Surah al Maaida: 6] Nez Irshad-e-Baari Ta'ala Hai: “Aye Imaan Waalo! Jab Tum Ba-haalat-e-Nasha Ho, To Namaz Ke Qareeb Bhi Na Jaao, Ta-aa'nke Tum Apni Baat Ko Samajhne Lago Aur Ba-haalat-e-Janaabat Bhi, Jab Tak Tum Ghusl Naa Karlo, Haa'n Agar Tum Raah Chalte Guzar Jaane Waale Ho To Aur Baat Hai. Aur Agar Tum Bimaar Ho Yaa Safar Mein Ho, Yaa Tum Meinse Koi Qazaa-e-Haajat Se Aaya Ho, Yaa Tumne Aurto'n Se Mubasherat Ki Ho Aur Tumhe'n Paani Na Miley To Paak Mitti Ka Qasd Karo Aur Usey Apne Mu'n Aur Haatho'n Par Mal Lo. Beshak Allah Ta'ala Bohot Ziyaada Moaaf Karne Waala Behad Bakhshne Waala Hai" [Surah an Nisa: 43] |
Baab 1: Ghusl Se Pehle Wuzoo Karna Narrated 'Aisha: Whenever the Prophet (ﷺ) took a bath after Janaba he started by washing his hands and then performed ablution like that for the prayer. After that, he would put his fingers in water and move the roots of his hair with them, and then pour three handfuls of water over his head and then pour water all over his body. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Zauja-e-Nabi (ﷺ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) jab ghusl-e-janaabat farmate to pehle dono haath dhote. Phir namaz ke wazoo ki tarah wazoo karte. Baad azaa'n apni ungliyaa'n paani mein daal kar baalo'n ki jado'n ka khilaal karte. Phir dono haatho'n se teen (3) chullu le kar apne sar par daalte. Uske baad apne tamaam jism par paani bahaate.
|
Narrated Maimuna: (The wife of the Prophet ﷺ) Allah's Apostle (ﷺ) performed ablution like that for the prayer but did not wash his feet. He washed off the discharge from his private parts and then poured water over his body. He withdrew his feet from that place (the place where he took the bath) and then washed them. And that was his way of taking the bath of Janaba. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne (ghusl ke waqt) is tarah wazoo farmaya jis tarah namaz ke liye kiya jaata hai, lekin paao'n nahi dhoe. Albatta apni sharm-gaah ko aur jism par lagi hui aalaaesh ko dhoya. Phir apne oopar paani bahaaya, uske baad jaae-ghusl se alag ho kar apne dono paao'n dhoe. Ye aapka ghusl-e-janaabat tha.
|
Baab 2: Khaawind Ka Apni Biwi Ke saath Ghusl Karna Narrated 'Aisha: The Prophet (ﷺ) and I used to take a bath from a single pot called 'Faraq'. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine aur Nabi (ﷺ) ek hi bartan se ghusl karte the, wo bartan ek bada pyaala tha, jise farq kaha jaata hai.
|
Baab 3: Ek Saa’ Yaa Uske Qareeb Qareeb Paani Ki Midaar Se Ghusl Karna 'Aisha's brother and I went to 'Aisha and he asked her about the bath of the Prophet (ﷺ). She brought a pot containing about a Sa' of water and took a bath and poured it over her head and at what time there was a screen between her and us. Ravi Hazrat Abu Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Main aur Hazrat Ayesha & ke bhai Hazrat Ayesha 48 ki khidmat mein haazir hue, unke bhai ne Nabi (ﷺ) ke ghusl ke mutaalliq dariyaaft kiya to unho'n ne saa’ jaisa ek bartan mangwaaya. Phir ghuls kiya aur usey apne sar par bahaaya. Us waqt hamaare aur aapke darmiyaan parda haael tha. Abu Abdullah (Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ)) kehte hain ke Yazeed bin Haroon, Bahz (ibne Asad) aur (Abdul Malik bin Ibrahim) Juddi ne Hazrat Shu'ba se qadar-e-saa' ke alfaaz bayan kiye hain.
|
While I and my father were with Jabir bin 'Abdullah, some People asked him about taking a bath. He replied, "A Sa' of water is sufficient for you." A man said, "A Sa' is not sufficient for me." Jabir said, "A Sa was sufficient for one who had more hair than you and was better than you (meaning the Prophet ﷺ)." And then Jabir (put on) his garment and led the prayer. Ravi Hazrat Abu Jaafar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Abu Jaafar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur unke waalid-e-giraami, Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas the, jabke unke yahaa'n aur log bhi the. Unho'n ne Hazrat Jaabir se ghusl ke mutaalliq sawaal kiya to unho'n ne jawab diya, tujhe ek saa kaafi hai. Us par unhi logo'n mein se kisi ne kaha: Mujhe to kaaft nahi hai. Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Itna paani to us zaat-e-giraami ke liye kaafi hota tha, jin ke baal bhi tujhse ziyaada the, aur wo khud bhi tujhse behtar the. Phir Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek kapde mein hamaari imaamat karaai.
|
The Prophet (ﷺ) and Maimuna used to take a bath from a single pot. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) aur Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ek hi bartan se ghusl farmaya karte the. Abu Abdullah (Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ)) ne kaha ke Ibne Uayayna aakhri umr mein aan Ibne Abbas a'an Maimoona kehne lagey the, lekin saheeh alfaaz wohi hain, jo Abu Nayeem ne bayan kiye hain.
|
Baab 4: Jis Ne Apne Sar Par 3 Martaba Paani Bahaaya Narrated Jubair bin Mutim: Allah's Apostle (ﷺ) said, "As for me, I pour water three times on my head." And he pointed with both his hands. Ravi Hazrat Jubair bin Muti'm (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Maine to apne sar par teen (3) baar paani bahaata hoo'n”. Aur (ye kehkar) aap ne apne dono haatho'n se ishaara farmaya.
|
The Prophet (ﷺ) used to pour water three times on his head. Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) apne sar par 3 baar paani bahaaya karte the.
|
Narrated Abu Ja'far: Jabir bin Abdullah said to me, "Your cousin (Hasan bin Muhammad bin Al-Hanafiya) came to me and asked about the bath of Janaba. I replied, 'The Prophet (ﷺ) uses to take three handfuls of water, pour them on his head and then pour more water over his body.' Al-Hasan said to me, 'I am a hairy man.' I replied, 'The Prophet (ﷺ) had more hair than you'. " Ravi Hazrat Abu Jaafar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ham se Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mere paas tumhare chacha-zaad aae the, unka ishaara Hasan bin Muhammadlbne Hanifa ki taraf tha. Unho'n ne poocha: Ghusl-e- janaabat ka kya kareeqa hai? Maine kaha: Nabi (ﷺ) 3 chullu lete aur unhe'n apne sar par bahaate the, phir apne tamaam badan par paani daalte the. Hasan ne kaha: Maine to bohot baalo'n waala shakhs hoo'n. Maine jawaab diya: Nabi (ﷺ) ke baal tumse ziyaada the.
|
Baab 5: Ghusl Mein Ek Martaba Paani Daalna Narrated Maimuna: I placed water for the bath of the Prophet (ﷺ). He washed his hands twice or thrice and then poured water on his left hand and washed his private parts. He rubbed his hands over the earth (and cleaned them), rinsed his mouth, washed his nose by putting water in it and blowing it out, washed his face and both forearms and then poured water over his body. Then he withdrew from that place and washed his feet. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine ek martaba Nabi (ﷺ) ke ghusl ke liye paani rakha. Aap ne apna haath do (2) yaa teen (3) martaba dhoya. Phir aap ne apne baae'n haath par paani daal kar apni sharm-gaah ko dhoya. Phir aap ne apna haath zameen par ragda, baad azaa'n kulli ki aur naak mein paani chadhaaya. Phir chehra-e-mubarak aur dono haatho'n ko dhoya. Uske baad aap ne apne jism par paani bahaaya. Phir apni jagah se hatkar dono paao'n dhoe.
|
Baab 6: Jis Shakhs Ne Ghusl Ke Waqt Hilaab Yaa Khushboo Se Ibtedaa Ki Whenever the Prophet (ﷺ) took the bath of Janaba (sexual relation or wet dream) he asked for the Hilab or some other scent. He used to take it in his hand, rub it first over the right side of his head and then over the left and then rub the middle of his head with both hands. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) jab ghusl-e-janaabat karne ka iraada farmate to hilaab jaisee koi cheez mangwaate aur usey apne haath mein le kar pehle sar ke daae'n hisse se ibteda karte. Phir baae'n jaanib lagaate. Uske baad apne dono haatho'n se taalu par maalish karte.
|
Baab 7: Ghusl-e-Janaabat Mein Kulli Karna Aur Naak Mein Paani Chadhaana I placed water for the bath of the Prophet (ﷺ) and he poured water with his right hand on his left and washed them. Then he washed his private parts and rubbed his hands on the ground, washed them with water, rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and blowing it out, washed his face and poured water on his head. He withdrew from that place and washed his feet. A piece of cloth (towel) was given to him but he did not use it. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Nabi (ﷺ) ke liye ghusl ka paani rakha to aap ne apne daae'n haath se baae'n haath par paani daala aur dono'n haatho'n ko dhoya. Phir aap ne apni sharm-gaah ko dhoya. Uske baad aap ne apna haath zameen par rakha aur usey mitti se ragda aur dhoya. Baad-azaa'n aap ne kulli ki aur naak mein paani chadhaaya. Phri chehra-e-mubarak ko dhoya aur apne sar par paani bahaaya. Uske baad aap us jagah se alag hue aur apne paao'n dhoe. Phir aapko ek rumaal pesh kiya gaya, lekin aap ne usse apna badan saaf nahi farmaya.
|
Baab 8: Haath Ko Mitti Se Ragadna Taake Wo Saaf Ho Jaae Narrated Maimuna: The Prophet (ﷺ) took the bath of Janaba. (sexual relation or wet dream). He first cleaned his private parts with his hand, and then rubbed it(that hand) on the wall (earth) and washed it. Then he performed ablution like that for the prayer, and after the bath he washed his feet. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ne baae'n-taur par ghusl-e-janaabat kiya, ke pehle apni sharm-gaah ko apne haath se dhoya, phir haath ko deewaar se ragda aur usey dhoya, phir namaz ke wazoo ki tarah wazoo kiya. Aur jab aap ghusl se faarigh ho gae to apne dono paao'n dhoe.
|
Baab 9: Kya Junbi Apne Haath Dhoen Se Pehle... Kya Junbi Apne Haath Dhoen Se Pehle Unhe'n Bartan Mein Daal Sakta Hai, Jabke Janaabat Ke Alaawa Uske Haath Par Koi Gandi Na Ho? Hazrat Ibne Umar aur Hazrat Baraa bin Aazib (رضي الله عنهم) ne apne haath dhone se pehle unhe'n ghusl ke paani mein daala tha, phir usse wazoo kiya tha. Hazrat Abdullah bin Umar aur Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) un cheento'n mein koi muzaaeqa khayaal nahi karte the, jo ghusl-e-janaabat se udti hain. |
Narrated Aisha: The Prophet (ﷺ) and I used to take a bath from a single pot of water and our hands used to go in the pot after each other in turn. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main aur Nabi (ﷺ) ek hi bartan se ghusl karte the, jis mein hamaare haath ek doosre se aagey peeche padte the.
|
Whenever Allah's Apostle (ﷺ) took a bath of Janaba, he washed his hands first. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) jab ghusl-e-janaabat farmate to (pehle) apna haath dhote the.
|
The Prophet (ﷺ) and I used to take a bath from a single pot of water after Janaba. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main aur Nabi (ﷺ) ek hi bartan mein ghusl-e-janaabat karte the. Abdur Rahman bin Qaasim apne waalid (Qaasim bin Muhammad bin Abi Bakar) ke waaste se bhi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se isi tarah riwayat karte hain.
|
Narrated Anas bin Malik: The Prophet (ﷺ) and one of his wives used to take a bath from a single pot of water. (Shu'ba added to Anas's Statement "After the Janaba") Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) aur aap ki biwiyo'n mein se koi biwi ek hi bartan se ghusl karte the. Is riwayat mein Muslim bin Ibrahim aur Wahab bin Jarir ne ba-waasta-e-Shu'ba ye izaafa bayan kiya hai ke wo ghusl janaabat ka hota tha.
|
Baab 10: Ghusl Aur Wuzoo Ke darmiyan Faasla Karna... Ghusl Aur Wuzoo Ke darmiyan Faasla Karna Hazrat Ibne Umar (ﷺ) se mangool hai ke unho'n ne apne gadmo'n ko wazoo ka paani khush ho jaane ke baad dhoya. I placed water for the bath of Allah's Apostle (ﷺ) and he poured water over his hands and washed them twice or thrice; then he poured water with his right hand over his left and washed his private parts (with his left hand). He rubbed his hand over the earth and rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and blowing it out. After that, he washed his face, both fore arms and head thrice and then poured water over his body. He withdrew from that place and washed his feet. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Rasool Allah (ﷺ) ke liye ghusl ka paani rakha, to aap ne apne dono haatho'n par paani daala aur unhe'n do (2) yaa teen (3) martaba dhoya. Phir aap ne apne daae'n haath se baae'n haath par paani daal aur apni sharm-gaah ko dhoya. Baad-azaa'n aap ne apna haath zameen par ragda, hpir kulli ki aur naak mein paani chadhya. Phir aap ne apna chehra aur apne haatho'n ko dhoya, phir apne sar ko teen (3) martaba dhoya aur badan par paani bahaaya. Phir aap apni jagah se hat-gae aur dono paao'n dhoe.
|
Baab 11: Jis Shakhs Ne Ghusl Ke Waqt Apne Daae'n Haath Se Baae'n Haath Par Paani Daala Narrated Maimuna bint Al-Harith: I placed water for the bath of Allah's Apostle (ﷺ) and put a screen. He poured water over his hands and washed them once or twice. (The sub-narrator added that he did not remember if she had said thrice or not). Then he poured water with his right hand over his left one and washed his private parts. He rubbed his hand over the earth or the wall and washed it. He rinsed his mouth and washed his nose by putting water in it and blowing it out. He washed his face, forearms and head. He poured water over his body and then withdrew from that place and washed his feet. I presented him with a piece of cloth (towel) and he pointed with his hand (that he does not want it) and did not take it. Ravi Hazrat Maimoona Bint Haaris (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Rasool Allah (ﷺ) ke liye ghusl ka paani rakha aur parda kar diya. Aap ne apne (daae'n haath se baae'n) haath par paani daala, phir usey ek ya do (2) martaba dhoya. Hazrat Sulaiman Amash (uasi) kehte hain: Mujhe yaad nahi, Saalim ne teesri martaba zikr kiya yaa nahi. Phir aap ne apne daae'n haath se baae'n haath par paani daala aur apni sharm-gaah ko dhoya, phir zameen yaa deewaar se apna haath ragda. Phir aap ne kulli ki aur naak mein paani chadhaaya, aur apne chehra-e-mubarak aur haatho'n ko dhoya aur sar ko dhoya, phir badan par paani bahaaya. Uske baad ek taraf hat-kar apne dono paao'n dhoe. Baad azaa'n maine ek kapda diya lekin aap ne apne haath se is tarah ishaara farmaya aur uske lene ka iraada nahi farmaya.
|
Baab 12: Ek Dafa Jima'a Ke Baad Ham-bistar Hona Aur Ek Hi Ghusl Se Tamaam Biwiyo'n Ke Paas Jaana On the authority of his father that he had asked 'Aisha (about the Hadith of Ibn 'Umar). She said, "May Allah be Merciful to Abu 'Abdur-Rahman. I used to put scent on Allah's Apostle (ﷺ) and he used to go round his wives, and in the morning he assumed the Ihram, and the fragrance of scent was still coming out from his body." Ravi Hazrat Ibrahim bin Muhammad bin Muntashir: Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke saamne is (ghusl-e-ehraam mein istemaal khushboo) ka zikr kiya to unho'n ne farmaya: Allah Ta'ala Abu Abdur Rahman (ibne Umar) par rahem farmae (unhe'n ghalat-fahmi hui), maine Rasool Allah (ﷺ) ko khushboo lagaai, phir aap apni tamaam azwaaj-e-mutahharaat ke paas gae, aur subah ko ehraam is haalat mein bandha ke khushboo se aapka jism mehek raha tha.
|
Narrated Qatada: Anas bin Malik said, "The Prophet (ﷺ) used to visit all his wives in a round, during the day and night and they were eleven in number." I asked Anas, "Had the Prophet (ﷺ) the strength for it?" Anas replied, "We used to say that the Prophet (ﷺ) was given the strength of thirty (men)." And Sa'id said on the authority of Qatada that Anas had told him about nine wives only (not eleven). Ravi Qatada: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai,"Nabi (ﷺ) din aur raat ke ek hi waqt mein apni tamam azwaaj- e-mutahharaat ke paas gae aur ye 11 thee'n. Raawi ne kaha: Maine poocha: Kya Rasool Allah (ﷺ) uski taaqat rakhte the? Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham aapas mein kaha karte the ke aap ko 30 mardo'n ke baraabar taaqat di gai hai. Saeed Raawi ne Qatada se riwayat karte hue Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ye naqal kiya hai ke aap ki 9 azwaaj mutahharaat thee'n.
|
Baab 13: Mazee Ka Dhona Aur Uske Khurooj Se Wuzoo Ka Waajib Hona Narrated 'Ali: I used to get emotional urethral discharge frequently. Being the son-in-law of the Prophet (ﷺ) I requested a man to ask him about it. So the man asked the Prophet (ﷺ) about it. The Prophet (ﷺ) replied, "Perform ablution after washing your organ (penis)." Ravi Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Mujhe maze ba-kasrat aati thi. Choo'nke mere ghar mein Nabi (ﷺ) ki sahebzaadi thee'n, is liye maine ek shakhs se kaha ke wo aap se uske mutaalliq sawaal kare. Unho'n ne poocha to aap ne farmaya: “Wuzo karlo aur apne a'zoo makhsoos ko dholo”
|
Baab 14: Jisne Khusboo Lagaai Phir Ghusl Kiya, Lekin Khushboo Ka Asar Baaqi Raha Narrated Muhammad bin Al-Muntathir: On the authority of his father that he had asked 'Aisha about the saying of Ibn 'Umar(i.e. he did not like to be a Muhrim while the smell of scent was still coming from his body). 'Aisha said, "I scented Allah's Apostle (ﷺ) and he went round (had sexual intercourse with) all his wives, and in the morning he was Muhrim (after taking a bath)." Ravi Hazrat Ibrahim bin Muhammad bin Muntashir: Hazrat Ibrahim bin Muhammad bin Muntashir apne waalid Muhammad bin Muntashir se bayan karte hain, unho'n ne kaha: Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se poocha aur unse Hazrat Ibne Umar(رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke is qaul ka bhi zikr kiya ke main ye baat gawaara nahi karta ke ehraam baandhu'n aur khushboo mere jism se mehek rahi ho. Us par Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Maine khud Rasool Allah (ﷺ) ko khusbhoo lagaai, phir aap apni tamaam azwaaj ke paas gae aur uske baad ehraam bandha.
|
Narrated 'Aisha: It is as if I am just looking at the glitter of scent in the parting of the Prophet's (ﷺ) head hair while he was a Muhrim. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Goya main Nabi (ﷺ) ki maang mein khusbhoo ki chamak dekh rahi hoo'n aur aap ehraam baandhe hue hain.
|
Baab 15: Baalo'n Ka Khilaal Karna Aur Jab Yageen Ho Gaya Ke Khaal Tar Ho Gai, To Us Par Paani Bahaa Dena Narrated Hisham bin 'Urwa: (On the authority of his father) 'Aisha said, "Whenever Allah's Apostle (ﷺ) took the bath of Janaba, he cleaned his hands and performed ablution like that for prayer and then took a bath and rubbed his hair, till he felt that the whole skin of the head had become wet, then he would pour water thrice and wash the rest of the body." Ravi Hisham bin 'Urwa: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, "Rasool Allah (ﷺ) jab ghusl janaabat karte to pehle apne haatho'n ko dhote aur namaz ke wazoo ki tarah wazoo karte. Phir ghusl ka aghaaz karte. Phir apne haath se baalo'n ka khilaal karte aur jab yageen ho jaata ke khaal tar ho gai hai to teen (3) dafaa us par paani bahaate, phir tamaam badan ka ghusl karte.
|
Narrated 'Aisha: "I and Allah's Apostle (ﷺ) used to take a bath from a single water container, from which we took water simultaneously." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main aur Nabi (ﷺ) ek bartan mein ghusl karte the. Ham dono usse chullu bhar-bhar kar paani lete the.”
|
Baab 16: Jis Ne Bahaalat-e-Janaabat Wuzoo Kiya, Phir Saara Badan Dhoya Aur A'azaa-e-Wuzoo Dobaara Nahi Dhoe Narrated Maimuna: Water was placed for the ablution of Allah's Apostle (ﷺ) after Janaba. He poured water with his right hand over his left twice or thrice and then washed his private parts and rubbed his hand on the earth or on a wall twice or thrice and then rinsed his mouth, washed his nose by putting water in it and then blowing it out arid then washed his face and forearms and poured water over his head and washed his body. Then he shifted from that place and washed his feet. I brought a piece of cloth, but he did not take it and removed the traces of water from his body with his hand." Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne ghusl-e-janaabat ke liye paani rakha. Phir aap ne apne daae'n haath se baae'n haath par do (2) yaa teen (3) paani daala. Baad azaa'n apni sharm-gaah ko dhoya, phir haath ko zameen yaa deewaar par do (2), teen (3) martaba ragad kar dhoya. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur apne chehre aur baazuo'n ko dhoya. Phir aap ne apne sar-e-mubarak par paani bahaaya. Phir tamaam jism ko dhoya, phir apni jagah se hat-kar apne dono paao'n dhoe. Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Main aapke paas ek kapda le kar aai, to aap ne usey nahi liya aur haatho'n hi se paani jhaadne lagey.”
|
Baab 17: Jab Kisi Ko Masjid Mein Yaad Aae Ke Wo Junbi Hai To Usi Haalat Mein Baahar Aajaae, Usey Tayammum Karne Ki Zaroorat Nahi Narrated Abu Huraira: Once the call (Iqama) for the prayer was announced and the rows were straightened. Allah's Apostle (ﷺ) came out; and when he stood up at his Musalla, he remembered that he was Junub. Then he ordered us to stay at our places and went to take a bath and then returned with water dropping from his head. He (ﷺ) said, "Allahu-Akbar", and we all offered the prayer with him. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek dafa namaz ke liye igaamat keh di gai aur khade ho kar safe'n bhi seedhi Karli gaee'n to Rasool Allah (ﷺ) hamaare paas tashreef laae. Jab aap musalle par khade ho chuke to yaad aaya ke aap janaabat ki haalat mein hain. Us waqt aap ne hamse farmaya: “Apni jagah thehre raho”. Phir aap waapas chale gae, ghusl farmaya aur dobaara masjid mein tashreef laae to aapke sar-e-mubarak se paani tapak raha tha. Chunache aap ne namaz ke liye takabbur kahi aur ham ne aapke saath namaz adaa ki. Abdul A'ala ne ba-waasta-e-ma'amar zohri se Usman bin Umar ki mataabe-at ki hai aur Auzaai ne bhi zohri se us riwayat ko bayan kiya hai.
|
Baab 18: Ghusl-e-Janaabat Ke BAad Haatho'n Se Paani Jhaadna I placed water for the bath of the Prophet (ﷺ) and screened him with a garment. He poured water over his hands and washed them. After that, he (ﷺ) poured water with his right hand over his left and washed his private parts, rubbed his hands with earth and washed them, rinsed his mouth, washed his nose by putting water in it and then blowing it out and then washed his face and forearms. He poured water over his head and body. He then shifted from that place and washed his feet. I gave him a piece of cloth but he did not take it and came out removing the water (from his body) with both his hands. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Nabi (ﷺ) ke liye ghusl ka paani rakha aur ek kapde se parda bhi kar diya. Pehle aap ne apne dono haatho'n par paani daal aur unhe'n dhoya. Phir daae'n haath se baae'n haath par paani daala aur apni sharm-gaah ko dhoya. Phir apne haath ko zameen par khoob ragada aur usey dhoya. Uske baad kulli ki aur naak mein paani daala, phir chehra aur baazu dhoe, phir apne sar par paani bahaaya aur saare jism ko dhoya. Uske baad ek taraf hat-kar apne dono paao'n dhoe. Baad azaa'n maine aapko ek kapda dena chaaha lekin aap ne usey nahi liya aur aap apne dono haatho'n se paani jhaadte hue chale gae.
|
Baab 19: Sar Ke Daae'n Hisse Se Ghusl-e-Janaabat Ka Aghaaz Karna Whenever any one of us was Junub, she poured water over her head thrice with both her hands and then rubbed the right side of her head with one hand and rubbed the left side of her head with the other hand. Ravi Hazrat Ayesha Siddiqa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ham mein se agar kisi ko janaabat laahiq hoti to- o-apne haatho'n mein paani le kar sar par teen (3) martaba daalti, phir apne haath mein paani le kar apne daae'n hisse par daalti, uske baad paani le kar baae'n hisse ka ghusl karti.
|
Baab 20: Jisne Khilwat Mein Nange Ho Kar Ghusl Kiya Aur... Jisne Khilwat Mein Nange Ho Kar Ghusl Kiya Aur Jisne Kapda Baandha Liya, (dono jaaez hain, magar) Kapda Baandhkar Ghusl Karna Afzal Hai Bahz ne apne waalid Hakeem se, unho'n ne Bahz ke dada Muawiya se. Unho'n ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya: “Allah Ta'ala logo'n ki nisbat is baat ka ziyaada haqdaar hai ke usse hayaa ki jaae”. |
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, 'The (people of) Bani Israel used to take bath naked (all together) looking at each other. The Prophet Moses used to take a bath alone. They said, 'By Allah! Nothing prevents Moses from taking a bath with us except that he has a scrotal hernia.' So once Moses went out to take a bath and put his clothes over a stone and then that stone ran away with his clothes. Moses followed that stone saying, "My clothes, O stone! My clothes, O stone! till the people of Bani Israel saw him and said, 'By Allah, Moses has got no defect in his body. Moses took his clothes and began to beat the stone." Abu Huraira added, "By Allah! There are still six or seven marks present on the stone from that excessive beating." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) farmaya: “Bani Israel ek doosre ke saamne barhana ho kar ghusl karte aur ek doosre ko dekhte the, jabke Moosa tanha nahaate. Bani Israel ne kaha: Allah Ki Qasam! Moosa hamaare saath is liye ghusl nahi karte ke wo marz-e-fataq mein mubtalaa hain. Ittefaq se ek din Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne nahaate waqt apne kapde ek patthar par rakh diye. Hua you'n ke wo patthar aapke kapde le kar bhaag nikla. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) uske ta'aqqub mein ye kehte hue daude. Aye Patthar! Mere kapde dede. Aye patthar! Mere kapde dede, yahaa'n tak ke bani israel ne Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ko dekh liya aur kehne lagey. Wallahu! Moosa ko koi bimaari nahi. Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne apne kapde liye aur patthar ko maarne lagey”. Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Allah Ki Qasam! Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki maar ke 6 yaa 7 nishaan us patthar par ab bhi maujood hain.
|
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "When the Prophet Job (Aiyub) was taking a bath naked, golden locusts began to fall on him. Job started collecting them in his clothes. His Lord addressed him, 'O Job! Haven't I given you enough so that you are not in need of them?' Job replied, 'Yes!' By Your Honor (power)! But I cannot dispense with Your Blessings.' " Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Ek martaba Hazrat Ayyub (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) nange naha rahe the, ke un par sone ki tiddiyaa'n girne lagee'n. Hazrat Ayyub (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) unhe'n apne kapdo'n mein sametne lagey. Us mauqa par Allah Ta'ala ne unhe'n awaaz di: Aye Ayyub! Jo tum dekh rahe ho, kya mein tumhe'n unse be-niyaaz nahi kiya? Hazrat Ayyub (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne arz kiya: Mujhe teri izzat ki qasam! Kyou'n nahi, magar main tere karam se be-niyaaz nahi ho sakta”. Us hadees ko Ibrahim, Moosa bin Uqba se, wo Safwaan se wo A'ataa bin Yasaar se, wo Hazrat Abu Huraira se, wo Nabi (ﷺ) se is tarah bayan karte hain: “Ek dafa Ayyub (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) nange ho kar ghusl kar rahe the”
|
Baab 21: Logo'n Ke Saamne Nahaate Waqt Parda Karna Narrated Um Hani bint Abi Talib: I went to Allah's Apostle (ﷺ) in the year of the conquest of Mecca and found him taking a bath while Fatima was screening him. The Prophet (ﷺ) asked, "Who is it?" I replied, "I am Um-Hani." Ravi Hazrat Umme Haani Bint Abi Taalib (رضي الله عنهم): Main Fateh Makkah ke din Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hui to maine dekha ke aap ghusl kar rahe hain aur Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne aapko parda kar rakha hai. Rasool Allah (ﷺ) ne poocha: “Ye kaun (khatoon) hain?” Maine khud arz kiya: Main Umme Haani hoo'n.
|
I screened the Prophet (ﷺ) while he was taking a bath in Janaba. He washed his hands, poured water from his right hand over his left and washed his private parts. Then he rubbed his hand over a wall or the earth, and performed ablution similar to that for the prayer but did not wash his feet. Then he poured water over his body, shifted from that place, and washed his feet. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Nabi (ﷺ) ka parda kiya tha, jabke aap ghusl-e- janaabat kar rahe the. Chunache aap ne pehle apne dono haath dhoe, phir aap ne apne daae'n haath se baae'n haath par paani daala. Phir aap ne apni sharm-gaah aur us alaaesh ko dhoya jo lagi hui thi. Baad azaa'n aap ne apna haath deewaar yaa zameen par ragda, phir aap ne namaz ke wazoo jaisa wazoo kiya, albatta paao'n nahi dhoe, phir aap ne poore jism par paani bahaaya. Uske baad wahaa'n se hat-kar apne paao'n dhoe. Satar ke bayaan mein Abu Awaana aur Ibne Fuzail ne Sufiyan ki mataabe-at ki hai.
|
Baab 22: Jab Aurat Ko Ehtelaam Ho Jaae Narrated Um-Salama: (The mother of the believers) Um Sulaim, the wife of Abu Talha, came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Verily Allah is not shy of (telling you) the truth. Is it necessary for a woman to take a bath after she has a wet dream (nocturnal sexual discharge)?" Allah's Apostle (ﷺ) replied, "Yes if she notices a discharge." Ravi Hazrat Ummul Momineen Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Abu Talha ki biwi Hazrat Umme Sulaim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir huee'n, aur arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ)! Allah Ta'ala Haq baat bayaan karne se hayaa nahi karta, jab aurat ko ehtelaam ho jaae to kya us par ghusl waajib hota hai? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Haa'n, jab paani dekhe”
|
Baab 23: Junbi Ka Paseena Aur Ye Ke Musalman Najis Nahi Hota Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) came across me in one of the streets of Medina and at that time I was Junub. So I slipped away from him and went to take a bath. On my return, the Prophet (ﷺ) said, "O Abu Huraira! Where have you been?" I replied, "I was Junub, so I disliked sitting in your company." The Prophet (ﷺ) said, "Subhan Allah! A believer never becomes impure." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) unhe'n madina ke raaste mein miley, jabke wo (Abu Huraira) us waqt ba-haalat-e-janaabat the. Chunache (wo kehte hain:) Main aapke paas se khisak gaya aur door jaakar ghusl kiya. Phir haazir-e-khidmat hua to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aye Abu Huraira! Tum kaha'n the?” Maine arz kiya: Main junbi tha, lehaaza mujhe ye baat pasand na thi ke aap (ﷺ) ke paas napaak haalat mein baithoo'n. Aap (ﷺ) ne farmaya: “SubhanAllah! Musalman Najis nahi hota”
|
Baab 24: Junbi Ka Ghar Se Baahar Nikalna, Bazaar Mein Chalna Waghaira Jaaez Hai Hazrat Ataa ne kaha: Junbi seengi lagwa sakta hai, apne nakhun kaat sakta hai aur apna sar bhi mundwa sakta hai. Khwah usne wazoo na kiya ho. The Prophet (ﷺ) used to visit all his wives in one night and he had nine wives at that time. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) baaz auqaat ek raat mein apni tamaam azwaaj-e- mutahharaat ke paas ho aate the, aur us waqt unki taadaad nau (9) thi.
|
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle (ﷺ) came across me and I was Junub He took my hand and I went along with him till he sat down I slipped away, went home and took a bath. When I came back, he was still sitting there. He then said to me, "O Abu Huraira! Where have you been?' I told him about it The Prophet (ﷺ) said, "Subhan Allah! O Abu Huraira! A believer never becomes impure." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) se meri mulagaat ba-haalat janaabat hui. Aap ne mera haath pakad liya aur main aapke saath chalne laga, yahan tak ke aap baith gae to main chupke se utha aur apne thikaane par pohcha. Wahaa'n maine ghusl kiya, phir haazir-e-kihdmat hua, aap wahee'n tashreef farma the. Aap ne farmaya: “Abu Huraira! Tum kaha'n the?” Maine aapse arz kar diya. Aap ne farmaya: “Abu Huraira! SubhanAllah! Bila-shubha momin napaak nahi hota”.
|
Baab 25: Ghusl Se Pehle Junbi Ka Ghar Mein Theherna, Jabke Wo Wuzoo Kar Le Narrated Abu Salama: I asked 'Aisha "Did the Prophet (ﷺ) use to sleep while he was Junub?" She replied, "Yes, but he (ﷺ) used to perform ablution (before going to bed). Ravi Hazrat Abu Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se dariyaaft kiya: Nabi (ﷺ) ba-haalat- e-janaabat ghar mein so jaate the? Unho'n ne farmaya: Haan, lekin wazoo kar lete the.
|
Baab 26: Junbi Ka Sona Narrated 'Umar bin Al-Khattab: I asked Allah's Apostle (ﷺ) "Can any one of us sleep while he is Junub?" He replied, "Yes if he (ﷺ) performs ablution, he can sleep while he is Junub." Ravi Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Rasool Allah (ﷺ) se poocha: Kya ham mein se koi janaabat ki haalat mein so sakta hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haa'n, wazoo karke ba-haalat-e-janaabat so sakta hai”
|
Baab 27: Junbi Wuzoo Karey, Phir Soe Narrated 'Aisha: Whenever the Prophet (ﷺ) intended to sleep while he (ﷺ) was Junub, he (ﷺ) used to wash his private parts and perform ablution like that for the prayer. Ravi Hazrat Ayesha: Nabi (ﷺ) jab ba-haalat-e-janaabat sona chaahte to pehle apni sharm-gaah ko dhote, phir wazoo karte jo namaz ke liye kiya jaata hai.
|
Narrated 'Abdullah: 'Umar asked the Prophet (ﷺ) "Can any one of us sleep while he is Junub?" He (ﷺ) replied, "Yes if he performs ablution." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رضي الله عنهم): Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se masla dariyaaft kiya: Aaya ham mein se koi haalat-e-janaabat mein so sakta hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haa'n, jab wazoo kar le”
|
Narrated 'Abdullah bin 'Umar: Umar bin Al-Khattab told Allah's Apostle (ﷺ), "I became Junub at night." Allah's Apostle (ﷺ) replied, "Perform ablution after washing your private parts and then sleep." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رضي الله عنهم): Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Rasool Allah (ﷺ) se zikr kiya, ke usey (ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko) raat ke kisi hisse mein janaabat laahiq ho jaati hai? To Rasool Allah (ﷺ) ne unse farmaya: “Wuzoo karlo aur apna a'zoo dholo, phir so jaao”.
|
Baab 28: Jab (miyaa'n biwi) Dono (ke) Khattaan Ek Doosre Se Mil Jaae'n The Prophet (ﷺ) said, "When a man sits in between the four parts of a woman and did the sexual intercourse with her, bath becomes compulsory." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jab mard, aurat ke chaaro'n a'azaa ke darmiyan baith jaae, phir koshish shuru karde to ghusl waajib ho jaaega”. Is hadees ki mataabe- at Amr bin Marzooq ne ba-waasta-e-Shu'ba (a'an Qatada) ki hai. Aur Moosa ne kaha: Ham se Abaan ne hadees bayan ki, unho'n ne Qatada se bayan ki, Qatada ne Hazrat Hasan se yehi riwayat bayan ki.
|
Baab 29: Aurat Ki Sharm-gaah Se Jo Ratoobat Lag Jaae, Uska Dhona Aurat ki indaam-e-nahaani* se behne waali ratoobat do tarah ki hoti hai: 1. Ratoobat Daakhil-e-Farj: Isse muraad wo ratoobat hai,jo aurat se jimaa ke wagt harkat se paida hoti hai. Ye ratoobat bil-ittefaaq napaak hai. Agar kapde ko lag jaae to wo napaak ho jaata hai, jise dhona zaroori hai. 2. Ratoobat Khaarij-e-Farj: Isse muraad wo ratoobat hai, jo hama-waqt mehel mein rehti hai, goya wo us hissa-e-jism ka paseena hai. Choo'nke ye peshaab ka muqaam hai, is liye mehel ke najis hone se bhi ye bhi najis hai. Albatta ahnaaf ke yahaa'n ratoobat napaak nahi. Imam Bukhari ne dono qism ki ratoobat ko dhone ke mutaalliq farmaya hai. |
Narrated Zaid bin Khalid AjJuhani: I asked 'Uthman bin 'Affan about a man who engaged in sexual intercourse with his wife but did not discharge. 'Uthman replied, "He should perform ablution like that for the prayer after washing his private parts." 'Uthman added, "I heard that from Allah's Apostle (ﷺ)." I asked 'Ali bin Abi Talib, Az-Zubair bin Al-'Awwam, Talha bin 'Ubaidullah and Ubai bin Ka'b and a gave the same reply. (Abu Aiylub said that he had heard that from Allah's Apostle (ﷺ) (This order was cancelled later on so one has to take a bath. See, Hadith No. 180). Ravi Hazrat Zaid bin Khaalid Johni: Unho'n ne Hazrat Usmaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: Agar koi shakhs apni biwi se ham-bistari kare magar inzaal na ho to uske mutaalliq aap ki kya raae hai? Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wo wazoo kare jaisa ke namaz ke liye wazoo karta hai aur apne a'zoo-e-makhsoos ko dhole. Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye bhi kaha ke maine Rasool Allah (ﷺ) se aisa hi suna hai. Hazrat Zaid kehte hain: Maine phir uske mutaalliq Hazrat Ali bin Abi Taalib, Zubair bin Awaam, Talha bin Obaidullah aur Ubai bin Kaab (رضي الله عنهم) se dariyaaft kiya to unho'n ne bhi yehi faisla diya. Yahya bin Abi Kaseer ne kaha: Mujhe Abu Salama ne khabar di, unhe'n Urwah bin Zubair ne bataaya, unhe'n Abu Ayyub Ansari ne kahbar di, unho'n ne Rasool Allah (ﷺ) se suna.
|
Narrated Ubai bin Ka'b: I asked Allah's Apostle (ﷺ) about a man who engages in sexual intercourse with his wife but does not discharge. He (ﷺ) replied, "He should wash the parts which come in contact with the private parts of the woman, perform ablution and then pray." (Abu 'Abdullah said, "Taking a bath is safer and is the last order.") Ravi Hazrat Ubai bin Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine arz kiya: Yaa Rasool Allah (ﷺ)! Jab koi mard apni biwi se ham-bistari ho aur usey inzaal na ho to? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Us muqaam ko dhole, jisse aurat ko mas kiya tha, phir wazoo kare aur namaz padhle”. Abu Abdullah Bukhari kehte hain ke ghusl karne mein hi ehtiyaat hai. Ye aakhri riwayat ham ne Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ke ikhtelaaf ki wajah se bayan ki hai.
|
PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT