SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
6: Kitab-ul-Haiz— Haiz Se Mutaallig Ehkaam-o-Masaael
[Menstrual Periods/كتاب الحيض]
[294 To 333]
Irshad-e-Baari Ta'ala hai: “Aur Log Aapse Haiz Ke Baare Mein Sawaal Karte Hain. Keh Deejiye: Wo Ek Gandagi Hai, Lehaaza Haalat-e-Haiz Mein Aurto'n Se Alag Raho, Aur Jab Tak Wo Paak Na Ho Jaae'n, Unke Qareeb Na Jaao. Haa'n! Jab Wo Khoob Paak Ho Jaae'n To Unke Paas Jaao, Jahaa'n Se Allah Ta'ala ne Tumhe'n Ijaazat Di Hai. Allah Ta'ala Tauba Karne Waalo'n Ko Aur Paak Rehne Waalo'n Ko Pasand Karta Hai”. [ Surah Baqara: 222] |
Baab 1: Haiz Ki Ibteda Kaise Hui? Nabi-e-Akram (ﷺ) ka irshad hai: “Haiz aisee cheez hai, jo Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki betiyo'n ke liye muqarrar farmadi hai”. Baaz hazraat kehte hain: Haiz pehle pehle Bani Israel par musallat kiya gaya tha. Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Nabi (ﷺ) ki hadees tamaam aurto'n ko shaamil hai. |
Baab: ... Haaeza Ko Jab Haiz Aajaae To Uske Mutaalliq Kya Hukum Hai? 'Aisha said, "We set out with the sole intention of performing Hajj and when we reached Sarif, (a place six miles from Mecca) I got my menses. Allah's Apostle (ﷺ) came to me while I was weeping. He (ﷺ) said 'What is the matter with you? Have you got your menses?' I replied, 'Yes.' He (ﷺ) said, 'This is a thing which Allah has ordained for the daughters of Adam. So do what all the pilgrims do with the exception of the Taw-af (Circumambulation) round the Ka'ba." 'Aisha added, "Allah's Apostle (ﷺ) sacrificed cows on behalf of his wives." Ravi Al-Qasim: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, 'Ham sab Madina Munawwara se sirf hajj ke iraade se nikle, chunache jab ham mugam-e-sarf par pohche to mujhe haiz aagaya." Rasool Allah (ﷺ) mere paas tashreef laae to main ro rahi thi. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tujhe kya hua? Kya haiz aa gaya hai?” Maine arz kiya: Ji haa'n. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ye amr to Allah Ta'ala ne banaat-e-aadam par likh diya hai, lehaaza tum wo tamaam kaam karo, jo hagji karta hai, albatta baitullah ka tawaaf na karna”. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) ne apni azwaaj-e-mutahharaat ki taraf se gaae ki qurbani di.
|
Baab 2: Haaeza Aurat Ka Apne Khaawind Ke Sar Ko Dhona Aur Us Mein Kanghi Karna While in menses, I used to comb the hair of Allah's Apostle (ﷺ). Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main ba-haalat-e-haiz Rasool Allah (ﷺ) ke sar-e-mubarak mein kanghi kiya karti thi.
|
Narrated 'Urwa: A person asked me, "Can a woman in menses serve me? And can a Junub woman come close to me?" I replied, "All this is easy for me. All of them can serve me, and there is no harm to any other person to do the same. 'Aisha told me that she used to comb the hair of Allah's Apostle (ﷺ) while she was in her menses, and he was in Itikaf (in the mosque). He would bring his head near her in her room and she would comb his hair, while she used to be in her menses." Ravi Hazrat Urwah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unse sawaal kiya gaya: Aaya haaeza aurat meri khidmat kar sakti hai, ya ba- haalat-e-janaabat mere qareeb aasakti hai? Hazrat Urwah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne faramya: Mere nazdeek is mein koi harj nahi. Is tarah ki aurte'n meri bhi khidmat bajaa laati hain. Kisi shakhs par is silsile mein koi muzaaeqa nahi. Mujhe Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne bataaya ke wo ba-haalat-e-haiz Rasool Allah (ﷺ) ke sar-e-mubarak mein kanghi kiya karti thee'n. Halaa'nke Rasool Allah (ﷺ) us waqt masjid mein etekaaf farma hote. Aap apna sar-e-mubarak qareeb kar dete aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) haaeza hone ke ba-wujood apne hujre hi se kanghi kar diya karti thi.
|
Baab 3: Mard Ka Apni Haaeza Biwi Ki Godh Mein Quran Padhna Hazrat Abu Waael apni khaadima ko Abu Zarrin ke paas bhejte, jabke wo ba-haalat-e-haiz hoti. Wo (ghilaf mein lapte hue) quran ko uski dori se pakde le aati. The Prophet (ﷺ) used to lean on my lap and recite Qur'an while I was in menses. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) meri godh mein takiya lagaa lete the, jabke main haiz se hoti, phir aap (ﷺ) Quran-e-Kareem ki tilaawat farmate the.
|
Baab 4: Jisne Nifaas Ka Naam Haiz rakha Narrated Um Salama: While I was laying with the Prophet (ﷺ) under a single woollen sheet, I got the menses. I slipped away and put on the clothes for menses. He (ﷺ) said, "Have you got "Nifas" (menses)?" I replied, "Yes." He then called me and made me lie with him under the same sheet. Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ek martaba Nabi (ﷺ) ke saath ek chaadar mein leti hui thi, ke mujhe haiz aagaya. Is liye maine aahista se baahar aagai, aur apne haiz ke kapde pehen liye. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Kya tujhe nifaas aagaya hai?” Maine arz kiya: Ji haa'n. Aap (ﷺ) ne mujhe apne paas bulaya aur main chadar mein aapke saath lait gai.
|
Baab 5: Haaeza Aurat Ke Badan Se Badan Milaana Narrated 'Aisha: The Prophet (ﷺ) and I used to take a bath from a single pot while we were Junub. During the menses, he (ﷺ) used to order me to put on an Izar (dress worn below the waist) and used to fondle me. While in Itikaf, he used to bring his head near me and I would wash it while I used to be in my periods (menses). Ravi Hazrat Ayesah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main aur Nabi (ﷺ) ek hi bartan se ghusl kiya karte the, jabke ham dono junbi hote. Aur aap mujhe hukum farmate to main izaar bandh leti, phir aap mere saath isteraahat farmate, yaane milkar sote jabke main ba-haalat-e-haiz hoti.* Aur aap apna sar-e-mubarak meri jaanib nikaal dete, jabke aap etekaaf mein hote, aur main ba-haalat-e-haiz aapke sar-e-mubarak ko dho deti.
|
(On the authority of his father) 'Aisha said: "Whenever Allah's Apostle (ﷺ) wanted to fondle anyone of us during her periods (menses), he used to order her to put on an Izar and start fondling her." 'Aisha added, "None of you could control his sexual desires as the Prophet (ﷺ) could." Ravi Abdur-Rahman bin Al-Aswad: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai,"Ham azwaam mein se jab koi haiz se hoti, aur usi haalat mein Rasool Allah (ﷺ) hamaare saath isteraahat ka iraada farmate, to aap izaar baandhne ka hukum dete. Ba-wujood- yeke haiz josh mein hota, phir aap uske saath isteraahat farmate. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Tum mein se se aisa kaun hai jo Nabi (ﷺ) ki tarah apni khwahish par control karne waala ho? Is hadees ko Shaibani se bayan karne mein Khalid aur Jarir ne (Ali bin Mashar ki) mataabeat ki hai.
|
Narrated Maimuna: Whenever Allah's Apostle (ﷺ) wanted to fondle any of his wives during the periods (menses), he used to ask her to wear an Izar. Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) apni azwaaj mein se kisi ke saath isteraahat farmaana, yaane mil-kar sona chaahte aur wo haaeza hoti to aapke hukum se wo izaar baandh leti. Is hadees ko Sufiyan ne Shaibani se bayan kiya hai.
|
Baab 6: Haaeza Aurat Ka Roza Chodh Dena Narrated Abu Said Al-Khudri: Once Allah's Apostle (ﷺ) went out to the Musalla (to offer the prayer) o 'Id-al-Adha or Al-Fitr prayer. Then he (ﷺ) passed by the women and said, "O women! Give alms, as I have seen that the majority of the dwellers of Hell-fire were you (women)." They asked, "Why is it so, O Allah's Apostle (ﷺ)?" He (ﷺ) replied, "You curse frequently and are ungrateful to your husbands. I have not seen anyone more deficient in intelligence and religion than you. A cautious sensible man could be led astray by some of you." The women asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! What is deficient in our intelligence and religion?" He said, "Is not the evidence of two women equal to the witness of one man?" They replied in the affirmative. He (ﷺ) said, "This is the deficiency in her intelligence. Isn't it true that a woman can neither pray nor fast during her menses?" The women replied in the affirmative. He (ﷺ) said, "This is the deficiency in her religion." Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) eid-ul-fitr yaa eid-ul-adha ke din eidgah tashreef le gae. Phir aapka guzar aurto'n par hua to aapne farmaya: “Aye aurto'n ke giroh! Tum sadqa ziyaada kiya karo, kyou'nke maine tumhari aksariyat jahannum mein dekhi hai”. Wo bolee'n: Yaa Rasool Allah (ﷺ)! Aisa kyou'n hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum laanat bohot karti ho, aur apne khaawind ki naa-shukri karti ho, maine tumse ziyaada kisi ko deen-o-aqal mein naqs rakhne ke ba-wujood pukhta raae mard ki agal ko le jaane waala nahi paaya”. Unho'n ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Hamaari aqal aur deen mein nugsaan (kami) kya hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Kya aurat ki gawaahi mard ki nisf gawaahi ke baraabar nahi?” Unho'n ne kaha: Beshak aisa hi hai. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Yehi uski aqal ka nugsaan hai”. Phir aap (ﷺ) ne farmaya: “Kya ye haqeeqat nahi ke jab aurat ko haiz aata hai to wo na namaz padhti hai, aur na roza rakhti hai”. Unho'n ne kaha: Haan, ye to hai. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bas yehi aurat ke deen ka nuksaan hai”
|
Baab 7: Haaeza Ka Tawaaf-e-Ka'aba Ke Siwa Deegar Manaasik-e-Hajj Adaa Karna Ibrahim (Nakhai) ne farmaya: Haaeza aurat ke liye aayat padhne mein koi muzaaeqa nahi. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) junbi ke liye Quran-e-Kareem padhne mein koi harj nahi khayaal karte the. Nabi (ﷺ) apne tamaam auqaat mein Allah ka zikr kiya karte the. Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Eid ke din haaeza aurto'n ko bhi baahar nikalne ka hukum hota tha. Wo bhi mardo'n ki tarah takbiraat padhti heen, aur dua karti thee'n. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya, Unhe'n Hazrat Abu Sufiyan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bataaya ke Harqil ne Nabi (ﷺ) ka naama-e-mubarak talab kiya, aur usey padha, us mein likha tha: Shuru Allah ke naam se, jo bada meherban intehaai rahem karne waala hai: Aye Ahle Kitab! Ek aise kalme ki taraf aajaao, jo hamaare aur tumhare darmiyan mushtarik hai. Ke Ham Allah ke siwa kisi ki ibaadat na kare'n, aur kisi ko uska shareek na thehraae'n... Hazrat Ataa, Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain ke Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ko (hajj mein) haiz aagaya to unho'n ne baitullah ke tawaaf ke siwa deegar tamaam manaasik-e-hajj poore kiye aur wo namaz bhi nahi padhti thi. Hazrat Hakam ne kaha: Main junbi hone ke ba-wujood jaanwar zibah kar leta hoo'n aur Allah Ta'ala ka irshad hai: Tum Us Zabeehe Ko Na Khao Jis Par Allah Ka Naam Na Liya Gaya Ho. |
Narrated 'Aisha: We set out with the Prophet (ﷺ) for Hajj and when we reached Sarif I got my menses. When the Prophet (ﷺ) came to me, I was weeping. He (ﷺ) asked, "Why are you weeping?" I said, "I wish if I had not performed Hajj this year." He (ﷺ) asked, "May be that you got your menses?" I replied, "Yes." He then said, "This is the thing which Allah has ordained for all the daughters of Adam. So do what all the pilgrims do except that you do not perform the Tawaf round the Ka'ba till you are clean." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ham Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah baae'n-haalat nikle ke ham hajj ke alaawa kisi cheez ka zikr na karte the. Jab ham muqaam-e-sarifa par pohche, to mujhe haiz aagaya. Nabi (ﷺ) mere paas tashreef laae to main ro rahi thi. Aap (ﷺ) ne poocha: “Tum kyou'n ro rahi ho?” Maine arz kiya: Kaash main is saal hajj ka iraada hi na karti. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Shayad tumhe'n haiz aagaya hai?” Maine kaha: Ji haa'n. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Usey to Allah Ta'ala ne tamaam banaat-e-aadam par likh diya hai, is liye tum wo tamaam afaal karti raho jo haaji karta hai, albatta baitullah ka tawaaf nahi karna taa-aa'nke tum paak ho jaao”
|
Baab 8: Istehaaze Ka bayaan Narrated 'Aisha: Fatima bint Abi Hubaish said to Allah's Apostle (ﷺ), "O Allah's Apostle (ﷺ)! I do not become clean (from bleeding). Shall I give up my prayers?" Allah's Apostle (ﷺ) replied: "No because it is from a blood vessel and not the menses. So when the real menses begins give up your prayers and when it (the period) has finished wash the blood off your body (take a bath) and offer your prayers." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Fatima bint Abi Hubaish (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasool Allah (ﷺ) se arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Mujhe paaki haasil nahi hoti, kya main namaz chodh doo'n?” To Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ye ek ragg ka khoon hai, haiz nahi, lehaaza jab haiz aae to namaz chodh-do, aur jab haiz ke ayyaam guzar jaae'n to khud se khoon dho-daalo, yaane ghusl karo aur namaz padho” .
|
Baab 9: Haiz Ke Khoon Ko Dhona Narrated Asma' bint Abi Bakr: A woman asked Allah's Apostle (ﷺ), "O Allah's Apostle (ﷺ)! What should we do, if the blood of menses falls on our clothes?" Allah's Apostle (ﷺ) replied, "If the blood of menses falls on the garment of any one of you, she must take hold of the blood spot, rub it, and wash it with water and then pray in (with it)." Ravi Hazrat Asma bint Abi Bakr (رضي الله عنهم): Ek aurat ne Rasool Allah (ﷺ) se sawal kiya, kehne lagi: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Jab ham aurto'n mein se kisi ke kapde ko haiz ka khoon lag jaae to wo kya amal karey? Uske mutaalliq irshad farmaiye. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se kisi ke kapde ko haiz ka khoon lag jaae to usey apni chutkiyo'n se maley, phir usey paani se dho-daale, phir us mein namaz padhle”
|
Whenever any one of us got her menses, she, on becoming clean, used to take hold of the blood spot and rub the blood off her garment, pour water over it and wash that portion thoroughly and sprinkle water over the rest of the garment. After that, she would pray in (with) it. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Jab ham mein se kisi ko haiz aata, to wo tuhr (zohar) ke waqt apne kapde se khoon ko chutkiyo'n se khurach daalti, aur usey dho-daalti, phir baqiya kapde par paani chidak deti, phir us mein namaz padh leti.
|
Baab 10: Mustahaaza Ka Etekaaf Narrated 'Aisha: Once one of the wives of the Prophet (ﷺ) did Itikaf along with him and she was getting bleeding in between her periods. She used to see the blood (from her private parts) and she would perhaps put a dish under her for the blood. (The sub-narrator 'Ikrima added, 'Aisha once saw the liquid of safflower and said, "It looks like what so and so used to have.") Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ke saath aap ki azwaaj-e-mutahharaat mein se kisi ek ne etekaaf kiya, jabke wo istehaaza mein mubtalaa thee'n. Wo aksar khoon dekhti rehtee'n, aur aam taur par wo apne neeche khoon ki wajah se tasht rakh liya karti thee'n. Raawi-e-hadees, Hazrat Ikrima ne kaha ke (kisi taqreeb mein) Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kasm ka paani dekha to farmaya: "Ye to aisa maloom hota hai ke jaise falaa'n saahiba ko istehaaza ka khoon aata hai."
|
"One of the wives of Allah's Apostle (ﷺ) joined him in i'tikaf and she noticed blood and yellowish discharge (from her private parts) and put a dish under her when she prayed." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah aap ki ek ahliya ne etekaaf kiya, to wo khoon aur zardi dekhti thee'n, tasht unke neeche hota aur wo usi haalat mei namaz padhti thee'n.
|
One of the mothers of the faithful believers (i.e. the wives of the Prophet ﷺ) did i'tikaf while she was bleeding in between her periods. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ummahaat-ul-momineen mein se kisi ek ne istehaaze ki haalat mein etekaaf kiya.
|
Baab 11: Aurat Ka Us Libaas Mein Namaz Padhna Jis Mein Usey Haiz Aaya Ho? None of us had more than a single garment and we used to have our menses while wearing it. Whenever it got soiled with the blood of menses we used to apply saliva to the blood spot and rub off the blood with our nails. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Hamaare paas sirf ek hi libaas hota tha. Usi mein ayyaam- e-haiz guzaartee'n. Agar us mein haiz ka kuch khoon lag jaata, to us par thook daal detee'n, aur usey apne naakhun se ragad detee'n.
|
Baab 12: Ghusl-e-Haiz Se Faraaghat Ke Baad Aurat Ka Khusboo Istemaal Karna We were forbidden to mourn for a dead person for more than three days except in the case of a husband for whom mourning was allowed for four months and ten days. (During that time) we were not allowed to put ko, hl (Antimony eye power) in our eyes or to use perfumes or to put on coloured clothes except a dress made of 'Asb (a kind of Yemen cloth, very coarse and rough). We were allowed very light perfumes at the time of taking a bath after menses and also we were forbidden to go with the funeral procession. Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Hame'n kisi maiyyat par 3 din se ziyaada sog karne se roka jaata tha. Siwaae shauhar ke, ke uske muaamale mein 4 maah 10 din tak sog ka hukum tha. Nez ye bhi hukum tha ke us dauraan mein ham na surma lagaae'n, na khushboo istemaal kare'n, aur na koi rangeen kapda pehne'n. Magar jis kapde ka dhaaga banaawat ke waqt hi ranga hua ho. Albatta haiz se faraaghat ke waqt ye ijaazat thi ke jab ham mein se koi ghusl-e-haiz karey to wo kast azfaar (khushboo) istemaal kare. Uske alaawa hame'n janaaze ke saath jaane se bhi rok diya gaya tha.” Is hadees ki riwayat Hisham bin Hassaan ne hafsa se, unho'n ne Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se, unho'n ne Nabi (ﷺ) se bhi ki hai.
|
Baab 13: Haiz Se Faraaghat Ke Baad (Nahaate Waqt) Aurat Ka... Haiz Se Faraaghat Ke Baad (Nahaate Waqt) Aurat Ka Apne Badan Ko Malna Aur Ghusl Karne Ka Tareeqa, Ghusl Ke Baad Wo Cheez Jis Par Mushk Lagaaya Gaya Ho, Usey Khoon Aalooda Mugamaat Par Pher De A woman asked the Prophet (ﷺ) about the bath which is taken after finishing from the menses. The Prophet (ﷺ) told her what to do and said, "Purify yourself with a piece of cloth scented with musk." The woman asked, "How shall I purify myself with it" He (ﷺ) said, "Subhan Allah! Purify yourself (with it)." I pulled her to myself and said, "Rub the place soiled with blood with it." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ek aurat ne Nabi (ﷺ) se apne ghusl-e-haiz ke mutaalliq dariyaaft kiya, to aap ne uske saamne ghusl ki kaifiyat bayan ki. Mazeed farmaya: “Kastoori laga hua rooi ka ek tukda le kar usse tahaarat haasil kar”. Wo kehne lagi: Uske saath kaise tahaarat haasil karoo'n? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Subhan-Allah! Pakeezgi haasil kar”. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Maine us aurat ko apni taraf kheencha aur usey samjhaaya ke usey khoon ke mukamaat par lagaale.
|
Baab 14: Ghusl-e-Haiz Ka Bayaan Narrated 'Aisha: An Ansari woman asked the Prophet (ﷺ) how to take a bath after finishing the menses. He (ﷺ) replied, "Take a piece of cloth perfumed with musk and clean the private parts with it thrice." The Prophet (ﷺ) felt shy and turned his face. So pulled her to me and told her what the Prophet (ﷺ) meant. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Qabeela-e-ansaar ki ek aurat ne Nabi (ﷺ) se arz kiya: Main haiz ka ghusl kis tarah karoo'n? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Kastoori lagaa hua rooi ka ek tukda lo, aur usse paaki haasil karo”. Ye aapne 3 martaba farmaya. Phir Nabi (ﷺ) ko hayaa daaman-geer hui aur aap ne chehra-e-mubarak doosri taraf pher liya. Yaa farmaya: “Usse paaki haasil karo”. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hai ke maine us aurat ko pakad kar apni taraf kheench liya, aur Nabi (ﷺ) jo baat kehna chaahte the, wo maine usey samjhaai.
|
Baab 15: Ghusl-e-Haiz Ke Wagt Aurat Ka Baalo'n Mein Kanghi Karna In the last Hajj of Allah's Apostle (ﷺ) I assume the Ihram for Hajj along with Allah Apostle. I was one of those who intended Tamattu' (to perform Hajj an 'Umra) and did not take the Hadi (animal for sacrifice) with me. I got my menses and was not clean till the night of 'Arafa I said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! It is the night of the day of 'Arafat and I intended to perform the Hajj Tamattu' with 'Umra Allah's Apostle (ﷺ) told me to undo my hair and comb it and to postpone the 'Umra. I did the same and completed the Hajj. On the night of Al-Hasba (i.e. place outside Mecca where the pilgrims go after finishing all the ceremonies Hajj at Mina) he (the Prophet (ﷺ) ordered 'Abdur Rahman ('Aisha's brother) to take me to At-Tan'im to assume the ihram for'Umra in lieu of that of Hajj-atTamattu' which I had intended to perform. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Rasool Allah (ﷺ) ke saath hajjatul widaa mein ehraam bandha to main un logo'n mein shaamil thi. Jinho'n ne hajj-e-tamatto ki niyyat ki thi, aur apne saath qurbani ka jaanwar nahi laae the. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha ke unhe'n haiz aagaya aur shab-e-arfa tak paak na ho sakee'n. Tab unho'n ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Ye arfa ki raat hai aur maine umrah ka ehraam bandh kar tamatto ka iraada kiya tha? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum apna sar khol kar kanghi karlo aur apne umre ke amaal ko mauqoof kar do”. Chunache maine aisa hi kiya, aur jab main hajj se faarigh ho gai to aap ne shab-e-mahsab* (mere bhai) Abdur Rahman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko hukum diya to wo, mere is umrah ke badle jiska maine ehraam bandha tha, mujhe muqaam- e-tanyeem se umrah kara laae.
|
Baab 16: Ghusl-e-Haiz Ke Waqt Aurat Ka Apne Baalo'n Ko Kholna On the 1st of Dhul-Hijja we set out with the intention of performing Hajj. Allah's Apostle (ﷺ) said, "Anyone who likes to assume the Ihram for 'Umra he can do so. Had I not brought the Hadi with me, I would have assumed the Ihram for 'Umra. "Some of us assumed the Ihram for 'Umra while the others assumed the Ihram for Hajj. I was one of those who assumed the Ihram for 'Umra. I got menses and kept on menstruating until the day of 'Arafat and complained of that to the Prophet (ﷺ). He (ﷺ) told me to postpone my 'Umra, undo and comb my hair, and assure the Ihram of Hajj and I did so. On the right of Hasba, he sent my brother Abdur-Rahman bin Abi Bakr with me to At-Tah'im, where I assumed the Ihram for Umra in lieu of the previous one. Hisham said, "For that ('Umra) no Hadi, fasting or alms were required. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ham hilal-e-dhul hajja ke qareeb hajj ke liye rawaana hue to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs umrah ka ehraam baandhna chaahe, wo umrah ka ehraam baandhle aur khud main agar hadee (qurbani ka jaanwar) na laaya hota to umrah hi ka ehraam baandha”. Chunache kuch logo'n ne umrah ka ehraam bandha aur kuch ne hajj ka aur main un logo'n mein thi jinho'n ne umrah ka ehraam bandha tha. Mujhe arfa ka din ba-haalat-e-haiz aaya, chunache maine Nabi (ﷺ) se arz kiya to aap ne farmaya: “Umrah tark kar do aur sar ke baal khol kar kanghi karlo, phir hajj ka ehraam bandh lo”. Chunache maine aisa hi kiya, yahaa'n tak ke jab waadi-e-mahsab mein padaao ki raat aai to aap ne mere saath mere bhai Abdur Rahman bin Abu Bakar (رضي الله عنهم) ko bheja. Main (unke saath) tanyeem tak gai aur waha'n se faut-shuda umrah ki jagah doosre ehraam bandha. Hisham raawi kehte hain ke un sab baato'n mein na qurbaani laazim hui, na roza rakhna pada aur na sadqa hi dena pada.
|
Baab 17: Mukhallakat Ya Gair Mukhallakat Ka Bayaan Narrated Anas bin Malik: The Prophet (ﷺ) said, "At every womb, Allah appoints an angel who says, 'O Lord! A drop of semen, O Lord! A clot. O, Lord! A little lump of flesh." Then if Allah wishes (to complete) its creation, the angel asks, (O Lord!) Will it be a male or female, a wretched or a blessed, and how much will his provision be? And what will his age be?' So all that is written while the child is still in the mother's womb." Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala rehm- e-maadar par ek farishta muqarrar kar deta hai, jo arz karta hai: Aye parwardigaar! Rehm-e-maadar mein ye nutfa hai. Aye Rabb! Ye a'alaqgah, yaane khoon-basta ho gaya. Aye Rabb! Ab ye gosht ka lothda ban gaya. Phir jab Allah Ta'ala uski khalqat ko mukammal kar dena chahta hai, to farishta kehta hai: Muzakkar yaa Muannas? Bad-bakht yaa nek-bakht? Phir uska rizq aur umr kis qadar hai? Ye tamaam baate'n (farishte ki taraf se) rihhm-e-maadar hi mein likh di jaati hain”.
|
Baab 18: Haaeza Aurat Hajj Aur Umrah Ka Ehraam Kis Tarah Baandhe? 'Aisha said, "We set out with the Prophet (ﷺ) in his last Hajj. Some of us intended to perform 'Umra while others Hajj. When we reached Mecca, Allah's Apostle (ﷺ) said, 'Those who had assumed the ihram for 'Umra and had not brought the Hadi should finish his lhram and whoever had assumed the Ihram for 'Umra and brought the Hadi should not finish the Ihram till he has slaughtered his Hadi and whoever had assumed the ihram for Hajj should complete his Hajj." 'Aisha further said, "I got my periods (menses) and kept on menstruating till the day of 'Arafat, and I had assumed the Ihram for 'Umra only (Tamattu'). The Prophet (ﷺ) ordered me to undo and comb my head hair and assume the ihram for Hajj only and leave the 'Umra. I did the same till I completed the Hajj. Then the Prophet (ﷺ) sent 'Abdur Rahman bin Abi Bakr with me and ordered me to perform 'Umra from At-Tan'im in lieu of the missed 'Umra." Ravi Urwa: Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya,"Ham Nabi (ﷺ) ke hamraah hajjat-ul-widaa ke liye rawaana hue. Ham mein se kisi ne umrah ka ehraam bandha aur kisi ne hajj ka. Jab ham makkah mukarrama aae to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis ne umrah ka ehraam bandha hai, aur wo qurbaani ka jaanwar saath nahi laaya to wo (umrah karne ke baad) halaal ho jaae. Aur jisne umrah ka ehraam bandha hai aur hadee ka jaanwar saath laaya hai to wo hadee ki qurbani se pehle halaal nahi hoga. Aur jisne sirf hajj ka ehraam bandha hai, usey apne hajj ko poora karna hoga”. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Mujhe haiz aagaya aur yaum-e-arafa tak usi haalat mein rahi. Choo'nke maine sirf umrah ka ehraam bandha tha, is liye Nabi (ﷺ) ne mujhe hukum diya ke main apna sar khol-kar kanghi kar loo'n. Phir hajj ka ehraam bandh loo'n aur umrah ko tark kar du'n. Maine aisa hi kiya, taa-aa'nke maine apna hajj poora kar liya. Phir Aap (ﷺ) ne mere saath Hazrat Abdur Rahman bin Abi Bakar (رضي الله عنهم) ko rawaana kiya aur mujhse farmaya ke main apne tark karda umrah ke badle se doosra umrah kar du'n."
|
Baab 19: Haiz Ki Aamad Aur Khatam Hone Ka Bayaan Aurte'n Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas dibiya mein rooi bhejtee'n, jismein zardi hoti thi. To Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) unse farmatee'n: Jaldi na karo, ta-aa'nke choone ki tarah safedi dekho. Isse muraad haiz ki paaki hoti thi. Hazrat Zaid bin Saabit : ki beti ko ye baat maaloom hui ke aurte'n darmiyan-e-raat chiragh mangwakar tuhr dekhti hain, to unho'n ne farmaya: Pehle aurtoe'n (shaabiyaat) aisa na karti thee'n, aur unho'n ne usey maayoob khayaal kiya. |
Fatima bint Abi Hubaish used to have bleeding in between the periods, so she asked the Prophet (ﷺ) about it. He (ﷺ) replied, "The bleeding is from a blood vessel and not the menses. So give up the prayers when the (real) menses begin and when it has finished, take a bath and start praying." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Fatima bint Abi Jubaish (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ko istehaaze ka aariza tha. Unho'n ne Nabi (ﷺ) se dariyaaft kiya to Aap ne farmaya: “Ye haiz nahi, balke ragg ka khoon hai, lehaaza jab haiz ki aamad ho to namaz tark kar do aur jab haiz khatam ho jaae to ghusl karke namaz adaa karo”.
|
Baab 20: Haaeza Aurat Ka Namaz Ki Qazaa Adaa Na Karna Hazrat Jaabir aur Hazrat Abu Saeed (رضي الله عنهم) ne Nabi (ﷺ) se riwayat kiya hai: “Haaeza namaz chodh degi” A woman asked 'Aisha, "Should I offer the prayers that which I did not offer because of menses". 'Aisha said, "Are you from the Huraura' (a town in Iraq?) We were with the Prophet (ﷺ) and used to get our periods but he never ordered us to offer them (the Prayers missed during menses)." 'Aisha perhaps said, "We did not offer them." Ravi Hazrat Moazah: Ek aurat ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se arz kiya: Jab ham mein se koi haiz se paak ho to kya wo faut-shuda namazo'n ki gazaa adaa kare? Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Kya to harooriya (khaarji) hai? Hame'n Nabi ke ahd-e-mubarak mein haiz aata tha, aur aap hame'n namaz ka hukum nahi dete the, yaa farmaya: Ham namaz nahi padhte the.
|
Baab 21: Haaeza Ke saath Sona, Jabke Wo Haiz Ke Kapdo'n Mein Ho Um-Salama said, "I got my menses while I was lying with the Prophet (ﷺ) under a woollen sheet. So I slipped away, took the clothes for menses and put them on. Allah's Apostle (ﷺ) said, 'Have you got your menses?' I replied, 'Yes.' Then he (ﷺ) called me and took me with him under the woollen sheet." Um Salama further said, "The Prophet (ﷺ) used to kiss me while he was fasting. The Prophet (ﷺ) and I used to take the bath of Janaba from a single pot." Ravi Zainab bint Abi Salama: Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai,"Main Nabi (ﷺ) ke saath chaadar mein leti hui thi, ke mujhe haiz aagaya. Main aahista se uthi aur us chadar se nikal aai. Phir maine apne haiz ke kapde liye aur unhe'n pehen liya. Mujhse Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Kya tumhe'n haiz aagaya hai?” Maine arz kiya: Ji haa'n! Too aap ne mujhe bulaya aur apne saath chaadar mein le liya. Zainab ne kaha: Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne ye bhi bayan kiya ke Nabi (ﷺ) rozey ki haalat mein hote the, aur usi haalat mein unka bosa le lete the. Nez main aur Nabi (ﷺ) ek hi bartan mein ghusl-e-janaabat karte the.”
|
Baab 22: Aam Kapdo'n Ke Alaawa Haalat-e-Haiz Ke Liye Alag Libaas Banaana While I was lying with the Prophet (ﷺ) under a woollen sheet, I got my menses. I slipped away and put on the clothes for menses. The Prophet (ﷺ) said, "Have you got your menses?" I replied, "Yes." He (ﷺ) called me and I slept with him under the woollen sheet. Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Main Nabi (ﷺ) ke hamraah ek chaadar mein leti hui thi, ke mujhe haiz aagaya. Main chupke se nikal aai aur haiz ka libas pehen liya. Aap ne farmaya: “Kya tujhe haiz aagaya hai?” Maine arz kiya: Ji haa'n! to aap ne mujhe bulaa liya aur main aapke saath chadar mein let gai.
|
Baab 23: Haaeza Ka Eidain Aur Musalmano Ki Duaao'n Mein Shareek Hona Ba-sharte Ke Wo Eid- gaah Se Alag Rahe'n Narrated Aiyub: Hafsa said, 'We used to forbid our young women to go out for the two 'Id prayers. A woman came and stayed at the palace of Bani Khalaf and she narrated about her sister whose husband took part in twelve holy battles along with the Prophet (ﷺ) and her sister was with her husband in six (out of these twelve). She (the woman's sister) said, "We used to treat the wounded, look after the patients and once I asked the Prophet (ﷺ), 'Is there any harm for any of us to stay at home if she doesn't have a veil?' He said, 'She should cover herself with the veil of her companion and should participate in the good deeds and in the religious gathering of the Muslims. ' When Um 'Atiya came I asked her whether she had heard it from the Prophet (ﷺ). She replied, "Yes. May my father be sacrificed for him (the Prophet ﷺ)! (Whenever she mentioned the Prophet (ﷺ) she used to say, 'May my father be sacrificed for him) I have heard the Prophet (ﷺ) saying, 'The unmarried young virgins and the mature girl who stay often screened or the young unmarried virgins who often stay screened and the menstruating women should come out and participate in the good deeds as well as the religious gathering of the faithful believers but the menstruating women should keep away from the Musalla (praying place).' " Hafsa asked Um 'Atiya surprisingly, "Do you say the menstruating women?" She replied, "Doesn't a menstruating woman attend 'Arafat (Hajj) and such and such (other deeds)?" Ravi Aiyub: Hazrat Hafsa bint Sireen se riwayat hai, "Ham jawaan ladkiyo'n ko eidain ke liye baahar nikalne se manaa kiya karti thee'n. Ek aurat aai aur Bani Khalf ke mahel mein utri. Usne apni behen ke waaste se ye hadees sunaai aur uske behenwai ne Nabi (ﷺ) ke hamraah 12 ghazwaat mein shirkat ki thi, aur khud unki behen bhi apne shauhar ke hamraah 6 ghazwaat mein shirkat kar chuki thi. Us (behen) ne bataaya ke ham zakhmiyo'n ko marham- patti kiya karti thee'n, aur mareezo'n ki timaar-daari bhi karti thee'n. Meri behen ne ke martaba Nabi (ﷺ) se dariyaaft kiya: Agar ham mein se kisi ke paas badi chaadar na ho to uske (namaz-e-eid ke liye) baahar na jaane mein koi harj hai? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Uski saathi ko chaahe ke wo usey apni chaadar ka kuch hissa pehna de, taake wo majaalis-e-khair aur musalmano ki duaao'n mein shareek ho”. Phir jab Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se (aisa) suna hai? Unho'n ne farmaya: Mere (maa'n) baap aap par fia ho'n... Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) jab bhi aapka zikr kartee'n, “Mere (maa'n) baap aap par fida ho'n” ke alfaaz zaroor kehtee'n... Haa'n, maine aapko ye farmate suna hai ke: “Jawan ladkiya'n, parda- nasheen khawateen (yaa farmaya) parda-nasheen jawaan ladkiya'n aur haiz waali aurte'n eidgaah jaae'n aur majaalis-e-khair, nez musalmano ki duaao'n mein shareek hon. Albatta haaeza aurte'n eidgaah se alag rahe'n”. Hafsa bint Sireen kehti hain: Maine Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se dariyaaft kiya: Aaya haaeza bhi shareek ho sakti hai? Unho'n ne farmaya: (kyou'n nahi?) Kya haaeza aurte'n arfa mein aur falaa'n falaa'n jagah nahi jaatee'n?
|
Baab 24: Agar Kisi Aurat Ko Ek Hi Mahine Mein Teen (3) Baar Haiz Aajaae. Jab haiz aane ka imkaan ho to haiz aur hamal ke mutaalliq aurto'n ki tasdeeq ki jaaegi, kyou'nke irshad-e-Baari Ta'ala hai: Un Aurto'n Ke Liye Jaaez Nahi Ke Jo Kuch Allah Ta'ala Ne Unke Rihhm Mein Paida Kiya Hai, Wo Usey Chupaae'n. Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Qaazi Shuraih se manqol hai: Agar aurat ke gharane ka koi deendaar fard gawaahi de, ke us aurat ko ek mahine mein 3 martaba haiz aaya hai, to uski tasdeeq ki jaaegi. Hazrat Ataa ne kaha: Aurat ke haiz ke din itne hi ho'nge jitney pehle hote the. Ibrahim Nakhai ne bhi yehi kaha hai. Hazrat Ataa ne ye bhi kaha: Haiz ek din se 15 din tak ho sakta hai. Hazrat Motamar bin Sulaiman apne baap (Sulaiman) se bayan karte hain, unho'n ne Ibne Sireen se ek aisee aurat ke mutaalliq dariyaaft kiya jo apni aadat ke mutaabiq haiz aajaane ke baad 5 din tak khoon dekhti hai? To unho'n ne jawab diya: Aurte'n apne muaamalaat ke mutaalliq ziyaada ilm rakhti hain. |
Narrated 'Aisha: Fatima bint Abi Hubaish asked the Prophet (ﷺ), "I got persistent bleeding (in between the periods) and do not become clean. Shall I give up prayers?" He (ﷺ) replied, "No, this is from a blood vessel. Give up the prayers only for the days on which you usually get the menses and then take a bath and offer your prayers." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Hazrat Fatima bint Abi Hubaish (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se poocha: Mujhe istehaaze ka khoon aata hai, aur main muddato'n paak nahi ho sakti, to kya main namaz chodh diya karoo'n? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi, ye to ek rag ka khoon hai. Haa’n itne din namaz chodh diya karo, jin mein us (bimaari) se qabl tumhe'n haiz aaya karta tha. Uske baad ghusl karne namaz padha karo”.
|
Baab 25: Aiyyam-e-Haiz Ke Alaawa Zard Aur Khaakstaree Ratoobat Ka Aana We never considered yellowish discharge as a thing of importance (as menses). Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ham zard aur khaakstari rang ki ratoobat ko koi ehmiyat nahi deti thee'n.
|
Baab 26: Istehaaze Ke Rang Ka Bayaan Narrated 'Aisha: (the wife of the Prophet ﷺ) Um Habiba got bleeding in between the periods for seven years. She asked Allah's Apostle (ﷺ) about it. He ordered her to take a bath (after the termination of the actual period) and added that it was (from) a blood vessel. So she used to take a bath for every prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Hazrat Umme Habiba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) 7 saal tak mustahaaza rahee'n. Unho'n ne uske mutaalliq Rasool Allah (ﷺ) se dariyaaft kiya to aap ne unhe'n ghusl karne ka hukum diya aur farmaya: “Ye rag (ka khoon) hai”. Chunache Hazrat Umme Habibia (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) har namaz ke liye ghusl karti thee'n.
|
Baab 27: Tawaaf-e-Izaafa Ke Baad Aurat Ko Haiz Aana Narrated 'Aisha: (The wife of the Prophet (ﷺ)) I told Allah's Apostle (ﷺ) that Safiya bint Huyai had got her menses. He (ﷺ) said, "She will probably delay us. Did she perform Tawaf (Al-Ifada) with you?" We replied, "Yes." On that, the Prophet (ﷺ) told her to depart. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) se arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Safiyya bint Huyai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ko haiz aagaya hai? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Shayad wo hame'n (Madina) jaane se baaz rakhegi. Kya usne tumhare saath tawaaf (ziyaarat) nahi kar liya tha?”. Unho'n ne arz kiya: Kyou'n nahi. Aap (ﷺ) ne farmaya: “Phir wo rakht-e-safar baandhe”
|
A woman is allowed to leave (go back home) if she gets menses (after Tawaf-AlIfada). Ibn 'Umar formerly used to say that she should not leave but later on, I heard him saying, "She may leave since Allah's Apostle (ﷺ) gave them the permission to leave (after Tawaf-AlIfada." Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Agar haaeza ko uzr-e-haiz shuru ho jaae to wo (tawaaf-e-widaa ke baghair) makkah se rawaana ho sakti hai.” Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) pehle pehle us haalat mein makkah se waapas hone ki ijaazat nahi dete the. (Hazrat Taaoos kehte hain ke) phir maine unhe'n ye farmate suna ke wo tawaaf-e-widaa ke baghair waapas jaa sakti hai, kyou'nke Rasool Allah (ﷺ) ne unhe'n jaane ki ijaazat dedi thi.
|
Baab 28: Jab Mustahaaza Ko Khoon Aana Band Ho Jaae Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke (mustahaaza ka jab khoon band ho jaae to) ghusl kare aur anamz padhe, agarche ye bandish thodi der ke liye ho. Jab wo namaz padh sakti hai, jiski ehmiyat bohot ziyaada hai, to uska shauhar ba-darja-e-oola uske paas aasakta hai. |
The Prophet (ﷺ) said to me, "Give up the prayer when your menses begin and when it has finished, wash the blood off your body (take a bath) and start praying." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ne (Fatima bint Abi Hubaish se) farmaya: “Jab haiz ke aiyyam aae'n to namaz chodh do, aur jab haiz ke ayyaam guzar jaae'n to khoon ko dho-daalo aur namaz adaa karo”.
|
Baab 29: Nifaas Waali Aurat Ka Janaaza Aur Uska Tareeqa Narrated Samura bin Jundab: The Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer for the dead body of a woman who died of (during) delivery (i.e. child birth) and he stood by the middle of her body. Ravi Hazrat Samra bin Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ek aurat ka zachgi mein inteqal ho gaya, to Nabi (ﷺ) ne uski namaz-e-janaza padhi aur janaza padhte waqt uske darmiyan (kamar ke saamne) khade hue.
|
Baab 30: Bila-Unwaan Narrated Maimuna: (The wife of the Prophet ﷺ) During my menses, I never prayed but used to sit on the mat beside the mosque of Allah's Apostle (ﷺ). He (ﷺ) used to offer the prayer on his sheet and in prostration some of his clothes used to touch me." Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se suna ke-o-haaeza hotee'n, aur namaz na padhtee'n to bhi Rasool Allah (ﷺ) ki sajda- gaah ke paas leti rehtee'n. Rasool Allah (ﷺ) apni choti chataai par namaz padhte rehte, jab sajda karte to aapka kuch kapda unke jism se lag jaata tha.”
|
PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT