SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

16: Abwaab-ul-Kusoof
(Grahan Aur Namaz-e-Grahan Ke Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Eclipses/كتاب الكسوف]
[1040 To 1066]



Baab 1: Sooraj Grahan Ke Waqt Namaz Padhna






Narrated Abu Bakra:

We were with Allah's Apostle (ﷺ) when the sun eclipsed. Allah's Apostle (ﷺ) stood up dragging his cloak till he entered the Mosque. He led us in a two-Rakat prayer till the sun (eclipse) had cleared. Then the Prophet (ﷺ) said, "The sun and the moon do not eclipse because of someone's death. So whenever you see these eclipses pray and invoke (Allah) till the eclipse is over."


Ravi Hazrat Abu Bakrah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ke paas baithe the ke aftaab gahan* (grahan) ho gaya. Aap fauran uthe, dar-aa’n haalyeke aap ki chadar ghisat rahi thi aur masjid mein daakhil hue. Ham bhi masjid mein aae. Aap ne hame’n do (2) rakat namaz padhai, yahaa’n tak ke aftaab raushan ho gaya. Phir aap ne farmaya: “Suraj aur chaand kisi ke marne se grahan-zada nahi hote, jab tum une’n grahan laga dekho to namaz padho aur dua karo yahaa’n tak ke tumhare yahaa’n se taareeki door ho jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1040

 : Book 16, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
1048, 1062, 1063, 5785
 : *Zameen aur sooraj ke darmiyan chaand haael ho jaane se sooraj ka juzuwi ya
    kullu taur par taareek nazar aana.
 




Narrated Abu Masud:

The Prophet (ﷺ) said, "The sun and the moon do not eclipse because of the death of someone from the people but they are two signs amongst the signs of Allah. When you see them stand up and pray."


Ravi Hazrat Abu Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand logo’n mein se kisi ke marne ki wajah se be-noor nahi hote. Balke ye Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Jab tum unhe’n is haalat mein dekho to khade ho kar namaz padho”.Narrated Abu Masud:



Reference : Sahih al-Bukhari 1041

 : Book 16, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
1057, 3204 




Narrated Ibn 'Umar:

The Prophet (ﷺ) said, "The sun and the moon do not eclipse because of the death or life (i.e. birth) of someone but they are two signs amongst the signs of Allah. When you see them offer the prayer."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) se bayan karte hain: “Shams-o-qamar kisi shakhs ki maut-o-hayaat ki binaa par be-noor nahi hote, balke ye Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) alaamate’n hain, lehaaza tum unhe’n gahan (grahan-zada) dekho to namaz padho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1042

 : Book 16, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 3201
 




Narrated Al-Mughira bin Shu'ba:

"The sun eclipsed in the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) on the day when (his son) Ibrahim died. So the people said that the sun had eclipsed because of the death of Ibrahim. Allah's Apostle (ﷺ) said, "The sun and the moon do not eclipse because of the death or life (i.e. birth) of someone. When you see the eclipse pray and invoke Allah."


Ravi Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ki hayaat-e-taiyyaba mein sooraj grahan us din hua jis din aap ke lakht-e-jigar Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki wafat hui thi. Logo’n ne kaha ke Hazrat Ibrahim ki wafat ke sabab sooraj be-noor hua hai. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand kisi ke marne aur paida hone se grahan-zada nahi hote. Jab tum grahan dekho to namaz padho aur Allah se dua karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1043

 : Book 16, Hadith 4
 
: Also see Hadith No.
 
1060, 6199





Baab 2: Grahan Ke Waqt Sadqa-o-Khairat Karna






Narrated 'Aisha:

In the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) the sun eclipsed, so he led the people in prayer, and stood up and performed a long Qiyam, then bowed for a long while. He stood up again and performed a long Qiyam but this time the period of standing was shorter than the first. He turned again for a long time but shorter than the first one, and then prostrated and prolonged the prostration. He did the same in the second Raka as he did in the first and then finished the prayer; by then the sun (eclipse) had cleared. He delivered the Khutba (sermon) and after praising and glorifying Allah he said, "The sun and the moon are two signs against the signs of Allah; they do not eclipse the death or life of anyone. So when you see the eclipse, remember Allah and say Takbir, pray and give Sadaqa." 
The Prophet (ﷺ) then said, "O followers of Muhammad! By Allah! There is none who has more ghaira (self-respect) than Allah as He has forbidden His slaves, male or female commit adultery (illegal sexual intercourse). O followers of Muhammad! By Allah! If you knew that which I know you would laugh little and weep much.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein ek (1) dafa sooraj grahan hua to Rasool Allah (ﷺ) ne logo’n ko namaz padhai aur us mein bohot taweel qiyaam kiya, phir rukoo kiya to wo bhi bohot taweel kiya. Rukoo ke baad qiyaam kiya to wo bhi bohot taweel tha, lekin pehle qiyaam se kuch mukhtasar. Phir aap ne taweel rukoo kiya, jo pehle rukoo se qadre* kam tha. Phir sajda bhi bohot taweel kiya. Doosri rakat mein bhi aisa hi kiya, jaisa ke pehli rakat mein kiya tha. Phir jab namaz se faarigh hue to aftaab saaf ho chuka tha. Uske baad aap ne logo’n ko khutba diya aur Allah ki hamd-o-sana ke baad farmaya: “Bila-shubha ye sooraj aur chaand Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Jis waqt tum aisa dekho to Allah se dua karo, uski kibriyaai ka eteraaf karo, namaz padho, aur sadqa-o-khairat karo”. 
Phir Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye ummat-e-muhammd! Allah se ziyada koi ghairat-mand nahi hai, ke uska Ghulam ya auski baandi badkaari kare. Aye ummat-e-muhammad! Allah ki qasam! Agar tum is baat ko jaan lo jo main jaanta hoo’n to tumhe’n hansi bohot kam aae aur rona bohot ziyada aae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1044

 : Book 16, Hadith 5
 
: Also see Hadith No. 
1046, 1047, 1050, 1056, 1058, 1064, 1066, 1212, 3203,
   4624, 5221, 6631
 : *Thoda sa, qaleel, zara, kuch, kisi qadar 





Baab 3: Grahan Ke Waqt As Salahtul Jaamiah “الصَّلاَةُ جَامِعَةٌ” Ke Alfaaz Se Elaan Karna







Narrated 'Abdullah bin 'Amr:

"When the sun eclipsed in the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) an announcement was made that a prayer was to be offered in congregation."


Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein jab sooraj grahan hua to you’n elaan kiya gaya: الصَّلاَةُ جَامِعَةٌ.



Reference : Sahih al-Bukhari 1045

 : Book 16, Hadith 6
 
: Also see Hadith No. 1051
 





Baab 4: Namaz-e-Kusoof Ke Waqt Imam Ka Khutba Dena






Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aur Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain ke Nabi (ﷺ) ne (sooraj gahan (grahan) ke waqt) khutba irshad farmaya.




Narrated 'Aisha:

(the wife of the Prophet (ﷺ) (ﷺ) In the lifetime of the Prophet (ﷺ) the sun eclipsed and he went to the Mosque and the people aligned behind him. He said the Takbir (starting the prayer) and prolonged the recitation (from the Quran) and then said Takbir and performed a prolonged bowing; then he (lifted his head and) said, "Sami allahu liman hamidah" (Allah heard him who sent his praises to Him). He then did not prostrate but stood up and recited a prolonged recitation which was shorter than the first recitation. He again said Takbir and then bowed a prolonged bowing but shorter than the first one and then said, "Sami 'a-l-lahu Lyman hamidah Rabbana walak-lhamd, (Allah heard him who sent his praises to Him. O our Sustainer! All the praises are for You)" and then prostrated and did the same in the second Raka; thus he completed four bowing and four prostrations. The sun (eclipse) had cleared before he finished the prayer. (After the prayer) he stood up, glorified and praised Allah as He deserved and then said, "The sun and the moon are two of the signs of Allah. They do not eclipse because of the death or the life (i.e. birth) of someone. When you see them make haste for the prayer." Narrated Az-Zuhri: I said to 'Ursa, "When the sun eclipsed at Medina your brother ('Abdullah bin Az-Zubair) offered only a two-Rakat prayer like that of the morning (Fajr) prayer." 
'Ursa replied, "Yes, for he missed the Prophet (ﷺ)'s tradition (concerning this matter)."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ki hayaat-e-taiyyaba mein sooraj be-nor hua to aap masjid mein tashreef laae. Logo’n ne aap ke peeche safe’n bana lee’n. 
 Aap (ﷺ)ne takbeer-e-tehreema kahi, phir lambi qirat farmaai. 
Uske baad Allahu Akbar kehkar ek (1) taweel rukoo kiya. 
Phir “سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ” Samiallahu liman hamida kaha to khade rahe aur sajda na kiya, balke taweel qirat ki, jo pehli qirat se qadre kam thi. 
Phir Allahu Akbar kehkar taweel rukoo kiya, jo pehle rukoo se qadre kam tha. 
Uske baad aap ne “سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ” kaha aur sajde mein chale gae. 
Phir doosri rakat mein bhi aise hi kiya. 
Is tarah aap ne chaar (4) rukoo aur chaar (4) sajdo’n ke saath namaz mukammal ki. Namaz khatam hone se pehle pehle sooraj raushnat ho chuka tha. Phir aap (ﷺ) khade hue aur Allah Ta’ala ke shayaan-e-shaan hamd-o-sana bayan ki. 
Uske baad farmaya: “Ye dono’n (sooraj aur chaand) Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Unhe’n kisi ki maut-o-hayaat ki wajah se grahan nahi lagta. Jab tum unhe’n baae’n-haalat* dekho to Allah se ilteja karte hue namaz ki taraf aajaao”.

Kaseer bin Abbas bayan karte hain ke Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bho sooraj grahan ke mutaalliq isi tarah hadees bayan ki, jis tarah Hazrat Urwah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se bayan ki thi. Maine Hazrat Urwah se kaha: Jis din madina taiyyaba mein sooraj ko grahan laga tha, to aap ke bhai Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne namaz-e-kusoof mein fajr ki tarah do (2) se ziyaada rukoo nahi kiye the. Unho’n ne jawab diya: Haa’n, lekin unho’n ne sunnat ke khilaaf kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1046

 : Book 16, Hadith 7
 
*Is haalat, aisi haalat





Baab 5: Sooraj Grahan Ke Liye Kasaf (كَسَفَتِ) Yaa Khasf (خَسَفَتْ) Kaunsa Lafz Istemaal Karna Chaahiye?







Allah Ta’ala ka irshad hai: وَخَسَفَ ٱلْقَمَرُ

“Jab Chaand Ko Gahan (Grahan) Lag Jaaega”. [Surah al Qiyaama: 8]




Narrated Aisha:

(the wife of the Prophet (ﷺ)) On the day when the sun Khasafat (eclipsed) Allah's Apostle (ﷺ) prayed; he stood up and said Takbir and recited a prolonged recitation, then he performed a prolonged bowing, then he raised his head and said, "Sami'a-l-lahu Lyman Hamidah," and then remained standing and recited a prolonged recitation which was shorter than the first. Then he performed a prolonged bowing which was shorter than the first. Then he prostrated and prolonged the prostration and he did the same in the second Raka as in the first and then finished the prayer with Taslim. By that time the sun (eclipse) had cleared He addressed the people and said, "The sun and the moon are two of the signs of Allah; they do not eclipse (Yakhsifan) because of the death or the life (i.e. birth) of someone. So when you see them make haste for the prayer."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jis din sooraj ko grahan laga to Rasool Allah (ﷺ) namaz ke liye khade hue. Aap ne Allahu Akbar kaha aur lambi qirat farmaai, phir taweel rukoo kiya, uske baad apna sar-e-mubarak uthaya aur “سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ” Samiallahu liman hamida kaha aur aise khade ho gae jaise (rukoo se) pehle khade the, phir lambi qirat farmaai jo p pehli qirat se kam thi. Phir taweel rukoo kiya, jo pehle rukoo se qadre kam tha, puske baad aap ne lamba sajda kiya, phir aap ne doosri rakat ko bhi isi tarah adaa kiya. Uske baad aap ne salaam phera to sooraj raushan ho chuka tha. Aap ne khutba diya aur shams-o-qamar ke grahan ke mutaalliq farmaya: “Ye dono Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain, jo kisi ki maut-o-hayaat ki wajah se be-noor nahi hote. Tum jab unhe’n is haalat mein dekho to khaufzada hoka rnamaz ki taraf tawajjo karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1047

 : Book 16, Hadith 8



Baab 6: Farman-e-Nabawi ke “Allah Ta’ala Kusoof Ke Zariye Se Apne Bando’n Ko Daraata Hai”







Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se isi tarah riwayat kiya hai.


Narrated Abu Bakra:

Allah's Apostle (ﷺ) said: "The sun and the moon are two signs amongst the signs of Allah and they do not eclipse because of the death of someone but Allah frightens His devotees with them."


Ravi Hazrat Abu Bakra (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand Allah ki ayaat mein se do (2) nishaniya’n hain. Ye dono kisi ki maut ki wajah se be-noor nahi hote, balkey Allah Ta’ala unke zariye se apne bando’n ko daraata hai”.

Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Abdul Waris, Shoba, Khalid bin Abdullah aur Hammad bin Salama ne Yunus se ye alfaaz zikr nahi kiye: “Unke zariye se Allah Ta’ala apne bando’n ko daraata hai”.
Ash-at ne Hasan se mazkoora alfaaz bayan na karne mein Yunus ki mataaba-at ki hai. Moosa ne Mubarak ke waaste se mazkoora alfaaz bayan karne mein Yunus ki mataaba-at ki hai. Wo (Mubarak) Hasan Basri se bayan karte hain, unho’n ne kaha: Mujhe Abu Bakrah ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya: Aap ne farmaya: “Unke zariye se Allah Ta’ala apne bando’n ko daraata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1048

 : Book 16, Hadith 9





Baab 7: Grahan Ke Waqt Azaab-e-Qabr Se Panaah Maangna






Narrated 'Amra bint 'AbdurRahman:

A Jewess came to ask 'Aisha (the wife of the Prophet (ﷺ)) about something. She said to her, "May Allah give you a refuge from the punishment of the grave." So 'Aisha ' asked Allah's Apostle (ﷺ) "Would the people be punished in their graves?" 
Allah's Apostle (ﷺ) after seeking refuge with Allah from the punishment of the grave (and thus replied in the affirmative). 


Ravi Amra bint 'AbdurRahman:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas ek yahoodi aurat kuch maangne ke liye haazir hui aur usne dua di ke Allah Ta’ala aapko azab-e-qabr se panaah de. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasool Allah (ﷺ) se dariyaaft kiya: Aaya logo’n ko qabro’n mein azaab diya jaaega? 
Us par Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Maine azaab-e-qabr se Allah ki panaah talab karta hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1049

 : Book 16, Hadith 10
 
: Also see Hadith No. 
1055, 6366 




Narrated 'Amra bint 'AbdurRahman:

Then one day, Allah's Apostle (ﷺ) rode to go to some place but the sun eclipsed. He returned in the forenoon, passed through the rear of the dwellings (of his wives), stood for the (eclipse) prayer, and the people stood behind him. He stood up for a long period and then performed a prolonged bowing shorter than the first bowing.
Then he raised his head and prostrated. Then he stood up (for the second Raka) for a long while but the standing was shorter than that of the first Raka. Then he performed a prolonged bowing which was shorter than the first one. Then he raised his head and prostrated. Then he stood up for a long time but shorter than the first. Then he performed a prolonged bowing but shorter than the first. Then he raised his head and prostrated and finished the prayer and (then delivered the sermon and) said as much as Allah wished. And then he ordered the people to seek refuge with Allah from the punishment of the grave.


Ravi Amra bint 'AbdurRahman:

Phir Rasool Allah (ﷺ) ek (1) roz subah ke waqt kahee’n jaane ke liye sawaari par sawaar hue to sooraj ko grahan lag gaya. Rasool Allah (ﷺ) ne chaasht ke waqt waapas tashreef laae aur aap ka guzar azwaaj-e-mutahharaat ke hujro’n ke darmiyan se hua. Uske baad aap ne khade ho kar namaz padhna shuroo kardi, aur log bhi aap ke peeche khade ho gae. Aap ne taweel qiyaam farmaya, phir taweel rukoo kiya, uske baad rukoo se uth kar taweel qiyaam kiya jo pehle se qadre kam tha. Phir taweel rukoo kiya jo pehle rukoo se kuch kam tha. Uske baad rukoo se apna sar uthaaya aur sajda kiya, phir taweel qiyaam kiya jo pehle qiyaam se kam tha. Uske baad aap ne taweel rukoo kiya jo pehle rukoo se kam tha, phir rukoo se apna sar uthaaya aur sajda kiya, phir uske baad taweel qiyaam farmaya jo pehle se kam tha. Phir taweel rukoo kiya jo pehle rukoo se kuch kam tha. Baad azaan rukoo se uthe aur sajda farmaya, phir namaz se faraaghat ke baad jo kuch Allah ne chaaha usey bayan kiya, phir logo’n ko hukum diya ke wo azab-e-qabr se panaah maange’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1050

 : Book 16, Hadith 11





Baab 8: Namaz-e-Kusoof Mein Lamba Sajda Karna






Narrated 'Abdullah bin 'Amr

When the sun eclipsed in the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) and an announcement was made that the prayer was to be held in congregation. The Prophet (ﷺ) performed two bowing in one Raka. Then he stood up and performed two bowing in one Raka. Then he sat down and finished the prayer; and by then the (eclipse) had cleared 'Aisha said, "I had never performed such a long prostration."


Ravi Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein sooraj grahan hua to “الصلاة جامعة ” As Salah Jaamiah ka elaan kiya gaya. Nabi (ﷺ) ne us mein namaz mein ek (1) rakat ke andar do (2) rukoo kiye, phir aap khade hue to doosri rakat mein bhi do (2) rukoo kiye. Uske baad aap tasshahud mein baithe, yahaa’n tak ke sooraj saaf ho gaya. Raawi-e-hadees (Hazrat Abdullah bin Amr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) kehte hain ke Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Maine kabhi bhi usse ziyaada lamba sajda nahi kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1051

 : Book 16, Hadith 12





Baab 9: Grahan Ki Namaz Ba-jamaat Adaa Karna






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne zamzam ke chabootre par logo’n ko namaz-e-kusoof padhai. Hazrat Ali bin Abdullah bin Abbas ne bhi logo’n ke liye namaz ba-jamat ka ehtemaam kiya aur Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bhi namaz-e-kusoof padhi.




Narrated 'Abdullah bin Abbas:

The sun eclipsed in the lifetime of the Prophet (ﷺ). Allah's Apostle (ﷺ) offered the eclipse prayer and stood for a long period equal to the period in which one could recite Surat-al-Baqara. Then he bowed for a long time and then stood up for a long period which was shorter than that of the first standing, then bowed again for a long time but for a shorter period than the first; then he prostrated twice and then stood up for a long period which was shorter than that of the first standing; then he bowed for a long time which was shorter than the previous one, and then he raised his head and stood up for a long period which was shorter than the first standing. He bowed for a long time which was shorter than the first bowing, and then prostrated (twice) and finished the prayer. By then, the sun (eclipse) had cleared. 
The Prophet (ﷺ) then said, "The sun and the moon are two of the signs of Allah. They eclipse neither because of the death of somebody nor because of his life (i.e. birth). So when you see them, remember Allah." 
The people say, "O Allah's Apostle (ﷺ)! We saw you taking something from your place and then we saw you retreating." 
The Prophet (ﷺ) replied, "I saw Paradise and stretched my hands towards a bunch (of its fruits) and had I taken it, you would have eaten from it as long as the world remains. I also saw the Hell-fire and I had never seen such a horrible sight. I saw that most of the inhabitants were women." 
The people asked, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Why is it so?"
The Prophet (ﷺ) replied, "Because of their ungratefulness." 
It was asked whether they are ungrateful to Allah. 
The Prophet (ﷺ) said, "They are ungrateful to their companions of life (husbands) and ungrateful to good deeds. If you are benevolent to one of them throughout your life and if she sees anything (undesirable) in you, she will say, 'I have never had any good from you.' "


Ravi Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein jab sooraj be-noor hua to Rasool Allah (ﷺ) ne namaz padhai. Aap ka qiyaam Surah Baqara ki qirat ki tarah taweel tha. Phir aap ne taweel rukoo kiya. Uske baad sar uthaaya to phir der tak qiyaam kiya, lekin aap ka ye qiyaam pehle qiyam se qadre kam tha. Phir aap ne taweel rukoo kiya jo pehle rukoo se kuch kam tha. Phir aap ne sajda farmaya. Baad azaa’n ek (1) taweel qiyaam kiya jo pehle qiyaam se qadre kam tha, phir taweel rukoo kiya jo pehle se qadre mukhtasar tha, uske baad sar uthakar taweel qiyaam farmaya jo pehle qiyam se qadre thoda tha. Phir lamba rukoo kiya jo pehle se kam tha, uske baad aap ne sajda farmaya. Aap namaz se faarigh hue to sooraj raushnat ho chuka tha. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand Allah ki nishaniyo’n mein seo do (2) nishaniya’n hain. Ye dono kisi ki maut-o-hayaat ki wajah se be-noor nahi hote. Jab tum is qism ka haadsa dekho to Allah ko yaad karo”. 
Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Allah ke Rasool! Ham ne aapko dekha ke aap ne apni jagah khade-khade koi cheez haath mein li, phir ham ne aapko peeche hathte hue bhi dekha? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Maine janant ko dekha aur ek khosha-e-angoor ki taraf haath badhaya tha, agar main usey tod leta to tum rehti duniya tak usey khaate. Uske baad mujhe jahannum dikhai gi (gai). Maine aaj tak usse ziyada bhayanak manzar nahi dekha. Maine ahle dozakh mein ziyada-tar aurto’n ki taadaad dekhi”. 
Logo’n ne arz kiya: Allah ke Rasool! Uski kya wajah hai? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Uski wajah unki naa-shukri hai”. 
Arz kiya gaya: Aaya wo Allah ki naashukri karti hain? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “(Nahi balke) Wo apne khaawind ki naashukri karti hain aur unka ehsaan nahi maantee’n. Agar tum kisi aurat ke saath tamaam umr ehsan karo, phir kabhi tumhari taraf se koi na-khushgawar baat dekhe to fauran keh degi ke maine tujhse kabhi koi bhalai dekhi hi nahi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1052

 : Book 16, Hadith 13





Baab 10: Grahan Ke Waqt Aurto’n Ka Mardo’n Ke saath Namaz Padhna







Narrated Fatima bint Al-Mundhir:

Asma' bint Al Bakr said, "I came to 'Aisha the wife of the Prophet (ﷺ) (ﷺ) during the solar eclipse. The people were standing and offering prayer and she was also praying too. I asked her, 'What has happened to the people?' 
She pointed out with her hand towards the sky and said, 'Subhan-Allah'. 
I said, 'Is there a sign?' 
She pointed out in the affirmative." 
Asma' further said, "I too then stood up for the prayer till I fainted and then poured water on my head. When Allah's Apostle (ﷺ) had finished his prayer, he thanked and praised Allah and said, 'I have seen at this place of mine what I have never seen even Paradise and Hell. No doubt, it has been inspiring to me that you will be put to trial in the graves like or nearly like the trial of (Masih) Ad-Dajjal. (I do not know which one of the two Asma' said.) (The angels) will come to every one of you and will ask what you know about this man (i.e. Muhammad). The believer or a firm believer (I do not know which word Asma' said) will reply, 'He is Muhammad, Allah's Apostle (ﷺ) who came to us with clear evidence and guidance, so we accepted his teachings, believed and followed him.' The angels will then say to him, 'Sleep peacefully as we knew surely that you were a firm believer.' The hypocrite or doubtful person (I do not know which word Asma' said) will say, 'I do not know. I heard the people saying something so I said it (the same).' "


Ravi Hazrat Fatima bint Munzir:

Hazrat Asma bint Abi Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Jab sooraj ko grahan laga to main Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke ghar aai. Maine dekha ke log kahde namaz padh rahe the aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) bhi khadi namaz padh rahi thee’n. 
Maine poocha: Logo’n ko kya haalat dar-pesh hai? 
Unho’n ne apne haath se aasmaan ki taraf isaahra karte hue SubhaAllah kaha. 
Maine kaha: Allah ki taraf se koi nishaani hai? 
Unho’n ne ishare se haa’n mein jawaab diya. 
Hazrat Asma farmati hain: Main bhi namaz ke liye khadi ho gai, hatta ke (taweel qiyaam ki wajah se) mujhe chakkar aaney lagey, to maine apne sar par paani daalna shuru kar diya. Jab Rasool Allah (ﷺ) namaz se faarigh hue to aap ne Allah ki ham do sana ke baad farmaya: “Koi cheez aisee nahi jise maine pehle na dekha ho, magar maine usey is muqaam par kahde dekh liya hai. Hatta ke jannat aur dozakh ka bhi mushaahada kar liya hai. Meri taraf wahee bheji gai hai ke tum log fitna-e-dajjaal ki taraha yaa uske qareeb-qabreeb qabro’n mein imtehan se do-chaar hoge”. 
Hazrat Fatima bint Munzir kehti hain: Main nahi jaanti ke Asma ne misl ya qareeb mein se kaunsa lafz kaha… Tum mein se kisi ko laaya jaaega aur usse poocha jaaega: Us shaksh ke mutaalliq tum kya jaante ho?
Iman ya yaqeen waala …Fatima kehti hain: Mujhe maaloom nahi ke Asma ne Momin yaa Muqin mein se kaunsa lafz kaha… Wo kahega: Ye Muhammad-ur-Rasool Allah (ﷺ) hain, jinho’n ne hamaare saamne saheeh raasta aur uske dalaael pesh kiye. Ham ne unki daawat ko qubool kiya aur imaan le aae aur unki pairwee ki. Usse kaha jaaega: Tu araam aur sukoon se soga. Hame’n to pehle hi maaloom tha ke tu imaan-o-yaqeen waala hai. Lekin munaafiq yaa shak karne waala …Hazrat Fatima kehti hain ke main nahi jaanti ke Asma ne munaafiq yaa murtaab* mein se kaunsa lafz kaha… kahega: Maine unke mutaalliq kuch nahi jaanta. Maine logo’n se suna wo kuch baat kehte the to main bhi wohi kehne laga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1053

 : Book 16, Hadith 14
 
*Shak karne waala, shak-o-shubha mein mubtalaa, shakki mizaaj





Baab 11: Jis Ne Grahan Ke Waqt Ghulam Aazaad Karne Ko Ek (1) Behtareen Amal Khayaal Kiya







Narrated Asma:

No doubt the Prophet (ﷺ) ordered people to manumit slaves during the solar eclipse.


Ravi Hazrat Asma bint Abi Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne sooraj grahan ke waqt ghulam aazaad karne ka hukum farmaya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1054

 : Book 16, Hadith 15





Baab 12: Namaz-e-Kusoof Masjid Mein Adaa Karna






Narrated 'Amra bint 'AbdurRahman:

A Jewess came to 'Aisha to ask her about something and then she said, "May Allah give you a refuge from the punishment of the grave." 
So 'Aisha asked Allah's Apostle (ﷺ), "Would the people be punished in their graves?" 
Allah's Apostle (ﷺ) asked for Allah's refuge from the punishment of the grave (indicating an affirmative reply). 


Ravi Amra bint 'AbdurRahman:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai ke ek (1) yahoodi aurat unse kuch maangne aai aur kaha: Allah Ta’ala aapko azab-e-qabr se mehfooz rakhe. 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasool Allah (ﷺ) se dariyaaft kiya: Aaya logo’n ko unki qabro’n mein azab hoga? 
To aap ne farmaya: “Main khud azab-e-qabr se Allah ki panaah chahta hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1055

 : Book 16, Hadith 16
 
: Also see Hadith No. 1049 




Narrated 'Amra bint 'AbdurRahman:

Then one day Allah's Apostle (ﷺ) rode (to leave for some place) but the sun eclipsed. He returned on the forenoon and passed through the rear of the dwellings (of his wives) and stood up and started offering the (eclipse) prayer and the people stood behind him. He stood for a long period and then performed a long bowing and then stood straight for a long period which was shorter than that of the first standing. He performed a prolonged bowing which was shorter than the first bowing, and then he raised his head and prostrated for a long time and then stood up (for the second Raka) for a long while, but the standing was shorter than the standing of the first Raka. Then he performed a prolonged bowing which was shorter than that of the first one. He then stood up for a long time but shorter than the first, then again performed a long bowing shorter than the first and then prostrated for a shorter while than that of the first prostration. Then he finished the prayer and delivered the sermon and) said what Allah wished, and ordered the people to seek refuge with Allah from the punishment of the grave.


Ravi Amra bint 'AbdurRahman:

Phir ek din Rasool Allah (ﷺ) subah sawere (kahee’n jaane ke liye) sawaari par sawaar hue, jabke sooraj ko grahan lag chuka tha, chunache chasht ke waqt waapas tashreef le aae, aur hujro’n ke darmiyan se guzarte hue (masjid mein gae) aur khade ho kar namaz shuru kardi. Log bhi aap ke peeche khade ho gae, 
Aap ne lamba qiyaam kiya, 
phir lamba rukoo kiya, 
uske baad sar uthakar qiyaam kiya jo pehle qiyaam se kam tha. 
Phir lamba rukoo kiya jo pehle rukoo se kam tha. 
Uske baad sar uthaya aur lamba sajda kiya. 
Phir aap khade hue aur lamba qiyaam kiya jo pehle qiyaam se kam tha, 
phir lamba rukoo kiya jo pehle rukoo se kam tha, 
phir lamba qiyaam farmaya jo pehle qiyaam se kam tha, 
phir lamba rukoo kiya jo pehle rukoo se kam tha, 
uske baad sajda kiya jo pehle sajdo’n se kam tha. 
Phir namaz se faarigh hue to Rasool Allah (ﷺ) ne wo kuch farmaya jo Allah ne chaaha, uske baad aap ne logo’n ko hukum diya ke wo azaab-e-qabr se panaah maange’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1056

 : Book 16, Hadith 17



Baab 13: Kisi Ki Maut-o-Hayaat Ke Baais Sooraj Ko Grahan Nahi Lagta







Is hadees ko Hazrat Abu Bakrah, Hazrat Mugheera bin Shoba, Hazrat Abu Moosa Ashari, Hazrat Ibne Abbas aur Hazrat Ibne Umar (رضي الله عنهم) ne bayan kiya hai.




Narrated Abu Masud:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "The sun and the moon do not eclipse because of someone's death or life but they are two signs amongst the signs of Allah, so pray whenever you see them."


Ravi Hazrat Abu Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand kisi ki maut to hayaat ke baais be-noor nahi hote, balke ye dono Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Jab tum unhe’n dekho to namaz padho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1057

 : Book 16, Hadith 18




Narrated 'Aisha:

In the lifetime of the Prophet (ﷺ) the sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) (ﷺ) stood up to offer the prayer to the people and recited a long recitation, then he performed a prolonged bowing, and then lifted his head and recited a prolonged recitation which was shorter than the first. Then he performed a prolonged bowing which was shorter than the first and then lifted his head and performed two prostrations. He then stood up for the second Raka and offered it like the first. Then he stood up and said, "The sun and the moon do not eclipse because of someone's life or death but they are two signs amongst the signs of Allah which He shows to His worshipers. So whenever you see them, make haste for the prayer."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):


Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein sooraj grahan hua to Nabi (ﷺ) logo’n ko namaz padhane ke liye khade hue, chunache aap ne qiyaam mein taweel qirat ki, phir lamba rukoo farmaya. Uske baad jab apna sar uthaaya to qiyaam mein phir lambi qirat ki, jo pehli qirat se qadre kam thi. Uske baad aap ne rukoo kiya jo pehle rukoo se kuch mukhtasar tha, phir apna sar-e-mubarak uthaya aur do (2) sajde kiye. Phir khade hue to doosri rakat mein bhi isi tarah kiya. 
Uske baad khade ho kar farmaya: “Ye sooraj aur chaand kisi ki maut-o-hayaat ke baais be-noor nahi hote, balke ye Allah ki nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain, jo Allah Ta’ala apne bando’n ko dikhata hai, jab tum is qism ka haadsa dekho to jaldi namaz ki taraf aajizi karte hue aao”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1058

 : Book 16, Hadith 19





Baab 14: Kusoof Mein Zikr Karna






Is (mazmoon ki) riwayat ko Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bayan kiya hai.


Narrated Abu Musa:

The sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid of them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."


Ravi Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) dafa aaftaab grahan hua to Nabi (ﷺ) khaufzada ho kar khade ho gae. Aap ghabraae ke shayad qiyamat aagai. Phir aap masjid mein tashreef laae aur itne taweel qiyaam, rukoo aur sujood ke saath namaz padhai ke utni taweel namaz padhate maine aapko kabhi nahi dekha tha. Phir aap ne farmaya: “Ye nishaniya’n hain jo Allah Ta’ala apne bando’n ko daraane ke liye bhejta hai, ye kisi ke marne jeene ki wajah se zuhoor pazeer nahi hotee’n, lehaaza jab tum aisa dekho to zikr-e-ilaahi ki taraf tawajjo karo, nez dua aur istighfaar bhi khoob karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1059

 : Book 16, Hadith 20





Baab 15: Grahan Ke Waqt Dua Karna






Is (haqeeqat) ko Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya hai.


Narrated Al-Mughira bin Shu'ba:

On the day of Ibrahim's death, the sun eclipsed and the people said that the eclipse was due to the death of Ibrahim (the son of the Prophet (ﷺ)). Allah's Apostle (ﷺ) said, "The sun and the moon are two signs amongst the signs of Allah. They do not eclipse because of someone's death or life. So when you see them, invoke Allah and pray till the eclipse is clear."


Ravi Hazrat Mugheera bin Shu’ba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki wafat ke din jab sooraj ko grahan lagaa to logo’n ne mash-hoor kar diya ke Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki wafaat ki wajah se sooraj ko grahan laga hai. 
Tab Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Sooraj aur chaand Allah Ta’ala ki ayaat mein se do (2) nishaniya’n hain. Unhe’n kisi ki maut-o-hayaat ki wajah se grahan nahi lagta. Jab tum unhe’n is haadse se do-chaar dekho to Allah Ta’ala se dua maango aur namaz padho, yahaa’n tak ke ye raushan ho jaae’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1060

 : Book 16, Hadith 21 





Baab 16: Grahan Ke Dauran Khutbe Mein Imam Ka "أَمَّا بَعْدُ"Amma Ba’ad Kehna







Narrated Asma: 

"Allah's Messenger (ﷺ) finished the eclipse prayer and by then the sun (eclipse) had cleared. Then he delivered the Khutba (religious talk) and praised Allah as He deserved and then said Amma ba'du."


Ravi Hazrat Asma bint Abi Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) jab namaz-e-kusoof se faarigh hue to sooraj raushan ho chuka tha. Aap ne khutba diya, us mein Allah Ta’ala ki shayaan-e-shaan hamd-o-Sanaa bayan ki, phir farmaya: “أما بعد ” “Amma Ba’ad”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1061

 : Book 16, Hadith 22





Baab 17: Chaand Grahan Ke Waqt Namaz Padhna






Narrated Abu Bakra:

In the lifetime of the Prophet (ﷺ) the sun eclipsed and then he offered a two Rakat prayer.


Ravi Hazrat Abu Bakra (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein sooraj grahan hua to aap ne do (2) rakate’n padhaee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1062

 : Book 16, Hadith 23



Narrated Abu Bakra:

In the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) the sun eclipsed and he went out dragging his clothes till he reached the Mosque. The people gathered around him and he led them and offered two Rakat. When the sun (eclipse) cleared, he said, "The sun and the moon are two signs amongst the signs of Allah; they do not eclipse because of the death of someone, and so when an eclipse occurs, pray and invoke Allah till the eclipse is over." It happened that a son of the Prophet (ﷺ) called Ibrahim died on that day and the people were talking about that (saying that the eclipse was caused by his death).


Ravi Hazrat Abu Bakra (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ki hayaat-e-tayyaba mein sooraj grahan hua to aap apni chadar ko ghaseet-te hue baahar tashreef laae, yahaa’n tak ke masjid mein pohonch gae. Log aapke paas jamaa ho gae. Aap ne unhe’n do (2) rakate’n padhaaee’n. 
Jab sooraj raushan ho gaya to aap ne farmaya: “Sooraj aur chaand Allah ki (azmat ki) nishaniyo’n mein se do (2) nishaniya’n hain. Ye kisi ke marne ki binaa par be-noor nahi hote. Jab aisa ho to namaz padho aur Allah se dua karo, hatta ke grahan khatam ho jaae”. 
Choo’nke Nabi (ﷺ) ke lakht-e-jigar Syedna Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka inteqal hua tha, jiski binaa par logo’n ne che-megoiyaa’n (Gapshap karna) karna shuroo kardi thee’n. Is liye aap ne uski wazaahat farmaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1063

 : Book 16, Hadith 24





Baab 18: Namaz-e-Kusoof Mein Pehle Rukoo Ka Taweel Hona







Narrated Aisha:

The Prophet (ﷺ) led us and performed four bowing in two Rakat during the solar eclipse and the first Raka was longer.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne sooraj grahan ke waqt logo’n ko do (2) rakate’n padhaee’n, jin mein chaar (4) rukoo the. Har pehla rukoo doosre se taweel-tar tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1064

 : Book 16, Hadith 25





Baab 19: Namaz-e-Kusoof Mein Ba-awaaz-e-Buland Qirat Karna







Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) recited (the Quran) aloud during the eclipse prayer and when he had finished the eclipse prayer he said the Takbir and bowed. When he stood straight from bowing he would say "Sami 'al-l-ahu Lyman hamidah Rabbana walaka-l-hamd." And he would again start reciting. In the eclipse prayer, there are four bowing and four prostrations in two Rakat. 


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne namaz-e-khusoof mein ba-awaaz-e-buland qirat farmaai. Jab qirat se faarigh hue to Allahu Akbar kaha aur rukoo kiya. Phir jab rukoo se apna sar uthaaya to Sami Allahu Liman Hamidahu Rabbanaa Walakal Hamdu “سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ” kaha. Phir aap ne dobaara qirat ka aghaz farmaya. Aap ne namaz-e-kusoof mein do (2) rakat mein chaar (4) rukoo aur chaar (4) sajde kiye.



Reference : Sahih al-Bukhari 1065

 : Book 16, Hadith 26


Narrated 'Aisha:

Al-Auza'i and others said that they had heard Az-Zuhi from 'Ursa from 'Aisha saying, "In the life-time of Allah's Apostle (ﷺ) the sun eclipsed, and he made a person to announce: 'Prayer in congregation.' He led the prayer and performed four bowing and four prostrations in two Rakat." 
Narrated Al-Walid that 'Abdur-Rahman bin Namir had informed him that he had heard the same. Ibn Shihab heard the same.
Az-Zuhrl said, "I asked ('Ursa), 'What did your brother 'Abdullah bin AzZubair do? 
He prayed two Rakat (of the eclipse prayer) like the morning prayer when he offered the (eclipse) prayer in Median.'
'Ursa replied that he had missed (i.e. did not pray according to) the Prophet
's (ﷺ) tradition." Sulaiman bin Kathir and Sufyan bin Husain narrated from Az-Zuhri that the prayer for the eclipse used to be offered with loud recitation.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein sooraj grahan hua to aap ne ek (1) munaadi* karne waale ko taenaat kiya jo “الصَّلاَةُ جَامِعَةٌ” ka elaan karta tha. Chunache Rasool Allah (ﷺ) aagey badhe aur do (2) rakat chaar (4) rukoo aur chaar (4) sajde kiye. Waleed kehte hain: Abdur Rahman bin Nimr ne mujhe bataya ke unho’n ne Imam Zohri se isi tarah suna hai.
Imam Zohri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Maine Hazrat Urwah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: Aap ke bhai Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne to aisa nahi kiya tha. Unho’n ne jab madina taiyyaba mein grahan ke mauqa par namaz padhi to subah ki namaz ki tarah sirf do (2) rakat hi adaa ki thi. Unho’n ne kaha: Haa’n, lekin unse sunnat mein khata sarzad ho gai.
Sulaiman bin Kaseer aur Sufyan mein Hussain ne Imam Zohri se jehri qirat ke silsile mein Ibne Nimr ki mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1066

 : Book 16, Hadith 27
 
*Elaan-e-aam ke liye is tarah aawaaz lagaane waala ke sab sun le’n







PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT