SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

9. Auqaat-e-Namaz Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael
[Times of the Prayers/كتاب مواقيت الصلاة]
[521 To 602]



Baab 1: Namazo’n Ke Auqaat Aur Unki Fazilat Ka Bayaan






Aur Allah Ta’ala ke is qaul ki wazaahat: Bila-shubha Ahle Iman Par Paabandi-e-Waqt Ke saath Namaz Ka Adaa Karna Farz Hai. [Surah an-Nisa: 103] 
"مَوْقُوتًا” ke maane hain: Waqt-e-muqarrara par, yaane Allah ne unke liye namzo’n ke auqaat muqarrar kar diye hain.




Narrated Ibn Shihab:

Once'Umar bin 'Abdul 'Aziz delayed the prayer and 'Urwa bin Az-Zubair went to him and said,
"Once in 'Iraq, Al-MughTra bin Shu'ba delayed his prayers and Abi Mas'ud Al-Ansari went to him and said, 'O Mughira! What is this? 
Don't you know that once Gabriel came and offered the prayer (Fajr prayer) and Allah’s Apostle (ﷺ) prayed too, then he prayed again (Zuhr prayer) and so did Allah’s Apostle (ﷺ) and again he prayed ('Asr prayers and Allah’s Apostle (ﷺ) did the same; again he prayed (Maghrib-prayer) and so did Allah’s Apostle (ﷺ) and again prayed ('Isha prayer) and so did Allah's Apostle (ﷺ) and (Gabriel) said, 'I was ordered to do so (to demonstrate the prayers prescribed to you)?'"
'Umar (bin 'Abdul 'AzTz) said to 'Urwa, "Be sure of what you Say. Did Gabriel lead Allah’s Apostle (ﷺ) at the stated times of the prayers?"
'Urwa replied, "Bashir bin Abi Mas'ud narrated like this on the authority of his father." 


Ravi Hazrat Ibne Shihab:

Hazrat Umar bin Abdul Aziz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek din (Asr ki) namaz ko muakh-khar kar diya to unke paas Hazrat Urwah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae aur unse kaha ke Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) jab Iraq mein (governer) the tab ek din unse namaz mein kuch takheer ho gai. Hazrat Abu Masood Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) unke paas aae aur unse kaha: Aye Mugheera! Aapne aisa kyou’n kiya? Kya aapko maloom nahi ke ek din Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) naazil hue aur unho’n ne namaz padhi to Rasool Allah (ﷺ) ne bhi unke saath namaz adaa ki, phir doosri namaz ka waqt hua to Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke saath Rasool Allah (ﷺ) ne namaz padhi, phir teesri namaz ke waqt Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki maiyyat* mein Rasool Allah (ﷺ) ne namaz adaa ki. Phir chauthi namaz ke waqt bhi dono ne ekatthe namaz padhi, phir paanchwee’n namaz ke waqt Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne namaz padhi to Rasool Allah (ﷺ) ne unke saath hi namaz adaa ki. Phir aap ne farmaya: “Mujhe isi tarah namaz adaa karne ka hukum diya gaya hai”.

Hazrat Umar bin Abdul Aziz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Urwah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: Aap zara soch samajh kar bayan kare’n, kya waaqai Hazrat Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne Rasool Allah (ﷺ) ke liye auqaat-e-namaz ki nishaan-dahi ki thi? Hazrat Urwah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya ke Hazrat Basheer bin Abu Masood isi tarah apne walid Abu Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 521

 : Book 9, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
3221, 4007
 : *Saath hone ki haalat ya kaifiyat, saath hona 




Narrated Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to pray 'Asr prayer when the sun-shine was still inside her residence (during the early time of 'Asr)."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
 
Rasool Allah (ﷺ) namaz-e-Asr is haalat mein padhte the, ke dhoop unke hujre mein hoti thi, qabl iske, ke (saaya uski) deewaaro’n par numaaya’n ho.



Reference : Sahih al-Bukhari 522

 : Book 9, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
544, 545, 536, 3103 





Baab 2: Irshad-e-Baari Ta’ala:






Irshad-e-Baari Ta’ala: “Uski Taraf Rujoo Karo Aur Usse Darte Raho, Namaz Ki Paabandi Karo Aur Mushrikeen Mein Se Na Ho Jaao”[Surah ar Rum: 31], Ka Bayan


Narrated Ibn 'Abbas:

"Once a delegation of 'Abdul Qais came to Allah’s Apostle (ﷺ) and said, "We belong to such and such branch of the tribe of Rab'a and we can only come to you in the sacred months. Order us to do something good so that we may (carry out) take it from you and also invite to it our people whom we have left behind (at home)."
The Prophet (ﷺ) said, " I order you to do four things and forbid you from four things. (The first four are as follows):

1. To believe in Allah. (And then he: explained it to them i.e.) to testify that none has the right to be worshipped but Allah and (Muhammad) am Allah’s Apostle (ﷺ)
2. To offer prayers perfectly (at the stated times):
3. To pay Zakat (obligatory charity)
4. To give me Khumus

(The other four things which are forbidden are as follows):

1. Dubba
2. Hantam
3. Muqaiyat
4. Naqir (all these are utensils used for the preparation of alcoholic drinks)."


Ravi :
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Abdul Qais ka wafad Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua, unho’n ne arz kiya: Hamara taalluq Rabeea qabile se hai, aur ham aapke yahaa’n sirf hurmat waale mahino’n mein haazri de sakte hain. Is liye aap hame’n aisee baato’n ki talqeen kare’n jin par ham khud bhi amal kare’n aur apne baaqi-maanda* logo’n ko bhi daawat de’n.
Aap ne farmaya: “Main tumhe’n chaar (4) baato’n ka hukum deta hoo’n:

1. Allah par imaan laana… phir uski wazaahat farmaai, 
2. Is baat ki shahaadat dena ke Allah ke siwa koi maabood-e-bar-hqq nahi aur main Allah Ta’ala ka rasool hoo’n. 
3. Nez namaz qaaem karna, 
4. Zakat dena aur maal-e-ghanimat se paachwa hissa mujhe adaa karna. 

Aur main in chaar (4) baato’n se manaa karta hoo’n:  “ 

1. Dubba
2. Hantam
3. Muqaiyat
4. Naqir 

Inke istemaal se mana karta hoo’n (Ye charon bartan sharab banane ke liye istemal
kiye jate the)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 523

 : Book 9, Hadith 3
 
*Bachaa hua, baaqi 





Baab 3: Iqaamat-e-Salah Par Bait Karna






Narrated Jarir bin 'Abdullah:

I gave the pledge of allegiance to Allah’s Apostle (ﷺ) to offer prayers perfectly, to pay Zakat regularly, and to give good advice to every Muslim.


Ravi Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) se namaz padhne, zakat dene, aur har musalman ki khair-khwahi karne par bait ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 524

 : Book 9, Hadith 4





Baab 4: Namaz (Gunaho’n Ka) Kaffaara Hai






Narrated Shaqiq:

that he had heard Hudhaifa saying, "Once I was sitting with 'Umar and he said, 'Who amongst you remembers the statement of Allah’s Apostle (ﷺ) about the afflictions?' 
I said, 'I know it as the Prophet (ﷺ) had said it.' 
'Umar said, 'No doubt you are bold.' 
I said, 'The afflictions caused for a man by his wife, money, children and neighbour are expiated by his prayers, fasting, charity and by enjoining (what is good) and forbidding (what is evil).' 'Umar said, 'I did not mean that but I asked about that affliction which will spread like the waves of the sea.' 
I (Hudhaifa) said, 'O leader of the faithful believers! You need not be afraid of it as there is a closed door between you and it.' 
'Umar asked, Will the door be broken or opened?' 
I replied, 'It will be broken.' 
'Umar said, 'Then it will never be closed again.' 
I was asked whether 'Umar knew that door. 
I replied that he knew it as one knows that there will be a night before tomorrow morning. 
I narrated a Hadith that was free from any misstatement"
The sub-narrator added that they deputed Masruq to ask Hudhaifa (about the door). Hudhaifa said, "The door was 'Umar himself."


Ravi Hazrat Shaqiq:

Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne kaha ke ham Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas baithe hue the, unho’n ne farmaya: Tum mein se kis ko fitne ke mutaalliq Rasool Allah (ﷺ) ka farmaan yaad hai? 
Maine arz kiya: Mujhe isi tarah yaad hai jis tarah aapne farmaya tha. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Bila-shubha tum hi is qism ki baat karne ke mutaalliq jur-at kar sakte ho. 
Maine arz kiya: (Aap ne farmaya tha:) Insan ka wo fitna jo uske ghar-baar, maal-o-aulaad aur uske hamsaayo’n mein hota hai, usey to namaz, roza, sadqa-o-khairat, amr-bil-maaroof aur nahee-anil-munkar mitaa deta hai. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mera maqsad is qism ke fitne ke mutaalliq maaloomaat haasil karna nahi, balkey main us fitne ke mutaalliq dariyaaft karna chahta hoo’n jo samandar ki tarah mauj-zan* hoga. 
Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Aye Ameer-ul-momineen! Us fitne se aapko koi khatra nahi, kyou’ne uske aur aapke darmiyan ek band darwaaza haael hai. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Accha ye bataao ke wo darwaza khola jaaega yaa toda jaaega? 
Hazrat Huziafa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wo toda jaaega. 
Us par Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) goya hue: To phir kabhi band na hoga. 
Ham logo’n ne (Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se) kaha: Aaya Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) darwaze ko jaante the? 
Unho’n ne farmaya: Haa’n! Jaise kal aane waale din se pehle raat aati hai. maine unse aisee hadees bayaan ki jo chistaan** na thi. 
Ham log Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se us darwaze ke mutaalliq sawaal karne se maroob the. Lehaza ham ne (apne saathi) Masrooq se kaha, chunache unho’n ne Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se darwaze ki baabat poocha to unho’n ne farmaya: Wo darwaza khud Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the.



Reference : Sahih al-Bukhari 525

 : Book 9, Hadith 5
 
: Also see Hadith No. 
1435, 1895, 3586, 7096
 : *Josh maarta hua, ubalta hua
 : **Ghuma-phira kar ya phir khufiya andaaz mein koi baat bayaan karne ka amal 




Narrated Ibn Mas'ud:

A man kissed a woman (unlawfully) and then went to the Prophet (ﷺ) and informed him. Allah revealed: And offer prayers perfectly At the two ends of the day And in some hours of the night (i.e. the five compulsory prayers). Verily! good deeds remove (annul) the evil deeds (small sins) (Quran 11.114). 
The man asked Allah’s Apostle (ﷺ), "Is it for me?" He said, "It is for all my followers."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek aadamee ne ek aurat ko chooma (gairakaanoonee taur se) aur phir Rasool Allah (ﷺ) ke paas gaya aur unhe bataya. Us par ye aayat nazil hui:
Din Ke Dono Kinaar’n, Yaane Subah-o-Shaam Namaz Paabandi Se Padha Karo, Aur Raat Ke Kuch Hisso’n Mein Bhi Uska Ehtemaam Karo, Bila-shubha Nekiyaa’n Buraiyo’n Ko Khatam Kar Deti Hain”. [Surah Hood 11:114]
Us shakhs ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Ye hukum khaas mere liye hai? 
Aap ne farmaya: “Nahi, balkey meri tamaam ummat ke liye hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 526

 : Book 9, Hadith 6
 
: Also see Hadith No. 
4687 





Baab 5: Namaz Bar-waqt Padhne Ki Fazilat






Narrated 'Abdullah:

I asked the Prophet (ﷺ) "Which deed is the dearest to Allah?" 
He (ﷺ) replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." 
I asked, "What is the next (in goodness)?" 
He (ﷺ) replied, "To be good and dutiful to your parents" 
I again asked, "What is the next (in goodness)?" 
He (ﷺ) replied, 'To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause." 
'Abdullah added, "I asked only that much and if I had asked more, the Prophet (ﷺ) would have told me more."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) se arz kiya: Allah Ta’ala ko kaunsa amal ziyaada pasand hai? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Namaz ki bar-waqt adaaegi”. 
Unho’n ne arz kiya: Phir kaunsa? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Waledain se husn-e-sulook”. 
Unho’n ne arz kiya: Uske baad kaunsa? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Allah ki raah mein jihaad karna”. 
Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Rasool Allah (ﷺ) ne mujh se isi qadar bayan kiya, agar main mazood poochta to aap (ﷺ) aur bayan farmate.



Reference : Sahih al-Bukhari 527

 : Book 9, Hadith 7
 
: Also see Hadith No. 
2782, 5970, 7534 





Baab 6: Paacho’n Namaze’n (Gunaaho’n Ka) Kaffaara Hain






Narrated Abu Huraira:

I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" 
They said, "Not a trace of dirt would be left."
The Prophet (ﷺ) added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Agar tum mein se kisi ke darwaze par koi neher jaari ho, jis mein wo har roz 5 martaba nahaata ho, to tum kya kehte ho, ke kaam us par kuch bhi mael-kuchail chodega?”.
Sahaaba Ikram (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Aisa karne se kuch bhi mael-kuchail baaqi nahi rahega. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Paacho’n namazo’n ki yehi misaal hai. Allah Ta’ala unke zariye se gunaho’n ko mitaa deta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 528

 : Book 9, Hadith 8





Baab 7: Be-waqt Namaz Padhkar Usey Zaae Karna






Narrated Ghailan:

Anas said, "I do not find (nowadays) things as they were (practised) at the time of the Prophet (ﷺ)."
Somebody said "The prayer (is as it was.)" 
Anas said, "Have you not done in the prayer what you have done?


Ravi Ghailan:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke jo baate’n Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein thee’n, un mein se ab main koi baat nahi paata. 
Arz kiya gaya: Namaz to baaqi hai? 
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Us (namaz) ka jo haal tum ne kar rakha hai, wo tumhe’n maaloom hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 529

 : Book 9, Hadith 9


Narrated Az-Zuhri: 

That he visited Anas bin Malik at Damascus and found him weeping and asked him why he was weeping. 
He replied, "I do not know anything which I used to know during the lifetime of Allah’s Apostle (ﷺ) except this prayer which is being lost (not offered as it should be)."


Ravi Hazrat Imam Zohri:

Main ek din damishq mein Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hua, to wo ro rahe the. 
Maine arz kiya: Aap kyou’n ro rahe hain? 
Unho’n ne farmaya: Is waqt Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak ki koi cheez baaqi nahi rahi. Haa’n namaz thi, usey bhi ab zaae kiya jaa raha hai.

Bakar bin Khalaf ne kaha: Hame’n Muhammad bin Bakar Barsaani ne, unko Usman bin Abi Rawwad ne isi tarah hadees bayan ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 530

 : Book 9, Hadith 10 





Baab 8: Namazi Apne Rabb Se munajaat Karta Hai






Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "Whenever anyone of you offers his prayer he is speaking in private to his Lord. So he should not spit to his right but under his left foot." 
Qatada said, "He should not spit in front of him but to his left or under his feet." 
And Shu'ba said, "He should not spit in front of him, nor to his right but to his left or under his foot." 
Anas said: The Prophet (ﷺ) said, "He should neither spit in the direction of his Qibla nor to his right but to his left or under his foot."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se jab koi namaz padhta hai to wo apne parwardigaar se munajaat karta hai. Is liye wo apni daae’n jaanib na thooke, albatta baae’n qadam ke neeche thook sakta hai”. 
Is riwayat mein Saeed (bin Abi Urooba) apne Shaikh Hazrat Qatada se ye alfaaz naqal karte hain: “Namazi ko apne saamne yaa aage nahi thookna chaahiye, lekin baae’n jaanib yaa apne qadmo’n ke neeche thook sakta hai”. 
Shu’ba ki riwayat mein hai: “Apne saamne yaa daae’n jaanib na thooke, baae’n jaanib yaa qadmo’n ke neeche thook le”. 
Humaid ne Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se is tarah naqal kiya hai: “Qible ki jaanib yaa daae’n taraf na thooke. Haa’n! Agar baae’n jaanib yaa qadmo’n ke neeche thook le to koi harj nahi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 531

 : Book 9, Hadith 11 




Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "Do the prostration properly and do not put your fore-arms flat with elbows touching the ground like a dog. And if you want to spit, do not spit in front, nor to the right for the person in prayer is speaking in private to his Lord."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Sajda acchi tarah itmenan se karo aur tum mein se koi bhi apne baazuo’n ko kutte ki tarah na bichaae. Agar usey thookne ki zaroorat ho to apne aage aur daae’n jaanib na thooke, kyou’nke wo apne parwardigaar se munajaat kar raha hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 532

 : Book 9, Hadith 12





Baab 9: Garmi Ki Shiddat mein Namaz-e-Zohar Thande Waqt Mein Adaa Karna







Narrated Abu Huraira and 'Abdullah bin 'Umar:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "If it is very hot, then pray the Zuhr prayer when it becomes (a bit) cooler, as the severity of the heat is from the raging of the Hell-fire."


Ravi Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Abdullah bin Umar (رضي الله عنهم):
 
Rasool Allah (ﷺ) se bayan karte hain ke aap ne farmaya: “Jab garmi ziyaada ho to namaz-e-zohar thande waqt padha karo, kyou’nke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se hoti hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 533. 534

 : Book 9, Hadith 13




Narrated Abu Dhar:

The Muadhdhin (call-maker) of the Prophet (ﷺ) pronounced the Adhan (call) for the Zuhr prayer but the Prophet (ﷺ) said, "Let it be cooler, let it be cooler." Or said, 'Wait, wait, because the severity of heat is from the raging of the Hell-fire. In severe hot weather, pray when it becomes (a bit) cooler and the shadows of hillocks appear."


Ravi Hazrat Abu Zar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke moazzin ne (ek martaba) zohar ki azaan deni chaahiye to aap ne farmaya: “Waqt ko zara thanda ho jaane do, waqt ko zara thanda ho jaane do”. Ya farmaya: “Theher jaao, theher jaao, kyou’nke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se hoti hai”. Chunache (aap ne itni takheer ki ke) ham ne teelo’n ka saaya zameen par padte dekha, (aap ne mazeed farmaya:) “Jab bhi garmi ziyaada hua kare, tum namaz ko thande waqt mein adaa kiya karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 535

 : Book 9, Hadith 14
 
: Also see Hadith No. 
539, 629, 3258 




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "In very hot weather delay the Zuhr prayer till it becomes (a bit) cooler because the severity of heat is from the raging of Hell-fire. 


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab garmi ziyada ho to namaz (e zohar) thande waqt padha karo, kyou’nke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se hoti hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 536

 : Book 9, Hadith 15




Narrated Abu Huraira:

The Hell-fire of Hell complained to its Lord saying: O Lord! My parts are eating (destroying) one another. So Allah allowed it to take two breaths, one in the winter and the other in the summer. The breath in the summer is at the time when you feel the severest heat and the breath in the winter is at the time when you feel the severest cold."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Aag ne apne parwardigaar se shikaayat ki: Aye mere Rabb! (garmi ki shiddat se) Mera ek hissa doosre ko khaae jaa raha hai, to Allah Ta’ala ne usey do (2) martaba saans lene ki ijaazat di. Ek saans sardi ke mausam mein aur doosra garmi ke dino’n mein. Is wajah se tumhe’n mausam-e-garma mein sakht garmi aur mausam-e-sarma mein sakht sardi mehsoos hoti hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 537

 : Book 9, Hadith 16
 
: Also see Hadith No. 3260 




Narrated Abu Sa'id:

That Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Pray Zuhr prayer when it becomes (a bit) cooler as the severity of heat is from the raging of the Hell-fire."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Zohar ko thande waqt mein adaa karo, kyou’nke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se hai”. 
Is hadees ki mataabeat Sufiyan (Soori), Yahya aur Abu Awaana ne Amash ke waaste se ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 538

 : Book 9, Hadith 17
 
: Also see Hadith No. 3259
 





Baab 10: Dauran-e-Safar Mein Namaz-e-Zohar Thande Waqt Mein Padna







Narrated Abu Dhar Al-Ghifar:

We were with the Prophet (ﷺ) on a journey and the Mu'adhdhin (call maker for the prayer) wanted to pronounce the Adhan (call) for the Zuhr prayer. 
The Prophet (ﷺ) said, 'Let it become cooler." 
He again (after a while) wanted to pronounce the Adhan but the Prophet (ﷺ) said to him, "Let it become cooler till we see the shadows of hillocks." 
The Prophet (ﷺ) added, "The severity of heat is from the raging of the Hell-fire, and in very hot weather pray (Zuhr) when it becomes cooler."


Ravi Hazrat Abu Zar Ghaffari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Ek martaba ham log Nabi (ﷺ) ke hamraah safar mein the ke moazzin ne namaz-e-zohar ke liye azaan dene ka iraada kiya. 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Abhi thande waqt ka intezaar karo”. 
Usne kuch der baad phir azaan dene ka iraada kiya to Aap (ﷺ) ne farmaya: “Abhi thande waqt ka intezaar karo”. Ta-aa’nke* ham ne teelo’n ka saaya dekha. 
Uske baad Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se hoti hai, is liye jab garmi sakht ho to namaz thande waqt mein padha karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 539

 : Book 9, Hadith 18
 
:
*Yahaa’n tak ke, is darja 





Baab 11: Zohar Ka Waqt Zawaal-e-Aftaab Hai






Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: Nabi (ﷺ) namaz-e-zohar aen dopaher ke waqt adaa farmate the.


Narrated Anas bin Malik:

Allah’s Apostle (ﷺ) came out as the sun declined at mid-day and offered the Zuhr prayer. He then stood on the pulpit and spoke about the Hour (Day of Judgment) and said that in it there would be tremendous things. 
He then said, "Whoever likes to ask me about anything he can do so and I shall reply as long as I am at this place of mine. Most of the people wept and the Prophet (ﷺ) said repeatedly, "Ask me."
Abdullah bin Hudhafa As-Sahmi stood up and said, "Who is my father?"
The Prophet (ﷺ) said, "Your father is Hudhafa." 
The Prophet (ﷺ) repeatedly said, "Ask me." 
Then Umar knelt before him and said, "We are pleased with Allah as our Lord, Islam as our religion, and Muhammad as our Prophet (ﷺ)."
The Prophet (ﷺ) then became quiet and said, "Paradise and Hell-fire were displayed in front of me on this wall just now and I have never seen a better thing (than the former) and a worse thing (than the latter)."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek dafa Rasool Allah (ﷺ) sooraj dhalne par tashreef laae, zohar ki namaz adaa farmaai, phir mimbar par khade hue, qiyaamat ka zikr karte hue farmaya ke us mein bade bade hawaadis ho’nge. 
Phir farmaya: “Agar koi shakhs kisi cheez ki baabat koi sawaal karna chahta hai to dariyaaft kare. Jab tak main is muqaam par hoo’n mujh se jo baat dariyaaft karoge to tumhe’n uske mutaalliq bataau’nga”. 
Log ba-kasrat giriya karne lagey, lekin aap baar baar farmate: “Mujh se poocho”. 
Is dauraan mein Hazrat Abdullah bin Huzafa Sahmi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) khade hue aur dariyaaft kiya: Mera baap kaun hai? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tumhara baap Huzafa hai”. 
Phir aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhse poocho”. 
Aakhir-kaar Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) (adab se) khade hue, do zaanu baith kar arz karne lagey: Ham Allah ke Rabb hone, islam ke deen hone aur Hazrat Muhammad (ﷺ) ke nabi hone par raazi hain, chunache aap khamosh ho gae. 
Phir farmaya: “Abhi-abhi deewaar ke is kinaare se mere saamne Jannat aur dozakh ko pesh kiya gaya to maine Jannat ki tarah behtar aur jahannum ki tarah bad-tar koi cheez nahi dekhi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 540

 : Book 9, Hadith 19


Narrated Abu Al-Minhal:

Abu Barza said, "The Prophet (ﷺ) used to offer the Fajr (prayer) when one could recognize the person sitting by him (after the prayer) and he used to recite between 60 to 100 Ayat (verses) of the Qur'an. He used to offer the Zuhr prayer as soon as the sun declined (at noon) and the 'Asr at a time when a man might go and return from the farthest place in Medina and find the sun still hot. 
(The sub-narrator forgot what was said about the Maghrib). He did not mind delaying the 'Isha prayer to one-third of the night or the middle of the night."


Ravi Abu Al-Minhal:

Hazrat Abu Barzah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) namaz-e-fajr aise waqt mein padhte ke aadmi apne ham-nasheen ko pehchaan leta. Aur aap namaz mein 60-100 ayaat tilaawat farmate the. Aur namaz-e-zohar us waqt adaa karte jab aftaab dhal jaata aur namaz-e-asr aise waqt padhte ke usse faraaghat ke baad ham mein se koi madine ke aakhir kinaare par waaqe apni iqaamat-gaah mein waapas chal jaata, lekin suraj ki dhoop abhi tez hoti. (Raawi ne kaha ke) Hazrat Abu Barzah ne maghrib ke mutaalliq jo farmaya, wo main bhool gaya hoo’n. Nez tihaai raat tak namaz isha ki takheer mein aapko koi parwana hoti. Phir raawi ne kaha: Nisf raat tak muakh-khar karne mein koi parwah nahi karte the. Moaaz ke bayan ke mutaabiq Shu’ba ne kaha: Phir main us (Abu Minhaal) se mila to unho’n ne kaha: (nisf ya) tihaai raat tak muakh-khar karne mein koi parwa na karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 541

 : Book 9, Hadith 20
 
: Also see Hadith No. 
547, 568, 599, 771 




Narrated Anas bin Malik:

When we offered the Zuhr prayers behind Allah’s Apostle (ﷺ) we used to prostrate on our clothes to protect ourselves from the heat.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Jab ham Rasool Allah (ﷺ) ki iqteda mein namaz-e-zohar adaa karte to garmi se bachao ke liye apne kapdo’n par sajda kiya karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 542

 : Book 9, Hadith 21 





Baab 12: Namaz-e-Zohar Ko Waqt Asr Tak Muakh-khar Karna







Narrated Ibn 'Abbas:

"The Prophet (ﷺ) prayed eight Rakat for the Zuhr and 'Asr, and seven for the Maghrib and 'Isha prayers in Medina." 
Aiyub said, "Perhaps those were rainy nights." 
Anas said, "Maybe."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne madina munawwara mein zohar aur asr ki 8 rakate’n aur maghrib-o-isha ki 7 rakate’n (ek saath) padhe’n. 
Ayyub Sakhtiya’n ne kaha: Shayad Baraani sab mein aisa kiya ho? 
Jaabir bin Zaid raawi ne kaha: Shayad.



Reference : Sahih al-Bukhari 543

 : Book 9, Hadith 22
 
: Also see Hadith No. 
562, 1174 





Baab 13: Namaz-e-Asr Ka Waqt






Abu Usama ne Hisham se naqal karte hue kaha hai: (Syeda Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke hujre se muraad) unke hujre ka sahn hai.


Narrated Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to offer the 'Asr prayer when the sunshine had not disappeared from my chamber.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Dhoop abhi mere hujre se na nikli hoti thi ke Rasool Allah (ﷺ) namaz-e-asr padh lete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 544

 : Book 9, Hadith 23




Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to offer the 'Asr prayers at a time when the sunshine was still inside my chamber and no shadow had yet appeared in it.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ne namaz-e-asr adaa ki, jabke dhoop abhi mere hujre mein baaqi thi aur mukammal taur par us mein saaya na aaya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 545

 : Book 9, Hadith 24 




Narrated Aisha:

The Prophet (ﷺ) used to pray the 'Asr prayers at a time when the sunshine was still inside my chamber and no shadow had yet appeared in it.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) asr ki namaz se faarigh ho jaate, jabke dhoop mere hujre (ke sahn) mein numaaya’n hoti thi aur saaya mukammal taur par na aaya hota tha. 

Imam Maalik, Yahya bin Saeed, Shuaib aur Ibne Abi Hafsa ne ye alfaaz bayan kiye hain ke dhoop ke oopar chadhne se pehle-pehle (namaz padh lete the).



Reference : Sahih al-Bukhari 546 

 : Book 9, Hadith 25




Narrated Saiyar bin Salama:

I along with my father went to Abu- Barza Al-Aslarrni and my father asked him, "How Allah's Apostle used to offer the five compulsory congregational prayers?" 
Abu- Barza said, "The Prophet (ﷺ) used to pray the Zuhr prayer which you (people) call the first one at mid-day when the sun had just declined The Asr prayer at a time when after the prayer, a man could go to the house at the farthest place in Medina (and arrive) while the sun was still hot. (I forgot about the Maghrib prayer). 
The Prophet (ﷺ) Loved to delay the 'Isha which you call Al- Atama and he disliked sleeping before it and speaking after it. After the Fajr prayer, he used to leave when a man could recognize the one sitting beside him and he used to recite between 60 to 100 Ayat (in the Fajr prayer).


Ravi Hazrat Sayaar bin Salaama:

Main aur mere waalid, Hazrat Abu Barzah Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas gae. Mere waalid ne unse sawaal kiya ke Rasool Allah (ﷺ) farz namaze’n kin auqaat mein adaa kiya karte the? Unho’n ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) zohar ki namaz jise tum log “pehli namaz” kehte ho, zawaal-e-aftaab par padh liya karte the. Aur namaz-e-as raise waqt mein adaa karte ke faraghat ke baad ham mein se koi shakhs madina ke intehaai kinaare par waaqe apne ghar waapas jaata to sooraj ki aab-o-taab abhi baaqi hoti. 
Raawi ka bayan hai ke Hazrat Abu Barzah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne maghrib ke mutaalliq jo farmaya, wo mujhe yaad nahi raha. (Hazrat Abu Barzah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain:) Rasool Allah (ﷺ) isha ki namaz jise tum “A’tamah” “الْعَتَمَةَ” kehte ho. Der se padhne ko pasand farmate the aur qabl-azee’n sone ko aur baad azee’n baate’n karne ko naa-pasand khayaal karte the. Aur jab subah ki namaz se faarigh hote to aadmi apne saath waale ko pehchaan leta tha, aur subah ki namaz mein 60 se 100 ayaat tak ki tilaawat farmaya karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 547

 : Book 9, Hadith 26




Narrated Anas bin Malik:

We used to pray the Asr prayer and after that, if someone happened to go to the tribe of Bani Amr bin Auf, he would find them still praying the Asr (prayer).


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham (Rasool Allah (ﷺ) ke saath) namaz-e-asr padh lete, faraaghat ke baad koi shakhs qabila-e-amr bin auf tak jaata to unhe’n waha’n namaz-e-asr mein masroof paata.



Reference : Sahih al-Bukhari 548

 : Book 9, Hadith 27
 
: Also see Hadith No. 
550, 551, 7329 




Narrated Abu Bakr bin Uthman bin Sahl bin Hunaif:

That he heard Abu Umama saying: We prayed the Zuhr prayer with 'Umar bin Abdul Aziz and then went to Anas bin Malik and found him offering the Asr prayer. 
I asked him, "O uncle! Which prayer have you offered?" 
He said 'The Asr and this is (the time of) the prayer of Allah s Apostle which we used to pray with him."


Ravi Hazrat Abu Umaama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham ne ek martaba Hazrat Umar bin Abdul Aziz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke saath zohar ki namaz adaa ki. Wahaa’n se faraaghat ke baad ham Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hue, to dekha ke wo namaz-e-asr padh rahe hain. 
Maine arz kiya: Chacha jaan! Ye kaunsi namaz hai jo aap ne is waqt adaa ki hai? 
Farmaya: Ye asr ki namaz hai, ham Rasool Allah (ﷺ) ke saath ye namaz isi waqt adaa karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 549

 : Book 9, Hadith 28




Narrated Anas bin Malik:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to offer the 'Asr prayer at a time when the sun was still hot and high and if a person went to Al-'Awali (a place) of Medina, he would reach there when the sun was still high. Some of Al-'Awali of Medina were about four miles or so from the town.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) namaz-e-asr us waqt padhte the, jab aftaab buland aur tez hota. Daree’n asna agar koi awaali tak jaata to unke yahaa’n aise waqt pohonch jaata ke sooraj abhi buland hota tha. Aur awaali ke baaz muqamaat madina munawwara se kam-o-besh 4 meel par waaqe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 550

 : Book 9, Hadith 29


Narrated Anas bin Malik:

We used to pray the 'Asr and after that, if one of us went to Quba'he would arrive there while the sun was still high.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham (Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah) namaz-e-asr adaa karte, phir ham mein se koi jaane waala quba tak jaata, jab ahle quba ke paas pohonchta to sooraj abhi buland hota tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 551

 : Book 9, Hadith 30




Baab 14: Us Shakhs Ka Gunah Jis Se Namaz-e-Asr Jaati Rahi







Narrated Ibn 'Umar:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Whoever misses the 'Asr prayer (intentionally) then it is as if he lost his family and property."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs se namaz-e-asr faut ho gai, goya uska sab ghar-baar aur maal asbaab lut gae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 552

 : Book 9, Hadith 31





Baab 15: Us Shakhs Ka Gunah Jisne Namaz-e-Asr Chod Di






Narrated Abu Al-Mahh:

We were with Buraida in a battle on a cloudy day and he said, "Offer the 'Asr prayer early as the Prophet (ﷺ) said, "Whoever leaves the 'Asr prayer, all his (good) deeds will be annulled."


Ravi Hazrat Abu Maleeh:

Ham abr-aalood din mein Hazrat Buraida (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah ek jung mein shareek the. 
Unho’n ne farmaya: Namaz-e-asr jaldi padhlo, kyou’nke Nabi (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Jisne asr ki namaz chod di, uska amal zaae ho gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 553

 : Book 9, Hadith 32
 
: Also see Hadith No. 594
 





Baab 16: Namaz-e-Asr Ki Fazilat






Narrated Qais:

Jarir said, "We were with the Prophet (ﷺ) and he looked at the moon--full-moon--and said, 'Certainly you will see your Lord as you see this moon and you will have no trouble in seeing Him. So if you can avoid missing (through sleep or business, etc.) a prayer before the sun-rise (Fajr) and a prayer before sunset ('Asr), you must do so.' He then recited Allah's Statement:
"And celebrate the praises Of your Lord before The rising of the sun And before (its) setting." (50.39) 
Isma'il said, "Offer those prayers and do not miss them."


Ravi Qais:

Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Ham log Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir the, aap ne ek raat maah-e-kaamil ki taraf dekh kar farmaya: “Beshak tum apne parwardigaar ko (roz-e-qiyaamat) isi tarah dekhooge jis tarah is chaand ko dekh rahe ho, usey dekhne mein tumhe’n koi diqqat* nahi hogi, lehaaza agar tum paabandi kar sakte ho to tuloo-e-aftaab se pehle (fajr ki) aur ghuroob-e-aaftaab se pehle (Asr ki) namazo’n se maghloob na ho jaao, yaane paabandi se unhe’n adaa kar sako to zaroor karo."
Phir aap ne ye aayat padhi: “Tuloo-e-aftaab se pehle aur ghuroob-e-aaftaab se pehle apne parwardigaar ki hamd ke saath uski tasbeeh karo, yaane namaz padho”. [Surah Qaaf 50.39]
(Hadees ke raawi) Ismail bin Abi Khalid ne kaha: Namaze’n tumse faut na ho jaae’n, unhe’n zaroor padha karo.



Reference : Sahih al-Bukhari 554

 : Book 9, Hadith 33
 
: Also see Hadith No. 
573, 4851, 7434, 7436
 : *Dushwaari, mushkil, uljhan, pareshani 




Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Angels come to you in succession by night and day and all of them get together at the time of the Fajr and 'Asr prayers. Those who have passed the night with you (or stayed with you) ascend (to Heaven) and Allah asks them, though He knows everything about you, well, "In what state did you leave my slaves?" 
The angels' reply: "When we left them they were praying and when we reached them, they were praying."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Kuch farishte raat ko aur kuch din ko tumhare paas yeke-baad-deegare haazir hote hain, aur ye tamaam fajr aur asr ki namaz mein jamaa ho jaate hain, phir jo farishte raat ko tumhare paas haazir hote hain. Jab wo aasmaan par jaate hain to unse unka parwaridgaar poochta hai: Tumne mere bando’n ko kis haal mein choda hai? Halaa’nke wo khud apne bando’n se khoob waaqif hai. 
Wo jawab dete hain: Ham ne unhe’n namaz padhte choda hai aur jab ham unke paas pohnche the, tab bhi wo namaz padh rahe the”.



Reference : Sahih al-Bukhari 555

 : Book 9, Hadith 34
 
: Also see Hadith No. 
3223, 7429, 7486 





Baab 17: Jisne Ghuroob-e-Aftaab Se Pehle Asr Ki Ek Rakat Paali







Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you can get one Rak'a of the 'Asr prayer before sunset, he should complete his prayer. If any of you can get one Rak'a of the Fajr prayer before sunrise, he should complete his prayer."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi ghuroob-e-aftaab se pehle asr ki ek rakat pale to wo apni namaz ko poora kar le aur jo shakhs tuloo-e-aftaab se pehle fajr ki ek rakat pale to wo apni namaz ko poora kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 556

 : Book 9, Hadith 35 
 
: Also see Hadith No. 
579, 580 




Narrated Salim bin 'Abdullah:

My father said, "I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying, 'The period of your stay as compared to the previous nations is like the period equal to the time between the 'Asr prayer and sunset. The people of the Torah were given the Torah and they acted (upon it) till mid-day then they were exhausted and were given one Qirat (of gold) each. And then the people of the Gospel were given the Gospel and they acted (upon it) till the 'Asr prayer then they were exhausted and were! given one Qirat each. And then we were given the Qur'an and we acted (upon it) till sunset and we were given two Qirats each. 
On that, the people of both the scriptures said, 'O our Lord! You have given them two Qirats and given us one Qirat, though we have worked more than they.' 
Allah said, 'Have I usurped some of your right?' 
They said, 'No.' 
Allah said: "That is my blessing I bestow upon whomsoever I wish."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ko farmate suna: “Saabeqa ummato’n ke etebaar se tumhara yahaa’n rehna aise hai, jaise namaz-e-asr se ghuroob-e-aftaab tak, chunache ahle taurat ko taurat di gai to unho’n ne dopaher tak kaam kiya, wo thak gae to unhe’n ek-ek (1-1) qiraat de diya gaya. 
Phir ahle injeel ko injeel di gai to unho’n ne namaz-e-asr tak kaam kiya, wo thak gae to unhe’n bhi ek-ek (1-1) qiraat de diya gaya. 
Uske baad ham logo’n ko quran diya gaya to ham ne ghuroob-e-aftaab tak kaam kiya, us par hame’n do-do (2-2) qiraat diye gae. 
Phir ahle taurat aur ahle injeel dono’n ne arz kiya: Aye Parwardigaar! Toone musalmano ko do-do (2-2) qiraat diye aur hem’n ek-ek (1-1), jabke ham ne kaam unse ziyaada kiya hai. 
Allah Ta’ala ne irshad farmaya: “Kya Maine Mazdoori Dene Mein Tum Par Koi Ziyaadati Ki Hai? 
Unho’n Ne Arz Kiya: Nahi, 
To Allah Ta’ala ne farmaya: Ye To mera fazal hai jise chahta hoo’n, deta hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 557

 : Book 9, Hadith 36
 
: Also see Hadith No. 
2268, 2269, 3459, 5021, 7467, 7533 




Narrated Abu Musa:

The Prophet (ﷺ) said, "The example of Muslims, Jews and Christians is like the example of a man who employed labourers to work for him from morning till night. They worked till mid-day and they said, 'We are not in need of your reward.' SO the man employed another batch and said to them, 'Complete the rest of the day and yours will be the wages I had fixed (for the first batch). They worked Up till the time of the 'Asr prayer and said, 'Whatever we have done is for you.' He employed another batch. They worked for the rest of the day till sunset, and they received the wages of the two former batches."


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) se bayan karte hain: “Musalmano, yahoodiyo’n aur isaiyo’n ki misaal us admi jaisi hai, jisne kuch logo’n ko mazdoori par rakha ke wo raat tak kaam kare’n. 
Unho’n ne dopaher tak kaam kiya aur kehne lagey: Hame’n teri mazdoori ki zaroorat nahi, chunache us admi ne kuch aur logo’n ko mazdoori par rakha aur kaha: Tum din ka baqiya waqt kaam karo tumhe’n wohi mazdoori milegi jo maine tae ki thi. 
Unho’n ne kaam kiya, hatta ke jab namaz-e-asr ka waqt hua to kehne lagey: Tera kaam tujhe mubarak ho, ham ne jo kaam kiya hai, uski bhi mazdoori nahi lete. Chunache usne aur logo’n ko mazdoori par rakha jinho’n ne baqiya din kaam kiya, ta-aa’nke sooraj ghuroob ho gaya. Is tarah wo pehle dono giroho’n ki mazdoori ke haqdaar ban gae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 558

 : Book 9, Hadith 37
 
: Also see Hadith No. 2271
 





 Baab 18: Namaz-e-Maghrib Ka Waqt






Hazrat Ataa (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne farmaya: Bimar aadmi maghrib aur isha ko jama kar sakta hai.


Narrated Rafi' bin Khadij:

We used to offer the Maghrib prayer with the Prophet (ﷺ) and after finishing the prayer one of us may go away and could still see as Par as the spots where one's arrow might reach when shot by a bow.


Ravi Hazrat Raafe bin Khadeej (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ke saath namaz maghrib padhte the, phir (faarigh hone ke baad) jab ham mein se koi waapas jaata (aur teer phenkta) to wo teer ke girne ki jagah dekh leta tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 559

 : Book 9, Hadith 38




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) used to pray the Zuhr at mid-day, the 'Asr at a time when the sun was still bright, the Maghrib after sunset (at its stated time) and the Isha at a variable time. Whenever he saw the people assembled (for Isha's prayer) he would pray earlier and if the people delayed, he would delay the prayer. And they or the Prophet (ﷺ) used to offer the Fajr Prayers when it was still dark.


Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah:
Hazrat Muhammad bin Amr se riwayat hai, unho’n ne kaha: Jab Hajjaaj bin Yusuf madina aaya (aur namazo’n mein takheer karne laga) to ham ne Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se (iski baabat) dariyaaft kiya. 
Unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) namaz-e-zohar aen dopaher ke waqt padhte the aur namaz-e-asr aise waqt mein adaa karte ke aftaab saaf hota tha, aur namaz-e-maghrib (us waqt padhte) jab aftaab ghuroob ho jaata. Aur isha ki namaz kabhi kisi waqt, kabhi kisi waqt, yaane jab aap dekhte ke log jama ho gae hain to jaldi padh lete aur jab aap pdekhte ke unho’n ne aane mein der ki hai to namaz ko muakh-khar kar dete. Aur subah ki namaz, Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) yaa Nabi (ﷺ) andhere mein padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 560

 : Book 9, Hadith 39
 
: Also see Hadith No. 
565, Saheeh Muslim: Al Masaajid: H1440 (636) 


Narrated Salama:

We used to pray the Maghrib prayer with the Prophet (ﷺ) when the sun disappeared from the horizon.


Ravi Hazrat Salama bin Akwa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Aaftaab ke ghuroob hote hi ham Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz-e-maghrib adaa kar liya karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 561 

 : Book 9, Hadith 40




Narrated Ibn 'Abbas:

The Prophet (ﷺ) prayed seven Rakat together and eight Rakat together.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne (maghrib aur isha ki) 7 rakat ek saath aur (zohar-o-asr ki) 8 rakat ek saath padhe’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 562

 : Book 9, Hadith 41





Baab 19: Jisne Maghrib Par Isha Ka Itlaaq Makrooh Qaraar Diya







Narrated 'Abdullah Al-Muzani:

The Prophet (ﷺ) said, "Do not be influenced by bedouins regarding the name of your Maghrib prayer which is called 'Isha' by them."


Ravi Hazrat Abdulalh Muzni (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tumhari maghrib ki namaz ke naam par baadiya-nasheen ghalib na aajaae’n (kyou’nke ye dehati namaz-e-maghrib ko isha ke naam se yaad karte hain)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 563

 : Book 9, Hadith 42





Baab 20: Isha Aur A’tamah Ka Zikr Aur Jisne Uske Mutaalliq Wus-at Ikhteyar Ki







Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se bayan karte hain: “Munafiqeen par isha aur fajr ki namaz tamaam namazo’n se ziyada giraa’n hain”. Nez aap ne farmaya: “Agar unhe’n ilm ho jaae ke A’tamah* aur fajr mein kis qadar sawaab hai (to zaroor, un namazo’n mein haazir ho’n, khwah unhe’n sureeno’n ke bal chalkar aana pade)”.

Abu Abdullah Muhammad bin Ismail Bukhari kehte hain ke Iska ko Isha kehna hi bethar hai, kyou’nke Allah Ta’ala ne (yehi naam le kar) farmaya: “Aur Namaz-e-Isha Ke Baad”. 
Hazrat Abu Moosa Ahsari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se manqool, aap ne farmaya: Ham nabi (ﷺ) ki khidmat mein isha ki namaz ke waqt baari-baari jaaya karte the, to ek din aap ne A’tamah, yaane taareeki mein namaz padhi. 
Hazrat Ibne Abbas aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmate hain ke Nabi (ﷺ) ne isha ki namaz A’tamah, yaane taareeki mein takheer se padhi. Baaz ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se naqal kiya ke Nabi (ﷺ) ne A’tamah der se padhi. 
Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Nabi (ﷺ) namaz-e-isha (muakh-khar karke) padha karte the. 
Hazrat Abu Barzah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Nabi (ﷺ) isha ki 
namaz takheer se padha karte the. 
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke Nabi (ﷺ) ne doosri namaz-e-isha der se adaa ki. Hazrat Ibne Umar, Hazrat Abu Ayyub aur Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke Nabi (ﷺ) ne isha aur maghrib ki namaz padhi.

*Tareeki mein namaz padhna (isi hadees mein aage Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) waali riwayat mein tafseel maujood hai) [RSB]




Narrated Abdullah:

"One night Allah’s Apostle (ﷺ) led us in the 'Isha' prayer and that is the one called Al-'Atma by the people. After the completion of the prayer, he faced us and said, "Do you know the importance of this night? 
Nobody present on the surface of the earth tonight will be living after one hundred years from this night."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek shab Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n namaz-e-isha padhaai aur ye wohi namaz hai jise log “a’tamah” kehte the. Phir namaz se faraaghat ke baad hamari taraf mutawajja hue aur farmaya: “Kya tumhe’n us raat ke mutaalliq khabar du’n, aaj jo log roo-e-zameen par hain, aaj se ek (1) sadee poori hone tak un mein se koi baaqi nahi rahega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 564

 : Book 9, Hadith 43





Baab 21: Isha Ka Waqt Jab Log Jamaa Ho Jaae’n (khwah jaldi aae’n) Yaa Der Kare’n







Narrated Muhammad bin 'Amr:

We asked Jabir bin 'Abdullah about the prayers of the Prophet (ﷺ). 
He said, "He used to pray Zuhr prayer at mid-day, the 'Asr when the sun was still hot, and the Maghrib after sunset (at its stated time). The 'Isha was offered early if the people gathered, and used to be delayed if their number was less, and the morning prayer was offered when it was still dark. "


Ravi Hazrat Muhammad bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Ham ne Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se Nabi (ﷺ) ki namazo’n ke mutaalliq sawal kiya, to aap ne farmaya: Nabi (ﷺ) zohar ki namaz aen dopaher ke waqt padhte the, aur asr aise waqt mein padh lete ke sooraj abhi taab-daar (raushan) hota, namaz-e-maghrib ghuroob-e-aftaaf ke fauran baad padh lete, aur isha ki namaz ke liye agar aksar muqtadi aajaate to jaldi padh lete aur agar haazireen ki taadaad kam hoti to muakh-khar kar dete aur namaz-e-subah andhere mein padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 565

 : Book 9, Hadith 44 





Baab 22: Namaz e Isha Ki Fazeelat






Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) once delayed the 'Isha' prayer and that was during the days when Islam still had not spread. The Prophet (ﷺ) did not come out till 'Umar informed him that the women and children had slept. Then he came out and said to the people of the mosque: "None amongst the dwellers of the earth has been waiting for it ('Isha prayer) except you."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ek baar Rasool Allah (ﷺ) ne isha ki namaz mein der farmaai. Ye islam ke phailne se pehle ka waaqea hai. Chunache aap ghar se nahi nikle, ta-aan’nke Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya ke aurto’n aur baccho’n ko neend aarahi hai. 
Phir aap tashreef laae aur ahle masjid se farmaya: “Roo-e-zameen par tumhare alaawa aur koi is namaz ka intezaar nahi kar raha hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 566

 : Book 9, Hadith 45
 
: Also see Hadith No. 
569, 862, 864




Narrated Abu Musa:

My companions, who came with me in the boat and I landed at a place called Baqi Buthan. The Prophet (ﷺ) was in Medina at that time. One of us used to go to the Prophet (ﷺ) by turns every night at the time of the Isha prayer. Once I along with my companions went to the Prophet (ﷺ) and he was busy in some of his affairs, so the 'Isha' prayer was delayed to the middle of the night He then came out and led the people (in prayer). After finishing the prayer, he addressed the people present there saying, "Be patient! Don't go away. Have the glad tiding. It is from the blessing of Allah upon you that none amongst mankind has prayed at this time save you." 
Or said, "None except you has prayed at this time." Abu Musa added, 'So we returned happily after what we heard from Allah's Apostle ."


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main aur mere wo rufaqa, jo mere saath kashti mein aae the, waadi-e-bathaan mein padaao kiye hue the. Jabke Nabi (ﷺ) madina munawwara mein tashreef farma the. Chunache har raat isha ki namaz ke liye chand aadmi Nabi (ﷺ) ki khidmat mein baari-baari haazir hote. 
Ek din main aur mere saathi Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hue, to aap us din kisi kaam mein masroof the, aur aap ne namaz-e-isha mein is qadar taakheer farmaai ke aadhi raat ho gai. 
Aakhir Nabi (ﷺ) baahar tashreef laae aur namaz padhaai. 
Namaz se faraghat ke baad aap ne hazireen se farmaya: “Zara thehro, tumhe’n mubarak ho, kyou’nke tum par Allah ki ye nemat hai ke is waqt tumhare alaawa logo’n mein se aur koi namaz nahi padh raha hai”. 
Yaa farmaya: “Is waqt tumhare siwa kisi ne ye namaz nahi padhi”. Maaloom nahi aap ne in do (2) baato’n mein se kaunsi baat irshad farmaai. 
Hazrat Abu Moosa Ashari kehte hain: Ham log Rasool Allah (ﷺ) se ye baat sun kar bohot khush hue, aur khushi-khushi waapas aae.



Reference : Sahih al-Bukhari 567

 : Book 9, Hadith 46





Baab 23: Isha Se Pehle Sona Makrooh Hai






Narrated Abu Barza:

Allah’s Apostle (ﷺ) disliked to sleep before the 'Isha' prayer and to talk after it.


Ravi Hazrat Abu Barzah Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) isha se pehle sone aur uske baad guftagu karne ko naa-pasand farmate the.



Reference : Sahih al-Bukhari 568

 : Book 9, Hadith 47





  Baab 24: Neend Ka Ghalba Hone Ki Soorat mein Isha Se Pehle Sona







Narrated Ibn Shihab from 'Urwa:

'Aisha said, "Once Allah’s Apostle (ﷺ) delayed the 'Isha' prayer till 'Umar reminded him by saying, "The prayer!" The women and children have slept. Then the Prophet (ﷺ) came out and said, 'None amongst the dwellers of the earth has been waiting for it (the prayer) except you." Urwa said, "Nowhere except in Medina did the prayer used to be offered (in those days)." 
He further said, "The Prophet (ﷺ) used to offer the 'Isha' prayer in the period between the disappearance of the twilight and the end of the first third of the night."


Ravi Ibn Shihab 'Urwa se:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, aap ne farmaya: Ek raat Rasool Allah (ﷺ) ne isha ki namaz mein taakheer kardi, yahaa’n tak ke Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne aapko ba-awaaz-e-buland kaha: (Yaa Rasool Allah!) Namaz (padha de’n), aurte’n aur bacche so gae hain. 
Chunache aap baahar tashreef laae aur farmaya: “Tumhare alaawa ahle zameen mein se koi is namaz ka intezar nahi kar raha”. 
Raawi kehta hai, ke un dino’n madina ke alaawa kisi aur jagah namaz nahi hoti thi. Nez Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) isha ki namaz shafaq ghayab hone ke baad raat ki pehli tihaai tak padh lete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 569

 : Book 9, Hadith 48


Narrated Ibn Juraij from Nafi:

'Abdullah bin 'Umar said, "Once Allah’s Apostle (ﷺ) was busy (at the time of the 'Isha'), so the prayer was delayed so much so that we slept and woke up and slept and woke up again. The Prophet (ﷺ) came out and said, 'None amongst the dwellers of the earth but you have been waiting for the prayer." 
Ibn 'Umar did not find any harm in praying it earlier or in delaying it unless he was afraid that sleep might overwhelm him and he might miss the prayer, and sometimes he used to sleep before the 'Isha' prayer. 


Ravi Ibn Juraij Nafi se:

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) ko ek raat isha ki namaz ke waqt koi zaroorat pesh aagai, to aap ne namaz ko muakh-khar kar diya. yahaa’n tak ke ham log masjid mein so gae, phir bedaar hue, phir so gae, phir bedaar hue. Baad azaa’n Nabi (ﷺ) tashreef laae aur farmaya: “Ahle zameen mein koi tumhare alaawa is namaz ka intezaar nahi kar raha”. 
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) is baat ki parwah nahi karte the ke isha ki namaz jaldi padhe’n ya der se adaa kare’n. Jab unhe’n yaqeen hota ke neend se maghloob nahi ho’nge aur wo namaz se pehle so jaate the.



Reference : Sahih al-Bukhari 570

 : Book 9, Hadith 49




Narrated Ibn Juraij from Nafi:

Ibn Juraij said, "I said to 'Ata', 'I heard Ibn 'Abbas saying: Once Allah’s Apostle (ﷺ) delayed the 'Isha' prayer to such an extent that the people slept and got up and slept again and got up again.
Then 'Umar bin Al-Khattab, stood up and reminded the Prophet (ﷺ) of the prayer.' 
'Ata' said, 'Ibn 'Abbas said: The Prophet (ﷺ) came out as if I was looking at him at this time, and water was trickling from his head and he was putting his hand on his head and then said, 'Hadn't I thought it hard for my followers, I would have ordered them to pray ('Isha' prayer) at this time.' I asked 'Ata' for further information, about how the Prophet (ﷺ) had kept his hand on his head as he was told by Ibn 'Abbas. 
'Ata' separated his fingers slightly and put their tips on the side of the head, bringing the fingers downwards approximating them till the thumb touched the lobe of the ear at the side of the temple and the beard on the face. He neither slowed nor hurried in this action but he acted like that. 
The Prophet (ﷺ) said: "Hadn't I thought it hard for my followers I would have ordered them to pray at this time."


Ravi Ibn Juraij Nafi se:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: 
Rasool Allah (ﷺ) ne ek raat namaz-e-isha mein takheer farmaai, yahaa’n tak ke log so gae, phir bedaar hue, phir so gae, phir bedaar hue. 
Uske baad Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne khade ho kar namaz ke liye kaha. Baad azaa’n Nabi (ﷺ) tashreef laae. Goya main is waqt bhi aapko dekh raha hoo’n ke aapke sar se paani tapak raha tha. Aap (ﷺ) apne haath ko sar par rakhe hue the. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “gar main apni ummat par giraa’n khayaal na karta, to ye hukum deta ke wo isi waqt ye namaz padha kare’n”. 
Raawi kehta hai: Maine Hazrat Ataa se bataur-e-tehqeeq poocha ke Nabi (ﷺ) ne Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke bayan ke mutaaibq apna haath apen sar par kis tarah rakha tha? 
To Hazrat Ataa ne apni ungliya’n qadre kushada keen, phir ungliyo’n ke kinare sar ke kone par rakhe, phir ungliyo’n ko sar par is tarah kheencha ke anghote ne kaano’n ke is kinaare ko mas kiya jo kanpatti aur daadhi ke kone par chehre ke qareeb hai. Na aap us mein kamee kar rahe the, aur na mazboot pakad rahe the. Bas aise kar rahe the, jaise main keh raha hoo’n. 
Phir Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar main apni ummat par giraa’n na samjahta to unho’n ne hukum deta ke wo isha ki namaz isi waqt padha kare’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 571

 : Book 9, Hadith 50
 
: Also see Hadith No. 7239 





Baab 25: Isha Ka Waqt Nisf Raat Tak Hai






Hazrat Abu Barza Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Nabi (ﷺ) ki namaz takheer se padhna pasand karte the.


Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) delayed the 'lsha' prayer till midnight and then he offered the prayer and said, "The people prayed and slept but you have been in prayer as long as you have been waiting for it (the prayer)." 
Anas added: As if I am looking now at the glitter of the ring of the Prophet (ﷺ) on that night.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne isha mein ek martaba nisf raat tak taakheer farmaai, phir usey adaa kiya aur farmaya: “Logo’n ne namaz padhli aur so gae lekin tum log jab tak namaz ka intezar karte rahe ho, namaz hi mein rahe ho”.
Ibne Abi Maryam raawi ne apni sanad ke saath ye izaafa bayan kiya hai: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Goya main ab bhi Rasool Allah (ﷺ) ki is shab waali anghoti ki chamak dekh raha hoo’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 572

 : Book 9, Hadith 51
 
: Also see Hadith No. 
600, 661, 847, 5869 





Baab 26: Namaz-e-Fajr Ki Fazilat






Narrated Jarir bin 'Abdullah:

We were with the Prophet (ﷺ) on a full moon night. He looked at the moon and said, "You will certainly see your Lord as you see this moon, and there will be no trouble in seeing Him. So if you can avoid missing (through sleep, business, etc.) a prayer before the rising of the sun (Fajr) and before its setting ('Asr) you must do so. He (the Prophet (ﷺ) ) then recited the following verse: And celebrate the praises Of Your Lord before The rising of the sun And before (its) setting." (Quran 50.39)


Ravi Hazrat Jarir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham log Nabi (ﷺ) ke paas the ke aap ne chaudhwee’n raat ke chaand ki taraf dekha, phir farmaya: “Tum qiyamat ke din apne parwardigaar ko isi tarah dekhoge, jis tarah is chaand ko dekh rahe ho, tumhe’n koi dushwari yaa ishtebaah nahi hoga, lehaaza agar tum paabandi kar sakte ho to tuloo-e-aftaab se pehle aur ghuroob-e-aftaab se pehle namazo’n se maghloob na ho jaao. Yaane paabandi se unhe’n adaa kar sako too zaroor karo”. 
Phir aap (ﷺ) ne ye aayat tilaawat farmaai: “Tuloo-e-Aftaab Se Pehle Aur Ghuroob-e-Aftaab Se Pehle Apne Parwardigaar Ki Hamd Ke saath Uski Tasbeeh Karo, Yaane Namaz Padho”. [Surah Qaaf 50: 39]



Reference : Sahih al-Bukhari 573

 : Book 9, Hadith 52




Narrated Abu Bakr bin Abi Musa:

"Allah’s Apostle (ﷺ) said, 'Whoever prays the two cool prayers ('Asr and Fajr) will go to Paradise.' "


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shaksh do (2) thande waqto’n ki namaz’n ko paabandi se adaa kare ga, wo Jannat mein jaaega”. 
Is riwayat ko Ibne Raja ne bhi ba-wasta-e-Hamam bayan kiya hai, nez Ishaq ne ba-waasta-e-Hibban a’an Hamam bayan kiya hai ke Nabi (ﷺ) ne ye baat irshad farmaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 574

 : Book 9, Hadith 53





Baab 27: Namaz-e-Fajr Ka Waqt






Narrated Anas:

Zaid bin Thabit said, "We took the "Suhur" (the meal taken before dawn while fasting is observed) with the Prophet (ﷺ) and then stood up for the (morning) prayer." 
I asked him how long the interval between the two (Suhur and prayer) was. 
He replied, 'The interval between the two was just sufficient to recite fifty to Sixth 'Ayat."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain ke Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne ek martaba Nabi (ﷺ) ke saath sehri khaai, phir wo sab namaz-e-fajr ke liye khade ho gae. 
Maine (Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) se poocha ke sehri aur namaz ke darmiyan kitna waqfa tha? 
Unho’n ne farmaya: “Jis qadar 50 ya 60 ayaat padhi jaaen”.



Reference : Sahih al-Bukhari 575

 : Book 9, Hadith 54
 
: Also see Hadith No. 921
 




Narrated Qatada:

Anas bin Malik said, "The Prophet (ﷺ) and Zaid bin Thabit took the 'Suhur' together and after finishing the meal, the Prophet (ﷺ) stood up and prayed (Fajr prayer)." 
I asked Anas, "How long was the interval between finishing their 'Suhur' and starting the prayer?" 
He replied, "The interval between the two was just sufficient to recite fifty 'Ayat." (Verses of the Quran)."


Ravi Qatada:

Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) hi se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) aur Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek dafaa sehri khaai, jab sehri se farigh ho gae to Nabi (ﷺ) namaz ke liye khade ho gae aur dono’n ne namaz padhi. 
Ham ne Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: Sehri se faraaghat aur namaz shuru karne tak kitna waqfa tha? 
To unho’n ne farmaya ke jitney mein ek insan 50 ayaat padh sakey.



Reference : Sahih al-Bukhari 576

 : Book 9, Hadith 55
 
: Also see Hadith No. 1134 




Narrated Sahl bin Sa'd:

I used to take the "Suhur" meal with my family and hasten so as to catch the Fajr (morning prayer) with Allah’s Apostle (ﷺ)."


Ravi Hazrat Sahal bin Sa’ad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Maine apne ahel mein sehri khata tha, phir mujhe jaldi hoti thi ke Rasool Allah (ﷺ) ke saath namaz-e-fajr padh loo’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 577

 : Book 9, Hadith 56
 
: Also see Hadith No. 1920
 




Narrated 'Aisha:

The believing women covered with their veiling sheets used to attend the Fajr prayer with Allah's Apostle (ﷺ), and after finishing the prayer they would return to their home and nobody could recognize them because of the darkness.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ahle iman khawateen Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah fajr ki namaz mein chaadare’n odhe hue shareek hoti thee’n. Namaz se faraaghat ke baad wo apne gharo’n ko aise waqt mein waapas laut-tee’n, ke unhe’n taareeki-e-shab ki ajah se koi pehchaan nahi sakta tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 578

 : Book 9, Hadith 57





Baab 28: Jis Shakhs Ne Namaz-e-Fajr Ki Ek Rakat Paali






Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Whoever could get one Rak'a (of the Fajr prayer) before sunrise, he has got the (morning) prayer and whoever could get one Rak'a of the'Asr prayer before sunset, he has got the ('Asr) prayer."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis shaksh ne tuloo-e-aftaab se pehle fajr ki ek (1) rakat paali, wo namaz-e-fajr paane mein kamyaab ho gaya. Aur jisne ghuroob-e-aftaab se pehle asr ki ek (1) rakat paali wo namaz-e-asr paane mein kamyaab ho gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 579

 : Book 9, Hadith 58



Baab 29: Jis Shakhs Ne Namaz Ki Ek (1) Rakat Ko Paa Liya






Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Whoever could get one Rak'a of a prayer, (in its proper time) he has got the prayer."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ne namaz ki ek (1) rakat paa li us ne poori namaz ko paa liya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 580

 : Book 9, Hadith 59





Baab 30: Namaz-e-Fajr Ke Baad Aftaab Buland Hone Tak Namaz Padhne Ka Hukum







Narrated 'Umar:

"The Prophet (ﷺ) forbade praying after the Fajr prayer till the sun rises and after the 'Asr prayer till the sun sets."


Ravi Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke mere saamne chand pasandeeda logo’n ne jin mein sabse ziyaada pasandeeda Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the, ye bayan kiya ke Nabi (ﷺ) ne subah ki namaz ke baad tuloo-e-aftaab tak aur namaz-e-asr ke baad ghuroob-e-aftaab tak namaz padhne se manaa farmaya hai.

Is hadees ke mutaalliq ek doosri sanad se jis mein Qatada kehte hain: Maine Abul Aaliya se suna, wo Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain, unho’n ne farmaya: Mujhse chand logo’n ne ye hadees bayan ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 581

 : Book 9, Hadith 60




Narrated Ibn 'Umar:

Ibn `Umar said, "Allah's Messenger (ﷺ) said, 'If the edge of the sun appears (above the horizon) delay the prayer till it becomes high, and if the edge of the sun disappears, delay the prayer till it sets (disappears completely).' "

Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tuloo-e-aftaab aur ghuroob-e-aftaab ke waqt apni namaze’n adaa karne ki koshish na kiya karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 582

 : Book 9, Hadith 61
 
: Also see Hadith No. 
585, 589, 1192, 1629, 3273 




Narrated Hisham's father:

Ibn 'Umar said, "Allah’s Apostle (ﷺ) said, 'Do not pray at the time of sunrise and at the time of sunset.' "
Ibn 'Umar said, "Allah’s Apostle (ﷺ) said, 'If the edge of the sun appears (above the horizon) delay the prayer till it becomes high, and if the edge of the sun disappears, delay the prayer till it sets (disappears completely).' "


Ravi Hisham Ke Walid:

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab aftaab ka kinaara tuloo hone lagey to namaz mauqoof kar do, ta-aa’nke sooraj buland ho jaae aur jab suraj ka kinaara doobne lagey to bhi namaz mauqoof kar do. Ta-aa’nke aftaab poora chup jaae”. 
(Hisham se riwayat karne mein) Abdah bin Sulaiman ne (Yahya bin Saeed ki) mataabeat ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 583

 : Book 9, Hadith 62
 
: Also see Hadith No. 3272
 




Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) forbade two kinds of sales, two kinds of dresses, and two prayers. He forbade offering prayers after the Fajr prayer till the rising of the sun and after the 'Asr prayer till its setting. He also forbade "Ishtimal-Assama" and "al-Ihtiba" in one garment in such a way that one's private parts are exposed towards the sky. He also forbade the sales called "Munabadha" and "Mulamasa."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne do (2) qism ki khareed-o-farokht, so (2) qism ke libaas aur do (2) auqaat mein namaz padhne se manaa farmaya: Aap ne fajr ke baad ta-tuloo-e-aftaab aur asr ke baad ta-ghuroob-e-aftaab namaz padhne, sakht bukkal* maarne aur ek hi kapde mein gotth maarkar baithne se manaa farmaya jisse oopar ki taraf satar khulne ka andesha ho, nez kisi cheez ko mahez choone yaa koi cheez phenk kar be’e pukhta karne se bhi roka hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 584

 : Book 9, Hadith 63
 
*Dupattke ki lapet, ek (1) taraf se doosri taraf ko pas-e-pusht daal lene ka amal
    (jisse baazu, pait, peeth, sar, aur mu’n, sab chup jaate hain)





Baab 31: Ghuroob-e-Aftaab Se Pehle Namaz Ka Qasd Na Kiya Jaae







Narrated Ibn 'Umar:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "None of you should try to pray at sunrise or sunset."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi bhi tuloo-e-aaftaab ke waqt aur ghuroob-e-aaftaab ke waqt namaz padhne ki koshish na kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 585

 : Book 9, Hadith 64 




Narrated Abu Sa'id Al-Khudri:

I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying, "There is no prayer after the morning prayer till the sun rises, and there is no prayer after the Asr prayer till the sun sets."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) se suna, aap ne farmaya: “Subah ke baad koi namaz nahi, ta-aa’nke sooraj buland ho jaae aur asr ke baad (bhi) koi namaz nahi ta-aa’nke sooraj ghuroob ho jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 586

 : Book 9, Hadith 65
 
: Also see Hadith No. 
1188, 1197, 1864, 1992, 1995 




Narrated Muawiya:

You offer a prayer which I did not see being offered by Allah’s Apostle (ﷺ) when we were in his company and he certainly had forbidden it (i.e. two Rakat after the Asr prayer).


Ravi Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Tum log ek aisee namaz padhte ho, jisse Rasool Allah (ﷺ) ne manaa farmaya hai. Ham log Rasool Allah (ﷺ) ki sohbat mein rahe hain, lekin ham ne kabhi aapko wo namaz padhnte nahi dekha, yaane asr ke baad ki do (2) rakate’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 587

 : Book 9, Hadith 66
 
: Also see Hadith No. 3766
 




Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) forbade the offering of two prayers:
1. after the morning prayer till the sunrises.
2. after the 'Asr prayer till the sun sets.


Ravi :
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne kaha: Rasool Allah (ﷺ) ne do (2) (waqt) namazo’n se manaa farmaya hai: 
1. Fajr ke baad tuloo-e-aftaab tak 
2. Asr ke baad ghuroob-e-aftaab tak.



Reference : Sahih al-Bukhari 588

 : Book 9, Hadith 67





Baab 32: Us Shakhs Ka Bayan Jisne Sirf Namaz-e-Asr Aur Namaz-e-Fajr Ke Baad Namaz Padhne Ko Makrooh Khayaal Kiya








Is baat ko Hazrat Umar, Ibne Umar, Abu Saeed Khudri aur Hazrat Abu Huraira (رضي الله عنهم) ne bayan kiya hai.


Narrated Ibn 'Umar:

I pray as I saw my companions praying. I do not forbid praying at any time during the day or night except at sunset and sunrise.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main unhi auqaat mein namaz adaa karta hoo’n, jin mein maine apne saathiyo’n ko namaz padhte dekha hai. Albatta mein kisi ko nahi rokta wo din aur raat ke jis hisse mein chaahe’n namaz padhe’n lekin tuloo-e-aftaab aur ghuroob-e-aftaab ke waqt namaz padhne ki koshish na kare’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 589

 : Book 9, Hadith 68 



Baab 33: Asr Ke Baad qazaa Aur Us Tarah Ki Aur Namaz Padhna







Janab Kuraib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat karte hain, wo farmate hain: Nabi (ﷺ) ne asr ke baad do (2) rakate’n padhe’n aur farmaya: “Mujhe wafad Abdul Qais ke kuch logo’n ne mashgool kiye rakha aur meri zohar ke baad do (2) rakate’n reh gaee’n”.




Narrated 'Aisha:

By Allah, Who took away the Prophet (ﷺ). The Prophet (ﷺ) never missed them (two Rakat) after the 'Asr prayer till he met Allah and he did not meet Allah till it became heavy for him to pray while standing so he used to offer most of the prayers while sitting. (She meant the two Rakat after Asr) He used to pray to them in the house and never prayed to them in the mosque lest it might be hard for his followers and he loved what was easy for them.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Qasam hai us (Allah) ki jo Rasool Allah (ﷺ) ko duniya se le gaya! Aap ne asr ke baad do (2) rakat kabhi tark nahi farmae’n, ta-aa’nke aap Allah se jaa miley aur jab Allah se miley to us waqt ba-wajah-e-zoaf aap namaz se thak jaate the, aur aap aksar namaz ki adaaegi baithkar farmate the, yaane asr ke baad ki do (2) rakate’n. Aur aap asr ke baad do (2) rakat hamesha padha karte the, lekin unhe’n masjid mein nahi padhte the, is dar se ke kahee’n aap ki ummat par giraa’n na guzre, kyou’nke aapko apniummat ke haq mein takhfeef pasand thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 590

 : Book 9, Hadith 69
 
: Also see Hadith No. 
591, 592, 593, 1631 




Narrated Hisham's father:

'Aisha (addressing me) said, "O son of my sister! The Prophet (ﷺ) never missed two prostrations (i.e. Rakat) after the 'Asr prayer in my house."


Ravi Hisham Ke Walid:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne (Hazrat Urwah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se) farmaya tha: Mere bhanje! Rasool Allah (ﷺ) ne asr ke baad do (2) Rakat mere yahaa’n kabhi tark nahi farmae’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 591

 : Book 9, Hadith 70




Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) never missed two Rakat before the Fajr prayer and after the Asr prayer openly and secretly.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ne do (2) rakat fajr se pehle aur do (2) rakat asr ke baad posheeda aur ashkaar dono’n haalato’n mein kabhi tark na farmae’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 592

 : Book 9, Hadith 71




Narrated 'Aisha:

Whenever the Prophet (ﷺ) come to me after the 'Asr prayer, he always prayed two Rakat.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jis din bhi Nabi (ﷺ) asr ke baad mere yahaa’n tashreef laate to do (2) rakat zaroor padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 593

 : Book 9, Hadith 72





Baab 34: Abr-aalood Din Mein Namaz Jaldi Adaa Karna






Narrated Ibn Abu Malih:

I was with Buraida on a cloudy day and he said, "Offer the 'Asr prayer earlier as the Prophet (ﷺ) said, 'Whoever leaves the 'Asr prayer will have all his (good) deeds annulled."


Ravi Hazrat Abu Maleeh:
 
Ham ek dafaa abr-aalood din mein Hazrat Bareeda (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke shareek-e-safar the to unho’n ne farmaya: Namaz jaldi padhlo kyou’nke Nabi (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Jis ne namaz-e-asr chod di, uska amal zaae ho gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 594

 : Book 9, Hadith 73





Baab 35: Namaz Ka Waqt Guzar Jaane Ke Baad Azaan Kehna







Narrated 'Abdullah bin Abi Qatada:

My father said, "One night we were travelling with the Prophet (ﷺ) and some people said, 'We wish that Allah’s Apostle (ﷺ) would take a rest along with us during the last hours of the night.' He said, 'I am afraid that you will sleep and miss the (Fajr) prayer.' Bilal said, 'I will make you get up.' So all slept and Bilal rested his back against his Rahila and he too was overwhelmed (by sleep) and slept. 
The Prophet (ﷺ) got up when the edge of the sun had risen and said, 'O Bilal! What about your statement?'
He replied, 'I have never slept such a sleep.' The Prophet (ﷺ) said, 'Allah captured your souls when He wished, and released them when He wished. O, Bilal! Get up and pronounce the Adhan for the prayer.' The Prophet (ﷺ) performed ablution and when the sun came up and became bright, he stood up and prayed."


Ravi Hazrat Abu Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham ek shab Nabi (ﷺ) ke hamraah safar kar rahe the, kuch logo’n ne arz kiya: Allah ke Rasol (ﷺ)! Kaash aap ham sab logo’n ke hamraah aakhir shab araam farmae’n. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe dar hai ke mabaada namaz se sote raho”. 
Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) goya hue: Main sabko jagah du’nga, chunache sab log lait gae, aur Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apni pusht apni oontni se lagaakar baith gae, magar jab unki ankho’n mein neend ka ghalba hua to wo bhi so gae. Nabi (ﷺ) aise waqt bedaar hue ke sooraj ka kinaara nikal chuka tha. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Bilal! Tumhara qaul-o-qaraar kaha’n gaya?” 
Wo bole mujhe aaj jaisee neend kabhi nahi aai. 
Us par Aap (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala ne jab chaaha tumhari arwaah ko qabz kar liya aur jab chaaha unhe’n waapas kar diya. Aye Bilal! Utho aur logo’n mein namaz ke liye azaan do”. Uske baad aap (ﷺ) ne wazoo kiya, jab sooraj buland ho kar raushan hogaya to aap khade hue aur namaz padhaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 595

 : Book 9, Hadith 74
 
: Also see Hadith No. 7471 





Baab 36: Waqt Guzar Jaane Ke Baad qazaa Namaz Ba-Jamaat Adaa Karna







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

On the day of Al-Khandaq (the battle of trench.), 'Umar bin Al-Khattab came cursing the disbelievers of Quraish after the sun had set and said, "O Allah’s Apostle (ﷺ) I could not offer the 'Asr prayer till the sun had set." 
The Prophet (ﷺ) said, "By Allah! I, too, have not prayed." So we turned towards Buthan, and the Prophet (ﷺ) performed ablution and we too performed ablution and offered the 'Asr prayer after the sun had set, and then he offered the Maghrib prayer.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umar Farooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) khandaq ke din us waqt aae jab sooraj ghuroob ho chuka tha. Wo kuffaar-e-quraish ko bura bhala kehne lagey. 
Arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Main namaz-e-asr ba-mushkil sooraj ghuroob hone ke qareeb adaa kar saka hoo’n. 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah ki qasam! Asr ki namaz main bhi nahi padh saka”. 
Phir ham ne waadi-e-bathaan ka rukh kiya, aap ne namaz ke wazoo farmaya aur ham sabne bhi wazoo kiya, phir aap ne ghuroob-e-aftaab ke baad namaz-e-asr adaa ki, uske baad maghrib ki namaz padhaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 596

 : Book 9, Hadith 75
 
: Also see Hadith No. 
598, 641, 945, 4112 





 Baab 37: Jo Shakhs Koi Namaz Bhool Jaae To Jis Waqt Yaad Aae Padhle Aur Sirf Usi Namaz Ka Iaada Kare







Ibrahim Nakhai (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke jis shakhs ne ek namaz chodh di (aur) 20 saal tak (usey yaad nahi aaya, tab bhi wo) sirf usi ek namaz ka iaada karega.

Wazaahat: Is unwaan se un logo’n ki tardeed maqsood hai, jo kehte hain ke qaza-shuda namaz do (2) martaba padhi jaae. Ek jab yaad aae, phir doosre din uske apne waqt bhi adaa ki jaae.




Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "If anyone forgets a prayer he should pray that prayer when he remembers it.
There is no expiation except to pray the same." 
Then he recited: "Establish prayer for My (i.e. Allah's) remembrance." (Quran 20.14).


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs namaz bhool jaae to yaad aate hi usey padhle. Uska yehi kaffara hai. Farman-e-Ilaahi hai: Meri Yaad Ke Liye Namaz Qaaem Keejiye”. [Surah Taha 20:14]

Hibban ne kaha: Ham se hamam ne bayan kiya, unho’n ne kaha: Ham se Qatada ne, unho’n ne kaha: Ham se Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bayan kiya, wo Nabi (ﷺ) se aisee hi hadees bayan karte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 597

 : Book 9, Hadith 76



Baab 38: Faut-shuda Namazo’n Ko Hasb-e-Tarteeb Padhna Chaahiye







Narrated Jabir:

Umar came cursing the disbelievers (of Quraish) on the day of Al-Khandaq (the battle of Trench) and said, "I could not offer the 'Asr prayer till the sun had set. Then we went to Buthan and he offered the ('Asr) prayer after sunset and then he offered the Maghrib prayer.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ghzwa-e-khandaq ke din kuffaar-e-quraish ko bura bhala kehne lagey, aur arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maine ghuroob-e-aftaab tak ba-mushkil namaz-e-asr padh saka hoo’n. 
Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Phir ham log waadi-e-buthaan mein gae, tab aap ne aaftaab ghuroob ho jaane ke baad namaz (e asr) padhi. Uske baad namaz-e-maghrib adaa farmaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 598

 : Book 9, Hadith 77





Baab 39: Namaz-e-Isha Ke Baad Qissa-goi Makrooh Hai






Saamir ka lafz Samar se maakhuz hai, uski jamaa Sumaar hai aur is muqaam par saamir jamaa ke maano’n mein musta’amal hai. Arabi zuban mein samar ka lafz chaand ki chaandni ke liye bola jaata hai. Choo’nke log us mein mazey le-le-kar baate’n karte the, is liye baad mein raat ke waqt baate’n karne ke liye istemaal hone laga.




Narrated Abu-l-Minhal:

My father and I went to Abi Barza Al-Aslami and my father said to him, "Tell us how Allah's Apostle used to offer the compulsory congregational prayers." 
He said, "He used to pray the Zuhr prayer, which you call the first prayer, as the sun declined at noon, the 'Asr at a time when one of US could go to his family at the farthest place in Medina while the sun was still hot. 
(The narrator forgot what Abu Barza had said about the Maghrib prayer), and the Prophet (ﷺ) preferred to pray the 'Isha' late and disliked to sleep before it or talk after it. And he used to return after finishing the morning prayer at such a time when it was possible for one to recognize the person sitting by his side and he (the Prophet (ﷺ)) used to recite 60 to 100 'Ayat' (verses) of the Qur'an in it."


Ravi Hazrat Abu Minhaal Sayaar bin Salaamah:

Main apne waalid-e-giraami ke hamraah Hazrat Abu Barzah Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hua, mere waalid-e-mohtaram ne unse arz kiya: Aap bayan kare’n ke Rasool Allah (ﷺ) farz namaz kis tarah padhte the? 
Unho’n ne farmaya: Namaz-e-zohar jise tum pehli namaz kehte ho, us waqt padhte jab sooraj dhal jaata tha. Aur namaz-e-asr us waqt padhte ke jab hamaara koi aadmi namaz padhkar awaali madina mein apne ghar pohoncha to abhi sooraj khoob raushnat hota. Raawi kehta hai ke maghrib ke mutaalliq unho’n ne jo farmaya main usey bhool gaya hoo’n. Sahaabi kehte hain ke aap isha ke namaz der se padhna pasand karte the, nez isha se pehle sone aur isha ke baad baat karne ko makrooh khayaal karte the. Aur subah ki namaz se faraaghat ke baad aap aise waqt laut-te jab ham mein se har ek apne paas waale saathi ko pehchaan leta tha aur aap us mein 60-100 ayaat padha karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 599

 : Book 9, Hadith 78





Baab 40: Namaz-e-Isha Ke Baad Ilmi Aur Khair-khwahi Par Mabni Guftagu Karna







Narrated Qurra bin Khalid:

Once he waited for Al-Hasan and he did not show up till it was about the usual time for him to start his speech; then he came and apologized saying, "Our neighbours invited us." Then he added, "Narrated Anas, 'Once we waited for the Prophet (ﷺ) till it was midnight or about midnight. He came and led the prayer, and after finishing it, he addressed us and said, 'All the people prayed and then slept and you had been in prayer as long as you were waiting for it." Al-Hasan said, "The people are regarded as performing good deeds as long as they are waiting for doing good deeds." Al-Hasan's statement is a portion of Anas's Hadith from the Prophet (ﷺ).


Ravi Hazrat Qurrah bin Khalid:

Ham ek dafa Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ka intezar kar rahe the. Unho’n ne tashreef laane mein itni der kardi ke (masjid se) unki barkhastgi ka waqt qareeb aagaya. Bahar-haal wo tashreef laae aur farmaya: Hame’n hamaare padosiyo’n ne daawat di thi (is liye der ho gai) 
Phir unho’n ne kaha: Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne mujhse farmaya tha ke ham ne ek raat Nabi (ﷺ) ka intezar kiya ta-aa’nke aadhi raat ho gae. Uske baad aap tashreef laae aur hame’n namaz padhai, phir aap ne khutba dete hue farmaya: “Khabardaar! Log to namaz padhkar so gae aur tum baraabar namaz mein rahe, jab tak tum namaz ka intezar karte rahe”. 
Is hadees ke pesh-e-nazar Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne farmaya: Log us waqt tak khair mein rehte hain jab tak wo khair ka intezar karte rahe’n. Quraah bin Khalid ne kaha: Hazrat Hasan Basri ka mazkura farmaan bhi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se marwi us hadees se maakhuz hai, jo unho’n ne Nabi (ﷺ) se bayan ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 600

 : Book 9, Hadith 79 




Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

The Prophet (ﷺ) prayed one of the 'lsha' prayers in his last days and after finishing it with Taslim, he stood up and said, "Do you realize (the importance of) this night?
Nobody present on the surface of the earth tonight would be living after the completion of one hundred years from this night."

The people made a mistake in grasping the meaning of this statement of Allah’s Apostle (ﷺ) and they indulged in those things which are said about these narrators (i.e. some said that the Day of Resurrection will be established after 100 years etc.) But the Prophet (ﷺ) said, "Nobody present on the surface of earth tonight would be living after the completion of 100 years from this night"; He meant "When that century (people of that century) would pass away."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne apni zindagi ke aakhri ayyam mein hame’n isha ki namaz padhai. Salam pherne ke baad Nabi (ﷺ) khade ho gae aur farmaya: “Tum is raat ki ehmiya ko jaante ho? 
Aaj ki raat se 100 baras baad koi shakhs jo ab zameen par maujood hai, zinda nahi rahega”. 
Log Nabi (ﷺ) ke is irshad-e-giraami ki wajah se pareshan hone lagey aur 100 baras ki wazaahat karne mein doosri baato’n ki taraf khayaal daudaana shuru kar diya. 
Halaa’nke Nabi (ﷺ) ke is farmaan: “Jo aaj roo-e-zameen par zinda hain, un mein se koi bhi baaqi nahi rahega”. 
Isse aap ki muraad ye thi ke 100 baras tak ye sadi khatam ho jaaegi.



Reference : Sahih al-Bukhari 601

 : Book 9, Hadith 80





Baab 41: Ahle Khana Aur Mehmaano Ke Saath Isha Ke Baad Guftagu Karna







Narrated Abu 'Uthman:

'Abdur Rahman bin Abi Bakr said, "The Suffa Companions were poor people and the Prophet (ﷺ) said, 'Whoever has food for two persons should take the third one from them (Suffa companions). And whosoever has food for four persons he should take one or two from them Abu Bakr took three men and the Prophet (ﷺ) took ten of them."
'Abdur Rahman added, my father my mother and I were there (in the house). 
(The sub-narrator is in doubt whether 'Abdur Rahman also said, 'My wife and our servant who was common for both my house and Abu Bakr's house). Abu Bakr took his supper with the Prophet (ﷺ) and remained there till the 'Isha' prayer was offered. Abu Bakr went back and stayed with the Prophet (ﷺ) till the Prophet (ﷺ) took his meal and then Abu Bakr returned to his house after a long portion of the night had passed. Abu Bakr's wife said, 'What detained you from your guests (or guest)?' 
He said, 'Have you not served them yet?' 
She said, 'They refused to eat until you come. The food was served for them but they refused."
'Abdur Rahman added, "I went away and hid (being afraid of Abu Bakr) and in the meantime, he (Abu Bakr) called me, 'O Ghunthar (a harsh word)!' and also called me bad names and abused me and then said (to his family), 'Eat. No welcome for you.' Then (the supper was served). Abu Bakr took an oath that he would not eat that food. The narrator added: By Allah, whenever any one of us (myself and the guests of Suffa companions) took anything from the food, it increased from underneath.
We all ate to our fill and the food was more than it was before its serving.
Abu Bakr looked at it (the food) and found it as it was before serving or even more than that. He addressed his wife (saying) 'O the sister of Bani Firas! What is this?' 
She said, 'O the pleasure of my eyes! The food is now three times more than it was before.' Abu Bakr ate from it, and said, 'That (oath) was from Satan' meaning his oath (not to eat). Then he again took a morsel (mouthful) from it and then took the rest of it to the Prophet (ﷺ). So that meal was with the Prophet (ﷺ). There was a treaty between us and some people, and when the period of that treaty had elapsed the Prophet (ﷺ) divided us into twelve (groups) (the Prophet (ﷺ)'s companions) each being headed by a man. Allah knows how many men were under the command of each (leader). So all of them (12 groups of men) ate of that meal."


Ravi Hazrat Abu 'Uthman:

Hazrat Abdur Rahman bin Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Ashab-e-Suffa nadaar log the. Nabi (ﷺ) ne (unke mutaalliq) farmaya tha: “Jiske paas do (2) aadmiyo’n ka khaana hai, wo teesra aadmi saath le jaae aur agar chaar (4) ka hota to paachwaa’n (5) yaa chatta (6) (un mein se le jaae)”. 
Chunache Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apne saath 3 admi le kar gae aur khud Nabi (ﷺ) ne apne hamraah 10 admiyo’n ko liya. 
Hazrat Abdur Rahman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha ke ghar mein us waqt main aur mere waledain the. Raawi kehta hai ke mujhe yaad nahi ke aap ne ye kaha yaa nahi ke ghar mein meri ahliya aur khaadim bhi tha, jo mere aur mere walid-e-giraami ke ghar mein mushtaraka taur par kaam karta tha. 
Al-gharz Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) ke yahaa’n raat ka khana khaa liya aur thori der ke liye waha’n theher gae, phir isha ki namaz padhli gai, laut kar phir thodi der thehre, yahaa’n tak ke Nabi (ﷺ) ne raat ka khana tanaawul farmaya. 
Uske baad aap kaafi raat gae apne ghar waapas aae to unki biwi ne kaha: Tum apne mehmaano’n yaa mehman ko chodhkar kaha’n atak gae the? 
Wo bole: Kya tumne unhe’n khana nahi khilaya? 
Unho’n ne bataaya ke aapke aane tak mehmaano ne khana khaane se inkar kar diya tha. Khana pesh kiya gaya, lekin wo na maane. 
Abdur Rahman kehte hain: Main to (maare khauf ke) kahee’n chup gaya. 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Aye Ghunsar! Aap ne bohot sakht sust kaha aur khoob kosa, phir mehmano’n se goya hue: Khaao tumhe’n khush-gawaar na h, aur kaha: Allah ki qasam! Main hargiz na khaau’nga. 
(Abdur Rahman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain:) Allah ki qasam! Ham jab luqma lete to neeche se ziyada badh jaata, ta-aa’nke sab mehman sair hogae, aur jis qadar khana pehle tha, usse kahee’n ziyada bach gaya. 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jab khana dekha ke wo waise hi hai, balke usse bhi ziyaada hai to unho’n ne apni ahliya se farmaya: Aye Qabila-e-Banu Faraas ki behen! Ye kya maajra hai? 
Unho’n ne arz kiya: Aye meri ankho’n ki thandak! Ye khana us waqt pehle se teen (3) guna hai, balke usse bhi ziyaada. 
Phir us mein se Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kuch tanaawul farmaya aur kaha ke unki ye qasam shaitan hi ki taraf se thi. 
Phir ek luqma usse (mazeed) khaaya aur baaqi maanda khana Nabi (ﷺ) ke paas uthakar le gae aur wo subah tak aapke paas pada raha. (Abdur Rahman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha:) Hamaare aur ek giroh ke darmiyan kuch ehed tha, jiski muddat guzar chuki thi, to ham ne 12 aadmi alaaheda kar diye. Un mein se har ek ke saath kuch aadmi the. Ye to Allah hi jaanta hai ke har shakhs ke saath kitne aadmi the, un sabne us mein se khaya, yaa jise Abdur Rahman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha.



Reference : Sahih al-Bukhari 602

 : Book 9, Hadith 81





PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT