SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

8: Kitab us Salaah – Namaz Se Mutaalliq Ehkaam-o-Masaael

[Prayers/كتاب الصلاة]

[349 To 520]



Baab 1: Shab-e-Meraj Mein Namaz Kis Tarah Farz Ki Gai?






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: 

Mujhse Hazrat Abu Sufiyan bin Harb (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Harqil ki hadees zikr karte hue bayan kiya, ke wo, yaane Nabi (ﷺ) hame’n namaz, sadqa, aur parhezgari ka hukum dete hain.






Narrated Abu Dhar:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "While I was at Mecca the roof of my house was opened and Gabriel descended, opened my chest, and washed it with Zam-zam water. Then he brought a golden tray full of wisdom and faith and having poured its contents into my chest, he closed it. 
Then he took my hand and ascended with me to the nearest heaven, when I reached the nearest heaven, Gabriel said to the gatekeeper of the heaven, 'Open (the gate).' 
The gatekeeper asked, 'Who is it?' 
Gabriel answered: 'Gabriel.' 
He asked, 'Is there anyone with you?' 
Gabriel replied, 'Yes, Muhammad (ﷺ) is with me.' 
He asked, 'Has he been called?' 
Gabriel said, 'Yes.' 
So the gate was opened and we went over to the nearest heaven and there we saw a man sitting with some people on his right and some on his left. 
When he looked towards his right, he laughed and when he looked toward his left he wept. Then he said, 'Welcome! O pious Prophet (ﷺ) and pious son.' 
I asked Gabriel, 'Who is he?' 
He replied, 'He is Adam and the people on his right and left are the souls of his offspring. Those on his right are the people of Paradise and those on his left are the people of Hell and when he looks towards his right he laughs and when he looks towards his left he weeps.'
Then he ascended with me till he reached the second heaven and he (Gabriel) said to its gatekeeper, 'Open (the gate).' 
The gatekeeper said to him the same as the gatekeeper of the first heaven had said and he opened the gate. 
Anas said: "Abu Dhar added that the Prophet (ﷺ) met Adam, Idris, Moses, Jesus and Abraham, he (Abu Dhar) did not mention on which heaven they were but he mentioned that he (the Prophet ﷺ) met Adam on the nearest heaven and Abraham on the sixth heaven. 
Anas said, "When Gabriel along with the Prophet (ﷺ) passed by Idris, the latter said, 'Welcome! O pious Prophet (ﷺ) and pious brother.' 
The Prophet (ﷺ) asked, 'Who is he?' 
Gabriel replied, 'He is Idris." 
The Prophet (ﷺ) added, "I passed by Moses and he said, 'Welcome! O pious Prophet (ﷺ) and pious brother.' 
I asked Gabriel, 'Who is he?' 
Gabriel replied, 'He is Moses.' 
Then I passed by Jesus and he said, 'Welcome! O pious brother and pious Prophet (ﷺ).' 
I asked, 'Who is he?' 
Gabriel replied, 'He is Jesus.
Then I passed by Abraham and he said, 'Welcome! O pious Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) and pious son.' 
I asked Gabriel,
'Who is he?' 
Gabriel replied, 'He is Abraham. 
The Prophet (ﷺ) added, 'Then Gabriel ascended with me to a place where I heard the creaking of the pens." 
Ibn Hazm and Anas bin Malik said: The Prophet (ﷺ) said, "Then Allah enjoined fifty prayers on my followers when I returned with this order of Allah, I passed by Moses who asked me, 'What has Allah enjoined on your followers?' 
I replied, 'He has enjoined fifty prayers on them.' 
Moses said, 'Go back to your Lord (and appeal for reduction) for your followers will not be able to bear it.' (So I went back to Allah and requested for reduction) and He reduced it to half. 
When I passed by Moses again and informed him about it, he said, 'Go back to your Lord as your followers will not be able to bear it.' 
So I returned to Allah and requested further reduction and half of it was reduced. 
I again passed by Moses and he said to me: 'Return to your Lord, for your followers will not be able to bear it. 
So I returned to Allah and He said, 'These are five prayers and they are all (equal to) fifty (in reward) for My Word does not change.' 
I returned to Moses and he told me to go back once again. 
I replied, 'Now I feel shy of asking my Lord again.' Then Gabriel took me till we '' reached Sidrat-il-Muntaha (Lote tree of; the utmost boundary) which was shrouded in colours, indescribable.
Then I was admitted into Paradise where I found small (tents or) walls (made) of pearls and its earth was of musk."


Ravi Hazrat Abu Zar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):


Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab main Makkah mein tha, to ek shab mere ghar ki chatt phati. Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) utre, unho’n ne pehle mere seene ko chaak karke usey aab-e-zamzam se dhoya, phir iman-o-hikmat se bhara hua sone ka ek tasht laae aur usey mere seene mein daal diya, baad mein seena band kar diya, phir unho’n ne mera haath pakda aur mujhe aasmaan-e-duniya ki taraf le chadhe.
Jab main aasmaan-e-duniya par pohcha to Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne darogha-e-aasmaan se kaha: Darwaza khol.
Usne kaha: Kaun hai?
Bole: Main Jibraeel hoo’n.
Phir usne poocha: Tumhare hamraah bhi koi hai?
Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Haa’n, mere saath Hazrat Muhammad (ﷺ) hain.
Usne phir dariyaaft kiya: Unhe’n daawat di gai hai?
Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Haa’n.
Usne jab darwaza khol diya to ham aasmaan-e-duniya par chadhe, waha’n ham ne ek aise shakhs ko dekha, jiski daae’n jaanib jamm-e-ghafeer aur baae’n jaanib bhi amboh-e-kaseer* tha. Jab wo apni daae’n jaanib dekhta to hasta, aur jab baae’n jaanib dekhta to rod eta.
Usne (mujhe dekhkar) farmaya: Nek paighambar, acche bete khush-aamadeed!
Maine (ﷺ) Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se poocha: Ye kaun hain?
Unho’n ne jawab diya: Ye Hazrat Aadam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain, aur unke daae’n-baae’n jaanib anbuh-e-kaseer unki aulaad ki arwaah hain. Daae’n jaanib waali jannati aur baae’n jaanib waali dozakhi hain, is liye daae’n taraf nazar karke hass dete hain, aur baae’n taraf dekh kar ro dete hain.
Phir Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) mujhe le kar doosre aasmaan ki taraf chadhe aur uske daarogha se kaha: Darwaza khol!
Usne bhi wohi guftagu ki, jo pehle ne ki thi. Chunache usne darwaza khol diya”.

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Hazrat Abu Zar ke bayan ke mutaabiq Rasool Allah (ﷺ) ne aasmaano’n mein Hazrat Aadam, Idrees, Musa, Isa, aur Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se mulaqaat ki, lekin unke muqamaat ko bayan nahi kiya. Sirf itna kaha ke aasmaan-e-awwal par Hazrat Aadam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) aur chatte (6th) aasmaan par Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ko paaya.

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya; Jab Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Nabi (ﷺ) ko le kar Hazrat Idrees (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas se guzre to unho’n ne farmaya: Nek paighambar, aur acche bhai, khush-aamadeed!
Maine (ﷺ) poocha: “Ye kaun hai?
Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne jawab diya: Ye Hazrat Idrees (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain.
Phir main Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas se guzra to unho’n ne kaha: Nek paighambar, aur acche bhai, khush-aamadeed! Maine poocha: Ye kaun hain?
Jibraeel ne jawab diya: Ye Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain.
Phir main Hazrat Isa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas se guzra to unho’n ne kaha: Nek paighambar, aur acche bhai, khush-aamadeed!
Maine Hazrat Jibraeel se poocha: Ye kaun hain?
To unho’n ne jawab diya: Ye Hazrat Isa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain.
Phir main Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas se guzra to unho’n ne bhi kaha: Aye Saaleh Nabi aur acche bete! Khush-aamadeed!
Maine Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) se poocha: Ye kaun hain?
Unho’n ne kaha: Ye Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) hain”.

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Abu Habba Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai:
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Phir mujhe oopar le jaaya gaya, hatta ke main ek aise buland hamwaar muqaam par pohcha, jaha’n main (farishto’n ke qalmo’n ki awaaze’n suntan tha”.

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai: Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Phir Allah Ta’ala ne meri ummat par 50 namaze’n farz kee’n. Main ye hukum le kar waapas aaya, jab Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas se guzra, to unho’n ne poocha: Allah Ta’ala ne aap ki ummat par kya farz kiya hai?
Maine kaha: (shab-o-roz mein) 50 namaze’n farz ki hain.
(us par) Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Apne parwardigaar ki taraf laut jaaiye, kyou’nke aap ki ummat unki mutahammil** nahi ho sakegi.
Chunache main waapas gaya to Allah Ta’ala ne kuch namaze’n moaaf kar dee’n.
Main phir Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas aaya aur kaha: Allah Ta’ala ne kuch namaze’n moaaf kardi hain.
Unho’n ne kaha: Apne Rabb ke paas dobaara jaao, aap ki ummat unki bhi mutahammil nahi ho sakegi.
Main lauta, to Allah ne kuch aur namaze’n moaaf kar dee’n.
Main phir Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas aaya, to unho’n ne kaha: Phir apne parwardigaar ke paas waapas jaae’n, kyou’nke aap ki ummat un (namazo’n) ki bhi mutahammil nahi ho sakegi.
Main phir lauta (aur aisa kai baar hua).
Bil-aakhir Allah Ta’ala ne farmaya: wo namaze’n 5 hain, aur dar-haqeeqat (sawaab ke lihaaz se) 50 hain. Mere yahaa’n faisla badalne ka dastoor nahi.
Main phir Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas laut kar aaya to unho’n ne kaha: Apne Rabb ke paas (mazeed takhfeef ke liye) laut jaao.
Maine (ﷺ) kaha: Ab mujhe apne maalik se sharm aati hai.
Phir mujhe Jibraeel le kar rawaana ho gae, yahaa’n tak ke sidratul muntaha tak pohchaa diya, jise kai tarah ke rango’n ne dhaanp rakha tha, jinki haqeeqat ka mujhe ilm nahi.
Phir main Jannat mein daakhil kiya gaya, waha’n kya dekhta hoo’n ke us mein motiyo’n ki (jagmagati) ladiyaa’n hain, aur uski mitti kastoori hai”.




Reference : Sahih al-Bukhari 349

 : Book 8, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
1636, 3342
 : 
*Majma, bheed, hujoom
 : **Bojh uthaane waala, bardaasth karne waala, tahammul karne waala




Narrated 'Aisha:

The mother of believers: Allah enjoined the prayer when He enjoined it, it was two Rakat only (in every prayer) both when in residence or on the journey. Then the prayers offered on the journey remained the same, but (the Rakat of) the prayers for non-travellers were increased.


Ravi Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Allah Ta’ala ne jab namaz farz ki, to hazar-o-safar* mein (har namaz ki) do-do (2-2) rakate’n farz ki thee’n, phir namaz-e-safar apni asli haalat mein qaaem rakhi gai, aur hazar ki namaz mein izaafa kar diya gaya.




Reference : Sahih al-Bukhari 350

 : Book 8, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
1090, 3935
 : *Har jagah, har waqt, des-pardes 





Baab 2: Namaz Ke Liye Libaas Ki Farziyat






Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

“Har Namaz Ke Waqt Apni Aaraaesh, Yaane Libaas Pehen Liya Karo”. [Surah A’raaf: 31]

Aur jo shakhs ek hi kapde mein lipat kar namaz padhle (to ye durust hai). Hazrat Salama bin Akwa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se manqool hai ke unhe’n Nabi (ﷺ) ne qamees ke girebaan ko band karne ke mutaalliq kaha tha, agarche kaante hi se kyou’n na ho. Lekin us hadees ki sanad mein kalam hai. Aur agar kisi ne aise kapde pehen kar namaz padhi, jin mein jimaa karta hai, to koi harj nahi, ba-sharte ke un mein najaasat na dekhe. Nabi (ﷺ) ne hukum diya tha ke koi bar-hana ho kar baitullah ka tawaaf na kare.




Narrated Um 'Atiya:

We were ordered to bring out our menstruating women and veiled women in the religious gatherings and invocation of Muslims on the two 'Id festivals. These menstruating women were to keep away from their Musalla. 
A woman asked, "O Allah's Apostle (ﷺ) ' What about one who does not have a veil?" 
He (ﷺ) said, "Let her share the veil of her companion."


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hame’n hukum diya gaya ke ham eidain ke mauqa par haaeza aur parda-nasheen aurto’n ko baahar laae’n, taake wo musalmano ki jamat aur unki duaao’n mein shareek ho’n. Albatta jo aurte’n ayyaam waali ho’n, wo namaz ki jagah se alag rahe’n.
Ek aurat ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Ham mein se kisi ko chaadar muyassar nahi hoti?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Uske saath jaane waali usko apni chaadar mein lele”.

Abdullah bin Raja ne kaha: Hame’n Imran ne ye hadees sunaai, unho’n ne kaha: Ham se Muhammad bin Sireen ne ye hadees bayan ki, aur Muhammad bin Sireen ne kaha: Ham se Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne ye hadees zikr ki, unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) se ye hadees suni.



Reference : Sahih al-Bukhari 351

 : Book 8, Hadith 3





   Baab 3: Dauran-e-Namaz Gardan Par Teh-band Ki Girah Lagaana






Sahal bin Saad se riwayat hai ke Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne Nabi (ﷺ) ke saath apne shaano’n par tah-band ki girah lagakar namaz padhi thi.




Narrated Muhammad bin Al-Munkadir:

Once Jabir prayed with his Izar tied to his back while his clothes were Lying beside him on a wooden peg. Somebody asked him, "Do you offer your prayer in a single Izar?" 
He replied, "I did so to show it to a fool like you. Had anyone of us two garments in the lifetime of the Prophet (ﷺ)?"


Ravi Hazrat Muhammad bin Munkadir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne sirf ek tah-band mein namaz padhi, jiski girah unho’n ne apni garden par lagaai thi. Halaa’nke unke doosre kapde ek tipaai par rakhe hue the.
Logo’n mein se kisi ne kaha: Aap ek izaar* mein namaz padhte hain?
Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Maine aisa sirf is liye kiya hai ke mujhe tujh jaisa ahmaq dekh le, aur Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein kiske paas do (2) kapde hote the?




Reference : Sahih al-Bukhari 352

 : Book 8, Hadith 4
 
: Also see Hadith No. 
353, 361, 370
 : *Naaf se le kar paao’n ya takhno’n tak dhaanpne ka sila hua libaas, paajaama 




Narrated Muhammad bin Al Munkadir:

I saw Jabir bin 'Abdullah praying in a single garment and he said that he had seen the Prophet (ﷺ) praying in a single garment.


Ravi Hazrat Muhammad bin Munkadir:

Maine Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ek hi kapde mein namaz padhte hue dekha.
Unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko ek kapde mein namaz padhte dekha hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 353

 : Book 8, Hadith 5





Baab 4: Sirf Ek Kapda Badan Par Lapet Kar Namaz Padhna






Imam Zohri ne apni riwayat karda hadees mein bayan kiya ke “ملتحف ” multahif ke maane “متوشح ” mutawasshih ke hain, aur “متوشح ” us shakhs ko kehte hain jo kapde ke daae’n kinare ko baae’n baghal ke neeche se nikaal kar aur baae’n kinaare ko daae’n baghal ke neeche se nikaal kar kandho’n par daal le. Aur dono kandho’n ko lapet lena (ishtemal) bhi yehi hai.

Imam Zohri ne kaha: Hazrat Umme Haani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Nabi (ﷺ) ne ek kapda kandho’n par is tarah lapeta ke baaya’n kinaara daae’n taraf aur daaya’n kinaara baae’n taraf nikal aaya.




Narrated 'Umar bin Abi Salama:

The Prophet (ﷺ) prayed in one garment and crossed its ends.


Ravi Hazrat Umar bin Abi Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek dafa ek hi kapde mein namaz padhi, jabke uske dono kinaaro’n ko ulat kar apne kandho’n par daal liya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 354

 : Book 8, Hadith 6
 
: Also see Hadith No. 
355, 356 


Narrated 'Umar bin Abi Salama:

I saw the Prophet (ﷺ) offering prayers in a single garment in the house of Um-Salama and he had crossed its ends around his shoulders.


Ravi Hazrat Umar bin Abi Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ko Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar mein ek kapde mein namaz padhte hue dekha, aap ne chadar ke dono kinaro’n ko dono kandho’n par daala hua tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 355

 : Book 8, Hadith 7




Narrated 'Umar bin Abi Salama:

In the house of Um-Salama, I saw Allah's Apostle (ﷺ) offering prayers, wrapped in a single garment around his body with its ends crossed around his shoulders.


Ravi Hazrat Umar bin Abi Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar mein ek kapda lapet kar namaz padhte dekha, jiske dono kinaare aapne apne dono kandho’n par daal rakhe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 356

 : Book 8, Hadith 8




Narrated Abu Murra:

(The freed slave of Umm Hani) Umm Hani, the daughter of Abi Talib said, "I went to Allah's Apostle (ﷺ) in the year of the conquest of Mecca and found him taking a bath and his daughter Fatima was screening him. 
I greeted him. 
He (ﷺ) asked, 'Who is she?' 
I replied, 'I am Um Hani bint Abi Talib.' 
He (ﷺ) said, 'Welcome!
O Um Hani.' When he finished his bath he stood up and prayed eight Rak at while wearing a single garment wrapped around his body and when he finished I said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! My brother has told me that he will kill a person whom I gave shelter and that person is so and so the son of Hubaira.' 
The Prophet (ﷺ) said, 'We shelter the person whom you have sheltered.' " 
Um Ham added, "And that was before noon (Duha)."


Ravi Hazrat Abu murra:

Hazrat Umme Haani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) fatah makkah ke din Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hui to maine us waqt Aap (ﷺ) ko ghusl karte hue paaya, jabke aap ki sahebzaadi, Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne parda kar rakha tha.
Farmati hain: Maine aapko salaam kiya, aap ne dariyaaft farmaya: “Ye kaun aurat hai?”
Maine khud arz kiya: Main Abu Taalib ki beti Umme Haani hoo’n.
Aap ne farmaya: “Umme Haani ko khush-aamadeed ho”.
Phir jab aap ghusl se faarigh ho gae to aap ne ek hi kapda apne gird lapet kar 8 rakat namaz adaa ki. Jab aap namaz se faarigh ho gae to maine arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Mere madar-zaad, yaane Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ek admi, yaane falaa’n bin hubairah ko qatal karne ka iraadar rakhte hain, halaa’nke maine usey panaah de rakhi hai.
Ye sun kar Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aye Umme Haani! Jise tum ne panaah di, usey ham ne bhi panaah di”.
Hazrat Umme Haani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Ye chaasht ki namaz thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 357

 : Book 8, Hadith 9




Narrated Abu Huraira:

A person asked Allah's Apostle (ﷺ) about the offering of the prayer in a single garment. Allah's Apostle (ﷺ) replied, "Has every one of you got two garments?"


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Saail ne Rasool Allah (ﷺ) se ek kapde mein namaz padhne ki baabat dariyaaft kiya, to aap ne farmaya: “Kya tum mein se har ek ke paas do (2) kapde hote hain?”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 358

 : Book 8, Hadith 10
 
: Also see Hadith No. 
365 





Baab 5: Jab Koi Ek Hi Kapde Mein Namaz Padhe To Usse Kuch Hissa Apne Kandho’n Par Daal Le







Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "None of you should offer prayer in a single garment that does not cover the shoulders."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi ek kapde mein namaz na padhe, jabke uske kandhe par koi cheez na ho, yaane shaane nange ho’n”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 359

 : Book 8, Hadith 11
 
: Also see Hadith No. 
360 




Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Whoever prays in a single garment must cross its ends (over the shoulders)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main gawaahi deta hoo’n, ke maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate suna: “Jo shakhs ek kapde mein namaz padhe, usey chaahiye ke uske dono kinaaro’n ko ulat le, yaane uska daaya’n kinaara baae’n taraf aur baaya’n kinaara daae’n taraf daal le”.



Reference : Sahih al-Bukhari 360

 : Book 8, Hadith 12




Baab 6: Jab Kapda Tang Ho To (namazi kya kare)?






Narrated Said bin Al-Harith:

I asked Jabir bin 'Abdullah about praying in a single garment. He said, "I travelled with the Prophet (ﷺ) during some of his journeys, and I came to him at night for some purpose and I found him praying. At that time, I was wearing a single garment with which I covered my shoulders and prayed by his side. When he finished the prayer, he asked, 'O Jabir! What has brought you here?' 
I told him what I wanted. When I finished, he asked, 'O Jabir! What is this garment which I have seen and with which you covered your shoulders?' 
I replied, 'It is a (tight) garment.' 
He said, 'If the garment is large enough, wrap it around the body (covering the shoulders) and if it is tight (too short) then use it as an Izar (tie it around your waist only.)' "


Ravi Hazrat Saeed bin Haaris:

Ham ne Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ek kapde mein namaz adaa karne ke mutaalliq masla dariyaaft kiya, to unho’n ne farmaya: Main Nabi (ﷺ) ke hamraah ek safar mein tha, raat ko kisi zaroori kaam ke liye aapke paas aaya to dekha ke aap namaz padh rahe hain. Us waqt mere oopar ek hi kapda tha. Maine usey apne badan par lapet aur aapke pehlu mein khade ho kar namaz padhne laga.
Jab aap namaz se faarigh hue to farmaya: “Aye Jabir! Raat ke waqt kaise aae?”
Maine aap (ﷺ) ki khidmat mein apni zaroorat paesh ki.
Jab main apni zaroorat se faarigh hua to aap ne farmaya: “Ye kapde ka lapetna kya hai, jo maine dekha hai?”
Maine arz kiya: Mere paas ek hi kapda tha.
Aap ne farmaya: “Kapda agar kushaada ho to usey lapet liya karo, aur agar tang ho to usey bataur-e-tah-band pehno”.



Reference : Sahih al-Bukhari 361

 : Book 8, Hadith 13




Narrated Sahl:

The men used to pray with the Prophet (ﷺ) with their Izars tied around their necks as boys used to do; therefore the Prophet (ﷺ) told the women not to raise their heads till the men sat down straight (while praying).


Ravi Hazrat Sahal (bin Saad) (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke hamraah kuch sahaaba apni chadare’n baccho’n ki tarah gardano’n par girah lagaae namaz padhte the. Chunache masturaat ko hidaayat ki jaati, ke jab tak log seedhe ho kar baith na jaae’n, us waqt tak wo sajde se apne sar na uthaae’n. 



Reference : Sahih al-Bukhari 362

 : Book 8, Hadith 14
 
: Also see Hadith No. 
814, 1215 





Baab 7: Shaami Jubbe Mein Namaz Padhna






Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne kaha: 

Jin kapdo’n ko aatish-parast bunte hain, unhe’n pehen kar namaz padhne mein koi harj nahi.

Ma’amar bin Rashid ne kaha: 

Maine Imam Zohri ko Yemen ke do (2) kapde pehne hue dekha, jinhe’n peshab mein ranga gaya tha.

Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek koray kapde mein (baghair dhoe) namaz padhi.






Narrated Mughira bin Shu'ba:

Once I was travelling with the Prophet (ﷺ) and he said, "O Mughira! take this container of water." 
I took it and Allah's Apostle (ﷺ) went far away till he disappeared. He answered the call of nature and was wearing a Syrian cloak. He tried to take out his hands from its sleeve but it was very tight so he took out his hands from under it. I poured water and he performed ablution like that for prayers and passed his wet hands over his Khuff (leather socks) and then prayed.


Ravi Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main ek dafa Nabi (ﷺ) ke hamraah kisi safar mein tha.
Aap ne farmaya: “Aye Mugheera! Paani ka bartan pakadlo”.
Maine taameel-e-hukum karte hue bartan pakad liya.
Phir aap bahar gae, yahaa’n tak ke aap meri nigaho’n se ojhal ho gae.
Phir aap ne qazaa-e-haajat ki, aur us waqt aap shaami jubba pehne hue the.
Aap ne uski asteen se apna haath baahar nikaalna chaaha, choo’nke wo tang ti, is liye aap ne apna haath uske neeche se nikaala.
Phir maine aapke a’azaa-e-shareefa par paani daala.
Aap ne namaz ke liye wazoo kiya aur apne mozo’n par masah kiya, phir namaz padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 363

 : Book 8, Hadith 15



Baab 8: Namaz Mein (ya namaz ke alaawa) Barhana Rehne Ki Mumaaneat







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

While Allah's Apostle (ﷺ) was carrying stones (along) with the people of Mecca for (the building of) the Ka'ba wearing an Izar (waist-sheet cover), his uncle Al-'Abbas said to him, "O my nephew! (It would be better) if you take off your Izar and put it over your shoulders underneath the stones." 
So he took off his Izar and put it over his shoulders, but he fell unconscious and since then he had never been seen naked.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) quraish ke hamraah ta’ameer-e-Ka’aba ke liye patthar uthaate the. Aap (ﷺ) ne sirf tah-band bandha hua tha.
Aap (ﷺ) ke chacha Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Aye mere bhatije! Agar tum apna tah-band utaar kar usey apne kando’n par patthar ke neeche rakhlo (to tumhare liye aasaani hogi).
Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke aap (ﷺ) ne apna tah-band utaar kar apne kandho’n par rakh liya, chunache aap (ﷺ) usi waqt behosh ho kar gir pade. Uske baad Aap (ﷺ) kabhi barhana nahi dekhe gae. 



Reference : Sahih al-Bukhari 364

 : Book 8, Hadith 16
 
: Also see Hadith No. 
1582, 3829 





Baab 9: Qamees, Pajaama, Jhanghiya Aur Quba Mein Namaz Padha







Narrated Abu Huraira:

A man stood up and asked the Prophet (ﷺ) about praying in a single garment. 
The Prophet (ﷺ) said, "Has every one of your two garments?" 
A man put a similar question to 'Umar to which he replied, "When Allah makes you wealthier then you should clothe yourself properly during prayers. Otherwise one can pray with an Izar and a Rida' (a sheet covering the upper part of the body.) Izar and a shirt, Izar and a Qaba', trousers and a Rida, trousers and a shirt or trousers and a Qaba', Tubban and a Qaba' or Tubban and a shirt." (The narrator added, "I think that he also said a Tubban and a Rida.")


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek admi khada hua aur Nabi (ﷺ) se sawal kiya: Aaya ek kapde mein namaz padhi jaa sakti hai?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Yaha tum mein se sabke paas do-do (2-2) kapde hain?”
Phir kisi shakhs ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se yehi sawal kiya, to unho’n ne jawab diya: Jab Allah Ta’ala wusa’at farmae to us wusa’at ka izhaar karo. Chaahiye ke log apne jism par Allah ke diye hue kapde istemaal kare’n, yaane izaar, aur chadar mein, izaar aur qamees mein, izaar aur qabaa mein, pajama aur chaadar mein, pajama aur qamees mein, pajama aur qabaa mein, jhaanghe aur qabaa mein, jhange aur qamees mein namaz padhe’n.
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Main guman karta hoo’n ke Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jhange aur chadar mein adaaegi-e-namaz ke mutaalliq bhi farmaya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 365

 : Book 8, Hadith 17




Narrated Ibn 'Umar:

A person asked Allah's Apostle (ﷺ), "What should a Muhrim wear?" 
He (ﷺ) replied, "He should not wear shirts, trousers, a bonus (a hooded cloak), or clothes which are stained with saffron or Wars (a kind of perfume). Whoever does not find a sandal to wear can wear Khuffs, but these should be cut short so as not to cover the ankles.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek admi ne Rasool Allah (ﷺ) se dariyaaft kiya ke mohrim kya pehne?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mohrim qamees, pajama, aur baraani ka istemaal na kare, aur na wo kapde pehne jo zafraan yaa wars se range gae ho’n. Aur jiske paas joote na ho’n, wo moze pehen le aur unhe’n oopar se kaat de, taake wo takhno’n se neeche ho jaae’n.”

Hazrat Naafe ne ba-waasta Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se uske misal riwayat ki hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 366

 : Book 8, Hadith 18





 Baab 10: Qaabil-e-Satar Hisse Ka Bayan






Narrated Abu Said Al-Khudri

Allah's Apostle (ﷺ) forbade Ishtimal-As-Samma' (wrapping one's body with a garment so that one cannot raise its end or take one's hand out of it). 
He (ﷺ) also forbade Al-Ihtiba' (sitting on buttocks with knees close to abdomen and feet apart with the hands circling the knees) while wrapping oneself with a single garment, without having a part of it over the private parts.


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne sakht, bilkul se mana farmaya hai. Nez aap ne goth maar kar ek kapde mein baithne se bhi roka jabke aadmi ki sharm-gaah par kuch na ho. 



Reference : Sahih al-Bukhari 367

 : Book 8, Hadith 19
 
: Also see Hadith No. 
1991, 2144, 2147, 5720, 5822, 6284 




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) forbade two kinds of sales i.e. Al-Limais and An-Nibadh (the former is a kind of sale in which the deal is completed if the buyer touches a thing, without seeing or checking it properly and the latter is a kind of a sale in which the deal is completed when the seller throws a thing towards the buyer giving him no opportunity to see, touch or check it) and (the Prophet (ﷺ) forbade) also Ishtimal-As-Samma' and Al-Ihtiba' in a single garment.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne do (2) qismo’n ki khareed-o-farokht se mana farmaya: Ek sirf choone se aur doosri jo sirf phenkne se pukhta ho jaae. Nez aap ne ishtemal-e-sama* aur ek kapde mein goth** maar kar baithne se bhi mana farmaya.




Reference : Sahih al-Bukhari 368

 : Book 8, Hadith 20
 
: Also see Hadith No. 
584, 588, 1993, 2145, 2146, 5819, 5821
 : *Insaan apna kapda apne kandhe par is tarah daale ke doosri taraf nangi ho aur
    us par koi kapda na ho. [Saheeh Bukhari 5820]
 : **Baith kar apne kapde se kamar aur pindliyaa’n baand li jaae’n aur sharmgaah
    par koi kapda na ho [Saheeh Bukhari 5820] 




Narrated Abu Huraira:

On the Day of Nahr (10th of Dhul-Hijja, in the year prior to the last Hajj of the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) when Abu Bakr was the leader of the pilgrims in that Hajj) Abu Bakr sent me along with other announcers to Mina to make a public announcement: "No pagan is allowed to perform Hajj after this year and no naked person is allowed to perform the Tawaf around the Ka'ba. Then Allah's Apostle (ﷺ) sent 'All to read out the Surat Bara'a (At-Tauba) to the people; so he made the announcement along with us on the day of Nahr in Mina: "No pagan is allowed to perform Hajj after this year and no naked person is allowed to perform the Tawaf around the Ka'ba."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Mujhe Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne hajj mein qurbani ke din munaadi karne waalo’n ke hamraah rawaana kiya, taake ham mina mein ye elaan kare’n, ke is saal ke baad koi mushrik hajj na kare, aur koi shakhs barhana ho kar tawaaf na kare.
Humaid bin Abdur Rahman ne kaha: Phir Rasool Allah (ﷺ) ne Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ye hukum de kar bheja ke wo mushrikeen se la-taalluqi ka elaan kar de’n.
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne qurbani ke din hamaare saath mina ke logo’n mein ye elaan kiya ke aaj ke baad koi mushrik hajj na kare, aur na koi barhana ho kar baitullah ka tawaaf hi kare. 



Reference : Sahih al-Bukhari 369

 : Book 8, Hadith 21
 
: Also see Hadith No. 
1622, 3177, 4363, 4655, 4656, 4657 





Baab 11: Chadar Ke Baghair Namaz Adaa Karna






Narrated Muhammad bin Al-Munkadir:

I went to Jabir bin 'Abdullah and he was praying wrapped in a garment and his Rida was Lying beside him. When he finished the prayers, I said "O 'Abdullah! You pray (in a single garment) while your Rida' is lying beside you." 
He replied, "Yes, I did it intentionally so that the ignorant ones like you might see me. I saw the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) praying like this."


Ravi Hazrat Muhammad bin Munkadir:

Main Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hua, aur aap us waqt ek kapda lapete hue namaz padh rahe the. Jabke unki doosri chaadar paas hi rakhi hui thi. Jab aap namaz se faarigh hue to ham ne arz kiya: Aye Abu Abdullah! Aap ek kapde mein namaz padh rahe hain, jabke aap ki doosri chaadar alag rakhi hui hai?

Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ji haa’n! Main chahta hoo’n ke tum jaise jaahil mujhe dekh le’n. Maine Nabi (ﷺ) ko is tarah namaz padhte dekha hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 370

 : Book 8, Hadith 22





Baab 12: Un Riwayaat Ka Bayaan Jo Raan Se Mutaalliq Hain






(Abu Abdullah Hazrat Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain ke) Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Jarhad aur Hazrat Muhammad bin Jahash (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan kaiya jaata hai, wo Nabi (ﷺ) se riwayat karte hain ke “Raan chupaane ki cheez hai”.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ne ek martaba apni raan ko khol diya. Hazrat Anas ki hadees sanad ke lehaaz se qawi hai, jabke ehtiyat ka taqaaza hai ke Hazrat Jarhad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki hadees par amal kiya jaae, taake is masle mein jama-o-tatbeeq ke zariye se ulama ke ikhtelaaf se nikla jaa sakey.
Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Jab Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae to Nabi (ﷺ) ne apne ghutno’n ko dhaank liya. Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Allah Ta’ala ne apne Rasool par ek martaba wahee naazil farmaai, to us waqt aap ki raan meri raat ke oopart hi, wo mujh par itni bhaari ho gai ke mujhe apni raat ki haddi toot jaane ka andesha laahiq ho gaya.






Narrated 'Abdul 'Aziz:

Anas said, 'When Allah's Apostle (ﷺ) invaded Khaibar, we offered the Fajr prayer there yearly in the morning) when it was still dark. The Prophet (ﷺ) rode and Abu Talha rode too and I was riding behind Abu Talha. The Prophet (ﷺ) passed through the lane of Khaibar quickly and my knee was touching the thigh of the Prophet (ﷺ). He uncovered his thigh and I saw the whiteness of the thigh of the Prophet (ﷺ).
When he entered the town, he said, 'Allahu Akbar! Khaibar is ruined. Whenever we approach near a (hostile) nation (to fight) then evil will be the morning of those who have been warned.' He repeated this thrice. The people came out for their jobs and some of them said, 'Muhammad (has come).'
(Some of our companions added, "With his army.") We conquered Khaibar, took the captives, and the booty was collected. 
Dihya came and said, 'O Allah's Prophet (ﷺ)! Give me a slave girl from the captives.'
The Prophet (ﷺ) said, 'Go and take any slave girl.' 
He took Safiya bint Huyai. 
A man came to the Prophet (ﷺ) and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! You gave Safiya bint Huyai to Dihya and she is the chief mistress of the tribes of Quraiza and An-Nadir and she befits none but you.' 
So the Prophet (ﷺ) said, 'Bring him along with her.' 
So Dihya came with her and when the Prophet (ﷺ) saw her, he said to Dihya, 'Take any slave girl other than her from the captives.' 
Anas added: The Prophet (ﷺ) then manumitted her and married her."
Thabit asked Anas, "O Abu Hamza! What did the Prophet (ﷺ) pay her (as Mahr)?" 
He said, "Her self was her Mahr for he manumitted her and then married her." 
Anas added, "While on the way, Um Sulaim dressed her for marriage (ceremony) and at night she sent her as a bride to the Prophet (ﷺ). 
So the Prophet (ﷺ) was a bridegroom and he said, 'Whoever has anything (food) should bring it.' 
He spread out a leather sheet (for the food) and some brought dates and others cooked butter. (I think he (Anas) mentioned As-SawTq). So they prepared a dish of Hais (a kind of meal). And that was Walrma (the marriage banquet) of Allah's Apostle (ﷺ) ."


Ravi Hazrat Abdul Azeez:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se rieayat hai jab Rasool Allah (ﷺ) ne Khybar ka rukh kiya, to ham ne namaz-e-fajr Khybar ke nazdeek andhere mein (awwal waqt mein) adaa ki.
Phir Nabi (ﷺ) aur Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) sawaar hue. Main Hazrat Abu Talha ke peeche sawaar tha. Nabi (ﷺ) ne Khybar ki galiyo’n mein apni sawaari ko edee lagaai*, (daudete waqt) meri ghutna Nabi (ﷺ) ki raan-e-mubarak se choo jaata tha.
Phir aap ne apni raan se chadar hathaadi, yahaa’n tak ke mujhe Nabi (ﷺ) ki raan-e-mubarak ki safedi nazar aane lagi, aur jab aap basti ke andar daakhil ho gae, to aap ne 3 dafa ye kalimat farmae: Allahu Akbar Khybar wiraan hua.
Jab ham kisi qaum ke aangan mein padaao karte hain to un logo’n ki subah badi haulnak hoti hai, jo qabl-azee’n mutanabbe** kiye gae ho’n.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Basti ke log apne kaam kaaj ke liye nikle to kehne lagey: Ye Muhammad (ﷺ) aur unka Lashkar aa-pohcha.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke ham ne Khybar ko ba-zor-e-shamshir fatah kiya.
Phir qaidi jama kiye gae, to Hazrat Dihyah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae aur arz kiya; Aye Allah ke Nabi (ﷺ)! Mujhe un qaidiyo’n mein se ek laundi ataa farmae’n.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jaao koi laundi lelo”.
Chunache unho’n ne Safiya bin Huyai ko le liya.
Phir ek shakhs Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir ho kar arz karne laga: Aye Allah ke Nabi (ﷺ)! Aap ne qabila-e-quraiza aur nazeer ke sardar ki beti Safiya bint Huyai, Hazrat Dihyah ko dedi, hala’nke aap ke alaawa koi uske munasib nahi.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Accha usey (Dihyah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko) Safiya samet bulaao”.
Chunache wo Safiya samet aap ki khidmat mein haazir hue.
Nabi (ﷺ) ne jab Safiya ko dekha to (Dihyah se) farmaya: “Tum uske alaawa qaidiyo’n mein se koi aur laundi lelo”.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Phir Nabi (ﷺ) ne Safiya ko aazaad karke unse nikah kar liya.
Saabit Banani ne Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Aye Abu Hamza, Nabi (ﷺ) ne unka haq-e-maher kya muqarrar kiya tha?
Unho’n ne kaha: Khud unhi aazaadi.
Aap (ﷺ) ne unhe’n aazaad karke unse nikah kar liya, hatta ke jab rawaana hue to raaste hi mein Hazrat Umme Sulaim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Safiya ko aapke liye araasta karke raat ko aapke paas bheja aur subah ko Nabi (ﷺ) ne ba-haisiyat-e-dulha farmaya: Jiske paas jo kuch hai, wo yahaa’n le aae. Aur aap ne chamde ka ek dastarkhwan bicha diya, to koi khajoore’n laaya aur koi ghee laaya.

Raawi-e-hadees (Abdul Aziz) kehte hain: Mera khayaal hai ke Hazrat Anas ne sattu ka bhi zikr kiya. Phir unho’n ne maleeda taiyyaar kiya aur yehi Rasool Allah (ﷺ) ki dawat-e-wailma thi.




Reference : Sahih al-Bukhari 371

 : Book 8, Hadith 23
 
: Also see Hadith No. 
610, 947, 2228, 2235, 2889, 2893, 2943, 2944, 2945, 2991, 3085, 3086,
   3367, 3647, 4083, 4074, 4197, 4198, 4199, 4200, 4201, 4211, 4212, 4213, 5085, 5159, 5169,
   5387, 5425, 5528, 5968, 6185, 6363
 
 : 
*Ghode ko chalaana aur aage badhaana, ghode ko edi ke ishaare se chalaana
 : 
**Bataaya gaya, aagaah kiya gaya, tambeeh kiya gaya, khabardaar kiya gaya





Baab 13: Aurat Kitne Kapdo’n Mein Namaz Padhe?






Hazrat Ikrima kehte hain: Agar aurat ne ek kapde se saara jism dhaank liya hai, to uski namaz jaaez hai.


Narrated 'Aisha:

Allah's Apostle (ﷺ) used to offer the Fajr prayer and some believing women covered with their veiling sheets used to attend the Fajr prayer with him and then they would return to their homes unrecognized.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) subah ki namaz padhte to aapke hamraah kuch khawateen apni chadaro’n mein lipti hui haazir hoti thee’n. Phir (faraghat ke baad) wo apne gharo’n ko aise laut jaatee’n, ke unhe’n koi pehchaan nahi sakta tha. 

Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ka maqsad ye hai ke aurat agar ek hi chadar mein acchi tarah lipat kar namaz adaa kare, to namaz durust hai. Kyou’nke is hadees mein sirf chadaro’n mein namaz padhne ka zikr hai, unke saath doosre kapdo’n ka zikr nahi hua hai. Choo’nke aurat ka poora jism, chehre aur haatho’n ke alaawa qaabil-e-satar (Chupaana, dhaapna) hai, is liye aurto’n ke muaamale mein sehat-e-namaz ka daar-o-madaar kapdo’n ki ginti par nahi, balke satar par hai. Agar aurat sar se paao’n tak chaadar lapet le, to namaz ke liye kaafi hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 372

 : Book 8, Hadith 24
 
: Also see Hadith No. 
578, 867, 872 



Baab 14: Jab Koi Munaqqash Kapde Mein Namaz Padhe Aur Dauran-e-Namaz Mein Kapde Ke Naqsh-o-Nigaar Ko Dekhe?







Narrated 'Aisha:

the Prophet (ﷺ) prayed in a Khamisa (a square garment) having marks. During the prayer, he looked at its marks. So when he finished the prayer he said, "Take this Khamisa of mine to Abu Jahm and get me his Inbijaniya (a woollen garment without marks) as it (the Khamisa) has diverted my attention from the prayer."
The Prophet (ﷺ) said, 'I was looking at its (Khamisa's) marks during the prayers and I was afraid that it may put me in a trial (by taking away my attention).


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne ek dafa munaqqash chaadar mein namaz padhi. Aap ki nazar uske naqsh-o-nigaar par padi, to aap ne namaz se faraaghat ke baad farmaya: “Meri is chadar ko Abu Jaham ke paas waapas lejaao, aur Abu Jaham se uski anbijaani (saada) chaadar le aao. Kyou’nke is munaqqash chaadar ne mujhe abhi apni namaz mein doosri taraf mutawajja kar diya tha”.

Hisham bin Urwah ne apne baap Urwah se, aur wo Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Maine is chaadar ke naqsh-o-nigaar ki taraf ba-haalat-e-namaz nazar ki to mujhe andesha hua ke kahee’n ye mujhe fitne mein na daal de”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 373

 : Book 8, Hadith 25
 
: Also see Hadith No. 
752, 5817 





Baab 15: Saleeb Ya Tasweer Bane Kapde Mein Namaz Padhe To Kya Namaz Faasid Ho Jaaegi? Aur Uske Mutaalliq Mumaaneat Ka Bayaan








Narrated Anas:

'Aisha had a Qiram (a thin marked woollen curtain) with which he had screened one side of her home. 
The Prophet (ﷺ) said, "Take away this Qiram of yours, as its pictures are still displayed in front of me during my prayer (i.e. they divert my attention from the prayer)."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas ek parda tha, jise unho’n ne ghar ki ek taraf latka rakha tha. Nabi (ﷺ) ne (usey dekh kar) farmaya: “Hamaare saamne se apna ye parda hataa do, kyou’nke uski tasweere’n musalsal meri namaz mein saamne aati rehti hain”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 374

 : Book 8, Hadith 26
 
: Also see Hadith No. 
5959 





Baab 16: Reshmi Coat Pehen Kar Namaz Padhna Phir Usey Utaar Dena







Narrated 'Uqba bin 'Amir:

The Prophet (ﷺ) was given a silken Farruj as a present. He wore it while praying. When he had finished his prayer, he took it off violently as if with a strong aversion to it and said, "It is not the dress of Allah-fearing pious people."


Ravi Hazrat Uqba bin Aamir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ki khidmat mein ek reshmi coat bataur-e-hadiya laaya gaya. Aap ne usey zeb-tan farma kar namaz padhi. Magar jab namaz se faarigh hue to usey sakhti se utaar phenka. Goya aap ko wo sakht naa-gawaar guzra.
Nez aap (ﷺ) ne farmaya: “Taqwa-shiaar logo’n ke liye ye ghair munaasib hai”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 375

 : Book 8, Hadith 27
 
: Also see Hadith No. 
5801 





Baab 17: Surkh Kapde Mein Namaz Padhna






Narrated Abu Juhaifa:

I saw Allah's Apostle (ﷺ) in a red leather tent and I saw Bilal taking the remaining water with which the Prophet (ﷺ) had performed ablution. 
I saw the people taking the utilized water impatiently and whoever got some of it rubbed it on his body and those who could not get any took the moisture from the others' hands. 
Then I saw Bilal carrying an 'Anza (a spear-headed stick) which he planted in the ground. 
The Prophet (ﷺ) came out tucking up his red cloak, led the people in prayer and offered two Rakat (facing the Ka'ba) taking 'Anza as a Sutra for his prayer. I saw the people and animals passing in front of him beyond the 'Anza.


Ravi Hazrat Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko chamde ke ek surkh khaime (Tent) mein dekha aur maine ye bhi ba-chashm-e-khud mulaahaza kiya, ke jab Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Rasool Allah (ﷺ) ke wazoo se bacha hua paani laae to log usey dast-ba-dast lene lagay. Jise usme se kuch mil jaata, wo usey apne chehre par mal leta, aur jise kuch na milta, wo apne paas waale admi ke haath se taree (geela-pan) le leta. Phir maine Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha ke unho’n ne ke neza uthakar zameen mein gaad diya, aur Nabi (ﷺ) ek surkh joda zeb-tan kiye, daaman uthaae hue bar-aamad hue, aur chote neze ki taraf mu’n karke logo’n ko do (2) rakat padhaae’n. Maine dekha ke log aur jaanwar neze ke aagey se guzar rahe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 376

 : Book 8, Hadith 28





Baab 18: Chatt, Mimbar, Aur Lakdi Par Namaz Padhna






Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: 

Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne baraf aur pul par namaz padhne ko jaaez qaraar diya hai, agarche uske neeche yaa uske oopar, yaa aagey peshab beh raha ho. Ba-sharte ke namazi aur peshab ke darmiyan koi cheez haael ho.
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Imam ke peeche masjid ki chatt par namaz adaa ki.
Aur Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne baraf par namaz padhi.




Narrated Abu Hazim:

Sahl bin Sa'd was asked about the (Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ)'s) pulpit and to what thing it was made of? 
Sahl replied: "None remains alive amongst the people, who know about it better than I. It was made of tamarisk (wood) from the forest. So and so, the slave of so and so prepared it for Allah's Apostle (ﷺ). 
When it was constructed and placed (in the Mosque), Allah's Apostle (ﷺ) stood on it facing the Qibla and said 'Allahu Akbar', and the people stood behind him (and led the people in prayer). He recited and bowed and the people bowed behind him. Then he raised his head and stepped back, got down and prostrated on the ground and then he again ascended the pulpit, recited, bowed, raised his head and stepped back, got down and prostrate on the ground. So, this is what I know about the pulpit."

Ahmad bin Hanbal said, "As the Prophet (ﷺ) was at a higher level than the people, there is no harm according to the above-mentioned Hadith if the Imam is at a higher level than his followers during the prayers."


Ravi Hazrat Abu Haazim:

Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se logo’n ne dariyaaft kiya ke (Nabi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ka) mimbar kis cheez se taiyyaar kiya gaya tha?
Wo bole ke ab logo’n mein uske mutaalliq mujhse ziyaada jaanne waala koi nahi. Wo muqaam-e-ghaaba ke jhaav* se bana tha. Jise Rasool Allah (ﷺ) ke liye falaa’n aurat ke falaa’n ghulam ne taiyyaar kiya tha. Jab wo taiyyaar ho chuka, aur masjid mein rakh diya gaya, to Rasool Allah (ﷺ) us par khade hue aur qibla-roo ho kar takbeer-e-tehrima kahi. Deegar log bhi aapke peeche khade hue, phir aap ne qirat ki aur rukoo kiya aur logo’n ne bhi aapke peeche rukoo kiya.
Phir aap ne apna sar-e-mubarak uthaya aur peeche hat-kar zameen par sajda kiya. (Dono sajde adaa karne ke baad) Phir mimbar par laut aae, phir qirat ki, aur rukoo kiya, phir rukoo se sar uthaaya, phir ulte paao’n peeche hatey aur zameen par sajda kiya. Mimbar-e-nabawi ka yehi qissa hai.

Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain ke Ali bin Abdullah Madeeni ne kaha: Mujhse Imam Ahmad bin Hambal (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne is hadees ke mutaalliq sawal kiya, aur kaha: Mera matlab ye hai ke Nabi-e-Akram (ﷺ) logo’n se buland jagah par the, is liye is hadees ki roo se isme koi harj nahi ke imam muqtadiyo’n se buland jagah par ho.

Ali bin Madeeni kehte hain: Maine (Ahmad bin Hambal) se kaha ke Sufiyan bin Uyayah se is riwayat ke mutaalliq bohot sawal kiya jaata tha. Aap ne use ye riwayat nahi suni?
To unho’n ne farmaya: Nahi (maine unse is riwayat ka samaa’ nahi kiya).




Reference : Sahih al-Bukhari 377

 : Book 8, Hadith 29
 
: Also see Hadith No. 
448, 918, 2094, 2569
 : 
*Aisi shaakhe’n umooman tokriyaan banaane ke kaam aati hai




Narrated Anas bin Malik:

Once Allah's Apostle (ﷺ) fell off a horse and his leg or shoulder got injured. He swore that he would not go to his wives for one month and he stayed in a Mashruba (attic room) having stairs made of date palm trunks. So his companions came to visit him, and he led them in prayer sitting, whereas his companions were standing. 
When he finished the prayer, he said, "Imam is meant to be followed, so when he says 'Allahu Akbar,' say 'Allahu Akbar' and when he bows, bow and when he prostrates, prostrate and if he prays standing pray, standing. 
After the 29th day, the Prophet (ﷺ) came down (from the attic room) and the people asked him, "O Allah's Apostle (ﷺ)! You swore that you will not go to your wives for one month." 
He (ﷺ) said, "The month is 29 days."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek martaba Rasool Allah (ﷺ) ghode se gir gae to aap ki pindli yaa kandha majrooh (Zakhmi) ho gaya aur aapne ek maah tak apni azwaaj-e-mutahharaat ke paas na jaane ki qasam uthaai, is bina par ke baala-khane mein tashreef farma hue, jiski seedhi khajoor ke tano’n ki thi.
Chunache Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) aap ki timaar-daari ke liye aae, Aap ne Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ko baith kar namaz padhaai, jabke wo khade hue the. Jab aap ne salaam phera to farmaya: “Iam to is liye banaaya jaata hai ke uski iqteda ki jaae, lehaaza jab wo takbeer kahe to tum bhi takbeer kaho, aur jab wo rukoo kare to tum bhi rukoo karo, isi tarah jab wo sajda kare to tum bhi sajda karo, aur agar wo khade ho kar namaz padhe to tum bhi khade ho kar uski iqteda karo”. Phir aap ne 29 din poore hone par bala-khaane se nuzool farmaya.
Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Aapne to ek maah alag rehne ki qasam khaai thi! Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mahina 29 din ka bhi hota hai”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 378

 : Book 8, Hadith 30
 
: Also see Hadith No. 
689, 732, 733, 805, 1114, 1911, 2469, 5201, 5289, 6684 





Baab 19: Jab Namazi Ka Kapda Dauran-e-Sajda Mein Uski Biwi Ko Lag Jaae







Narrates 'Abdullah bin Shaddad:

Maimuna said, "Allah's Apostle (ﷺ) was praying while I was in my menses, sitting beside him and sometimes his clothes would touch me during his prostration." 
Maimuna added, "He prayed on a Khumra (a small mat sufficient just for the face and the hands while prostrating during prayers).


Ravi Hazrat Abdullah Bin Shaddad:

Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha, "Rasool Allah (ﷺ) namaz adaa farmate the, aur main ba-haalat-e-haiz aapke saamne leti hoti thi. Aur basa-auqaat aapka kapda sajde ki haalat mein mere badan par pad jaata tha.
Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne ye bhi farmaya ke aap (ﷺ) khajoor ke chote musalle par namaz padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 379

 : Book 8, Hadith 31





Baab 20: Chataai Par Namaz Padhne Ka Bayan






Hazrat Jabir bin Abdullah aur Hazrat Abu Saeed Khudri (رضي الله عنهم) ne kashti mein khade ho kar namaz padhi.
Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne farmaya: Agar tumhare rufaqa-e-sfar mein khade ho kar namaz padhne mein mashaqqat mehsoos na kare’n, to khade ho kar namaz padhni chaahiye, ba-soorat-e-deegar baith kar namaz adaa ki jaa sakti hai. Lekin har haal mein kashti ke saath qibla ki simt ghoomte rehna chaahiye.






Narrated Ishaq:

Anas bin Malik said, "My grand-mother Mulaika invited Allah's Apostle (ﷺ) for a meal which she herself had prepared. He ate from it and said, 'Get up! I will lead you in the prayer.' " 
Anas added, "I took my Hasir, washed it with water as it had become dark because of long use and Allah's Apostle (ﷺ) stood on it. 
The orphan (Damira or Ruh) and I aligned behind him and the old lady (Mulaika) stood behind us. 
Allah's Apostle (ﷺ) led us in the prayer and offered two Rakat and then left."


Ravi Hazrat Is-haq:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke unki dadi Hazrat Mulaikah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Rasool Allah (ﷺ) ko khane ke liye dawat di, jo unho’n ne aapke liye taiyyaar kiya tha.
Aap (ﷺ) ne usse kuch tanaawul farmaya, phir farmaane lagey: “Khade ho jaao, main tumhe’n namaz padhaou’n”.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke maine ek chataai ko uthaaya, jo kasrat-e-istemaal ki wajah se siyaah ho gai thi, usey paani se dhoya.
Phir Rasool Allah (ﷺ) us par khade ho gae.
Maine aur ek chote bacche ne aapke peeche saff banaai, aur budhiya hamaare peeche khadi ho gai.
Is tarah Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n do (2) rakat namaz padhaai.
Faraaghat ke baad aap waapas tashreef le gae. 



Reference : Sahih al-Bukhari 380

 : Book 8, Hadith 32
 
: Also see Hadith No. 
727,860, 871, 1164 



 Baab 21: Choti Chataai Par Namaz Padhne Ka Bayan






Narrated Maimuna:

Allah's Apostle (ﷺ) used to pray on Khumra.


Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) choti chataai par namaz adaa karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 381

 : Book 8, Hadith 33





Baab 22: Bistar Par Namaz Padhna






Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne bistar par namaz padhi, nez Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz padhte the, to ham mein se koi apne kapde par sajda kar leta tha.




Narrated Abu Salama:

'Aisha the wife of the Prophet (ﷺ) said, "I used to sleep in front of Allah's Apostle (ﷺ) and my legs were opposite his Qibla and in prostration, he pushed my legs and I withdrew then and when he stood, I stretched them.' 
'Aisha added, "In those days the houses were without lights."


Ravi Hazrat Abu Salama:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) Rasool Allah (ﷺ) ke saamne soi hoti thi, jabke mere dono paao’n aapke sajde ki jagah hote. Jab aap sajda karte the, to mujhe daba dete, aur main apne paao’n samet leti. Phir jab aap khade ho jaate to main unhe’n daraaz kar leti. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Un dino’n gharo’n mein chiragh nahi hote the. 



Reference : Sahih al-Bukhari 382

 : Book 8, Hadith 34
 
: Also see Hadith No. 
383, 384, 508, 511, 512, 513, 514, 515, 519, 997, 1209, 6276 




Narrated 'Aisha:

Allah Apostle (ﷺ) prayed while I was lying like a dead body on his family bed between him and his Qibla.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) apne ahle ke bistar par namaz padhte, jabke wo khud aapke aur qible ke darmiyan janaze ki tarah leti hoti thee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 383

 : Book 8, Hadith 35




Narrated 'Urwa:

The Prophet (ﷺ) prayed while 'Aisha was lying between him and his Qibla on the bed on which they used to sleep.


Ravi Hazrat Urwah:
 
Nabi (ﷺ) namaz padhte the, aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aapke aur qible ke darmiyan us bistat par leti rehtee’n, jis par ye dono sote the.



Reference : Sahih al-Bukhari 384

 : Book 8, Hadith 36





Baab 23: Sakht Garmi Ke Sabab Kapde Par Sajda Karna






Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain: Sahaaba Ikram pagdi aur toip par sajda kiya, karte the, nez unke haath unke asteen mein hote the.




Narrated Anas bin Malik:

We used to pray with the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) and some of us used to place the ends of our clothes at the place of prostration because of the scorching heat.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz padha karte the too ham mein se koi shakhs sakht garmi ki wajah se sajde ki jagah par apne kapde ka kinara bicha leta tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 385

 : Book 8, Hadith 37
 
: Also see Hadith No. 
542, 1208 





Baab 24: Jooto’n Samet Namaz Padhna






Narrated Abu Maslama:

Said bin Yazid Al-Azdi: I asked Anas bin Malik whether the Prophet (ﷺ) had ever, prayed with his shoes on. 
He replied "Yes."


Ravi Hazrat Abu Maslama:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya gaya: Kya Nabi (ﷺ) jooto’n samet namaz padh lete the?
Unho’n ne jawab diya: Haa’n padh lete the. 



Reference : Sahih al-Bukhari 386

 : Book 8, Hadith 38
 
: Also see Hadith No. 
5850 





Baab 25: Mozay Pehen Kar Namaz Padhna






Narrated Ibrahim:

Hammam bin Al-Harith said, "I saw Jarir bin 'Abdullah urinating. Then he performed ablution and passed his (wet) hands over his Khuffs, stood up and prayed. He was asked about it. 
He replied that he had seen the Prophet (ﷺ) doing the same." 
They approved of this narration as Jarir was one of those who embraced Islam very late.


Ravi Hazrat Ibrahim Nakhai:

Maine ek dafa Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko unho’n ne peshab kiya, phir wazoo farmaya to apne mozo’n par masah kiya, phir wo khade hue aur (mozo’n samet) namaz adaa ki.
Unse uski baabat poocha gaya to unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko aisa karte dekha hai.
Ibrahim Nakhai kehte hain ke ahle ilm hazraat ko ye hadees bohot pasand thi, kyou’nke Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aakhir mein islam laae the.



Reference : Sahih al-Bukhari 387

 : Book 8, Hadith 39




Narrated Al-Mughira bin Shu'ba:

I helped the Prophet (ﷺ) in performing ablution and he passed his wet hands over his Khuffs and prayed.


Ravi Hazrat Mugheera bin Sho’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ko wazoo karaya to aap ne mozo’n par masah kiya aur namaz padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 388

 : Book 8, Hadith 40 



Baab 26: Jab Namazi Sajde Ko Poore Taur Par Adaa Na Kare






Ravi Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek shakhs ko dekha jo apni namaz mein rukoo aur sajde ko mukammal taur par adaa nahi kar raha tha. Jab ye shakhs namaz se faarigh hu to Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne usse farmaya: Tumhari namaz nahi hui.

Raawi Abu Waael kehte hain: 

Main khayaal karta hoo’n ke Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne usse ye bhi farmaya: Agar tumhari (usi haalat mein) maut aagai to tum Muhammad (ﷺ) ke tareeqe par nahi maroge. 



Reference : Sahih al-Bukhari 389

 : Book 8, Hadith 41
 
: Also see Hadith No. 
791, 808 





Baab 27: Namazi Dauran-e-Sajda Mein Baazuo’n Ko Kushaada Kare Aur Unhe’n Apne Pehluo’n Se Alag Rakhe.







Narrated 'Abdullah bin Malik:

Ibn Buhaina, "When the Prophet (ﷺ) prayed, he used to separate his arms from his body so widely that the whiteness of his armpits was visible."


Ravi Hazrat Abdullah bin Maalik ibne Buhaina (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab namaz padhte to apne haatho’n ko kushaada rakhte yahaa’n tak ke aap ki baghalo’n ki safedi numayaa’n taur par zaahir hoti.

Lais kehte hain: Jafar bin Rabia ne mujhse is tarah ki riwayat bayan ki.
 




Reference : Sahih al-Bukhari 390

 : Book 8, Hadith 42
 
: Also see Hadith No. 
807, 3564 





Baab 28: Dauran-e-Namaz Mein Qibla-ro Khade Hone Ki Fazilat







Namazi apne paao’n ki ungliyo’n ka rukh bhi qible ki taraf rakhe, usko Hazrat Abu Humaid Sa’adi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai.




Narrated Anas bin Malik:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Whoever prays like us and faces our Qibla and eats our slaughtered animals is a Muslim and is under Allah's and His Apostle (ﷺ)'s protection. So do not betray Allah by betraying those who are in His protection."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs hamari tarah namaz padhe aur hamaare qible ki taraf mu’n karey aur hamaara zabiha khaae to wo aisa musalman hai, jise Allah aur uske rasool ka zimma haasil hai, lehaaza tum Allah ke zimme mein khiyaanat (bad-ehdi) na karo”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 391

 : Book 8, Hadith 43
 
: Also see Hadith No. 
392, 393 





Narrated Anas bin Malik:


Allah's Apostle (ﷺ) said, "I have been ordered to fight the people till they say: 'None has the right to be worshipped but Allah.' And if they say so, pray like our prayers, face our Qibla and slaughter as we slaughter, then their blood and property will be sacred to us and we will not interfere with them except legally and their reckoning will be with Allah." 


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe kalma taiyyaba ke qaael hone tak logo’n se jihad karne ka hukum diya gaya hai, phir jab wo us kalma taiyyaba ke qaael ho jaae’n, hamari tarah namaz adaa kare’n lagee’n, hamaare qible ki taraf mu’n kare’n aur hamaare zabihe ko khaae’n to us waqt ham par unke khoon aur maal haraam ho jaae’nge, magar haq (islam) ki soorat mein unki jaan-o-maal se ta’arruz durust hoga. Baaqi unka hisaab Allah ke hawaale hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 392

 : Book 8, Hadith 44




Narrated Maimun ibn Siyah: 

That he asked Anas bin Malik, "O Abu Hamza! What makes the life and property of a person sacred?" 
He replied, "Whoever says, 'None has the right to be worshipped but Allah', faces our Qibla during the prayers, prays like us and eats our slaughtered animal, then he is a Muslim, and has got the same rights and obligations as other Muslims have."


Ravi Hazrat Maimoon bin Siyah:

Hazrat Anas se ek doosri riwayat hai ke unse Hazrat Maimoon bin Siyah ne sawal kiya: Aye Abu Hamza! Kaunsi cheez insan ki jaan aur uske maal ko haram qaraar deti hai?

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Jis shaksh ne “لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ” ki shahadat di, (dauran-e-namaz mein) hamaare qablile ki taraf mu’n kiya, hamari tarah namaz ada ki aur hamaara zibah kiya hua khaya. To wo musalman hai. Uske wohi huqooq hain jo ek musalman ke hain. Aur uske zimme wohi faraez hain, jo ek musalman ke zimme hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 393

 : Book 8, Hadith 45





Baab 29: Ahle Madina, Ahle Shaam, Aur Ahle Iraq Mashriq Ki Simt-e-Qibla Ka Bayan







(Un logo’n ke) Mashriq-o-Maghrib mein qibla nahi, is liye ke Nabi (ﷺ) ne (unse) farmaya: “Jab tum qaza-e-haajat ke liye baitho, to qible ki taraf mu’n na karo, balke mashriq yaa maghrib ki taraf mu’n karlo”.




Narrated Abu Aiyub Al-Ansari:

The Prophet (ﷺ) said, "While defecating, neither face nor turn your back to the Qibla but face either east or west." 
Abu Aiyub added. "When we arrived in Sham we came across some lavatories facing the Qibla; therefore we turned ourselves while using them and asked for Allah's forgiveness."


Ravi Hazrat Abu Ayyub Anasri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum qaza-e-haajat ke liye jaao to qible ki taraf mu’n na karo, aur na uski taraf apni pusht hi karo, balke mashriq yaa maghrib ki taraf rukh karlo”.

Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke iske baad ham mulk-e-shaam gae, to ham ne waha’n bait-ul-khula qibla rukh paae. Chunache ham waha’n tirche ho kar baithte aur Haq Ta’ala se us par maafi maangte. Imam Zohri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ), Hazrat Ataa se bayan karte hain ke unho’n ne kaha: Maine Hazrat Abu Ayyub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna, unho’n ne Nabi (ﷺ) se is (riwayat) ke misl bayan kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 394

 : Book 8, Hadith 46





Baab 30: Irshad-e-Baari Ta’ala: Tum Muqaam-e-Ibrahim Ko Namaz Padhne Ki Jagah Banaao







Narrated 'Amr bin Umar:

I asked Ibn 'Umar, "Can a person who has performed the Tawaf around the Ka'ba for 'Umra but has not performed the (Sa'i) Tawaf of Safa and Marwa, have a sexual relationship with his wife?" 
Ibn 'Umar replied, "When the Prophet (ﷺ) reached Mecca he performed the Tawaf around the Ka'ba (circumambulated it seven times) and offered a two-Rakat prayer (at the place) behind the station (of Abraham) and then performed the Tawaf (Sa'i) of Safa and Marwa, and verily in Allah's Apostle (ﷺ) you have a good example." 


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unse ek shakhs ke mutaalliq sawal kiya gaya, jisne Baitullah ka tawaaf kiya, lekin Safa aur Marwa ke darmiyan abhi saee* nahi ki, to kya wo apni biwi ke paas aa-sakta hai?
Unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) (ek dafa) Makkah Mukarrama tashreef laae, to aap ne baitullh ke 7 chakkar lagaae, phir aap ne muqam-e-Ibrahim ke peeche do (2) rakat padhee’n. Uske baad Safa-o-Marwa ke darmiyan saee farmaai.
Yaqeenan Rasool Allah (ﷺ) ki zaat-e-giraami mein tumhare liye behtareen namoona hai.




Reference : Sahih al-Bukhari 395

 : Book 8, Hadith 47
 
: Also see Hadith No. 
1623, 1627, 1645, 1647, 1793
 : 
*Daud-dhoop, jaddo jahad, hajj ka ek rukn




Narrated 'Jabir Bin Abdullah:

Then we put the same question to Jabir bin 'Abdullah and he too replied, "
He should not go near his wife (for sexual relation) till he has finished the Tawaf of Safa and Marwa."


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unse mazkoora shakhs ke mutaalliq sawaal hua, to farmaya: Safa aur Marwa ke tawaaf se pehle hargiz apni biwi se sohbat na kare. 



Reference : Sahih al-Bukhari 396

 : Book 8, Hadith 48
 
: Also see Hadith No. 
1624, 1646, 1794 


Narrated Mujahid:

Someone came to Ibn 'Umar and said, "Here is Allah's Apostle (ﷺ) entering the Ka'ba." 
Ibn 'Umar said, "I went there but the Prophet (ﷺ) had come out of the Ka'ba and I found Bilal standing between its two doors. I asked Bilal, 'Did the Prophet (ﷺ) pray in the Ka'ba?' 
Bilal replied, 'Yes, he prayed two Rakat between the two pillars which are to your left on entering the Ka'ba. 
Then Allah's Apostle (ﷺ) came out and offered a two-Rakat prayer facing the Ka'ba.' "


Ravi Hazrat Mujahid:

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unhe’n bataya gaya ke dekho Rasool Allah (ﷺ) baitullah ke andar tashreef le gae hain.
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai: Main idhar pohcha to Nabi (ﷺ) baahar tashreef laa rahe the.
Maine dekha ke Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) dono darwazo’n ke darmiyan khade hain.
Chunache maine Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: Aaya Nabi (ﷺ) ne baitullah ke andar namaz padhi hai?
Unho’n ne jawab diya: Haa’n, do (2) rakat (apdhee’n) un do (2) sunanto’n ke darmiyan jo baitullah mein dakhil hote waqt baae’n jaanib hote hain.
Phir Aap (ﷺ) baahar tashreef laae aur aap ne ka’aba ke saamne do (2) rakat namaz adaa ki.




Reference : Sahih al-Bukhari 397

 : Book 8, Hadith 49
 
: Also see Hadith No. 
468, 504, 505, 506, 1167, 1598, 1599, 2988, 4289, 4400




Narrated Ibn Abbas:

When the Prophet (ﷺ) entered the Ka'ba, he invoked Allah on each and every side of it and did not pray till he came out of it, and offered a two-Rakat prayer facing the Ka'ba and said, "This is the Qibla."


Ravi Hazrat Ibne Abbs (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Nabi (ﷺ) Ka’abe mein dakhil hue to aap ne uske sab gosho’n mein dua farmaai, baahar nikalne tak baitullah ke andar koi namaz nahi padhi. Jab aap batiullah se baahar tashreef laae to uske saamne do (2) rakat adaa kee’n aur farmaya: “Yehi qibla hai”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 398

 : Book 8, Hadith 50
 
: Also see Hadith No. 
1601, 3351, 3352, 4288





Baab 31: Namazi Jaha’n Bhi Ho, Qible Ki Taraf Rukh Kare






Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: 
“(Pehle) Qible ki taraf mu’n karo, phir takbeer-e-tehreema kaho”.




Narrated Bara' bin 'Azib:

Allah's Apostle (ﷺ) prayed facing Baitul-Maqdis for sixteen or seventeen months but he loved to face the Ka'ba (at Mecca) so Allah revealed: "Verily, We have seen the turning of your face to heaven!" (2:144) 
So the Prophet (ﷺ) faced the Ka'ba and the fools amongst the people namely "the Jews" and said, "What has turned them from their Qibla (Bait-ul-Maqdis) which they formerly observed"" (Allah revealed): "Say: 'To Allah belongs the East and the West. He guides whom He will to a straight path." (2:142) 
A man prayed with the Prophet (ﷺ) (facing the Ka'ba) and went out. He saw some of the Ansar praying the 'Asr prayer with their faces towards Bait-ul-Maqdis, he said, "I bear witness that I prayed with Allah's Apostle (ﷺ) facing the Ka'ba." So all the people turned their faces toward the Ka'ba.


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne 16 ya 17 mahine bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n karke namaz padhi, lekin Rasool Allah (ﷺ) chaahte the, ke unhe’n Ka’abe ki taraf mu’n karke namaz padhne ka hukum ho jaae.
Chunache Allah Ta’ala ne ye aayat naazil farmadi: “Ham Aapke Chehre Ka Baar-baar Asmaan Ki Taraf Uthna Dekh Rahe Hain”. [Surah Baqara: 144]

Is hukum ke baad aap ne Ka’abe ki taraf rukh kar liya.
Is par be-aqal logo’n ne jo yahood the, kaha: “In logo’n ko kis cheez ne is qible se pher diya hai, jiski taraf wo mutawajja the?”
“Keh deejiye! Mashriq-o-Maghrib Allah Hi Ki Milkiyat Hain, Allah Jise Chaahta Hai, Seedha Raasta Dikha Deta Hai”. [Surah Baqara: 142]

Phir ek shakhs ne Nabi (ﷺ) ke hamraah (qibla-rukh ho kar) namaz padhi aur namaz ke baad wo chala gaya, phir namaz-e-asr mein ye shakhs ansaar ki jamat ke paas se guzra. Ye us waqt bait-ul-muqaddas ki taraf mu’n karke namaz padh rahe the.
Us shakhs ne unhe’n ittela di ke wo is baat ka aeni gawaah hai, ke usne Rasool Allah (ﷺ) ke saath namaz padhi hai, aur Aap (ﷺ) ne Ka’abe ki taraf mu’n karke namaz padhi hai, chunache ye log usi waqt ghoom gae, aur apna rukh Ka’abe ki taraf kar liya.



Reference : Sahih al-Bukhari 399

 : Book 8, Hadith 51




Narrated Jabir:

Allah's Apostle (ﷺ) used to pray (optional, non-obligatory prayer) while riding on his mount (Rahila) wherever it turned, and whenever he wanted to pray the compulsory prayer he dismounted and prayed to face the Qibla.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) apni sawaari par namaz padh lete the, wo jis taraf bhi le jaa rahi hoti. Lekin jab aap farz namaz padhne ka irada farmate to sawaari se utarte aur qibla-roo ho kar namaz padhte. 



Reference : Sahih al-Bukhari 400

 : Book 8, Hadith 52
 
: Also see Hadith No. 
1094, 1099, 4140 




Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) prayed (and the sub-narrator Ibrahim said, "I do not know whether he prayed more or less than usual"), and when he had finished the prayers he was asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Has there been any change in the prayers?" 
He (ﷺ) said, "What is it?' 
The people said, "You have prayed so much and so much." 
So the Prophet (ﷺ) bent his legs, faced the Qibla and performed two prostrations (of Sahu) and finished his prayers with Tasiim (by turning his face to right and left saying: 'As-Salamu'Alaikum-Warahmat-ullah'). 
When he (ﷺ) turned his face to us he said, "If there had been anything changed in the prayer, surely I would have informed you but I am a human being like you and liable to forget like you. So if I forget remind me and if anyone of you is doubtful about his prayer, he should follow what he thinks to be correct and complete his prayer accordingly and finish it and do two prostrations (of Sahu)."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne namaz padhaai.

Raawi-e-hadees Ibrahim Nakhai kehte hain: Mujhe yaad nahi ke aap ne namaz mein izaafa kar diya tha, ya kuch kami kardi thi. Jab aap ne salaam phera to arz kiya gaya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya namaz ke baare mein koi naya hukum aagaya hai?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bataao asal baat kya hai?”
Logo’n ne arz kiya: Aap ne is qadar namaz padhi hai, ye sun kar aap ne apne dono paao’n modey aur qibla-rukh ho kar do (2) sajde kiye, phir salaam phera aur ham se mukhatib ho kar farmaya: “Agar namaz ke mutaalliq koi naya hukum aata to main tumhe’n zaroor muttala karta, lekin main bhi tumhari tarah ek insaan hoo’n, jis tarah tum bhool jaate ho main bhi bhool ka shikaar ho jaata hoo’n, is liye jab main bhool jaao’n to mujhe yaad dila diya karo. Aur jab tum mein se koi apni namaz mein shak kare to usey chaahiye ke saheeh haalat maloom karne ki koshish kare, phir usi par apni namaz poori karke salaam pher de. Uske baad do (2) sajde kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 401 

 : Book 8, Hadith 53
 
: Also see Hadith No. 
1404, 1226, 6671, 7249 (ya 7349) 





Baab 32: Qible Ke Mutaalliq Kya Manqool Hai, Nez Jis Shaksh Ne Sahoo-an Ghair Qible Ki Taraf Namaz Padhli, Us Par Iaada Zaroori Nahi








Nabi (ﷺ) ne ek dafa namaz-e-Zohar mein do (2) rakat par salaam pher diya aur logo’n ki taraf apna chehra kar liya, phir (yaad dilaane par) baaqi namaz ko poora kiya.




Narrated 'Umar (bin Al-Khattab):

My Lord agreed with me in three things:

1. I said, "O Allah's Apostle (ﷺ), I wish we took the station of Abraham as our praying place (for some of our prayers). So came the Divine Inspiration: And take you (people) the station of Abraham as a place of prayer (for some of your prayers e.g. two Rakat of Tawaf of Ka'ba)". (2.125)
2. And as regards the (verse of) the veiling of the women, I said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! I wish you ordered your wives to cover themselves from the men because good and bad ones talk to them.' So the verse of the veiling of the women was revealed.
3. Once the wives of the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) made a united front against the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ) and I said to them, 'It may be if he (the Prophet (ﷺ) (ﷺ) (ﷺ)) divorced you, (all) that his Lord (Allah) will give him instead of you wives better than you.' So this verse (the same as I had said) was revealed." (66.5).


Ravi Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Mujhe apne parwardigaar se 3 baato’n mein muwafeqat ka sharf haasil hua hai.

1. Ek martaba maine kaha: Allah ke Rasool (ﷺ)! Kaash muqaam-e-Ibrahim hamari jaae namaz hota, to ye aayat naazil hui: “Muqam-e-Ibrahim Ko Jaae Namaz Bana Lo”.
2. Aayat-e-Hijab bhi isi tarah naazil hui ke maine arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Kaash aap apni biwiyo’n ko parde ka hukum de de’n, kyou’nke har nek-o-badd unse guftagu karta hai, to aayat-e-hijab naazil hui.
3. (Ek dafa aisa hua ke) Nabi (ﷺ) ki azwaaj-e-mutahharaat ne baahami rashk-o-raqaabat ki wajah se aap ke khilaaf ittefaq kar liya, to maine unse kaha: Baeed nahi, agar Rasool Allah (ﷺ) tumhe’n talaaq de de’n, to unka parwardigaar hai, unhe’n tumhare badle mein tum se behtar biwiyaa’n ataa farma de, phir yehi aayat (Surah Tahreem: 5) naazil hui.

(Raawi-e-hadees) Ibne Abi Mariyam ne kaha: Hame’n Yahya bin Ayyub ne khabar di, unse Humaid taweel ne bayan kiya ke maine Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ye hadees suni hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 402

 : Book 8, Hadith 54
 
: Also see Hadith No. 
4483, 4790, 4916 




Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

While the people were offering the Fajr prayer at Quba (near Medina), someone came to them and said: "It has been revealed to Allah's Apostle (ﷺ) tonight, and he has been ordered to pray to face the Ka'ba." So turn your faces to the Ka'ba. Those people were facing Sham (Jerusalem) so they turned their faces towards Ka'ba (at Mecca).


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Log masjid-e-Quba mein subah ki namaz padh rahe the, ke achaanak ek aane waala aaya aur usne ittela di ke aaj raat Rasool Allah (ﷺ) par Quran naazil hua hai, aur us mein aapko isteqbal-e-ka’aba ka hukum de diya gaya hai. Lehaza tum bhi Ka’abe ki taraf apna rukh karlo, chunache wo (sunte hi) Ka’abe ki taraf ghoom gae, jabke us waqt unka rukh shaam ki taraf tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 403 

 : Book 8, Hadith 55
 
: Also see Hadith No. 
4488, 4490, 4491, 4493, 4494, 7251 




Narrated 'Abdullah:

"Once the Prophet (ﷺ) offered five Rakat in Zuhr prayer. He was asked, "Is there an increase in the prayer?" 
The Prophet (ﷺ) said, "And what is it?" 
They said, "You have prayed five Rakat.' 
So he (ﷺ) bent his legs and performed two prostrations (of Sahu).


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne sahooan Zohar ki 5 rakat padha dee’n.
Sahaaba Ikram (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Aaya namaz mein izaafa kar diya gaya hai?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Kyou’n, asal baat kya hai?”
Unho’n ne arz kiya: Aap ne 5 rakat padhadi hain, (ye sunte hi) aap ne apne dono paao’n modey aur do (2) sajde kiye.



Reference : Sahih al-Bukhari 404

 : Book 8, Hadith 56



Baab 33: Masjid Se Haath Ke saath Thook Ko Saaf Karna






Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) saw some sputum in the direction of the Qibla (on the wall of the mosque) and he disliked that and the sign of disgust was apparent on his face. So he got up and scraped it off with his hand and said, "Whenever anyone of you stands for the prayer, he is speaking in private to his Lord or his Lord is between him and his Qibla. So, none of you should spit in the direction of the Qibla but one can spit to the left or under his foot." The Prophet (ﷺ) then took the corner of his sheet and spat in it and folded it and said, "Or you can do like this. "


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek dafa qible ki jaanib kuch thook dekha to aapko sakht nagawari hui, hatta ke uske asaraat aapke chehra-e-anwar par dekhe gae.
Aap (khud) khade hue aur aap dast-e-mubarak se saaf karke farmaya: “Tum mein se jab koi apni namaz mein khada hota hai, to gaya wo apne Rabb se munajaat karta hai, aur uska Rabb uske aur qible ke darmiyan hota hai lehaaza tum mein se koi (ba-haalat-e-namaz) apne qible ki taraf na thooke, balke baae’n jaanib yaa apne qadam ke neeche thooke”.
Phir aap ne apni chaadar ke goshe mein thooka aur usey ulat-palat kiya aur farmaya: “Is tarah bhi kar sakta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 405

 : Book 8, Hadith 57




Narrated 'Abdullah bin 'Umar: 

Allah's Apostle (ﷺ) saw sputum on the wall of the mosque in the direction of the Qibla and scraped it off. He faced the people and said, "Whenever any one of you is praying, he should not spit in front of him because in the prayer Allah is in front of him."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne deewaar-e-qibla par thook dekha to usey khurach daala, phir logo’n ki taraf mutawajja ho kar farmaya: “Jab tum mein se koi namaz padh raha ho, to apne saamne ki jaanib na thooke kyou’nke jab wo namaz padhta hai, to Allah Ta’ala uske chehre ke saamne hota hai”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 406 

 : Book 8, Hadith 58
 
: Also see Hadith No. 
753, 1213, 6111 




Narrated 'Aisha:

(The mother of faithful believers) Allah's Apostle (ﷺ) saw some nasal secretions, expectoration or sputum on the wall of the mosque in the direction of the Qibla and scraped it off.


Ravi Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ne deewaar-e-qibla par naak ki ratoobat yaa thook ya balgham dekha to usey khurach diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 407

 : Book 8, Hadith 59 





Baab 34: Masjid Mein Naak Ki Ratoobat Padi Ho To Usey Kankari Se Khurach Dena






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Agar tumhara paao’n kisi tar gandagi par pad jaae to usey dholo, aur agar khushk gandagi par pade to dhone ki zaroorat nahi.




Narrated Abd Huraira and Abu Said:

Allah's Apostle (ﷺ) saw some expectoration on the wall of the mosque; he took gravel and scraped it off and said, "If anyone of you wanted to spit he should neither spit in front of him nor on his right but he could spit either on his left or under his left foot."


Ravi Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Abu Saeed (رضي الله عنهم):

Rasool Allah (ﷺ) ne masjid ki deewaar par balgham dekha to ek kankari li, aur usey khurach diya aur farmaya: “Agar kisi ko balgham aae to wo usey saamne ki janaab thooke na daae’n jaanib, balke apni baae’n jaanib yaa baae’n paao’n ke neeche thooke”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 408, 409 

 : Book 8, Hadith 60
 
: Also see Hadith No. 
410, 411, 414, 416 





Baab 35: Ba-haalat-e-Namaz Apni Daae’n Jaanib Nahi Thookna Chaahiye







Narrated Abd Huraira and Abu Sa'id:

Allah's Apostle (ﷺ) saw some expectoration on the wall of the mosque; he took gravel and scraped it off and said, "If anyone of you wanted to spit, he should neither spit in front of him nor on his right but could spit either on his left or under his left foot."


Ravi Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Abu Saeed (رضي الله عنهم):

Rasool Allah (ﷺ) ne masjid ki deewaar par balgham laga hua dekha to Rasool Allah (ﷺ) ne ek sangreza uthaaya aur usey saaf kar diya, phir farmaya: “Agar kisi ko balgham aae to wo usey saamne ki jaanib na thooke aur na daae’n jaanib daale, balke apni baae’n janib ya apne baae’n paao’n ke neeche thooke”.



Reference : Sahih al-Bukhari 410, 411

 : Book 8, Hadith 61




Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "None of you should spit in front or on his right but he could spit either on his left or under his foot."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi apne saamne yaa apni daae’n jaanib na thooke balke usey baae’n jaanib yaa baae’n paao’n taley thookna chaahiye”.



Reference : Sahih al-Bukhari 412

 : Book 8, Hadith 62





Baab 36: Namazi Ko Apne Baae’n Jaanib Yaa apne Baae’n Paao’n Ke Neeche Thookna Chaahiye







Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) said, "A faithful believer while in prayer is speaking in private to his Lord, so he should neither spit in front of him nor to his right side but he could spit either on his left or under his foot."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab momin namaz mein hota hai to wo apne Rabb se raaz-o-niyaz mein masroof hota hai, is liye usey apne saamne yaa apni daae’n jaanib nahi thookna chaahiye, balke apni baae’n jaanib yaa apne qadam taley thookna chaahiye”.



Reference : Sahih al-Bukhari 413

 : Book 8, Hadith 63




Narrated Abu Said:

The Prophet (ﷺ) saw sputum on (the wall of) the mosque in the direction of the Qibla and scraped it off with gravel. Then he forbade Spitting in front or on the right but allowed it on one's left or under one's left foot.


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne masjid ke qible ki taraf balgham dekha to usey ek sang-reze se door kar diya, phir aap ne saamne ki simt yaa daae’n taraf thookne se mana farmaya aur baae’n jaanib yaa baae’n paao’n ke neeche thookne ki ijaaaat di.

Is riwayat ke ek tareeq mein Imam Zohri ne apne Shaikh Humaibu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se mazkoora riwayat ki tarah bayan karte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 414

 : Book 8, Hadith 64





Baab 37: Masjid Mein Thookne Ka Kaffaara






Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) said, "Spitting in the mosque is a sin and its expiation is to bury it."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Masjid mein thookna gunah hai, aur us (gunah) ka kaffara usey dafan kar dena hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 415

 : Book 8, Hadith 65



Baab 38: Masjid Mein Pade Balgham Waghaira Ko Mitti Ke Andar Chupa Dena







Narrated Abu Huraira:

Prophet (ﷺ) said, "If anyone of you stands for prayer, he should not spit in front of him because in prayer he is speaking in private to Allah and he should not spit on his right as there is an angel, but he can spit either on his left or under his left foot and bury it (i.e. expectoration)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi namaz ke liye khada ho, to wo apne aage na thooke. Kyou’nke jab tak wo apni jaae namaz mein hai, Allah Ta’ala se munajaat kar raha hai, aur naa apni daaee’n jaanib hi usey phenke. Kyou’nke uski daaee’n jaanib ek farishta hai, balke apni baaee’n jaanib yaa apne baae’n paao’n ke neeche thook le, phir usey dafan karde”.



Reference : Sahih al-Bukhari 416

 : Book 8, Hadith 66





Baab 39: Jab Thook Namazi Ko Majboor Karde, To Usey Apne Kapde Ke Kinaare Mein Thook Lena Chaahiye







Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) saw expectoration (on the wall of the mosque) in the direction of the Qibla and scraped it off with his hand. It seemed that he disliked it and the sign of disgust was apparent on his face. 
He (ﷺ) said, "If anyone of you stands for the prayer, he is speaking in private to his Lord, (or) his Lord is between him and his Qibla, therefore he should not spit towards his Qibla, but he could spit either on his left or under his foot." 
Then he (ﷺ) took the corner of his sheet and spat in it, folded it and said, "Or do like this."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne qible ki simt naak ki ratoobat lagi hui dekhi, to aap ne usey apne haath se saaf kar diya, aur uski naa-gawaari aapke chehre se zaahir hui, yaa us wajah se aap ki naa-gawaari aur uski giraani (Dil ko naa-gawaar hona) maloom hui.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi namaz ke liye khada hota hai to wo apne Rabb se raaz-o-niyaaz ki baate’n karta hai, yaa (farmaya ke) uska aparwardigaar uske aur qible ke darmiyan hota hai. Lehaza wo apne qible ki jaanib na thooke, balke wo apni baae’n jaanib yaa apne paao’n ke neeche thooke”.
Iske baad aap (ﷺ) ne apni chaadar ka kinaara liya aur us mein thooka.
Phir aap (ﷺ) ne uske ek hisse ko doosre hisse par mal diya aur farmaya: “Is tarah bhi kar sakta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 417

 : Book 8, Hadith 67





Baab 40: Zikr-e-Qibla Aur Itmaam-e-Salah Ke Mutaalliq Imam Ka Logo’n Ko Wa’az Karna







Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Do you consider or see that my face is towards the Qibla? 
By Allah, neither your submissiveness nor your bowing is hidden from me, surely I see you from my back."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum mera mu’n us taraf samajhte ho?
Allah ki qasam! Mujh par na tumhaara khushu posheeda hai, aur na tumhara rukoo aur main tumhe’n apni peeth ke peeche se bhi dekhta hoo’n”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 418

 : Book 8, Hadith 68
 
: Also see Hadith No. 741
 




Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) led us in prayer and then got up on the pulpit and said, "In your prayer and bowing, I certainly see you from my back as I see you (while looking at you.)"


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne hame’n namaz padhai, phir aap mimbar par tashreef le gae aur namaz aur rukoo ke mutaalliq farmaya: “Beshak main tumhe’n apne peeche se is tarah dekhta hoo’n, jis tarah saamne se dekhta hoo’n”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 419

 : Book 8, Hadith 69
 
: Also see Hadith No. 
742, 6644 





Baab 41: Kya Masjid-e-Bani Falaa’n Kaha Jaa Sakta Hai?






Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) ordered a horse race; the trained horses were to run from a place called Al-Hafya' to Thaniyat Al-Wada' and the horses which were not trained were to run from Al-Thaniya to the Masjid (mosque of) Bani Zuraiq. 
The sub-narrator added: that Ibn Umar was one of those who took part in the race.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek dafa Rasool Allah (ﷺ) ne taiyyaar-shuda ghodo’n ki daud muqaam-e-Hafya se Thaniya tul Wadaai tak, aur ghair taiyyaar-shuda ghodo’n ki daud Thaniya tul Wadaai se Masjid-e-Bani Zuraiq tak karaai. Aur Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi un logo’n mein shamil the jinho’n ne us daud mein hissa liya tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 420

 : Book 8, Hadith 70
 
: Also see Hadith No. 
2868, 2869, 2870, 7336 





Baab 42: Masjid Mein Maal Taqseem Karna Aur Khosha-e-Khajoor Latkaana







Narrated Anas:

Some goods came to Allah's Apostle (ﷺ) from Bahrain. 
The Prophet (ﷺ) ordered the people to spread them in the mosque --it was the biggest amount of goods Allah's Apostle (ﷺ) had ever received. He left for prayer and did not even look at it. After finishing the prayer, he sat by those goods and gave those to everybody he saw. 
Al-'Abbas came to him and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! give me (something) too, because I gave ransom for myself and 'Aqil" Allah's Apostle (ﷺ) told him to take. 
So he stuffed his garment with it and tried to carry it away but he failed to do so. 
He said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Order someone to help me in lifting it." 
The Prophet (ﷺ) refused. 
He then said to the Prophet (ﷺ): Will you please help me to lift it?" 
Allah's Apostle (ﷺ) refused. 
Then Al-'Abbas threw some of it and tried to lift it (but failed). 
He again said, "O Allah's Apostle (ﷺ) Order someone to help me to lift it." 
He refused. 
Al-'Abbas then said to the Prophet (ﷺ): "Will you please help me to lift it?" 
He again refused. 
Then Al-'Abbas threw some of it, and lifted it on his shoulders and went away. 
Allah's Apostle (ﷺ) kept on watching him till he disappeared from his sight and was astonished at his greediness. 
Allah's Apostle (ﷺ) did not get up till the last coin was distributed.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ke paas Bahrain se kuch maal laaya gaya, to Aap ne farmaya: “Usey masjid mein dher kar do”.
Ye maal ab tak aapke paas laae gae maalo’n se bohot ziyaada miqdaar mein tha.
Phir Rasool Allah (ﷺ) namaz ke liye masjid mein tashreef laae to aap ne uski taraf iltefaat bhi nahi kiya. Jab namaz se faarigh hue to aakar uske paas baith gae, phir jise dekha, usey dete chale gae.
Itne mein Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aapke paas aae aur kaha: Allah ke Rasool (ﷺ)! Mujhe bhi deejiye, kyou’nke maine (badr ki ladaai mein) apna aur Aqeel ka fidya diya tha.
Rasool Allah (ﷺ) ne unhe’n farmaya: “Uthaa lo”.
Unho’n ne apne kapde mein dono haath se itna maal bhar liya ke uthaa na sake.
Kehne lagey: Allah ke Rasool (ﷺ)! In mein se kisi ko keh deejiye ke ye maal uthaane mein meri madad kare.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”.
Unho’n ne kaha: Phir aap hi uthakar mere oopar rakh de’n.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”.
Is par Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us mein se kuch kam kiya aur phir uthaane lagey, lekin ab bhi na uth sakey.
To arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! In mein se kisi ko keh deejiye ke ye maal uthaane mein meri madad kare.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”.
Unho’n ne kaha: Phir aap hi uthakar mere oopar rakh de’n.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”.
Tab Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us mein kuch mazeed kami ki. Baad mein usey uthaa-kar apne kandhe par rakh liya aur chal diye. Rasool Allah (ﷺ) ne unki hirs aur tama’ (Laalach, hawas, khwahish) par taajjub karke unhe’n dekhte hi rahe, hatta ke wo hamari ankho’n se ojhal ho gae.
Al-gharz Rasool Allah (ﷺ) waha’n se us waqt uthe jab ek dirham bhi baaqi na raha.



Reference : Sahih al-Bukhari 421

 : Book 8, Hadith 71
 
: Also see Hadith No. 
3049, 3165 





Baab 43: Kisi Shakhs Ko Masjid Mein Daawat-e-Ta’am Dena Aur Masjid Hi Mein Usey Qubool Kar Lena







Narrated Anas:

I found the Prophet (ﷺ) in the mosque along with some people. 
He (ﷺ) said to me, "Did Abu Talha send you?" 
I said, "Yes". 
He (ﷺ) said, "For a meal?" 
I said, "Yes." 
Then he (ﷺ) said to his companions, "Get up." 
They set out and I was ahead of them.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ko masjid mein maujood paaya jabke aapke saath kuch deegar hazraat bhi the. (Main waha’n jaakar khada ho gaya to aap ne mujhse farmaya:) “Kya tujhe Abu Talha ne bheja hai?”
Maine arz kiya: Ji haa’n!
Phir aap (ﷺ) ne farmaya: “Daawat-e-ta’am dene ke liye?”
Maine arz kiya: Ji haa’n!
Chunache aap (ﷺ) ne Sahaaba Ikram (رضي الله عنهم) se farmaya jo aapke paas the: Untho (chale’n).
Phir aap (ﷺ) wahaa’n se rawaana hue aur main unke aage aage tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 422

 : Book 8, Hadith 72
 
: Also see Hadith No. 
3578, 5381, 5450, 6688 





Baab 44: Masjid Mein Muqaddamaat Ke Faisle Karna Aur (Mardo’n, Aurto’n ke darmiyan) Leaan Karna







Narrated Sahl bin Sa'd:

A man said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! If a man finds another man with his wife, (committing adultery) should the husband kill him?" 
Later on, I saw them (the man and his wife) doing Lian in the mosque.


Ravi Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek shakhs ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Aap aise shakhs ke mutaalliq kya hukum farmate hain jis ne apni biwi ke hamraah ajnabi mard ko paaya ho, kya wo usey qatal karde?
Uske baad dono miyaa’n biwi ne masjid mein leaan kiya aur main waha’n maujood tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 423 

 : Book 8, Hadith 73
 
: Also see Hadith No. 
4745, 4746, 5259, 5308, 5309, 6854, 7165, 7166, 7304 





Baab 45: Jab Kisi Ke Ghar Jaae To Jis Jagah Chaahe Namaz Padhle, Yaa Jis Jagah Kii Nishaan-dahi Ki Jaae Wahaa’n Namaz Padhe Aur Tajassus Na Kare








Narrated 'Itban bin Malik:

The Prophet (ﷺ) came to my house and said, "Where do you like me to pray?" 
I pointed to a place. 
The Prophet (ﷺ) then said, "Allahu Akbar", and we aligned behind him and he offered a two-Rakat prayer.


Ravi Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek dafa Nabi (ﷺ) unke ghar tashreef laae aur farmaya: “Tum kis jagah ka intekhaab karte ho ke waha’n main tumhare ghar mein tumhare liye namaz padhu’n?”
Kehte hain ke maine ek jagah ki taraf ishaara kar diya.
Phir Nabi (ﷺ) ne takbeer-e-tehrima kehkar namaz shuru kardi aur ham aapke peeche saff mein khade ho gae aur aap ne do (2) raka’at namaz padhai. 



Reference : Sahih al-Bukhari 424

 : Book 8, Hadith 74
 
: Also see Hadith No. 
425, 667, 686, 838, 840, 1186, 4009, 4010, 5401, 6423, 6938 





Baab 46: Gharo’n Mein Masaajid Banaana






Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne ghar ki masjid mein namaz ba-jamaat adaa ki.


Narrated 'Itban bin Malik:

Who was one of the companions of Allah's Apostle (ﷺ) and one of the Ansar who took part in the battle of Badr: I came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ) I have weak eyesight and I lead my people in prayers. When it rains the water flows into the valley between me and my people so I cannot go to their mosque to lead them in prayer. O Allah's Apostle (ﷺ)! I wish you would come to my house and pray in it so that I could take that place as a Musalla. 
Allah's Apostle (ﷺ) said. "Allah willing, I will do so." 
The next day after the sun rose high, Allah's Apostle (ﷺ) and Abu Bakr came and Allah's Apostle (ﷺ) asked for permission to enter. I gave him permission and he did not sit on entering the house but said to me, "Where do you like me to pray?" 
I pointed to a place in my house. So Allah's Apostle (ﷺ) stood there and said, 'Allahu Akbar', and we all got up and aligned behind him and offered a two-Rakat prayer and ended it with Taslim. 
We requested him to stay for a meal called "Khazira" which we had prepared for him. Many members of our family gathered in the house and one of them said, "Where is Malik bin Al-Dukhaishin or Ibn Al-Dukhshun?" 
One of them replied, "He is a hypocrite and does not love Allah and His Apostle (ﷺ)." 
Hearing that, Allah's Apostle (ﷺ) said, "Do not say so. 
Haven't you seen that he said, 'None has the right to be worshipped but Allah' for Allah's sake only?" 
He said, "Allah and His Apostle (ﷺ) know better. We have seen him helping and advising hypocrites."
Allah's Apostle (ﷺ) said, "Allah has forbidden the (Hell) fire for those who say, 'None has the right to be worshipped but Allah' for Allah's sake only."


Ravi Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Rasool Allah (ﷺ) ke un Ansari sahaaba mein se hain jo shareek-e-badr the.
Wo Rasool Allah (ﷺ) ke paas haazir hue aur arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Meri binaai jaati rahi hai aur main apni qaum ko namaz padhata hoo’n, lekin barish ki wajah se jab wo naala behne lagta hai, jo mere aur unke darmiyan hai to main namaz padhane ke liye masjid mein nahi aasakta, is liye main chahta hoo’n ke aap mere yahaa’n tashreef laae’n aur mere ghar mein kisi jagah namaz padhe’n, taake main us jagah ko jaa-e-namaz qaraar de loo’n.
Raawi kehta hai ke unse Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Main in-sha-Allah jald hi aisa karu’nga”.
Hazrat Itbaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Rasool Allah (ﷺ) aur Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) doosre roz din chadhe mere ghar tashreef laae aur aur Rasool Allah (ﷺ) ne andar aane ki ijaazat talab ki to mere ijaazat dene par aap ghar mein dakhil hue aur baithne se pehle farmaya: “Tum apne ghar mein kis jagah chaahte ho ke main waha’n namaz padhu’n?”
Hazrat Itbaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Maine ghar ke ek kone ki nishaan-dahi ki to aap ne waha’n khade ho kar takbir-e-threema kahi. Ham bhi saff-basta ho kar aap ke peeche khade ho gae to aap ne do (2) rakat namaz padhi aur uske baad salaam pher diya.
Phir ham ne kuch haleem taiyyaar karke aapko rok liya. Uske baad ahle mahella mein se kai aadmi ghar mein aakar jama ho gae.
Un mein se ek shaksh kehne laga ke Maalik bin Dukhaishin yaa Ibne Dukhshun kaha hai?
Kisi ne kaha: Wo to munaafiq hai. Allah aur uske Rasool se mohabbat nahi rakhta.
Tab Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aisa mat kaho, kya tumhe’n maloom nahi ke wo khaalis Allah ki khushnoodi ke liye “……. ” kehta hai”.
Wo shakhs bola: Allah aur uska Rasool hi khoob jaante hain, ba-zaahir to ham uska rukh aur uski khair-khwahi munafiqeen ke haq mein dekhte hain.
Us par Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala ne us shakhs par aag ko haram kar diya hai jo “…… ” kede, ba-sharte isse Allah ki razamandi hi maqsood hai”.
Hazrat Imam Zohri kehte hain: Phir maine Hussain bin Muhammad Ansari se, jo Qabila-e-Banu Salim ke ek fard aur unke sarbarah-aawar logo’n mein se the, Mahmood bin Rabeea (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki us riwayat ke mutaalliq dariyaaft kiya to unho’n ne uski tasdeeq ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 425

 : Book 8, Hadith 75





Baab 47: Masjid Mein Dakhil Hone Aur Doosre Kaamo’n Mein Daae’n Taraf Se Ibteda Karna







Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) masjid mein dakhil hone ke liye daae’n paao’n aur nikalte waqt baae’n paao’n se ibteda karte the.






Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) used to start everything from the right (for good things) whenever it was possible in all his affairs; for example, washing, combing or wearing shoes.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) jaha’n tak mumkin hota aur apne tamaam acche kaamo’n, masalan: Tahaarat haasil karne, kanghi karne aur joota pehenne mein daae’n taraf se shuru karne ko pasand farmate the.



Reference : Sahih al-Bukhari 426

 : Book 8, Hadith 76





Baab 48: Zamaana-e-Jaahiliyyat Mein Bani Hui Mushrikeen Ki Qabre’n Ukhaad Kar Wahaa’n Masajid Tameer Karna?







Farman-e-Nabawi hai:

“Allah Ta’ala Yahood par laanat kare, unho’n ne apne ambiya ki qabro’n ko sajda-gaah bana liya”. (Alaawa azee’n) Qabro’n par namaz padhna naa-pasandeeda amal hai. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (ek dafa) Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko qabar ke paas namaz padhte dekha to farmaya: Qabar se bacho, qabar se door raho, lekin aap ne unhe’n namaz dohrane ke mutaalliq nahi farmaya.




Narrated 'Aisha:

Umm Habiba and Um Salama mentioned a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet (ﷺ) about it, which he said, "If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hazrat Umme Habiba aur Umme Salama (رضي الله عنهم) ne Habsha mein girja dekha tha, jis mein tasweere’n thee’n.
(Jab) Unho’n ne Nabi (ﷺ) se uska zikr kiya to aap ne farmaya: “Un logo’n ki aadat thi ke un mein agar koi nek aadmi marta to uski qabar par masjid aur tasweere’n bana dete. Qiyamat ke din ye log Allah ke nazdeek bad-tareen makhlooq ho’nge”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 427

 : Book 8, Hadith 77
 
: Also see Hadith No. 
434, 1341 




Narrated Anas:

When the Prophet (ﷺ) arrived in Medina he dismounted at 'Awali-i-Medina amongst a tribe called Banu 'Amr bin 'Auf. 
He stayed there For fourteen nights. Then he sent for Bani An-Najjar and they came armed with their swords. As if I am looking (just now) as the Prophet (ﷺ) was sitting over his Rahila (Mount) with Abu Bakr riding behind him and all Banu An-Najjar around him till he dismounted at the courtyard of Abu Aiyub's house. 
The Prophet (ﷺ) loved to pray wherever the time for the prayer was due even at sheepfolds. Later on, he ordered that a mosque should be built and sent for some people of Banu-An-Najjar and said, "O Banu An-Najjar! Suggest to me the price of this (walled) piece of land of yours." 
They replied, "No! By Allah! We do not demand its price except Allah." 
Anas added: There were graves of pagans in it and some of it was unleveled and there were some date-palm trees in it. 
The Prophet (ﷺ) ordered that the graves of the pagans be dug out and the unleveled land be level led and the date-palm trees are cut down. (So all that was done). 
They aligned these cut date palm trees towards the Qibla of the mosque (as a wall) and they also built two stone side walls (of the mosque). His companions brought the stones while reciting some poetic verses. 
The Prophet (ﷺ) was with them and he kept on saying, "There is no goodness except that of the Hereafter, O Allah! So please forgive the Ansars and the emigrants. "


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) (Jab hijrat karke) Madina tashreef laae to Amr bin Awf naami qabile mein padaao kiya, jo madina ki baalaai jaanib waaqe tha. Nabi (ﷺ) ne un logo’n mein chauda (14) shab qiyaam farmaya, phir aap ne Banu Najjar ko bulaya to wo talware’n latkaae hue aapohche (Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain:) Goya main Nabi (ﷺ) ko dekh raha hoo’n ke aap apni oontni par sawaar hain, Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aapke radeef (Saathi) aur Banu Najjar ke log aapke gird hain, yahaa’n tak ke aap ne Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke ghar ke saamne apna paalaan daal diya.
Aap (ﷺ) is baat ko pasand karte the ke jis jagah namaz ka waqt ho jaae wahee’n padh le’n, hatta ke aap bakriyo’n ke baadey mein bhi namaz padh lete the. Phir aap ne masjid banaane ka hukum diya aur Banu Najjaar ke logo’n ko bulakar farmaya: “Aye Banu Najjaar! Tum apna ye baagh hamaare haath bech do”.
Unho’n ne arz kiya: Aisa nahi ho sakta, Allah ki qasam! Ham to iski qeemat Allah hi se le’nge.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: Main tumhe’n bataaoo’n ke us baagh mein kyat ha, waha’n mushriko’n ki qabre’n, puraane khandaraat aur kuch khajooro’n ke darakht the. Nabi-e-Akram (ﷺ) ke hukum ke mutaaibq mushrikeen ki qabre’n ukhaad di gaee’n, khandaraat hamwaar kar diye gae, aur khajooro’n ke darakht kaat kar unki lakdiyo’n ko masjid ke saamne nasab kar diya gaya. (us waqt qibla bait-ul-muqaddas tha) aur uski bandish pattharo’n se ki gai.
Chunache Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) rajaz* padhte hue patthar laane lagey. Nabi (ﷺ) bhi unke hamraah the, aur aap bhi us waqt ye rajaz padhte the: “Aye Allah! Bhalaai To Bas Aakhirat Ki Bhalaai Hai, Is Liye Tu Muhajireen Aur Ansaar Ko Moaaf Farmade”.




Reference : Sahih al-Bukhari 428 

 : Book 8, Hadith 78
 
*Zaati, khandaani ya qaumi fakhr par mushtamil sher waghaira jo maidaan-e-jung
    mein hareef ko maroob karne ya rafeeqo’n ka hausla badhaane ke liye padhe jaate hain






Baab 49: Bakriyo’n Ke Baadey Mein Namaz Padhna






Narrated Abu Al-Taiyah:

Anas said, "The Prophet (ﷺ) prayed in the sheepfold." 
Later on, I heard him saying, "He prayed in the sheep folds before the construction of the mosque."


Ravi Hazrat Abu Al-Taiyah:

Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) bakriyo’n ke baadey mein namaz padh liya karte the. Raawi kehta hai ke uske baad phir maine unhe’n ye farmate hue suna ke Masjid-e-Nabawi ki taameer se pehle aap bakriyo’n ke baade mein namaz padh lete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 429

 : Book 8, Hadith 79





Baab 50: Oonto’n Ki Jagho’n Par Namaz Padhna






Narrated Nafi:

"I saw Ibn 'Umar praying while taking his camel as a Sutra in front of him and he said, "I saw the Prophet (ﷺ) doing the same."


Ravi Hazrat Naafe:

Maine Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha ke wo apne oont ki taraf mu’n karke namaz padhte aur farmate ke maine Nabi (ﷺ) ko aisa karte dekha hai. 



Reference : Sahih al-Bukhari 430

 : Book 8, Hadith 80
 
: Also see Hadith No. 507
 





Baab 51: Jo Shaksh Baae’n-namaz Padhe Ke Uske Saamne Tanweer...







Jo Shaksh Baae’n-namaz Padhe Ke Uske Saamne Tanweer Yaa Aag Yaa Koi Aisee Cheez Ho Jiski Ibaadat Ki Jaati Ho Lekin Namazi Ki Niyyat Sirf Allah Ki Raza Joi Ho


Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha:

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Dozakh ko mere roo-ba-roo pesh kiya gaya, jabke main namaz padh raha tha”.




Narrated 'Abdullah bin 'Abbas:

The sun eclipsed and Allah's Apostle (ﷺ) offered the eclipse prayer and said, "I have been shown the Hellfire (now) and I never saw a worse and horrible sight than the sight I have seen today."


Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek dafa sooraj ko grahan laga to Rasool Allah (ﷺ) ne namaz padhai. 
Phir farmaya: “Mujhe namaz ki haalat mein jahannum dikhaai gai, chunache maine aaj ki tarah ka haibat-nak manzar kabhi nahi dekha”.



Reference : Sahih al-Bukhari 431

 : Book 8, Hadith 81



Baab 52: Qabarastan Mein Namaz Padhne Ki Hurmat






Narrated Ibn 'Umar:

The Prophet (ﷺ) had said, "Offer some of your prayers (Nawafil) at home and do not take your houses as graves."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Kuch namaz (nawaafil waghaira) apne gharo’n mein ada karo, unhe’n qabarastan mat banaao”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 432

 : Book 8, Hadith 82
 
: Also see Hadith No. 1187 





Baab 53: Azaab Aur Dhansne Ke Muqamaat Par Namaz Padhne Ka Hukum







Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se manqool hai ke unho’n ne azaab ki wajah se Babil mein dhansi hui jagah par namaz (padhne) ko naa-pasand farmaya tha.




Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Do not enter (the places) of these people where Allah's punishment had fallen unless you do so weeping. If you do not weep, do not enter (the places of these people) because Allah's curse and punishment which fell upon them may fall upon you."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Un azaab yaafta qaumo’n ke asaar se agar tumhara guzar ho to is tarah guzro ke tum par giriya-o-bakaa* taari ho. Agar ro na sako, to waha’n se mat guzro, mabaada** tum par wohi azaab aajaae, jis ne unhe’n apni giraft mein liya tha”.



Reference : Sahih al-Bukhari 433

 : Book 8, Hadith 83
 
: Also see Hadith No. 
3380, 3381, 4419, 4420, 4702
 : *Aah-wizaari, rona
 : **Khuda na kare, khuda-na-khwaasta, aisa na ho ke 





Baab 54: Girje Mein Namaz Padhna






Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: 

Ham tumhare girja-gharo’n mein tamaseel, yaane tasweero’n aur mujassamo’n ki wajah se daakhil nahi hote. Aur Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kaleesa, yaane girja-ghar mein namaz padh lete the, magar us girja-ghar mein namaz nahi padhte the jis mein tasaweer aur mujassame hote the.




Narrated 'Aisha:

Umm Salama told Allah's Apostle (ﷺ) about a church that she had seen in Ethiopia and which was called Mariya. She told him about the pictures which she had seen in them. 
Allah's Apostle (ﷺ) said, "If any righteous pious man dies amongst them, they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it; they are the worst creatures in the sight of Allah."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasool Allah (ﷺ) se us girja-ghar ka zikr kiya jise unho’n ne sarzameen-e-habsha mein dekha tha, jiska naam Mariya tha.
Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne us mein jo tasaweer dekhee’n thee’n, unhe’n bayan kiya to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ye wo log the, jab un mein koi nek insan faut ho jaata to ye uski qabar par masjid taameer kar dete, phir waha’n ye tasweere’n bana dete the. Yehi log Allah ke yahaa’n bad-tareen makhlooq hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 434

 : Book 8, Hadith 84





Baab 55: Bila-Unwaan






Narrated 'Aisha and 'Abdullah bin 'Abbas:

When the last moment of the life of Allah's Apostle (ﷺ) came he started putting his 'Khamisa' on his face and when he felt hot and short of breath he took it off his face and said, "May Allah curse the Jews and Christians for they built the places of worship at the graves of their Prophet's (ﷺ)." 
The Prophet (ﷺ) was warning (Muslims) of what those had done.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aur Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Rasool Allah (ﷺ) par marz-ul-wafaat mein nazaa’* ki haalat taari hui to aap ne apni chaadar ko baar baar apne chehra-e-aqdas par daalna shuru kar diya. Jab ghutan mehsoos farmate to usey chehre se utaar dete.
Isi haalat mein aap (ﷺ) ne farmaya: “Yahod-o-Nasaara par Allah ki laanat ho, unho’n ne apne ambiya ki qabro’n ko ibaadat-gaah bana liya”.
Is tarah aap (ﷺ) ummat ko yahood-o-nasaara ke (mushrikaana) afaal se khabardaar kar rahe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 435, 436

 : Book 8, Hadith 85
 
: Also see Hadith No. 
1330, 1390, 3453, 3454, 4441, 4443, 4444, 5815, 5816
 : *Jism se rooh nikalna, dam tootne ka aalam 




Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "May Allah's curse be on the Jews for they built the places of worship at the graves of their Prophet (ﷺ)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala yahoodiyo’n ko ghaarat kare, unho’n ne apne ambiya ki qabro’n ko sajda-gaah bana liya tha”.



Reference : Sahih al-Bukhari 437

 : Book 8, Hadith 86





Baab 56: Nabi (ﷺ) Ka Irshad Ke...






Baab 56: Nabi (ﷺ) Ka Irshad Ke “Mere Liye Tamaam Roo-e-Zameen Ko Sajda-gaah Aur Tahaarat Haasil Karne Ka Zariya Bana Diya Gaya Hai”


Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "I have been given five things which were not given to any amongst the Prophet's (ﷺ) before me. These are:

1. Allah made me victorious by awe (by His frightening my enemies) for a distance of one month's journey.
2. The earth has been made for me (and for my followers) as a place for praying and a thing to perform Tayammum. Therefore my followers can pray wherever the time of a prayer is due.
3. The booty has been made Halal (lawful) for me (and was not made so for anyone else).
4. Every Prophet (ﷺ) used to be sent to his nation exclusively but I have been sent 1o all mankind.
5. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection.)


Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe 5 aisee cheeze’n ataa ki gai hain, jo mujhse qabl kisi paighambar ko nahi di gaee’n.
1. Mujhe ek (1) mahine ki masaafat se rob* ataa karke meri madad farmaai gai.
2. Poori roo-e-zameen ko mere liye sajda-gaah aur tahaarat ka zariya bana diya gaya. Chunache meri ummat ke kisi fard ko jaha’n bhi namaz ka waqt aajaae usi jagah namaz padh leni chaahiye.
3. Maal-e-ghanimat ko mere liye halaal kar diya gaya.
4. Aur har Nabi ko qabl-azee’n makhsoos qaum ki taraf maboos kiya jaata tha, aur mujhe tamaam insaano’n ke liye maboos kiya gaya aur
5. Mujhe shafaa-at (e kubra) ka haq diya gaya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 438

 : Book 8, Hadith 87
 
: *
Dehshat, haibat, dar, khauf, dabdaba





Baab 57: Masjid Mein Aurat Ka Sona






Narrated 'Aisha:

There was a black slave girl belonging to an 'Arab tribe and they manumitted her but she remained with them. 
The slave girl said, "Once one of their girls (of that tribe) came out wearing a red leather scarf decorated with precious stones. It fell from her or she placed it somewhere. A kite passed by that place, saw it Lying there and mistaking it for a piece of meat, flew away with it. Those people searched for it but they did not find it. So they accused me of stealing it and started searching me and even searched my private parts." 
The slave girl further said, "By Allah! while I was standing (in that state) with those people, the same kite passed by them and dropped the red scarf and it fell amongst them. I told them, 'This is what you accused me of and I was innocent and now this is it.' "
'Aisha added: That slave girl came to Allah's Apostle (ﷺ) and embraced Islam. She had a tent or a small room with a low roof in the mosque. Whenever she called on me, she had a talk with me and whenever she sat with me, she would recite the following: "The day of the scarf (band) was one of the wonders of our Lord, verily He rescued me from the disbelievers' town. 'Aisha added: "Once I asked her, 'What is the matter with you? 
Whenever you sit with me, you always recite these poetic verses.'
On that, she told me the whole story. "


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
Arab ke kisi qabile ke paas ek siyaah-faam baandi thi, jise unho’n ne aazaad kar diya, magar wo unke saath hi raha karti thi. Uska bayan hai ke ek dafa us qabile ki koi bacchi baahar nikli, us par surkh tasmo’n ka ek kamar-band tha, jise usne utaar kar rakh diya, yaa wo az-khud gir gaya. Ek cheel udhar guzri to usne usey gosht khayaal kiya aur jhapat kar le gai. Wo kehti hai ke ahle qabila ne kamar-band talash kiya, magar na mila to unho’n ne mujh par chori ka ilzaam lagaa diya aur meri talaashi lene lagey, yahaa’n tak ke unho’n ne meri sharm-gaah ko bhi na choda.
Wo kehti hai: Allah ki qasam! Main unke paas hi khadi thi, ke itne mein wohi cheel aai aur usne wo kamar-band phenk diya to wo unke darmiyan aagira.
Maine kaha: Tum iski chori ka ilzam mujh par lagaate the, halaa’nke main usse baree* (aazad) thi. Lo ab apna kamar-band sambhal lo.
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Phir wo laundi Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein chali aai aur musalman ho gai. Uska khaima yaa jhopda masjid mein tha.
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Wo mere paas aakar baate’n kiya karti thi aur jab bhi mere paas baithti to ye sher zaroor padhti: Kamar-band ka din Allah Ta’ala ki ajeeb qudrato’n se hai, usne mujhe kufr ke mulk se najaat di.
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Maine usse kaha: Kya baat hai, jab bhi tum mere paas baithti ho to ye sher zaroor padhti ho. Tab usne mujhse apni ye dastaan bayan ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 439

 : Book 8, Hadith 88
 
: Also see Hadith No. 
3835
 : *Paak, Aazad, Juda 





Baab 58: Mardo’n Ka Masjid Mein Sona






Hazrat Abu Qilaaba, Hazrat Anas (رضي الله عنهم) riwayat karte hain ke ek qabile ke kuch log Nabi (ﷺ) ke paas aae, wo suffa mein rehte the.

Hazrat Abdur Rahman bin Abu Bakar kehte hain: Suffa waale tang-dast aur faqeer log the.


Narrated Naf'a:

'Abdullah bin 'Umar said: I used to sleep in the mosque of the Prophet (ﷺ) while I was young and unmarried.


Ravi Hazrat Naf'a:

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) masjid-e-nabawi mein soya karte the, jabke wo ghair shaadi-shuda jawan the, aur unka ghar-baar nahi tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 440 

 : Book 8, Hadith 89
 
: Also see Hadith No. 
1121, 1156, 3738, 3740, 7015, 7028, 7030 




Narrated Sahl bin Sa'd:

Allah's Apostle (ﷺ) went to Fatima's house but did not find 'Ali there. So he asked, "Where is your cousin?"
She replied, "There was something between us and he got angry with me and went out. He did not sleep (mid-day nap) in the house." Allah's Apostle (ﷺ) asked a person to look for him. That person came and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! He (Ali) is sleeping in the mosque." 
Allah's Apostle (ﷺ) went there and 'Ali was lying. His upper body cover had fallen down to one side of his body and he was covered with dust. Allah's Apostle (ﷺ) started cleaning the dust from him saying: "Get up! O Aba Turab. Get up! O Aba Turab (literally means: O father of dust).


Ravi Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar tashreef laae to Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ghar mein na paakar unse poocha: “Tumhare chacha-zaad kaha’n gae?”
Unho’n ne arz kiya: Hamaare darmiyan kuch jhagda ho gaya tha, wo mujhse naaraaz ho kar kahee’n baahar chale gae hain, unho’n ne mere yahaa’n qailoola nahi kiya (yahaa’n nahi sooe).
Rasool Allah (ﷺ) ne ek shakhs se farmaya: “Dekho wo kaha’n hain?”
Wo dekh kar aay aur kehne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Wo masjid mein so rahe hain. (Ye sun kar) aap (ﷺ) masjid mein tashreef le gae, jaha’n Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) lete hue the. Unke ek pehlu se chaadar hatne ki wajah se waha’n mitti lag gai thi.
Rasool Allah (ﷺ) unke jism se mitti saaf karte hue farmaane lagey: “Abu Turaab utho! Abu Turaab utho!”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 441

 : Book 8, Hadith 90
 
: Also see Hadith No. 
3703, 6204, 6280




Narrated Abu Huraira:

I saw seventy of As-Suffa men and none of them had a Rida' (a garment covering the upper part of the body). They had either Izars (only) or sheets which they tied around their necks. Some of these sheets reached the middle of their legs and some reached their heels and they used to gather them with their hands lest their private parts should become naked.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine 70 ashaab-e-suffa ko dekha, un mein koi aisa nahi tha jiske paas poori chaadar ho, tah-band hota tha yaa raat ko odhne ka kapda, jinhe’n wo apni gardano’n se baandh lete the. Ye chaadar kisi ki aadhi pindli tak aajaati aur kisi ke takhno’n tak hoti. Ye hazraat apne kapdo’n ko haatho’n se thaame rakhte is andeshe ke pesh-e-nazar ke mabaada satar khul jaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 442

 : Book 8, Hadith 91





Baab 59: Jab Koi Safar Se Waapas Laute To Pehle Namaz Padhe







Hazrat Kaab bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Nabi (ﷺ) jab safar se waapas aate to sabse pehle masjid mein tashreef laate aur waha’n namaz padhte.




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

I went to the Prophet (ﷺ) in the mosque (the sub-narrator Mas'ar thought that Jabir had said, "In the forenoon.") He ordered me to pray two Rakat. He owed me some money and he repaid it to me and gave more than what was due to me.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua to Aap masjid mein tashreef farma the. Ye chaasht ka waqt tha. Aap ne (mujhse) farmaya: “Do (2) rakat namaz padhlo”.
Mera Aap (ﷺ) ke zimme qarz tha jo aap ne adaa farmaya aur mujhe qarz se ziyada diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 443

 : Book 8, Hadith 92
 
: Also see Hadith No. 
1801, 2097, 2309, 2385, 2394, 2406, 2470, 2603, 2604,
   2718,2861, 2967, 3087, 3089, 3090, 4052, 5079, 5080, 5243, 5244, 5245, 5246,
   5247, 5367, 6387





Baab 60: Jab Koi Masjid Mein Daakhil Ho To Usey Chaahiye Ko Do (2) Rakat Namaz Padhe







Narrated Abu Qatada Al-Aslami:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you enters a mosque, he should pray two Rakat before sitting."


Ravi Hazrat Abu Qatada Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi masjid mein daakhil ho to baithne se qabl do (2) rakat zaroor padhe”.



Reference : Sahih al-Bukhari 444

 : Book 8, Hadith 93
 
: Also see Hadith No. 1163
 





Baab 61: Masjid Mein (khurooj-e-reeh se) Be-wazoo Hona






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "The angels keep on asking Allah's forgiveness for anyone of you, as long as he is at his Mu,salla (praying place) and he does not pass wind (Hadath). 
They say, 'O Allah! Forgive him, O Allah! be Merciful to him."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tak tum apne musalle par raho, jaha’n tum ne namaz padhi thi aur riyaah bhi khaarij na karo, to malaaeka tumhare liye dua karte hain ke aye Allah! Uski magfirat farmade, aye Allah! Us par raham farma”.



Reference : Sahih al-Bukhari 445

 : Book 8, Hadith 94





Baab 62: Masjid (e nabawi) Ki Tameer Ka Bayaan






Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Masjid-e-Nabawi ki chatt khajoor ki aisee shaakho’n ki thi jin ke patte saaf kar diye gae the. Aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Masjid-e-Nabawi ki taameer ka hukum diya aur farmaya ke logo’n ko barish se mehfooz rakhne ka badobast karo, lekin usey surkh yaa zard karne se ijtenaab karo. Mabaada rang ke istemaal se log fitne mein mubtalaa ho jaae’n. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: (Aainda) Log masjide’n banaane mein bataur-e-fakhr-o-mabaahaat (Ghuroor-o-naaz) muqaabla baazi kare’nge, magar unhe’n (ibaadat se) abaad bohot kam log kare’nge.
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Tum bhi masaajid ko naqsh-o-nigaar se zaroor aaraasta karoge jaise yahood-o-nasaara ne apni ibaadat-gaaho’n ka aaraasta kiya tha.




Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

In the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) the mosque was built of adobes, its roof of the leaves of datepalms and its pillars of the stems of date palms. Abu Bakr did not alter it. 
'Umar expanded it on the same pattern as it was in the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) by using adobes, leaves of date palms and changing the pillars into wooden ones. 
'Uthman changed it by expanding it to a great extent and built its walls with engraved stones and lime and made its pillars of engraved stones and its roof of teak wood.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein masjid-e-nabawi kacchi eento’n se bani hui thi, chatt par khajoor ki daaliyaa’n thee’n, aur sutoon bhi khajoor ki lakdi ke the. Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us mein koi izaafa na kiya. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us mein tausee zaroor ki lekin imaarat isi tarah ki rakhi jaise Rasool Allah (ﷺ) ke zamaane mein thi. Yaane kacchi eente’n, daaliya’n aur sutoon isi khajoor ki lakdi ke banaae gae. Phir Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us mein tabdeeli karke bohot karke bohot tausee farmaai, yaan uski deewaare’n munaqqash pattharo’n aur choone se banwaae’n, sutoon bhi munaqqash pattharo’n ke banaae aur uski chatt saagwaan se taiyyaar ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 446

 : Book 8, Hadith 95





Baab 63: Masjid Ki Taameer Mein Baaham Taaoon Karna






Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

“Mushrikeen Ka Ye Kaam Nahi Ke Wo Allah Ki Masjido’n Ko Abaad Kare’n, Jabke Wo To Khud Apne Aap Par Kufr Ki Shahadat De Rahe Hain. Yehi Log Hain Jinke Sab Amaal Zaae Ho Gae Aur Wo Hamesha Jahannum Hi Mein Rahe’nge. Allah Ki Masaajid Ko To Wohi Abaad Karta Hai, Jo Allah Par Aur Yaum-e-aakhirat Par Imaan Laaya Aur Usne Namaz Qaaem Ki Aur Zakat Adaa Ki Aur Allah Ke Siwaa Kisi doosre Se Nahi Dara, Ummeed Hai Ke Aisee Hi Log Hidayat Yaafta Ho’nge”. [Surah Tauba: 17-18]


Narrated 'Ikrima:

Ibn Abbas told me and his son Ali, "Go to Abu Sa'id and listen to what he narrates." 
So we went and found him in a garden looking after it. He picked up his Rida', wore it and sat down and started narrating till the topic of the construction of the mosque reached. 
He said, "We were carrying one adobe at a time while 'Ammar was carrying two. 
The Prophet (ﷺ) saw him and started removing the dust from his body and said, "May Allah be Merciful to 'Ammar. He will be inviting them (i.e. his murderers, the rebellious group) to Paradise and they will invite him to Hellfire." 
'Ammar said, "I seek refuge with Allah from affliction."


Ravi Hazrat Ikrima:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne shaagird Ikrima aur apne lakht-e-jigar Ali se kaha: Tum dono Hazrat Abu Saeed Khudri  ke paas jaao aur unse ahadees suno, chunache wo dono gae to dekha ke wo ek baagh mein hain aur usey durust kar rahe hain. Unho’n ne apni chadar li aur usey kamar se ghutno’n tak lapet kar baith gae aur ahadees sunaane lagey, hatta ke Masjid-e-Nabawi ki taameer ka zikr aaya to farmaya: Ham ek-ek (1-1) eenth uthaate the, jabke Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) do-do (2-2) eente’n uthakar laa rahe the.
Nabi (ﷺ) ne jab Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha to unke jism se mitti jhaadte hue farmaane lagey: “Ammaar ki haalat qaabil-e-rahem hai! Unhe’n ek baaghi giroh qatal karega. Ye unhe’n Jannat ki daawat de’nge aur wo unhe’n jahannum ki taraf bulaae’nge”.
Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Hazrat Ammaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) (ye sun kar aksar) kaha karte the: Main fitno’n se Allah ki panaah chaahta hoo’n. 



Reference : Sahih al-Bukhari 447

 : Book 8, Hadith 96
 
: Also see Hadith No. 2812 





Baab 64: Badhai Aur Kaarigar Se Masjid Aur Mimbar Ke Takhte Banwaane Mein Taaoon Haasil Karna







Narrated Sahl:

Allah's Apostle (ﷺ) sent someone to a woman telling her to "Order her slave, carpenter, to prepare a wooden pulpit for him to sit on."


Ravi Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne ek aurat ke yahaa’n aadmi bheja ke wo apne badhai ghulam se kahe, ke wo mere liye lakdi ke takhto’n se mimbar bana de, jis par main baitha karoo’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 448

 : Book 8, Hadith 97




Narrated Jabir:

A woman said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Shall I get something constructed for you to sit on as I have a slave who is a carpenter?" 
He replied, "Yes if you like." 
So she had that pulpit constructed.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya main aapke liye koi aisee cheez na bana doo’n jis par aap baitha kare’n?
Is liye ke mera ek ghulam badhai ka kaam karta hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Agar tum chahti ho to banwa do”. 
Chunache us ne mimbar banwa diya. 



Reference : Sahih al-Bukhari 449

 : Book 8, Hadith 98
 
: Also see Hadith No. 
918, 2095, 3584, 3585 





Baab 65: Us Shakhs Ki Fazilat Jisne Masjid Banwaai






Narrated 'Ubdaidullah Al-Khaulani:

I heard 'Uthman bin 'Affan saying when people argued too much about his intention to reconstruct the mosque of Allah's Apostle (ﷺ), "You have talked too much. I heard the Prophet (ﷺ) saying, 'Whoever built a mosque, (Bukair thought that 'Asim, another sub-narrator, added, "Intending Allah's Pleasure"), Allah would build for him a similar place in Paradise.' "


Ravi Hazrat Ubdaidullah Al-Khaulani:

Hazrat Usman bin Affaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, jab unho’n ne Masjid-e-Nabawi ki taameer farmaai to log uske mutaalliq mukhtalif baate’n karne lagey. 
Tab unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai: “Jo shakhs masjid banaae aur uska maqsood mahez Allah ko raazi karna ho, to Allah Ta’ala uske liye us jaisa ghar Jannat mein bana deta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 450

 : Book 8, Hadith 99





Baab 66: Jab Koi Masjid Mein Jaae To Teer Ke Paikaan Ko Haath Mein Lele







Narrated 'Amr:

I heard Jabir bin 'Abdullah saying, "A man passed through the mosque carrying arrows. Allah's Apostle (ﷺ) said to him, 'Hold them by their heads.' "


Ravi Hazrat Amr:

Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Ek shakhs masjid-e-nabawi mein teer liye hue guzar raha tha, to Rasool Allah (ﷺ) ne usey hukum diya: “Uske paikaan* thaame rakho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 451

 : Book 8, Hadith 100
 
: Also see Hadith No. 
7073, 7074
 : *Yahan aise teer ki taraf ishaara hai jis mein par aur paikaan (lohe ki nok)
    nahi hota,yaane seedhi lakdi
 





 Baab 67: Masjid Se Guzarna






Narrated Abu Burda bin 'Abdulla:

(On the authority of his father) The Prophet (ﷺ) said, "Whoever passes through our mosques or markets with arrows should hold them by their heads lest he should injure a Muslim."


Ravi Hazrat Abu Burda bin 'Abdulla:

Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, wo Nabi (ﷺ) se bayan karte hain, aap ne farmaya: “Jo shakhs hamari masjido’n yaa hamaare bazaro’n se teer le kar guzre to usey chaahiye ke unke paikaan haath mein pakad le mabaada uske haath se kisi musalman ko zakhm lag jaae”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 452

 : Book 8, Hadith 101
 
: Also see Hadith No. 7075
 





Baab 68: Masjid Mein Sher Padhna






Narrated Hassan bin Thabit Al-Ansari:

I asked Abu Huraira "By Allah! Tell me the truth whether you heard the Prophet (ﷺ) saying, 'O Hassan! Reply on behalf of Allah's Apostle (ﷺ). O, Allah! Help him with the Holy Spirit." 
Abu Huraira said, "Yes. "


Ravi Hassaan bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Wo Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se gawaahi talab kar rahe the. Tumhe’n Allah ki qasam! Bataao kya tumne Nabi (ﷺ) ko ye farmate suna hai: “Aye Hassaan! Rasool Allah (ﷺ) ki taraf se kaafiro’n ko jawab do. Aye Allah! To Hassaan ki rooh-ul-quds se taaeed farma?”
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Haa’n, maine suna hai. 



Reference : Sahih al-Bukhari 453 

 : Book 8, Hadith 102
 
: Also see Hadith No. 
3212, 6152 





Baab 69: Barche Waalo’n Ka Masjid Mein Aana






Narrated 'Aisha:

Once I saw Allah's Apostle (ﷺ) at the door of my house while some Ethiopians were playing in the mosque (displaying their skill with spears). Allah's Apostle (ﷺ) was screening me with his Rida' so as to enable me to see their display. 


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
 
Ek din mein Rasool Allah (ﷺ) ko apne hujre ke darwaze par khade dekha jabke habsha ke kuch log masjid mein (jihadi mashqe’n karte hue) khel rahe the, aur Rasool Allah (ﷺ) apni chadar se mujhe chupa rahe the, aur main unka khel dekh rahi thi. 



Reference : Sahih al-Bukhari 454

 : Book 8, Hadith 103
 
: Also see Hadith No.
 
455, 950, 988, 2906, 3529, 3931, 5190, 5236




Narrated 'Aisha:

"I saw the Prophet (ﷺ) and the Ethiopians were playing with their spears."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Maine Nabi (ﷺ) ko dekha jab ke ahle habsha apne nezo’n se khel rahe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 455

 : Book 8, Hadith 104





Baab 70: Masjid Mein Mimbar Par Khareed-o-Farokht Ka Zikr Karna







Narrated 'Aisha:

Barira came to seek my help regarding her manumission. I told herself you like I would pay your price to your masters but your Al-Wala(1) would be for me." Her masters said, "If you like, you can pay what remains (of the price of her manumission), (Sufyan the sub-narrator once said), or if you like you can manumit her, but her (inheritance) Al-Wala would be for us. "When Allah's Apostle (ﷺ) came, I spoke to him about it. He said, "Buy her and manumit her. No doubt Al-Wala(1) is for the manumitted." Then Allah's Apostle (ﷺ) stood on the pulpit (or Allah's Apostle (ﷺ) ascended the pulpit as Sufyan once said), and said, "What about some people who impose conditions which are not present in Allah's Book (Laws)? 
Whoever imposes conditions which are not in Allah's Book (Laws), his conditions will be invalid even if he imposed them a hundred times."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
 
Hazrat Barirah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aaee’n aur badal-e-kitaabat ke silsile mein unse sawal kiya. Us par Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Tum agar chaaho to main tumhare aaqa ko badal-e-kitaabat (yak-musht) adaa kar du’n, lekin tumhari waala ka haq* mere liye hoga. 
Hazrat Barirah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke aqaao’n ne (Hazrat Ayesha رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا se) kaha: Agar aap chaahe’n to baqiya raqam adaa karke usey aazaad kara le’n, lekin haq-e-waala hamaara hoga. Rasool Allah (ﷺ) jab tashreef laae to Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) i ne aap se is baat ka tazkira kiya. 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum usey (Barirah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا ko) khareed kar aazaad kar do, bila-shubha walaa ka wohi haqdaar hai jo aazaad karta hai”. 
Phir Rasool Allah (ﷺ) ne mimbar par khade ho kar farmaya: “Logo’n ko kya ho gaya hai ke wo muaamalaat mein aisee sharte’n rakhte hain jo kitaab Allah mein nahi hain, jo shakhs bhi koi shart lagaae jo kitab Allah mein zikr shuda sharaaet ke munaasib nahi hai, to uski koi haisiyat nahi hogi, khwah wo aisee 100 sharte’n lagaa le”.

Is riwayat ko Imam Maalik ne Yahya bin Saeed se aur Yahya bin Saeed ne Hazrat Umrah se riwayat kiya hai. Is mein Rasool Allah (ﷺ) ke mimbar par chadhne ka zikr nahi hai, nez is riwayat ko Ali bin Abdullah ne Yahya bin Saeed Qattaan aur Abdul Wahhab bin Abdul Majeed se, phir un dono’n ne Yahya bin Saeed Ansari se, unho’n ne Umrah se isi tarah bayan kiya. Aur Jaafar bin A’aun ne is riwayat ko Yahya se naqal kiya hai, unho’n ne kaha: Maine Umrah se suna, unho’n ne is riwayat ko Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) i se sun kar bayan kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 456

 : Book 8, Hadith 105
 
: Also see Hadith No. 
1493, 2155, 2168, 2536, 2560, 2561, 2563, 2564, 2565, 2578,
   2717, 2726, 2729, 2735, 5097, 5279, 5284, 5430, 6717, 6751, 6754, 6758, 6760
 : *Aazaad ghulam ki meeraas 



Baab 71: Masjid Mein Qarzdaar Se Qarz Ka Taqaza Karna Aur Uske Peeche Padna







Narrated Ka'b:

In the mosque, l asked Ibn Abi Hadrad to pay the debts he owed to me and our voices grew louder. Allah's Apostle (ﷺ) heard that while he was in his house. So he came to us raised the curtain of his room and said, "O Ka'b!" 
I replied, "Labaik, O Allah's Apostle (ﷺ)!" 
He said, "O Ka'b! reduce your debt to one half," gesturing with his hand. 
I said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I have done so." Then Allah's Apostle (ﷺ) said (to Ibn Abi Hadrad), "Get up and pay the debt to him."


Ravi Hazrat Kaab bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Masjid mein Ibne Abi Hadrad se apne qarz ka taqaza kiya. Is par un dono ki awaaze’n buland ho gaee’n, yahaa’n tak ke Rasool Allah (ﷺ) ne usey apne hujre mein suna. Aap baahar tashreef laae aur hujre ka parda uthakar awaaz di: “Aye Kaab!”. Unho’n ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Main haazir hoo’n. 
Aap ne farmaya: “Tum apne qarz mein se kuch kam kar do”. Aur aap ne nisf qarz chodh dene ka ishaara farmaya. 
Hazrat Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Aapka hukum sar aankho’n par, tab aap ne Ibne Abi Hadrad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: “Utho, uska qarz adaa kar do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 457

 : Book 8, Hadith 106
 
: Also see Hadith No. 
471, 2418, 2424, 2706, 2710





Baab 72: Masjid Se Cheetde, Kooda Karkat Aur Lakdiyaa’n Uthaana Aur Uski Safaai Karna







Narrated Abu Huraira:

A black man or a black woman used to sweep the mosque and he or she died. The Prophet (ﷺ) asked about her (or him). He was told that she (or he) had died. 
He said, "Why did you not inform me?
Show me his grave (or her grave)." So he went to her (his) grave and offered her (his) funeral prayer."


Ravi Hazrat Abu Huriara (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek siyaah faam mard yaa aurat masjid mein chaadu diya karta tha. Wo faut ho gaya to Nabi (ﷺ) ne logo’n se uski baabat poocha?
Unho’n ne kaha: Wo to faut ho gaya hai.
Aap ne farmaya: “Bhala tumne mujhe iski ittela kyou’n na di?
Accha ab mujhe uski qabar bataao”.
Chunache aap uski qabar par tashreef le gae, aur waha’n namaz-e-janaza adaa ki. 



Reference : Sahih al-Bukhari 458

 : Book 8, Hadith 107
 
: Also see Hadith No. 
460, 1337 





Baab 73: Masjid Mein Tijaarat-e-Sharaab Ki Hurmat (ka elaan)







Narrated 'Aisha:

When the verses of Surat "Al-Baqara"' about the usury Riba were revealed, the Prophet (ﷺ) went to the mosque and recited them in front of the people and then banned the trade of alcohol.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab hurmat-e-sood ke mutaalliq Surah Baqara ki ayaat naazil huee’n to Nabi (ﷺ) masjid mein tashreef laae aur logo’n ko wo ayaat padhkar sunaae’n. Phir aapne sharaab ki tijaarat ko bhi haram kar diya. 



Reference : Sahih al-Bukhari 459

 : Book 8, Hadith 108
 
: Also see Hadith No.
 
2084, 2226, 4540, 4541, 4542, 4543





Baab 74: Khuddaam-e-Masjid Ki Taenaati Karna






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke Hazrat Imran ki biwi ke mutaalliq irshad-e-Baari Ta’ala hai, unho’n ne kaha: “(Aye Mere Rabb!) Jo Baccha Mere Batn Mein Hai, Maine Uske Mutaalliq Nazr Maani Hai Ke Usey Tere Liye Aazaad Chodh Doo’n”. [Surah aale Imran: 35]

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (iski tasweer karte hue) farmaya: Usne masjid ke liye aazaad chodh dene ki nazr maani thi ke wo uski khidmat kiya karega.




Narrated Abu Rafi:

Abu Huraira said, "A man or a woman used to clean the mosque." (A sub-narrator said, 'Most probably a woman..') Then he narrated the Hadith of the Prophet (ﷺ)


Ravi Hazrat Abu Raafe:
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, ek aurat… yaa mard… Masjid-e-Nabawi mein jhaadu diya karta tha… raawi-e-hadees Abu Raafe kehte hain ke mere khayaal ke mutaabiq wo aurat hi thi… Phir unho’n ne Nabi (ﷺ) ki hadees naqal farmaai ke aap ne uski qabar par namaz padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 460

 : Book 8, Hadith 109





Baab 75: Qaidi Ya Qarzdaar Ko Masjid Mein Baandhna






Narrated Abu Huraira:

"The Prophet (ﷺ) said, "Last night a big demon (afreet) from the Jinns came to me and wanted to interrupt my prayers (or said something similar) but Allah enabled me to overpower him. I wanted to fasten him to one of the pillars of the mosque so that all of you could see him in the morning but I remembered the statement of my brother Solomon (as stated in the Quran): My Lord! Forgive me and bestow on me a kingdom such as shall not belong to anybody after me (38.35)." The sub narrator Rauh said, "He (the demon) was dismissed and humiliated."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Guzishta raat achaanak ek sarkash jinn mujhse takra gaya, yaa aisa hi koi aur kalma irshad farmaya, taake meri namaz mein khalal andaaz ho, magar Allah Ta’ala ne mujhe us par qaabu de diya. Maine chaaha ke usey masjid mein kisi sutoon se baandh doo’n, taake subah ke waqt tum sab bhi usey dekh sako, phir mujhe apne bhai Hazrat Sulaiman m ki wo dua yaad aagai jis mein unhoe’n ne arz kiya tha: Aye Mere Rabb! Mujhe Moaaf Kar Aur Mujhe Aisee Sultanat Ataa Farma Jo Mere Baad Kisi Aur Ke Liye Sazawaar Na Ho”. [Surah Saad: 35]

(Raawi-e-Ahadees) Rooh kehte hain: Phir (ye dua yaad aane ke baad) Rasool Allah (ﷺ) ne us jin ko ruswa karke waapas kar diya. 



Reference : Sahih al-Bukhari 461

 : Book 8, Hadith 110
 
: Also see Hadith No.
 
1210, 3284, 3423, 4808





Baab 76: Kaafir Jab Musalman Ho Jaae T Uske Ghusl Karne, Nez Qaidi Ko Masjid Mein Muqaiyyad Karne Ka Bayan







Qaazi Shuraih, qarzdaar ke mutaalliq hukum dete the ke usey masjid ke sutoon ke saath baandh diya jaae.


Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) sent some horsemen to Najd and they brought a man called Thumama bin Uthal from Bani Hanifa. They fastened him to one of the pillars of the mosque. The Prophet (ﷺ) came and ordered them to release him. He went to a (garden of) date-palms near the mosque, took a bath and entered the mosque again and said, "None has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is His Apostle (ﷺ) (i.e. he embraced Islam)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek ghod-sawaar dasta najd ki taraf rawaana kiya. Wo Banu Hanifa ke ek shakhs ko giraftaar karke laae, jise
Thumaama bin Usaal kaha jaata tha, aur usey unho’n ne masjid ke ek sutoon se baandh diya.
Phir Nabi (ﷺ) tashreef laae aur farmaya: “Thumaama ko chodh do”.
Chunache wo masjid ke qareeb ek khajoor ke baagh mein gaya, waha’n ghusl kiya, phir masjid mein aaya aur kaha: Main gawaahi deta hoo’n ke Allah ke siwa koi maabood-e-bar-haq nahi aur Hazrat Muhammad Allah ke Rasool (ﷺ) hain, yaane wo musalman ho gaya. 



Reference : Sahih al-Bukhari 462

 : Book 8, Hadith 111
 
: Also see Hadith No. 
469, 2422, 2423, 4372





Baab 77: Masjid Mein Bimariyon Aur Deegar Zaroorat-mando’n Ke Liye Kheema Lagaana







Narrated 'Aisha:

On the day of Al-Khandaq (Battle of the Trench' the medial arm vein of Sa'd bin Mu'ad was injured and the Prophet (ﷺ) pitched a tent in the mosque to look after him. There was another tent for Banu Ghaffar in the mosque and the blood started flowing from Sa'd's tent to the tent of Bani Ghaffar.
They shouted, "O occupants of the tent! What is coming from you to us?" 
They found that Sa'd's wound was bleeding profusely and Sa'd died in his tent.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jung-e-Khandaq ke mauqa par Hazrat Sa’ad bin Moaaz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke haath ki rag (haft-indaam) mein teer lag gaya. To Nabi (ﷺ) ne unke liye masjid mein ek kaheema laga diya, taake nazdeek se unki iyaadat kar liya kare’n, aur masjid mein Banu Ghaffar ka kheema bhi tha. Phir achaanak unki taraf khoon behkar aane laga, to log isse khaufzada hue. Kehne lagey: Aye kheme waalo! Ye kiya hai jo tumhari taraf se hamaare paas aaraha hai?
Dekha to Hazrat Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke zakhm se khoon beh raha tha, chunache wo isi zakhm se faut ho gae. 



Reference : Sahih al-Bukhari 463

 : Book 8, Hadith 112
 
: Also see Hadith No.
 
2813, 3901, 4117, 4122





Baab 78: Zaroorat Ke Waqt Oont Ko Masjid Mein Laana






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Nabi (ﷺ) ne oont par baith kar tawaaf kiya.


Narrated Um Salama:

I complained to Allah's Apostle (ﷺ) that I was sick. He told me to perform the Tawaf behind the people while riding. So I did so and Allah's Apostle (ﷺ) was praying beside the Ka'ba and reciting the Sura starting with "Wat-tur-wa-Kitabinmastur."


Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Maine Rasool Allah (ﷺ) se apni bimaari ka shikwa kiya to aap ne farmaya: “Tu logo’n ke peeche-peeche sawaari par baith kar tawaaf kar le”. Chunache maine isi tarah tawaaf kiya aur is waqt Rasool Allah (ﷺ) khaana-e-ka’aba ke pehlu mein khade namaz mein surah “wattoor” tilaawat farma rahe the. 



Reference : Sahih al-Bukhari 464

 : Book 8, Hadith 113
 
: Also see Hadith No. 
1619, 1626, 1633, 4853





Baab 79: Bila-Unwaan






Narrated Anas bin Malik:

Two of the companions of the Prophet (ﷺ) departed from him on a dark night and were led by two lights like lamps (going in front of them from Allah as a miracle) lighting the way in front of them, and when they parted, each of them was accompanied by one of these lights till he reached their (respective) houses.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke do (2) sahaaba aapke paas se Andheri raat mein nikle. Un dono ke saath munawwar chiragh ki tarah koi cheez thi, jo unke saamne raushni de rahi thi. Jab wo dono alaaheda ho gae to har ek ke saath isi tarah ka ek chiragh ho gaya, hatta ke wo apne ghar pohonch gae. 



Reference : Sahih al-Bukhari 465

 : Book 8, Hadith 114
 
: Also see Hadith No. 
3639, 3805



Baab 80: Masjid Mein Khidki Rakhna Aur Us Mein Guzar-gaah Banaana







Narrated Abu Said Al-Khudri:

The Prophet (ﷺ) delivered a sermon and said, "Allah gave a choice to one of (His) slaves either to choose this world or what is with Him in the Hereafter. He chose the latter." Abu Bakr wept. I said to myself, "Why is this Sheikh weeping if Allah gave choice to one (of His) slaves either to choose this world or what is with Him in the Hereafter and he chose the latter?" 
And that slave was Allah's Apostle (ﷺ) himself. Abu Bakr knew more than us. The Prophet (ﷺ) said, "O Abu Bakr! Don't weep. 
The Prophet (ﷺ) added: Abu- Bakr has favoured me much with his property and company. If I were to take a Khalil from mankind I would certainly have taken Abu Bakr but the Islamic brotherhood and friendship are sufficient. Close all the gates in the mosque except that of Abu Bakr.


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek din khutba dete hue farmaya: “Beshak Allah Ta’ala ne apne ek bande ko ikhteyar diya hai ke wo duniya mein rahe ya jo Allah ke paas hai usey ikhteyar kare. To usne wo pasand kiya jo Allah ke paas hai”. Ye sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) rone lagey. Maine apne dil mein kaha: Ye budha kis liye rota hai? Baat to sirf ye hai ke Allah ne apne ek bande ko duniya yaa akhirat dono’n mein se jise chaahe pasand karne ka ikhteyar diya hai, aur usne akhirat ko pasand kiya hai. (To usne rone ki kya baat hai)? Magar baad mein ye raaz khula ke bande se muraad khud Rasool Allah (ﷺ) the aur Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ham sabse ziyada samajhne waale the. Phir Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Abu Bakar tum mat ro, main logo’n mein se kisi ke maal aur sohbat ka itna zer-e-baar* nahi jitna Abu Bakar ka hoo’n. Agar main apni ummat se kisi ko khaleel banaata to Abu Bakar ko banaata, lekin islami **ikhwat-o-mohabbat zaroor hai. Dekho! Masjid mein Abu Bakar ke darwaze ke siwa sabke darwaze band kar diye jaae’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 466

 : Book 8, Hadith 115
 
: Also see Hadith No. 
3654, 3904
 : *Bojh se dabaa hua, maghloob, maqrooz, ehsaan-mand
 : **Bhai-chaara, dosti, biradaraana taalluq jo rishte ke alaawa kisi aur nisbat se ho 




Narrated Ibn 'Abbas:

"Allah's Apostle (ﷺ) in his fatal illness came out with a piece of cloth tied around his head and sat on the pulpit. After thanking and praising Allah he said, "There is no one who had done more favour to me with life and property than Abu Bakr bin Abi Quhafa. If I were to take a Khalil, I would certainly have taken Abu- Bakr but the Islamic brotherhood is superior. Close all the small doors in this mosque except that of Abu Bakr."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) apne marz-e-wafaat mein ek patti se apne sar ko baandhe hue baahar tashreef laae aur mimbar par farokash* hue aur Allah ki hamd-o-sana ke baad farmaya: “Apni jaan aur maal ko mujh par Abu Bakar se ziyaada aur koi kharch karne waala nahi hai. Aur main logo’n mein se agar koi dili-dost banaata to yaqeenan Abu Bakar ko banaata, lekin islami dosti sabse badhkar hai. Dekho! Meri taraf se har wo khidki jo is masjid mein khulti hai band kar do, sirf Abu Bakar ki khidki rehne do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 467

 : Book 8, Hadith 116
 
: Also see Hadith No. 
3656, 3657, 6738
 : *Muqeem, theherna, qiyaam karna





Baab 81: Khaana-e-Ka’aba Aur Deegar Masaajid Ke Liye Darwaaze Banaana Aur Chitakhni Lagaana







Ibne Juraij ka bayan hai ke mujhse Ibne Abi Mulaikah ne kaha: Aye Abdul Malik! Agar tum Ibne Abbas h ki taameer karda masaajid aur unke darwazo’n ko dekhte (to ta’ajjub karte)


Narrated Nafi:

Ibn 'Umar said, "The Prophet (ﷺ) arrived at Mecca and sent for 'Uthman bin Talha. He opened the gate of the Ka'ba and the Prophet (ﷺ), Bilal, Usama bin Zaid and 'Uthman bin Talha entered the Ka'ba and then they closed its door (from inside). They stayed there for an hour, and then came out." 
Ibn 'Umar added, "I quickly went to Bilal and asked him (whether the Prophet (ﷺ) had prayed). 
Bilal replied, 'He prayed in it.' 
I asked, 'Where?' 
He replied, 'Between the two pillars.' "
Ibn 'Umar added, "
I forgot to ask how many Rakat he (the Prophet (ﷺ)) had prayed in the Ka'ba."


Ravi Nafi:

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) Makkah tashreef laae to aap ne (chaabi biraadar) Hazrat Usman bin Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko bulaya, unho’n ne baitullah ka darwaza khola. Phir Nabi (ﷺ), Hazrat Bilal, Usama bin Zaid aur Usman bin Talha (رضي الله عنهم) andar gae. Baad-azee’n darwaza band kar liya gaya. Aap waha’n thodi der rahe, phir sab baahar nikle, khud Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Main jald utha aur Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se jaakar poocha to unho’n ne bataya: Aap (ﷺ) ne Ka’abe ke andar namaz padhi hai. Maine poocha: Kis muqaam par? 
To unho’n ne kaha: Dono sutoono’n ke darmiyan. 
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Ye baat poochne se reh gai ke aap ne kitni rakaat padhi thee’n?



Reference : Sahih al-Bukhari 468

 : Book 8, Hadith 117





Baab 82: Masjid Mein Mushrik Ka Dakhal Hona






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) sent some horsemen to Najd and they brought a man called Thumama bin Uthal from Bani Hanifa. They fastened him to one of the pillars of the mosque.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne chand sawaaro’n ko najd ki taraf rawaana farmaya, wo log Banu Hanifa (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ek shakhs Thumaama bin Usaal ko pakad laae aur masjid ke sutoono’n mein ek sutoon ke saath baandh diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 469

 : Book 8, Hadith 118





Baab 83: Masjid Mein Awaaz Ka Ooncha Karna






Narrated Al-Sa'ib bin Yazid:

I was standing in the mosque and somebody threw gravel at me. I looked and found that he was 'Umar bin Al-Khattab. He said to me, "Fetch those two men to me." When I did, he said to them, "Who are you? (Or) where do you come from?" 
They replied, "We are from Ta'if." 
'Umar said, "Were you from this city (Medina) I would have punished you for raising your voices in the mosque of Allah's Apostle (ﷺ).


Ravi Hazrat Saaeb bin Yazid:

Main Masjid-e-Nabawi mein khada tha, ke kisi ne mujhe kankari maari. Maine uski taraf dekha to wo Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Unho’n ne mujhe se farmaya: Jaao aur un dono aadmiyo’n ko bulakar laao, chunache main unhe’n bulakar laaya to Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne unse dariyaaft kiya: Tum kis qabile se ho ya kis jagah ke rehne waale ho? Unho’n ne bataaya: Ham Taif ke rehen waale hain. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar tum madina munawwara ke baashinde hote to main tumhe’n zaroor saza deta. Tum Rasool Allah (ﷺ) ki masjid mein apni awaazo’n ko itna buland kar rahe ho!



Reference : Sahih al-Bukhari 470

 : Book 8, Hadith 119




Narrated 'Kab bin Malik:

During the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ), I asked Ibn Abi Hadrad in the mosque to pay the debts which he owed to me and our voices grew so loud that Allah's Apostle (ﷺ) heard them while he was in his house. So he came to us after raising the curtain of his room. The Prophet (ﷺ) said, "O Ka'b bin Malik!" 
I replied, "Labaik, O Allah's Apostle (ﷺ)." 
He gestured with his hand to me to reduce the debt to one-half. 
I said, "O Allah's Apostle (ﷺ) have done it." 
Allah's Apostle (ﷺ) said (to Ibn Hadrad), "Get up and pay it."


Ravi Hazrat Kaab bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) ke ahd mein. Masjid-e-Nabawi mein Ibne Abdi Hadrad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se apne qarz ki adaaegi ka mutaalba kiya. Is silsile mein un dono ki awaaze’n is qadar buland huee’n ke Rasool Allah (ﷺ) ne un awaazo’n ko apne hujre mein suna. Phir aapne ne apne hujre ka parda uthaaya aur baahar tashreef laae. Baad azaa’n awaaz di aur farmaya: “Aye Kaab!” Hazrat Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Main haazir hoo’n. Aap ne haath se ishaara kiya ke apne qarz se aada chodh do. Hazrat Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maine hukum ki taameel ki. Phir Rasool Allah (ﷺ) ne (Ibne Abi Hadrad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se) farmaya: “Jaao unka qarz adaa karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 471

 : Book 8, Hadith 120 





Baab 84: Masjid Mein Baithna Aur Halqe Banaana






Narrated Nafi':

Ibn 'Umar said, "While the Prophet (ﷺ) was on the pulpit, a man asked him how to offer the night prayers. 
He (ﷺ) replied, 'Pray two Rakat at a time and then two and then two and so on, and if you are afraid of the dawn (the approach of the time of the Fajr prayer) pray one Rak'a and that will be the Witr for all the Rakat which you have offered." 
Ibn 'Umar said, "The last Rakat of the night prayer should be odd for the Prophet (ﷺ) ordered it to be so.


Ravi Nafi':

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) ek dafa mimbar par tashreef farma the, ke ek shakhs ne aapse dariyaaft kiya: Raat ki namaz ke mutaalliq aapka kya hukum hai?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Do-do (2-2) rakat padho, phir jab (kisi ko) subah ho jaane ka andesha ho to ek (1) rakat aur padhle, wo saabeqa saari namaz ko witr kar degi”.
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmaya karte the: Raat ki namaz ke aakhir mein witr padha karo, Nabi (ﷺ) ne Iska hukum farmaya hai. 



Reference : Sahih al-Bukhari 472

 : Book 8, Hadith 121
 
: Also see Hadith No. 
473, 990, 993, 995




Narrated Ibn 'Umar:

A man came to the Prophet (ﷺ) while he was delivering the sermon and asked him how to offer the night prayers. 
The Prophet (ﷺ) replied, 'Pray two Rakat at a time and then two and then two and so on and if you are afraid of dawn (the approach of the time of the Fajr prayer) pray one Rak'a and that will be the with for all the Rakat which you have prayed." 
Narrated 'Ubaidullah bin 'Abdullah bin 'Umar: A man called the Prophet (ﷺ) while he was in the mosque.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek admi Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua, jabke (us waqt) aap khutba de rahe the. Usne arz kiya: Raat ki namaz kis tarah adaa ki jaae?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Do-do (2-2) rakat, phir jab tumhe’n tuloo-e-fajr ka andesha ho to ek (1) rakat witr padhlo, wo tumhari padhi hui saabeqa namazo’n ko taaq adad mein tabdeel kar degi”.

Waleed bin Kaseer apni sanad se bayan karte hain ke Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye bayan kiya, ke ek shakhs ne Nabi (ﷺ) ko awaaz di, jabke aap masjid mein tashreef farma the.



Reference : Sahih al-Bukhari 473

 : Book 8, Hadith 122




Narrated Abu Waqid al-Laithi:

While Allah's Apostle (ﷺ) was sitting in the mosque (with some people) three men came, two of them came in front of Allah's Apostle (ﷺ) and the third one went away, and then one of them found a place in the circle and sat there while the second man sat behind the gathering, and the third one went away. When Allah's Apostle (ﷺ) finished his preaching, he 
(ﷺ) said, "Shall I tell you about these three persons? 
One of them betook himself to Allah and so Allah accepted him and accommodated him; the second felt shy before Allah so Allah did the same for him and sheltered him in His Mercy (and did not punish him), while the third turned his face from Allah, and went away, so Allah turned His face from him likewise.


Ravi Hazrat Abu Waaqid Laithi:

Ek dafa Rasool Allah (ﷺ) masjid mein tashreef farma the ke 3 aadmi aae. Un mein se do (2) to Rasool Allah (ﷺ) ke paas (masjid mein) aagae, aur ek waapas chala gaya. Un dono mein se ek ne halqe mein kuch khaali jagah dekhi aur waha’n baith gaya aur doosra tamaam logo’n ke peeche jaa baitha. Raha teesra, to wo waapas chala gaya. Jab Rasool Allah (ﷺ) g faarigh ho gae to farmaya: “Main tumhe’n in teeno admiyo’n ke mutaalliq na bataaou’n?
Un mein se ek Allah ke qareeb jagah talash ki, to Allah ne usey jagah ataa kardi, doosra insaan Allah se sharma gaya, to Allah ne bhi usse sharm ki. Raha teesra, to usne (Allah Ta’ala) se roo-gardaani ki, to Allah ne bhi usse mu’n pher liya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 474

 : Book 8, Hadith 123





Baab 85: Masjid Mein Chitt Letna Aur Paao’n Phailana






Narrated 'Abbad bin Tamim:

That his uncle said, "I saw Allah's Apostle (ﷺ) lying flat (on his back) in the mosque with one leg on the other." 
Narrated Said bin Al-Musaiyab that 'Umar and 'Uthman used to do the same.


Ravi Abbad bin Tamim:

Hazrat Abdullah bin Zaid Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) ko masjid mein chitt lete aur paao’n aur paao’n rakhe hue dekha tha. Ibne Shihab Zohri Hazrat Saeed bin Musaiyyib se naqal karte hain ke Hazrat Umar h aur Hazrat
Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi aise kiya karte the. 



Reference : Sahih al-Bukhari 475

 : Book 8, Hadith 124
 
: Also see Hadith No. 
5969, 6287




Baab 86: Raaste Mein Masjid Banaana Ba-sharte Ke Us Mein Logo’n Ka Koi Nuqsaan Na Ho







Imam Hasan Basri, Ayyub Sakhtiyaani aur Imam Maalik bhi yehi kehte hain.


Narrated 'Aisha:

(the wife of the Prophet (ﷺ)) I had seen my parents following Islam since I attained the age of puberty. Not a day passed but the Prophet (ﷺ) visited us, both in the mornings and evenings. My father Abii Bakr thought of building a mosque in the courtyard of his house and he did so. He used to pray and recite the Qur'an in it. The pagan women and their children used to stand by him and look at him with surprise. Abu Bakr was a Softhearted person and could not help weeping while reciting the Quran. The chiefs of the Quraish pagans became afraid of that (i.e. that their children and women might be affected by the recitation of Quran)."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab se maine hosh sambhala, usi waqt se maine ye dekha ke mere walidain deen-e-islam qubool kar chuke the. Aur ham par koi din aisa nahi guzarta tha, jis mein hamaare yahaa’n Rasool Allah (ﷺ) din ke dono’n hisso’n mein, yaane subah-o-shaam na aate ho’n. Phir Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke dil mein ek baat aai aur unho’n ne apne ghar ke saamne ek khuli jagah mein masjid banaali, jis mein wo namaz padhte aur Quran-e-Kareem ki tilaawat karte the. Mushrikeen ke bacche aur aurte’n aate jaate unke paas khade ho jaate. Wo Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki haalat haalat par taajjub karte aur unhe’n ghaur se dekhte. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) badey rafeeq-ul-qalb aur girya-zaari* karne waale insaan the. Jab Quran-e-Kareem ki tilaawat karte to unhe’n apni ankho’n par control nahi rehta tha. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke is tarz-e-amal ne mushrikeen-e-quraish ke ashraaf ko badi ghabrahat mein mubtalaa kar diya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 476

 : Book 8, Hadith 125
 
: Also see Hadith No. 
2138, 2263, 2264, 2297, 3905, 4093, 5807, 6079
 : *Rona-peetna, waawela, kohraam, cheekhna-chillaana





Baab 87: Bazaar Ki Masjid Mein Namaz Padhna






Hazrat Ibne Awn ne ek aise ghar ki masjid mein namaz padhi jiske darwaze aam logo’n par band kar diye jaate the.


Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "The prayer offered in congregation is twenty-five times more superior (in reward) to the prayer offered alone in one's house or in a business centre, because if one performs ablution and does it perfectly, and then proceeds to the mosque with the sole intention of praying, then for each step which he takes towards the mosque, Allah upgrades him a degree in reward and (forgives) crosses out one sin till he enters the mosque. When he enters the mosque he is considered in prayer as long as he is waiting for the prayer and the angels keep asking for Allah's forgiveness for him and keep on saying: 'O Allah! Be Merciful to him, O Allah! Forgive him, as long as he keeps on sitting at his praying place and does not pass the wind. (See Hadith No. 620).


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Namaz ba-jamaat ghar aur bazaar ki namaz se 25 darje ziyaada fazilat rakhti hai. Is liye ke jab koi shakhs acchi tarah wazoo karey aur masjid mein namaz hi ke iraade se aae to masjid mein pohonchne tak jo qadam uthaata hai us par Allah Ta’ala ek darja buland karta hai, aur uska ek gunah mitaa deta hai. Aur jab wo masjid mein pohonch jaata hai to jab tak namaz ke liye waha’n rehta hai, usey baraabar namaz ka sawaab milta rehta hai. Aur jab tak wo apne us muqaam mein rahe, jaha’n namaz padhta hai, to farishte uske liye you’n dua karte hain: Aye Allah isey moaaf karde. Aye Allah! Is par raham farma, ba-sharte ke hawaa khaarij karke doosro’n ko takleef na de”.



Reference : Sahih al-Bukhari 477

 : Book 8, Hadith 126




Baab 88: Masjid Aur Ghair Masjid Mein Haatho’n Ki Ungliyo’n Ko Ek Doosri Mein Daakhil Karna







Narrated Ibn 'Umar or Ibn 'Amr:

The Prophet (ﷺ) clasped his hands, by interlacing his fingers. Narrated 'Abdullah that Allah's Apostle (ﷺ) said, "O 'Abdullah bin 'Amr! What will be your condition when you are left with the sediments of (worst) people?" (They will be in conflict with each other).


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ya Abdullah bin Amr bin al-Aas h se riwayat hai, unho’n ne kaha: Nabi (ﷺ) ne apni ungliyo’n ko qainchi banaaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 478, 479

 : Book 8, Hadith 127
 
: Also see Hadith No.
 
480




Narrated Ibn 'Umar or Ibn 'Amr:

The Prophet (ﷺ) clasped his hands, by interlacing his fingers. Narrated 'Abdullah that Allah's Apostle (ﷺ) said, "O 'Abdullah bin 'Amr! What will be your condition when you are left with the sediments of (worst) people?" (They will be in conflict with each other).


Ravi Ibn 'Umar or Ibn 'Amr:

Hazrat Aasim bin Muhammad kehte hain: Maine ye hadees apne waalid Muhammad bin Zaid se suni, phir wo mujhe yaad na rahi to (mere bhai) Waqid bin Muhammad ne usey apne waalid se theek-theek aur saheeh tareeqe par bayan kiya. Unho’n ne kaha: Hazrat Abdullah bin Amr bin al-Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bayan kiya: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aye Abdullah bin Amr! Us waqt tera kya haal hoga jab tu koode-karkat jaise logo’n ke darmiyan baaqi reh jaaega”. Phir ye hadees bayan ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 480

 : Book 8, Hadith 128




Narrated Abu Musa:

The Prophet (ﷺ) said, "A faithful believer to a faithful believer is like the bricks of a wall, enforcing each other." 
While (saying that) the Prophet (ﷺ) clasped his hands, by interlacing his fingers.


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Ek momin doosre momin ke liye ek imaarat ki tarah hai, ke uske ek hisse se doosre hisse ko taqwiyat milti hai”. Phir aap (ﷺ) ne apni ungliyo’n ko ek doosri mein daakhil farmaya. 



Reference : Sahih al-Bukhari 481

 : Book 8, Hadith 129
 
: Also see Hadith No. 
2446, 6026




Narrates Ibn Sirin:

Abu Huraira said, "Allah's Apostle (ﷺ) led us in one of the two 'Isha' prayers (Abu Huraira named that prayer but I forgot it)." Abu Huraira added, "He prayed two Rakat and then finished the prayer with Tasllm. He stood up near a piece of wood Lying across the mosque and leaned on it in such a way as if he was angry. Then he put his right hand over the left and clasped his hands by interlacing his fingers and then put his J right cheek on the back of his left hand. The people who were in haste left the mosque through its gates. They wondered whether the prayer was reduced. And amongst them were Abu Bakr and 'Umar but they hesitated to ask the Prophet (ﷺ). A long-handed man called Dhul-Yadain asked the Prophet (ﷺ), 'O Allah's Apostle (ﷺ)! Have you; forgotten or has the prayer been reduced?' 
The Prophet (ﷺ) replied, 'I have neither forgotten nor has the prayer been reduced.' 
The Prophet (ﷺ) added, 'Is what Dhul Yadain has said true?' 
They (the people) said, 'Yes, it is true.' 
The Prophet (ﷺ) stood up again and led the prayer, completing the remaining prayer, forgotten by him, performed Talsrm, and then said, 'Allahu Akbar.' And then he did a prostration as he used to prostrate or longer than that.
He then raised his head saying, 'Allahu Akbar; he then again said, 'Allahu Akbar', and prostrated as he used to prostrate or longer than that. Then he raised his head and said, 'Allahu Akbar.' " 
(The sub-narrator added, "I think that they asked (Ibn Sirin) whether the Prophet (ﷺ) completed the prayer with Taslim. He replied, "I heard that 'Imran bin Husain had said, 'Then he (the Prophet (ﷺ)) did Taslim.")


Ravi Ibn Sirin:

Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n zawaal ke baad ki namazo’n mein se koi namaz padhaai, aur do (2) rakat padha kar salaam pher diya. Uske baad masjid mein gaadhi hui ek lakdi ki taraf gae aur us par tek lagaali. Gya aap naaraaz ho’n, aur apna dayaa’n haath baae’n haath par rakh liya aur apni ungliyo’n ko ek doosri mein daakhil farmaya, aur apne daaya’n rukhsaar baae’n hatheli ki pusht par rakh liya. Jald-baaz log to masjid ke darwazo’n se nikal gae aur masjid mein haazir logo’n ne kehna shuru kar diya: Kya namaz kam ho gai hai?
Un logo’n mein Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Umar Farooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi maujood the, magar un dono ne aapse guftagu karne mein haibat mehsoos ki. Ek shaksh, jiske haath kuch lambe the, aur usey Dhul-Yadain kaha jaata tha. Kehne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya aap bhool gae hain, ya namaz kam ho gai hai? Aap ne farmaya: “Na main bhoola hoo’n, aur na namaz hi kam ki gai hai”.
Phir aap (ﷺ) ne farmaya: “Kya Dhul-Yadain saheeh kehta hai?”
Logo’n ne arz kiya: Ji haa’n. Ye sun kar aap aage badhe aur jitni namaz reh gai thi, usey adaa kiya, phir salaam phera. Uske baad aap ne takbeer kahi aur sajda-e-sahoo kiya, jo aam sajde ki tarah yaa usse kuch lamba tha. Phir aap ne sar uthaaya aur Allahu Akbar kaha. Phir Allahu Akbar kehkar doosra sajda kiya, jo apne aam sajdo’n ki sateh ya usse kuch taweel tha. Phir sar uthakar Allahu Akbar kaha aur salaam pher diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 482

 : Book 8, Hadith 130
 
: Also see Hadith No.
 
714, 715, 1227, 1229, 6051, 7250





Baab 89: Madina Ke Raaste Mein Waaqe Masaajid Aur Wo Muqamaat Jaha’n Nabi (ﷺ) Ne Namaz Padhi







Narrated Fudail bin Sulaiman:

Musa bin 'Uqba said, "I saw Salim bin 'Abdullah looking for some places on the way and prayed there. He narrated that his father used to pray there, and had seen the Prophet (ﷺ) praying at those very places."

Narrated Nafi' on the authority of Ibn 'Umar who said, "I used to pray at those places." 
Musa the narrator added, "I asked Salim on which he said, 'I agree with Nafi' concerning those places, except the mosque situated at the place called Sharaf Ar-Rawha."


Ravi Fudail bin Sulaiman:

Hazrat Moosa bin Uqba kehte hain: Maine Hazrat Saalim bin Abdullah ko dekha ke wo (Makkah se Madina ke) raaste par baaz makhsoos muqamaat ko talaash karke waha’n namaz padhte the, aur bayan karte the ke unke waalid-e-giraami (Ibne Umar h) un muqamaat par namaz padha karte the, aur unho’n ne Nabi (ﷺ) ko un jagho’n mein namaz padhte hue dekha tha.

Moosa bin Uqba kehte hain: Mujhe se Hazrat Naafe ne bhi bayan kiya ke Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) un muqamaat par namaz padhte the, aur maine is silsile mein Hazrat Saalim se maaloom kiya to unho’n ne bhi wohi muqamaat bataae jinki nishaan-dahi Hazrat Naafe ne ki thi, albatta Sharf ar Rooha ki masjid ke mutaalliq dono ka kuch ikhtelaaf tha. 



Reference : Sahih al-Bukhari 483

 : Book 8, Hadith 131
 
: Also see Hadith No. 
1535, 2336, 7345 




Narrated Hadith is about the various places on the way from Medina to Mecca where the Prophet (ﷺ) prayed and their In locations are impossible to translate.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) jab umrah ke liye jaate, isi tarah Hajjatul Widaa mein jab hajj ke liye tashreef le gae to Dhul-Hulaifah mein us keekar* ke neeche padaao karte jahaa’n ab Masjid-e-Dhul-Hulaifa hai. Aur jab aap jihaad, hajj ya umrah se (madina) waapas aate aur us raaste se guzarte to Waadi-e-Aqeeq ke nasheb mein utarte. Jab waha’n se oopar chadhte to apni oontni ko batha mein bithaate, jo waadi ke mashriqi kinaare par hai aur aakhir shab mein wahee’n araam farmate, yahaa’n tak ke subah ho jaati. Ye muqam us masjid ke paas nahi jo pattharo’n se bani hai, aur na us teele par hai jis par masjid hai, balke us jagah ek gehra naala tha. Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) uske paas namaz padha karte the. Uske andar kuch (ret ke) teele the, Rasool Allah (ﷺ) wahee’n namaz padhte the.
(Raawi kehta hai) Lekin ab naale ki roo (paani ke bahaao) ne waha’n kankariyaa’n bichaadi hain, aur us muqaam ko chupa diya hai jaha’n Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz padha karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 484

 : Book 8, Hadith 132
 
: Also see Hadith No.
 
1532, 1533, 1799
 :*Babool, babool ka chota darakht




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne waha’n bhi namaz padhi jaha’n ab choti si masjid hai, us masjid ke qareeb jo rooha ki bulandi par waaqe hai. Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) us muqam ki nishaan-dahi karte the jaha’n Nabi (ﷺ) ne namaz adaa ki thi, aur kehte the ke jab tu masjid mein namaz padhe to wo jagah tere daae’n haath ki taraf padti hai. Aur ye (choti masjid) makkah ko jaate hue raaste ke daae’n kinaare par waaqe hai. Uske aur badi masjid ke darmiyan kam-o-besh patthar phenkne ki masaafat hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 485

 : Book 8, Hadith 133




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) is choti si pahaadi ke paas bhi namaz padha karte the jo Rooha ke khaatme par hai. Us pahaadi ka silsila raaste ke aakhri kinaare par jaakar khatam ho jaata hai. Makkah ko jaate hue us masjid ke qareeb jo us (pahaadi) ke aur rooha ke aakhri hisse ke darmiyan hai. Wahaa’n ek aur masjid ban gai hai. Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) us masjid mein namaz nahi padha karte the, balkey usey apni baae’n taraf aur peeche chodh dete aur uske aage pahaadi ke paas namaz padhte the. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) zawaal-e-aftaab ke baad rooha se chalte, phir Zohar ki namaz usi jagah pohonch kar adaa karte. Aur jab makkah se waapas aate, to subah hone se kuch der pehle yaa sehri ke aakhri waqt waha’n padaao karte aur fajr ki namaz padhte.



Reference : Sahih al-Bukhari 486

 : Book 8, Hadith 134


See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) muqaam-e-ruwaitha ke qareeb daae’n jaanib kushaada, naram aur hamwaar jagah mein ek bohot bade ghane darakht ke neeche utarte, yahaa’n tak ke us teele se bhi aage guzar jaate jo ruwaitha ke raaste se do (2) meel ke qareeb hai. Us darakht ka balaai hissa toot gaya hai, aur ab darmiyan se khameeda* ho kar apne taney par khada hai. Uski jad mein bohot se ret ke teele hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 487

 : Book 8, Hadith 135
 
*Jhuka hua, kham khaaya hua, muda hua




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne us teele ke kinaare par bhi namaz padhi jaha’n se paani utarta hai. Ye Muqam-e-Hazbah ko jaate hue Arj ke peeche waaqe hai. Us masjid ke paas do (2) yaa teen (3) qabre’n hain, un par oopar tale patthar rakhe hue hain. Ye raaste se daae’n jaanib un bade pattharo’n ke paas hai, jo raaste par waaqe hain. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) dopaher ko zawaal ke baad se un bade pattharo’n ke darmiyan chalte, phir Zohar ki namaz us masjid mein adaa karte.



Reference : Sahih al-Bukhari 488

 : Book 8, Hadith 136




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) un bade darakhto’n ki paas utare jo raaste ke baae’n jaanib Harsha pahaadi ke paas waadi mein hain. Ye waadi-e-harsha ke kinaare se mil gai hai. Waadi aur raaste ke darmiyan ek teer phenkne ka faasla hai. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) us bade darakht ke paas namaz padhte jo waha’n tamaam darakhto’n se bada aur raaste ke ziyaada qareeb tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 489

 : Book 8, Hadith 137




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) us waadi mein padaao karte jo "Mar'az Zahraan” ke nasheb mein muqaam-e-safrawaat se utarte waqt madina ki jaanib hai. Aap us waadi ke nasheb mein padaao karte jo makkah jaate hue raaste ki baae’n jaanib waaqe hai. Aap jaha’n utarte us mein aur aam raaste ke darmiyan ek patthar phenkne ka faasla hota.



Reference : Sahih al-Bukhari 490

 : Book 8, Hadith 138




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) muqaam-e-zee-tuwa mein utra karte aur raat yahee’n guzaara karte the. Subah hoti to namaz-e-fajr yahee’n padhkar makkah mukarrama ko rawaana hote. yahaa’n Rasool Allah (ﷺ) ke namaz padhne ki jagah ek bade teele par thi. Ye wo jagah nahi, jaha’n aaj masjid bani hui hai, balke uske nasheb mein bada teela waaqe hai. 



Reference : Sahih al-Bukhari 491

 : Book 8, Hadith 139
 
: Also see Hadith No. 
1767, 1769




See translation for hadith 484 above


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne us pahaad ke dono darro’n ka rukh kiya, jo uske aur jabat-at-taweel ke darmiyan Ka’abe ki simt mein hai. Aap us masjid ko jo teele ke kinaare par ab waha’n taameer hui hai, apni baae’n jaanib kar lete. Nabi (ﷺ) ke namaz padhne ki jagah usse neeche siyaahi maael teele par thi. (Agar tu) teele se kam-o-besh 10 haath chodhkar waha’n namaz padhe to tera rukh seedha pahaad ki dono ghaatiyo’n ki taraf hoga, yaane wo pahaadi jo tere aur baitullah ke darmiyan waaqe hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 492

 : Book 8, Hadith 140





Sutre Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael
[Virtues of the Prayer Hall (Sutra of the Musalla)]


Baab 90: Imam Ka Sutrah Muqtadiyo’n Ka Bhi Sutrah Hai






Narrated Ibn 'Abbas:

Once I came riding a she-ass when I had just attained the age of puberty. Allah's Apostle (ﷺ) was offering the prayer at Mina with no wall in front of him and I passed in front of some of the row.
There I dismounted and let my she-ass loose to graze and entered the row and nobody objected to me about it.


Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Main jawaani ke qareeb pohoncha hua tha, jab gadhi par sawaar ho kar namaz ke liye aaya. Us waqt Rasool Allah (ﷺ) Mina mein deewaar ke alaawa (kisi aur sutre) ki taraf rukh karke logo’n ko namaz padha rahe the. Maine namaziyo’n ki saff ke ek hisse ke saamne se guzra aur utar gaya. Phir maine gadhi ko charne ke liye chodh diya aur khud namaz ki saff mein shaamil ho gaya, lekin kisi ne mujh par is silsile mein koi eteraaz na kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 493

 : Book 8, Hadith 141




Narrated Ibn 'Umar:

Whenever Allah's Apostle (ﷺ) came out on 'Id day, he used to order that a Harba (a short spear) be planted in front of him (as a Sutra for his prayer) and then he used to pray facing it with the people behind him and used to do the same while on a journey. After the Prophet (ﷺ), this practice was adopted by the Muslim rulers (who followed his traditions).


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) jab eid ke din (madina se) baahar tashreef le jaate to chota nayza gaadne ka hukum dete. Jab uski taameel kardi jaati to aap uski taraf rukh karke namaz padhte aur log aapke peeche khade hote the. Dauran-e-safar mein bhi aa paisa hi karte the. (Musalmano ke) Khulafa ne bhi isi wajah se barcha saath rakhne ki aadat apnali hai.




Reference : Sahih al-Bukhari 494

 : Book 8, Hadith 142
 
: Also see Hadith No.
 498, 972, 973 




Narrated 'Aun bin Abi Juhaifa:

I heard my father saying, "The Prophet (ﷺ) led us, and prayed a two-Rak'at Zuhr prayer and then a two-Rak'at 'Asr prayer at Al-Batha' with an 'Anza (planted) in front of him (as a Sutra) while women and donkeys were passing in front of him (beyond that 'Anza)."

Ravi Hazrat Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ne waadi-e-batha mein logo’n ko namaz padhaai aur aapke saamne nayza gaad diya gaya. Aap (ﷺ) ne (safar ki wajah se) Zohar ki do (2) rakat adaa kee’n, isi tarah Asr ki bhi do (2) Rakat padhee’n. Aap (ﷺ) ke saamne se aurte’n aur gadhe guzar rahe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 495

 : Book 8, Hadith 143





Baab 91: Namazi Aur Sutre Mein Faasle Ki Miqdaar






Narrated Sahl (bin Sa'd):

The distance between the Musalla of Allah's Apostle (ﷺ) and the wall was just sufficient for a sheep to pass through.


Ravi Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ki jaae namaz aur deewaar ke darmiya is qadar faasla tha ke bakri guzar sakti thi. 



Reference : Sahih al-Bukhari 496

 : Book 8, Hadith 144
 
: Also see Hadith No. 
7334


Narrated Salama:

The distance between the wall of the mosque and the pulpit was hardly enough for a sheep to pass through.


Ravi Hazrat Salama bin Akwa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Masjid-e-nabawi ki deewaar qibla, mimbar se itni qareeb thi ke ba-mushkil bakri ke guzarne ki gunjaaesh thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 497

 : Book 8, Hadith 145





Baab 92: Nayze Ki Taraf Rukh Karke Namaz Padhna






Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) used to get a Harba planted in front of him (as a Sutra) and pray behind it.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke liye nayza gaad diya jaata tha, aur aap uski taraf rukh karke namaz padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 498

 : Book 8, Hadith 146 





Baab 93: Chote Nayze Ki Taraf Rukh Karke Namaz Padhna






Narrated 'Aun bin Abi Juhaifa:

That he had heard his father saying, "Allah's Apostle (ﷺ) came to us at mid-day and water was brought for his ablution. He performed ablution and led us in Zuhr and 'Asr prayers with an 'Anza planted in front of him (as a Sutra), while women and donkeys were passing beyond it."


Ravi Hazrat Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) dopaher ke waqt hamaare paas tashreef laae to aapke saamne wazoo ka paani pesh kiya gaya. Chunache aap (ﷺ) ne wazoo farmaya aur hem’n Zohar aur Asr ki namaz padahi. Jabke aap (ﷺ) ke saamne chota nayza tha, aurte’n aur gadhe neze ke aagey se guzar rahe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 499

 : Book 8, Hadith 147




Narrated Anas Ibn Malik:

Whenever the Prophet (ﷺ) went for answering the call of nature, I and another boy used to go after him with a staff, a stick or an 'Anza and a tumbler of water and when he finished answering the call of nature we would hand that tumbler of water to him.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab rafa-e-haajat ke liye nikalte to main aur ek ladka aapke peeche chalte. Hamaare paas nok-daar lakdi yaa danda yaa chota nayza hota aur ham paani ki chaagal* bhi hamraah le jaate. Jab aap apni haajat se faarigh ho jaate to ham aapko chaagal de dete.



Reference : Sahih al-Bukhari 500

 : Book 8, Hadith 148
 
*Mashkeeza, mitti, dhaat ya chamde ka wo bartan ya kuppi jis mein paani bhar kar
    musaafir apne saath le jaate hain





  Baab 94: Makkah Aur Ghair-e-Makkah Mein Sutre Ka Ehtemaam







Narrated Abu Juhaifa:

Allah's Apostle (ﷺ) came out at midday and offered a two-Rakat Zuhr and 'Asr prayers at Al-Batha and 'Anza was planted in front of him (as a Sutra). He performed ablution and the people took the remaining water left after his ablution and rubbed their bodies with it.


Ravi Hazrat Abu Juhaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) dopaher ke waqt hamaare paas tashreef laae aur aap ne batha mein Zohar aur Asr ki do (2) rakat padhaae’n, aur aap (ﷺ) ne dauran-e-namaz mein apne saamne ek chota nayza khada kar liya. Jab aapne wazoo kiya to log aapke wazoo ke paani ko apne mu’n par malne lagey.



Reference : Sahih al-Bukhari 501

 : Book 8, Hadith 149





Baab 95: Sutoon Ki Taraf Rukh Karke Namaz Padhna






Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke baate’n karne waalo’n ki ba-nisbat namaz padhne waale sutoono’n ke ziyaada haqdaar hain. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek shakhs ko do (2) sutoono’n ke darmiyan namaz padhte dekha, to usey ek sutoon ke qareeb kar diya aur farmaya ke uski taraf rukh karke namaz padho.




Narrated Yazid bin Al 'Ubaid:

I used to accompany Salama bin Al-Akwa' and he used to pray behind the pillar which was near the place where the Qurans were kept I said, "O Abu Muslim! I see you always seeking to pray behind this pillar." 
He replied, "I saw Allah's Apostle (ﷺ) always seeking to pray near that pillar."


Ravi Hazrat Yazeed bin Abu Obaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main Hazrat Salama bin Akwa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke saath (masjid-e-nabawi mein) aaya karta tha. Wo hamesha us sutoon ko saamne karke namaz padhte, jaha’n mushaf shareef rakha hota tha. 
Maine unse poocha: Aye Abu Muslim! Tum is sutoon ke qareeb hi namaz padhne ki koshish kyou’n karte ho? 
Unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko dekha hai ke wo bhi koshish se is sutoon ko saamne karke namaz padha karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 502

 : Book 8, Hadith 150




Narrated Anas:

I saw the most famous people amongst the companions of the Prophet (ﷺ) hurrying toward the pillars at the Maghrib prayer before the Prophet (ﷺ) came for the prayer.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ke bade bade sahaaba ikram ko dekha hai, wo Maghrib ki namaz ke waqt sutoono’n ke saamne jaldi chale jaate the.
Shu’ba ne is riwayat mein ye izaafa bayan kiya hai: Ta-aa’nke Nabi (ﷺ) (apne hujre se) baahar tashreef laate. 



Reference : Sahih al-Bukhari 503

 : Book 8, Hadith 151
 
: Also see Hadith No.
 625





Baab 96: Akele Namazi Ka Do (2) Sutoono’n Ke Darmiyan Namaz Padhna







Narrated Ibn 'Umar:

The Prophet (ﷺ) entered the Ka'ba along with Usama bin Zaid, 'Uthman bin Talha and Bilal and remained there for a long time. When they came out, I was the first man to enter the Ka'ba. 
I asked Bilal "Where did the Prophet (ﷺ) pray?" 
Bilal replied, "Between the two front Pillars."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ), Hazrat Usama bin Zaid, Hazrat Usman bin Talha, aur Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) khana-e-ka’aba ke andar daakhil hue aur der tak andar rahe, phir baahar nikle. Main pehla shakhs tha, jo aapke peeche waha’n pohoncha, phir maine Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Aap (ﷺ) ne kaha’n namaz padhi? Unho’n ne jawab diya: Agle do (2) sutoono’n ke darmiyan.



Reference : Sahih al-Bukhari 504

 : Book 8, Hadith 152




Narrated Nafi':

'Abdullah bin 'Umar said, "Allah's Apostle (ﷺ) entered the Ka'ba along with Usama bin Zaid, Bilal and 'Uthman bin Talha Al-Hajabi closed the door and stayed there for some time. 
I asked Bilal when he came out, 'What did the Prophet (ﷺ) do?' 
He replied, 'He offered prayer with one pillar to his left and one to his right and three behind.' In those days the Ka'ba was supported by six pillars." 
Malik said: "There were two pillars on his (the Prophet (ﷺ)'s) right side."


Ravi Hazrat Naafe:

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) hi se riwayat hai ke Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Usama bin Zaid, Hazrat Bilal aur Hazrat Usman bin Talha Hajabi (رضي الله عنهم) khana-e-ka’aba ke andar daakhil hue, phir andar se Hazrat Usman ne darwaza band kar diya aur aap (ﷺ) Ka’abe ke andar thehre rahe. Jab baahar tashreef laae to maine Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Nabi (ﷺ) ne (baitullah ke andar) kya kaam kiya?
Unho’n ne bataaya: Aap (ﷺ) ne ek (1) sutoon ko apni baae’n jaanib aur ek (1) ko daae’n jaanib aur teen (3) sutoono’n ko apne aqb mein kar liya, us waqt Ka’abe ki imaarat che (6) sutoono’n par thi. Phir aap (ﷺ) ne namaz padhi.

(Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Hamse) Ismail ne bayan kiya ke mujhse Imam Maalik ne farmaya: Aap (ﷺ) ne do (2) sutoono’n ko apni daae’n jaanib kiya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 505

 : Book 8, Hadith 153 



Baab 97: Bila-Unwaan






Narrated Nafi':

Whenever 'Abdullah entered the Kaaba, he used to go ahead leaving the door of the Kaaba behind him. He would proceed on till the remaining distance between him and the opposite wall was about three cubits. Then he would off prayer there where the Prophet (ﷺ) had offered Salat, as Bilal informed me. 
Ibn Umar said, "It does not matter for any of us to offer prayers at any place inside the Kaaba."


Ravi Hazrat Naafe:

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) jab baitullah mein daakhil hote to saamne ki taraf badhte chale jaate aur baitullah ke darwaze ko apni pusht ki taraf kar lete. Phir aage badhte, yahaa’n tak ke jab unke aur saamne waali deewaar ke darmiyan taqriban 3 haath ka faasla reh jaata to namaz padhte. Is tarah Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz padhne ke liye us jagah ka rukh karte jiske mutaalliq unhe’n Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ittela di thi ke waha’n Nabi (ﷺ) ne namaz padhi hai. 
(Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) wazaahat farmate hain ke) Ham mein se ksii ke liye is baat mein koi muzaaeqa nahi ke wo baitullah ke jis goshe mein chaahe namaz padhe.



Reference : Sahih al-Bukhari 506

 : Book 8, Hadith 154





Baab 98: Sawaari, Oont, Darakht, Aur Palaan Ki Taraf Namaz Padhna







Narrated Nafi:

"The Prophet (ﷺ) used to make his she-camel sit across and he would pray facing it (as a Sutra)." 
I asked, "What would the Prophet (ﷺ) do if the she-camel was provoked and moved?" 
He said, "He would take its camel-saddle and put it in front of him and pray facing its back part (as a Sutra). 
And Ibn 'Umar used to do the same." (This indicates that one should not pray except behind a Sutra).


Ravi Hazrat Naafe:

Nabi (ﷺ) apni sawaari ko chaudaai mein baitha dete, phir uski taraf mu’n karke namaz padhte the. 
(Naafe kehte hain:) Maine arz kiya: Accha ye bataaiye ke agar sawaari ke oont apni jagah se uth jaate to aap kya karte the? 
Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Is soorat mein aap paalaan ko apne saamne khada kar lete aur uski pichli lakdi ki taraf rukh karke namaz padhte. Aur Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bhi yehi amal tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 507

 : Book 8, Hadith 155




Baab 99: Char-paai Ki Taraf Rukh Karne Namaz Padhna






Narrated 'Aisha:

Do you make us (women) equal to dogs and donkeys? 
While I used to lie in my bed, the Prophet (ﷺ) would come and pray to face the middle of the bed. I used to consider it not good to stand in front of him in his prayers. So I used to slip away slowly and quietly from the foot of the bed till I got out of my guilt.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Tum logo’n ne hame’n kutto’n aur gadho’n ke baraabar kar diya, halaa’nke maine apne aapko dekha ke char-paai par leti hoti, Rasool Allah (ﷺ) tashreef laate aur char-paai ko (apne aur qible ke) darmiyan kar lete, phir namaz padh lete the. Mujhe aapke saamne hona bura maaloom hota, is liye main paae’nti* ki taraf khisak kar lehaaf se baahar ho jaati.



Reference : Sahih al-Bukhari 508

 : Book 8, Hadith 156
 
*Chaar-paai ki wo simt ya jagah jidhar pair phailaae jaae’n





Baab 100: Namazi Ko Chaahiye Ke Wo Apne Saamne Se Guzarne Waale Ko Roke







Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne tasshahud mein baithe hue aur baitullah mein, guzarne waale ko roka aur farmaya ke agar guzarne waala ladaai ke baghair baaz na aae to usse ladna chaahiye.




Narrated Abu Salih As-Samman:

I saw Abu Said Al-Khudri praying on a Friday, behind something which acted as a Sutra. A young man from Bani Abi Mu'ait wanted to pass in front of him, but Abu Said repulsed him with a push on his chest. Finding no alternative he again tried to pass but Abu Said pushed him with a greater force.
The young man abused Abu Said and went to Marwan and lodged a complaint against Abu Said Abu Said followed the young man to Marwan who asked him, "O Abu Said! What has happened between you and the son of your brother?" 
Abu Sa'id said to him, "I heard the Prophet (ﷺ) saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse him and if he refuses, he should use force against him for he is a satan.' "


Ravi Abu Saaleh Sammaan:

Maine Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha ke juma al mubarak ke din ksii cheez ko logo’n se sutrah banakar namaz padh rahe the, ke Abu Mu’ayt ke beto’n mein se ek naujawan ne unke aage se guzarne ki koshish ki. Hazrat Abu Saeed ne usko seen se dhakel kar rokna chaaha. Naujawan ne chaaro’n taraf nazar daudaai, lekin aage se guzarne ke alaawa usey koi raasta na mila. Wo phir us taraf se nikalne ke liye lauta, to Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne usey pehle se ziyaada zordar dhakka diya. Usne ispar Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko bura-bhala kaha. Baad azaa’n w Hazrat Marwan ke paas pohonch gaya aur Abu Saeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se jo muaamala pesh aaya tha, uski shikaayat ki. Hazrat Abu Saeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi uske peeche Marwan ke paas pohonch gae. 
Marwan ne kaha: Aye Abu Saeed! Tumahra aur tumahre bhateeje ka kya muaamala hai? 
Hazrat Abu Saeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate suna hai: “Tum mein se koi agar kisi cheez ko logo’n se sutrah banakar namaz padhe, phir koi uske saamne se guzarne ki koshish kare, to wo (namazi) usey roke. Agar wo (guzarne waala) na ruke to usse lade, kyou’nke wo shaitan hai”. 



Reference : Sahih al-Bukhari 509

 : Book 8, Hadith 157
 
: Also see Hadith No. 
3274 





Baab 101: Namazi Ke Aage Se Guzarne Waale Par Gunah






Narrated Busr bin Said:

That Zaid bin Khalid sent him to Abi Juhaim to ask him what he had heard from Allah's Apostle (ﷺ) about a person passing in front of another person who was praying. 
Abu Juhaim replied, "Allah's Apostle (ﷺ) said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him."

Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."


Ravi Hazrat Basar bin Saeed:

Hazrat Zaid bin Khalid ne unhe’n Hazrat Abu Jaheen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki taraf bheja, ke unse namazi ke saamne se guzarne waale ke mutaalliq pooche’n, ke unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) se uski baabat kya suna hai? 
Unho’n ne kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar namazi ke saamne se guzarne waala ye jaanta ke uspar kis qadar gunah hai, to aage se guzarne ke bajaae waha’n 40 tak kahde rehne ko pasand karta”.

(Raawi-e-hadees) Abu an-Nazar ne kaha: Mujhe yaad nahi rah ake Basar bin Saeed ne 40 din kahe yaa mahine yaa saal.



Reference : Sahih al-Bukhari 510

 : Book 8, Hadith 158





Baab 102: Admi Ka Admi Ki Taraf Rukh Karna Jabke Wo Namaz Padh Raha Ho







Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne namazi ki taraf rukh karke baithne ko naa-pasand farmaya. Ye us soorat mein hai, jab namazi ki tawajjo saamne waale ki taraf ho jaae. Lekin agar tawajjo na ho, to Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mujhe iski koi parwaah nahi, kyou’nke ek shaksh doosre ki namaz ko nahi tod sakta.




Narrated 'Aisha:

The things which annul the prayers were mentioned before me. 
They said, "Prayer is annulled by a dog, a donkey and a woman (if they pass in front of the praying people)." 
I said, "You have made us (i.e. women) dogs. I saw the Prophet (ﷺ) praying while I used to lie in my bed between him and the Qibla. Whenever I was in need of something, I would slip away. for I disliked to face him."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Unke saamne tazkira hua ke namaz ko kya cheez tod deti hai, logo’n ne kaha: Kutte, gadhe, aur aurat ke (namazi ke) saamne se guzarne se namaz toot jaati hai. 
Us par Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Tum logo’n ne ham aurto’n ko to kutto’n ke baraabar bana diya hai. Halaa’nke maine Nabi (ﷺ) ko is tarah namaz padhte dekha hai ke main aapke aur qible ke darmiyan char-paai par leti hoti thi, phir agar mujhe koi zaroorat hoti aur main ba-haalat-e-namaz aapke saamne aane ko naa-pasand samajhti, to aahista se khisak kar nikal jaati.

Hazrat Amash, Ibrahim a’an al-Aswad ki sanad ke saath bhi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se isi tarah ki riwayat karte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 511

 : Book 8, Hadith 159





Baab 103: Soe Hue Shakhs Ki Taraf Rukh Karke Namaz Padhna







Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) used to pray while I was sleeping across in his bed in front of him. Whenever he wanted to pray Witr, he would wake me up and I would pray Witr.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) namaz padhte rehte aur main (aapke saamne) bistar par arz ke bal soe rehti. Aur jab aap (ﷺ) witr padhna chaahte to mujhe bedaar kar dete, chunache main bhi witr padh leti.



Reference : Sahih al-Bukhari 512

 : Book 8, Hadith 160





Baab 104: Aurat Ki Taraf Rukh Karke Nafil Namaz Padhna






Narrated 'Aisha:

the wife of the Prophet (ﷺ), "I used to sleep in front of Allah's Apostle (ﷺ) with my legs opposite his Qibla (facing him); and whenever he prostrated, he pushed my feet and I withdrew them and whenever he stood, I stretched them." 
'Aisha added, "In those days there were no lamps in the houses."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Main Rasool Allah (ﷺ) ke saamne is tarah soya karti thi ke mere paao’n aapke qible ki jagah mein hote. Jab aap sajda karte to mere paao’n ko choote, main unhe’n samet leti. Phir jab aap (ﷺ) khade hote to main unhe’n phaila deti. 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Un dino’n gharo’n mein chiragh nahi hote the.



Reference : Sahih al-Bukhari 513

 : Book 8, Hadith 161



Baab 105: Jisne Ye Kaha Ke Namaz Ko Koi Cheez Nahi Todti






Narrated 'Aisha:

The things which annual prayer was mentioned before me (and those were): a dog, a donkey and a woman. 
I said, "You have compared us (women) to donkeys and dogs. By Allah! I saw the Prophet (ﷺ) praying while I used to lie in (my) bed between him and the Qibla. Whenever I was in need of something, I disliked sitting and troubling the Prophet (ﷺ). So, I would slip away by the side of his feet."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hazrat Masrooq se riwayat hai ke Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke saamne chand cheezo’n ka zikr kiya gaya, jinse namaz toot jaati hai. Yaane kutta, gadha, aur aurat. To Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Tum logo’n ne ham aurto’n ko gadho’n aur kutto’n ke mushaaba qaraar de diya hai. Jabke maine Nabi (ﷺ) ko is haalat mein namaz padhte dekha hai, ke main aapke aur qible ke darmiyan char-paai par leti rehti thi. Phir mujhe koi zaroorat pesh aati aur main aapke saamne baithne ko pasand na karti. Mabaada aap ki aziyyat ya naa-gawaari ka baais banoo’n, to aap ki paae’nti ki taraf se khisak kar nikal jaati.



Reference : Sahih al-Bukhari 514

 : Book 8, Hadith 162




Narrated 'Aisha:

(The wife of the Prophet ﷺ) Allah's Apostle (ﷺ) used to get up at night and pray while I used to lie across between him and the Qibla on his family's bed.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) raat ko khade ho kar namaz padhte the, jabke main aapke aur qible ke darmiyan aapke ghar ke bistar par arz mein (jazane ki tarah) leti rehti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 515

 : Book 8, Hadith 163





Baab 106: Dauran-e-Namaz Mein Choti Bacchi Ko Gardan Par Uthaa Lena







Narrated Abu Qatada Al-Ansari:

Allah's Apostle (ﷺ) was praying and he was carrying Umama the daughter of Zainab, the daughter of Allah's Apostle (ﷺ) and she was the daughter of 'As bin Rabi'a bin 'AbduShams. When he prostrated, he put her down and when he stood, he carried her (on his neck).


Ravi Hazrat Abu Qatada Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Umaama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko uthaae hue namaz padh lete the, jo aap ki lakht-e-jigar Hazrat Zainab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aur Hazrat Abul Aas bin Rabeea bin Abdush Shams ki beti thi. Jab aap sajda karte to usey utaar dete aur jab khade hote to usey uthaa lete. 



Reference : Sahih al-Bukhari 516

 : Book 8, Hadith 164
 
: Also see Hadith No. 
5996 





Baab 107: Aise Bister Ki Taraf Rukh Karke Namaz Padhna Jis Par Haaeza Aurat Leti Ho







Narrated Maimuna bint Al-Harith:

My bed was beside the praying place (Musalla) of the Prophet (ﷺ) and sometimes his garment fell on me while I used to lie in my bed.


Ravi Hazrat Maimoona bint Haaris (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Mera bistar Nabi (ﷺ) ki jaae namaz ke baraabar mein hota. Basa auqaat aapka kapda mere badan par aajata, jabke main apne bistar par hoti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 517

 : Book 8, Hadith 165




Narrated Maimuna:

The Prophet (ﷺ) used to pray while I used to sleep beside him during my periods (menses) and in prostrations his garment used to touch me.


Ravi Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
 
Nabi (ﷺ) is tarah namaz padhte the ke main aapke baraabar soi hoti. Jab aap (ﷺ) sajde mein jaate to aapka kapda mere jis par aajata, jabke main ba-haalat-e-haiz hoti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 518

 : Book 8, Hadith 166





Baab 108: Kya Ye Jaaez Hai Ke Namazi Apni Biwi Ke Paao’n Ko Dabade Taake Wo Sajda Kar Sakey?







Narrated 'Aisha:

It is not good that you people have made us (women) equal to dogs and donkeys. No doubt I saw Allah's Apostle (ﷺ) praying while I used to lie between him and the Qibla and when he wanted to prostrate, he pushed my legs and I withdrew them.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Tum logo’n ne bohot bura kiya ke ham aurto’n ko kutte aur gadhe ke barabar kar diya. Beshak maine Rasool Allah (ﷺ) ko is haalat mein namaz padhte dekha hai ke main aapke aur qible ke darmiyan leti rehti. Jab aap sajda karna chaahte to mere paao’n ko tatol kar daba dete aur main unhe’n samet leti.



Reference : Sahih al-Bukhari 519

 : Book 8, Hadith 167





Baab 109: Aurat Ka Namazi Ke BAdan Se Paleed Cheeze’n Door Karna







Narrated 'Amr bin Maimun:

'Abdullah bin Mas'ud said, "While Allah's Apostle (ﷺ) was praying beside the Ka'ba, there were some Quraish people sitting in a gathering. One of them said, 'Don't you see this (who does deeds just to show off)? Who amongst you can go and bring the dung, blood and abdominal contents (intestines, etc) of the slaughtered camels of the family of so and so and then wait till he prostrates and put that in between his shoulders?' 
The most unfortunate amongst them ('Uqba bin Abi Mu'ait) went (and brought them) and when Allah's Apostle (ﷺ) prostrated, he put them between his shoulders. The Prophet (ﷺ) remained in prostration and they laughed so much so that they fell on each other. A passerby went to Fatima, who was a young girl in those days. She came running and the Prophet (ﷺ) was still in prostration. She removed them and cursed the Quraish on their faces. When Allah's Apostle (ﷺ) completed his prayer, he said, 'O Allah! Take revenge on Quraish.' 
He said so thrice and added, 'O Allah! take revenge on 'Amr bin Hisham, 'Utba bin Rabia, Shaiba bin Rabi'a, Al-Walid bin'Utba, Umaiya bin Khalaf, 'Uqba bin Abi Mu'ait and 'Umar a bin Al-Walid." 
Abdullah added, "By Allah! I saw all of them dead on the battlefield on the day of Badr and they were dragged and thrown in the Qalib (a well) at Badr: Allah's Apostle (ﷺ) then said, 'Allah's curse has descended upon the people of the Qalib (well).


Ravi Amr bin Maimun:

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Ek dafa Rasool Allah (ﷺ) khana-e-ka’aba ke paas khade ho kar namaz padh rahe the, aur kuffaar-e-quraish ki ek jamat bhi waha’n majlis lagakar baithi hui thi. 
Un mein se kisi kehne waale ne kaha: Kya tum is riyakaar ko nahi dekhte? 
Kya tum mein se koi aisa hai, jo falaa’n khandan ki zibah-shuda oontni ke paas jaae aur uske gobar, khoon aur baccha-daani ko uthakar laae? 
Phir iska intezar kare, jab ye sajde mein jaae to un tamaam cheezo’n ko uske kandho’n ke darmiyan rakhde? 
Chunache us jamat ka sabse bada bad-bakht is kaam ke liye taiyyaar hua aur usey utha laaya. 
Phir jab Rasool Allah (ﷺ) sajde mein gae to usne sab kuch aapke dono shaano’n ke darmiyan rakh diya. 
Nabi (ﷺ) ba-haalat-e-sajda thehre rahe aur kaafir (Rasool Allah ﷺ ki) is haalat par buri tarah haste rahe. Aur hasi ki wajah se ek doosre par girte jaa rahe the. Andaree’n-halaat kisi ne Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ko ittela di. Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) us waqt kam-umr bacchi thee’n, chuanche wo ittela paate hi daudi hui aaee’n. 
Rasool Allah (ﷺ) us waqt sajde hi ki haalat mein the. Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne ye tamaam cheeze’n Rasool Allah (ﷺ) ke kandho’n se door kar dee’n, phir kuffaar ki taraf rukh karke unhe’n sakht bura bhala kaha. 
Jab Rasool Allah (ﷺ) namaz se farigh ho gae to aap ne unke khilaaf baae’n-alfaaz bad-dua ki: “Aye Allah! Quraish ko apni giraft mein lele. Aye Allah! Quraish ko apni giraft mein lele”. 
Phir aap ne naam-ba-naam baae’n-alfaaz bad-dua farmaai: “Aye Allah! Amr bin Hisham (Abu Jahal), Utbah bin Rabeea, Shaiba bin Rabeea, Waleed bin Utba, Umaiyya bin Khalaf, Uqba bin Abi Mu’ayt aur Umaarah bin Waleed ko apni giraft mein lele”.

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: Allah ki qasam! Maine un (naam-zad) tamaam logo’n ko ghazwa-e-badr waale din murda haalat mein girey-pade dekha. Phir unki laasho’n ko kheench-kar badr ke gande koonwe mein daal diya gaya. Rasool Allah (ﷺ) ne (unke mutaalliq) farmaya: “Jo log badr ke koonwe mein daale gae hain un par Allah ki laanat musallat kardi gai hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 520

 : Book 8, Hadith 168





PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT