SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
20: Kitab Fazal as Salah Fee Masjidi Makkah wal Madinah
(Masjid-e-Haraam aur Masjid-e-Nabawi Mein Namaz Padhne Ki Fazilat Ka Bayan)
[Virtues of Prayer at Masjid Makkah and Madinah/كتاب فضل الصلاة فى مسجد مكة والمدينة]
[1188 To 1197]
Baab 1: Masjid-e-Haraam Aur Masjid-e-Nabawi Mein Namaz Padhne Ki Fazilat I heard Abu Said say four words. He said, "I heard the Prophet (ﷺ) (saying the following narrative)." He had participated in twelve holy battles with the Prophet (ﷺ). Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "Do not set out on a journey except for three Mosques i.e. Al-Masjid-AI-Haram, the Mosque of Allah’s Apostle (ﷺ), and the Mosque of Al-Aqsa, (Mosque of Jerusalem)." Ravi Hazrat Qaza-ah bin Yahya: Maine Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se chaar (4) ahadees suni hain. Unho’n ne ye ahadees Nabi (ﷺ) ke hawaale se bayan kee’n, nez wo Nabi (ﷺ) ke hamraah baara (12) ghazawaat mein shareek hue.
|
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "Do not set out on a journey except for three Mosques i.e. Al-Masjid-AI-Haram, the Mosque of Allah's Messenger (ﷺ), and the Mosque of Al-Aqsa, (Mosque of Jerusalem)." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Teen (3) masaajid, masjid-e-haram, masjid-e-nabawi aur masjid-e-aqsa ke alaawa kisi taraf bhi (taqarrub-o-ibbadat ki niyyat se) rukhsat-e-safar na bandha jaae”.
|
Allah’s Apostle (ﷺ) said, "One prayer in my Mosque is better than one thousand prayers in any other mosque excepting Al-Masjid-AI-Haram." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Meri is masjid mein ek (1) namaz padhna masjid-e-haram ke siwa deegar masaajid mein ek-hazaar (1000) namaz padhne se behtar hai”.
|
Baab 2: Masjid-e-Quba Ka Bayan Narrated Nafi': Ibn 'Umar never offered the Duha prayer except on two occasions: (1) Whenever he reached Mecca; he always used to reach Mecca in the forenoon. He would perform Tawaf round the Ka'ba and then offer two Rakat at the rear of Maqam Ibrahim. (2) Whenever he visited Quba, he used to visit it every Saturday. When he entered the Mosque, he disliked leaving it without offering a prayer. Ibn 'Umar narrated that Allah’s Apostle (ﷺ) used to visit the Mosque of Quba (sometime) walking and (sometime) riding. Ravi Hazrat Naafe: Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz-e-chaasht sirf do (2) din padhte the: 1. Ek jab makkah mukarrama aate (to usey zaroor adaa karte) kyou’nke wo makkah mukarrama chaasht hi ke waqt aate the. Tawaaf karte, phir muqam-e-Ibrahim ke peeche do (2) rakate’n padhte. 2. Jis din wo quba jaate (us din bhi namaz-e-chaasht padhte the). Wo ba-roz-e-hafta masjid-e-quba jaate, jab masjid mein dakhil hote to namaz padhe baghair waha’n se nikalne ko bura khayaal karte. Unka bayan hai ke Rasool Allah (ﷺ) masjid-e-quba ki ziyarat ke liye kabhi sawaar ho kar, aur kabhi paidal jaaya karte the.
|
And he (i.e. Ibn 'Umar) used to say, "I do only what my companions used to do and I don't forbid anybody to pray at any time during the day or night except that one should not intend to pray at sunrise or sunset." Ravi Hazrat Naafe: Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) hi ka bayan hai ke main is tarah karta hoo’n jaise maine apne dosto’n ko karte dekha hai. Aur main kisi ko manaa nahi karta ke wo raat yaa din mein jab chaahe namaz padhe. Haa’n! Qasdan sooraj nikalte yaa ghuroob hote waqt namaz padhne se ijtenaab karo.
|
Baab 3: Har Hafte Ke Din Masjid-e-Quba Jaana Narrated `Abdullah bin Dinar: Ibn `Umar said, "The Prophet (ﷺ) used to go to the Mosque of Quba every Saturday (sometimes) walking and (sometimes) riding." `Abdullah (Ibn `Umar) used to do the same. Ravi Abdullah bin Dinar:: Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, Nabi (ﷺ) har hafte ke din masjid-e-quba paidal aur sawaar ho kar tashreef le jaate the. Aur (raawi-e-hadees kehte hain:) Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi is tarah karte the.
|
Baab 4: Masjid-e-Quba Ki Taraf Paidal Aur Sawaar Ho Kar Jaana The Prophet (ﷺ) used to go to the Mosque of Quba (sometimes) walking and sometimes riding. Added Nafi (in another narration), "He then would offer two Rakat (in the Mosque of Quba)." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) masjid-e-quba paidal aur sawaar ho kar tashreef laate the. (Raawi-e-hadees) Abdullah bin Nameer ne Naafe se ye alfaaz mazeed bayan kiye hain ke aap us mein do (2) rakate’n padhte the.
|
Baab 5: Rasool Allah (ﷺ) Ki Qabar-e-Mubarak Aur Mimbar Ke Darmiyani Muqam Ki Fazilat Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Between my house and the pulpit there is a garden of the gardens of Paradise." Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid Maazini (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Mere ghar aur mimbar ki darmiyan jagah Jannat ke baghaat mein se ek (1) bagh hai”.
|
The Prophet (ﷺ) said, "Between my house and my pulpit there is a garden of the gardens of Paradise, and my pulpit is on my fountain tank (i.e. Al-Kauthar)." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Mere ghar aur mimbar ka darmiyani muqam Jannat ke baagho’n mein se ek (1) baagh hai, aur (qiyamat ke din) mera mimbar mere hauz par hoga”.
|
Baab 6: Bait-ul-Muqaddas Ki Masjid Ka Bayan Narrated Qaza'a Maula: (The freed slave of) Ziyad: I heard Abu Said Al-khudri narrating four things from the Prophet (ﷺ) and I appreciated them very much. He said, conveying the words of the Prophet (ﷺ). (1) A woman should not go on a two-day journey except with her husband or a Dhi-Mahram. (2) No fasting is permissible on two days: 'Id-ul-Fitr and 'Id-ul-Adha. (3) No prayer after two prayers, i.e. after the Fajr prayer till the sunrises and after the 'Asr prayer till the sun sets. (4) Do not prepare yourself for a journey except to three Mosques, i.e. Al-Masjid-AI-Haram, the Mosque of Aqsa (Jerusalem) and my Mosque. Ravi Hazrat Quzaa’ maula Ziyaad: Maine Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se chaar (4) ahadees sunee’n, jo wo Nabi (ﷺ) se bayan karte the, wo mujhe bohot pasand aaee’n aur unho’n ne mujhe bohot khush kiya. Aap (ﷺ) ne farmaya: 1. Koi aurat apne khaawind yaa mohrim ke bahgair do (2) din ka safar na kare, 2. Eid-ul-fitr aur eid-ul-adha do (2) dino’n ka roza nahi rakhna chaahiye, 3. Do (2) namazo’n ke baad koi namaz nahi hoti: Namaz-e-fajr ke baad, ta-aa’nke sooraj tuloo ho jaae aur namaz-e-asr ke baad ta-aa’nke sooraj ghuroob ho jaae. 4. Nez teen (3) masaajid ke alaawa kisi doosre muqaam ki taraf (taqarrub-o-ibaadat ki niyyat se) rakht-e-safar bandha jaae: Masjid-e-Haram, Masjid-e-Aqsa aur meri masjid, yaane Masjid-e-Nabawi.
|