SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
14: Abwaab-ul-Witr
(Witro’n Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Witr Prayer/كتاب الوتر]
[990 To 1004]
Baab 1: Witr Ke Mutaalliq Jo Waarid Hai Narrated Ibn Umar: Once a person asked Allah's Apostle (ﷺ) about the night prayer. Allah's Apostle (ﷺ) replied, "The night prayer is offered as two Rakat followed by two Rakat and so on and if anyone is afraid of the approaching dawn (Fajr prayer) he should pray one Raka and this will be a Witr for all the Rakat which he has prayed before." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Ek (1) shakhs ne Rasool Allah (ﷺ) se namaz-e-shab ke mutaalliq dariyaaft kiya to aap ne farmaya: “Raat ki namaz do-do (2-2) rakat hai, jab tum mein sekisi ko subah ho jaane ka khadsa ho, to ek (1) rakat padhle, wo uski namaz ko witr bana degi”.
|
Narrated Nafi': 'Abdullah bin 'Umar used to say Taslim between (the first) two Rakat and (the third) odd one in the Witr prayer when he wanted to attend to a certain matter (during that interval between the Rakat). Ravi Hazrat Naafe: Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) namaz-e-witr mein ek (1) aur do (2) rakat ke darmiyan salaam pherte the, hatta ke apni baaz zarooriyaat ko poora karne ka hukum farmate the.
|
Narrated Ibn 'Abbas: Once I passed the night in the house of Maimuna (his aunt). I slept across the bed while Allah's Apostle (ﷺ) and his wife slept length-wise. The Prophet (ﷺ) slept till midnight or nearly so and woke up rubbing his face and recited ten verses from Surat "Aal-Imran." Allah's Apostle (ﷺ) went towards a leather skin and performed ablution in the most perfect way and then stood for the prayer. I did the same and stood beside him. The Prophet (ﷺ) put his right hand on my head, twisted my ear and then prayed two Rakat five times and then ended his prayer with Witr. He laid down till the Muadh-dhin came then he stood up and offered two Rakat (Sunna of Fajr prayer) and then went out and offered the Fajr prayer. Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Unho’n ne apni khala Ummul Momineen Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke yahaa’n raat basar ki. Farmate hain: Main bistar ke arz mein lait gaya, jabke Rasool Allah (ﷺ) aur aap ki ahliya mohtarma uske tool (Lambaai) mein mahoo-e-isteraahat hue. Aap aadhi yaa uske lag-bhag raat tak soe rahe, phir jab bedaar hue to chehre par haath pher kar neend ke asaraat door kiye. Uske baad aap ne Surah Aale Imran ki 10 ayaat tilaawat farmaee’n. Phir aap paani se bhari hui awezaa’n puraani mashak* ki taraf aae. Usse acchi tarah wazoo kiya aur namaz ke liye khade ho gae. Main bhi usi tarah karta hue aapke pehlu mein jaa khada hua. Aap ne apna daayaa’n haath mere sar par rakha aur mera kaan pakad kar usey marodne lagey. Phir aap ne do (2) rakat padhee’n, uske baad do (2) rakat, phir do (2) rakat, baad azaa’n do (2) rakat, phir do (2) rakate’n padhee’n, phir do (2) rakate’n mazeed adaa kee’n, phir witr padhkar aap lait gae. Ta-aa’nke aapke paas moazzin (namaz ki ittela dene) aaya to aap khade hue aur do (2) rakate’n (sunnat-e-farj) padhee’n. Phir bahar tashreef le gae aur fajr ki namaz padhai.
|
Narrated 'Abdullah bin 'Umar: The Prophet (ﷺ) said, "Night prayer is offered as two Rakat followed by two Rakat and so on, and if you want to finish it, pray only one Raka which will be Witr for all the previous Rakat." Al-Qasim said, "Since we attained the age of puberty we have seen some people offering a three-Rakat prayer as Witr and all that is permissible. I hope there will be no harm in it." Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Namaz-e-shab do-do (2-2) rakat hai. Jab tu namaz khatam karne ka iraada kare to ek rakat padh le, ye rakat teri saabeqa namaz ko witr bana degi”. Qasim bin Muhammad bin Abi Bakar kehte hain: Ham ne jawan hone tak logo’n ko dekha ke wo teen (3) rakat witr padhte the. Yaqeenan (teen (3) yaa ek (1)) har ek (1) mein wus-at hai. Mujhe ummeed hai ke us mein chandaa’n harj nahi.
|
Narrated 'Aisha: Allah's Apostle (ﷺ) used to pray eleven Rakat at night and that was his night prayer and each of his prostrations lasted for a period enough for one of you to recite fifty verses before Allah's Apostle (ﷺ) raised his head. He also used to pray two Rakat (Sunna) before the (compulsory) Fajr prayer and then lie down on his right side till the Muadh-dhin came to him for the prayer. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) (raat ko) 11 rakat padha karte the. Aap ki namaz-e-shab yehi hoti thi. Un rakaat mein aap ka sajda itna tawel hota tha, ke aap ke sar uthaane se pehle tum mein se koi bhi 50 ayaat padh sakta tha. Namaz-e-fajr se pehle aap do (2) rakate’n padhte the, phir apne daae’n pehlu par lait rehte, ta-aa’nke moazzin namaz ki ittela dene ke liye aap ke paas aata.
|
Baab 2: Auqaat-e-Witr Ka Bayan Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke mujhe Rasool Allah (ﷺ) ne wasiyyat farmaai ke sone se pehle witr padh liya karu’n. Narrated Anas bin Sirin: I asked Ibn 'Umar, "What is your opinion about the two Rakat before the Fajr (compulsory) prayer, as to prolonging the recitation in them?" He said, "The Prophet (ﷺ) used to pray at night two Rakat followed by two and so on, and end the prayer by one Raka Witr. He used to offer two Rakat before the Fajr prayer immediately after the Adhan." (Hammad, the sub-narrator said, "That meant (that he prayed) quickly.)" Ravi Hazrat Amas bin Sireen: Maine Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiye ke namaz-e-subah se qabl do (2) rakat ke mutaalliq aapka kya khayaal hai. Kya ham un mein lambi qirat kar sakte hain? Unho’n ne jawab diya ke Nabi (ﷺ) namaz-e-shab do-do (2-2) rakat padhte. Phir aakhir mein ek (1) rakat padhkar usey taaq bana lete. Subah ki namaz se pehle do (2) rakat to is tarah adaa karte goya azaan, yaane iqaamat ki awaaz aapke kaan mein pad rahi hai. (Raawi-e-hadees) Hammad ne kaha ke isse muraad jaldi-jaldi padhna hai.
|
Narrated 'Aisha: Allah's Apostle (ﷺ) offered Witr prayer on different nights at various hours extending (from the 'Isha' prayer) up to the last hour of the night. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Rasool Allah (ﷺ) ne raat ke har hisse mein namaz-e-witr adaa ki hai, bil-aakhir aap ki namaz-e-wtir waqt-e-seher tak pohonch gai.
|
Baab 3: Nabi (ﷺ) Ka apne Ahle Khana Ko Witr Ke Liye Bedaar Karna The Prophet (ﷺ) used to offer his night prayer while I was sleeping across in his bed. Whenever he intended to offer the Witr prayer, he used to wake me up and I would offer the Witr prayer too. Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا): Nabi (ﷺ) tahajjud ki namaz padhte rehte jabke main aap ke bistar par leti-soi hoti. Jab aap witr padhne ka iraada karte to mujhe bedaar kar dete to main witr padh leti.
|
Baab 4: (Namazi Ko) Chaahiye Ke Wo Apni (Raat Ki) Aakhri Namaz, Witr Ko Banaae The Prophet (ﷺ) (ﷺ) said, "Make s your last prayer at night." Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Logo! Raat ki akhirat namaz, witr ko banaao”.
|
Baab 5: Sawaari Par Witr Padhna Narrated Said bin Yasar: I was going to Mecca in the company of 'Abdullah bin 'Umar and when I apprehended the approaching dawn, I dismounted and offered the Witr prayer and then joined him. 'Abdullah bin 'Umar said, "Where have you been?" I replied, "I apprehended the approaching dawn so I dismounted and prayed the Witr prayer." 'Abdullah said, "Isn't it sufficient for you to follow the good example of Allah's Apostle (ﷺ)?" I replied, "Yes, by Allah." He said, "Allah's Apostle (ﷺ) used to pray Witr on the back of the camel (while on a journey)." Ravi Hazrat Saeed bin Yasaar: Main tareeq-e-makkah mein Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah safar kar raha tha. Saeed kehte hain: Jab mujhe subah hone ka khadsha laahiq hua to sawaari se utar kar maine witr adaa kiye, phir unse jaa mila. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Kaha’n gae the? Maine arz kiya: Mujhe subah ka khadsha* laahiq hua to utar kar witr adaa karne laga tha. Us par unho’n ne kaha: Kya tumhare liye. Rasool Allah (ﷺ) ki zaat-e-giraami mein accha namoona nahi hai? Maine kaha: Allah ki qasam! Kyou’n nahi! To unho’n ne farmaya ke Rasool Allah (ﷺ) oont par sawaar ho kar witr padh liya karte the.
|
Baab 6: Dauran-e-Safar Mein Witr Padhna Narrated Ibn 'Umar: The Prophet (ﷺ) used to offer (Nawafil) prayers on his Rahila (mount) facing its direction by signals, but not the compulsory prayer. He also used to pray Witr on his (mount) Rahila. Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) safar ke dauran mein namaz-e-shab apni sawaari par ishare se padhte the. Uska jidhar ko bhi mu’n ho jaata, usi tarah namaz-e-witr bhi apni sawaari par padh lete, lekin farz namaz us par na padhte the.
|
Baab 7: Rukoo Se Pehle Aur Uske Baad Qunoot Ka Bayan Narrated Muhammad bin Sirin: Anas was asked, "Did the Prophet (ﷺ) recite Qunut in the Fajr prayer?" Anas replied in the affirmative. He was further asked, "Did he recite Qunut before bowing?" Anas replied, "He recited Qunut after bowing for some time (for one month)." Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne namaz-e-fajr mein qunoot padhi hai? Unho’n ne jawab diya: Haa’n. Phir poocha gaya: Aaya aap ne rukoo se pehle qunoot padhi thi? Unho’n ne jawab diya rukoo ke baad thode dino’n ke liye aisa kiya tha.
|
Narrated 'Asim: I asked Anas bin Malik about the Qunut. Anas replied, "Definitely it was (recited)". I asked, "Before bowing or after it?" Anas replied, "Before bowing." I added, "So and so has told me that you had informed him that it had been after bowing." Anas said, "He told an untruth (i.e. "was mistaken," according to the Hijazi dialect). Allah's Apostle (ﷺ) recited Qunut after bowing for a period of one month." Anas added, "The Prophet (ﷺ) sent about seventy men (who knew the Quran by heart) towards the pagans (of Najd) who were less than they in number and there was a peace treaty between them and Allah's Apostle (ﷺ)s (but the Pagans broke the treaty and killed the seventy men). So Allah's Apostle (ﷺ) recited Qunut for a period of one month asking Allah to punish them." Ravi Aasim bin Sulaiman: Maine Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se qunoot ke mutaalliq sawal kiya to unho’n ne jawab diya: Bila-shubha qunoot padhi jaati thi. Maine poocha: Rukoo se pehle yaa baad? Unho’n ne kaha: Qab-az-rukoo padhi jaati thi. Phir unse poocha gaya ke falaa’n shakhs to aap se bayan karta hai ke aap ne rukoo ke baad farmaya hai. Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bole: Wo ghalat kehta hai, kyou’nke Rasool Allah (ﷺ) ne sirf ek (1) mahina rukoo ke baad qunoot padhi thi. Mere khayaal ke mutaaibq Rasool Allah (ﷺ) ne mushrikeen ki taraf taqriban 70 aadmi rawaana kiye, jinhe’n Qurra kaha jaata tha. (Mushrikeen ne unhe’n qatal kar diya). Ye (qatal karne waale) mushrik log un mushrikeen ke alaawa the, jinke aur Rasool Allah (ﷺ) ke darmiyan muaahada-e-sulah* tha. Rasool Allah (ﷺ) ne qunoot padhne ka ehtemaam kiya aur ek (1) maah tak unke khilaaf bad-dua karte rahe.
|
Narrated Anas bin Malik: The Prophet (ﷺ) recited Qunut for one month (in the Fajr prayer) asking Allah to punish the tribes of Ral and Dhakwan. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Nabi (ﷺ) ne ek (1) maah tak dua-e-qunoot padhi aur qabila-e-ri-lin-o-zakwaan ke khilaaf bad-dua karte rahe.
|
Narrated Anas: The Qunut used to be recited in the Maghrib and the Fajr prayers. Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ): Qunoot, maghrib aur fajr ki namaz mein padhi jaati thi.
|