SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

7: Kitab ut Tayammum – Tayammum Se Mutaalliq Ehkaam-o-Masaael

[Rubbing Hands & Feet With Dust/كتاب التيمم]

[334 To 348]




Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

(Aur agar tum mareez ho, yaa safar mein ho, yaa tum mein se koi shakhs rafa-e-haajat karke aae, yaa tumne aurat se mubasherat ki ho) Phir Tumhe’n Paani Naa Miley, To Paak Mitti Se Tayammum Karlo, Pas Usse Apne Chehro’n Aur Haatho’n Ka Masah Karlo. [Surah al Maaida: 6]





Baab 1: Bila-unwaan






Narrated 'Aisha:

(The wife of the Prophet 
) We set out with Allah Apostle (ﷺ) on one of his journeys till we reached Al-Baida' or Dhatul-Jaish, a necklace of mine was broken (and lost). Allah's Apostle (ﷺ) stayed there to search for it, and so did the people along with him. There was no water at that place, so the people went to Abu- Bakr As-Siddiq and said, "Don't you see what 'Aisha has done? 
She has made Allah's Apostle (ﷺ) and the people stay where there is no water and they have no water with them." 
Abu Bakr came while Allah's Apostle (ﷺ) was sleeping with his head on my thigh, He said, to me: "You have detained Allah's Apostle (ﷺ) and the people where there is no water and they have no water with them.
So he admonished me and said what Allah wished him to say and hit me on my flank with his hand. Nothing prevented me from moving (because of pain) but the position of Allah's Apostle (ﷺ) on my thigh. Allah's Apostle (ﷺ) got up when dawn broke and there was no water. So Allah revealed the Divine Verses of Tayammum. So they all performed Tayammum. 
Usaid bin Hudair said, "O the family of Abu Bakr! This is not the first blessing of yours." 
Then the camel on which I was riding was caused to move from its place and the necklace was found beneath it.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ham ek safar mein Rasool Allah (ﷺ) ke saath nikle. Jab ham Baeda yaa Zaat-ul-Jaishi pohche to mera haar toot kar gir gaya. Rasool Allah (ﷺ) ne uski talash ke liye qiyaam farmaya to doosre log bhi aapke hamraah theher gae, magar wahaa’n kahee’n paani na tha. Log Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae aur kehne lagey: Aap nahi dekhte ke Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kya kiya?
Rasool Allah (ﷺ) aur sab logo’n ko thehraa liya aur yahaa’n paani bhi nahi milta aur na unke paas paani hi hai. Ye sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae. Us waqt Rasool Allah (ﷺ) meri raat par sar rakhe mahoo-e-isteraahat the. Siddiq-e-Akbar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehe lagey: Tumne Rasool Allah (ﷺ) aur sab logo’n ko yahaa’n thehraa liya, halaa’nke yahaa’n paani nahi hai aur naa hi logo’n ke paas hai.
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mujh par naaraaz hue aur jo Allah ko manzoor tha (bura bhala) kaha. Nez meri kokh par haath se kachoka* lagaane lagey. Lekin maine harkat is liye na ki, ke meri raan par Rasool Allah (ﷺ) ka sar-e-mubarak tha.
Subah ke waqt us be-aab muqaam par Rasool Allah (ﷺ) bedaar hue to Allah Ta’ala ne aayat-e-tayammum naazil farmadi, chunache logo’n ne tayammum kar liya.
Us waqt Hazrat Asyad bin Huzair bole: Aye Aale Abu Bakar! Ye koi tumhaari pehli barkat nahi!
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Jis oont par main sawaar thi, ham ne usey uthaaya to uske neeche se haar mil gaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 334

 : Book 7, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
336, 3672, 3773, 4583, 4607, 4608, 5164, 5250, 5882, 6844, 6845
 : 
*Nok-daar cheez se zarb, jhatka




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet 
(ﷺ) said, "I have been given five things which were not given to anyone else before me.

1. Allah made me victorious by awe, (by His frightening my enemies) for a distance of one month's journey.
2. The earth has been made for me (and for my followers) as a place for praying and a thing to perform Tayammum, therefore anyone of my followers can pray wherever the time of a prayer is due.
3. The booty has been made Halal (lawful) for me yet it was not lawful for anyone else before me.
4. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection).
5. Every Prophet used to be sent to his nation only but I have been sent to all mankind.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah:

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe 5 cheeze’n aisee ataa ki gai hain, jo mujhse pehle kisi nabi ko nahi di gaee’n.

1. Ek mahine ki masaafat par ba-zariye rob madad di gai hai.
2. Tamaam roo-e-zameen ko mere liye masjid aur paak karne waali bana diya gaya hai. Ab meri ummat mein jis shakhs ko namaz ka waqt aajaae, usey chaahiye ke waheen namaz padhle.
3. Mere liye maal-e-ghanimat halaal kar diya gaya hai, jabke isse pehle kisi ke liye halaal na tha.
4. Mujhe shafa-at (e kubra) ataa ki gai hai.
5. Pehle nabi khaas apni qaum ke liye maboos hua karta tha, magar main tamaam logo’n ki taraf (rasool banakar) bheja gaya hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 335

 : Book 7, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
438, 3122 





Baab 2: Jab Namazi Paani Na Paa Sakey Aur Na Mitti Dastiyaab Ho (to kya kare?)







Narrated 'Urwa's father:

Aisha said, "I borrowed a necklace from Asma' and it was lost. So Allah's Apostle 
(ﷺ) sent a man to search for it and he found it. Then the time of the prayer became due and there was no water. They prayed (without ablution) and informed Allah's Apostle (ﷺ) about it, so the verse of Tayammum was revealed."
Usaid bin Hudair said to 'Aisha, "May Allah reward you. By Allah, whenever anything happened which you did not like, Allah brought good for you and for the Muslims in that."
Al-Jurf and the time for the 'Asr prayer became due while he was at Marbad-AnNa'am (sheepfold), so he (performed Tayammum) and prayed there and then entered Medina when the sun was still high but he did not repeat that prayer.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ek baar Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se musta-aar* liya jo gumm ho gaya. Rasool Allah (ﷺ) ne ek shakhs ko uski talash ke liye rawaana kiya. Wo usey mil gaya, lekin un logo’n ko namaz ka waqt aisee haalat mein aaya ke unke paas paani nahi tha. Chunache unho’n ne (waise hi) namaz adaa Karli. Jab unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein shikaayat ki, to Allah Ta’ala ne tayammum ki aayat naazil farmadi.
Hazrat Asyad bin Huzair ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se kaha: Allah tumhe’n jazaae khair de, Allah ki qasam! Jab bhi tum par koi aisee baat aapadi, jise tum naa-gawaar khayaal karti thee’n, to Allah Ta’ala ne us mein tumhare liye aur tamaam musalmano ke liye khair-o-barkat ataa farmadi.



Reference : Sahih al-Bukhari 336

 : Book 7, Hadith 3
 
*Maanga hua, udhaar liya hua 





Baab 3: Agar Paani Dastiyaab Na Ho, Aur Namaz Ke Faut Hone...






Agar Paani Dastiyaab Na Ho, Aur Namaz Ke Faut Hone Ka Andesha Ho to Hazar Mein Tayammum Karna


Hazrat Ataa bin Abi Rabaah bhi isi ke qaayal hain. Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ)ne us mareez ke mutaalliq farmaya, jiske paas paani ho, lekin usey dene waala maujood na ho, wo tayammum kar le. Isi tarah Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apni us zameen se waapas hue jo muqaam-e-juruf mein thi, mirbad-ul-ghanam ke muqaam par Asr ka waqt ho gaya to aap ne wahee’n namaz adaa Karli. Phir jab madina munawwara aae to aftaab buland tha, lekin aap ne namaz ka iaada nahi kiya.





Narrated Abu Juhaim Al-Ansari:

The Prophet (ﷺ) came from the direction of Bir Jamal. A man met him and greeted him. But he did not return back the greeting till he went to a (mud) wall and smeared his hands and his face with its dust (performed Tayammum) and then returned back the greeting.


Ravi Abu Jaheem bin Haaris bin Sammah Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke ghulam Umair kehte hain ke mein aur Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghulam Abdullah bin Yasaar, Abu Jaheem bin Haaris bin Sammah Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae to unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) ek dafa Bair-e-jamal se waapas aarahe the, ke raaste mein ek shaksh mila aur usne aapko salaam kiya lekin Nabi (ﷺ) ne uska jawab na diya, yahaa’n tak ke aap ek deewaar ke paas aae aur usse apne mu’n aur haatho’n ka masah kiya, yaane tayammum farmaya, phir uske salaam ka jawab diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 337

 : Book 7, Hadith 4





Baab 4: Jab Tayammum Ke Liye Mitti Par Haath Maare To Kya Haatho’n Par Phoonk Maari Jaa Sakti Hai?







Narrated 'Abdur Rahman bin Abza:

A man came to 'Umar bin Al-Khattab and said, "I became Junub but no water was available." 'Ammar bin Yasir said to 'Umar, "Do you remember that you and I (became Junub while both of us) were together on a journey and you didn't pray but I rolled myself on the ground and prayed? 
I informed the Prophet (ﷺ) about it and he said, 'It would have been sufficient for you to do like this.' 
The Prophet (ﷺ) then stroked lightly the earth with his hands and then blew off the dust and passed his hands over his face and hands."


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abza:

Ek shakhs Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hua aur kehne laga: Mujhe janaabat laahiq hai, lekin paani nahi mil saka. Is mauqa par Hazrat Ammar bin Yaasir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Kya aapko yaad hai ke ek martaba main aur aap dono safar mein the, aur ajnabi ho gae the?
Aap ne to namaz nahi padhi thi, lekin maine mitti mein lot-pot ho kar namaz padhli thi.
Phi
r maine Nabi (ﷺ) se zikr kiya to Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tere liye itna hi kaafi tha”.
Ye farmakar aap ne apne dono’n haath zameen par maare, phir un mein phook maari, uske baad aapne unse apne mu’n aur haatho’n par masah farmaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 338

 : Book 7, Hadith 5
 
: Also see Hadith No. 
339, 340, 341, 342, 343, 345, 346, 347 





Baab 5: Tayammum Sirf Chehre Aur Dono Haatheliyo’n Ke Liye Hai







Narrated Said bin 'Abdur Rahman bin Abza:

(on the authority of his father who said) 'Ammar said so (the above Statement). And Shu'ba stroked lightly the earth with his hands and brought them close to his mouth (blew off the dust) and passed them over his face and then the backs of his hands. 
'Ammar said, "Ablution (meaning Tayammum here) is sufficient for a Muslim if water is not available."


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ammar bin Yaasir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne tayammum ke mutaalliq ye sab waqea bayan kiya (pehli riwayat ki taraf ishaara hai) aur Shu’ba (ek raawi) ne apne dono haatho’n ko zameen par maara, phir dono haath apne mu’n ke qareeb kiye, phir apne mu’n aur dono hatheliyo’n par masah kiya.

Nazar (bin Shameel) ki riwayat ke mutaaibq Hazrat Abdur Rahman bin Abza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Hazrat Ammar bin Yaasir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: (Paak mitti) musalman ka wazoo hai, paani ki jagah wo (musalman ko) kaafi hoti hai, yaane jab paani dastiyaab na ho.



Reference : Sahih al-Bukhari 339

 : Book 7, Hadith 6




Narrated 'Abdur Rahman bin Abza:

That while he was in the company of 'Umar, 'Ammar said to 'Umar, "We were in a detachment and became Junub and I blew the dust off my hands (performed the rolling over the earth and prayed.)"


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Wo Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas maujood the, jab unse Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Ham dono ek chote Lashkar mein the ke dono ko janaabat laahiq hogai.
Mazeed kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne apne dono haatho’n par itni zori se phoonk maari ke us mein qadre luaab-e-dahan bhi shaamil ho gaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 340

 : Book 7, Hadith 7




Narrated 'Abdur Rahman bin Abza:

'Ammar said to 'Umar "I rolled myself in the dust and came to the Prophet (ﷺ) who said, 'Passing dusted hands over the face and the backs of the hands is sufficient for you.' "


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ammar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Main mitti mein lot-pot hua. Phir Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua to Aap ne farmaya: “Tujhe apne mu’n aur dono hatheliyo’n par masah karna hi kaafi tha”.



Reference : Sahih al-Bukhari 341

 : Book 7, Hadith 8


Narrated 'Ammar:

as above.


Ravi Hazrat Ammar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Phir unho’n ne hadees (e saabiq) bayan ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 342

 : Book 7, Hadith 9




Narrated 'Ammar:

The Prophet (ﷺ) stroked the earth with his hands and then passed them over his face and the backs of his hands (while demonstrating Tayammum).


Ravi Hazrat Ammar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

 Nabi (ﷺ) ne apna haat zameen par maara, phir apne mu’n aur hatheliyo’n par masah farmaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 343

 : Book 7, Hadith 10





Baab 6: Paak Mitti Musalman Ka Wuzoo Hai, Aur Usey Paani Ke Badle Kaafi Hai







Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne kaha: Tayammum us waqt tak kaafi hoga, jab tak dobaara be-wazoo na ho.


Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne tayammum ki haalat mein imaamat ki. Yahya bin Saeed kehte hain ke shoreeli* zameen par namaz padhne aur usse tayammum karne mein koi muzaaeqa nahi.

*Banjar, jis mein khaar itni ziyaada ho ke kheti-baadi na ho sakey




Narrated 'Imran:

Once we were travelling with the Prophet 
(ﷺ) and we carried on travelling till the last part of the night and then we (halted at a place) and slept (deeply). There is nothing sweeter than sleep for a traveller in the last part of the night. So it was only the heat of the sun that made us wake up and the first to wake up was so and so, then so and so and then so and so (the narrator 'Auf said that Abu Raja' had told him their names but he had forgotten them) and the fourth person to wake up was 'Umar bin Al-Khattab. And whenever the Prophet (ﷺ) used to sleep, nobody would wake up him till he himself used to get up as we did not know what was happening (being revealed) to him in his sleep. 
So, 'Umar got up and saw the condition of the people, and he was a strict man, so he said, "Allahu Akbar" and raised his voice with Takbir, and kept on saying loudly till the Prophet (ﷺ) got up because of it. When he got up, the people informed him about what had happened to them. 
He said, "There is no harm (or it will not be harmful). Depart!" So they departed from that place, and after covering some distance the Prophet (ﷺ) stopped and asked for some water to perform the ablution. So he performed the ablution and the call for the prayer was pronounced and he led the people in prayer. 
After he (ﷺ) finished the prayer, he saw a man sitting aloof who had not prayed with the people. He (ﷺ) asked, "O so and so! What has prevented you from praying with us?" 
He replied, "I am Junub and there is no water. " 
The Prophet (ﷺ) said, "Perform Tayammum with (clean) earth and that is sufficient for you."
Then the Prophet 
(ﷺ) proceeded on and the people complained to him of thirst. Thereupon he got down and called a person (the narrator 'Auf added that Abu Raja' had named him but he had forgotten) and 'Ali, and ordered them to go and bring water. So they went in search of water and met a woman who was sitting on her camel between two bags of water. 
They asked, "Where can we find water?" 
She replied, "I was there (at the place of water) this hour yesterday and my people are behind me." 
They requested her to accompany them. 
She asked, "Where?" 
They said, "To Allah's Apostle (ﷺ)." 
She said, "Do you mean the man who is called the Sabi, (with a new religion)?" 
They replied, "Yes, the same person. So come along." 
They brought her to the Prophet (ﷺ) and narrated the whole story. 
He said, "Help her to dismount." 
The Prophet (ﷺ) asked for a pot, then he opened the mouths of the bags and poured some water into the pot. Then he closed the big openings of the bags and opened the small ones and the people were called upon to drink and water their animals. So they all watered their animals and they (too) all quenched their thirst and also gave water to others and last of all the Prophet (ﷺ) gave a pot full of water to the person who was Junub and told him to pour it over his body. The woman was standing and watching all that which they were doing with her water. By Allah, when her water bags were returned they looked as if they were more full (of water) than they had been before (Miracle of Allah's Apostle ) Then the Prophet (ﷺ) ordered us to collect something for her; so dates, flour and Sawiq were collected which amounted to a good meal that was put in a piece of cloth. She was helped to ride on her camel and that cloth full of foodstuff was also placed in front of her and then the Prophet (ﷺ) said to her, "We have not taken your water but Allah has given water to us." She returned home late. Her relatives asked her: "O so and so what has delayed you?" 
She said, "A strange thing! Two men met me and took me to the man who is called the Sabi' and he did such and such a thing. By Allah, he is either the greatest magician between this and this (gesturing with her index and middle fingers raising them towards the sky indicating the heaven and the earth) or he is Allah's true Apostle (ﷺ)."
Afterwards, the Muslims used to attack the pagans around her abode but never touched her village.
One day she said to her people, "I think that these people leave you purposely. Have you got any inclination to Islam?" 
They obeyed her and all of them embraced Islam.
Abu 'Abdullah said: The word Saba'a means "The one who has deserted his old religion and embraced a new religion." 
Abul 'Aliya said, "The Sabis are a sect of people of the Scripture who recite the Book of Psalms."


Ravi Hazrat Imran bin Hussain Khuzaai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham ek martaba Nabi (ﷺ) ke hamraah safar mein the aur raat bhar chalte rahe. Jab aakhir sab hoti to ham kuch der ke liye so gae, aur musaafir ke nazdeek us waqt se ziyaada koi neend meethi nahi hoti. Ham aise soe ke aftaab ki garmi hi se bedaar hue. Sabse pehle jiski aankh khuli wo falaa’n shakhs tha, phir falaa’n shakhs aur phir falaa’n shakhs. Abu Rijaa un (falaa’n, falaa’n aur falaa’n) ke naam lete the lekin Awf bhool gae… phir chauthe Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) jaage.
Aur (hamaara dastoor ye tha ke) jab Nabi (ﷺ) istueraahat farmate to koi aapko bedaar na karta tha, taa-aa’nke aap khud bedaar ho jaate, kyou’nke ham nahi jaante the ke aapko khwaab mein kya pesh aaraha hai?
Jab Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bedaar ho kar wo haalat dekhi jo logo’n par taari thi, aur wo diler aadmi the, to unho’n ne ba-awaaz-e-buland takbeer kehna shuru ki. So wo baraabar Allahu Akbar buland awaaz se kehte rahe, yahaa’n tak ke unki awaaz se Nabi (ﷺ) bedaar ho gae.
Jab aap jaage to logo’n ne aapse us museebat ka shikwa kiya jo un par padi thi.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Kuch harj nahi, yaa usse kuch nuqsaan na hoga, chalo ab kooch karo”.
Phir log rawaana hue. Thodi si masaafat ke baad aap utre, wazoo ke liye paani mangwaaya aur wazoo kiya, namaz ke liye azaan di gai, uske baad aap ne logo’n ko namaz padhaai. Jab aap namaz se faarigh hue to achaanak ek shakhs ko gosha-e-tanhaai mein baithe dekha jisne ham logo’n ke saath namaz na padhi thi.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye falaa’n shakhs! Tere liye logo’n ke saath namaz padhne se kaunsi cheez maane hui?”
Usne arz kiya: Main junbi hoo’n, aur paani maujood na tha.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tujhe paak mitti se tayammum karna chaahiye tha. Wo tujhe kaafi tha”.
Phir Nabi (ﷺ) chaley to logo’n ne aapse pyaas ki shikaayat ki. Aap utrey, aur Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur ek doosre shakhs ko bulaya…

Abu Rijaa us shakhs ka naam lete the, Awf bhool gae… aur farmaya: “Tum dono jaao, aur paani talaash karo”. Chunache wo dono rawaana hue to raaste mein unhe’n ek aurat mili, jo apne oont par paani ki do (2) mashako’n ke darmiyan baithi hui thi.
Unho’n ne usse dariyaaft kiya ke paani kaha’n hai?
Usne jawab diya ke paani mujhe guzishta kal isi waqt mila tha, aur hamaare mard peeche hain. Un dono ne usse kaha: Hamaare hamraah chal. Usne kaha: Kaha’n jaana hai?
Unho’n ne kaha: Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas. Wo boli: Wohi, jise be-deen kaha jaata hai?
Unho’n ne kaha: Haa’n ohi hai, jinhe’n tu aisa samajhti hai, chal to sahi.
Aakhir wo dono usey Rasool Allah (ﷺ) ke paas le aae, aur aap se saara qissa bayan kiya.

Hazrat Imran (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Logo’n ne usey oont se utaar liya aur Nabi (ﷺ) ne ek bartan mangwaaya aur dono pakhaalo’n* yaa mashako’n ke mu’n us mein khol diye. Phir oopar ka mu’n band karke neeche ka mu’n khol diya aur logo’n ko ittela di, ke khud bhi paani piyo aur jaanwaro’n ko bhi pilaao. To jisne chaaha khud piya aur jisne chaaha jaanwaro’n ko pilaaya. Aur bil-aakhir aap ne ye kiya ke jis shakhs ko nahaane ki zaroorat thi, usey bhi paani ka ek bartan bhar kar diya aur usse kaha: “Jaao, isse ghusl karo”.
Wo aurat khadi ye amnzar dekhti rahi ke uske paani ke saath kya ho raha hai. Allah ki qasam! Jab paani lena band kiya gaya, to hamaare khayaal ke mutaabiq wo (mushke’n) ab us waqt se bhi ziyaada bhari hui thee’n. Jab aap ne use paani lena shuru kiya tha.
Phir Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Us aurat ke liye kuch jamaa karo”.
Logo’n ne khajoor, aata aur sattu ekattha karna shuru kar diya, yahaa’n tak ke ta’am ki ek acchi miqdaar uske liye jamaa ho gai. Jama-shuda saamaan unho’n ne ek kapde mein bandh diya aur usey oont par sawaar karke wo kapda uske aagey rakh diya.
Phir aap (ﷺ) ne usse farmaya: “Tum jaanti ho ke ham ne tumhare paani mein kuch kami nahi ki, balkey hame’n to Allah ne pilaaya hai”.
Phir wo aurat apne ghar waalo’n ke paas waapas aai.
Choo’nke wo der se pohnchi thi, is liye unho’n ne poocha: Aye falaa’n aurat! Tujhe kisne rok liya tha?
Usne kaha: Mujhe to ek ajeeb waqea pesh aaya aur wo ye ke (raaste mein) mujhe do (2) aadmi miley, jo mujhe us shakhs ke paas le gae, jisko be-deen kaha jaata hai, usne aisa-asia kiya. Allah ki qasam! Jitne log is (asman) ke aur us (zameen) ke darmiyan hain, aur usne apni darmiyan waali aur shaadat waali ungli uthakar aasmaan aur zameen ki taraf ishaara kiya, un sab mein se wo bada jaadugar hai, yaa wo Allah ka haqeeqi rasool hai. Phir musalmano ne ye karna shuru kar diya ke us aurat ke ird-gird jo mushrik abaad the, un par to wo hamla-aawar hote aur jin logo’n mein wo aurat rehti thi, unko chodh dete. Aakhir usne ek din apni qaum se kaha: Mere khayaal mein musalman tumhe’n daanista chodh-dete hain, kya tumhe’n islam se kuch raghbat hai? Tab unho’n ne uski baat qubool ki aur musalman ho gae.

Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: “…” ke maane ek deen se nikal kar doosre deen mein daakhil hona hain. Abul Aaliya ne kaha Saabiyyeen ahle kitab ka ek firqa hai, jo Zaboor ki tilaawat karta hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 344

 : Book 7, Hadith 11
 
: Also see Hadith No. 
348
 
*Chamde ki thailiyo’n ki jodi jis mein paani bhar kar umooman bail ke daae’n-baae’n
    latka kar le jaate hain





Baab 7: Jab Junbi Apne Mutaalliq Bimaari, Maut Yaa Pyaas Ka...






Baab 7: Jab Junbi Apne Mutaalliq Bimaari, Maut Yaa Pyaas Ka Andesha Rakhta Ho To Usey Tayammum Karne Ki Ijaazat Hai. [Surah Nisa: 29]


Hazrat Amr bin al-Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke mutaalliq marwi hai ke unhe’n sardi ki raat mein janaabat laahiq ho gai, to unho’n ne tayammum kiya aur ye aayat padhi: “Apni Jaano’n Ko Qatal Na Karo, Bil-shubha Allah Ta’ala Tumhare saath Bohot Meherban Hai”.

Jab Nabi (ﷺ) se iska tazkira kiya gaya to aap ne unhe’n koi sarzanish* nahi farmaai.

*Bura-bhala kehna, tambeeh, malaamat




Narrated Abu Wail:

Abu Musa said to Abdullah bin Mas'ud, "If one does not find water (for ablution) can he give up the prayer?" 
Abdullah replied, "If you give them permission to perform Tayammum they will perform Tayammum even if water was available if one of them found it cold." 
Abu Musa said, "What about the statement of 'Ammar to 'Umar?" 
'Abdullah replied, "Umar was not satisfied by his statement."


Ravi Hazrat Abu Wail:
 
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Agar tumhe’n (janaabat ki haalat mein) paani na miley to kya tum namaz nahi padhoge?
Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Agar main is muaamale mein rukhsat de doo’n to phir ye hoga ke jab kabhi kisi ko sardi ka ehsaas hoga, to yehi karega. Yaane tayammum karke namaz padh le ga.
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: (agar yehi baat hai) To phir Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka wo qaul kaha’n jaaega, jo unho’n ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha tha?
Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Main to ye samajhta hoo’n ke khud Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke qaul par itmenan nahi hua tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 345

 : Book 7, Hadith 12




Narrated Shaqiq bin Salama:

I was with 'Abdullah and Abu Musa; the latter asked the former, "O Abu AbdurRahman! What is your opinion if somebody becomes Junub and no water is available?" 'Abdullah replied, "Do not pray till water is found." Abu Musa said, "What do you say about the statement of 'Ammar (who was ordered by the Prophet 
ﷺ to perform Tayammum). The Prophet (ﷺ) said to him: "Perform Tayammum and that would be sufficient." 'Abdullah replied, "Don't you see that 'Umar was not satisfied by 'Ammar's statement?" Abu- Musa said, "All right, leave 'Ammalr's statement, but what will you say about this verse (of Tayammum)?" 
'Abdullah kept quiet and then said, "If we allowed it, then they would probably perform Tayammum even if water was available if one of them found it (water) cold." 
The narrator added, "I said to Shaqrq, "Then did 'Abdullah dislike to perform Tayammum because of this?"
He replied, "Yes."


Ravi Hazrat Shaqeeq bin Salama:

Main Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas tha, ab Hazrat Abu Moosa ne Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Aye Abu Abdur Rahman! Aap ki kya raae hai, agar kisi ko janaabat laahiq ho jaae aur usey paani na miley to wo kya kare?
Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Jab tak paani na miley wo namaz na padhe.
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Aap Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke us qaul ki kya taaweel kare’nge, jab Nabi  ne unse farmaya tha: “Tumhe’n (chehre aur haatho’n ka masah) kaafi tha”.
Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Kya tum nahi jaante ke Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki us riwayat se itmenan nahi hua tha?
Hazrat Abu Moosa Ashari ne farmaya: Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki riwayat ko jaane deejiye. Quran-e-Majeed mein jo aayat-e-tayammum hai, uska kya jawab hai?
Us par Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) la-jawab ho gae, farmaane lagey: Agar ham ne logo’n ko uske mutaalliq riaayat dedi, to ajab nahi ke jab kisi ko paani thanda mehsoos hoga to wo usey istemaal karne ke bajaae tayammum kar liya karega.
(Raawi-e-hadees Hazrat Amash kehte hain:) Maine (apne shaikh, Abu Waael) Shaqeeq bin Salama se kaha: Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) isi wajah se tayammum ki ijaazat nahi dete the?
Abu Waael ne jawab diya: Haa’n aisa hi hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 346

 : Book 7, Hadith 13




Narrated Al-A'mash:

Shaqiq said, "While I was sitting with 'Abdullah and Abu Musa Al-Ash-'ari, the latter asked the former, 'If a person becomes Junub and does not find water for one month, can he perform Tayammum and offer his prayer?' (He applied in the negative). 
Abu Musa said, 'What do you say about this verse from Surat "Al-Ma'ida": When you do not find water then perform Tayammum with clean earth? 
'Abdullah replied, 'If we allowed it then they would probably perform Tayammum with clean earth even if water were available but cold.' 
I said to Shaqiq, 'You then disliked performing Tayammum because of this?' 
Shaqiq said, 'Yes.' (Shaqiq added), "
Abu Musa said, 'Haven't you heard the statement of 'Ammar to 'Umar? 
He said: I was sent out by Allah's Apostle (ﷺ) for some job and I became Junub and could not find water so I rolled myself over the dust (clean earth) like an animal does, and when I told the Prophet (ﷺ) of that he said, 'Like this would have been sufficient.' 
The Prophet (ﷺ) (saying so) lightly stroked the earth with his hand once and blew it off, then passed his (left) hand over the back of his right hand or his (right) hand over the back of his left hand and then passed them over his face.' 
So 'Abdullah said to Abu- Musa, 'Don't you know that 'Umar was not satisfied with 'Ammar's statement?' "
Narrated Shaqiq: While I was with 'Abdullah and Abu Musa, the latter said to the former, "Haven't you heard the statement of 'Ammar to 'Umar? 
He said, "Allah's Apostle (ﷺ) sent you and me out and I became Junub and rolled myself in the dust (clean earth) (for Tayammum). When we came to Allah's Apostle (ﷺ) I told him about it and he said, 'This would have been sufficient,' passing his hands over his face and the backs of his hands once only.' "


Ravi Hazrat Al-A'mash:

Hazrat Shaqeeq bin Salama ne kaha, "Main Hazrat Abdullah bin Masood aur Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas biatha tha, Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Agar kisi ko janaabat laahiq ho jaae aur usey ek maah tak paani na miley to kya wo tayammum na kar le aur namaz padhe?
(Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Nahi, khwah usey ek maah tak paani na miley).
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Aap Surah Maidah ki is aayat ke mutaalliq kya kahe’nge: “Agar Tumhe’n Paani Na Miley To Paak Mitti Se Tayammum Karlo”. [Surah Nisa: 29]

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar is baare mein logo’n ko rukhsat di jaae to andesha hai ke logo’n ko jab paani thanda mehsoos hoga, to wo paak mitti se tayammum kar liya kare’nge.
Hazrat Abu Moosa Ahsari kehte hain: Maine Hazrat Ibne Masood se kaha: Aap us rukhsat ko is maslahat ke pesh-e-nazar naa-pasandeeda qaraar dete hain?
Hazrat Ibne Masood ne jawab diya: Ji Haa’n!
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Kya aapne wo baat nahi suni, jo Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kahi thi, ke mujhe Rasool Allah (ﷺ) ne kisi kaam par bheja tha. Mujhe waha’n janaabat laahiq ho gai aur paani na mil saka, to maine chaupaae ki tarah zameen par lot-pot lagaai (aur namaz padhli thi).
Phir jab maine Nabi (ﷺ) ke huzoor arz kiya, to Aap ne farmaya: “Tumhe’n sirf is tarah kar lena kaafi tha”.
Phir aap ne ek baar zameen par apna haath maara, usse ghubaar ko jhaada, uske baad apne haath ki pusht ka baae’n haath se masah farmaya, yaa apne baae’n haath ki pusht ka apne haath se masah farmaya, phir unse apne chehre par masah kiya.
Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Kya tumhe’n maloom nahi ke Hazrat Umar, Hazrat Ammaar (رضي الله عنهم) ke qaul se mutmaeen nahi hue the?
Hazrat Ya’ala bin Obaid ne Hazrat Amash se, unho’n ne Shaqeeq se qadre izaafe ke saath riwayat ko bayan kiya hai. Shaqeeq ne kaha: Main Abdullah bin Masood aur Abu Moosa Ashari ke hamraah tha, to Hazrat Abu Moosa ne kaha: Kya tumne wo baat nahi suni, jo Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kahi thi, ke Rasool Allah (ﷺ) ne mujhe aur aapko kahee’n baahar bheja tha. Us dauran mein mujhe janaabat laahiq ho gai, to maine mitti mein lot-lagaai. Phir ham Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hue aur soorat-e-haal se aapko agaah kiya, to aap ne farmaya: “Tumhe’n sirf is tarah kar lena kaafi tha”. Uske baad aap ne apne mu’n aur haatho’n ka ek hi martaba masah farmaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 347

 : Book 7, Hadith 14





Baab 9: Bila-Unwaan






Narrated 'Imran bin Husain Al-Khuza'i:

Allah's Apostle 
(ﷺ) saw a person sitting aloof and not praying with the people. 
He asked him, "O so and so! What prevented you from offering the prayer with the people?" 
He replied, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I am Junub and there is no water." 
The Prophet (ﷺ) said, "Perform Tayammum with clean earth and that will be sufficient for you."


Ravi Hazrat Imran bin Hussain Khuzai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne ek shakhs ko dekha jo alag khada tha, aur usne logo’n ke saath namaz nahi padhi thi.
Aap ne farmaya: “Aye falaa’n! tujhe logo’n ke saath namaz adaa karne se kon si cheez ne rok diya?”
Usne kaha: Allah ke Rasool! Mujhe janaabat laahiq ho gai hai aur mere paas paani nahi.
Aap ne farmaya: “To mitti istemaal kar leta, wo teri zaroorat ke liye kaafi thi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 348

 : Book 7, Hadith 15





PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT