SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

15: Abwaab-ul-Istisqa
(Baarish Ki Dua Aur Namaz-e-Istisqa Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Invoking Allah for Rain (Istisqaa)/كتاب الاستسقاء]
[1005 To 1039]



Baab 1: Baarish Ki Dua Karna Aur Uske Liye Nabi (ﷺ) Ka Baahar Tashreef Le Jaana







Narrated 'Abbas bin Tamim's uncle:

The Prophet (ﷺ) went out to offer the Istisqa' prayer and turned (and put on) his cloak inside out.


Ravi Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) barish ki dua ke liye baahar tashreef le gae aur waha’n jaakar apni chaadar ko palta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1005

 : Book 15, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
1011, 1012, 1023, 1024, 1025, 1026, 1027, 1028, 6343 





Baab 2: Nabi (ﷺ) Ki Bad-dua Ke (mushrikeen par) Aisee Qahet-saali Daal Jaisee Hazrat Yusuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Ke Zamane Mein Thi








Narrated Abu Huraira;

Whenever the Prophet (ﷺ) lifted his head from the bowing in the last Raka he used to say: "O Allah! Save 'Aiyash bin Abi Rabi'a. O Allah! Save Salama bin Hisham. O Allah! Save Walid bin Walid. O, Allah! Save the weak faithful believers. O, Allah! Be hard on the tribes of Mudar and send (famine) years on them like the famine years of (Prophet (ﷺ)) Joseph ." 
The Prophet (ﷺ) further said, "Allah forgive the tribes of Ghifar and save the tribes of Aslam." Abu Az-Zinad (a sub-narrator) said, "The Qunut used to be recited by the Prophet (ﷺ) in the Fajr prayer."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab aakhri rakat (ke ruko) se apna sar uthaate to dua karte: “Allah! Ayyash bin Abi Rabeea ko najaat de. Allah! Salama bin Hisham ko najaat de. Allah! Waleed bin Waleed ko najaat de. Aye Allah! Bebas aur naa-tawaa’n ahle iman ko najaat de. Aye Allah! Qabila-e-muzar par apni giraft sakht farma. Allah! Un par aisee qahet-saali daal jaisee Hazrat Yusuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke zamaane mein thi”. Aur Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Qabila-e-ghaffar ko A ne bakhsh diya aur qabila-e-aslam ko Allah Ta’ala ne salaamat rakha”.
Raawi-e-ahadees Abu Zanaada apne baap se bayan karte hue farmate hain ke mazkoora duaae’n subah ki namaz mein thee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1006

 : Book 15, Hadith 2




Narrated Masruq:

We were with 'Abdullah and he said, "When the Prophet (ﷺ) saw the refusal of the people to accept Islam he said, "O Allah! Send (famine) years on them for (seven years) like the seven years (of famine during the time) of (Prophet (ﷺ)) Joseph." So famine overtook them for one year and destroyed every kind of life to such an extent that the people started eating hides, carcasses and rotten dead animals.
Whenever one of them looked towards the sky, he would (imagine himself to) see smoke because of hunger. So Abu Sufyan went to the Prophet (ﷺ) and said, "O Muhammad! You order people to obey Allah and to keep good relations with kith and kin. No doubt the people of your tribe are dying, so please pray to Allah for them." So Allah revealed: 

"Then watch you For the day that The sky will bring forth a kind Of smoke Plainly visible ... Verily! You will return (to disbelief) On the day when We shall seize You with a mighty grasp. (Quran 44.10-16) 
Ibn Masud added, "Al-Batsha (i.e. grasp) happened in the battle of Badr and no doubt smoke, Al-Batsha, Al-Lizam, and the verse of Surat Ar-Rum have all passed .


Ravi Masruq:

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke jab Nabi (ﷺ) ne logo’n ki islam se sartaabi* dekhi to bad-dua ki: “Aye Allah unhe’n saat (7) baras tak qahet-saali mein mubtalaa karde, jaisa ke Hazrat Yusuf (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke zamane mein qahet pada tha”.
Chunache qahet ne unhe’n aisa dabocha ke har cheez neesth-o-naabood ho gai. yahaa’n tak ke logo’n ne chamde, murdaar aur galey, sadey jaanwar khane shuru kar diye aur un mein se agar koi aasmaan ki taraf dekhta to bhook ki wajah se usey dhuwaa’n sa dikhaai deta. Aakhir Abu Sufiyan ne aakar aap ki khidmat mein arz ki: Aye Muhammad! Aap Allah ki itaa-at aur aqraba-parwari ka hukum dete hain, aap ki qaum mari jaa rahi hai, aap unke liye Allah se dua farmae’n. Us par Allah Ta’ala ne farmaya:

فَارْتَقِبْ يَوْمَ تَأْتِي السَّمَاءُ بِدُخَانٍ مُبِينٍ‏ se ‏عَائِدُونَ يَوْمَ نَبْطِشُ الْبَطْشَةَ الْكُبْرَى‏

“Aye Nabi! Us Din Ka Intezaar Karo Jab Asmaan Se Ek (1) Saaf Dhuaa’n Zaahir Hoga” is farmaan-e-Ilaahi tak: “Jab Ham Unhe’n Sakhti Se Padke’nge” [Surah ad Dukhan 44: 10-16]

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) keht ehain: “البطشة ” Al Batshah yaane sakht pakad badr ke sin hui. Quran-e-Majeed mein jis dhue’n, pakad aur qaid ka zikr hai, usi tarah aayat-e-rome ka misdaaq, sab waaqe ho chuke hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1007

 : Book 15, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 
1020, 4693, 4767, 4774, 4809, 4820, 4821, 4822, 4823, 4824, 4825
 : *Sarkashi, naa-farmaani, hukum-udooli, baghaawat, inheraaf 





Baab 3: Qahet Ke Zamaane Mein Logo’n Ka Imam Se Baraan-e-Rahmat Ke Liye Dua Ki Appeal Karna







Narrated 'Abdullah bin Dinar:

My father said, "I heard Ibn 'Umar reciting the poetic verses of Abu Talib: And a white (person) (i.e. the Prophet (ﷺ)) who is requested to pray for rain and who takes care of the orphans and is the guardian of widows." 


Ravi Abdullah bin Dinar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) (aksar) janab Abu Taalib ka sher padha karte the: “Wo gorey mukhde waala, jiske rukh-e-zeba ke waaste se abr-e-rahmat ki duaae’n maangi jaati hain. Wo yateemo’n ka sahaara, bewaao’n aur miskeeno’n ka sarparast hai”



Reference : Sahih al-Bukhari 1008

 : Book 15, Hadith 4
 
: Also see Hadith No. 1009
 




Narrated 'Abdullah bin Dinar:

Salim's father (Ibn 'Umar) said, "The following poetic verse occurred to my mind while I was looking at the face of the Prophet (ﷺ) (ﷺ) while he was praying for rain. He did not get down till the rain water flowed profusely from every roof-g utter: And a white (person) who is requested to pray for rain and who takes care of the orphans and is the guardian of widows . . . And these were the words of Abu Talib."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab main Nabi (ﷺ) ke chehra-e-anwar ko dua-e-istisqa karte waqt dekhta hoo’n to aksar mujhe shaaer (Abu Talib) ka sher yaad aajaata hai. Aap mimbar se na utar paate the ke tamaam parnaale tezi se behne lagte. Wo sher ye hai: “Wo gorey mukhde waala, jiske rukh-e-zeba ke waaste se abr-e-rahmat ki duaae’n maangi jaati hain. Wo yateemo’n ka sahaara, bewaao’n aur miskeeno’n ka sarparast hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1009

 : Book 15, Hadith 5




Narrated Anas:

Whenever drought threatened them, 'Umar bin Al-Khattab, used to ask Al-Abbas bin 'Abdul Muttalib to invoke Allah for rain. He used to say, "O Allah! We used to ask our Prophet (ﷺ) to invoke You for rain, and You would bless us with rain, and now we ask his uncle to invoke You for rain. O, Allah! Bless us with rain."(1) And so it would rain.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki ye aadat thi ke jab log qahet-saali mein mubtalaa hote to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dua-e-istisqa ki appeal karte aur Allah ke huzoor you’n dua karte: “Aye Allah! Pehle ham apne Nabi (ﷺ) se dua-e-istisqa ki appeal kiya karte the, to (unki dua ke nateeje mein) tu baarish barsaa deta tha. Ab ham tere Nabi ke chacha (ki dua) ke zariye se baarish ki iltija karte hain, tu (ab bhi rahem farmakar) baarish barsaa de”. Raawi kehta hai ke phir baarish barasne lagti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1010

 : Book 15, Hadith 6
 
: Also see Hadith No. 3710
 





Baab 4: Baaraan-e-Rahmat Talab Karte Waqt Chaadar Palatna







Narrated 'Abdullah bin Zaid:

The Prophet (ﷺ) turned his cloak inside out on Istisqa.


Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne baarish ke liye dua ki aur apni chaadar ulta di.



Reference : Sahih al-Bukhari 1011

 : Book 15, Hadith 7




Narrated 'Abdullah bin Zaid

The Prophet (ﷺ) went towards the Musalla and invoked Allah for rain. He faced the Qibla and wore his cloak inside out, and offered two Rakat.


Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) eidgah ki taraf tashreef le gae aur baarish ke liye dua ki. Aap qibla-roo hue, apni chaadar palti, aur do (2) rakat adaa kee’n.

Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain: Shaikh Ibne Uyaynah kaha karte the ke mazkoora Abdullah bin Zaid saaheb-e-zaan hain. Lekin ye unka wahem hai, kyou’nke ye Abdullah bin Zaid Aasim Maazini hain, jo ansaar ke qabila-e-maazin se taalluq rakhte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1012

 : Book 15, Hadith 8





Baab 5: Jab Allah Ki Hurmato’n Ko Paamaal Kiya Jaae To Wo Qahet Ke Zariye Se Logo’n Ko Saza Deta Hai







Wazaahat: Is unwan ke tahat Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne koi hadees yaa asar bayan nahi kiya. Is unwan ke hasb-e-haal Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se marwi hadees hai ke jab Rasool Allah (ﷺ) ne logo’n ki taraf se deen-e-islam ke mutaalliq sartaabi dekhi to unke khilaaf bad-dua farmaai, phir wo log qahet mein mubtalaa hue.* Iska matlab ye hai ke Allah Ta’ala ke inteqaam ka koda us waqt harkat mein aata hai, jab uske ahkaam se sartaabi ki jaae, aur uski paabandiyo’n ki parwah na ki jaae. Hazrat Ibne Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki hadees mein jo qurani ayaat hain, un mein Allah ki taraf se inteqam ka poora zaabta bayan hua hai, jin ka tarjuma mundarja-zel hai: “Aap Us din Ka Intezar Kare’n Jab Asmaan Se Saaf Dhuaa’n Zaahir Hoga Jo Logo’n Par Chaa Jaaega. Ye Alamnaak** Azaab Hoga. Aye Hamaare Rabb! Ham Se Us Azaab Ko Door Karde, Ham Imaan Laaen Hain. Us Waqt Unhe’n Naseehat Kaha’n Kaargar*** Hogi, Halaa’nke Unke Paas Rasool-e-Mubeen Accha, Phir Unho’n Ne Usse Roo-gardaani**** Ki Aur Kehne Lagey: Ye To Sikhaya Padhaya Diwaana Hai. Ham Thodi Der Ke Liye Azaab Hata De’nge, Magar Tum Phir Wohi Karoge Jo Pehle Karte Rahe, Phir Jis Din Ham Sakht Giraft Kare’nge To Phir Inteqam Lekar Rahe’nge”. [Surah ad Dukhaan 44: 10-16]

* Saheeh Bukhari: Al Istisqa: H1007
**Ranj-o-gham se bharaa hua, ghamnaak
*** Muassar, mufeed, faaeda-mand
**** Mukhaalifat, inheraaf karna





Baab 6: Jaame Masjid Mein Baarish Ke Liye Dua Karna






Narrated Sharik bin 'Abdullah bin Abi Namir:

I heard Anas bin Malik saying, "On a Friday a person entered the main Mosque through the gate facing the pulpit while Allah's Apostle (ﷺ) was delivering the Khutba. The man stood in front of Allah's Apostle (ﷺ) and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock are dying and the roads are cut off; so please pray to Allah for rain.' " 
Anas added, "Allah's Apostle (ﷺ) raised both his hands and said, 'O Allah! Bless us with rain! O, Allah! Bless us with rain! O, Allah! Bless us with rain!' " 
Anas added, "By Allah, we could not see any trace of cloud in the sky and there was no building or a house between us and (the mountains of) Sila." Anas added, "A heavy cloud like a shield appeared from behind it (i.e. Sila' Mountain). When it came in the middle of the sky, it spread and then rained." Anas further said, "By Allah! We could not see the sun for a week. Next Friday a person entered through the same gate and at that time Allah's Apostle (ﷺ) was delivering the Friday's Khutba. The man stood in front of him and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock are dying and the roads are cut off, please pray to Allah to with-hold rain.' " Anas added, "Allah's Apostle (ﷺ) I raised both his hands and said, 'O Allah! Round about us and not on us. O, Allah! On the plateaus, on the mountains, on the hills, in the valleys and on the places where trees grow.' So the rain stopped and we came out walking in the sun." Sharik asked Anas whether it was the same person who had asked for the rain (the last Friday). Anas replied that he did not know.


Ravi Sharik bin 'Abdullah bin Abi Namir:

Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke ek (1) aadmi juma ke din masjid-e-nabawi mein us darwaze se daakhil hua, jo mimbar ke bilkul saamne tha. Jabke Rasool Allah (ﷺ) khade khutba de rahe the. Wo Rasool Allah (ﷺ) ke saamne khada ho kar arz karne laga: Allah ke Rasool! Maal-maweshi halaak ho gae aur raaste toot-phoot gae hain. Aap Allah se dua kare’n ke Allah ham par baarish barsaae. Rasool Allah (ﷺ) ne haath uthaa kar you’n dua farmaai: “Aye Allah! Ham par baarish barsa. Aye Allah! Ham par baarish naazil farma. Aye Allah! Hame’n baraan-e-rahmat ataa farma”. 
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke: Allah ki qasam! Hame’n door-door tak aasmaan par koi chota ya badaa baadal ka tukda nazar nahi aaraha tha, aur na hamaare aur sala’a* pahaad ke peeche se dhaal ki tarah ek (1) baadal numudaar hua. Jab wo aasmaan ke wast** mein aaya to idhar-udhar phail gaya. Phir wo barasne laga. Allah ki qasam! Ham ne hafta-bhar sooraj na dekha. Doosre juma ko phir usi darwaze se ek (1) aadmi masjid mein daakhil hua, jabke Rasool Allah (ﷺ) khade khutba de rahe the, usne aapke saamne aakar arz kiya: Allah ke Rasool! Maal talaf (Zaae, barbaad) ho gae aur raaste band ho gae hain. Allah se dua keejiye ke wo hamse baarish ko rok le. 
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke phir Rasool Allah (ﷺ) ne apne dono haath uthaa kar dua farmaai. “Aye Allah! Ab ye baarish hamaare ird-gird to ho, lekin ham par na barse. Aye Allah! Isey teelo’n, pahaado’n, maidaano’n, waadiyo’n aur baagho’n par barsa”. 
Raawi kehte hain ke baarish fauran band hogai aur ham dhoop mein chalne phirne lagey.

(Raawi-e-hadees) Shareek kehte hain ke maine Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Ye wohi pehla shakhs tha?
Unho’n ne farmaya: Mujhe maaloom nahi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1013

 : Book 15, Hadith 9
 
*Aaj-kal isey Sela pahaadi yaa jabl sela ke naam se pukaara jaata hai,
    Madina Munawwara mein waaqe hai
 : **Beech, darmiyaan, kisi cheez ke beech ka hissa, mutawassit
 



Baab 7: Khutba-e-Juma Mein Qibla-roo Hue Baghair Baarish Ki Dua Karna







Narrated Sharik:

Anas bin Malik said, "A person entered the Mosque on a Friday through the gate facing the Daril-Qada' and Allah's Apostle (ﷺ) was standing delivering the Khutba (sermon). The man stood in front of Allah's Apostle (ﷺ) and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ), livestock are dying and the roads are cut off; please pray to Allah for rain.' So Allah's Apostle (ﷺ) raised both his hands and said, 'O Allah! Bless us with rain. O, Allah! Bless us with rain. O, Allah! Bless us with rain!" Anas added, "By Allah, there were no clouds in the sky and there was no house or building between us and the mountain of Silas'. Then a big cloud like a shield appeared from behind it (i.e. Silas Mountain) and when it came into the middle of the sky, it spread and then rained. By Allah! We could not see the sun for a week. 
The next Friday, a person entered through the same gate and Allah's Apostle (ﷺ) was delivering the Friday Khutba and the man stood in front of him and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock are dying and the roads are cut off; Please pray to Allah to withhold rain.' " 
Anas added, "Allah's Apostle (ﷺ) raised both his hands and said, 'O Allah! Round about us and not on us. O, Allah!' On the plateaus, on the mountains, on the hills, in the valleys and on the places where trees grow.' " 
Anas added, "The rain stopped and we came out, walking in the sun." Sharik asked Anas whether it was the same person who had asked for rain the previous Friday. Anas replied that he did not know.


Ravi Sharik:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke ek (1) shakhs juma ke din masjid mein us darwaze se daakhil hua jo dar-e-qazaa ki taraf tha, jabke Rasool Allah (ﷺ) khade khutba de rahe the. Wo shakhs Rasool Allah (ﷺ) ke saamne khada ho kar arz karne laga: Allah ke Rasool! Maal-maweshi tabaah ho gae aur raaste toot-phot gae hain, Allah se dua keejiye ke wo ham par baarish barsaae. Rasool Allah (ﷺ) ne dono haath uthaae aur dua ki: “Aye Allah! Ham par baarish barsa. Aye Allah! Hame’n baaraan-e-rahmat ataa farma. Aye Allah! Ham par baarish barsa”. 
Hazrat Anas kehte hain: Allah ki qasam! Hame’n door-door tak koi baadal ka chota ya bada tukda nazar nahi aaraha tha, aur na hamaare aur sala’a pahaad ke darmiyan koi ghar ya haweli hi haael thi. Achanak sala’a pahaad ke peeche se dhaal ki tarah ek (1) chota sa baadal numudaar hua. Jab wo aasmaan ke darmiyan aaya to phail gaya, phir barasne laga. Allah ki qasam! Ham ne hafta-bhar sooraj na dekha. Phir agle juma ek (1) shakhs us darwaze se daakhil hua, jabke Rasool Allah (ﷺ) khade khutba de rahe the. Wo aapke saamne khada ho kar arz karne laga: Allah ke Rasool! Maal-maweshi halaak ho gae aur raaste toot-phoot gae, Allah se dua keejiye ke wo ham se baarish rok le. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke Rasool Allah (ﷺ) ne dono haath uthaae aur dua ki: “Aye Allah! Ab ye baarish hamaare ird-gird to ho, lekin ham par na barse. Aye Allah! Teelo’n, pahaado’n, waadiyo’n aur darakhto’n ke ugne ki jagho’n par baarish barsa”. 
Hazrat Anas farmate hain ke baarish ruk gai aur ham dhoop mein chalne lagey.

Shareekne kaha: Maine Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha: Kya ye wohi pehla shakhs tha? Unho’n ne farmaya: Mujhe maaloom nahi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1014

 : Book 15, Hadith 10





Baab 8: Mimbar Par (khade-khade) Baarish Ki Dua Karna






Narrated Qatada:

Anas said, "While Allah's Apostle (ﷺ) was delivering the Friday Khutba (sermon) a man came and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! Rain is scarce; please ask Allah to bless us with rain.' So he invoked Allah for it, and it rained so much that we could hardly reach our homes and it continued raining till the next Friday." 
Anas further said, "Then the same or some other person stood up and said, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! Invoke Allah to withhold the rain.' 
On that, Allah's Apostle (ﷺ) I said, 'O Allah! Round about us and not on us.' " 
Anas added, "I saw the clouds dispersing right and left and it continued to rain but not over Medina."


Ravi Qatada:

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke ek (1) martaba juma ke din Rasool Allah (ﷺ) khutba de rahe the ke ek (1) shakhs aaya aur arz karne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Baarish nahi ho rahi, aap Allah se dua kare’n ke wo ham par baraan-e-rahmat naazil farmae. Aap ne dua farmaai to ham par baarish barasne lagi. Ham badi mushkil se apne gharo’n ko pohche, chunache aainda juma tak ham par baarish barasti rahi. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke (agle juma) wohi shaksh yaa koi doosra khada hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Allah se dua kare’n ke ham se baarish rok le. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai: “Aye Allah! Hamaare ird-gird baarish ho, ham par na ho”. 
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke maine baadal ko chatt kar daae’n-baae’n jaate dekha, phir doosre logo’n par to baarish hoti rahi, lekin ahle madina par nahi ho rahi thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1015

 : Book 15, Hadith 11




Baab 9: Baarish Ki Dua Ke Liye Namaz-e-Juma Par Iktefa Karna







Narrated Anas:

A man came to the Prophet (ﷺ) and said, "Livestock are destroyed and the roads are cut off." So Allah's Apostle (ﷺ) invoked Allah for rain and it rained from that Friday till the next Friday. The same person came again and said, "Houses have collapsed, roads are cut off, and the livestock are destroyed. Please pray to Allah to withhold the rain." Allah's Apostle (ﷺ) (stood up and) said, "O Allah! (Let it rain) on the plateaus, on the hills, in the valleys and over the places where trees grow." So the clouds cleared away from Medina as clothes are taken off.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs Nabi (ﷺ) ke paas haazir ho kar arz karne laga: Maweshi halaak hone lagey aur raaste masdood* ho gae hain, chunache Rasool Allah (ﷺ) ne baarish ki dua ki to doosre juma tak ham par baarish hoti rahi, phir koi shaksh aaya aur kehne laga ke (baarish ki wajah se) makanaat girne lagey, aur raaste toot-phoot gae hain. Allah se dua kare’n ke wo baarish rok le. Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai: “Aye Allah! Teelo’n, pahaado’n, waadiyo’n aur baagho’n par baarish barsa”. Chunache madina munawwara se kapda phatne ki tarah baadal chatt gae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1016

 : Book 15, Hadith 12
 : 
*Band, band kiya hua, ruka hua, mauqoof





Baab 10: Jab Kasrat-e-Baarish Se Raaste Masdood Ho Jaae’n To (uske ruk jaane ki) Dua Karna







Narrated Anas bin Malik:

A man came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Livestock is destroyed and the roads are cut off. So please invoke Allah." So Allah's Apostle (ﷺ) prayed and it rained from that Friday to the next Friday. Then he came to Allah's Apostle (ﷺ) I and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Houses have collapsed, roads are cut off and the livestock is destroyed." So Allah's Apostle (ﷺ) prayed, "O Allah! (Let it rain) on the tops of mountains, on the plateaus, in the valleys and over the places where trees grow." So the clouds cleared away from Medina as clothes are taken off.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haaizr ho kar arz karne laga: Allah ke Rasool! Qahet-saali ki wajah se maal-maweshi halaak ho gae aur raaste toot-phoot gae hain, aap Allah se (baarish ki) dua farmae’n. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai to ek (1) juma se doosre juma tak un par baarish barasti rahi. Phir ek (1) aadmi haazir hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool! Kasrat-e-baaraa’n se ghar mandham, raaste tabaah aur maweshi halaak ho gae hain. 
Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai: “Aye Allah! Pahaado’n ki chotiyo’n, reit ke teelo’n, nashebi waadiyo’n aur darakht ugne ke muqamaat par baarish barsa”. 
Uske baad madina munawwara se is tarah baadal chatt gae jis tarah kapda phat kar tukde-tukde ho jaata hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1017

 : Book 15, Hadith 13





Baab 11: Is Baat Ki Haqeeqat Ke Nabi (ﷺ) Juma Ke Din Baarish Ki Dua Karte Waqt Chaadar Nahi Palti







Narrated Anas bin Malik

I p man complained to the Prophet (ﷺ) about the destruction of livestock and property and the hunger of the offspring. So he invoked (Allah for rain. The narrator (Anas) did not mention that the Prophet (ﷺ) had worn his cloak inside out or faced the Qibla.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) aadmi ne Nabi (ﷺ) ke yahaa’n maal ke halaak hone aur ahle-o-ayaal ke mashaqqat mein mubtalaa hone ki shikaayat ki, to aap ne Allah Ta’ala se baarish ki dua farmaai.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne chaadar palatne yaa isteqbal-e-qibla ka zikr nahi kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1018

 : Book 15, Hadith 14




Baab 12: Jab Log Imam Se Baarish Ke Liye Dua Ki Appeal Kare’n To Wo Usey Mustarad Na Kare







Narrated Anas bin Malik

A man came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Livestock is destroyed and the roads are cut off; so please invoke Allah." So Allah's Apostle (ﷺ) prayed for rain and it rained from that Friday till the next Friday. Then a man came to the Prophet (ﷺ) (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! The houses have collapsed, roads are cut off and the livestock is destroyed." So Allah's Apostle (ﷺ) said, "O Allah! (Let it rain) on the tops of the mountains, on the plateaus, in the valleys and over the places where trees grow." So the clouds cleared away from Medina as clothes are taken off.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) aadmi Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maweshi tabaah aur raaste band ho gae hain. Aap Allah se baarish ki dua farmae’n. Rasool Allah (ﷺ) ne Allah se dua farmaai. Uske nateeje mein us juma se aainda juma tak baarish hoti rahi. Phir ek (1) shakhs Nabi (ﷺ) ke paas aaya aur arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Makanaat mandham ho gae, raaste toot-phoot gae, aur maweshi tabaah ho gae hain. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai: “Aye Allah! Pahaado’n ki chotiyo’n, reit ke teelo’n, nadiyo’n aur baagho’n par baash (baarish) barsa”. Uske baad baadal madina se is tarah chatt gaya, jis tarah kapda paht-kar tukde-tukde ho jaata hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1019

 : Book 15, Hadith 15





Baab 13: Qahet Ke Waqt Jab Mushrikeen, Ahle Islam Se Dua Ki Darkhwaast Kare’n







Narrated Masruq:

One day I went to Ibn Masud who said, "When Quraish delayed in embracing Islam, the Prophet (ﷺ) I invoked Allah to curse them, so they were afflicted with a (famine) year because of which many of them died and they ate the carcasses and Abu Sufyan came to the Prophet (ﷺ) and said, 'O Muhammad! You came to order people to keep good relations with kith and kin and your nation is being destroyed, so invoke Allah? So the Prophet (ﷺ) I recited the Holy verses of Sirat-Ad-Dukhan: 
'Then watch you For the day that The sky will Bring forth a kind Of smoke Plainly visible.' (Quran 44.10) 
When the famine was taken off, the people renegade once again as nonbelievers. The statement of Allah, (in Sura "Ad-Dukhan"-44) refers to that: 'On the day when We shall seize You with a mighty grasp.' (44.16) And that was what happened on the day of the battle of Badr." Asbath added on the authority of Mansur, "Allah's Apostle (ﷺ) prayed for them and it rained heavily for seven days. So the people complained of the excessive rain. The Prophet (ﷺ) said, 'O Allah! (Let it rain) around us and not on us.' So the clouds dispersed over his head and it rained over the surroundings."


Ravi Masruq:

Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Jab quraish ne islam qubool karne mein takheer ki, to Nabi (ﷺ) ne unke khilaaf bad-dua farmaai. Uske baad unhe’n khushk-saali aur qahet ne aaliya*, hatta ke wo halaak hone lagey, aur murdaar, aur haddiyaa’n waghaira khane par majboor ho gae. Us dauran mein Abu Sufiyan aap ke paas aaya aur kehne laga: Muhammad! Aap (logo’n ko to) sila-rehmi ka hukum karte hain, lekin aap ki apni qaum tabaah ho rahi hai. Allah Ta’ala se dua farmae’n, Rasool Allah (ﷺ) ne ye aayaat padhee’n: “Us Din Ka Intezaar Karo Jab Asmaan Par Numayaa’n Dhuaa’n Chaa Jaaega”. [Surah ad Dukhaan 44: 10]

Phir wo (quraish) kufr ki taraf laut gae, chunache irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Jis Roz Ham Unhe’n Buri Tarah Sakht Andaaz Mein Pakde’nge” [Surah ad Dukhaan 44: 16], yaane badr ke din.
(Raawi-e-hadees) Asbaat ne apne Shaikh Mansoor se bayan karte hue kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ne dua farmaai to un par baarish hui, phir saat (7) din baarish hoti rahi. Aakhir-kaar logo’n ne kasrat-e-baarish ki shikaayat ki to aap ne dua farmaai: “Aye Allah! Hamaare ird-gird baarish ho, ham par na barse”. Chunache baadal aapke sar-e-mubarak se chatt gaya aur ird-gird logo’n par khoob baarish hui.



Reference : Sahih al-Bukhari 1020

 : Book 15, Hadith 16
 
*Ki giraft mein aagae





Baab 14: Jab Baarish Ziyaada Ho To “حوالينا ولا علينا ” Ke Alfaz Ke saath Dua Karni Chaahiye







Narrated Anas:

Allah's Apostle (ﷺ) I was delivering the Khutba (sermon) on a Friday when the people stood up, shouted and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! There is no rain (drought), the trees have dried and the livestock are destroyed; Please pray to Allah for rain." So Allah's Apostle (ﷺ) said twice, "O Allah! Bless us with rain." By Allah, there was no trace of cloud in the sky and suddenly the sky became overcast with clouds and it started raining. The Prophet (ﷺ) came down the pulpit and offered the prayer. When he came back from the prayer (to his house) it was raining and it rained continuously till the next Friday. When the Prophet (ﷺ) started delivering the Friday Khutba (sermon), the people started shouting and said to him, "The houses have collapsed and the roads are cut off; so please pray to Allah to withhold the rain." So the Prophet (ﷺ) smiled and said, "O Allah! Round about us and not on us." So the sky became clear over Medina but it kept on raining over the outskirts (of Medina) and not a single drop of rain fell over Median. I looked towards the sky which was as bright and clear as a crown.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) dafa juma k din khutba de rahe the to kuch log uth kar bol pade. Unho’n ne fariyaad ki: Allah ke Rasool (ﷺ)! Baarish nahi ho rahi, darakht peele ho gae aur maweshi marne lagey, Allah se dua farmae’n ke wo ham par baarish barsaae. 
Aap ne do (2) martaba farmaya: “Aye Allah! Hame’n saeraab farma”. Allah ki qasam! Hame’n aasmaan par baadal ka koi tukda dikhaai nahi deta tha ke achaanak abr numudaar hua aur barasne laga. Rasool Allah (ﷺ) mimbar se utre aur namaz padhi, phir waapas ghar ko laute ye baarish agle juma tak barasti rahi. Doosre juma jab Nabi (ﷺ) khutba dene ke liye khade hue to kuch log phir buland awaaz se bolne ke makanaat gir gae aur raaste band ho gae, aap Allah se dua kare’n ke wo us baarish ko ham se rok de. Nabi (ﷺ) muskuraae aur dua farmaai: “Aye Allah! Hamaare ird-gird baarish ho, ham par na ho”. Uske baad madina se baadal chatt gae. Uske aas-paas baarish hoti rahi. Madine mein baarish ka ek qatra bhi nahi baras raha tha. Maine madina munawwara ko dekha ke taaj ki tarah uske ird-gird baadal the aur ye darmiyan mein tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1021

 : Book 15, Hadith 17 





Baab 15: Baarish Ke Liye Khade Ho Kar Dua Karna






Narrated 'Abdullah bin Yazid Al-Ansari: 

That he went out with Al-Bara' bin 'Azib, and Zaid bin Arqam and invoked for rain. He ('Abdullah bin Yazid) stood up but not on a pulpit and invoked Allah for rain and then offered two Rak'a prayers with loud recitation without pronouncing Adhan or Iqama. Abu Ishaq said that 'Abdullah bin Yazid had seen the Prophet (ﷺ) (doing the same)


Ravi Abdullah bin Yazid Al-Ansari: 

Abu Ishaq As Subee farmate hain ke Hazrat Abdullah bin Yazeed, Hazrat Baraa bin Aazib aur Zaid bin Arqam (رضي الله عنهم) ke hamraah baahar tashreef le gae. Wahaa’n mimbar ke baghair apne paao’n par khade ho kar baarish ki dua ki. Phir do (2) rakate’n padhee’n aur un mein ba-awaaz-e-buland qirat ki. Uske liye azaan aur takbeer ka ehtemaam na kiya.
(Raawi-e-hadees) Abu Ishaq kehte hain ke Abdullah bin Yazid Ansari ne Nabi (ﷺ) ko dekha hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1022

 : Book 15, Hadith 18




Narrated Abbas bin Tamim

That his uncle (who was one of the companions of the Prophet (ﷺ)) had told him, "The Prophet (ﷺ) went out with the people to invoke Allah for rain for them. He stood up and invoked Allah for rain, then faced the Qibla and turned his cloak (inside out) and it rained."


Ravi Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

(Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke chacha aur wo Nabi (ﷺ) ke sahaabi the) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) baarish ki dua karne ke liye logo’n ke hamraah baahar tashreef le gae. Aap ne khade ho kar dua ki, phir qible ki taraf mutawajja hue aur apni chadar ko ulat-palat kiya, chunache logo’n par khoob baarish hui.



Reference : Sahih al-Bukhari 1023

 : Book 15, Hadith 19



Baab 16: Namaz-e-Istisqa Mein Ba-Awaaz-e-Buland Qirat Karna







Narrated Abbas bin Tamim

From his uncle who said, "The Prophet (ﷺ) went out to invoke Allah for rain. He faced the Qibla invoking Allah. He turned over his cloak (inside out) and then offered two Rakat and recited the Quran aloud in them."


Ravi :Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Nabi (ﷺ) logo’n ke hamraah baarish ki dua karne ke liye baahar tashreef le gae. Aap ne qible ki taraf mu’n karke dua maangi, apni chaadar ulat-palat kiya, phir do (2) rakat namaz adaa ki aur un mein qirat buland awaaz se ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 1024

 : Book 15, Hadith 20





Baab 17: Nabi (ﷺ) Ne Logo’n Ki Taraf Apni Pusht Kaise Pheri?







Narrated Abbas bin Tamim from his uncle,

"I saw the Prophet (ﷺ) on the day when he went out to offer the Istisqa' prayer. He turned his back towards the people and faced the Qibla and asked Allah for rain. Then he turned his cloak inside out and led us in a two Rakat prayer and recited the Qur'an aloud in them."


Ravi Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jis din Nabi (ﷺ) baarish ki dua ke liye baahar tashreef le gae, to maine aapko dekha ke aap ne logo’n ki taraf apni peeth pheri aur qible ki taraf mu’n karke dua karne lagey, phir apni chaadar ko palta. Uske baad aap ne hame’n do (2) rakat padhaeen, jis mein ba-awaaz-e-buland qirat ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 1025

 : Book 15, Hadith 21





Baab 18: Namaz-e-Istisqa Do (2) Rakat Hai






Narrated Abbas bin Tamim from his uncle who said,

"The Prophet (ﷺ) invoked Allah for rain and offered a two Rakat prayer and he put his cloak inside out."


Ravi Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne dua-e-istisqa ke mauqa par do (2) rakat namaz padhi aur apni chaadar ko palta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1026

 : Book 15, Hadith 22





Baab 19: Eidgaah Mein Baarish Ki Dua Karna






Narrated Abbas bin Tamim from his uncle who said,

"The Prophet (ﷺ) went out to the Musalla to offer the Istisqa' prayer, faced the Qibla and offered a two-Rakat prayer and turned his cloak inside out." 
Narrated Abu Bakr, "The Prophet (ﷺ) put the right side of his cloak on his left side."


Ravi Hazrat Abbaad bin Tameem (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) dua-e-istisqa ke liye eidgaah tashreef le gae aur qibla-roo ho kar do (2) rakate’n adaa kee’n, phir apni chadar ko palta.
Raawi kehta hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne apni chaadar ke daae’n kinaare ko baaee’n jaanib kar liya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1027

 : Book 15, Hadith 23





Baab 20: Baarish Ki Dua Karte Waqt Qibla-roo Hona






Narrated Abdullah bin Zaid Al-Ansari:

The Prophet (ﷺ) went out towards the Musalla in order to offer the Istisqa' prayer and when he intended to invoke (Allah) or started invoking, he faced the Qibla and turned his cloak inside out.


Ravi Hazrat Abdullah bin Zaid Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) namaz-e-istisqa ke liye eidgaah tashreef le gae aur jab dua karne lagey to qible ki taraf mu’n kar liya aur apni chaadar ko ulat-palat kiya.

Abu Abdullah (Imam Bukhari رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain ke Abdullah bin Zaid Maazin qabile se taalluq rakhte hain aur pehle Abdullah kufa ke rehne waale hain jo Yazeed ke bete hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1028

 : Book 15, Hadith 24 





Baab 21: Dua-e-Istisqa Mein Log Bhi Imam Ke saath Apne Haath Uthaae’n







Narrated Anas bin Malik

A bedouin came to Allah's Apostle (ﷺ) on a Friday and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock, the offspring, and the people have perished." So, Allah's Messenger (ﷺ) raised both his hands invoking Allah (for rain) and the people too raised their hands with Allah's Apostle (ﷺ) invoking Allah (for rain). We had not left the mosque when it started raining. It rained till the next Friday when the same man came to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Messenger! The travellers are compelled to postpone their journeys (because of excessive rain) and the roads are overflowed."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek dehaati Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maweshi halaak, ahel-o-ayaal tabah ho gae aur log marne lagey hain. Rasool Allah (ﷺ) ne dua ke liye haath utha liye, log bhi aapke saath haath utha kar dua karne lagey. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka bayan hai ke abhi ham masjid se baahar nahi nikle the ke baarish shuru ho gai, phir ye baarish doosre juma tak jaari rahi. Tab ek (1) aadmi Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool! Musafir tang aagae aur raaste band ho gae hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1029

 : Book 15, Hadith 25




Narrated Anas bin Malik

The Prophet (ﷺ) raised his hands (during the invocation) to such an extent that the whiteness of his armpits was visible.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne dua ke liye dono haath uthaae, hatta ke maine aap ki baghlo’n ki safedi dekhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1030

 : Book 15, Hadith 26





Baab 22: Baarish Ki Dua Karte Waqt Imam Ka apne Haath Uthaana







Narrated Anas bin Malik

The Prophet (ﷺ) never raised his hands for any invocation except for that of Istisqa' and he used to raise them so much that the whiteness of his armpits became visible. 
(Note: It may be that Anas did not see the Prophet (ﷺ) raising his hands, but it is narrated that the Prophet (ﷺ) used to raise his hands for invocations other than Istisqa.)

Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) baarish ki dua ke alaawa aur kisi mauqa par dua karte waqt (ziyada) haath nahi uthaate the. Aur baarish ki dua mein is qadar haath buland karte ke baghlo’n ki safedi nazar aajaati.



Reference : Sahih al-Bukhari 1031

 : Book 15, Hadith 27
 
: Also see Hadith No. 
3565, 6341 





Baab 23: Baarish Ke Waqt Kya Padhna Chaahiye?






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke “كَصَيِّبٍ” [Surah Baqara: 19] se muraad baarish hai. Aur deegar ne kaha hai ke ye lafz “ وَأَصَابَ ”, “ يَصُوبُ ” aur “صَابَ” se mushtaq* hai.


Narrated Aisha:

Whenever Allah's Apostle (ﷺ) saw the rain, he used to say, "O Allah! Let it be a strong fruitful rain."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):
 
Rasool Allah (ﷺ) jab baarish hoti dekhte to dua karte: 

“اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعًا”
Allahumma Saiyyiban Naafia “Aye Allah! Nafa-aawar Baarish Barsa”.

Is hadees ki mataaba-at Qasim bin Yahya ne Obaidullah Umri se ki hai, nez isey Imam Auzaai aur Aqeel ne Hazrat Naafe se bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1032

 : Book 15, Hadith 28
 
*Akhaz kiya hua, maakhuz, nikaala hua





Baab 24: Jo Shakhs Baarish Mein Nahaae Ta-aa’nke Uski Daadhi Se Paani Tapakne Lagey







Narrated Anas bin Malik:

In the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ) the people were afflicted with a (famine) year. While the Prophet (ﷺ) was delivering the Khutba (sermon) on the pulpit on a Friday, a Bedouin stood up and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock are dying and the families (offspring) are hungry: please pray to Allah to bless us with rain." Allah's Apostle (ﷺ) raised both his hands towards the sky and at that time there was not a trace of cloud in the sky. Then the clouds started gathering like mountains. Before he got down from the pulpit I saw rainwater trickling down his beard. It rained that day, and the next day, the third day, the fourth day and till the next Friday, when the same Bedouin or some other person stood up (during the Friday Khutba) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! The houses have collapsed and the livestock is drowned. Please invoke Allah for us." So Allah's Apostle (ﷺ) raised both his hands and said, "O Allah! Around us and not on us." Whichever side the Prophet (ﷺ) directed his hand, the clouds dispersed from there till a hole (in the clouds) was formed over Medina. The valley of Qanat remained flowing (with water) for one month and none, came from outside who didn't talk about the abundant rain.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ke ahd-e-mubarak mein ek (1) dafa sakht qahet pada. Chunache aap juma ke din khutba de rahe the ke us dauran ek (1) dehaati khada ho kar arz karne laga: Allah ke Rasool! Maal-maweshi tabah ho gae aur bacche bhook se marne lagey, aap Allah se dua farmae’n ke wo ham par baarish barsaae. Rasool Allah (ﷺ) ne (ye sun kar) dono haath utha liye, jabke us waqt aasmaan par baadal ka ek tukda bhi nahi tha. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha ke baadal aise utha jase pahaad hote hain. Abhi Rasool Allah (ﷺ) mimbar se utre nahi the ke maine dekha ke baarish aap ki daadhi-e-mubarak se tapak rahi thi. Tamam din baarish hoti rahi, kal, parso’n, aur tarso’n, baad azaa’n doosre juma tak baarish hoti rahi. Phir wo dehati yaa koi aur shaksh khada hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool! Makanaat girne lagey aur maweshi doobne lagey, Allah Ta’ala se hamaare liye dua farmae’n, chunache Rasool Allah (ﷺ) ne apne dono’n haath uthaae aur dua ki: “Aye Allah! Hamaare ird-gird baarish barsa, ham par na barsa”. 
Hazrat Anas bayan karte hain ke Rasool Allah (ﷺ) asman ki jis taraf ishaara farmate udhar se baadal chatt jaata, hatta ke madina munawwara dhaal ki tarah ho gaya aur waadi-e-qanaata mahina bhar behti rahi. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke madine ke atraaf se jo shakhs bhi aata wo kasrat-e-baarish ki khabar deta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1033

 : Book 15, Hadith 29



Baab 25: Jab Aandhi Chale (to kya karna chaahiye?)






Narrated Anas:

Whenever a strong wind blew, anxiety appeared on the face of the Prophet (ﷺ) (fearing that wind might be a sign of Allah's wrath).


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Jab tez aandhi chalti to Nabi (ﷺ) ke chehra-e-anwar par khauf ke asaar numaayaa’n hote.



Reference : Sahih al-Bukhari 1034

 : Book 15, Hadith 30





Baab 26: Farman-e-Nabawi (ﷺ) Ke Baad-e-Saba Se Meri Madad Ki Jaati Hai







Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) said, "I was granted victory with As-Saba and the nation of 'Ad was destroyed by Ad-Dabur (westerly wind).


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Baad-e-saba se meri madad ki gai, aur qaum-e-aad ko maghribi hawaa se halak kiya gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1035

 : Book 15, Hadith 31
 
: Also see Hadith No. 
3205, 3343, 4105 





Baab 27: Zalzalo’n Aur Alamaat-e-Qiyaamat Ke Mutaalliq Kya Hidayaat Hain?







Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "The Hour (Last Day) will not be established until (religious) knowledge will be taken away (by the death of religious learned men), earthquakes will be very frequent, time will pass quickly, afflictions will appear, murders will increase and money will overflow amongst you." 


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Qiyamat qaaem na hogi, hatta ke ilm utha liya jaaega, zalzale ba-kasrat aae’nge, waqt kam hota jaaega, fitno’n ka zuhoor hoga, aur qatl-o-ghaarat aam hogi, yahaa’n tak ke tumhare yahaa’n maal-o-daulat ki bohtaat hogi, yaane wo aam ho jaaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1036

 : Book 15, Hadith 32




Narrated Ibn 'Umar:

(The Prophet (ﷺ)) said, "O Allah! Bless our Sham and our Yemen." 
People said, "Our Najd as well." 
The Prophet (ﷺ) again said, "O Allah! Bless our Sham and Yemen." 
They said again, "Our Najd as well." 
On that the Prophet (ﷺ) said, "There will appear earthquakes and afflictions, and from there will come out the side of the head of Satan."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aye Allah! Hamaare Sham aur Yemen mein barkat ataa farma”. 
Logo’n ne arz kiya: Hamaare najd ke liye bhi barkat ki dua kare’n. 
To aap (ﷺ) ne dobaara farmaya: “Aye Allah! Hamaare Sham aur Yemen mein barkat ataa farma”. 
Logo’n ne phir arz kiya aur hamaare najd mein bhi. 
To aap (ﷺ) ne farmaya: “Wahaa’n zalzale aur fitne barpa ho’nge, nez shaitan ka giroh bhi wahee’n hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1037

 : Book 15, Hadith 33
 
: Also see Hadith No. 7094
 





Baab 28: Irshad-e-Baari Ta’ala: “Tum Ne (deen-e-islam ki) Takzeeb Ko Zariya-e-Moaash Bana Liya Hai”*, Ki Wazaahat







Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke rizq se muraad shukar hai.

*[Surah Waqea: 82]




Narrated Zaid bin Khalid Al-Juhani:

Allah's Apostle (ﷺ) led the morning prayer in Al-Hudaibiya and it had rained the previous night. When the Prophet (ﷺ) had finished the prayer he faced the people and said, "Do you know what your Lord has said?" 
They replied, "Allah and His Apostle (ﷺ) know better." (The Prophet (ﷺ) said), "Allah says, 'In this morning some of My worshipers remained as true believers and some became non-believers; he who said that it had rained with the blessing and mercy of Allah is the one who believes in Me and does not believe in star, but he who said it had rained because of such and such (star) is a disbeliever in Me and is a believer in star.' "


Ravi Hazrat Zaid bin Khalid Johni (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hudaibiya ke muqam par hame’n Rasool Allah (ﷺ) ne subah ki namaz padhai, jabke raat ko baarish ho chuki thi. Nabi (ﷺ) namaz se faraaghat ke bad logo’n ki taraf mutawajja hue aur dariyaaft kiya: “Kya tum jaante ho ke tumhare Rabb ne is waqt kya farmaya hai?” 
Logo’n ne jawab diya: Allah aur uska rasool hi behtar jaante hain. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “(Rabb-e-Ta’ala ne farmaya hai ke) Kuch Mere Bande Mujh Par Imaan Laane Waale Bane, Aur Kuch Ne Mere saath Kufr Kiya, Jinho’n ne Kaha Ke Ham Par Sif Allah Ke Fazal Aur Uski Rahmat Se Mina Barasa Hai, To Wo Mujh Par Imaan Laane Waale Aur Sitaaro’n Se Kufr Karne Waale Hain, Aur Jinho’n Ne Kaha Ke Falaa’n Sitaare Ke Baais Baarish Hui Hai, Wo Mere saath Kufr Karne Waale Aur Sitaaro’n Par Imaan Laane Waale Thehre”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1038

 : Book 15, Hadith 34





Baab 29: Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Nahi Jaanta Ke Baarish Kab Hogi







Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se bayan karte hain ke aap ne farmaya: 
“5 cheezo’n ka lim Allah ke siwa kisi ko nahi hai”.




Narrated Ibn 'Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Keys of the unseen knowledge are five which nobody knows but Allah . . . 

1. Nobody knows what will happen tomorrow; 
2. Nobody knows what is in the womb; 
3. Nobody knows what he will gain tomorrow; 
4. Nobody knows at what place he will die, and 
5. Nobody knows when it will rain."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Ghaib ki chaabiyaa’n paanch (5) hain, jinhe’n Allah Ta’ala ke siwa aur koi nahi jaanta: 

1. Koi nahi jaanta ke kal kya hoga? 
2. Koi nahi jaanta ke shikam-e-maadar mein kya hai? 
3. Kisi ko pataa nahi ke wo kal kya karega? 
4. Kisi ko ilm nahi ke wo kaha’n marega? 
5. Kisi ko khabar nahi ke baarish kab barsegi?”



Reference : Sahih al-Bukhari 1039

 : Book 15, Hadith 35 
 
: Also see Hadith No. 
4627, 4697, 4778, 4379 






PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT