SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

21: Abwaab-ul-Amal Fis Salah
(Dauran-e-Namaz Mein Kiye Jaane Waale Amaal Ka Bayan)
[Actions while Praying/كتاب العمل فى الصلاة]
[1198 To 1223]




 Baab 1: Dauran-e-Namab Mein Haath Se Madad Lena Jabke Wo Kaam Namaz Se Mutaalliq Ho







Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke namazi dauran-e-namaz mein apne jism ke jis hisse se chaahe madad le sakta hai.

Hazrat Abu Ishaq ne dauran-e-namaz mein apni topi utaar kar rakhi aur phir usey uthaa liya.

Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz mein apni hatheli ko baaee’n kalaai par rakhe hote, illa ye ke badan ko khujlaana yaa kapde ko durust karna hota.




Narrated Kuraib Maula Ibn Abbas:

'Abdullah bin Abbas said that he had passed a night in the house of Maimuna the mother of the faithful believers, who were his aunt. He said, "I slept across the bed, and Allah’s Apostle (ﷺ) along with his wife slept lengthwise. Allah’s Apostle (ﷺ) slept till mid-night or slightly before or after it. Then Allah's Apostle woke up, sat, and removed the traces of sleep by rubbing his hands over his face. Then he recited the last ten verses of Surat-Al Imran (2). Then he went towards a hanging leather water-container and performed a perfect ablution and then stood up for prayer." 'Abdullah bin Abbas added, "I got up and did the same as Allah’s Apostle (ﷺ) had done and then went and stood by his side. Allah's Apostle then put his right hand over my head and caught my right ear and twisted it. He offered two Rakat, then two Rakat, then two Rakat, then two Rakat, then two Rakat, then two Rakat and then offered one Raka Witr. Then he lay down till the Muadh-dhin came and then he prayed for two light Rakat and went out and offered the early morning (Fajr) prayer."


Ravi Kuraib Maula Ibn Abbas:

Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke unho’n ne ek (1) martaba apni khala Ummul Momineen Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke yahaa’n raat basar ki. Unho’n ne farmaya ke main sirhaane ke arz par lati gaya, jabke Rasool Allah (ﷺ) aur aap ki ahliya mohtarma uske tool (Lambaai) mein araam farma hue. Rasool Allah (ﷺ) so gae, hatta ke jab aadhi raat hui yaa usse thoda sa pehle yaa baad to phir aap bedaar hue aur baithkar apne dono haatho’n se apne chehra-e-anwar se need ke asaraat door karne lagey. Phir aap ne Surah Aale Imran ki aakhri das (10) ayaat tilaawat farmaai. Uske baad aap uth kar latakte hue mashkeeze ke paas gae aur usse acchi tarah wazoo kiya, phir khade ho kar nama zpadhne lagey. 
Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke main bhi utha aur usi tarah kiya jis tarah Rasool Allah (ﷺ) ne kiya tha. Phir main gaya aur aap ke pehlu mein khada ho gaya. Rasool Allah (ﷺ) ne apna dayaa’n haath mere sar par rakha aur mera dayaa’n kaan pakad kar usey apne haath se marodne lagey. Uske baad aap (ﷺ) ne do (2) rakate’n padhee’n. Phir do (2), baad azaa’n do (2), phir do (2), phir do (2) rakate’n adaa kee’n. Aakhir mein phir do (2) rakate’n padhee’n, uske baad aap ne witr adaa kiya aur lait gae, hatta ke aap ke paas moazzin aaya to aap uthe aur halki si do (2) rakat adaa kee’n, phir baahar tashreef le gae aur subah ki namaz padhai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1198

 : Book 21, Hadith 1





Baab 2: Namaz Mein Kalaam Karne Ki Mumaaneat






Narrated 'Abdullah:

We used to greet the Prophet (ﷺ) while he was praying and he used to answer our greetings. When we returned from AnNajashi (the ruler of Ethiopia), we greeted him, but he did not answer us (during the prayer) and (after finishing the prayer) he said, "In the prayer, one is occupied (with a more serious matter)."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ko salaam kehte jab aap namaz mein hote the, to aap hame’n uska jawab dete the. Lekin jab ham Najjashi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas se waapas aae to ham ne aap ko (dauran-e-namaz mein) salaam kaha to aap ne jawab na diya aur farmaya: “Bila-shubha namaz mein mashghooliyat hoti hai”.
Huraim bin Sufyan ne bhi Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki is riwayat ko isi tarah bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1199

 : Book 21, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 1216, 3875
 




Narrated Zaid bin Arqam:

In the lifetime of the Prophet (ﷺ), we used to speak while praying, and one of us would tell his needs to his companions, till the verse, 'Guard strictly your prayers (Quran 2.238) was revealed. After that we were ordered to remain silent while praying.


Ravi Hazrat Zaid bin Arqam (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein dauran-e-namaz mein ek-doosre se baat-cheet kar lete the, aur apni zarorat-o-haajat ko bhi ek-doosre se bayan kar dete the. Hatta ke ye aayat naazil hui: 

“حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ” 
“Tamaam Namazo’n (bil-khusoos darmiyani namaz) Ki Hifaazat Karo”. [Surah Baqara: 238]

Uske baad hame’n khamosh rehne ka hukum diya gaya (aur dauran-e-namaz mein guftagu karne se bhi hame’n manaa kar diya gaya).



Reference : Sahih al-Bukhari 2000

 : Book 21, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 4534
 





Baab 3: Mardo’n Ke Liye Dauran-e-Namaz Mein “سبحان الله ” aur “ٱلْحَمْدُ لِلَّٰهِ” Kehna Jaaez Hai







Narrated Sahl bin Sad:

The Prophet (ﷺ) went out to affect a reconciliation between the tribes of Bani 'Amr bin 'Auf and the time of the prayer became due; Bilal went to Abu Bakr and said, "The Prophet (ﷺ) is detained. Will you lead the people in the prayer?" 
Abu Bakr replied, "Yes if you wish." 
So Bilal pronounced the Iqama and Abu Bakr led the prayer. In the meantime, the Prophet (ﷺ) came crossing the rows (of the praying people) till he stood in the first row and the people started clapping. Abu Bakr never looked hither and thither during the prayer but when the people clapped too much, he looked back and saw the Prophet (ﷺ) in the (first) row. The Prophet (ﷺ) waved him to remain at his place, but Abu Bakr raised both his hands and sent praises to Allah and then retreated and the Prophet (ﷺ) went forward and led the prayer.


Ravi Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) qabila-e-banu amr bin auf mein sulah karane ke liye tashreef le gae. Itne mein namaz ka waqt ho gaya to Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ), Syedna Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae aur arz kiya: Nabi (ﷺ) kisi wajah se tashreef nahi laa sakey, lehaaza aap logo’n ki imaamat kare’n. Unho’n ne farmaya: Haa’n! Agar tum chaaho to main taiyyaar hoo’n, chunache Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne takbeer kahi aur Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aagey badh kar namaz padhane lagey. Achanak Nabi (ﷺ) doosri safo’n se guzarte hue pehli saff mein aakar khade ho gae. Logo’n ne taaliyaa’n bajaana shuroo kar dee’n. 
Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Jaante ho tasfeeh kya hai? 
Tasfeeh taaliyaa’n bajaana hai. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) dauran-e-namaz mein bilkul idhar-udhar nahi dekha karte the. Jab logo’n ne kasrat se taaliyaa’n peetna shuroo kee’n to mutawajja hue. Dekhte hain ke Nabi (ﷺ) saff mein khade hain. Aap ne Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ishaara farmaya ke apni jagah par raho, lekin Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne dono haath utha kar “ٱلْحَمْدُ لِلَّٰهِ ” Alhamdulillah kaha, phir ulte paao’n peeche hue. Uske baad Nabi (ﷺ) ne aagey badhkar namaz padhaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1201

 : Book 21, Hadith 4





Baab 4: Jisne Dauran-e-Namaz Mein Kisi Kaam Ka Naam Liya Yaa Kisi Ko Salam Kiya Jabke Usey Ilm Nahi







Narrated 'Abdullah bin Masud:

We used to say the greeting, name and greet each other in the prayer. Allah’s Apostle (ﷺ) heard it and said:

"Say, 'At-tahiyyatu lil-lahi was-salawatu wat-taiyibatu . Assalamu 'Alaika aiyuha-n-Nabiyu wa-rahmatu-l-lahi wa-barakatuhu. Assalamu alaina wa-'ala 'ibadi-l-lahi as-salihin.. Ashhadu an la ilaha illa-l-lah wa ashhadu anna Muhammadan 'abdu hu wa Rasuluh. 
(All the compliments are for Allah and all the prayers and all the good things (are for Allah). Peace be on you, O Prophet (ﷺ), and Allah's mercy and blessings (are on you). And peace be on us and on the good (pious) worshipers of Allah. I testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is His slave and Apostle.) 

So, when you have said this, then you have surely sent the greetings to every good (pious) worshipper Allah, whether he be in the Heaven or on the Earth.


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham log namaz meins alam karte aur ek-doosre ka naam lete the, alaawa-azee’n (Iske maa-siwa) ek (1) shakhs doosre ko salaam bhi keh leta tha, Rasool Allah (ﷺ) ne ye sun kar farmaya:

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

“Is tarah kaha karo: Har qism ki zubaani, badani aur maali ibaadat sirf Allah ke liye hain. Aye Nabi! Aap par salaam ho, Allah ki rahmate’n aur uski barkate’n aap par naazil ho’n, ham par salaamti ho aur Allah ke nek bando’n par bhi. Main gawaahi deta hoo’n ke Allah ke siwa koi maabood-e-bar-haq nahi, nez gawaahi deta hoo’n ke Hazrat Muhammad (ﷺ) uske bande aur Rasool hain”. 

“Jab tum ne ye padh liya to yaqeenan tum ne Allah ke un tamaam nek bando’n ko salaam pohchaa diya jo zameen-o-aasmaan mein hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1202

 : Book 21, Hadith 5





Baab 5: (Dauran-e-namaz) Taali Bajaana Sirf Aurto’n Ke Liye Hai







Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "The saying 'Sub Han Allah' is for men and clapping is for women." (If something happens in the prayer, the men can invite the attention of the Imam by saying "Sub Han Allah". And women, by clapping their hands).


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “(Namaz mein agar koi haadsa pesh aajaae to) Mardo’n ke liye SubhanAllah kehna aur aurto’n ke liye taali bajaana hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1203

 : Book 21, Hadith 6




Narrated Sahl bin Sad:

The Prophet (ﷺ) said, "The saying 'Sub Han Allah' is for men and clapping is for women.


Ravi Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Mardo’n ke liye SubhanAllah kehna aur aurto’n ke liye taali bajaana hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1204

 : Book 21, Hadith 7





Baab 6: Jo Koi Dauran-e-Namaz Mein, Dar-pesh Haadse Ki Binaa Par Peeche Hataa Yaa Aagey Badha







Is baat ko Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai.


Narrated Anas bin Malik:

While Abu Bakr was leading the people in the morning prayer on a Monday, the Prophet (ﷺ) came towards them suddenly having lifted the curtain of 'Aisha's house and looked at them as they were standing in rows and smiling. Abu Bakr tried to come back thinking that Allah’s Apostle (ﷺ) wanted to come out for the prayer. The attention of the Muslims was diverted from the prayer because they were delighted to see the Prophet (ﷺ). The Prophet (ﷺ) waved his hand to them to complete their prayer, then he went back into the room and let down the curtain. The Prophet (ﷺ) expired on that very day.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Log peer ke din namaz-e-fajr mein mashghool the. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) unhe’n namaz padha rahe the, achaanak Nabi (ﷺ) ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke hujre se parda uthaaya aur logo’n ki taraf dekha, jabke wo namaz mein saff-basta the. Aap muskurate hue hasay. Ye manzar dekh kar Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apn ediyo’n ke bal peeche waapas hue aur ye khayaal kiya ke shayad Rasool Allah (ﷺ) namaz ke liye tashreef laane ka iraada rakhte hain. Musalmano ne jab Nabi (ﷺ) ko dekha ke is qadar khush hue ke namaz hi ko tod daalne ka iraada kar liya, lekin Rasool Allah (ﷺ) ne apne dast-e-mubarak se ishaara farmaya ke namaz ko poora karo, phir hujre mein tashreef le gae aur parda latka diya aur us roz apne khaliq-e-haqeeqi se jaa miley.



Reference : Sahih al-Bukhari 1205

 : Book 21, Hadith 8





Baab 7: Namaz Padhte Hue Bete Ko Agar Uski Waalida Awaaz De







Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "A woman called her son while he was in his hermitage and said, 'O Juraij' He said, 'O Allah, my mother (is calling me) and (I am offering) my prayer (what shall I do)?' 
She again said, 'O Juraij!' He said again, 'O Allah! My mother (is calling me) and (I am offering) my prayer (what shall I do)?' 
She again said, 'O Juraij' He again said, 'O Allah! My mother (is calling me) and (I am offering) my prayer. (What shall I do?)' She said, 'O Allah! Do not let Juraij die till he sees the faces of prostitutes.' 
A shepherdess used to come by his hermitage for grazing her sheep and she gave birth to a child. She was asked whose child that was, and she replied that it was from Juraij and that he had come out from his hermitage. Juraij said, 'Where is that woman who claims that her child is from me?' 
(When she was brought to him along with the child), Juraij asked the child, 'O Babus, who is your father?' 
The child replied, 'The shepherd.' "


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ek (1) aurat ne apne bete ko awaaz di, jabke wo apni ibaadat-khaane mein (masroof-e-ibaadat) tha. Usne kaha: Aye Juraij! 
Juraij ne (dil mein) kaha: Aye Allah! Ek taraf meri walida hai, doosri taraf meri namaz hai. 
Wo phir boli: Aye Juraij! Juraij goya hua, yaa Allah! Meri waalida aur meri namaz mein kisey ikhtiyaar karoo’n. Us aurat ne teesri martaba pukaara: Aye Juraij! 
Us ne phir wohi kaha: Ya Allah! Idhar meri waalida hai, udhar meri namaz hai. (Bahar-haal us ne namaz ko na chota do) Maa’n ne bad-dua ki: Aye Allah! Juraij ko maut na aae jab tak wo badmaash aurto’n ka mu’n na dekh le. 
Chunache uske ibadat-khaane ke paas ek bakriya’n charaane waali aurat thehra karti thi. Usne ek bacche ko janam diya to usse kaha gaya: Ye bacha kis shakhs ka hai? 
Wo kehne lagi: (nau-maulood) Juraij se hai. Ye wo ilzam sun kar apne ibadat-khaane se neeche utra aur kehne laga: Wo aurat kaha’n hai, jo daawa karti hai ke ye bacha mujh se hai? Juraij ne bacche ko mukhatib karke kaha: Aye sheer-khwar! Tera baap kaun hai? 
Usne kaha: Mera baap bakriya’n charaane waala ek gadariya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1206

 : Book 21, Hadith 9
 
: Also see Hadith No. 
2482, 3436, 3466 



Baab 8: Dauran-e-Namaz Mein Kankariya’n Hataana






Narrated Mu'aiqib:

The Prophet (ﷺ) talked about a man levelling the earth on prostrating, and said, "If you have to do so, then do it once."


Ravi Hazrat Muaiqib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek (1) shakhs se farmaya jo dauran-e-namaz mein sajde ki jagah par mitti hamwaar kar raha tha: “Agar tum ye karna hi chaahte ho to ek (1) dafa karlo (usse ziyaada na karo)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1207

 : Book 21, Hadith 10





Baab 9: Dauran-e-Namaz Mein Sajde Ke Liye Kapda Bichaana







Narrated Anas bin Malik:

We used to pray with the Prophet (ﷺ) in scorching heat, and if someone of us could not put his face on the earth (because of the heat) then he would spread his clothes and prostrate over them.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham sakht garmi mein Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz padhte the. Jab ham mein se kisi ko zameen par apna chehra rakhne ki himmat na hoti to zameen par apna kapda bicha kar us par sajda kar leta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1208

 : Book 21, Hadith 11





Baab 10: Dauran-e-Namaz Mein Kaun Kaun Se Kaam Amal Mein Laana Jaaez Hai?







Narrated Aisha:

I used to stretch my legs towards the Qibla of the Prophet (ﷺ) while he was praying; whenever he prostrated he touched me, and I would withdraw my legs, and whenever he stood up, I would restretch my legs.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab (raat ke waqt) Nabi (ﷺ) namaz padhte to main aap ki taraf paao’n phaila kar laiti rehti. Jab aap sajda karte to mera paao’n daba dete, main unhe’n utha leti aur jab aap khade ho jaate to main phir paao’n daraaz kar leti.



Reference : Sahih al-Bukhari 1209

 : Book 21, Hadith 12




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) once offered the prayer and said, "Satan came in front of me and tried to interrupt my prayer, but Allah gave me an upper hand on him and I choked him. No doubt, I thought of tying him to one of the pillars of the mosque till you get up in the morning and see him. Then I remembered the statement of Prophet (ﷺ) Solomon, 

'My Lord! Bestow on me a kingdom such as shall not belong to any other after me.' 

Then Allah made him (Satan) return with his head down (humiliated)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek (1) dafa namaz padhi to farmaya: “Shaitan ne mere saamne aakar mujh par hamla kar diya, take meri namaz kharab karde. Allah Ta’ala ne jab mujhe uspar qudrat di, to maine usey garden se daboch liya. Maine iraada kar liya tha ke usey ek (1) sutoon ke saath band doo’n, take subah tum log bhi usey dekh-lo, lekin mujhe Hazrat Sulaiman (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki dua yaad aagai:

رَبِّ هَبْ لِي مُلْكًا لاَ يَنْبَغِي لأَحَدٍ مِنْ بَعْدِي

Aye Allah! Mujhe aisee baadshahat ataa farma jo mere baad kisi ke liye na ho.

“Uske baad Allah Ta’ala ne usey nakaam-o-be-muraad waapas kar diya”. 

Phir Nazar bin Shumail ne kaha: Ye lafz “فذعته ”, huruf “ذ" ke saath hai. Yaan emaine uska gala ghont diya aur lafz “دعته ” Allah ke us qaul se maakhuz hai: “‏يَوْمَ يُدَعُّونَ‏” [Surah at Toor: 13]
Qiyamat Ke Din Wo Dozakh Ki Taraf Dhakel Diye Jaae’nge. Lekine pehla lafz hi durust hai, albatta raawi-e-hadees Shu’ba ne usey aen aur taa (تاء ) ki tashdeed ke saath bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1210

 : Book 21, Hadith 13





Baab 11: Agar Dauran-e-Namaz Kisi Ki Sawaari Bhaag Pade






Hazrat Qatada ne kaha: Agar kisi ka kapda chori ho jaae to usey chaahiye ke chor ka peecha kare aur namaz chodh de.


Narrated Al-Azraq bin Qais:

We were at Al-Ahwaz fighting the AlHaruriya (tribe). While I was at the bank of a river a man was praying and the reins of his animal were in his hands and the animal was struggling and he was following the animal. 
(Shu'ba, a sub-narrator, said that man was Abu Barza al-Aslami). 
A man from the Khawarij said, "O Allah! Be harsh to this sheikh." 
And when the sheikh (Abu Barza) finished his prayer, he said, "I heard your remark. No doubt, I participated with Allah’s Apostle (ﷺ) in six or seven or eight holy battles and saw his leniency, and no doubt, I would rather retain my animal than let it return to its stable, as it would cause me much trouble. "


Ravi Hazrat Azraq bin Qais:

Ham ilaaqa-e-ahwaaz mein kharijiyo’n se masroof-e-jung the. Main neher ke kinare par kahda tha. Main dekha ke ek (1) aadmi apni sawaari ki lagaam haath mein thaame namaz padh raha hai. Daree’n asna uski sawaari shhookhi (Sharaarat, chulbulaahat ) karne lagi, to wo bhi uske peeche ho liya. 
Shu’ba ne kaha: Wo shakhs Hazrat Abu Barzah Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. 
Unhe’n dekh kar kharjiyo’n mein se ek (1) admi ne kaha: Aye Allah! Tu is boodhe ko aisa-aisa karde. 
Jab Shaikh-e-Mohtaram namaz se faarigh hue to farmaya: Maine tumhari baat sun li hai. Dar-asl maine Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah 6-7 yaa 8 jungo’n mein shirkat ki hai. Maine logo’n par aap ki taraf se sahoolat aur aasaani ko dekha hai. Is liye mujhe apni sawaari ke hamraah rehna is baat se ziyaada pasand hai ke main usey chodh doo’n aur wo apne astabl mein chali jaae, phir mujhe takleef ho.



Reference : Sahih al-Bukhari 1211

 : Book 21, Hadith 14
 
: Also see Hadith No. 6127 




Narrated 'Aisha:

Once the sun eclipsed and Allah’s Apostle (ﷺ) stood up for the prayer and recited a very long Sura and when bowed for a long while and then raised his head and started reciting another Sura. Then he bowed, and after finishing, he prostrated and did the same in the second Raka and then said, "These (lunar and solar eclipses) are two of the signs of Allah and if you see them, pray till the eclipse is over. No doubt, while standing at this place I saw everything promised to me by Allah and I saw (Paradise) and I wanted to pluck a bunch (of grapes) therefrom, at the time when you saw me stepping forward. No doubt, I saw Hell with its different parts destroying each other when you saw me retreating and in it, I saw 'Amr bin Luhai who started the tradition of freeing animals (set them free) in the name of idols."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ek (1) dafa sooraj grahan hua wo Rasool Allah (ﷺ) namaz ke liye khade hue. Aap ne ek (1) tawel surah padhi, phir taweel rukoo kiya. Uske baad apna sar-e-mubarak uthaya aur doosri surah padhna shuru kardi. Phir rukoo kiya aur acchi tarah usey adaa kiya, uske baad sajda farmaya. Phir aap ne usi tarah doosri rakat adaa ki.
Phir farmaya: “Ye dono (sooraj aur chaand) Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Jab tum in halaat se do-chaar ho jaao to namaz padho, ta-aa’nke grahan khatam ho jaae. Yaqeenan main ne us muqam par khade har cheez ko dekha hai jiska mujh se waada kiya gaya tha, hatta ke maine ye bhi dekha ke Jannat ke angooro’n se ek (1) khosha (Phalo’n ka guccha) todne ka iraada kar raha hoo’n, jab tum ne mujhe aagey badhte hue dekha. Isi tarah maine jahannum ko bhi dekha ke uske shole ek-doosre ko tod rahe hain, jab tum ne mujhe peeche hat-te hue dekha. Maine jahannum mein Amr bin Luhai ko bhi dekha jis ne butho’n ke naam par jaanwar waqf karne ka tareeqa raaej* kiya tha”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1212

 : Book 21, Hadith 15
 
*Dastoor ya maamool ke mutaabiq, jaari, chalta, maqbool-e-aam





Baab 12: Dauran-e-Namaz Thookna Aur Phoonk Maarna Jaaez Hai







Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan kiya jaata hai ke Nabi (ﷺ) ne namaz-e-grahan padhte waqt ba-haala-e-sajda phoonk maari.




Narrated Ibn'Umar:

The Prophet (ﷺ) saw some sputum on the wall facing the Qibla of the mosque and became furious with the people of the mosque and said, "During the prayer, Allah is in front of every one of you and so he should not spit (or said, 'He should not expectorate')." 
Then he got down and scratched the sputum with his hand. 
Ibn 'Umar said (after narrating), "If anyone of you has to spit during the prayer, he should spit to his left."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne qibla-e-masjid mein balgham (lagaa hua) dekha to ahle masjid par sakht naaraaz hue aur farmaya: “Allah Ta’ala tumhare saamne hota hai jab tum mein se koi namaz mein ho. Lehaza tum apne saamne hargiz na thooko”. 
Ya farmaya: “Balgham na phenko”. 
Phir aap mimbar se neeche tashreef laae aur apne dast-e-mubarak se usey khurach diya. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Tum mein se jab koi thooke to apni baaee’n jaanib thook le.



Reference : Sahih al-Bukhari 1213

 : Book 21, Hadith 16




Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "Whenever anyone of you is in prayer, he is speaking in private to his Lord and so he should neither spit in front of him nor on his right side but to his left side under his left foot."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: Jab tum meins-e-koi namaz mein hota hai, tu apne Rabb se sargoshi* karta hai, is liye wo apnea age yaa daae’n jaanib na thooke, balke apni baaee’n jaanib qadam ke neeche baaee’n jaanib thooke.



Reference : Sahih al-Bukhari 1214

 : Book 21, Hadith 17
 
*Sar ko kaan ke paas le jaa kar kuch kehna, chupke-chupke baate’n karna





Baab 13: Agar Koi Mard Jahalat Ki Wajah Se Dauran-e-Namaz Taali Bajaade To Uski Namaz Faasid Nahi Hogi







Isse mutaalliq Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se marwi hadees hai, jise wo Nabi (ﷺ) se bayan karte hain.



Baab 14: Jab Namazi Ko Dauran-e-Namaz Aagey Badhne Yaa Intezaar Karne Ke Mutaalliq Kaha Jaae Aur Wo Intezaar Kar le to Koi Muzaaeqa Nahi








Narrated Sahl bin Sad:

The people used to offer the prayer with the Prophet (ﷺ) with their waist-sheets tied around their necks because of the shortness of the sheets and the women were ordered not to lift their heads till the men had sat straight.


Ravi Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Log Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz padhte the, jabke wo apni chaadaro’n ko unke chota hone ki wajah se apni garden par baandhe hote. Un haalaat mein aurto’n se kaha jaata: “Tum apne sar (sajde se) mat uthaao, hatta ke mard seedhe ho kar baith jaae’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1215

 : Book 21, Hadith 18





Baab 15: Dauran-e-Namaz Salam Ka Jawab (zuban se) Nahi Dena Chaahiye







Narrated 'Abdullah:

I used to greet the Prophet (ﷺ) while he was in prayer and he would return my greeting, but when we returned (from Ethiopia) I greeted the Prophet (ﷺ) (while he was praying) but he did not return the greeting, and (after finishing the prayer) he said, "In the prayer, one is occupied (with a more serious matter)."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main Nabi (ﷺ) ko salaam karta jabeke aap namaz mein hote the, aur aap salaam ka jawab dete the. Jab ham (Habsha se) waapas laute to maine aap ko (dauran-e-namaz) salaam kiya to aap ne mujhe uska jawab na diya aur (faraaghar ke baad) farmaya: “Namaz mein mashgooliyat hoti hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1216

 : Book 21, Hadith 19




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) sent me for some job and when I had finished it I returned and came to the Prophet (ﷺ) and greeted him but he did not return my greeting. So I felt so sorry that only Allah knows it and I said to me,, 'Perhaps Allah’s Apostle (ﷺ) is angry because I did not come quickly, then again I greeted him but he did not reply. I felt even more sorry than I did the first time. Again I greeted him and he returned the greeting and said, "The thing which prevented me from returning the greeting was that I was praying." 
And at that time he was on his Rahila and his face was not towards the Qibla.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne mujhe apne kisi kaam ke liye bheja, chunache main gaya aur wo kaam karke Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua. Maine aap ko (dauran-e-namaz mein) salaam kiya, magar aap ne mujhe uska jawab na diya jisse mera dil itna ranjeeda hua ke Allah hi behtar jaanta hai. Maine apne dil mein kaha ke shayad Rasool Allah (ﷺ) mujh se is liye naaraaz hain ke main der se lauta hoo’n. Chunache maine phir salaam kiya to aap ne us dafa bhi jawab na diya. Ab to mere dil mein pehle se bhi ziyada ranj hua. Maine phir salaam kiya to aap ne salaam ka jawab diya aur farmaya: “Choonke main namaz padh raha tha, is liye tujhe salaam ka jawab na de saka”. 
Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: Us waqt aap sawaari par the, jiska rukh qible ki taraf nahi tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1217

 : Book 21, Hadith 20




Baab 16: Koi Maajra Pesh Aane Par Dauran-e-Namaz Haath Uthaana







Narrated Sahl bin Sad:

The news about the differences amongst the people of Bani 'Amr bin 'Auf at Quba reached Allah's Apostle and so he went to them along with some of his companions to affect a reconciliation. Allah's Apostle was delayed there and the time for the prayer became due. 
Bilal came to Abu Bakr! and said, "O Abu Bakr! Allah’s Apostle (ﷺ) is detained (there) and the time for the prayer is due. Will you lead the people in prayer?" 
Abu Bakr replied, "Yes if you wish." 
So Bilal pronounced the Iqama and Abu Bakr went forward and the people said Takbir. In the meantime, Allah’s Apostle (ﷺ) came piercing through the rows till he stood in the (first) row and the people started clapping. Abu Bakr would never look hither and thither during the prayer but when the people clapped much he looked back and saw Allah's Apostle. The Prophet (ﷺ) beckoned him to carry on. Abu Bakr raised both his hands, and praised Allah and retreated till he stood in the row and Allah’s Apostle (ﷺ) went forward and led the people in the prayer. 
When he had finished the prayer, he addressed the people and said, "O people! Why did you start clapping when something happened to you in the prayer? Clapping is for women. Whenever one is confronted with something unusual in the prayer one should say, 'Sub Han Allah'." 
Then the Prophet (ﷺ) looked toward Abu Bakr and asked, "What prevented you from leading the prayer when I beckoned you to carry on?" 
Abu Bakr replied, "It does not befit the son of Al Quhafa to lead the prayer in the presence of Allah’s Apostle (ﷺ)."


Ravi Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ko khabar mili ke quba mein qabila-e-banu amr bin auf ke darmiyan kuch jhagda ho gaya hai. Aap (ﷺ) ne chand Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ke hamraah un mein sulah karane ke liye tashreef le gae. Wahaa’n aap ko kuch rukna pada. Itne mein namaz ka waqt ho gaya to Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Syedna Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae aur arz kiya: Aye Abu Bakar! Rasool Allah (ﷺ) ko kuch der ho gai hai, aur namaz ka waqt ho chuka hai, kya aap logo’n ki imaamat ka fareeza sar-anjaam de’nge? 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar aap chaahte hain to main taiyyaar hoo’n, chunache Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne iqaamat kahi aur Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aagey badhe aur logo’n ne Allahu Akbar kehkar namaz shuru kardi. Itne mein Rasool Allah (ﷺ) tashreef le aae aur safo’n se guzarte hue pehli saff mein aakar khade ho gae. Logo’n ne taali bajaana shuru kardi… 
Raawi-e-hadees Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: “تصفيح ” ke maane taali bajaana hain… Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz mein idhar-udhar bilkul nahi dekha karte the. Jab logo’n ne ba-kasrat taaliyaa’n bajaaee’n to wo mutawajja hue. Kya dekhte hain ke Rasool Allah (ﷺ) tashreef farma hain. 
Aap (ﷺ) ne unhe’n ishare se farmaya ke namaz padhate raho, lekin Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne haath uthaae aur Allah ki taareef ki aur ulte paao’n peeche hate, yahaa’n tak ke aap saff mein aakar khade ho gae. Rasool Allah (ﷺ) aagey badhe aur logo’n ko namaz padhai. Jab faarigh hue to logo’n ki taraf mutawajja hue aur farmaya: “Logo! Tumhe’n kya ho gaya hai ke jab tumhe’n namaz mein koi haadsa pesh aata hai to taali bajaana shuru kar dete ho? Taali bajaana to aurto’n ka kaam hai. Jise namaz mein koi haadsa pesh aae to usey Subhan-Allah kehna chaahiye”. 
Phir aap Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki taraf mutwajje hue aur farmaya: “Abu Bakar! Aapko namaz padhane se kis cheez ne roka, jabke maine aap ko ishaara bhi kiya tha?” 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Abu Quhaafa ke bete ko zeb (Zeenat, raunaq) nahi deta ke wo Rasool Allah (ﷺ) ke aagey khada ho kar namaz padhaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1218

 : Book 21, Hadith 21 





Baab 17: Dauran-e-Namaz Mein Kokh Par Haath Rakhna






Narrated Abu Huraira:

It was forbidden to keep the hands on the hips during the prayer. (This is narrated by Abu Huraira from the Prophet (ﷺ).)


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Dauran-e-namaz kokh par haath rakhne se manaa kiya gaya hai.

Hazrat Hisham aur Abu Hilal Hazrat Ibne Sireen se, wo Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se aur wo Nabi (ﷺ) se bayan karte hain ke Aap (ﷺ) ne dauran-e-namaz kokh par haath rakhne se manaa farmaya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1219

 : Book 21, Hadith 22
 
: Also see Hadith No. 1220 




Narrated Abu Huraira:

It was forbidden to pray with the hands over one's hips.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Aadmi ko kokh par haath rakh kar namaz padhne se roka gaya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1220

 : Book 21, Hadith 23





Baab 18: Mard Ka Dauran-e-Namaz Mein Soch-bichaar Karna







Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Main (baaz dafa) dauran-e-namaz mein jihad ke liye lashkar ko taiyyaar karta rehta hoo’n.




Narrated 'Uqba bin Al-Harith:

I offered the 'Asr prayer with the Prophet (ﷺ) and after finishing the prayer with Taslim he got up quickly and went to some of his wives and then came out. He noticed the signs of astonishment on the faces of the people caused by his speed. 
He then said, "I remembered while I was in my prayer that a piece of gold was Lying in my house and I disliked that it should remain with us throughout the night, and so I have ordered it to be distributed."


Ravi Hazrat Uqba bin Haaris (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz-e-asr adaa ki. Jab aap ne salaam phera to jaldi se uth-khade hue aur apni kisi biwi ke ghar tashreef le gae. Uske baad baahar tashreef laae, aap ne jaldi karne ki wajah se logo’n ke chehro’n par taajjub-o-hairat ke asaraat dekhe to farmaya: “Mujhe dauran-e-namaz mein yaad aaya ke hamaare paas sone ka tukda hai. Maine sham yaa raat tak uska ghar mein rakhna pasand na kiya, is liye maine usey (logo’n mein) taqseem karne ka hukum diya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1221

 : Book 21, Hadith 24




Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When the Adhan for the prayer is pronounced, then Satan takes to his heels passing wind so that he may not hear the Adhan and when the Muadh-dhin finishes, he comes back; and when the Iqama is pronounced he again takes to his heels and when it is finished, he again comes back and continues reminding the praying person of things that he used not to remember when not in prayer till he forgets how much he has prayed." 
Abu Salama bin 'Abdur-Rahman said, "If anyone of you has such a thing (forgetting the number of Rakat he has prayed) he should perform two prostrations of Sahu (i.e. forgetfulness) while sitting." 
Abu Salama narrates this from Abu Huraira.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab namaz ke liye azaan di jaati hai to shaitan gooz* maarta hua bhaagta hai, taake usey azaan ki awaaz na sunaai de. Aur jab moazzin khamosh ho jaata hai to wo waapas aajaata hai. Phir jab iqaamat kahi jaati hai to bhaag nikalta hai. Jab moazzin takbeer se khamosh ho jaata hai to waapas aajaata hai, aur namazi se kehta rehta hai ke falaa’n cheez yaad karo, falaa’n cheez yaad karo, jo usey yaad nahi hoti yahaa’n tak ke wo nahi jaanta ke us ne kinti rakaat padhi hain”.
Abu Salama bin Abdur Rahman kehte hain: Jab namazi aisee haalat se do-chaar ho to wo baith kar do (2) sajde (bataur-e-saho) kare. Isey Abu Salama ne Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1222

 : Book 21, Hadith 25
 
*Paadna, riyaah khaarij karna




Narrated Abu Huraira:

People say that I narrate too many narrations of the Prophet (ﷺ); once I met a man (during the lifetime of the Prophet (ﷺ)) and asked him, "Which Sura did Allah’s Apostle (ﷺ) s recite yesterday in the 'Isha' prayer?" 
He said, "I do not know." 
I said, "Did you not attend the prayer?" 
He said, "Yes, (I did)." 
I said, "I know. He recited such and such Sura."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Log aksar charcha karte hain ke Abu Huraira ba-kasrat ahadees bayan karte hain. 
Maine ek (1) shakhs se mila aur usse dariyaaft kiya: Guzishta raat Rasool Allah (ﷺ) ne namaz-e-isha mein kya padha tha? 
Usne kaha: Mujhe to maaloom nahi hai. 
Maine kaha: Kya tum namaz mein maujood nahi the? 
Usne kaha: Kyou’n nahi! 
Maine kaha: Lekin main to jaanta hoo’n ke aap ne falaa’n falaa’n surah padhi thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1223

 : Book 21, Hadith 26






PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT