SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

17: Abwaabu Sujoodil Quran wa Sunnatiha
(Sujood-e-Quran Aur Unke Tareeqa-e-Kaar Ka Bayaan)
[Prostration During Recital of Qur'an/كتاب سجود القرآن]
[1067 To 1079]




Baab 1: Sujood-e-Quran Aur Unke Tareeqe Ke Mutaalliq Jo Waarid Hai







Narrated 'Abdullah bin Masud:

The Prophet (ﷺ) recited Suratan-Najm (103) at Mecca and prostrated while reciting it and those who were with him did the same except an old man who took a handful of small stones or earth and lifted it to his forehead and said, "This is sufficient for me." Later on, I saw him killed as a non-believer.


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne makkah mukarrama mein Surah Najm tilaawat farmaai to aap ne sajda kiya. Aap ke saath jo log the un sab ne sajda kiya. Ek (1) umar-raseeda shakhs ke alaawa (ke wo sajda-rez na hua), usne mutthi bhar kankariyaa’n yaa mitti le kar usey apni peshaani tak uthaaya aur kehne laga: Mujhe yehi kaafi hai, uske baad maine usey dekha ke wo ba-haalat-e-kufr qatl hua.



Reference : Sahih al-Bukhari 1067

 : Book 17, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
1070, 3753, 3972, 4863 





Baab 2: “ ‏الم تَنْزِيلُ السَّجْدَةُ” Mein Sajda Hai






Narrated Abu Huraira:

On Fridays, the Prophet (ﷺ) used to recite Alf Lam Mim Tanzil-As-Sajda (in the first Raka) and Hal ata'alal-lnsani i.e. Suratad-Dahr (76) (in the second Raka), in the Fajr prayer.

Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) juma ke din namaz-e-fajr mein “‏الم تَنْزِيلُ” [Surah Sajdah] aur “‏هَلْ أَتَى عَلَى الإِنْسَانِ‏”[ Surah Dahr] padha karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1068

 : Book 17, Hadith 2





Baab 3: Surah Saad Mein Sajda Hai






Narrated Ibn Abbas:

The prostration of Sad is not a compulsory one but I saw the Prophet (ﷺ) prostrating while reciting it.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Surah Saad ka jsada zaroori nahi, albatta maine Nabi (ﷺ) ko us mein sajda karte hue dekha hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1069

 : Book 17, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 3422
 





Baab 4: Sajda Surah-e-Najm Ka Bayan






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne isey Nabi (ﷺ) se bayan farmaya hai.


Narrated 'Abdullah bin Masud:

The Prophet (ﷺ) recited Surat-an-Najm (53) and prostrated while reciting it and all the people prostrated and a man amongst the people took a handful of stones or earth and raised it to his face and said, "This is sufficient for me. Later on, I saw him killed as a Nobel ever. "


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne Surah Najm tilaawat ki to us mein sajda kiya. Ek (1) aadmi ke alaawa qaum mein koi aisa na tha, jis ne sajda na kiya ho. Us ne kankariyo’n yaa mitti ki mutthi bharli aur usey apne chehre ki taraf utha kar kehne laga: Mujhe to yehi kaafi hai. Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain: Maine usey dekha ke wo baad mein (madian-e-badr mein) ba-haalat-e-kufr qatal hua.



Reference : Sahih al-Bukhari 1070

 : Book 17, Hadith 4





Baab 5: Musalmano Ka Mushrikeen Ke saath Sajda Karna, Halaa’nke Mushrik Paleed Aur Be-wazoo Hota Hai







Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) wazoo ke baghair hi sajda-e-tilaawat kar lete the.


Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) I prostrated while reciting An-Najm and with him prostrated the Muslims, the pagans, the jinns, and all human beings.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne Surah Najm mein sajda kiya aur aap ke hamraah us waqt tamaam ahle islam, mushrikeen aur jinn-o-ins ne sajda kiya.
Ibne Tahmaan ne bhi Ayyub se is riwayat ko bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1071

 : Book 17, Hadith 5
 
: Also see Hadith No. 4862 





Baab 6: Jis ne Aayat-e-Sajda Tilaawat Ki Magar Sajda Na kiya







Narrated 'Ata' bin Yasar:

I asked Zaid bin Thabit about prostration on which he said that he had recited An-Najm before the Prophet (ﷺ), yet he (the Prophet (ﷺ)) had not performed a prostration.


Ravi Hazrat Ataa bin Yasaar:

Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se (sajda-e-tilaawat ke mutaalliq) poocha to unho’n ne farmaya: Maine Nabi (ﷺ) ke saamne Surah Najm padhi thi, lekin aap ne us mein sajda nahi kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1072

 : Book 17, Hadith 6
 
: Also see Hadith No. 1073
 




Narrated Zaid bin Thabit:

I recited An-Najm before the Prophet (ﷺ), yet he did not perform a prostration.


Ravi Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine ek (1) dafa Nabi (ﷺ) ke huzoor Surah Najm tilaawa ki thi, to aap ne us mein sajda nahi kiya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1073

 : Book 17, Hadith 7
 
: Also see Hadith No. 1072 





Baab 7: Surah “‏إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ‏” [Surah Inshiqaaq] Ka Sajda






Narrated Abu Salma:

I saw Abu Huraira reciting Idha-Sama' un-Shaqqat and he prostrated during its recitation. 
I asked Abu Huraira, "Didn't I see you prostrating?" 
Abu Huraira said, "Had I not seen the Prophet (ﷺ) prostrating, I would not have prostrated."


Ravi Hazrat Abu Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha ke unho’n ne “‏إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ‏” ki tilaawat ki aur us mein sajda kiya. Maine arz kiya: Abu Huraira! Kya maine aap ko sajda karte nahi dekha? 
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya: Agar main Nabi (ﷺ) ko is mein sajda karte na dekhta to main bhi sajda na karta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1074

 : Book 17, Hadith 8





Baab 8: Jo Qaari Ke Sajde Ki Bina Par Sajda Karta Hai






Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek (1) ladke ke Tamim bin Hazlam se, jab us ne aayat-e-sajda tilaawat ki, farmaya: Sajda karo, kyou’nke tum uske mutaalliq hamaare imam ho.




Narrated Ibn Umar:

When the Prophet (ﷺ) recited a Sura that contained the prostration he would prostrate and we would do the same and some of us (because of the heavy rush) could not find a place for prostration.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) hamaare saamne jab wo surah tilaawat karte jis mein sajda hota to aap khud bhi sajda karte aur ham bhi sajda karte the. yahaa’n tak ke bheed ki wajah se baaz logo’n ko peshaani rakhne ki bhi jagah nahi milti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1075

 : Book 17, Hadith 9
 
: Also see Hadith No. 
1072, 1079 



Baab 9: Jab Imam Aayat-e-Sajda Tilaawat Kare Aur Logo’n Ka Rush Ho To Kya Karna Chaahiye?







Narrated Ibn 'Umar:

When the Prophet (ﷺ) recited Surat As-Sajda and we were with him, he would prostrate and we also would prostrate with him and some of us (because of the heavy rush) would not find a place (for our foreheads) to prostrate on.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) aayat-e-sajda tilaawat farmate aur ham aap ke paas hote, aap sajda karte to ham bhi aap ke saath sajda karte. Us waqt itna rush ho jaata ke ham mein se koi apni peshaani rakhne ke liye jagah na paata ke wahaa’n sajda kar sakey.



Reference : Sahih al-Bukhari 1076

 : Book 17, Hadith 10





Baab 10: Jis Shakhs Ka Mauqif Hai Ke Allah Azzawajal Ne Sajda-e-Tilaawat Ko Waajib Qaraar Nahi Diya







Hazrat Imran bin Hussain (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya gaya ke ek (1) shakhs aayat-e-sajda suntan hai lekin wo sunne ki niyyat se nahi baitha? 
Unho’n ne farmaya: Agar wo sunne ki niyat se baith bhi jaae to kya hai? 
Goya wo us par sajda-e-tilaawat waajib nahi karte.

Hazrat Salman Faarsi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham sajda-e-tilaawat ke liye nahi aae.

Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Sajda-e-tilaawat us shakhs par hai jo aayat-e-sajda ko qasdan ghaur se suntan hai.

Imam Zohri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke sajde ke liye ba-wazoo hona zaroori hai. Agar ba-haalat-e-iqaamat sajda karo to qibl-roo ho kar karo, agar tum sawaar ho to phir jidhar tumhara rukh ho, us mein tum par koi muakahza nahi hai.

Hazrat Saaeb bin Yazeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) qissa-go waaz ke sajda karne par sajda nahi karte the.




Narrated Rabi'a:

'Umar bin Al-Khattab recited Surat-an-Nahl on a Friday on the pulpit and when he reached the verse of Sajda he got down from the pulpit and prostrated and the people also prostrated. The next Friday 'Umar bin Al-Khattab recited the same Sura and when he reached the verse of Sajda he said, "O people! When we recite the verses of Sajda (during the sermon) whoever prostrates does the right thing, yet it is no sin for the one who does not prostrate." And 'Umar did not prostrate (that day). Added Ibn 'Umar "Allah has not made the prostration of recitation compulsory but if we wish we can do it."


Ravi Rabi'a:

Hazrat Umar bin Khatta (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne juma ke din mimbar par Surah an Nahl tilaawat farmaai. Jab aayat-e-sajda par pohche to mimbar se neeche utre aur sajda kiya aur logo’n ne bhi aap ke hamraah sajda-e-tilaawat kiya. Jab aainda juma aayat-e-sajda par pohche to farmaya: Logo! Ham aayat-e-sajda padh rahe hain, jis ne us par sajda kiya usne theek aur durust kaam kiya aur jis ne sajda na kiya us par koi gunah nahi, taaham Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne sajda na kiya.
Hazrat Naafe ne Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke waste se Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se in alfaaz ka izaafa naqal kiya hai ke Allah Ta’ala ne sajda-e-tilaawat ham par farz nahi kiya hai. Haa’n! Agar ham chaahe to kar sakte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1077

 : Book 17, Hadith 11





Baab 11: Jis Ne Aayat-e-Sajda Ko Namaz Mein Tilaawat Kiya Aur Us Mein Sajda-rez Hua







Narrated Abu Rafi:

I offered the 'Isha' prayer behind Abu Huraira and he recited Idhas-Sama' Un-Shaqqat, and prostrated.
I said, "What is this?" 
Abu Huraira said, "I prostrated behind Abu-l-Qasim and I will do the same till I meet him."


Ravi Hazrat Abu Raafe:

Maine Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah namaz-e-isha adaa ki. Unho’n ne namaz mein “‏إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ‏” [Surah Inshiqaaq] ki tilaawat ki to us mein sajda kiya. Maine kaha: Ye sajda kaisa hai? 
To unho’n ne farmaya: Maine Hazrat Abul Qasim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke peeche ye sajda kiya tha, is liye main to hamesha us mein sajda karta rahu’nga, ta-aa’nke aap se jaa miloo’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1078

 : Book 17, Hadith 12





Baab 12: Jis Shakhs Ko Ba-wajah-e-Hujoom Sajda-e-Tilaawat Ke Liye Jagah Na Miley







Narrated Ibn 'Umar.

Whenever the Prophet (ﷺ) recited the Sura which contained the prostration of recitation he used to prostrate and then, we, too, would prostrate and some of us did not find a place for prostration.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) koi aisee soorah tilaawat karte jis mein sajda hota to sajda farmate aur ham bhi aap ke saath sajda karte, hatta ke ham mein se kuch logo’n ko peshaani rakhne ke liye jagah na milti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1079

 : Book 17, Hadith 13









PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT