SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1
13: Kitab-ul-Eidain 
(Eidain Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[The Two Festivals (Eids)/كتاب العيدين]
[948 To 989]


Baab 1: Eidain Aur Un mein Zeb-o-Zeenat Ka Bayaan






Narrated 'Abdullah bin Umar:

Umar bought a silk cloak from the market, took it to Allah's Apostle (ﷺ) and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Take it and adorn yourself with it during the 'Id and when the delegations visit you." 
Allah's Apostle (ﷺ) replied, "This dress is for those who have no share (in the Hereafter)." After a long period Allah's Apostle (ﷺ) sent to Umar a cloak of silk brocade. Umar came to Allah's Apostle (ﷺ) with the cloak and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! You said that this dress was for those who had no share (in the Hereafter); yet you have sent me this cloak." Allah's Apostle (ﷺ) said to him, "Sell it and fulfil your needs by it."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ek (1) reshmi jubba liya jo bazaar mein farokht ho raha tha, phir usey le kar Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hue. 
Arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Aap isey khareed le’n, taake eid ke din aur wufood ki aamad ke waqt zeb-tan farma kar khud ko aarasta kiya kare’n. 
Aap ne farmaya: “Ye to un logo’n ka libaas hai, jin ka aakhirat mein koi hissa nahi”. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) jis qadar Allah ko manzoor tha, thehre rahe, phir Rasool Allah (ﷺ) ne unke paas ek reshmi jubba bheja. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) usey le kar Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Ya Rasool Allah! Aap ne to farmaya tha: “Ye un logo’n ka libaas hai, jin ka aakhirat mein koi hissa nahi”. Uske ba-wujood aap ney jubba mere yahaa’n bhej diya? 
Rasool Allah (ﷺ) ne Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: “Isey farokht karke apni koi zaroorat poori karlo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 948

 : Book 13, Hadith 1




Baab 2: Eid Ke Din Barchiyo’n Aur Dhaalo’n Se Jihaadi Mashq Karna







Narrated Aisha:

Allah's Apostle (ﷺ) came to my house while two girls were singing beside me the songs of Buath (a story about the war between the two tribes of the Ansar, the Khazraj and the Aus, before Islam). The Prophet (ﷺ) lay down and turned his face to the other side. Then Abu Bakr came and spoke to me harshly saying, "Musical instruments of Satan near the Prophet (ﷺ)?" 
Allah's Apostle (ﷺ) turned his face towards him and said, "Leave them." When Abu Bakr became inattentive, I signalled to those girls to go out and they left. 


Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا)

Rasool Allah (ﷺ) mere yahaa’n tashreef laae. Us waqt mere paas do (2) ladkiyaa’n baethi jung-e-buaas* ke geet gaa rahi thee’n. Aap chehra-e-mubarak doosri taraf pher kar let gae. Itne mein Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) tashreef laae. Unho’n ne mujhe daa’nt-te hue kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ke paas ye shaitaani awaaze’n che-maane-daarid?**
Us par Rasool Allah (ﷺ) ne unki taraf mutwajje ho kar farmaya: “Unhe’n apne haal par chod-do”. Phir Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne tawajjo hataai to maine un ladkiyo’n ko ishaara kiya, chunache wo waha’n se chali gaee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 949

 : Book 13, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
952, 987, 2907, 3530, 3931
 : *Jung-e-Buaas: Madina Munawwara ke Qabila Aws aur Khazraj ke darmiyan ek
    taweel jung hai, jo hijrat se pehle waaqe hui.
 : **Kya sabab hai, kya wajah hai, kya baat hai, kya matlab (kisi baat ki khoj lagaane
    ya wajah maaloom karne ke mauqa par bolte hain)
 




Narrated Aisha:

It was the day of 'Id, and the Black people were playing with shields and spears, so either I requested the Prophet (ﷺ) (ﷺ) or he asked me whether I would like to see the display. I replied in the affirmative. Then the Prophet (ﷺ) made me stand behind him and my cheek was touching his cheek and he was saying, "Carry on! O Bani Arfida," till I got tired. 
The Prophet (ﷺ) (ﷺ) asked me, "Are you satisfied (Is that sufficient for you)?" 
I replied in the affirmative and he told me to leave.


Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا)

(Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se hi riwayat hai, unho’n ne farmaya ke) Choo’nke wo eid ka din tha, is liye habshi dhaalo’n aur barcho’n se khel rahe the. Maine Rasool Allah (ﷺ) se darkhwaast ki yaa aap (ﷺ) ne khud farmaya: “Kya tum ye khel dekhna chahti ho?”
Maine haa’n mein jawaab diya, to aap ne mujhe apne peeche khada kiya, mera rukhsaar aapke dosh (Kandhe par) par tha.
Aap 
(ﷺ) ne farmaya: “Aye Banu Arfida! Apna kaam jaari rakho”. 
Yahaa’n tak ke jab main ukta gai to aap (ﷺ) ne mujh se farmaya: “Bas tujhe kaafi hai?” 
Maine arz kiya: Ji haa’n. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ab chali jaao”.



Reference : Sahih al-Bukhari 950

 : Book 13, Hadith 3





Baab 3: Ahle Islam Ke Liye Eidain Ka Tareeqa






Narrated Al-Bara':

I heard the Prophet (ﷺ) delivering a Khutba saying, "The first thing to be done on this day (first day of 'Id ul Adha) is to pray, and after returning from the prayer we slaughter our sacrifices (in the name of Allah) and whoever does so, he acted according to our Sunna (traditions)."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ko khutba dete hue suna, aap ne farmaya: “Sab se pehli cheez jisse ham aaj ke din ka aghaaz kare’n wo hamaara namaz padhna hai. Phir ghar waapas jaakar qurbani karna hai, jisne is tarah kiya usne hamari sunnat ko paa liya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 951

 : Book 13, Hadith 4
 
: Also see Hadith No. 
955, 965, 976, 983, 5545, 5556, 5557, 5560, 5563, 6673 




Narrated Aisha:

Abu Bakr came to my house while two small Ansari girls were singing beside me the stories of the Ansar concerning the Day of Buath. And they were not singers. Abu Bakr said protestingly, "Musical instruments of Satan in the house of Allah's Apostle (ﷺ)!" It happened on the 'Id day and Allah's Apostle (ﷺ) said, "O Abu Bakr! There is an 'Id for every nation and this is our 'Id."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Mere paas Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) us waqt tashreef laae jab ansaar ki do (2) bacchiyaa’n wo sher gaa rahi thee’n, jo ansaar ne jung-e-buaas ke mauqa par ek-doosre ke mutaalliq padhe the. Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne wazaahat ki, ke wo bacchiyaa’n maaroof gulu-kaaraae’n na thee’n. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye dekh kar farmaya: Ye Shaitaani saaz, Rasool Allah (ﷺ) ke ghar mein maujood hain, baais-e-taajjub hai. Ye waqea eid ke din ka hai. Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aye Abu Bakar! Har qaum ke liye eid hoti hai (jis din wo khushiyaa’n manaate hain) ye hamaara eid ka din hai (is liye unhe’n khushiya’n manaane do)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 952

 : Book 13, Hadith 5




Baab 4: Eid-ul-Fitr Ke din Eidgaah Mein Jaane Se Qabl Kuch Khaana







Narrated Anas bin Malik,:

Allah's Apostle (ﷺ) never proceeded (for the prayer) on the Day of 'Id-ul-Fitr unless he had eaten some dates. Anas also narrated: The Prophet (ﷺ) used to eat an odd number of dates.


Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Rasool Allah (ﷺ) eid-ul-fitr ke din jab tak chand khajoore’n tanaawul* na farma lete, namaz ke liye na jaate the.
Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) hi se ek (1) riwayat mein hai ke Nabi (ﷺ) taaq adad mein khajoore’n khaate the.



Reference : Sahih al-Bukhari 953

 : Book 13, Hadith 6
 
*Khana-khaana, khana nosh karna, khaana khaane ka amal





Baab 5: Eid-ul-Adha Ke Din Khane Ka Bayan






Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "Whoever slaughtered (his sacrifice) before the 'Id prayer, should slaughter again." 
A man stood up and said, "This is the day on which one has a desire for meat," and he mentioned something about his neighbours. It seemed that the Prophet (ﷺ) I believed him. Then the same man added, "I have a young she-goat which is dearer to me than the meat of two sheep." 
The Prophet (ﷺ) permitted him to slaughter it as a sacrifice. I do not know whether that permission was valid only for him or for others as well.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ne namaz-e-eid se pehle qurbani ko zibah kar liya wo dobaara qurbani kare”. Ek (1) shakhs khada ho kar arz karne laga ke aaj ke din gosht ki bohot khwahish hoti hai aur usne apne padosiyo’n ka tazkira kiya… Nabi (ﷺ) ne uski baato’n par mohr-e-tasdeeq-sabt* farmaai. Usne arz kiya ke mere paas ek bakri ka baccha hai, jo gosht ki do (2) bakriyo’n se mujhe ziyada mehboob hai. Nabi (ﷺ) ne usey zibah karne ki ijaazat marhammat farmaai. Raawi kehta hai ke ab mujhe pataa nahi ke ye ijaazat uske alaawa doosre logo’n ko bhi hai yaa nahi.



Reference : Sahih al-Bukhari 954

 : Book 13, Hadith 7 
 
*Kisi baat ya amr ki tauseeq karna, taaeed karna, tasdeeq karna,
    sadaaqat ki sanad ataa karna
 




Narrated Al-Bara' bin 'Azib:

The Prophet (ﷺ) delivered the Khutba after offering the prayer on the Day of Nahr and said, "Whoever offers the prayer like us and slaughters like us then his Nusuk (sacrifice) will be accepted by Allah. And whoever slaughters his sacrifice before the 'Id prayer then he has not done the sacrifice." 
Abi Burda bin Niyar, the uncle of Al-Bara' said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I have slaughtered my sheep before the 'Id prayer and I thought of today as a day of eating and drinking (not alcoholic drinks), and I liked that my sheep should be the first to be slaughtered in my house. So slaughtered my sheep and took my food before coming for the prayer." 
The Prophet (ﷺ) said, "The sheep which you have slaughtered is just mutton (not a Nusuk)." He (Abu Burda) said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I have a young she-goat who is dearer to me than two sheep. Will that be sufficient as a Nusuk on my behalf? "
The Prophet (ﷺ) said, "Yes, it will be sufficient for you but it will not be sufficient (as a Nusuk) for anyone else after you."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne eid-ul-adha ke din namaz ke baad hamaare saamne khutba dete hue irshad farmaya: “Jo shakhs hamaare jaisi namaz padhe aur hamaare jaisi qurbani kare to uska fareeqa poora ho gaya, aur jisne namaz se qabl qurbani ki to wo namaz se pehle hone ki binaa par qurbani nahi hai”. Us par Hazrat Baraa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke maamu Abu Burdah bin Niyaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool! Maine apni bakri namaz se pehle hi zibah kardi hai, kyou’nke mere ilm mein tha ke aaj khaane peene ka din hai. Is liye meri khwahish thi ke sabse pehle mere hi ghar mein bakri zibah ki jaae, is binaa par maine apni bakri zibah kardi aur namaz ke liye aane se qabl kuch naashta bhi kar liya. Aap ne farmaya: “Tumhari bakri to sirf gosht ki bakri thehri (qurbani nahi hai)”. 
Unho’n ne arz kiya: Allah ke Rasool! Hamaare paas bhed ka ek (1) saala baccha hai, jo mujhe do (2) bakriyo’n se ziyaada aziz hai. Kya wo mere liye kaafi ho jaaega? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haa’n! lekin tumhare alaawa kisi doosre ko kaafi na hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 955

 : Book 13, Hadith 8




Baab 6: Eid-gaah Mein Mimbar Ke Baghair Jaana






Narrated Abu Sa'id Al-Khudri:

The Prophet (ﷺ) used to proceed to the Musalla on the days of Id-ul-Fitr and Id-ul-Adha; the first thing, to begin with, was the prayer and after that, he would stand in front of the people and the people would keep sitting in their rows. Then he would preach to them, advise them and give them orders, (i.e. Khutba). And after that if he wished to send an army for an expedition, he would do so; or if he wanted to give and order, he would do so, and then depart. The people followed this tradition till I went out with Marwan, the Governor of Medina, for the prayer of Id-ul-Adha or Id-ul-Fitr.
When we reached the Musalla, there was a pulpit made by Kathir bin As-Salt. Marwan wanted to get up on that pulpit before the prayer. I got hold of his clothes but he pulled them and ascended the pulpit and delivered the Khutba before the prayer. 
I said to him, "By Allah, you have changed (the Prophet (ﷺ)'s tradition)." 
He replied, "O Abu Sa'id! Gone is that which you know." 
I said, "By Allah! What I know is better than what I do not know." 
Marwan said, "People do not sit to listen to our Khutba after the prayer, so I delivered the Khutba before the prayer."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) eid-ul-fitr aur eid-ul-adha ke din eid-gaah tashreef le jaate to pehle jo kaam karte, wo namaz hoti, usse faraaghat ke baad aap logo’n ke saamne khade hote. Log apni safo’n mein baethe rehte. Tab aap unhe’n naseehat-o-talqeen karte aur acchi baato’n ka hukum dete. Phir agar aap koi lashkar bhejna chaahte to usey taiyaar karte, yaa jis kaam ka hukum karna chaahte us kaam ka hukum de dete. Uske baad ghar laut aate. Hazrat Abu Saeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke uske baad bhi log aisa hi karte rahe, yahaa’n tak ke main ek (1) dafa Marwan ke hamraah eid-ul-fitr yaa eid-ul-adha padhne gaya. Wo un dino’n Madina ka governer tha. Jab ham eid-gaah pohche to ek (1) mimbar waha’n rakha hua tha, jise Kaseer bin Salti ne taiyyaar kiya tha. Marwan ne chaaha ke achanak namaz padhne se qabl us par chadhe, chunache maine uska kapda pakad kar kheencha, lekin usne mujhe jhatak diya. Phir wo mimbar par chadh gaya, baad-azaa’n usne namaz se pehle khutba diya to maine usse kaha: Allah ki qasam! Tum logo’n ne sunnat-e-nabawi ko badal diya hai. Usne jawab diya: Abu Saeed! Wo baat jaati rahi jo tum jaante ho. Maine jawaaban kaha: Allah ki qasam! Jo main jaanta hoo’n wo usse kahee’n behtar hai jise main nahi jaanta. Us par Marwan goya hua: Baat dar-asl ye hai ke log hamaare khutbe ke liye namaz ke baad baithte nahi, lehaaza maine khutbe ko namaz se pehle kar diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 956

 : Book 13, Hadith 9





Baab 7: Eid Ke Liye Paidal Yaa Sawaar Ho Kar Jaana, Khutbe Se Pehle Namaz Adaa Karna Aur Azaan-o-Iqaamat Ke Baghaer Namaz Padhna








Narrated 'Abdullah bin Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) used to offer the prayer of 'Id-ul-Adha and 'Id-ul-Fitr and then deliver the Khutba after the prayer.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) eid-ul-adha aur eid-ul-fitr mein namaz padhte the, phir namaz ke baad khutba dete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 957

 : Book 13, Hadith 10
 
: Also see Hadith No. 963 


Narrated Ibn Juraij:

'Ata' said, "Jabir bin 'Abdullah said, 'The Prophet (ﷺ) went out on the Day of 'Id-ul-Fitr and offered the prayer before delivering the Khutba.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) eid-ul-fitr ke din eid-gaah ki taraf tashreef le gae aur khutbe se pehle namaz padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 958

 : Book 13, Hadith 11
 
: Also see Hadith No. 
961, 978 




Narrated Ibn Juraij:

Ata told me that during the early days of Ibn Az-Zubair, Ibn Abbas had sent a message to him telling him that the Adhan for the 'Id Prayer was never pronounced (in the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ)) and the Khutba used to be delivered after the prayer. 


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ataa (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain ke Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki taraf paeghaam bheja, jabke unke liye bait li jaa rahi thi ke eid-ul-fitr ke din namaz ke liye azaan nahi kahi jaati thi aur khutba namaz ke baad hota tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 959

 : Book 13, Hadith 12




Narrated Ibn Juraij:

Ata told me that Ibn Abbas and Jabir bin 'Abdullah, had said, - where was no Adhan for the ú prayer of 'Id-ul-Fitr and 'Id-ul-Aqha." 


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Ataa (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) se riwayat hai, wo Hazrat Ibne Abbas aur Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain, unho’n ne farmaya ke eid-ul-fitr aur eid-ul-adha ke din azaan nahi di jaati thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 960

 : Book 13, Hadith 13




Narrated Ibn Juraij:

'At a' said, "I heard Jabir bin 'Abdullah saying, 'The Prophet (ﷺ) stood up and started with the prayer, and after it he delivered the Khutba. When the Prophet (ﷺ) of Allah finished (the Khutba), he went to the women and preached to them, while he was leaning on Bilal's hand. Bilal was spreading his garment and the ladies were putting alms in it.' " 
I said to Ata, "Do you think it incumbent upon an Imam to go to the women and preach to them after finishing the prayer and Khutba?" 
'Ata' said, "No doubt it is incumbent on Imams to do so, and why should they not do so?"


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) khade hue, pehle namaz padhi, phir logo’n ke saamne khutba diya. Jab Nabi (ﷺ) khutbe se faarigh hue to utar kar aurto’n ke paas aae aur unhe’n naseehat farmaai. Jabke aap ne Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke haath ka sahaara liya hua tha aur Bilal apna kapda phailaae hue the, aurte’n us mein apne sadaqaat daal rahi thee’n.

(Raawi-e-hadees kehte hain ke) Maine Hazrat Ataa se kaha ke ab bhi aap imam ke liye zaroori samajhte hain ke wo namaz se faarigh ho kar aurto’n ke paas aae aur unhe’n naseehat kare?
Unho’n ne jawab diya ke ye unki zimmedaari to hai, lekin ab unhe’n kya ho gaya hai ke wo apni zimmedaari poori nahi karte.



Reference : Sahih al-Bukhari 961

 : Book 13, Hadith 14





Baab 8: Namaz Ke Baad Khutba Dena






Narrated Ibn Abbas:

I offered the 'Id prayer with Allah's Apostle (ﷺ), Abu Bakr, Umar and 'Uthman and all of them offered the prayer before delivering the Khutba.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine namaz-e-eid Rasool Allah (ﷺ), Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar aur Hazrat Usman (رضي الله عنهم) ke saath padhi hai. Ye sab hazraat khutbe se pehle namaz-e-eid padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 962

 : Book 13, Hadith 15



Narrated Ibn Umar:

Allah's Apostle (ﷺ), Abu Bakr and Umar! used to offer the two 'Id prayers before delivering the Khutba.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ), Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ), Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) eidain ki namaz khutbe se pehle padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 963

 : Book 13, Hadith 16





Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) offered a two Rakat prayer on the Day of Id ul Fitr and he did not pray before or after it. Then he went towards women along with Bilal and ordered them to pay alms and so they started giving their earrings and necklaces (in charity).


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne eid-ul-fitr ke din do (2) rakat namaz padhi, usse pehle aur uske baad koi namaz adaa na ki. Phir aurto’n ki taraf tashreef laae aur aap ke hamraah Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Aurto’n ko aapne sadqa karne ka hukum diya, to wo khairaat daalne lagee’n, hatta ke aurte’n apni baaliyaa’n aur haar tak daalne lagee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 964

 : Book 13, Hadith 17




Narrated Al-Bara' bin 'Azib:

The Prophet (ﷺ) (ﷺ) said, "The first thing that we should do on this day of ours is to pray and then return to slaughter the sacrifice. So, anyone who does so, acted according to our Sunna (tradition), and whoever slaughtered the sacrifice before the prayer, it was just meat which he presented to his family and would not be considered as Nusuk." 
A person from the Ansar named Abu Burda bin Niyyar said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! I slaughtered the Nusuk (before the prayer) but I have a young she-goat which is better than an older sheep." 
The Prophet (ﷺ) I said, "Sacrifice it in lieu of the first, but it will be not sufficient (as a sacrifice) for anybody else after you."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Sabse pehli cheez jisse ham aaj ke din ka aghaaz kare’n wo ye hai ke ham namaz padhe’n, phir gharo’n ko waapas ho’n aur qurbani kare’n. Jisne aisa kiya, usne hamari sunnat ko paa liya, aur jisne namaz se pehle qurbani zibah ki to wo sirf gosht hai, jo usne apne ghar waalo’n ke liye taiyyaar kiya, qurbani nahi hai”.
Ansar ke ek (1) aadmi ne kaha, jise Abu Burdah bin niyaar kaha jaata tha: Allah ke Rasool! Main to qurbani ka jaanwar zibah kar chuka hoo’n, ab mere paas ek (1) saala bakri ka baccha hai, jo do (2) daante* se behtar hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Isey uski jagah zibah kar do, magar tumhare baad kisi doosre ke liye kaafi nahi hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 965

 : Book 13, Hadith 18 
 
*Umr guzarne ke saath saath jis ke agle do (2) daant gir chuke ho’n





Baab 9: Eidain Aur Haram-e-Paak Mein Hathiyaar Uthaana Makrooh Hai







Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain ke musalmano ko eid ke din hathiyaar uthaane se rok diya gaya. Haa’n! Agar dushman ka khatra ho to ijaazat hai.


Narrated Said bin Jubair:

I was with Ibn Umar when a spear head pierced the sole of his foot and his foot stuck to the paddle of the saddle and I got down and pulled his foot out, and that happened in Mina. Al-Hajjaj got the news and came to enquire about his health and said, "Alas! If we could only know the man who wounded you!" Ibn Umar said, "You are the one who wounded me." 
Al-Hajjaj said, "How is that?" 
Ibn Umar said, "You have allowed the arms to be carried on a day on which nobody used to carry them and you allowed arms to be carried in the Haram even though it was not allowed before."


Ravi Hazrat Saeed bin Jubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah tha, jab unke paao’n ke talwe nezay* ki nok chubh gai aur unka paao’n rikaab se chimat gaya. Chunache main neeche utra aur usey paao’n se nikaala, ye waaqea mina mein hua tha. Hajjaaj bin Yusuf ko jab iski ittela mili to wo aap ki iyaadat ke liye aaya aur kehne laga: Kaash! Hame’n maaloom ho jaae ke kisne aap ko ye takleef pohchaai hai. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya ke toone khud hi mujhe ye takleef pohchaai hai. Usne kaha: Aisa kyou’nkar ho sakta hai? 
Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya ke toone hi us din hathiyaar uthaae, jis din hathiyaar nahi uthaae jaate aur toone hi haram mein hathiyaar daakhil kiye, halaa’nke haram mein hathiyaar nahi laae jaate.



Reference : Sahih al-Bukhari 966

 : Book 13, Hadith 19
 
: Also see Hadith No. 
967
 : *Ek (1) hathiyaar jiske aage lohe ka ek nok-daar phal hota hai aur peeche ek (1)
    bohot lamba baans hota hai, ise haath se pakad kar door phenkte ya dushman
    ko maarte hain, bhaala
 




Narrated Said bin 'Amr bin Said bin Al-'Aas:

Al-Hajjaj went to Ibn Umar while I was present there. Al-Hajjaj asked Ibn Umar, "How are you?"
Ibn Umar replied, "I am all right." 
Al-Hajjaj asked, "Who wounded you?" 
Ibn Umar replied, "The person who allowed arms to be carried on the day on which it was forbidden to carry them (he meant Al-Hajjaj)"


Ravi Hazrat Saeed bin Amr:

Hajjaaj, Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khidmat mein haazir hua, us waqt main bhi aapke paas tha, usne aap ka haal poocha to aap ne farmaya: Theek hoo’n. Usne poocha ke aap ko ye takleef kisne pohchaai? 
Aap ne jawab diya ke mujhe us shakhs ne takleef pohchaai hai, jis ne aise din hathiyaar uthaane ki ijaazat di, jis din hathiyaar uthaana jaaez na tha. 
Unho’n ne Hajjaaj ko muraad liya.



Reference : Sahih al-Bukhari 967

 : Book 13, Hadith 20



Baab 10: Namaz-e-Eid Ke Liye Subah Sawere Jaana






Hazrat Abdullah bin Busr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke ham to is waqt namaz-e-eid se faarigh ho jaate the, aap ne ye baat ba-waqt-e-chaasht farmaai, jis waqt nafil padhna jaaez hota hai.




Narrated Al-Bara':

The Prophet (ﷺ) delivered the Khutba on the day of Nahr ('Id-ul-Adha) and said, "The first thing we should do on this day of ours is to pray and then return and slaughter (our sacrifices). So anyone who does so he acted according to our Sunna, and whoever slaughtered before the prayer then it was just meat that he offered to his family and would not be considered a sacrifice in any way. My uncle Abu Burda bin Niyyar got up and said, "O, Allah's Apostle (ﷺ)! I slaughtered the sacrifice before the prayer but I have a young she-goat which is better than an older sheep." 
The Prophet (ﷺ) said, "Slaughter it in lieu of the first and such a goat will not be considered as a sacrifice for anybody else after you."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne qurbani ke din hame’n khutba diya to farmaya: “Sab se pehle ham jis kaam se is din ka aghaaz karte hain wo namaz padhna hai, phir waapas jaa kar qurbani karna. Jis ne aisa kiya usne hamari sunnat ko paa liya aur jis ne namaz se pehle qurbani zibah kardi to wo gosht hai, jo usne apne ghar waalo’n ke liye jaldi taiyyaar kar liya hai, qurbani nahi hai”. 
Mere maamoo’n Hazrat Burdah bin Niyaar khade hue aur kaha: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maine apni qurbani ko qabl-az-namaz zibah kar diya hai aur mere paas bakri ka ek (1) saala baccha hai, jo do (2) daante se behtar hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Usey pehle ki jagah par karde…” ya farmaya “Uski jagah zibah karde, lekin tere baad kisi doosre ke liye aisa karna jaaez nahi hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 968

 : Book 13, Hadith 21





Baab 11: Aiyyam-e-Tashreeq Mein Amal Ki Fazilat






Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke irshad-e-Baari Ta’ala: “وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ” “Maaloom Dino’n Mein Allah Ta’ala Ko Khoob Yaad Kare’n”.1334 Mein ayyaam-e-maaloomaat se muraad Dhul Hajja ke pehle 10 din hain aur aiyyam-e-ma’adoodaat (أَيَّامُ الْمَعْدُودَاتُ) se muraad aiyyam-e-tashreeq hain.

Hazrat Ibne Umar aur Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) un das (10) dino’n mein bazaar jaate to takbeer kehte the. Log bhi unki takbiraat ke saath Allahu Akbar kehte the aur Muhammad bin Ali nafli namazo’n ke baad bhi takbiraat kehte the.




Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) said, "No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja)." Then some companions of the Prophet (ﷺ) said, "Not even Jihad?" 
He replied, "Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for Allah's sake) and does not return with any of those things."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) se ne farmaya: “Jo amal un (10) dino’n mein kiya jaae, uske muqaable mein doosre dino’n ka koi amal Afzal nahi hai”. 
Logo’n ne arz kiya: Kya jihad bhi unke baraabar nahi? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jihad bhi unke baraabar nahi, siwaae us shakhs ke jisne apni jaan aur maal ko khatre mein daala aur koi cheez waapas le kar na lauta”.



Reference : Sahih al-Bukhari 969

 : Book 13, Hadith 22




Baab 12: Ayyaam-e-Mina Aur Arafaat Ki Taraf Jaate Waqt Takbeer Kehna







Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Mina ke dino’n apne kheme* hi mein takbeer kehte the, jise ahle masjid sunte aur wo bhi takbeer kehte. Ahle sooq, yaane bazaar waale bhi Allahu Akbar kehte, yahaa’n tak ke mina ki fizaa Allahu Akbar ki sadaa se goonj uthti. Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi un dino’n namazo’n ke baad, apne bistar par, apne khema mein, apni majlis mein, aur raasta chalte waqt. Al-gharz un tamaam dino’n mein takbiraat kehte the. Ummul momineen Hazrat Maimoona (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) yaum-un-nahr, yaane daswee’n (10th) Dhul Hajja ko takbeer kehti thee’n. Doosri khawateen bhi tashreeq ki raato’n mein Hazrat Abaan bin Usman aur Hazrat Umar bin Abdul Aziz ke peeche mardo’n ke saath masjid mein takbiraat kehti thee’n.

*Kapde ki moti aur mazboot chaadar ya chamde ka aarzi qiyaam ke liye bana hua makaan




Narrated Muhammad bin Abi Bakr Al-Thaqafi:

While we were going from Mina to 'Arafat, I asked Anas bin Malik, about Talbiya, "How did you use to say Talbiya in the company of the Prophet (ﷺ)?" 
Anas said: "People used to say Talbiya and their saying was not objected to and they used to say Takbir and that was not objected to either. "


Ravi Hazrat Muhammad bin Abu Bakar Thaqafi:

Jab ham subah ke waqt mina se arafaat jaa rahe the, to maine Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se talbiya ke mutaalliq sawaal kiya. Ke aap hazraat Nabi (ﷺ) ke hamraah jaate waqt kis tarah karte the? 
Unho’n ne jawab diya ke labbaik kehne waala labbaik kehta, to us par koi eteraaz na karta aur isi tarah takbeer kehne waala takbeer kehta to usey manaa nahi kiya jaata tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 970

 : Book 13, Hadith 23
 
: Also see Hadith No. 1659
 





Narrated Um 'Atiya:

We used to be ordered to come out on the Day of 'Id and even bring out the virgin girls from their houses and menstruating women so that they might stand behind the men and say Takbir along with them and invoke Allah along with them and hope for the blessings of that day and for purification from sins.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hame’n hukum diya jaata tha ke eid ke din ghar se nikle’n, hatta ke kuwaari ladkiyo’n ko unke pardo’n ke saath nikaale’n aur haaeza aurto’n ko bhi gharo’n se bar-aamad kare’n. Chunache wo mardo’n ke peeche rehtee’n, unki takbeer ke saath takbeer kehtee’n. Nez, mardo’n ki dua ke saath duaae’n maangtee’n aur us din ki barkat aur tahaarat ki ummed rakhti thee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 971

 : Book 13, Hadith 24





Baab 13: Eid Ke Din Nezay Ki Aad Mein Namaz Padhna






Narrated Ibn Umar:

On the day of 'Id-ul-Fitr and 'Id-ul-Adha, a spear used to be planted in front of the Prophet (ﷺ) I (as a Sutra for the prayer) and then he would pray.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke saamne eid-ul-fitr aur eid-ul-adha ke mauqa par neza gaad diya jaata tha, phir aap uski taraf mu’n karke namaz padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 972

 : Book 13, Hadith 25 





Baab 14: Eid Ke din Chota Neza Ya Barchi Imam Ke Aagey-Aagey Uthaana







Narrated Ibn Umar:

The Prophet (ﷺ) used to proceed to the Musalla and an 'Anaza used to be carried before him and planted in the Musalla in front of him and he would pray facing it (as a Sutra).


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) subah sawere eidgaah ki taraf tashreef le jaate aur neza aapke aagey-aagey uthaaya jaata tha. Usey eidgaah mein aap ke saamne gaad diya jaata, to aap uski taraf mu’n karke namaz padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 973

 : Book 13, Hadith 26




Baab 15: Aurto’n Aur Haaeza Khawateen Ka Eidgaah Jaana






Narrated Muhammad:

Um 'Atiyya said: "Our Prophet (ﷺ) ordered us to come out (on 'Id day) with the mature girls and the virgins staying in seclusion." 
Hafsa narrated the above-mentioned Hadith and added, "The mature girls or virgins staying in seclusion but the menstruating women had to keep away from the Musalla."


Ravi Muhammad:

Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne kaha: Hame’n hamaare Nabi (ﷺ) ne hukum diya ke ham (namaz-e-eid ke liye) un jawaan aurto’n ko bhi nikaale’n jo parda-nasheen hain.

Hazrat Hafsa bint Sireen se marwi ek (1) hadees mein hai ke naujawaan aur parda nasheen aurto’n ko eid ke liye nikaale’n, albatta haaeza aurte’n namaz ki jagah se alag rahe’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 974

 : Book 13, Hadith 27



Baab 16: Baccho’n Ka Eidgaah Jaana






Narrated Ibn Abbas:

I (in my boyhood) went out with the Prophet (ﷺ) on the day of 'Id ul Fitr or Id-ul-Adha. The Prophet (ﷺ) prayed and then delivered the Khutba and then went towards the women, preached and advised them and ordered them to give alms.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Main ek (1) dafa eid-ul-fitr yaa eid-ul-adha ke mauqa par Nabi (ﷺ) ke hamraah nikla. Aap ne namaz padhi, phir khutba diya, uske baad aap aurto’n ke paas aae aur waaz-o-naseehat farmaane ke baad unhe’n sadqa-o-khairaat ka hukum diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 675

 : Book 13, Hadith 28





Baab 17: Khutba-e-Eidain Mein Imam Ka Logo’n Ki Taraf Mu’n Karna







Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) logo’n ke saamne khade hue.


Narrated Al-Bara':

The Prophet (ﷺ) went towards Al-Baqi (the grave-yard at Medina) on the day of Id-ul-Adha and offered a two-Rakat prayer (of 'Id-ul-Adha) and then faced us and said, "On this day of ours, our first act of worship is the offering of prayer and then we will return and slaughter the sacrifice, and whoever does this concords with our Sunna; and whoever slaughtered his sacrifice before that (i.e. before the prayer) then that was a thing which he prepared earlier for his family and it would not be considered as a Nusuk (sacrifice.)" 
A man stood up and said, "O, Allah's Apostle (ﷺ)! I slaughtered (the animal before the prayer) but I have a young she-goat which is better than an older sheep." 
The Prophet (ﷺ) said to him, "Slaughter it. But a similar sacrifice will not be sufficient for anybody else after you."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) eid-ul-adha ke din nikle aur do (2) rakat namaz-e-eid adaa ki. Phir hamari taraf mu’n karke khade hue aur farmaya: “Hamari is din sabse pehli ibaadat ye honi chaahiye ke ham namaz padhe’n, phir waapas ho’n aur qurbani kare’n. Jisne aesa kiya usne hamari sunnat ke mutaabiq kaam kiya aur jisne namaz se pehle qurbani zibah kardi to wo gosht hai jo usne apne ghar waalo’n ke liye taiyyaar kiya hai. Qurbani nahi hai”. 
Us dauran mein ek (1) shakhs khada hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Maine to (namaz se pehle qurbani) zibah kardi hai aur ab mere paas ek (1) saala bhed ka baccha hai jo do (2) daante se kahee’n behtar hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum usi ko zibah kar do, lekin tumhare baad kisi aur ke liye kaafi nahi hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 976

 : Book 13, Hadith 29





Baab 18: Eidgaah Mein Koi Alaamat Muqarrar Karna






Narrated 'Abdur Rahman bin 'Abis:

Ibn Abbas was asked whether he had joined the Prophet (ﷺ) in the 'Id prayer. 
He said, "Yes. And I could not have joined him had I not been young. (The Prophet (ﷺ) came out) till he reached the mark which was near the house of Kathir bin As-Salt, offered the prayer, delivered the Khutba and then went towards the women. Bilal was accompanying him. He preached to them and advised them and ordered them to give alms. I saw the women putting their ornaments with their outstretched hands into Bilal's garment. 
Then the Prophet (ﷺ) along with Bilal returned home.


Ravi Abdur Rahman bin 'Abis:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se poocha gaya: Kya aap Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz-e-eid mein shareek hue hain? 
To unho’n ne farmaya: Agar mera chote hone ki wajah se Aap (ﷺ) ke yahaa’n martaba aur muqaam na hota to main eid ka mushaahada na kar sakta. Bahar-haal aap (namaz-e-eid ke liye) nikle, yahaa’n tak ke us nishaan ke paas aae jo Kaseer bin Salti ke ghar ke paas tha, namaz padhi, phir khutba diya, uske baad aap aurto’n ke paas tashreef laae, aap ke hamraah Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi the. 
Aap (ﷺ) ne un aurto’n ko waaz-o-naseehat farmaai aur sadqe ka hukum diya. Chunache maine aurto’n ko dekha ke wo apne haath jhuka kar apne zewaraat Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke kapde mein daalti thee’n. 
Uske baad Aap (ﷺ) aur Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apne ghar ki taraf rawaana ho gae.



Reference : Sahih al-Bukhari 977

 : Book 13, Hadith 30





Baab 19: Eid Ke Din Imam Ka Aurto’n Ko Naseehat Karna






Narrated Ibn Juraij:

'Ata' told me that he had heard Jabir bin 'Abdullah saying, "The Prophet (ﷺ) stood up to offer the prayer of the 'Id ul Fitr. He first offered the prayer and then delivered the Khutba. After finishing it he got down (from the pulpit) and went towards the women and advised them while he was leaning on Bilal's hand. Bilal was spreading out his garment where the women were putting their alms." 
I asked 'Ata' whether it was the Zakat of 'Id ul Fitr. 
He said, "No, it was just alms given at that time. Some lady put her finger ring and the others would do the same." I said, (to 'Ata'), "Do you think that it is incumbent upon the Imam to give advice to the women (on 'Id day)?"
He said, "No doubt, it is incumbent upon the Imams to do so and why should they not do so?" 


Ravi Ibn Juraij:

Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke eid-ul-fitr ke din Nabi (ﷺ) khade hue aur namaz padhi, yaane namaz se aghaaz kiya, phir khutba diya, jab faarigh hue to utre aur aurto’n ki taraf tashreef le gae, unhe’n naseehat farmaai. Jabke aap Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke haath ka sahara liye hue the aur Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apna kapda phailaae hue the, jis mein aurte’n khaeraat daal rahi thee’n. (Raawi kehta hai:) Maine Hazrat Ataa se dariyaaft kiya: Wo sadqa-e-fitr daal rahi thee’n? 
Unho’n ne farmaya: Nahi, us waqt waise hi khaeraat kar rahi thee’n. Agar ek (1) aurat apni anghoti daalti to doosri aurate’n bhi daalti thee’n. Maine (Ataa se) dariyaaft kiya: Aap ke khayaal ke mutaabiq kya imam ke liye zaroori hai ke wo aurto’n ko naseehat kare? 
Farmaya: Haa’n unke zimme to hai, lekin na maaloom wo kyou’n nahi karte?



Reference : Sahih al-Bukhari 978

 : Book 13, Hadith 31




Narrated Ibn Juraij:

Al-Hasan bin Muslim told me that Ibn Abbas had said, "I join the Prophet (ﷺ), Abu Bakr, Umar and 'Uthman in the 'Id ul Fitr prayers. They used to offer the prayer before the Khutba and then they used to deliver the Khutba afterwards. 
Once the Prophet (ﷺ) I came out (for the 'Id prayer) as if I were just observing him waving to the people to sit down. He, then accompanied by Bilal, came crossing the rows till he reached the women. He recited the following verse: 

'O Prophet (ﷺ)! When the believing women come to you to take the oath of fealty to you . . . (to the end of the verse) (Quran 60.12).' 

After finishing the recitation he said, "O ladies! Are you fulfilling your covenant?" 
None except one woman said, "Yes." 
Hasan did not know who was that woman.
The Prophet (ﷺ) said, "Then give alms." 
Bilal spread his garment and said, "Keep on giving alms. Let my father and mother sacrifice their lives for you (ladies)." So the ladies kept on putting their Fatkhs (big rings) and other kinds of rings in Bilal's garment." 
Abdur-Razaq said, " 'Fatkhs' is a big ring which used to be worn in the (Pre-Islamic) period of ignorance.


Ravi Ibn Juraij:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke main eid-ul-fitr ke mauqa par Nabi (ﷺ), Hazrat Abu Bakar Siddiq, Hazrat Umar Farooq aur Hazrat Usman (رضي الله عنهم) ke saath shareek hua. Ye tamaam hazraat namaz-e-eid khutba se pehle padhte, phir khutba diya jaata tha. Ek (1) dafa Nabi (ﷺ) baahar tashreef laae, goya main ab bhi aap ko dekh raha hoo’n, jab aap apne haath ke ishare se logo’n ko bitha rahe the. Phir aap safo’n ko cheerte hue aurto’n ke paas aae. Aap ke hamraah Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Aap ne ye aayat tilaawat farmaai: 

‏يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِذَا جَاءَكَ الْمُؤْمِنَاتُ يُبَايِعْنَكَ‏” 
“Aye Nabi! Jab Aap Ke Paas Ahle Imaan Khwateen Baiyet Ke Liye Haazir Ho’n…”. 

Phir jab aap uski tilaawat se faarigh hue to farmaya: “Tum sab is wade par qaaem ho?” 
To un aurto’n mein se sirf ek (1) aurat ne haa’n mein jawab diya. Uske alaawa kisi aurat ne aap ki baat ka jawab na diya. (Raawi-e-hadees) Hasan kehte hain ke us aurat ke mutaalliq ilm nahi wo kaun thi? 
Aap ne farmaya: “Tum sadqa-o-khaeraat kiya karo”. 
Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apna kapda phaila diya aur kaha ke tum laao, mere maa’n baap tum par qurban ho’n! Chunache wo aurte’n apni anghotiya’n aur challe Bilal ke kapde mein daalne lage’n.

Imam Abdul Razzaq ne kaha hai: “
الْفَتَخُ” Al Fatkhu se muraad badi anghotiya’n hain jin ka ahd-e-jaahiliyyat mein riwaaj tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 979

 : Book 13, Hadith 32 





Baab 20: Jab Kisi Aurat Ke Paas Eid Ke Liye Chaadar Na Ho (to kya kare?)







Narrated Aiyub:

Hafsa bint Sirin said, "On Id, we used to forbid our girls to go out for 'Id prayer. A lady came and stayed at the palace of Bani Khalaf and I went to her. She said, 'The husband of my sister took part in twelve holy battles along with the Prophet (ﷺ) and my sister was with her husband in six of them. My sister said that they used to nurse the sick and treat the wounded. Once she asked, 'O Allah's Apostle (ﷺ)! If a woman has no veil, is there any harm if she does not come out (on 'Id day)?' 
The Prophet (ﷺ) said, 'Her companion should let her share her veil with her, and the women should participate in the good deeds and in the religious gatherings of the believers.' " 

Hafsa added, "When Um-'Atiya came, I went to her and asked her, 'Did you hear anything about so-and-so?' 
Um-'Atlya said, 'Yes, let my father be sacrificed for the Prophet (ﷺ). (And whenever she mentioned the name of the Prophet (ﷺ) she always used to say, 'Let my father be sacrificed for him). He said, 'Virgin mature girls staying often screened (or said, 'Mature girls and virgins staying often screened--Aiyub is not sure as which was right) and menstruating women should come out (on the 'Id day). But the menstruating women should keep away from the Musalla. And all the women should participate in the good deeds and in the religious gatherings of the believers." Hafsa said, "On that, I said to Um-'Atiya, 'Also those who are menstruating?' " 
Um-'Atiya replied, "Yes. Do they not present themselves at 'Arafat and elsewhere?".


Ravi Hazrat Aiyub:
 
Hazrat Hafsa bint Sireen se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke ham apni jawan ladkiyo’n ko eid ke din baahar nikalne se manaa karti thee’n. Chunache ek (1) aurat Qasr-e-Bani Khalaf mein aakar muqeem hui, to main uske paas pohchi. Usne bayan kiya ke uska behnoi Nabi (ﷺ) ke hamraah baarah (12) ghazwaat mein shareek hua tha. Uski behen bhi che (6) ghazwaat mein uske hamraah thi. Hamsheera ne bayan kiya ke hamaara kaam mareezo’n ki khabar-geeri aur zakhmiyo’n ki marham-patti karna tha. 
Unho’n ne arz kiya: Allah ke Rasool! Agar kisi aurat ke paas badi chaadar na ho, aise halaat mein agar wo eid ke liye baahar na jaae to koi harj hai? 
Rasool Allah (ﷺ) ne jawab diya: “Uski saheli apni chaadar mein se kuch hissa usey pehna de, taaham unhe’n chaahiye ke wo aumoor-e-khair aur ahle iman ki duaao’n mein zaroor shumooliyat kare’n”.

Hazrat Hafsa bin Sireen ne kaha: Jab Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) tashreef laae’n to main unki khidmat mein haazir hui aur unse arz kiya: Aap ne is masle ke mutaalliq kuch suna hai?
To unho’n ne farmaya: Haa’n, aap par mere maa-baap qurban ho’n, aur wo jab bhi Nabi (ﷺ) ka naam letee’n to ye jumla zaroor kehtee’n ke mere maa-baap aap par qurban ho’n. 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Parda-nasheen doshizaae’n yaa parda-nasheen aur naujawaan ladkiyaa’n ehed ke liye zaroor jaae’n… alfaaz ke mutaalliq (raawi-e-hadees) Hazrat Ayyub ko shak hai… Balke haaeza aurte’n bhi shareek ho’n, lekin wo namaz ki jagah se alag-thalag rahe’n. Bahar-haal khawateen ko umoor-e-khair aur ahle iman ki duaao’n mein zaroor shareek hona chaahiye”. 
Hafsa bint Sireen ka bayan hai ke maine unse arz kiya: Haez waali bhi shareek ho’n, kya ya aurte’n maedan-e-arafaat aur falaa’n-falaa’n mein haazir nahi hotee’n?



Reference : Sahih al-Bukhari 980 

 : Book 13, Hadith 33





Baab 21: Haaeza Aurto’n Ka Eidgaah Mein Namaz Ki Jagah Se Alag Rehna







Narrated Um-'Atiya:

We were ordered to go out (for 'Id) and also to take along with us the menstruating women, mature girls and virgins staying in seclusion. (Ibn 'Aun said, "Or mature virgins staying in seclusion)."
The menstruating women could present themselves at the religious gathering and invocation of Muslims should keep away from their Musalla.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hame’n hukum diya gaya tha ke eid ke liye khud bhi nikle’n aur haaeza, naujawan aur parda-nasheen aurto’n ko bhi nikaale’n… raawi-e-hadees Ibne Awn ne kaha ke parda-nasheen naujawan aurate’n… chunache haaeza aurte’n musalmano ki jamaat aur unki duaao’n mein shareek hoti thee’n, albatta namaz padhne ki jagah se alaaheda rehti thee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 981

 : Book 13, Hadith 34





Baab 22: Qurbani Ke Din Eidgaah Mein Nahr Aur Zibah Karna







Narrated Ibn 'Umar:

The Prophet (ﷺ) used to Nahr or slaughter sacrifices at the Musalla (on 'Id-ul-Adha).


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) oont yaa kisi aur jaanwar ki qurbani eidgaah mein kiya karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 982

 : Book 13, Hadith 35 
 
: Also see Hadith No. 
1710, 1711, 5551, 5552 





Baba 23: Khutba-e-Eid Ke Dauran Imam Aur Muqtadi Hazraat Ka Guftagu Karna Aur Jab Imam Se Dauran-e-Khutba Sawaal Kiya Jaae (To uska jawab dena)








Narrated Al-Bara' bin 'Azib:

On the day of Nahr Allah's Apostle (ﷺ) delivered the Khutba after the 'Id prayer and said, "Anyone who prayed like us and slaughtered the sacrifice like we did then he acted according to our (Nusuk) tradition of sacrificing, and whoever slaughtered the sacrifice before the prayer, then that was just mutton (i.e. not sacrifice)." 
Abu Burda bin Naiyar stood up and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! By Allah, I slaughtered my sacrifice before I offered the (Id) prayer and thought that today was the day of eating and drinking (non-alcoholic drinks) and so I made haste (in slaughtering) and ate and also fed my family and neighbours." 
Allah's Apostle (ﷺ) said, "That was just mutton (not a sacrifice)." 
Then Abu Burda said, "I have a young she-goat and no doubt, it is better than two sheep. Will that be sufficient as a sacrifice for me?" 
The Prophet (ﷺ) replied, "Yes. But it will not be sufficient for anyone else (as a sacrifice), after you."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Eid-ul-adha ke din Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n namaz ke baad khutba diya. 
Aap ne farmaya: “Jis ne hamaare jaisee namaz padhi aur hamari tarah qurbani ki to usne hamaare tareeqa-e-qurbani ko haasil kar liya. Aur jis ne namaz se pehle qurbani ki to ye ek (1) gosht ki bakri hai”. 
Hazrat Abu Burdah bin Niyaar uthe aur arz kiya: Allah ki qasam! Maine namaz ke liye nikalne se pehle qurbani kardi hai aur maine socha ke aaj ka din khane peene ka din hai, is liye maine jaldi ki, khud khaya, nez ahle-khana aur ham-saayo’n ko khilaaya. 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ye to gosht ki bakri hai (qurbani nahi)”. 
Maine arz kiya: Mere paas ek (1), ek (1)-saala bakri ka baccha hai, jo do (2) barkiyo’n ke gosht se behtar hai. Kya wo mujhe qurbani se kaafi hoga? 
Aap ne farmaya: “Haa’n! Lekin tere baad kisi ke liye kaafi nahi hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 983

 : Book 13, Hadith 36



Narrated Anas bin Malik:

Allah's Apostle (ﷺ) .~ offered the prayer on the day of Nahr and then delivered the Khutba and ordered that whoever had slaughtered his sacrifice before the prayer should repeat it, that is, should slaughter another sacrifice. 
Then a person from the Ansar stood up and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! because of my neighbours (he described them as being very needy or poor) I slaughtered before the prayer. I have a young she-goat which, in my opinion, is better than two sheep." 
The Prophet (ﷺ) gave him the permission for slaughtering it as a sacrifice.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne eid-ul-adha ke din namaz padhai, phir khutba diya, aap ne khutbe mein hukum diya: “Jis ne namaz se pehle qurbani ki, wo dobaara kare”. 
Ansaar mein se ek (1) shakhs khada hua aur usne arz ki: Allah ke Rasool (ﷺ)! Mere padosi hain jo mohtaj hain, ya kaha: faqeer hain. Lehaza maine unki wajah se qabl-az-namaz apni qurbani ko zibh kar diya aur mere paas ek (1) saala bakri ka baccha hai, jo mujhe gosht ki do (2) barkiyo’n se mehboob-tar hai. Aap ne usey whi zibah karne ki ijaazat dedi.



Reference : Sahih al-Bukhari 984

 : Book 13, Hadith 37


Narrated Jundab:

On the day of Nahr the Prophet (ﷺ) offered the prayer and delivered the Khutba and then slaughtered the sacrifice and said, "Anybody who slaughtered (his sacrifice) before the prayer should slaughter another animal in lieu of it, and the one who has not yet been slaughtered should slaughter the sacrifice mentioning Allah's name on it."


Ravi Hazrat Junudb (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne eid-ul-adha ke din namaz padhi, phir khutba diya, phir qurbani ki aur dauran-e-khutba mein farmaya: “Jisne namaz se pehle (qurbani ka jaanar) zibah kiya to usey doosra jaanwar zibah karna chaahiye aur jisne namaz se pehle zibah nahi kiya, usey chaahiye ke ab Allah ka naam le kar zibah kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 985

 : Book 13, Hadith 38
 
: Also see Hadith No. 
5500, 5562, 6674, 7400 





Baab 24: Eid Ke din Waapsi Par Raasta Badalna






Narrated Jabir bin 'Abdullah:

On the Day of 'Id, the Prophet (ﷺ) used to return (after offering the 'Id prayer) through a way different from that by which he went.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab eid ka din hota to Nabi (ﷺ) raasta tabdeel karte, yaane ek raaste se jaate to waapsi ke waqt doosra raasta ikhtiyar karte.
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bhi isi tarah marwi hai, lekin Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki riwayat ziyada saheeh hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 986

 : Book 13, Hadith 39





Baab 25: Jab Kisi Se Namaz-e-Eid Faut Ho Jaae To Wo Do (2) Rakat Padhe







Isi tarah khawateen aur wo log jo gharo’n aur dehaato’n mein rehte hain, wo bhi do (2) rakat padhe’n. Kyou’nke Nabi (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Aye Ahle Islam! Ye hamari eid ka din hai”.

Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne zaawiya mein apne ghulam Ibne Abi Utbah ko hukum diya to usne unke ghar waalo’n aur beto’n ko jama kiya, phir wo shahr waalo’n ki tarah namaz padhte aur un jaisee takbiraat kehte the. Hazrat Ikrima ne kaha ke dehaat ke log eid mein jamaa ho’n aur imam ki tarah do (2) rakat padhe’n. Hazrat Ataa ne kaha: Jab kisi ki namaz-e-eid faut ho jaae to wo do (2) rakat padh le.




Narrated 'Urwa on the authority of 'Aisha:

On the days of Mina, (11th, 12th, and 13th of Dhul-Hijjah) Abu Bakr came to her while two young girls were beating the tambourine and the Prophet (ﷺ) was lying covered with his clothes. Abu Bakr scolded them and the Prophet (ﷺ) uncovered his face and said to Abu Bakr, "Leave them, for these days are the days of 'Id and the days of Mina." 


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Unke yahaa’n Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) tashreef laae to aiyyam-e-mina mein us waqt do (2) lakdiya’n daff bajaa kar geet gaa rahi thee’n aur Nabi (ﷺ) ne apna chehra kapde se dhaanp rakha tha. Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne un ladkiyo’n ko daa’nta to Nabi (ﷺ) ne apne chehre se kapda hataa kar farmaya: “Aye Abu Bakar! Unhe’n apni haalat mein rehne do, is liye ke ye eid ke din hain”. Aur ye mina ke dino’n ki baat hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 987

 : Book 13, Hadith 40


Narrated 'Urwa on the authority of 'Aisha:

'Aisha further said, "Once the Prophet (ﷺ) was screening me and I were watching the display of black slaves in the Mosque and ('Umar) scolded them. 
The Prophet (ﷺ) said, 'Leave them. O Bani Arfida! (carry on), you are safe (protected)'."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Maine Nabi (ﷺ) ko dekha ke aap ne mujhe chupa rakha tha aur main ahle habsha ki taraf dekh rahi thi, jabke wo masjid mein khel rahe the. Unhe’n Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne daa’nta to Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Unhe’n apni haalat par rehne do, Aye Banu Arfida! Tum itmenan se apne kartab jaari rakho”. Hadees mein lafz “الأَمْنِ” ke maane bila-khauf-o-khatar ke hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 988

 : Book 13, Hadith 41




Baab 26: Namaz-e-Eid Se Pehle Aur Uske Baad Namaz Padhne Ki Haisiyat







Abu Moalla bayan karte hain ke maine Saeed bin Jubair ko Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hue suna, wo eid se pehle namaz ko makrooh khayaal karte the.




Narrated Ibn 'Abbas:

The Prophet (ﷺ) went out and offered a two Rakat prayer on the Day of 'Id ul Fitr and did not offer any other prayer before or after it and at that time Bilal was accompanying him.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) eid-ul-fitr ke din baahar tashreef le gae. Wahaa’n do (2) rakat namaz-e-eid padhi, lekin usse pehle aur uske baad kuch nahi padha. Aap ke hamraah Hazrat Bilal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the.



Reference : Sahih al-Bukhari 989

 : Book 13, Hadith 42






PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT