SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
19: Kitab ut Tahajjud
(Namaz-e-Tahajjud Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Prayer at Night (Tahajjud)/كتاب التهجد]
[1120 To 1187]
Baab 1: Raat Ke Waqt Tahajjud Padhna Irshad-e-Baari Ta’ala hai: “وَمِنَ اللَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهِ نَافِلَةً لَكَ” Aap Raat Ke Kuch Hisse Mein Tahajjud Adaa Kare’n, Ye Aap Ke Liye Zaaed (aur Makhsoos) Hai. [Surah Isra: 79] |
When the Prophet (ﷺ) got up at night to offer the Tahajjud prayer, he used to say: Allahumma lakalhamd. Anta qaiyimus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, Laka mulkus-samawati wal-ard wa man fihinna. Walakal-hamd, anta nurus-samawati wal-ard. Walakalhamd, anta-l-haq wa wa'duka-l-haq, wa liqa'uka Haq, wa qualuka Haq, wal-jannatu Han wan-naru Haq wannabiyuna Haq. Wa Muhammadun, sallal-lahu'alaihi wasallam, Haq, was-sa'atu Haq. Allahumma aslamtu Laka wabika amantu, wa 'Alaika tawakkaltu, wa ilaika anabtu wa bika khasamtu, wa ilaika hakamtu faghfir li ma qaddamtu wama akh-khartu wama as-rartu wama'a lantu, anta-l-muqaddim wa antal-mu akh-khir, la ilaha illa anta (or la ilaha ghairuka). (O Allah! All the praises are for you, You are the Holder of the Heavens and the Earth, And whatever is in them. All the praises are for You; You have the possession of the Heavens and the Earth And whatever is in them. All the praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth And all the praises are for You; You are the King of the Heavens and the Earth and all the praises are for You; You are the Truth and Your Promise is the truth, And to meet You is true, Your Word is the truth And Paradise is true And Hell is true And all the Prophet (ﷺ)s (Peace be upon them) are true, and Muhammad is true, And the Day of Resurrection is true. O Allah! I surrender (my will) to You; I believe in You and depend on You. And repent to You, And with Your help, I argue (with my opponents, the non-believers) And I take You as a judge (to judge between us). Please forgive me my previous And future sins; And whatever I concealed or revealed And You are the One who make (some people) forward And (some) backward. There is none to be worshipped but you. Sufyan said that 'Abdul Karim Abu Umaiya added to the above, 'Wala haula Wala quwata illa billah' (There is neither might nor power except with Allah). Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) jab raat ke waqt tahajjud padhne ke liye khade hote to ye dua padhte: اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ وَلَكَ الْحَمْدُ، لَكَ مُلْكُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَقَوْلُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالنَّبِيُّونَ حَقٌّ، وَمُحَمَّدٌ صلى الله عليه وسلم حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ، أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَوَمِنَ اللَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهِ نَافِلَةً لَكَ "Aye Allah! Toohi taareef ke laayaq hai. Toohi aasmaan-o-zameen aur jo un mein hai unhe’n sambhalne waala hai. Tere hi liye taareef hai. Tere hi liye zameen-o-aasmaan aur jo kuch un mein hai unki sar-baraahi hai. Tere hi liye taareef hai. Toohi aasmaan-o-zameen ka noor hai. Toohi har tarah ki taareef ka sazawaar hai. Toohi aasmaan-o-zameen ka baadshah hai. Tere hi liye taareef laayaq hai, tu khud bhi saccha hai aur tera waada bhi saccha hai. Teri mulaqaat yaqeeni aur teri baat bar-haq hai. Jannat aur dozakh bar-haq hai, tamaam ambiya bar-haq aur Hazrat Muhammad (ﷺ) bhi bar-haq hain. Nez qiyaamat bar-haq hai. Aye Allah! Main tera farma-bardaar aur tujh par imaan laaya hoo’n, tujh hi par bharosa karta aur teri hi taraf rujoo karta hoo’n. Teri hi madad ke saath mukhalifeen se bar-sar-e-paikaar hoo’n aur tujh hi se faisla chaahta hoo’n. Tu mere agle, pichle, posheeda, aur zaahiri gunaho’n ko moaaf karde. Toohi pehle tha aur toohi aakhir mein hoga, tere siwa koi bhi maabood-e-bar-haq nahi hai." Sufyan kehte hain ke (raawi-e-hadees) Abdul Karim Abu Umaiyya ne is dua ke aakhir mein darj-e-zel alfaaz bhi bayan kiye hain: وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّ “Aur Allah ki madad ke baghair neki karne ki taaqat aur burai se baaz rehne ki himmat nahi”. Sufyan ne kaha ke Sulaiman bin Abu Muslim ne Taawus se ye hadees suni thi, unho’n ne Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se aur unho’n ne Nabi-e-Akram (ﷺ) se.
|
Baab 2: Qiyam-ul-Lail Ki Fazilat Narrated Salim's father: In the lifetime of the Prophet (ﷺ) whosoever saw a dream would narrate it to Allah’s Apostle (ﷺ). I had a wish of seeing a dream to narrate it to Allah’s Apostle (ﷺ) I was a grown up boy and used to sleep in the Mosque in the life time of the Prophet (ﷺ). I saw in the dream that two angels caught hold of me and took me to the Fire which was built all around like a built well and had two poles in it and the people in it were known to me. I started saying, "I seek refuge with Allah from the Fire." Then I met another angel who told me not to be afraid. Ravi Salim ke Walid (Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ki zindagi mubarak mein jab koi aadmi khwaab dekhta to usey Rasool Allah (ﷺ) se bayan karta. Mujhe ye tamanna hui ke main bhi koi khwaab dekhoo’n aur usey Rasool Allah (ﷺ) se bayan karoo’n. Main abhi naujawab tha aur Nabi (ﷺ) ki hayaat-e-taiyyaba mein masjid hi mein soya karta tha. Chunache maine khwaab mein dekha goya mujhe do (2) farishto’n ne pakada aur dozakh ki jaanib le gae. Main kya dekhta hoo’n ke wo kooe’n ki tarah pechdaar bani hui hai, us par do (2) charkhiyaa’n lagi hui hain aur us mein kuch aise log hain jinhe’n main pehchaanta hoo’n. Main ye manzar dekh kar dozakh se Allah ki panaah maangne laga. Hazrat Abdullah farmate hain ke hame’n ek aur farishta mila, jis ne mujhse kaha ke daro nahi.
|
Narrated Salim's father: I narrated the dream to Hafsa who told it to Allah's Apostle. The Prophet (ﷺ) said, "Abdullah is a good man. I wish he prayed Tahajjud." After that 'Abdullah (i.e. Salim's father) used to sleep but a little at night. Ravi Salim ke Walid (Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine ye khwaab (apni hamsheer) Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se bayan kiya. Unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) se uska tazkira kiya to aap ne farmaya: “Abdullah accha aadmi hai, kaash ke wo tahajjud padhne ka iltezaam kare”. Uske baad wo (Abdullah bin Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) raat ko bohot kam soya karte the.
|
Baab 3: Raat Ke Qiyaam Mein Saje Ko Lamba Karna Narrated 'Aisha: Allah’s Apostle (ﷺ) used to offer eleven Rakat and that was his prayer. He used to prolong the prostration to such an extent that one could recite fifty verses (of the Quran) before he would lift his head. He used to pray two Rakat (Sunna) before the Fajr prayer and then used to lie down on his right side till the call-maker came and informed him about the prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) raat ko giyaara (11) rakat padha karte the. Ye aap ki (raat ki) namaz thi. Us mein aap itna taweel sajda karte ke apna sar-e-mubarak uthaane se pehle tum mein se koi pachaas (50) ayaat padh le, nez fajr se pehle do (2) sunnat adaa karte, phir apni daaee’n karwat par lait jaate, hatta ke moazzin aapko namaz-e-fajr ki ittela deta.
|
Baab 4: Mareez Ke Liye Tahajjud Chod Dene Ka Bayan Narrated Jundab: The Prophet (ﷺ) became sick and did not get up (for Tahajjud prayer) for a night or two. Ravi Hazrat Jundub bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) bimaar ho gae to ek (1) yaa do (2) raat aap tahajjud ke liye nahi uthe.
|
Gabriel did not come to the Prophet (ﷺ) (for some time) and so one of the Quraish women said, "His Satan has deserted him." So came the Divine Revelation: "By the forenoon And by the night When it is still! Your Lord (O Muhammad) has neither Forsaken you Nor hated you." (Quran 93.1-3) Ravi Hazrat Jundub bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Jibraeel (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Nabi (ﷺ) ke paas aane se ruk gae to quraish ki ek (1) aurat ne kaha: Uske shaitan ne aane mein der kardi hai. Is par ye aayaat utree’n: وَالضُّحَى وَاللَّيْلِ إِذَا سَجَى مَا وَدَّعَكَ رَبُّكَ وَمَا قَلَ “Chaasht Ki Qasam! Aur Raat Ki Bhi Jab Wo Chaa Jaae! Tere Rabb Ne Tujhe Choda Nahi Aur Na Wo Naaraaz Hi Hua Hai”. [Surah ad Duhaa: 1-3] Doosri hadees pehli ka tatammah* hai. Chunache ek (1) tafseeli riwayat mein hai ke Rasool Allah (ﷺ) jab bimaar hue to ek (1) yaa do (2) raat aap tahajjud ke liye na uth sakey. Un dino’n ek (1) aurat aai aur kehne lagi: Aye Muhammad! Mujhe ummeed hai ke aap ko aap ke shaitan ne chodh diya hai, aur wo ab do-teen (2-3) raat se aapke qareeb nahi aaya. Us par Allah Ta’ala ne Surah ad Duha naazil farmaai. [Saheeh Bukhari: At Tafseer: H4950] Rasool Allah (ﷺ) se is qism ki guftagu karne waali aurat Abu Lahab laeen ki biwi Umme Jameel Arwa bint Harb thi. Ye aurat khud shaitan thi, jis ne ye samajh rakah tha ke Rasool Allah (ﷺ) ke paas farishta nahi, balke shaitan aata hai.
|
Baab 5: Nabi (ﷺ) Ka Namaz-e-Shab Aur Deegar Nawaafil Ko Zaroori Qaraar Diye Baghair Unki Targheeb Dena Nabi (ﷺ) namaz-e-tahajjud ki ehmiyat ke pesh-e-nazar raat ke waqt Hazrat Ali aur Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke yahaa’n tashreef le gae. |
Narrated Um Salama: One night the Prophet (ﷺ) got up and said, "Subhan Allah! How many afflictions Allah has revealed tonight and how many treasures have been sent down (disclosed)? Go and wake the sleeping lady occupants of these dwellings up (for prayers), perhaps a well-dressed in this world may be naked in the Hereafter." Ravi Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ek (1) raat bedaar hue to farmaya: “SubhanAllah! Aaj raat kis qadar sangeen fitne naazil hue aur kis qadar azeem khazaane utaare gae! Kaun hai jo un hujro’n mein soi hui aurto’n ko bedaar kare? Bohot si aurte’n jo duniya mein libas pehenne waali hain, aakhirat mein bilkul barhana* ho’ngi”.
|
Narrated 'Ali bin Abi Talib: One night Allah’s Apostle (ﷺ) came to me and Fatima, the daughter of the Prophet (ﷺ) and asked, "Won't you pray (at night)?" I said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Our souls are in the hands of Allah and if He wants us to get up He will make us get up." When I said that, he left us without saying anything and I heard that he was hitting his thigh and saying, "But man is more quarrelsome than anything." (Quran 18.54) Ravi Hazrat Ali bin Abi Taalib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek (1) raat Rasool Allah (ﷺ) unke aur apni sahebzaadi Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas tashreef laae aur farmaya: “Tum dono namaz (e tahajjud) kyou’n nahi padhte”. Maine arz kiya: Allah ke Rasool! Hamaare jaane’n to Allah ke haath mein hain, jab wo hame’n uthaana chahta hai, utha deta hai. Jab maine ye baat kahi to aap waapas ho gae aur mujhe koi jawab na diya. Phir maine dekha ke waapas jaate hue aap apni raan par haath maar rahe the aur farma rahe the: وَكَانَ الإِنْسَانُ أَكْثَرَ شَىْءٍ جَدَلاً “Insan Sabse Ziyaada Jhagdaalu Hai”. [Surah Kahaf: 54]
|
Allah’s Apostle (ﷺ) used to give up a good deed, although he loved to do it, for fear that people might act on it and it might be made compulsory for them. The Prophet (ﷺ) never prayed the Duha prayer, but I offer it. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ek (1) kaam, agarche wo aap ko pasand hi hota, us khauf se tark kar dete the ke log us par amal kare’nge, to wo un par farz ho jaaega. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne namaz-e-chaasht kabhi nahi padhi, lekin main padhti hoo’n.
|
Narrated 'Aisha, the mother of the faithful believers: One night Allah’s Apostle (ﷺ) offered the prayer in the Mosque and the people followed him. The next night he also offered the prayer and too many people gathered. On the third and the fourth nights, more people gathered, but Allah’s Apostle (ﷺ) did not come out to them. In the morning he said, "I saw what you were doing and nothing but the fear that it (i.e. the prayer) might be enjoined on you, stopped me from coming to you." And that happened in the month of Ramadan. Ravi Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne ek (1) raat masjid mein namaz (e tahajjud) adaa ki, to logo’nne bhi aap ke saath namaz adaa ki. Prhi dooari raat bhi aap ne usey masjid mein adaa kiya to log ziyaada jamaa ho gae. Phir teesri yaa chauthi raat log usse bhi ziyaada jamaa ho gae. Lekin Rasool Allah (ﷺ) unke paas baahar tashreef na laae. Jab subah hui to aap ne farmaya: “Main tumhare jazbaat ko mulaahaza karta raha, lekin mujhe is baat ne aap logo’n ke paas aane se baaz rakha ke mabaada* namaz-e-shab tum par farz ho jaae”. Waazeh rahe ke ye waaqea ramzan mein pesh aaya.
|
Baab 6: Nabi (ﷺ) Ka Qiyam-ul-Lail Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain ke Rasool Allah (ﷺ) ne is qadar taweel qiyaam kiya, ke aap ke paao’n phat gae. Futoor ke maane phat jaana hai. Chunache “انْفَطَرَتْ” ke maane hain: Jab aasmaan phat jaaega. |
The Prophet (ﷺ) used to stand (in the prayer) or pray till both his feet or legs swelled. He was asked why (he offered such an unbearable prayer) and he said, "should I not be a thankful slave.?" Ravi Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) (tahajjud) mein itna qiyaam farmate ke aap ke dono paao’nyaa dono pindliyo’n par waram* aajaata. Aur jab aap se uske mutaalliq kaha jaata to farmate: “Kya main Allah ka shukar-guzaar banda na banoo’n?”
|
Baab 7: Jo Shakhs Sehri Ke Waqt Soya Raha Narrated Abdullah bin 'Amr bin Al-'As: Allah’s Apostle (ﷺ) told me, "The most beloved prayer to Allah is that of David and the most beloved fasts to Allah are those of David. He used to sleep for half of the night and then pray for one-third of the night and again sleep for its sixth part and used to fast on alternate days." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne unse farmaya: “Allah Ta’ala ko sab namazo’n se Hazrat Dawood (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki namaz ziyada pasand hai, aur wo tamaam rozo’n mein ziyada pasandeeda roza bhi Hazrat Dawood (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ka hai. Wo nisf raat tak soe rehte, phir tihaai shab ibaadat karte, uske baad raat ke chatte (6th) hisse mein so jaate, nez wo ek (1) din roza rakhte aur ek (1) din roza na rakhte”.
|
Narrated Masruq: I asked 'Aisha which deed was most loved by the Prophet (ﷺ). She said, "A deed done continuously." I further asked, "When did he use to get up (in the night for the prayer)." She said, "He used to get up on hearing the crowing of a cock." Ravi Hazrat Masrooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se dariyaaft kiya ke Rasool Allah (ﷺ) ko sabse ziyada kaunsa amal pasand tha? Unho’n ne farmaya: Wo amal jo hamesha hota rahe. Maine arz kiya ke Rasool Allah (ﷺ) raat ko kam uthte the? Unho’n ne farmaya: Jab murgh ki awaaz sunte to uth jaate the. Ek (1) riwayat mein hai ke jis waqt aap murgh ki awaaz sunte to uth kar namaz padhte.
|
Narrated 'Aisha: In my house, he (Prophet (ﷺ) ) never passed the last hours of the night but sleeping. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Nabi (ﷺ) ko aakhir shab, yaane ba-waqt-e-seher soe hue hi dekha hai.
|
Baab 8: Jisne Sehri Khaai Aur Subah Ki Namaz Adaa Karne Tak Na Soya Narrated Qatada: Anas bin Malik said, "The Prophet (ﷺ) and Zaid bin Thabit took their Suhur together. When they finished it, the Prophet (ﷺ) stood for the (Fajr) prayer and offered it." We asked Anas, "What was the interval between their finishing the Suhur and the starting of the morning prayer?" Anas replied, "It was equal to the time taken by a person in reciting fifty verses of the Quran." Ravi Qatada: Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) aur Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne sehri khaai. Jab usse faarigh hue to Allah ke Nabi (ﷺ) namaz ke liye khade hue aur namaz adaa ki. Hamne Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se sawal kiya ke unke sehri se faraaghat aur namaz shuru karne mein kitna waqt tha? Unho’n ne farmaya: Taqriban itni der jis mein koi shakhs 50 aayaat ki tilaawat kar sakey.
|
Baab 9: Tahajjud Ki Namaz Mein Lamba Qiyaam Karna Narrated Abu-Wa il: 'Abdullah said, "One night I offered the Tahajjud prayer with the Prophet (ﷺ) and he kept on standing till an ill-thought came to me." We said, "What was the ill-thought?" He said, "It was to sit down and leave the Prophet (ﷺ) (standing)." Ravi Abu-Wa il: Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Maine ek (1) raat Nabi (ﷺ) ke hamraah tahajjud padhi, to aap kaafi der khade rahe, hatta ke meri niyyat bigad gai. Ham ne dariyaaft kiya: Aapke dil mein kya bura khayaal aaya? Unho’n ne farmaya: Maine ye iraada kiya tha ke Nabi (ﷺ) ko ba-haalat-e-qiyaam chodhkar khud baith jaaoon.
|
Whenever the Prophet (ﷺ) got up for Tahajjud prayer he used to clean his mouth (and teeth) with Siwak. Ravi Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) raat ko jab tahajjud ke liye bedaar hote to apne mu’n ko miswaak se saaf karte the.
|
Baab 10: Nabi (ﷺ) Ki Namaz-e-Shab Kaise Aur Kitni Thi? Narrated 'Abdullah bin 'Umar: A man said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! How is the prayer of the night?" He said, "Two Rakat followed by two Rakat and so on, and when you apprehend the approaching dawn, offer one Raka as Witr." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek (1) aadmi ne Rasool Allah (ﷺ) se namaz-e-shab ke mutaalliq dariyaaft kiya, ke wo kaise adaa ki jaae? Aap ne farmaya: “Namaz-e-shab do-do (2-2) rakate’n hai. Jab subah hone ka andesha ho to ek (1) witr padh lo”.
|
The prayer of the Prophet (ﷺ) used to be of thirteen Rakat, i.e. of the night prayer. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ki namaz-e-tahajjud 13 rakat par mushtamil hoti thi.
|
I asked Aisha about the night prayer of Allah’s Apostle (ﷺ) and she said, "It was seven, nine or eleven Rakat besides the two Rakat of the Fajr prayer (i.e. Sunna). " Ravi Hazrat Masrooq: Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se Rasool Allah (ﷺ) ki namaz-e-tahajjud ke mutaalliq dariyaaft kiya to unho’n ne farmaya: Saat (7), Nau (9), aur Giyaara (11) rakat hoti thee’n, fajr ki sunnate’n unke alaawa thee’n.
|
The Prophet (ﷺ) used to offer thirteen Rakat of the night prayer and that included the Witr and two Rakat (Sunna) of the Fajr prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) raat ko terah (13) rakat padhte the, un mein witr aur fajr ki do (2) sunnate’n bhi shaamil hoti thee’n.
|
Baab 11: Nabi (ﷺ) Ka Raat Ke Waqt Qiyaam Aur Neend Karna, Nez Qiyaam-e-Shab Kis Qadar Mansookh Hua? Irshad-e-Baari Ta’ala hai: يَـٰٓأَيُّهَا ٱلْمُزَّمِّلُ (1) قُمِ ٱلَّيْلَ إِلَّا قَلِيلًۭا (2) نِّصْفَهُۥٓ أَوِ ٱنقُصْ مِنْهُ قَلِيلًا (3) أَوْ زِدْ عَلَيْهِ وَرَتِّلِ ٱلْقُرْءَانَ تَرْتِيلًا (4) إِنَّا سَنُلْقِى عَلَيْكَ قَوْلًۭا ثَقِيلًا (5) إِنَّ نَاشِئَةَ ٱلَّيْلِ هِىَ أَشَدُّ وَطْـًۭٔا وَأَقْوَمُ قِيلًا (6) إِنَّ لَكَ فِى ٱلنَّهَارِ سَبْحًۭا طَوِيلًۭا (7) Aye Kapda Odhne Waale! Raat Ka Kuch Hiss Chodhkar Baaqi Mein Qiyaam Keejiye. Raat Ka Nisft Hissa Yaa Usse Kuch Kam Kar Leejiye, Yaa Usse Kuch Ziyaada Keejiye. Aur Quran Ko Khoob Theher-theher Kar Padha Kare’n. Bila-shubha Ham Aap Par Ek Bhaari Kalaam Naazil Karne Waale Hain. Raat Ka Uthna Yaqeenan Nafs Ko Bohot Zer Karne (kuchalne) Ka Baais Aur Quran Padhne Ke Liye Bhi Ziyaada Mauzoo’n Hai. Din Ke Waqt To Aap Ko Bohot Masrufiyaat Hoti Hain. [Surah Muzammil: 1-7] Nez Allah Ta’ala ka irshad hai: ٱلْقُرْءَانِ ۚ عَلِمَ أَن سَيَكُونُ مِنكُم مَّرْضَىٰ ۙ وَءَاخَرُونَ يَضْرِبُونَ فِى ٱلْأَرْضِ يَبْتَغُونَ مِن فَضْلِ ٱللَّهِ ۙ وَءَاخَرُونَ يُقَـٰتِلُونَ فِى سَبِيلِ ٱللَّهِ ۖ فَٱقْرَءُوا۟ مَا تَيَسَّرَ مِنْهُ ۚ وَأَقِيمُوا۟ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُوا۟ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَقْرِضُوا۟ ٱللَّهَ قَرْضًا حَسَنًۭا ۚ وَمَا تُقَدِّمُوا۟ لِأَنفُسِكُم مِّنْ خَيْرٍۢ تَجِدُوهُ عِندَ ٱللَّهِ هُوَ خَيْرًۭا وَأَعْظَمَ أَجْرًۭا ۚ Allah Ta’ala Ko Ilm Ha Ke Tum Usey Nibha Nahi Sakoge, Chunache Us Ne Tum Par Meherbaani Ki, Phir Quran Mein Jitna Asaan Ho Tum Padho, Usey Maaloom Hai Ke Tum Mein Se Kuch Bimaar Ho’nge, Kuch Doosre Allah Ke Fazal Ki Talash Mein Safar Karte Hain, Aur Kuch Doosre Allah Ki Raah Mein Jihad Karte Hain. Lehaza Jitna Quran Asaani Se Padh Sako Padh liya karo. Nez, Namaz Qaaem Karo, Zakat Adaa Karo Aur Allah Ta’ala Ko Accha Qarz Dete Raho. Aur Jo Kuch Tum Apne Liye Aage Bhejoge To Usey Allah Ke yahaa’n Is Haal Mein Paaoge Ke Wo (asal amal se) Behtar Aur Ajar Ke Lihaaz Se Bohot Ziyada Hoga. |
Narrated Anas bin Malik: Sometimes Allah’s Apostle (ﷺ) would not fast (for so many days) that we thought that he would not fast that month and he sometimes used to fast (for so many days) that we thought he would not leave fasting through out that month and (as regards his prayer and sleep at night), if you wanted to see him praying at night, you could see him praying and if you wanted to see him sleeping, you could see him sleeping. Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) kisi mahine mein roza na rakhte to aisa maaloom hota tha ke us mahine mein aap bilkul roza nahi rakhe’nge, aur jab roza rakhte to itne musalsal ke ham sochte ke aap is mein bilkul naagha nahi kare’nge. Aur raat ke waqt namaz to aise padhte the ke tum jab chaahte aapko namaz padhte dekh lete, aur jab chaahte aapko mahoo-e- khwaab dekh lete. Sulaiman bin Bilal aur Abu Khalid Ahmar ne Humaid se riwayat karne mein (Muhammad bin Jaafar ki) mataaba-at ki hai.
|
Baab 12: Shaitan Ka (aadmi ki) Guddi Par Girah Lagaana Jab Wo Namaz-e-Tahajjud Na Padhe Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Satan puts three knots at the back of the head of any of you if he is asleep. On every knot he reads and exhales the following words, 'The night is long, so stay asleep.' When one wakes up and remembers Allah, one knot is undone; and when one performs ablution, the second knot is undone, and when one prays the third knot is undone and one gets up energetic with a good heart in the morning; otherwise one gets up lazy and with a mischievous heart." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab aadmi (raat ke waqt) so jaata hai to shaitan uski guddi par teen (3) girhe’n laga deta hai. Har girah par phoonk deta hai, ke abhi to bohot raat baaqi hai, so jaao. Phir agar aadmi bedaar ho gaya aur Allah ka zikr kiya to ek (1) girah khul jaati hai. Agar us ne wazoo kar liya to doosri girah khul jaati hai, uske baad agar us ne namaz padhi to teesri girah bhi khul jaati hai. Phir subah ko wo khush-mizaaj aur dilshad lagta hai, ba-soorat-e-deegar subah ke waqt bad-dil aur khasta jism bedaar hota hai”.
|
The Prophet (ﷺ) said in his narration of a dream that he saw, "He whose head was being crushed with a stone was one who learnt the Quran but never acted on it and slept ignoring the compulsory prayers." Ravi Hazrat Samra bin Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Wo Nabi (ﷺ) se ek (1) khwaab bayan karte hain ke aap ne farmaya: “Jis shakhs ka sar patthar se kuchla jaa raha tha wo, wo hai jo quran padhta tha aur usey yaad na rakhta tha, nez wo farz namaz ke waqt soya rehta tha”.
|
Baab 13: Jo Shakhs Soya Rahe Aur Namaz Na Padhe To Shaitan Uske Kaan Mein Peshab Kar Deta Hai A person was mentioned before the Prophet (ﷺ) and he was told that he had kept on sleeping till morning and had not gotten up for the prayer. The Prophet (ﷺ) said, "Satan urinated in his ears." Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ke saamne ek (1) shakhs ka tazkira hua, jo subah tak soya raha aur namaz ke liye bhi nahi utha. Aap ne farmaya: “Shaitan ne uske kaan mein peshab kar diya hai”.
|
Baab 14: Pichli Raat Dua Aur Namaz Ka Bayan Irshad-e-Baari Ta’ala hai: (18) كَانُوا قَلِيلاً مِنَ اللَّيْلِ مَا يَهْجَعُونَ (17) وَبِالأَسْحَارِ هُمْ يَسْتَغْفِرُونَ Wo (muttaqeen) Raat Ko Kam Soya Karte The Aur Sehri Ke Waqt Maghfirat Maanga Karte The. [Surah ad Dhariyaat: 17-18] |
Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Our Lord, the Blessed, the Superior, comes every night down on the nearest Heaven to us when the last third of the night remains, saying: "Is there anyone to invoke Me, so that I may respond to invocation? Is there anyone to ask Me, so that I may grant him his request? Is there anyone seeking My forgiveness, so that I may forgive him?" Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Hamara buzurg-o-bartar parwardigaar har raat aasmaan-e-duniya par nuzool farmata thai. Jab raat ki aakhri tihaai baaqi reh jaati hai. Aur awaaz deta hai: Koi hai jo mujhse dua kare main usey qubool karoo’n? Koi hai jo mujhse maange main usey ataa karoo’n? Koi hai jo mujhse maghfirat talab kare to main usey moaaf kar du’n?”
|
Baab 15: Jo Shakhs Shuru Raat So Jaae Aur Aakhir Sab Bedaar Ho Hazrat Salman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Abu Darda (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Ab So jaao. Jab aakhir shab hui to farmaya: Ab utho aur namaz padho. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Salman ne sach kaha”. |
Narrated Al-Aswad: I asked 'Aisha "How is the night prayer of the Prophet (ﷺ)?" She replied, "He used to sleep early at night and get up in its last part to pray, and then return to his bed. When the Muadh-dhin pronounced the Adhan, he would get up. If he was in need of a bath he would take it; otherwise, he would perform ablution and then go out (for the prayer)." Ravi Hazrat Aswad: Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se Rasool Allah (ﷺ) ki namaz-e-shab ke mutaalliq sawal kiya to unho’n ne farmaya: Aap shuroo raat mein so jaate aur pichli raat uth kar namaz padhte, phir apne bistar par laut aate. Uske bad jab moazzin azaan deta to uth khade hote, agar zaroorat hoti to ghusl farmate warna wazoo karke baahar tashreef le jaate.
|
Baab 16: Nabi (ﷺ) Ka Ramzan Aur Ghair-Ramzan Mein Raat Ka Qiyaam Narrated Abu Salma bin 'Abdur Rahman: I asked 'Aisha, "How is the prayer of Allah’s Apostle (ﷺ) during the month of Ramadan." She said, "Allah's Apostle (ﷺ) never exceeded eleven Rakat in Ramadan or in other months; he used to offer four Rakat-- do not ask me about their beauty and length, then four Rakat, do not ask me about their beauty and length, and then three Rakat." Aisha further said, "I said, 'O Allah’s Apostle (ﷺ)! Do you sleep before offering the Witr prayer?' He replied, 'O 'Aisha! My eyes sleep but my heart remains awake!" Ravi Hazrat Abu Salama bin Abdur Rahman: Unho’n ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se sawal kiya ke ramzan-ul-mubarak mein Rasool Allah (ﷺ) ki namaz kaise hua karti thi? Unho’n ne farmaya ke Rasool Allah (ﷺ) ramzan ya ghair-ramzan mein gyaara (11) rakat se ziyaada nahi padhte the. Pehle chaar (4) rakat padhte, unki tawaalat aur khoobi ke mutaalliq na pooch. Phir chaar (4) rakat padhte, unki khoobi aur tawaalat ke mutaalliq bhi sawaal na karo. Uske baad teen (3) rakat witr padhte the. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Maine aap se dariyaaft kiya: Allah ke Rasool! Kya aap witr padhne se pehle so rehte hain? Aap ne farmaya: “Ayesha! Meri aankhe’n to so jaati hain, magar mera dil bedaar rehta hai”.
|
I did not see the Prophet (ﷺ) reciting (the Quran) in the night prayer while sitting except when he became old; when he used to recite while sitting, and when thirty or forty verses remained from the Sura, he would get up and recite them and then bow. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine kabhi Nabi (ﷺ) ko baith kar namaz padhte nahi dekha, hatta ke jab aap umar-raseeda ho gae to ba-haalat-e-namaz baith kar qirat farmate. Jab kisi soorah ki 30-40 aayaat baaqi reh jaatee’n to khade ho jaate aur unhe’n padh kar rukoo farmate.
|
Baab 17: Raat Din Ba-wazoo Rehne Aur Wazoo Ke Baad Namaz Padhne Ki Fazilat Ka Bayan Narrated Abu Huraira: At the time of the Fajr prayer, the Prophet (ﷺ) asked Bilal, "Tell me of the best deed you did after embracing Islam, for I heard your footsteps in front of me in Paradise." Bilal replied, "I did not do anything worth mentioning except that whenever I performed ablution during the day or night, I prayed after that ablution as much as was written for me." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne namaz-e-fajr ke baad Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: “Aye Bilal! Mujhe wo amal bataao jo tum ne islam laane ke baad kiya ho aur tumhare yahaa’n wo ziyada ummeed waala ho, kyou’nke maine jannat mein apne aagey-aagey tumhare jooto’n ki aahat suni hai”. Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Maine koi amal aisa nahi kiya jo mere nazdeek ziyada pur-ummeed ho, albatta main raat aur din mein jab wazoo karta hoo’n to us wazoo se jo namaz mere muqaddar mein hoti hai padh leta hoo’n.
|
Baab 18: Ibaadat Mein Sakhti Uthaana Ek (1) Naa-pasandeeda Amal Hai Narrated Anas bin Malik Once the Prophet (ﷺ) entered the Mosque and saw a rope hanging in between its two pillars. He said, "What is this rope?" The people said, "This rope is for Zainab who, when she feels tired, holds it (to keep standing for the prayer.)" The Prophet (ﷺ) said, "Don't use it. Remove the rope. You should pray as long as you feel active, and when you get tired, sit down." Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ek (1) dafa (masjid mein) daakhil hue to dekha ke do (2) sutoono’n ke darmiyan ek (1) rassi latak rahi hai. Aap ne dariyaaft farmaya: “Ye rassi kaisi hai?” Logo’n ne arz kiya: Ye rassi Hazrat Zainab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne latka rakhi hai, kyou’nke jab wo namaz mein khade-khade thak jaati hain to usse latak jaati hain. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Nahi! Isey khol do, tum mein se har shakhs nishat-e-taba’ ke saath namaz padhe. Jab thak jaae to baith jaae”.
|
Narrated 'Aisha: A woman from the tribe of Bani Asad was sitting with me and Allah’s Apostle (ﷺ) came to my house and said, "Who is this?" I said, "(She is) So and so. She does not sleep at night because she is engaged in prayer." The Prophet (ﷺ) said disapprovingly: Do (good) deeds which are within your capacity as Allah never gets tired of giving rewards till you get tired of doing good deeds." Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Mere paas Banu Asad qabile ki ek (1) aurat baithi hui thi ke Rasool Allah (ﷺ) tashreef laae. Aap ne farmaya: “Ye kaun aurat hai?” Maine arz kiya: Ye falaa’n aurat hai, raat bhar soti nahi hai aur uski namaz ka khoob charcha hai. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aisa karne se ruk jaao, khud par wo amal laazim karo jiski tum mein taaqat ho, kyou’nke Allah Ta’ala nahi uktaata yahaa’n tak ke tum khud uktakar amal chodh dete ho”.
|
Baab 19: Ehtemam-e-Tahajjud Ke Baad Usey Tark Kar Dena Makrooh Amal Hai Allah’s Apostle (ﷺ) said to me, "O 'Abdullah! Do not be like so and so who used to pray at night and then stopped the night prayer." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne mujh se farmaya: “Aye Abdullah! Falaa’n shakhs ki tarah mat ho jaata ke wo raat ko utha karta tha, phir us ne qiyaam-ul-lail tark kar diya”. Hisham ne kaha: Mujhe Ibne Abu Ashreen ne apni poori sanad ke saath isi tarah khabar di hai. Amr bin Abu Salama ne bhi Imam Auzaai se Bayan karne mein Ibne Abu Ashreen ki mataaba-at ki hai.
|
Baab 20: Bilal Unwaan Narrated 'Abdullah bin 'Amr: Once Allah's Messenger (ﷺ) said to me, "I have been informed that you offer Salat (prayer) all the night and observe Saum (fast) during the day." I said, "(Yes) I do so." He said, "If you do so, your eye sight will become weak and you will become weak. No doubt, your body has right on you, and your family has right on you, so observe Saum (for some days) and do not observe it (for some days), offer Salat (for some time) and then sleep." Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne mujh se farmaya: “Kya mujhe ye khabar nahi di gai ke tum raat bhar namaz padhre ho aur din ka roza rakhte ho?” Maine arz kiya: Haa’n, main aisa karta hoo’n. Aap ne farmaya: “Agar tu aisa karta raha to tumhar binaai kamzor ho jaaegi aur tera ji thak jaaega. Tere nafs ka tujh par haq hai aur teri biwi ka bhi tujh par haq hai, is liye rozay bhi rakho aur iftari bhi karo, nez namaz bhi padho aur araam bhi karo”.
|
Baab 21: Us Shakhs Ki Fazilat Jo Raat Ko Uthe Aur Namaz Padhe Narrated 'Ubada bin As-Samit: The Prophet (ﷺ) "Whoever gets up at night and says: 'La ilaha il-lallah Wahdahu la Sharika lahu Lahu-l-mulk, waLahu-l-hamd wahuwa 'ala kullishai'in Qadir. Alhamdu lil-lahi wa subhanal-lahi wa la-ilaha il-lal-lah wa-l-lahu akbar wa la hawla Wala Quwata il-la-bil-lah.' (None has the right to be worshipped but Allah. He is the Only One and has no partners. For Him is the Kingdom and all the praises are due for Him. He is Omnipotent. All the praises are for Allah. All the glories are for Allah. And none has the right to be worshipped but Allah, And Allah is Great And there is neither Might nor Power Except with Allah). And then says: -- Allahumma, Ighfir li(O Allah! Forgive me). Or invokes (Allah), he will be responded to and if he performs ablution (and prays), his prayer will be accepted." Ravi Hazrat Ubaada bin Saamit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs raat ko uthe aur kahe” لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ. الْحَمْدُ لِلَّهِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ، وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ، وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ “Allah ke siwa koi maabood nahi, wo akela hai. uska koi shareek nahi, badshaahat usi ki hai, aur tamaam taarifaat usi ki hain, aur wo har cheez par qaadir hai. Taareef Allah hi ke liye hai. Main Allah ki pakeezgi bayan karta hoo’n. Allah ke siwa koi maabood nahi. Allah wo sab se bada hai, neki karne ki aur buraai se bachne ki taaqat Allah hi ki taufeeq se hai”. Phir ye dua padhi: “اللهمَّ اغفرلّى ” “Aye Allah! Mujhe moaaf farma de”. “Yaa koi aur dua kare to uski dua qubool hoti hai aur agar wazoo karke namaz padhe to uski namaz bhi qubool hoti hai”.
|
That once Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Your brother, i.e. 'Abdullah bin Rawaha does not say obscene (referring to his verses): Amongst us is Allah’s Apostle (ﷺ), who recites His Book when it dawns. He showed us guidance after we were blind. We believe that whatever he says will come true. And he spends his nights in such a way as his sides do not touch his bed. While the pagans were deeply asleep." Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne ek (1) dafa farmaya: “Tumhara bhai Abdullah bin Rawaaha koi behooda baat nahi kehta”. Yaane wo kaise acche mazameen sunaata hai. Ham mein Allah ke Rasool hain jo kalamullah ki tilaawat karte hain, jab subah ke waqt buland hone waali phoot-ti hai. Ham to andhe the ke unho’n ne hame’n hidayat par lagaaya aur hame’n dili yaqeen hai ke wo jo kuch kehte hain wo waaqai sach hai. Raat-o-unka pehlu bistar se alag rehta hai, jabke neend ki wajah se mushrikeen par bistar bhaari hote hain. Aqeen ne Yunus ki mataaba-at ki hai aur Zubaidi ka qaul hai ke mujhe Zohri ne Saeed aur A-arj (اعرج ) se khabar di hai, unho’n ne Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan kiya.
|
Ibn 'Umar said, "In the lifetime of the Prophet (ﷺ) I dreamt that a piece of silk cloth was in my hand and it flew with me to whichever part of Paradise I wanted. I also saw as if two persons (i.e. angels) came to me and wanted to take me to Hell. Then an angel met us and told me not to be afraid. He then told them to leave me. Ravi Nafee: Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein ek (1) khwaab mein dekha, jaise mere haath mein dabeez resham ka ek tukda hai. Main janna mein jaha’n jaana chahta hoo’n wo mujhe udaa kar le jaata hai. Aur maine ye bhi dekha ke jaise do (2) shakhs mere paas aae, unho’n ne dozakh ki taraf mujhe le jaane ka iraada kiya to unhe’n ek (1) farishta mila aur usne (mujhe) kaha: Khaufzada hone ki koi zarooat nahi. Phir usne dono ko kaha: Tum isse alag ho jaao.
|
Narrated Nafi: Hafsa narrated one of my dreams to the Prophet (ﷺ) and the Prophet (ﷺ) said, "Abdullah is a good man. Would that he offer the night prayer (Tahajjud)!" Ravi Nafee: Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne mera ek (1) khwaab Nabi (ﷺ) se bayan kiya to aap ne farmaya: “Abdullah accha aadmi hai, agar wo tahajjud padhne ka iltezaam* kare”.
|
Narrated Nafi: So after that day 'Abdullah (bin 'Umar) started offering Tahajjud. The companions of the Prophet (ﷺ) used to tell him their dreams that (Laila-tul-Qadr) was on the 27th of the month of Ramadan. The Prophet (ﷺ) said, "I see that your dreams agree on the last ten nights of Ramadan and so whoever is in search of it should seek it in the last ten nights of Ramadan." Ravi Nafee: Uske baad Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) raat ko namaz-e-tahajjud padhne ka ehtemaam karte the. Nabi (ﷺ) se Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) apne khwaab bayan kiya karte the. Unho’n ne bayan kiya ke aakhri ashre ki saatwee’n raat lailatul qadar hai. Nabi (ﷺ) ne uske mutaalliq farmaya: “Tumhare khwaab lailatul qadar ke mutaalliq is par muttafiq hai ke wo ramzan ke aakhri ashre mein hai, lehaaza agar koi shab-e-qadar ko talash karna chaahe to wo ramzan ke aakhri ashre mein talash kare”.
|
Baab 22: Fajr Ki Do (2) Sunnato’n Par Hameshgi Karna Narrated 'Aisha: Allah’s Apostle (ﷺ) offered the 'Isha' prayer (and then got up at the Tahajjud time) and offered eight Rakat and then offered two Rakat while sitting. He then offered two Rakat in between the Adhan and Iqama (of the Fajr prayer) and he never missed them. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) ne namaz-e-isha padhi, phir namaz-e-tahajjud ki 8 rakat adaa kee’n (phir witr padhe) aur do (2) rakate’n baith kar padhee’n, phir azan aur iqaamat ke darmian do (2) rakate’n adaa farmaee’n aur unhe’n aap kabhi nahi chodte the.
|
Baab 23: Subah Ki Do (2) Sunnato’n Ke Baad Daaee’n Karwat Letna The Prophet (ﷺ) used to lie down on his right side, after offering two Rakat (Sunna) of the Fajr prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) jab subah ki do (2) sunnate’n padh lete to daae’n karwat lait jaate.
|
Baab 24: Jo Shakhs Do (2) sunnato’n Ke Baad Guftagu Karta Hai Aur Lait-ta Nahi After offering the Sunna of the Fajr prayer, the Prophet (ﷺ) used to talk to me, if I happen to be awake; otherwise, he would lie down till the Iqama call was proclaimed (for the Fajr prayer). Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) jab namaz-e-fajr ki sunnate’n padh lete, agar main bedaar hoti to mere saath guftagu farmate, ba-soorat-e-deegar aa plait jaate, hatta ke namaz-e-fajr ke liye iqaamat kahi jaati.
|
Baab 25: Nafil Namaze’n Do-Do (2-2) Rakate’n Karne Padhna Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke Hazrat Ammar bin Yaasir, Hazrat Abu Zar aur Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se yehi manqool hai. Isi tarah Jabir bin Zaid, Hazrat Ikrima, aur Imam Zohri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) se bhi aisa hi bayan kiya jaata hai. Hazrat Yahya bin Saeed Ansari kehte hain: Maine apne shahr (madina taiyyaba) ke fuqaha ko dekha hai ke wo din ke nawaafil adaa karte waqt har do (2) rakat par salaam pherte the. |
Narrated Jabir bin 'Abdullah: The Prophet (ﷺ) used to teach us the way of doing Istikhara (Istikhara means to ask Allah to guide one to the right sort of action concerning any job or a deed), in all matters as he taught us the Suras of the Quran. He said, "If anyone of you thinks of doing any job he should offer a two Rakat prayer other than the compulsory ones and say (after the prayer): 'Allahumma inni astakhiruka bi'ilmika, Wa astaqdiruka bi-qudratika, Wa as'alaka min fadlika al-'azlm Fa-innaka taqdiru Wala aqdiru, Wa ta'lamu Wala a'lamu, Wa anta 'allamu l-ghuyub. Allahumma, in kunta ta'lam anna hadha-l-amra Khairun li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati amri (or 'ajili amri wa'ajilihi) Faqdirhu wa yas-sirhu li thumma barik li Fihi, Wa in kunta ta'lamu anna hadha-lamra shar-run li fi dini wa ma'ashi wa'aqibati amri (or fi'ajili amri wa ajilihi) Fasrifhu anni was-rifni anhu. Waqdir li al-khaira haithu kana Thumma ardini bihi.' (O Allah! I ask guidance from Your knowledge, And Power from Your Might and I ask for Your great blessings. You are capable and I am not. You know and I do not and You know the unseen. O, Allah! If You know that this job is good for my religion and my subsistence and in my Hereafter--(or said: If it is better for my present and later needs)--Then You ordain it for me and make it easy for me to get, And then bless me in it, and if You know that this job is harmful to me In my religion and subsistence and in the Hereafter--(or said: If it is worse for my present and later needs)--Then keep it away from me and let me be away from it. And ordain for me whatever is good for me, And make me satisfied with it). The Prophet (ﷺ) added that then the person should name (mention) his need. NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1166 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) hame’n tamaam ahem muaamalaat ke liye namaz-e-istekhara is tarah sikhate the, jaise Quran-e-Kareem ki koi surah sikhaya karte the. Aap farmate the: اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ ـ فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ “Tum mein se koi jab kisi kaam ka iraada kare to farz ke alaawa do (2) rakat nafil padhe, phir kahe: Aye Allah! Main tere ilm ke zariye se khair ka taalib hoo’n, teri qudrat se himmat ka khwahaa’n hoo’n, tere azeem fazal ka sawaal karta hoo’n, yaqeenan tu qaadir hai main qudrat waala nahi, tu jaanta hai main nahi jaanta, tu posheeda aur ghayab muaamalaat ko jaanta hai. Aye Allah! Agar tu jaanta hai ke mera ye kaam mere deen, meri maeeshat aur mere mouaamale ke anjaam ke etebaar se behtar hai, tu usey mere liye muqaddar aur asaan karde. Phir us mein mere liye barkat farma. Aur agar tu jaanta hai ke ye kaam mere deen, meri maeeshat aur mere muaamale ke anjaam ke etebaar se accha nahi to usey mujhse aur mujhe usse pher de aur mere liye khair ko muqaddar karde wo jaha’n bhi ho, phir mujhe usse khush karde. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Dua mein (هَذَا الأَمْرَ) ki jagah apne kaam ka naam le”.
|
Narrated Abu Qatada bin Rabi Al-Ansari: The Prophet (ﷺ) said, "If anyone of you enters a Mosque, he should not sit until he has offered a two-Rakat prayer." NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1167 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Abu Qatada bin Rabeea Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi jab masjid mein aae do (2) rakate’n padhe baghair na baithe”.
|
Allah’s Apostle (ﷺ) led us and offered a two Rakat prayer and then went away. NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1168 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Anas bin Malik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n do (2) rakat namaz padhai, phir waapas tashreef le gae.
|
I offered with Allah’s Apostle (ﷺ) two Rakat prayers before the Zuhr prayer and two Rakat after the Zuhr prayer, two Rakat after Jumua, Maghrib and 'Isha' prayers. NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1169 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah zohar se pehle do (2) rakate’n, zohar ke baad do (2) rakate’n, juma ke baad do (2) rakate’n, maghrib ke baad do (2) rakate’n, aur isha ke baad do (2) rakate’n adaa ki hain.
|
Narrated Jabir bin 'Abdullah: While delivering a sermon, Allah’s Apostle (ﷺ) said, "If anyone of you comes while the Imam is delivering the sermon or has come out for it, he should offer a two Rakat prayer." NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1170 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne duaran-e-khutba farmaya ke: “Tum mein se jab koi dauran-e-khutba aae to usey chaahiy ke do (2) rakate’n padh le”.
|
Narrated Mujahid: Somebody came to the house of Ibn 'Umar and told him that Allah’s Apostle (ﷺ)s had entered the Ka'ba. Ibn 'Umar said, "I went in front of the Ka'ba and found that Allah’s Apostle (ﷺ) had come out of the Ka'ba and I saw Bilal standing by the side of the gate of the Ka'ba. I said, 'O Bilal! Has Allah’s Apostle (ﷺ) prayed inside the Ka'ba?' Bilal replied in the affirmative. I said, 'Where (did he pray)?' He replied, '(He prayed) Between these two pillars and then he came out and offered a two Rakat prayer in front of the Ka'ba.' " Abu 'Abdullah said: Abu Huraira said, "The Prophet (ﷺ) advised me to offer two Rakat of Duha prayer (prayer to be offered after sunrise and before midday). " Itban (bin Malik) said, "Allah’s Apostle (ﷺ) and Abu Bakr, came to me after sunrise and we aligned behind the Prophet (ﷺ) and offered two Rakat." NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1171 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Mujahid: Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke ghar aakar unse kaha gaya: Abhi abhi Rasool Allah (ﷺ) Ka’aba mein daakhil huehain. Hazrat Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain: (ye baat sun kar) jab main aaya to dekha ke Rasool Allah (ﷺ) Ka’aba se tashreef le jaa chuke hain. Albatta Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko Ka’aba ke darwaze par paaya. Maine kaha: Bilal! Rasool Allah (ﷺ) ne Ka’aba mein namaz padhi jao? Unho’n ne kaha: Ji Haa’n. Maine dariyaaft kiya: Kaha’n padhi hai? Unho’n ne jawab diya: yahaa’n in do (2) sutoono’n ke darmiyan. Phir aap baahar tashreef laae aur Baab-e-Ka’aba ke saamne do (2) rakate’n adaa kee’n. Imam Abu Abdullah Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke: Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mujhe Nabi (ﷺ) ne chaasht ki do (2) rakat padhne ki wasiyyat ki farmaai. Hazrat Itbaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke subah sawere sooraj kuch buland hone ke baad Rasool Allah (ﷺ) aur Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mere ghar tashreef laae, ham ne aap ke peeche saff banaai to aap ne do (2) rakat namaz padhaaie.
|
Baab 26: Fajr Ki Do (2) Sunnato’n Ke Baad Guftagu Karna Narrated 'Aisha: After offering the Sunna of the Fajr prayer, the Prophet (ﷺ) used to talk to me, if I happen to be awake; otherwise, he would lie down till the Iqama call was proclaimed (for the Fajr prayer). NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1162 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) do (2) rakate’n padhte, agar main bedaar hoti to mere saath mahoo-e-guftagu hote, ba-soorat-e-deegar lait jaate. (Raawi-e-hadees Ali bin Madeeni kehte hain:) Sufyan se kaha: Baaz hazraat fajr ki do (2) Rakate’n bayan karte hain. Hazrat Sufyan ne jawab diya ke isi tarah hai, yaane isse muraad fajr ki do (2) sunnate’n hain.
|
Baab 27: Fajr Ki Do (2) rakat Ki Hifaazat Karna Aur Baaz Ne Unka Naam Nafil Rakha Hai The Prophet (ﷺ) was never more regular and particular in offering any Nawafil than the two Rakat (Sunna) of the Fajr prayer. NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1163 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) nawaafil mein se kisi ka is qadar ehtemaam nahi karte the, jitna fajr ki do (2) sunnato’n ka ehtemaam karte the, yaane doosre nawaafil ki nisbat fajr ki sunnato’n ko ziyaada paabandi se adaa karte the.
|
Baab 28: Fajr Ki Do (2) Sunnato’n Mein Kya Padha Jaae? Narrated 'Aisha: Allah’s Apostle (ﷺ) used to offer thirteen Rakat in the night prayer and on hearing the Adhan for the morning prayer, he used to offer two light Rakat. NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1164 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) raat ko 13 rakate’n padhte the, phir jab subah ki azaan sunte to halki-phulki do (2) rakate’n (sunnat-e-fajr) padhte.
|
Narrated 'Aisha: The Prophet (ﷺ) used to make the two Rakat before the Fajr prayer so light that I would wonder whether he recited Al-Fatiha (or not). NOTE ABOUT REFERENCE NO.: 1165 is the reference number of the English hadith in the websites and hadith apps. I have arranged it Chapter Wise with Roman Hadith. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) namaz-e-fajr se pehle halki-phulki si do (2) rakate’n padhte the, hatta ke main sochti, shayad Rasool Allah (ﷺ) ne un mein faatiha padhi hai yaa nahi.
|
Abwaab ut Tatawwua’u
(Nawaafil Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
Baab 29: Farz Namaz Ke Baad Sunnate’n Padhna Narrated Ibn 'Umar: I offered with the Prophet (ﷺ) two Rakat before the Zuhr and two Rakat after the Zuhr prayer; two Rakat after Maghrib, Isha' and the Jumua prayers. Those of the Maghrib and 'Isha' were offered in his house. Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) ke hamraah zohar se pehle do (2) rakate’n, zohar ke baad do (2) rakate’n, maghrib ke baad do (2) rakate’n, isha ke baad do (2) rakate’n aur juma ke baad do (2) rakate’n padhee’n, jabke maghrib aur isha ki sunnate’n aap apne ghar mein padhte the.
|
Narrated Ibn 'Umar: My sister Hafsa told me that the Prophet (ﷺ) used to offer two light Rakat after dawn and it was the time when I never went to the Prophet (ﷺ). Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Mujhe merei hamsheer Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne bataya ke Nabi (ﷺ) tuloo-e-fajr ke baad halki si do (2) rakate’n padhte the. Main us waqt aap ki khidmat mein haazir nahi ho sakta tha. Ibne Abu Zadaana ne kaha ke Moosa bin Uqba ne Hazrat Naafe ke hawaale se “فِي بَيْتِهِ” ke bajaae “فِي أَهْلِهِ" ke alfaaz bayan kiye hain. Kaseer bin Farqad aur Ayyub ne Hazrat Naafe se bayan karne mein Obaidullah ki mataaba-at ki hai.
|
Baab 30: Farz Namaz Ke Baad Sunnate’n Na Padhna Narrated 'Amr: I heard Abu Ash-sha'tha' Jabir saying, "I heard Ibn Abbas saying, 'I offered with Allah’s Apostle (ﷺ) eight Rakat (of Zuhr and 'Asr prayers) together and seven Rakat (the Maghrib and the 'Isha' prayers) together.' " I said, "O Abu Ash-shatha! I think he must have prayed the Zuhr late and the 'Asr early; the 'Isha early and the Maghrib late." Abu Ash-sha'tha' said, "I also think so." (See Hadith No. 518 Vol.1). Ravi Amr: Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Maine Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah (zohar-o-asr ki) aath (8) rakate’n ekatthi aur (maghrib-o-isha ki) saat (7) rakate’n ekatthi adaa kee’n. Raawi-e-hadees kehte hain ke maine kaha: Abu Ash-Shasa! Mera gumaan hai ke aap ne zohar ko muakh-khar aur asr ko muqaddam kiya hoga. Isi tarh Isha ko muqaddam aur maghrib ko muakh-khar kiya hoga. Abu Ash-Shasa ne kaha: Mera bhi yehi khayaal hai.
|
Baab 31: Safar Mein Namaz-e-Chasht Padhna Narrated Muwarriq: I asked Ibn 'Umar "Do you offer the Duha prayer?" He replied in the negative. I further asked, "Did 'Umar use to pray it?" He (Ibn 'Umar) replied in the negative. I again asked, "Did Abu Bakr use to pray it?" He replied in the negative. I again asked, "Did the Prophet (ﷺ) use to pray it?" Ibn 'Umar replied, "I don't think he did." Ravi Hazrat Muwarriq: Maine Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya: Aap namaz-e-ishraq padhte hain? Unho’n ne farmaya: Nahi. Maine dariyaaft kiya: Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) padhte the? Unho’n ne farmaya: Nahi. Maine arz kiya: Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) iska ehtemaam karte the? Unho’n ne farmaya: Nahi. Phir maine poocha: Nabi (ﷺ) usey adaa farmate the? Unho’n ne farmaya: Mera khayaal yehi hai ke aap bhi nahi padhte the.
|
Only Um Hani narrated to me that she had seen the Prophet (ﷺ) offering the Duha prayer. She said, "On the day of the conquest of Mecca, the Prophet (ﷺ) entered my house, took a bath and offered eight Rakat (of Duha prayers. I had never seen the Prophet (ﷺ) offering such a light prayer but he performed bowing and prostrations perfectly. Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abi Laila: Hazrat Umme Haani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke alaawa hame’n kisi (sahaabi) ne nahi bataya ke us ne Nabi (ﷺ) ko namaz-e-ishraq padhte dekha hai. Hazrat Umme Haani (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain ke fatah makkah ke din Nabi (ﷺ) mere ghar tashreef laae, ghusl farmaya, phir 8 rakate’n padhee’n. Maine uss ziyaada haldi namaz nahi dekhi thi, albatta aap rukoo-o-sujood mukammal karte the.
|
Baab 32: Jo Insan Namaz-e-Chaasht Mein Tausee Ke Pesh-e-Nazar Uski Paabandi Na Kare I never saw the Prophet (ﷺ) offering the Duha prayer but I always offer it. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Rasool Allah (ﷺ) ko namaz-e-ishraq padhte hue nahi dekha, magar main usey adaa karti hoo’n.
|
Baab 33: Hazr Mein Namaz-e-Ishraq Padhna Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne isey Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai. My friend (the Prophet (ﷺ)) advised me to do three things and I shall not leave them till I die, these are: 1. To fast three days every month, 2. To offer the Duha prayer, and 3. To offer Witr before sleeping. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Mujhe mere pyaare Habib (ﷺ) ne teen (3) cheezo’n ki wasiyyat farmaai hai. Jab tak main zinda rahoo’nga unh’n tark nahi karoo’nga. Wo ye hain: 1. Har mahine ke teen (3) rozay, 2. Namaz-e-ishraq aur 3. Sone se pehle namaz-e-witr ki adaaegi.
|
Narrated Anas bin Sirin: I heard Anas bin Malik al-Ansari saying, "An Ansari man, who was very fat, said to the Prophet (ﷺ), 'I am unable to present myself for the prayer with you.' He prepared a meal for the Prophet (ﷺ) and invited him to his house. He washed one side of a mat with water and the Prophet (ﷺ) offered two Rakat on it." So and so, the son of so and so, the son of Al-Jarud asked Anas, "Did the Prophet (ﷺ) use to offer the Duha prayer?" Anas replied, "I never saw him praying (the Duha prayer) except on that day." Ravi Anas bin Sirin: Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Ek bhari jism waale Ansari aadmi ne Nabi (ﷺ) se arz kiya: Main aapke saath namaz padhne ki taaqat nahi rakhta. Usne Nabi (ﷺ) ke liye khana taiyyaar kiya aur aap ko apne ghar tashreef laane ki daawat di aur chataai ke ek (1) hisse par paani chidka (aur usey saaf kiya) aap ne us par do (2) rakate’n padhee’n. Falaa’n bin falaa’n bin Jarood ne Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Kya Nabi (ﷺ) chasht ki namaz padhte the? Unho’n ne farmaya: Us din ke alaawa maine aap ko ye namaz padhte nahi dekha.
|
Baab 34: Namaz-e-Zohar Se Pehle Do (2) Rakate’n Padhna Narrated Ibn 'Umar: I remember ten Rakat of Nawafil from the Prophet (ﷺ), two Rakat before the Zuhr prayer and two after it; two Rakat after Maghrib prayer in his house, and two Rakat after 'Isha' prayer in his house, and two Rakat before the Fajr prayer and at that time nobody would enter the house of the Prophet (ﷺ). Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Maine Nabi (ﷺ) se das (10) rakaat zehen-nasheen ki hain: Do (2) rakate’n zohar se pehle aur do (2) rakate’n uske baad, do (2) rakate’n maghrib ke baad ghar mein aur do (2) rakate’n isha ke baad ghar mein. Unke alaawa do (2) rakate’n namaz-e-fajr se pehle padhte the aur ye aisa waqt tha ke us mein koi shaksh Nabi (ﷺ) ke paas nahi jaa sakta tha.
|
Narrated Ibn 'Umar: Hafsa told me that the Prophet (ﷺ) used to offer two Rakat after the call maker had made the Adhan and the day had dawned. Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Hafsa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne bataya ke jab moazzin azaan deta aur fajr tuloo ho jaati to Rasool Allah (ﷺ) do (2) rakate’n padhte the.
|
The Prophet (ﷺ) never missed four Rakat before the Zuhr prayer and two Rakat before the Fajr prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) zohar se pehle chaar (4) sunnate’n aur namaz-e-fajr se pehle do (2) sunnate’n kabhi nahi chodte the. Shu’ba se riwayat karne mein Ibne Abi Adi aur Amr ne Yahya bin Saeed ki mataaba-at ki hai.
|
Baab 35: Maghrib Se Pehle Namaz Padhna Narrated 'Abdullah Al-Muzni: The Prophet (ﷺ) said, "Pray before the Maghrib (compulsory) prayer." He (said it thrice) and in the third time, he said, "Whoever wants to offer it can do so." He said so because he did not like the people to take it as a tradition. Ravi Hazrat Abdullah bin Muzani: Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Maghrib se pehle do (2) rakate’n adaa karo”. Teesri martaba farmaya: “Jiska dil chaahe”. Ye us liye farmaya ke mabaada log isey sunnat-e-muwakkida bana le’n.
|
Narrated Marthad bin 'Abdullah Al-Yazani: I went to 'Uqba bin 'Amir Al-Juhani and said, "Is it not surprising that Abi Tamim offers two Rakat before the Maghrib prayer?" 'Uqba said, "We used to do so in the life-time of Allah’s Apostle (ﷺ)." I asked him, "What prevents you from offering it now?" He replied, "Business." Ravi Hazrat Marsad bin Abdullah Yazani: Maine Hazrat Uqba bin Aamir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aaya aur arz kiya ke ye ajeeb baat hai ke Abu Tamim (Abdullah Jishaani) namaz-e-maghrib se pehle do (2) rakate’n padhte hain? Hazrat Uqba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham bhi Nabi (ﷺ) ki hayaat-e-taiyyaba mein padha karte the. Unho’n ne arz kiya: Ab kyou’n nahi padhte ho? Farmaya masroofiyat ki wajah se.
|
Baab 36: Nawaafil Ko Ba-jamaat Adaa Karna Isey Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai. Wazaahat: Aam nawaafil ki jamaat ho sakti hai, lekin uske liye logo’n ko daawat nahi deni chaahiye aur ba-zaabta taur par uska ehtemaam karna durust nahi. Ittefaaqan aisa muaamala ho jaae to jamat durust hai. Lekin ramzan-ul-Mubarak mein taraweeh ki jamaat usse mustasna hai, kyounke uska ehtemaam teen (3) roz tak Rasool Allah (ﷺ) ne khud farmaya tha aur farz hone ke khadshe ke pesh-e-nazar tark kar diya tha. |
That he remembered Allah’s Apostle (ﷺ) and he also remembered a mouthful of water which he had thrown on his face, after taking it from a well that was in their house. Ravi Hazrat Mahmood bin Rabeea Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unhe’n Rasool Allah (ﷺ) yaad hain aur aap ki wo kulli bhi yaad hai jo Aap (ﷺ) ne unke ghar ke kooe’n se paani le kar us ke mu’n par ki thi.
|
Narrated Mahmud bin Ar-rabi' Al-Ansari: Mahmud said that he had heard Itban bin Malik, who was present with Allah’s Apostle (ﷺ) in the battle of Badr saying, "I used to lead my people at Bani Salim in the prayer and there was a valley between me and those people. Whenever it rained it used to be difficult for me to cross it to go to their mosque. So I went to Allah's Apostle and said, 'I have weak eye-sight and the valley between me and my people flows during the rainy season and it becomes difficult for me to cross it; I wish you would come to my house and pray at a place so that I could take that place as a praying place.' Allah’s Apostle (ﷺ) said, 'I will do so.' So Allah's Apostle and Abu Bakr came to my house on the (next) morning after the sun had risen high. Allah's Apostle asked my permission to let him in and I admitted him. He did not sit before saying, 'Where do you want us to offer the prayer in your house?' I pointed to the place where I wanted him to pray. So Allah’s Apostle (ﷺ) stood up for the prayer and started the prayer with Takbir and we aligned in rows behind him, and he offered two Rakat and finished them with Taslim, and we also performed Taslim with him. I detained him for a meal called "Khazir" which I had prepared for him.-("Khazir" is a special type of dish prepared from barley flour and meat soup)-When the neighbours got the news that Allah’s Apostle (ﷺ) was in my house, they poured it till there were a great number of men in the house. One of them said, 'What is wrong with Malik, for I do not see him?' One of them replied, 'He is a hypocrite and does not love Allah and His Apostle.' On that Allah’s Apostle (ﷺ) said, 'Don't say this. Haven't you seen that he said, 'None has the right to be worshipped but Allah for Allah's sake only?' The man replied, 'Allah and His Apostle know better; but by Allah, we never saw him but helping and talking with the hypocrites.' Allah’s Apostle (ﷺ) replied, 'No doubt, whoever says. None has the right to be worshipped but Allah, and by that, he wants the pleasures of Allah, then Allah will save him from Hell." Mahmud added, "I told the above narration to some people, one of whom was Abu Aiyub, the companion of Allah’s Apostle (ﷺ) in the battle in which he (Abu Aiyub) died and Yazid bin Mu'awya was their leader in Roman Territory. Abu Aiyub denounced the narration and said, 'I doubt that Allah’s Apostle (ﷺ) ever said what you have said.' I felt that too much, and I vowed to Allah that if I remained alive in that holy battle, I would (go to Medina and) ask Itban bin Malik if he was still living in the mosque of his people. So when he returned, I assumed Ihram for Hajj or 'Umra and then I proceeded on till I reached Medina. I went to Bani Salim and Itban bin Malik, who was by then an old blind man, was leading his people in the prayer. When he finished the prayer, I greeted him and introduced myself to him and then asked him about that narration. He told that narration again in the same manner as he had narrated it the first time." Ravi Hazrat Mahmood bin Rabeea Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Hazrat Mahmood bin Rabeea ne farmaya ke maine Hazrat Itbaan bin Maalik Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna. Aur wo un logo’n mein se the jo Nabi (ﷺ) ke hamraah ghazwa-e-badr mein shareek hue the. Hazrat Itban (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Main Qabila-e-Banu Saalim mein apni qaum ko namaz padhaya karta tha. Mere aur us qabile ke darmiyan ek (1) waadi haael thi. Jab baarishe’n hotee’n to usey uboor karke unki masjid tak pohochna mere liye dushwaar ho jaata. Is liye main Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua aur arz kiya ke meri nazar kamzor ho chuki hai aur ye waadi jo mere aur meri qaum ke darmiyan behti hai, jab baarishe’n ho’n to usey uboor karna mere liye mushkil ho jaata hai. Meri khwahish hai ke aap tashreef laae’n aur mere ghar mein kisi jagah par namaz padhe’n, take main usey (hamesha ke liye) jaae namaz bana loo’n. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Main anqareeb aaunga”. Chunache ek (1) din jab sooraj chadh aaya to Rasool Allah (ﷺ) aur Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mere paas tashreef laae. Rasool Allah (ﷺ) ne andar aane ki ijaazat talab farmaai, maine aap ko ijaazat di to aap ne baithne se pehle farmaya: “Aap apne ghar ke kis hisse mein hamaara namaz padhna pasand karte hain?” Maine aap ke liye ek (1) jagah ki taraf ishaara kiya, jaha’n main pasand karta tha, ke waha’n namaz adaa ki jaae. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne waha’n khade ho kar Allahu Akbar kaha. Ham ne bhi aap ke peeche safe’n durust kar lee’n. Aap (ﷺ) ne do (2) rakate’n padh kar salaam pher diya. Ham ne bhi aap ke salaam pherne par salaam pher diya. Phir maine motey aatey aur gosht se taiyyaar-karda khana pesh kiya jo aap hi ke liye taiyyaar kiya gaya tha. Jab ahle mohalla ko pataa chala ke Rasool Allah (ﷺ) mere ghar mein tashreef farma hain to wo pae-dar-pae ekatthe hona shuru ho gae, hatta ke bohot se log mere ghar mein jamaa ho gae. Un mein se ek (1) shakhs ne Maalik (Ibne Dakhshan) (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko kya hua? Wo hame’n yahaa’n nazar nahi aaraha? Un mein se ek-doosre shakhs ne kaha: Wo munaafiq hai, Allah aur uske Rasool (ﷺ) se mohabbat nahi rakhta. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aisa mat kaho, kya tum usey nahi dekhte ho ke wo لا إله إلا الله kehta hai aur uska kalma padhne ka maqsad sirf Allah Ta’ala ki raza-joi hai”. Us shakhs ne kaha: (Waise to) Allah aur uske Rasool (ﷺ) hi behtar jaante hain lekin Allah ki qasam! Ham to uski dosti aur kalam-o-salaam munafiqeen ke saath hi dekhte hain. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala ne us shakhs ko jahannum par haram kar diya hai, jo Allah ki raza ke liye kalma-e-taiyyaba padhta hai”. Hazrat Mahmood bin Rabeea (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Maine ye hadees chand logo’n se bayan ki jin mein Rasool Allah (ﷺ) ke sahaabi Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi the. Ye waaqea us ghazwe mein pesh aaya jis mein Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki shahadat hui aur roomi sar-zameen (Qustuntuniya) mein Yazid bin muawiya ameer-e-Lashkar the. Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us waaqea ka saaf inkar kar diya aur farmaya: Allah ki qasam! Mera Rasool Allah (ﷺ) ke mutaalliq hargiz khayaal nahi ke aap ne aise kalimaat farmae ho’nge jo tum ne Aap (ﷺ) ki taraf mansoob kiye hain. Mujh par unka inkaar bohot giraa’n guzra, is liye maine apne oopar ye laazim kar liya ke agar Allah Ta’ala ne us ghazwe se waapsi tak mujhe saheeh saalim rakha to main uske mutaalliq Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se zaroor dariyaaft karoo’nga. Ba-sharte ke maine usey us qaum ki masjid mein ba-qaid-e-hayaat* paao’n. Chunache main jab us ghazwe se waapas lauta to maine hajj ya umrah ka ehraam bandha aur waha’n se rawaana hua. Bil-aakhir jab main madina munawwara pohcha to Qabila-e-Banu Saalim ka rukh kiya. Maine waha’n Hazrat Itbaan bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha ke wo naabina ho chuke hain aur apni qaum ko namaz padha rahe hain. Jab wo namaz se faarigh hue to maine unhe’n salaam kiya aur apan taaruf karaya. Phir main unse us hadees ke mutaalliq dariyaaft kiya to unho’n ne ye waaqea usi tarah bayan kiya jis tarah pehli martaba bayan kiya tha.
|
Baab 37: Ghar Mein Nafil Namaz Padhna Narrated Ibn 'Umar, Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Offer some of your prayers in your houses and do not make them graves." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Apne gharo’n mein kuch namaz padh liya karo aur unhe’n qabarastan na banaao”. Abdul Wahhab ne Ayyub Sakhtiyani se riwayat karne mein Wahaib ki mataaba-at ki hai.
|