SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
22: Kitab us Sahoo
(Sahoo Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Forgetfulness in Prayer/كتاب السهو]
[1224 To 1236]
Baab 1: Farz Namaz Ki Do (2) Rakato’n Mein (tasshahud baithne ke bajaae) Agar Bhool-kar Khada Ho Jaae Allah’s Apostle (ﷺ) once led us in a prayer and offered two Rakat and got up (for the third Raka) without sitting (after the second Raka). The people also got up with him, and when he was about to finish his prayer, we waited for him to finish the prayer with Taslim but he said Takbir before Taslim and performed two prostrations while sitting and then finished the prayer with Taslim. Ravi Hazrat Abdullah bin Buhaina (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) hame’n kisi namaz ki do (2) rakate’n padha-kar (darmiyan-e-tasshahud ke liye) baithe baghair hi khade ho gae. Log bhi aap ke saath hi khade ho gae. Jab aap apni namaz poori karne ke qareeb the to ham aap ke salaam ka intezaar karne lagey, lekin aap ne salaam pherne se pehle Allahu Akbar kaha aur baithe-baithe do (2) sajde kiye. Uske baad aap ne salaam phera.
|
Allah’s Apostle (ﷺ) got up after the second Raka of the Zuhr prayer without sitting in between (the second and the third Rakat). When he finished the prayer he performed two prostrations (of Sahu) and then finished the prayer with Tasllm. Ravi Hazrat Abdullah bin Buhaina (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) namaz-e-zohar ki do (2) rakato’n mein baithe baghair hi khade ho gae. Jab aap apni namaz poori karne ke qareeb the, to do (2) sajde kiye. Uske baad aap ne salaam phera.
|
Baab 2: Namazi Jab (bhool kar) Paanch (5) Rakate’n Padh Le Narrated Abdullah: Once Allah’s Apostle (ﷺ) offered five Rakat in the Zuhr prayer, and somebody asked him whether there was some increase in the prayer. Allah’s Apostle (ﷺ) said, "What is that?" He said, "You have offered five Rakat." So Allah’s Apostle (ﷺ) performed two prostrations of Sahu after Taslim. Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne ek (1) dafa zohar ki paanch (5) rakat padhee’n. Aap se arz kiya gaya: Aaya namaz mein kuch izaafa kar diya gaya hai? Aap ne farmaya: “Wo kya?” Arz kiya gaya: Aap ne paanch (5) rakat padhi hain. To aap ne salaam pherne ke baad do (2) sajde kiye.
|
Baab 3: Jab Doosri Ya Teesri Rakat Mein Salam Pher De To Namaz Ke Sajde Ki Tarah Yaa Usse Bhi Taweel Do (2) Sajde Kare The Prophet (ﷺ) led us in the 'Asr or the Zuhr prayer and finished it with Taslim. Dhul-Yadain said to him, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Has the prayer been reduced?" The Prophet (ﷺ) asked his companions in the affirmative. So Allah’s Apostle (ﷺ) I offered two more Rakat and then performed two prostrations (of Sahu). Sad said, "I saw that 'Ursa bin Az-Zubair had offered two Rakat in the Maghrib prayer and finished it with Taslim. He then talked (and when he was informed about it) he completed the rest of his prayer and performed two prostrations, and said, 'The Prophet (ﷺ) prayed like this.' " Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne hame’n zohar ya asr ki namaz padhai. Jab aap ne salaam phera to Dhul-yadain ne arz kiya: Allah ke Rasool! Kya namaz mein kami kardi gai hai? Nabi (ﷺ) ne apne ashaab se dariyaaft kiya: “Aaya Dhul-yadain saheeh kehta hai?” Unho’n ne arz kiya: Haa’n (saheeh kehta hai). Uske baad aap ne do (2) rakate’n mazeed padhee’n, phir do (2) sajde kiye. (Raawi-e-hadees) Saad bin Ibrahim kehte hain: Maine Urwah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha, unho’n ne namaz-e-maghrib ki do (2) rakate’n padh kar salaam pher diya, phir guftagu bhi ki, uske baad baqiya namaz adaa ki aur do (2) sajde kiye aur farmaya ke Nabi (ﷺ) ne bhi aise kiya tha.
|
Baab 4: Jo Shakhs Sajda-e-Sahoo Ke baad Tasshshud Nahi Padhta Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne (sajda-e-shoo ke baad) salaam phera aur tasshshud nahi padha. Hazrat Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Unke baad tasshahud na padhe. Wazaahat: Agar salaam se pehle sajda-e-sahoo kiya jaae to jamhoor ka mauqif hai ke tasshahud ka iaada* na kiya jaae. Aur agar salaam ke baad adaa kiye jaae’n to us mein ikhtelaaf hai. Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ka mauqif hai ke tasshahud ke baghair hi salaam pher diya jaae, kyou’nke kisi saheeh hadees mein tasshahud padhne ka zikr nahi. Aur jin riwayaat mein tasshahud ka zikr hai wo qaabil-e-hujjat nahi hain. *Dohraana, dobaara karna |
Narrated Abu Huraira: Once Allah’s Apostle (ﷺ) offered two Rakat and finished his prayer. So Dhul-Yadain asked him, "Has the prayer been reduced or have you forgotten?" Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Has DhulYadain spoken the truth?" The people replied in the affirmative. Then Allah’s Apostle (ﷺ) stood up and offered the remaining two Rakat and performed Taslim, and then said Takbir and performed two prostrations like his usual prostrations, or a bit longer, and then got up. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek (1) martaba Rasool Allah (ﷺ) ne do (2) rakato’n ke baad salaam pher diya to aap se Hazrat Dhul-yadain (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Allah ke Rasool! Kya namaz kam ho gai hai ya aap bhool gae hain? Rasool Allah (ﷺ) ne (haazireen se) poocha: “Dhul-yadain ne saheeh kaha hai?” Logo’n ne arz kiya: Ji haa’n. To Rasool Allah (ﷺ) khade hue aur mazeed do (2) rakate’n adaa kee’n phir salaam phera. Uske baad Allahu Akbar kaha aur pehle do (2) sajdo’n ki tarah ya usse taweel sajde kiye, phir apna sar-e-mubarak uthaaya.
|
Narrated Salama bin 'Alqama: I asked Muhammad (bin Sirin) whether Tashah-hud should be recited after the two prostrations of Sahu. He replied, "It is not (mentioned) in Abu Huraira's narration. " Ravi Salama bin Alqama: Maine Muhammad bin Sireen se poocha: Kya sajda-e-sahoo ke baad tasshahud hai? Unho’n ne farmaya: Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se marwi is hadees mein uska zikr nahi.
|
Baab 5: Sajda-e-Sahoo Mein Allahu Akbar Kehna Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) offered one of the evening prayers (the sub-narrator Muhammad said, "I think that it was most probably the 'Asr prayer") and he finished it after offering two Rakat only. He then stood near a price of wood in front of the Mosque and put his hand over it. Abu Bakr and 'Umar were amongst those who were present, but they dared not talk to him about that (because of excessive respect for him), and those who were in a hurry went out. They said, "Has the prayer been reduced?" A man who was called DhulYadain by the Prophet (ﷺ) said (to the Prophet (ﷺ)), "Has the prayer been reduced or have you forgotten?" He said, "Neither have I forgotten nor has the prayer been reduced." He said, "Certainly you have forgotten." So the Prophet (ﷺ) offered two more Rakat and performed Tashm and then said Takbir and performed a prostration of Sahu like his ordinary prostration or a bit longer and then raised his head and said Takbir and then put his head down and performed a prostration like his ordinary prostration or a bit longer, and then raised his head and said Takbir. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne se-peher* ki do (2) namazo’n (zohar yaa asr) mein se koi namaz do (2) rakat padhaai… Raawi-e-hadees Muhammad bin Sireen ne kaha: Mera ghalib gumaan hai ke wo asr ki namaz thi…. Salaam pher diya. Uske baad masjid ke agley hisse mein gaadi hui ek lakdi par apna dast-e-mubarak rakh kar khade ho gae. Haazireen mein Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi the, lekin unhe’n bhi aap se ham-kalaam hone ki jur-at na hui. Jald-baaz log masjid se baahar jaakar kehne lagey: Kya namaz mukhtasar ho gai hai? Ek (1) shakhs, jise Nabi (ﷺ) Dhul-yadain kehte the, ne arz kiya: Allah ke Rasool! Kya aap bhool gae hain yaa namaz kam kardi gai hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Na to main nisyaan ka shikaar hua hoo’n, aur na namaz hi mein kami hui hai”. Hazrat Dhul-yadain (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Zaroor aap ko bhool lagi hai. Uske baad aap ne do (2) rakate’n mazeed padhee’n aur salaam phera. Uske baad Allahu Akbar kaha aur maamool ke mutaabiq yaa usse bhi taweel sajda kiya, phir apna sar-e-mubarak uthaaya. Uske baad phir Allahu Akbar kaha aur sajde mein chale gae. Ye sajda bhi maamool ke mutaabiq yaa usse taweel tha. Uske baad aap ne Allahu Akbar kehkar sar-e-mubarak uthaaya.
|
(The ally of Bani 'Abdul Muttalib) Allah’s Apostle (ﷺ) stood up for the Zuhr prayer and he should have sat (after the second Raka but he stood up for the third Raka without sitting for Tashah-hud) and when he finished the prayer he performed two prostrations and said Takbir on each prostration while sitting, before ending (the prayer) with Taslim; and the people too performed the two prostrations with him instead of sitting he forgot. Ravi Hazrat Abdullah Ibne Buhaina Asadi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): (Jo Abu Abdul Muttalib ke haleef* the) Rasool Allah (ﷺ) zohar ki namaz mein do (2) rakato’n ke baad khade ho gae, jabke aap ko baith kar tasshahud padhna tha. Jab aap namaz mukammal karne ke qareeb the, to aap ne baithe-baithe hi salaam se qabl do (2) sajde kiye aur unke liye Allahu Akbar bhi kaha. Muqtadiyo’n ne bhi aap ke saath ye do (2) sajde kiye. Ye us tasshahud ki jagah the jise aap bhool gae the. Imam Ibne Shihab se takbeer ka lafz bayan karne mein Ibne Juraij ne Lais ki mataaba-at ki hai.
|
Baab 6: Jab Namazi Ko Maaloom Na Ho Ke Kitni Rakat Padhi Hain, Teen (3) ya Chaar (4)? To Baithe-baithe Sahoo Ke Do (2) Sajde Kare Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When the call for prayer is made, Satan takes to his heels passing wind so that he may not hear the Adhan and when the call is finished he comes back, and when the Iqama is pronounced, Satan again takes to his heels, and when the Iqama is finished he comes back again and tries to interfere with the person and his thoughts and say, "Remember this and that (which he has not thought of before the prayer)", till the praying person forgets how much he has prayed. If anyone of you does not remember whether he has offered three or four Rakat then he should perform two prostrations of Sahu while sitting. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab namaz ke liye azaan di jaati hai to shaitan gooz maarta hua bhaagta hai, aur (itni door chalaa jaata hai ke) azaan ki awaaz nahi sun paata. Jab azaan khatam ho jaati hai to waapas aajaata hai aur jab takbeer kahi jaati hai to phir bhaagta hai. Jab takbeer poori ho jaati hai to phir waapas aakar namazi aur uske dil mein waswasa-andaazi karta hai aur kehta hai: Falaa’n-falaa’n cheez yaad kar, jo usey pehle yaad nahi hoti, hatta ke namazi aisa ho jaata hai ke nahi jaanta usne kitni rakaat padhi hain, is liye agar tum mein se kisi ko maaloom na rahe ke usne kitni rakat padhi hain, teen (3) yaa chaar (4)? To baithe-baithe do (2) sahoo ke sajde kare”.
|
Baab 7: Faraaez Aur Nawaafil Mein Sajda-e-Sahoo Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se wirt ke baad sahoo ke do (2) sajde kiye. Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When anyone of you stands for the prayers, Satan comes and puts him in doubts till he forgets how many Rakat he has prayed. So if this happens to anyone of you, he should perform two prostrations of Sahu while sitting. Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi namaz padhne ke liye khada hota hai to shaitan aakar uski namaz ko khalat-malat kar deta hai, hatta ke wo (namazi) nahi jaanta ke usne kitni rakat padhi hain. Jab tumm ein se koi aisee haalat se do-chaar ho to baithe-baithe do (2) sahoo ke sajde kare”.
|
Baab 8: Jab Namazi Se Koi Baat Kare Aur Wo Sun Kar Haath Se Ishaara Karde Narrated Kuraib: I was sent to Aisha by Ibn Abbas, Al-Miswar bin Makhrama and 'Abdur-Rahman bin Azhar . They told me to greet her on their behalf and to ask her about the offering of the two Rakat after the 'Asr prayer and to say to her, "We were informed that you offer those two Rakat and we were told that the Prophet (ﷺ) had forbidden offering them." Ibn Abbas said, "I along with 'Umar bin Al-Khattab used to beat the people whenever they offered them." I went to Aisha and told her that message. 'Aisha said, "Go and ask Um Salama about them." So I returned and informed them about her statement. They then told me to go to Um Salama with the same question with which t sent me to 'Aisha. Um Salama replied, "I heard the Prophet (ﷺ) forbidding them. Later I saw him offering them immediately after he prayed the 'Asr' prayer. He then entered my house at a time when some of the Ansari women from the tribe of Bani Haram were sitting with me, so I sent my slave girl to him having said to her, 'Stand beside him and tell him that Um Salama says to you, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! I have heard you forbidding the offering of these (two Rakat after the 'Asr prayer) but I have seen you offering them." If he waves his hand then wait for him.' The slave girl did that. The Prophet (ﷺ) beckoned her with his hand and she waited for him. When he had finished the prayer he said, "O daughter of Bani Umaiya! You have asked me about the two Rakat after the 'Asr prayer. The people of the tribe of 'Abdul-Qais came to me and made me busy and I could not offer the two Rakat after the Zuhr prayer. These (two Rakat that I have just prayed) are for those (missed) ones. Ravi Hazrat Kuraib: Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Miswar bin Makhrama, aur Hazrat Abdur Rahman Azhar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne unhe’n Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas bheja aur kaha ke ham sab ki taraf se unhe’n salaam kehna aur unse namaz-e-asr ke baad do (2) rakato’n ke mutaalliq dariyaaft karna, nez unse arz karna ke hamari ittela ke mutaabiq aap asr ki namaz ke baad do (2) rakate’n padhti hain. Halaa’nke hame’n ye khabar pohchi hai ke Nabi (ﷺ) ne unse manaa farmaya hai. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye bhi kaha ke main Hazrat Umar Farooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah ye do (2) rakate’n padhne waalo’n ko maarta tha. Hazrat Kuraib kehte hain: Main Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gaya aur unhe’n wo khabar pohchaa di jiske liye unho’n ne mujhe bheja tha. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se uske mutaaliq dariyaaft karo. Chunache main un hazraat ke paas gaya aur unhe’n Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ki baat se agaah kar diya. Phir unho’n ne mujhe Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ki taraf wohi paighaam de kar bheja, jo main Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ki taraf le kar gaya tha. Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) se suna ke aap unse manaa farmate the, phir maine aap ko asr ke baad ye do (2) rakate’n padhte hue dekha, phir aap mere paas tashreef laae, jabke us waqt mere paas ansaar ke qabila-e-banu haram ki kuch aurte’n baithi thee’n. Maine ek (1) ladki ko Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein bhja aur usse kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ke pehlu mein khadi ho kar arz karna: Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) dariyaaft karti hain: Allah ke Rasool! Maine aapko un do (2) rakato’n se manaa karte hue suna hai, jabke main aapko dekhti hoo’n ke khud aap ye do (2) rakate’n padh rahe hain. Agar Rasool Allah (ﷺ) apne haath se ishaara kar de’n to peeche hatt jaana, chunache us ladki ne aise hi kiya. Aap ne jab apne haath se ishaara kiya to wo peeche hatt gai. Phir aap ne namaz se faraaghat ke baad farmaya: “Abu Umaiyya ki beti! Toone asr ke baad do (2) rakate’n padhne ke mutaalliq dariyaaft kiya hai. Baat dar-asl ye hai ke qabil-e-abdul qais ke kuch log mere paas aagae the, unho’n ne zohar ke baad do (2) rakate’n padhne mein mujhe der karaadi, ye wohi do (2) rakate’n hain”.
|
Baab 9: Dauran-e-Namaz Mein Ishaara Karna Is baab ko Hazrat Kuraib ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se, unho’n ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai. Narrated Sahl bin Sad As-Sa'idi: The news about the differences amongst the people of Bani'Amr bin 'Auf reached Allah’s Apostle (ﷺ) and so he went to them along with some of his companions to effect a reconciliation between them. Allah’s Apostle (ﷺ) was delayed there, and the time of the prayer was due. Bilal went to Abu Bakr and said to him, "Allah’s Apostle (ﷺ) has been delayed (there) and the time of prayer is due. So will you lead the people in prayer?" Abu Bakr said, "Yes if you wish." Bilal pronounced the Iqama and Abu Bakr, went forward and said Takbir for the people. In the meantime, Allah’s Apostle (ﷺ) came crossing the rows (of the praying people) and stood in the (first) row and the people started clapping. Abu Bakr would never glance side-ways in his prayer but when the people clapped much he looked back and (saw) Allah’s Apostle (ﷺ). Allah’s Apostle (ﷺ) beckoned him to carry on the prayer. Abu Bakr raised his hands and thanked Allah, and retreated till he reached the (first) row. Allah’s Apostle (ﷺ) went forward and led the people in the prayer. When he completed the prayer he faced the people and said, "O people! Why did you start clapping when something unusual happened to you in the prayer? Clapping is only for women. So whoever amongst you comes across something in the prayer should say, 'Subhan-Allah' for there is none who will not turn round on hearing him saying Subhan-Allah. O Abu Bakr! What prevented you from leading the people in the prayer when I beckoned you to do so?" Abu Bakr replied, "How dare the son of Abu Quhafa lead the prayer in the presence of Allah's Apostle (ﷺ)?" Ravi Hazrat Sahal bin Saad Saa’di (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Rasool Allah (ﷺ) ko ye ittela mili ke qabila-e-banu amr bin auf mein koi jhagda ho gaya hai. Aap chand Sahaaba Ikram (رضي الله عنهم) ko saath le kar un mein sulah karaane ke liye tashreef le gae. Aap ko waha’n der ho gai aur idhar namaz ka waqt ho gaya. Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ), Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae aur arz kiya: Abu Bakar! Rasool Allah (ﷺ) ko waha’n der ho gai hai. Jabke namaz ka waqt qareeb aagaya hai. Kya aap logo’n ko namaz padhae’nge? Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar tum chaahte ho to main taiyyaar hoo’n. Chunache Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne takbeer kahi, aur Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aagey badhe aur logo’n ko namaz padhane ke liye takbeer-e-tehreema kahi. Itne mein Rasool Allah (ﷺ) tashreef le aae aur safo’n se guzarte hue pehli saff mein aakar khade ho gae. Logo’n ne taaliyaa’n bajaana shuru kar dee’n. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz mein bilkul kisi taraf bhi mutawajja nahi hua karte the. Jab logo’n ne ba-kasrat taaliyaa’n peetna shuru kar dee’n to mutawajja hue. Kya dekhte hain ke Rasool Allah (ﷺ) tashreef laa chuke hain. Rasool Allah (ﷺ) ne ishaara farmaya jis ke zariye se aap unhe’n namaz padhane ka hukum de rahe the, magar Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne dono haath uthaae, Allah Ta’ala ki hamd-o-sana bayan ki aur ulte paao’n waapas hue, ta-aa’nke saff mein khade ho gae. Rasool Allah (ﷺ) aagey badhe aur logo’n ko namaz padhaai. Jab faarigh hue to logo’n ki taraf mutawajja hue aur farmaya: “Aye logo’n! Tumhe’n kya ho gaya, jab namaz mein koi baat pesh aai to tum ne taaliyaa’n peetna shuru kar dee’n? Taali bajaana to aurto’n ka kaam hai. Jaise namaz mein koi baat pesh aae to wo Subhan-Allah kahe, is liye ke jo shakhs bhi Subhan-Allah sunega to zaroor mutawajja hoga. Aye Abu Bakar! Jab maine tumhe (namaz padhate rehne ka) ishaara kar diya tha to phir kis cheez ne tumhe’n logo’n ko namaz padhane se baaz rakha?” Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) goya hue ke Abu Quhaafa ke bete ko zeb nahi deta ke wo Rasool Allah (ﷺ) ke aagey khada ho kar namaz padhae.
|
Narrated Asma': I went to 'Aisha and she was standing praying and the people, too, were standing (praying). So I said, "What is the matter with the people?" She beckoned with her head towards the sky. I said, "(Is there) a sign?" She nodded intending to say, "Yes." Ravi Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gai jabke wo khadi namaz padh rahi thee’n, aur log bhi khade namaz padh rahe the. Maine poocha: Logo’n ka kya maajra hai? To unho’n ne apne sar se aasmaan ki taraf ishaara farmaya. Maine kaha: (Qudrat ki) koi nishaani hai? Unho’n ne phir apne sar se ishaara karke farmaya: haa’n.
|
Allah’s Apostle (ﷺ) during his illness prayed in his house sitting, whereas some people followed him standing, but the Prophet (ﷺ) beckoned them to sit down. On completion of the prayer, he said, "The Imam is to be followed. So, bow when he bows, and raise your head when he raises his head." Ravi Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Syedha Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Ek (1) dafa Rasool Allah (ﷺ) ne apne ghar mein baith kar namaz adaa farmaai, jabke aap bimaar the. Aap ki iqteda mein logo’n ne khade ho kar namaz shuru ki to aap ne ishaara kiya ke baith jaao. Jab namaz se faarigh hue to farmaya: “Imam is liye banaaya jaata hai ke uski iqteda ki jaae, lehaaza jab wo rukoo kare to tum rukoo karo, aur jab wo sar uthaae to tum bhi sar uthaao”.
|