SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-1

11: Kitab-ul-Juma 
(Juma al Mubarak Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Friday Prayer/كتاب الجمعة]
[876 To 941] 


Baab 1: Juma Ki Farziyat Ka Bayan






Irshad-e-Baari Ta’ala hai: Jab Juma Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaae To Allah Ke Zikr Ki Taraf Daodo Aur Khareed-o-Farokht Chodh Do. [Surah Juma: 9]




Narrated Abu Huraira:

I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "We (Muslims) are the last (to come) but (will be) the foremost on the Day of Resurrection though the former nations were given the Holy Scriptures before us.
And this was their day (Friday) the celebration of which was made compulsory for them but they differed about it. So Allah gave us the guidance for it (Friday) and all the other people are behind us in this respect: the Jews' (holy day is) tomorrow (i.e. Saturday) and the Christians' (is) the day after tomorrow (i.e. Sunday)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Ham baad mein aae hain, lekin qiyamat ke din sabse aage ho’nge. Sirf itni baat hai ke pehle logo’n ko hamse qabl kitab di gai, phir yehi juma ka din unke liye bhi muqarrar tha, magar wo uske mutaalliq ikhtelafaat ka shikaar ho gae. Lekin hame’n Allah Ta’ala ne uski hidayat kardi, is bina par sab log hamaare peeche ho gae. Yahood kal (hafta) ke din aur Isaai parso’n (itwaar) ke din (ibaadat kare’nge)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 876

 : Book 11, Hadith 1





Baab 2: Juma Ke din Ghusl Ki Fazilat, Nez Kya Baccho’n Aur Aurto’n Par Namaz-e-Juma Mein Haazir Hona Zaroori Hai?








Narrated 'Abdullah bin Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Anyone of you attending the Friday (prayers) should take a bath."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum  mein se koi namaz-e-juma ke liye aae to usey chaahiye ke ghusl kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 877

 : Book 11, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
894, 919 




Narrated Ibn 'Umar:

While Umar bin Al-Khattab was standing and delivering the sermon on a Friday, one of the companions of the Prophet (ﷺ), who was one of the foremost Muhajirs (emigrants) came. 'Umar said to him, "What is the time now?" He replied, "I was busy and could not go back to my house till I heard the Adhan. I did not perform more than the ablution." Thereupon 'Umar said to him, "Did you perform only the ablution although you know that Allah's Apostle (ﷺ) used to order us to take a bath (on Fridays)?"


Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Ek (1) dafa Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) juma ke din khade ho kar khutba de rahe the ke achanak Nabi (ﷺ) ke Sahaaba Ikram aur Mujhajireen mein se ek (1) sahaab aae. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne awaaz di ke ye kaunsa aane ka waqt hai? 
Unho’n ne jawab diya ke main ek (1) zaroorat ki wajah se masroof ho gaya. Abhi apne ghar waapas nahi jaa sakta tha ke azaan ki awaaz sun li to sirf wazoo kar saka hoo’n. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: (Ek late aae ho, aur phir) sirf wazoo karke aae ho?
Halaa’nke aapko maaloom hai ke Rasool Allah (ﷺ) ghusl ka hukum dete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 878

 : Book 11, Hadith 3
 
: Also see Hadith No. 882
 




Narrated Abu Said Al-Khudri:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "The taking of a bath on Friday is compulsory for every male (Muslim) who has attained the age of puberty."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Har baaligh par juma ke din ghuls karna waajib hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 879

 : Book 11, Hadith 4





Baab 3: Juma Ke din Khushboo Lagaana






Narrated Abu Said:

I testify that Allah's Apostle (ﷺ) said, "The taking of a bath on Friday is compulsory for every male Muslim who has attained the age of puberty and (also) the cleaning of his teeth with Siwak, and the using of perfume if it is available." 
Amr (a sub-narrator) said, "I confirm that the taking of a bath is compulsory, but as for the Siwak and the using of perfume, Allah knows better whether it is obligatory or not, but according to the Hadith it is as above.")


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ke is farmaan par gawaah hoo’n ke “Juma ke din har baaligh aadmi par ghusl karna waajib hai, aur ye ke wo miswaak kare, aur khushboo muyassar ho to usey bhi istemaal mein laae”.
Raawi-e-hadees, Amr bin Sulaim kehte hain ke ghusl ke mutaalliq uske wajib hone ki main gawaahi deta ho’n, lekin miswak karne aur khushboo lagaane ke mutaalliq Allah hi behtar jaanta hai ke wo waajib hai yaa nahi? 
Albatta hadees mein isi tarah hai.

Abu Abdullah Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) kehte hain ke wo (Abu Bakar bin Munkadir) Muhammad bin Munkadir ke bhai hai, aur us Abu Bakar kanaam maaloom nahi ho saka. Unse Bakeer bin Ashaj, Saeed bin Abi Hilal aur mutaaddid* logo’n ne riwayat li hai. Aur Muhamamd bin Munkadir ki kunniyat Abu Bakar aur Abu Abdullah thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 880

 : Book 11, Hadith 5
 
*Kai, bohot se, ziyaada, kaafi





Baab 4: Juma Ki Fazilat Ka Bayan






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Any person who takes a bath on Friday like the bath of Janaba and then goes for the prayer (in the first hour i.e. early), it is as if he had sacrificed a camel (in Allah's cause); and whoever goes in the second hour it is as if he had sacrificed a cow; and whoever goes in the third hour, then it is as if he had sacrificed a horned ram; and if one goes in the fourth hour, then it is as if he had sacrificed a hen; and whoever goes in the fifth hour then it is as if he had offered an egg. When the Imam comes out (i.e. starts delivering the Khutba), the angels present themselves to listen to the Khutba."


Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs juma ke din ghusl-e-janaabat ki tarah (ehtemaam se) ghusl kare, phir namaz ke liye jaae to goya usne ek (1) oont ki qurbani di. Jo shakhs doosri ghadi mein jaae to goya usne gaae ki qurbani ki, aur jo shakhs teesri ghadi mein jaae to goya usne seeng-daar mendha ba-taur-e-qurbani pesh kiya. Jo chauthi ghadi mein jaae to goya usne ek (1) murgha ka sadqa kiya, aur jo paa’nchwee’n ghadi mein jaae to usne goya ek (1) anda Allah ki raah mein sadqa kiya. Phir jab imam khutbe ke liye aajaata hai to farishte khutba sunne ke liye masjid mein haazir ho jaate hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 881

 : Book 11, Hadith 6





Baab 5: Bila-Unwaan






Narrated Abu Huraira:

While 'Umar (bin Al-Khattab) was delivering the Khutba on a Friday, a man entered (the mosque).
'Umar asked him, "What has detained you from the prayer?" 
The man said, "It was only that when I heard the Adhan I performed ablution (for the prayer)." On that 'Umar said, "Did you not hear the Prophet (ﷺ) saying: 'Anyone of you going out for the Jumua prayer should take a bath?".


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) martaba Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) juma ke din khutba de rahe the ke us dauran mein ek (1) shakhs haazir hua. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Tum log namaz ke liye aane mein der kyou’n karte ho? 
Us shakhs ne kaha ke azaan ki awaaz sunte hi maine wazoo kiya (aur chala aaya). 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Kya tum ne Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue nahi suna: “Jab tum mein se koi namaz-e-juma ke liye rawaana ho to ghusl kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 882

 : Book 11, Hadith 7





Baab 6: Juma Ke Liye Baalo’n Ko Tel Lagaana






Narrated Salman-Al-Farsi:

The Prophet (ﷺ) said, "Whoever takes a bath on Friday, purifies himself as much as he can, then uses his (hair) oil or perfumes himself with the scent of his house, then proceeds (for the Jumua prayer) and does not separate two persons sitting together (in the mosque), then prays as much as (Allah has) written for him and then remains silent while the Imam is delivering the Khutba, his sins in-between the present and the last Friday would be forgiven."


Ravi Hazrat Salman Farsi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs juma ke din ghusl kare aur jis qadar mumkin ho safaai karke tel lagaae, yaa apne ghar ki khushboo laga kar namaz-e-juma ke liye nikle, aur do (2) admiyo’n ke darmiyan tafreeq na kare (jo masjid mein baithe ho’n). Phir jitni namaz uski qismat mein ho adaa kare aur jab imam khuba dene lagey to khamoosh rahe. Aise shaksh ke wo gunah jo us juma se doosre juma ke darmiyan ho’n sab bakhsh diye jaae’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 883

 : Book 11, Hadith 8
 
: Also see Hadith No. 910




Narrated Tawus:

I said to Ibn 'Abbas, "The people are narrating that the Prophet (ﷺ) said, 'Take a bath on Friday and wash your heads (i.e. take a thorough bath) even though you were not Junub and use perfume'." 
On that Ibn Abbas replied, "I know about the bath, (i.e. it is essential) but I do not know about the perfume (i.e. whether it is essential or not.)


Ravi Hazrat Taaoos:

Maine Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se darayaft kiya ke log kehte hain Nabi (ﷺ) ne farmaya hai: “Juma ke din ghusl karo aur apne saro’n ko dho-o agarche tum junubi* na ho, phir khushboo istema karo”.
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jawab diya ke ghusl ka hukum to saheeh hai, lekin khushboo ke mualliq mujhe ilm nahi hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 884

 : Book 11, Hadith 9
 
: Also see Hadith No. 
885
 : *Junb se mansoob ya mutaalliq, naapaak, jis par ghusl waajib ho 


Narrated Tawus:

Ibn 'Abbas mentioned the statement of the Prophet (ﷺ) regarding the taking of a bath on Friday and then I asked him whether the Prophet (ﷺ) had ordered perfume or (hair) oil to be used if they could be found in one's house. He (Ibn 'Abbas) replied that he did not know about it.


Ravi Hazrat Taaoos:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne jab Nabi (ﷺ) ka farmaan juma ke din ghusl se mutaalliq bayan kya to raawi-e-hadees Hazrat Taaoos ne dariyaaft kiya ke uske ghar mein tel yaa khushboo ho to usey bhi istemaal kare? 
Unho’n ne jawab diya ke main nahi jaanta.



Reference : Sahih al-Bukhari 885

 : Book 11, Hadith 10





Baab 7: Juma Ke Din Ke Liye Hasb-e-Taufeeq Behtareen Libaas Pehne







Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

Umar bin Al-Khattab saw a silken cloak (being sold) at the gate of the Mosque and said to Allah's Apostle (ﷺ), "I wish you would buy this to wear on Fridays and also on occasions of the arrivals of the delegations." Allah's Apostle (ﷺ) replied, "This will be worn by a person who will have no share (reward) in the Hereafter." Later on, similar cloaks were given to Allah's Apostle (ﷺ) and he gave one of them to 'Umar bin Al-Khattab. On that 'Umar said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! You have given me this cloak although on the cloak of Atari (a cloak merchant who was selling that silken cloak at the gate of the mosque) you passed such and such a remark." Allah's Apostle (ﷺ) replied, "I have not given you this to wear". And so 'Umar bin Al-Khattab gave it to his pagan brother in Mecca to wear.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne masjid ke darwaze ke pas ek (1) reshmi joda farokht hote dekha to arz kiya: Allah ke Rasool! Agar aap isey khareed le’n to accha hai, taake juma aur safeero’n ki aamad ke waqt isey zeb-tan* farma liya kare’n?
Us par Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Isey to wo shakhs pehnega jiska akhirat mein koi hissa na ho”. 
Uske baad kaheen se Rasool Allah (ﷺ) ke paas us qism ke rehsmi jode aagae. Un mein se aap ne ek (1) joda Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko bhi diya. Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool! Aap ne mujhe ye joda inaayat farmaya hai, halaa’nke aap khud hi hulla-utaarid ke mutaalliq kuch farma chuke hain?
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Maine tumhe’n ye is liye nahi diya ke isey khud pehno”. Chunache Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne wo joda apne mushrik bhai ko pohchaa diya jo Makkah Mukarrama mein rihaesh-pazeer (Qiyaam kiye hue) tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 886

 : Book 11, Hadith 11
 
: Also see Hadith No. 
948, 2104, 2612, 2619, 3054, 5841, 5981, 6081
 : *Jism par pehen len, jis par sajaa le’n 





Baab 8: Juma Ke Din Miswak Karna






Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se bayan karte hain ke aap (namaz-e-juma ke din) miswak karte.


Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "If I had not found it hard for my followers or the people, I would have ordered them to clean their teeth with Siwak for every prayer."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar main apni ummat yaa logo’n par giraa’n ana samajhta to unhe’n har namaz ke liye miswak karne ka hukum zaroor deta”.



Reference : Sahih al-Bukhari 887

 : Book 11, Hadith 12
 
: Also see Hadith No. 7240
 




Narrated Anas:

Allah's Apostle (ﷺ) I said, "I have told you repeatedly to (use) the Siwak. (The Prophet (ﷺ) put emphasis on the use of the Siwak.)


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Main tumhe’n miswak karne ke mutaalliq bohot talqeen kar chuka hoo’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 888

 : Book 11, Hadith 13



Narrated Hudhaifa:

When the Prophet (ﷺ) got up at night (for the night prayer), he used to clean his mouth.


Ravi Hazrat Huzaifa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab raat ko uthte to apna mu’n miswak se khoob saaf karte.



Reference : Sahih al-Bukhari 889

 : Book 11, Hadith 14




Baab 9: Kisi Doosre Ki Miswak Istemaal Karna






Narrated 'Aisha:

AbdurRahman bin Abi Bakr came holding a Siwak with which he was cleaning his teeth. Allah's Apostle (ﷺ) looked at him. I requested Abdur-Rahman to give the Siwak to me and after he gave it to me I divided it, chewed it and gave it to Allah's Apostle (ﷺ). Then he cleaned his teeth with it and (at that time) he was resting against my chest.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) martaba Hazrat Abdur Rahman bin Abi Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae aur unke paas miswak thi, jise wo istemaal kar rahe the. Rasool Allah (ﷺ) ne uski taraf dekha to maine unse keha: Aye Abdur Rahman! Ye miswak mujhe dedo. Unho’n ne miswak mujhe de di. Maine usey (daanto’n se) toda, phir usey chabaakar Rasool Allah (ﷺ) ko de di. Aap ne usse daant saaf kiye jabke aap us waqt mere seene se tek lagaae hue the.



Reference : Sahih al-Bukhari 890

 : Book 11, Hadith 15
 
: Also see Hadith No. 
1389, 3100, 3774, 4438, 4446, 4449, 4450, 4451, 5217, 6510 





Baab 10: Juma Ke Din Namaz-e-Fajr Mein Kaunsi Surah Padhi Jaae







Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) used to recite the following in the Fajr prayer of Friday, "Alif, Lam, Mim, Tanzil" (Surat-as-Sajda: 32) and "Hal-ata-ala-l-Insani" (Surah-Ad-Dahr: 76).


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) juma ke din namaz-e-fajr mein “الم * تَنْزِيلُ‏" [Surah Sajda: 32] aur “هَلْ أَتَى عَلَى الإِنْسَانِ" [Surah Ad-Dahr: 76] padha karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 891

 : Book 11, Hadith 16 
 
: Also see Hadith No. 1068 





Baab 11: Dehato’n Aur Shehro’n Mein Juma Padhna






Wazaahat: Baaz log ineqaad*-e-juma ke liye khud-saakhta sharaaet aaed karte hain, yaane makhsoos adad**, makhsoos jagah, yaa makhsoos imam ki taayyun ki shart lagaate hain. Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ke nazdeek juma ke liye is qism ki ghair-sharai sharaaet lagaana durust nahi, kyou’nke ye aam namazo’n ki tarah hai.

*Munaqqid kiya jaana, munaqqid hona
** Ginti, taadaad




Narrated Ibn 'Abbas:

The first Jumua prayer was offered after a Jumua prayer offered at the mosque of Allah's Apostle (ﷺ) took place in the mosque of the tribe of 'Abdul Qais at Jawathi in Bahrain.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ki masjid ke baad pehla juma Banu Abdul Qais ki masjid mein shuru hua, jo mulk Bahrain ke Juwatha muqam mein thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 892

 : Book 11, Hadith 17
 
: Also see Hadith No. 4371 




Narrated Ibn Umar:

I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "All of you are Guardians." Yunis said: Ruzaiq bin Hukaim wrote to Ibn Shihab while I was with him at Wadi-al-Qura saying, "Shall I lead the Jumua prayer?" 
Ruzaiq was working on the land (i.e farming) and there was a group of Sudanese people and some others with him; Ruzaiq was then the Governor of Aila. Ibn Shihab wrote (to Ruzaiq) ordering him to lead the Jumua prayer and telling him that Salim told him that 'Abdullah bin 'Umar had said, "I heard Allah's Apostle (ﷺ) said, 'All of you are guardians and responsible for your wards and the things under your care. The Imam (i.e. ruler) is the guardian of his subjects and is responsible for them and a man is the guardian of his family and is responsible for them. A woman is the guardian of her husband's house and is responsible for it. A servant is the guardian of his master's belongings and is responsible for them.' I thought that he also said, 'A man is the guardian of his father's property and is responsible for it. All of you are guardians and responsible for your wards and the things under your care."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Tum mein se har shakhs nigraan hai”. Raawi-e-ahadees Hazrat Lais ne is hadees ko kuch izaafe ke saath bayan kiya hai: (Mere shaikh) Yunus ne kaha ke maine un dino’n waadi al qura mein Ibne Shihab Zohri ke saath tha, jab Ruzeeq bin Hakeem ne Imam Ibne Shihab ko likh bheja ke yahaa’n juma qaaem karne ke mutaalliq aap ki kya raae hai? Ruzeeq un dino’n (Hazrat Umar bin Abdul Aziz (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki taraf se) Eelah* ke governer the aur uske atraaf mein ek (1) zameen ke faaram** mein kaasht-kaari karaate the. Wahaa’n habshiyo’n aur doosre logo’n ki ek jamat abaad thi. Andaree’n-haalaat (Is haalat mein) Imam Ibne Shihab Zohri ne jawab likha ke waha’n iqaamat-e-juma ka ehtemam kare’n. Yunus kehte hain ke main unka jawab sun-raha tha. Unho’n ne Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ye hadees bayan ki, ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se har ek nigraan hai, aur usse apni raiyyat (Naukar, ghulam) ke mutaalliq baaz-purs hogi. Mard apne ghar ka nigraan hai, aur usse apne ahle-khaana ke mutaalliq sawaal hoga. Aurat apne shauhar ke ghar ki nigraan hai, aur usse uski raiyyat ke mutaalliq poocha jaaega. Khaadim apne aaqa ke maal ka nigraan hai aur usse uski raiyyat ke mutaalliq poocha jaaega”. Raawi kehta hai ke mere guman ke mutaaibq aap ne ye bhi kaha: Insan apne baap ke maal ka nigran hai aur usse uske mutaalliq baaz-purs hogi, tum mein se har shakhs nigran hai aur har ek se uski riaayat ke mutaallaiq sawal hoga.



Reference : Sahih al-Bukhari 893

 : Book 11, Hadith 18
 
: Also see Hadith No. 
2409, 2554, 2558, 2751, 5188, 5200, 7138
 : *Elath: Located in Palestine near the city of Aqaba
 : ** Zameen ka raqba (tukda) jo kaasht ke liye makhsoos kiya jaae, angrezi mein
       ise farm kehte hain
 



Baab 12: Kya Un Aurto’n Aur Baccho’n Waghaira Ke Liye Ghusl-e-Juma Zaroori Hai Jinhe’n Juma Ke Liye Aana Zaroori Nahi?








Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke ghusl un logo’n ke liye zaroori hai jin par juma adaa karna waajib hai.


Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "Anyone of you coming for the Jumua prayer should take a bath."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Tum ham se jo shakhs juma ki namaz ke liye aae to wo ghusl kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 894

 : Book 11, Hadith 19




Narrated Abu Said Al-Khudri:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "The taking of a bath on Friday is compulsory for every Muslim who has attained the age of puberty."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Juma ke din ghusl karna har baaligh mard ke liye zaroori hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 895

 : Book 11, Hadith 20




Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said "We are the last (to come amongst the nations) but (will be) the foremost on the Day of Resurrection. They were given the Holy Scripture before us and we were given the Quran after them. And this was the day (Friday) about which they differed and Allah gave us the guidance (for that). So tomorrow (i.e. Saturday) is the Jews' (day), and the day after tomorrow (i.e. Sunday) is the Christians." 
The Prophet (ﷺ) remained silent (for a while) and then said, "It is obligatory for every Muslim that should take a bath once in seven days when he should wash his head and body."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ham baad mein aae hain lekin qiyamat ke din sabse aage ho’nge. Farq sirf is qadar hai ke unhe’n ham se pehle kitab di gai aur hame’n baad mein mili, chunache juma ka ye din jiske mutaalliq ahle kitab ne ikhtelaaf kiya. Lekin Allah Ta’ala ne hame’n uski rahnumaai kardi, is liye kal ka din yahood ke liye, aur parso’n ka din nasaara ka liye hai. Phir thodi der khamosh rahe”.



Reference : Sahih al-Bukhari 896

 : Book 11, Hadith 21




Narrated Abu Huraira:

Narrated Abu Huraira through different narrators that the Prophet (ﷺ) said, "It is Allah's right on every Muslim that he should take a bath (at least) once in seven days."


Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Uske baad Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Har musalman ke liye zaroori hai ke wo saat (7) din mein ek din ghusl kare, jis mein apne sar aur jism ko dhoe”.



Reference : Sahih al-Bukhari 897

 : Book 11, Hadith 22
 
: Also see Hadith No. 
898, 3487 




Narrated Abu Huraira: 

The Prophet (ﷺ) said, "It is Allah's right on every Muslim that he should take a bath (at least) once in seven days."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala ka har musalman par ye haq hai ke wo har saat (7) din mein ek din zaroor ghusl kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 898

 : Book 11, Hadith 23





Baab 13: Bila-Unwaan






Narrated Ibn Umar:

The Prophet (ﷺ) said, "Allow women to go to the Mosques at night."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Raat ke waqt aurto’n ko masjid mein jaane ki ijaazat de do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 899 

 : Book 11, Hadith 24




Narrated Ibn Umar:

One of the wives of Umar (bin Al-Khattab) used to offer the Fajr and the 'Isha' prayer in the congregation in the Mosque. She was asked why she had come out for the prayer as she knew that Umar disliked it, and he has great ghaira (self-respect). She replied, "What prevents him from stopping me from this act?" 
The other replied, "The statement of Allah's Apostle (ﷺ): 'Do not stop Allah's women slave from going to Allah s Mosques' prevents him."


Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki zauja-e-mohtarma fajr aur isha ki namaz adaa karne ke liye masjid mein jaatee’n aur jamat mein shareek hoti thee’n. Unse kaha gaya ke tum baahar kyou’n nikalti ho, jabke tumhe’n maaloom hai ke Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko ye naa-gawaar guzarta hai aur unhe’n us par ghairat aati hai? Zauja-e-Mohtarma ne jawab diya ek wo mujhe rokte kyou’n nahi hain. Unke liye kya rukawat hai? Unho’n ne kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ka ye farmaan baais-e-rukawat hai: “Allah ki bandiyo’n ko Allah ki masjido’n se mat roko”.



Reference : Sahih al-Bukhari 900

 : Book 11, Hadith 25





Baab 14: Agar Baarish Ho Rahi Ho To Juma Mein Haazri Zaroori Nahi







Narrated Muhammad bin Sirin:

On a rainy day, Ibn Abbas said to his Muadh-dhin, "After saying, 'Ash-hadu anna Muhammadan Rasulullah' (I testify that Muhammad is Allah's Apostle (ﷺ)), do not say 'Haiya 'Alas-Salat' (come for the prayer) but say 'Pray in your houses." (The man did so). But the people disliked it. Ibn Abbas said, "It was done by one who was much better than I (i.e. the Prophet (ﷺ) (p.b.u.h) ). No doubt, the Jumua prayer is compulsory but I dislike to put you to task by bringing you out walking in mud and slush."


Ravi Muhammad bin Sireen:

Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne barish ke wqt apne moazzin se kaha ke “أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّ” Ash Hadu Anna Muhammadar Rasoolullah ke baad “حَىَّ عَلَى الصَّلاَةِ‏” Haiyya A’alas Salaah mat kehna. Balke uske bajaae “صَلُّوا فِي بُيُوتِكُمْ” Sallu Fee Buyootikum kehna, yaane apne gharo’n mein namaz padh lo. Logo’n ne us par ta’ajjub kiya to unho’n ne farmaya ke aisa us shakhsiyat ne kiya jo mujhse kaheen behtar thi. Namaz-e-juma agarche farz hai, lekin mujhe ye pasand nahi ke tumhe’n (tangi mein mubtalaa karte hue) is haalat mein gharo’n se nikaaloo’n ke tum kaeechad aur phislan mein phisalte raho.



Reference : Sahih al-Bukhari 901

 : Book 11, Hadith 26





Baab 15: Irshad-e-Baari Ta’ala: Jab Juma Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaae To...







Baab 15: Irshad-e-Baari Ta’ala: Jab Juma Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaae To Allah Ke Zikr Ki Taraf Chale Aao* Uske Pesh-e-Nazar Kitni Masaafat Se Juma Ke Liye Aana Chaahiye Aur Kis Par Juma Waajib Hai?

Ataa bin Abi Rabaah ne kaha ke jab tum kisi basti mein ho jaha’n juma ki namaz hoti ho aur juma ke din namaz ke liye azaan di jaae to tum par namaz-e-juma ke liye haazir hona zaroori hai. Khwah tum azaan suno yaa na suno. Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apne qasr (mahel) mein rehte the, jo-ke zaawiya (kona, gosha) mein basra se 6 meel ke faasle par tha, aap kabhi waha’n juma padhte aur kabhi na padhte the. (Balke basra ki jaame masjid mein juma ke liye tashreef le jaate the).

*[Surah Juma: 9]




Narrated Aisha:

(the wife of the Prophet (ﷺ)) The people used to come from their abodes and from Al-'Awali (i.e. outskirts of Medina up to four miles or more from Medina). They used to pass through dust and used to be drenched with sweat and covered with dust, so sweat used to trickle from them. One of them came to Allah's Apostle (ﷺ) who was in my house. The Prophet (ﷺ) said to him, "I wish that you keep yourself clean on this day of yours (i.e. take a bath)."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Log apne gharo’n aur madina ke balaai ilaaqo’n se namaz-e-juma padhne ke liye baari-baari aate the. Choo’nke wo gard-o-ghubaar mein chal-kar aate, is liye unke badan se ghubaar aur paseene ki wajah se badboo aane lagti. Chunache un mein se ek (1) aadmi Rasool Allah (ﷺ) ke paas aaya, jabke aap us waqt mere ghar mein the. Tab Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Kaash ke tum log is mubarak din mein naha-dho liya karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 902

 : Book 11, Hadith 27 



Baab 16: Jab Sooraj Dhal Jaae To Juma Ka Waqt Shuru Ho Jaata Hai







Hazrat Umar, Hazrat Ali, Hazrat Noman bin Basheer aur Hazrat Amr bin Harees (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se isi tarah bayan kiya jaata hai.


Narrated Yahya bin Said:

Aisha said, 'The people used to work (for their livelihood) and whenever they went for the Jumua prayer, they used to go to the mosque in the same shape as they had been in work. So they were asked to take a bath on Friday.' "


Ravi Yahya bin Said:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke log apna kaam-kaaj khud kiya karte the aur jab juma ke liye aate to usi haalat mein chale aate. Andaree’n-halaat (Is haalat mein) unse kaha gaya ke kaash tum ne ghusl kar liya hota.



Reference : Sahih al-Bukhari 903

 : Book 11, Hadith 28
 
: Also see Hadith No. 2071 




Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) used to offer the Jumua prayer immediately after mid-day.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) sooraj dhlate hi namaz-e-juma adaa kar lete the.



Reference : Sahih al-Bukhari 904

 : Book 11, Hadith 29



Narrated Anas bin Malik:

We used to offer the Jumua prayer early and then have an afternoon nap.


Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Ham log juma ke din subah sawere nikalte aur juma se faraghat ke baad qailoola* karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 905

 : Book 11, Hadith 30
 
: Also see Hadith No. 940
 : *Dopaher ko khaane ke baad aaraam karna 





Baab 17: Jab Juma Ke Din Garmi Ziyaada Ho?






Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) used to offer the prayer earlier if it was freezing; and if it was very hot he used to delay the prayer, i.e. the Jumua prayer.


Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Jab sardi ziyada hoti to Nabi (ﷺ) namaz jaldi padh lete aur jab garmi ziyada hoti to aap kuch thandak hone par namaz padhte the. Isse muraad namaz-e-juma hai.

Raawi-e-hadees Yunus bin Bukair ne Abu Khaldah se bayan kiya to unho’n ne juma ke zikr ke bajaae sirf namaz ka tazkira kiya.

Bishr bin Saabit ne jab Abu Khalda se ye riwayat bayan ki to farmaya ke hame’n ameer-e-waqt ne juma ki namaz padhaai, phir Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya ke Nabi (ﷺ) namaz-e-zohar kaise padhte the?



Reference : Sahih al-Bukhari 906

 : Book 11, Hadith 31





Baab 18: Juma Ke Liye Rawaangi Ka Bayan






Irshad-e-Baari Ta’ala hai: Jab Juma Ki Azaan Di Jaae To Allah Ke Zikr Ki Taraf Daud Pado. [Surah Juma: 9]

Baaz hazraat ka qaul hai ke saee* se muraad amal karna aur chalna hai jaisa ke irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Jisne akhirat ke liye koshish aur mehnat ki”. [Surah al Isra: 19]

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka farmaan hai: Azaan-e-juma ke baad khared-o-farokht haram hai.
Hazrat Ataa bin Abi Rabaah ka qaul hai: Khareed-o-farokht ke saath-saath tamaam kaam aur mashaghil haraam hain.
Hazrat Ibrahim bin Saad ne Imam Zohri se naqal kiya hai ke juma ke din jab moazzin azaan de to musafir ke liye bhi zaroori hai ke wo juma mein shirkat kare.

*Daud-dhoop, jaddo jahad, hajj ka ek rukn




Narrated Abu 'Abs:

I heard the Prophet (ﷺ) saying, "Anyone whose feet are covered with dust in Allah's cause, shall be saved by Allah from the Hell-Fire."


Ravi Abu 'Abs:

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Jis shakhs ke qadam Allah ke raaste mein ghubar-aalood ho gae Allah Ta’ala usey jahannum par haram kar de ga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 907

 : Book 11, Hadith 32
 
: Also see Hadith No. 2811
 




Narrated Abu Huraira:

I heard Allah's Apostle (ﷺ) saying, "If the prayer is started do not run for it but just walk for it calmly and pray whatever you get, and complete whatever is missed. "


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Jab namaz ke liye iqaamat kahi jaae to namaz ke liye daudte hue mat aao, balke itmenan aur sukoon se chalte hue aao. Wiqaar-o-tamaaniyat tum par laazim hai. Namaz ka jo hissa tumhe’n mil jaae usey padho aur jo naa miley usey poora karlo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 908

 : Book 11, Hadith 33




Narrated 'Abdullah bin Abi Qatada under the authority of his father:

The Prophet (ﷺ) said, "Do not stand up (for prayer) unless you see me, and observe calmness and solemnity".


Ravi Hazrat Abu Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tak mujhe dekh na lo, namaz ke liye khade na hua karo, aur tum itmenan-o-sukoon ko khud par laazim karlo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 909

 : Book 11, Hadith 34




Baab 19: Juma Ke Din Do (2) Aadmiyo’n Ke Darmiyan Judaai Na Kare







Narrated Salman Al-Farsi:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "Anyone who takes a bath on Friday and cleans himself as much as he can and puts oil (on his hair) or scents himself; and then proceeds for the prayer and does not force his way between two persons (assembled in the mosque for the Friday prayer), and prays as much as is written for him and remains quiet when the Imam delivers the Khutba, all his sins in between the present and the last Friday will be forgiven."


Ravi Hazrat Salman Farsi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs juma ke din ghusl kare aur jis qadar mumkin ho safaai karke tel (oil) lagaae yaa khusbhoo istemaal kare, phir namaz-e-juma ke liye nikle aur do (2) aadmiyo’n ke darmiyan tafreeq na kare. Phir jitni namaz uski qismat mein ho adaa kare aur jab imam khutba dene lagey to khamosh rahe to uske wo gunah jo us juma se saabeqa juma ke darmiyan hue ho’n, sab moaaf kar diye jaae’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 910

 : Book 11, Hadith 35





Baab 20: Juma Ke din Apne Bhaai Ko Uthakar Khud Uski Jagah Baithne Ki Mumaaneat







Narrated Ibn Juraij:

I heard the Nazi' saying, "Ibn Umar, said, 'The Prophet (ﷺ) forbade that a man should make another man get up to sit in his place". 
I said to Nafi', 'Is it for Jumua prayer only?'
He replied, "For Jumua prayer and any other (prayer)."


Ravi Ibn Juraij:

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Nabi (ﷺ) ne manaa farmaya hai ke koi shakhs apne bhai ko uski jagah se uthakar khud waha’n baith jaae.
Raawi kehta hai ke maine Hazrat Naafe se dariyaaft kiya ke ye hukum imtenaai juma ke liye khaas hai? 
Unho’n ne kaha: Juma aur ghair-e-juma dono’n ke liye yehi hukum hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 911

 : Book 11, Hadith 36
 
: Also see Hadith No. 6269, 6270 



Baab 21: Juma Ke Din Azaan Dene Ka Bayan






Narrated As-Saib bin Yazid:

In the lifetime of the Prophet (ﷺ), Abu Bakr and Umar, the Adhan for the Jumua prayer used to be pronounced when the Imam sat on the pulpit. But during the Caliphate of 'Uthman when the Muslims increased in number, a third Adhan at Az-Zaura' was added. Abu Abdullah said, "Az-Zaura' is a place in the market of Medina."


Ravi Hazrat Saaeb bin Yazeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke zamane mein juma ke din pehli azaan us waqt hoti thi, jab imam mimbar par baith jaata tha, lekin Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke daur mein jab log ziyada ho gae to aap ne muqam-e-zarwa par teesri azaan ka izaafa farma diya.

Abu Abdullah (Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ)) kehte hain ke Zarwa madina ke bazaar mein waaqe ek (1) jagah ka naam hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 912

 : Book 11, Hadith 37
 
: Also see Hadith No. 
913, 915, 916 





Baab 22: Juma Ke Din Ek Hi Moazzin Ho






Narrated As-Saib bin Yazid:

The person who increased the number of Adhans for the Jumua prayers to three was Uthman bin Affan and it was when the number of the (Muslim) people of Medina had increased. In the lifetime of the Prophet (ﷺ) I there was only one Muadh-dhin and the Adhan used to be pronounced only after the Imam had taken his seat (i.e. on the pulpit).


Ravi Hazrat Saaeb bin Yazeen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ahle madina ki abaadi ziyada ho gai to us waqt juma ke din teesri azaan ka ehtemaam karne waale Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. Aur Nabi (ﷺ) ka to ek hi moazzin tha aur juma ke din us waqt azaan di jaati thi, jab imam mimbar baith jaata tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 913 

 : Book 11, Hadith 38





Baab 23: Imam Bhi Jab Mimbar Par Baitha Azaan Sune To Uska Jawab De







Narrated Abu Umama bin Sahl bin Hunaif:

I heard Muawiya bin Abi Sufyan (repeating the statements of the Adhan) while he was sitting on the pulpit. When the Muadh-dhin pronounced the Adhan saying, "Allahu-Akbar, Allahu Akbar",
Muawiya said: "Allah Akbar, Allahu Akbar." 
And when the Muadh-dhin said, "Ash-hadu an la ilaha illal-lah (I testify that none has the right to be worshipped but Allah)", Muawiya said, "And (so do) I".
When he said, "Ash-hadu anna Muhammadan Rasulullah" (I testify that Muhammad is Allah's Apostle (ﷺ)), Muawiya said, "And (so do) I". When the Adhan was finished, Muawiya said, "O people, when the Muadh-dhin pronounced the Adhan I heard Allah's Apostle (ﷺ) on this very pulpit saying what you have just heard me saying".


Ravi Abu Umama bin Sahl bin Hunaif:

Hazrat Muawiya bin Abi Sufiyan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke wo juma ke din mimbar par tashreef farma the, to moazzin ne azan di. Jab usne Allahu Akbar, Allahu Akbar kaha to Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Allahu Akbar, Allahu Akbar kaha: Jab usne “أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ‏” Ash-hadu An Laa Ilaaha Illallahu kaha to Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Main bhi ye gawaahi deta hoo’n. Phir usne “أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ” Ash-hadu Anna Muhammadur Rasoolullah kaha to Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Main bhi yehi gawaahi deta hoo’n. Phir azaan khatam ho gai to Hazrat Muawiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Aye logo! Maine Rasool Allah (ﷺ) se usi muqaam par suna ke jab moazzin ne azaan di to aap bhi wohi farmate the, jo tum ne mujhe kehte hue suna hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 914

 : Book 11, Hadith 39





Baab 24: Azan Ke Waqt (Khateeb Ka) Mimbar Par Baithna






Narrated As-Sa'ib bin Yazid I:

'Uthman bin 'Affan introduced the second Adhan on Fridays when the number of people in the mosque increased. Previously the Adhan on Fridays used to be pronounced only after the Imam had taken his seat (on the pulpit).


Ravi Hazrat Saaeb bin Yazeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Juma ke din azaan-e-saani ka hukum Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne diya, jabke ahle masjid ki taadaad ziyada ho gai aur juma ke din azaan us waqt hoti thi jab imam (mimbar par) baith jaata tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 915

 : Book 11, Hadith 40




Baab 25: Khutbe Ke Waqt Azaan Kehna






Narrated Az-Zuhri:

I heard As-Saib bin Yazid, saying, "In the lifetime of Allah's Apostle (ﷺ), and Abu Bakr and Umar, the Adhan for the Jumua prayer used to be pronounced after the Imam had taken his seat on the pulpit. But when the people increased in number during the caliphate of 'Uthman, he introduced a third Adhan (on Friday for the Jumua prayer) and it was pronounced at Az-Zaura' and that new state of affairs remained so in the succeeding years.


Ravi Az-Zuhri:

Hazrat Saaeb bin Yazeed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, farmate hain ke juma ke din azaan ka aghaaz us waqt hota tha, jab imam-e-juma ke din (khutbe ke liye) mimbar par baith jaata. Rasool Allah (ﷺ) Hazrat Abu Bakar Siddiq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke zamane tak yehi maamool raha. Phir jab Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki khilaafat ka daur aaya aur log bohot ziyada ho gae to Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne juma ke din teesri azaan ka hukum diya. Ye azaan muqam-e-“zaura” par di gai, baad mein yehi dastoor qaaem raha.



Reference : Sahih al-Bukhari 916

 : Book 11, Hadith 41





Baab 26: Mimbar Par Khutba Dena






Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke Nabi (ﷺ) ne mimbar par khutba diya.


Narrated Abu Hazim bin Dinar:

Some people went to Sahl bin Sad As-Sa'idi and told him that they had different opinions regarding the wood of the pulpit. They asked him about it and he said, "By Allah, I know of what wood the pulpit was made, and no doubt I saw it on thy very first day when Allah's Apostle (ﷺ) I took his seat on it. Allah's Apostle (ﷺ) sent for such and such an Ansari woman (and Sahl mentioned her name) and said to her, 'Order your slave-carpenter to prepare for me some pieces of wood (i.e. pulpit) on which I may sit at the time of addressing the people.' So she ordered her slave-carpenter and he made it from the tamarisk of the forest and brought it (to the woman). The woman sent that (pulpit) to Allah's Apostle (ﷺ) who ordered it to be placed here. Then I saw Allah's Apostle (ﷺ) praying on it and then bowed on it. Then he stepped back, got down and prostrated on the ground near the foot of the pulpit and again ascended the pulpit. After finishing the prayer he faced the people and said, 'I have done this so that you may follow me and learn the way I pray.' "


Ravi Hazrat Abu Haazim bin Dinar:

Kuch log Hazrat Sahal bin Saad Saa’di (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aae jinhe’n Rasool Allah (ﷺ) ke mimbar ke mutaalliq shak tha ke wo kis lakdi se taiyyaar hua tha? 
Unho’nne uski baabat Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya to unho’n ne farmaya: Allah ki qasam! Mujhe khoob pehchaan hai ke wo kisse taiyyaar hua tha. Maine usey pehle din bhi dekha jab usey taiyyaar karke rakha gaya tha aur us waqt bhi dekha jab us par pehle din Rasool Allah (ﷺ) tashreef farma hue. Waaqea ye hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne ek ansari aurat ki taraf paegham bheja, jiska naam Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne liya tha, lekin main usey bhool gaya hoo’n: “Tum apne badhai ghulam ko kaho wo mere liye lakdiyo’n ka ek (1) mimbar bana de, taake main jab logo’n se mukhatib hoo’n to us par baitha karoo’n”. 
Chunache us aurat ne apne ghualm ko ye hukum diya to wo ghaaba jungle ke jhaao se (mimbar) taiyyaar karke uske paas le aaya. Usne wo Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat mein bhej diya. Aap ne hukum diya ke usey us jagah rakh diya jaae. Phir maine dekha ke Rasool Allah (ﷺ) ne us par namaz padhna shuru ki, takbeer-e-tehreema us par kahi, phir aap ne rukoo bhi usi par kiya. Phir ulte paao’n neeche utar aae aur mimbar ki jadd mein sajda kiya. Phir waapas mimbar par aagae. Jab aap namaz se faarigh hue to logo’n ki taraf mutawajja ho kar farmaya: “Logo! Maine ye sab kuch is liye kiya hai taake tum meri iqteda karo aur meri namaz seekh lo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 917

 : Book 11, Hadith 42





Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) used to stand by a stem of a date-palm tree (while delivering a sermon). When the pulpit was placed for him we heard that stem crying like a pregnant she-camel till the Prophet (ﷺ) got down from the pulpit and placed his hand over it.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Masjid mein ek (1) khajoor ka tanaa tha, jis par tek lagaakar Nabi (ﷺ) khade hote the. Jab aapke liye mimbar rakha gaya to ham ne us tanay se das (10) maah ki haamela oontni ke bilbilaane jaisee awaaz suni. Aakhir-kaar Nabi (ﷺ) mimar se utre aur us tanay par apna dast-e-mubarak rakha.
Sulaiman bin Bilal ne bhi Yahya bin Saeed se isi tarah bayan kiya hai (taaham unho’n ne Ibne Anas ka naam bhi zikr kiya hai).



Reference : Sahih al-Bukhari 918

 : Book 11, Hadith 43




Narrated Salim:

My father said, "I heard the Prophet (ﷺ) delivering the Khutba on the pulpit and he said, 'Whoever comes for the Jumua prayer should take a bath (before coming).' "


Ravi Salim:

Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha ke maine Nabi (ﷺ) se suna, jabke aap mimbar par khutba de rahe the: “Jo shakhs juma ke liye aae wo ghusl zaroor kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 919 

 : Book 11, Hadith 44





Baab 27: Khade Ho Kar Khutba Dena






Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke Ek (1) Martaba Nabi (ﷺ) khade ho kar khutba de rahe the.


Narrated Ibn Umar:

The Prophet (ﷺ) used to deliver the Khutba while standing and then he would sit, then stand again as you do nowadays.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) khade ho kar khutba diya karte the, darmiyan mein kuch der baith jaate, phir khade ho jaate the, jaisa ke tum ab karte ho.



Reference : Sahih al-Bukhari 920

 : Book 11, Hadith 45
 
: Also see Hadith No. 928 





Baab 28: Khutbe Ke Waqt Imam Aur Hazireen Ka Ek Doosre Ki Tarf Mu’n Karna







Hazrat Ibne Umar aur Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) imam ke saamne baithkar mutwajaae hote the.


Narrated Abu Said Al-Khudri:

One day the Prophet (ﷺ) sat on the pulpit and we sat around him.


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ek (1) din mimbar par tashreef farma hue to ham aapke ird-gird baith gae.



Reference : Sahih al-Bukhari 921

 : Book 11, Hadith 46
 
: Also see Hadith No. 
1465, 2842, 6427 



Baab 29: Khutbe Mein Hamd-o-Sana Ke Baad “أَمَّا بَعْدُ” Amma Ba’ad Kehna







Hazrat Ikrima ne Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se aur unho’n ne Nabi (ﷺ) se aisa hi riwayat kiya hai.


Narrated Fatima bint Al-Mundhir:

Asma' bint Abi Bakr As-Siddiq said, "I went to 'Aishah and the people were offering Salat. 
I asked her, 'What is wrong with the people ?' 
She pointed towards the sky with her head. 
I asked her, 'Is there a sign ?' 
'Aishah nodded with her head meaning 'Yes'." 
Asma' added, "Allah's Messenger (ﷺ) prolonged the Salat to such an extent that I fainted. There was a waterskin by my side and I opened it and poured some water on my head. When Allah's Messenger (ﷺ) finished Salat, and the solar eclipse had cleared, the Prophet (ﷺ) addressed the people and praised Allah as He deserves and said, 'Amma ba'du'." 
Asma' further said, "Some Ansari women started talking, so I turned to them in order to make them quiet. I asked 'Aishah what the Prophet (ﷺ) had said. 
'Aishah said: 'He said, 'I have seen things at this place of mine which were never shown to me before; (I have seen) even Paradise and Hell. And, no doubt it has been revealed to me that you (people) will be put in trial in your graves like or nearly like the trial of Masih Ad-Dajjal. (The angels) will come to everyone of you and ask him, 'What do you know about this man (Prophet Muhammad (ﷺ)) ?" 
The faithful believer or firm believer (Hisham was in doubt which word the Prophet (ﷺ) used), will say, 'He is Allah's Messenger (ﷺ) and he is Muhammad (ﷺ) who came to us with clear evidences and guidance. So we believed him, accepted his teachings and followed and trusted his teaching.' Then the angels will tell him to sleep (in peace) as they have come to know that he was a believer. But the hypocrite or a doubtful person (Hisham is not sure as to which word the Prophet (ﷺ) used), will be asked what he knew about this man (Prophet Muhammed (ﷺ)). He will say, 'I do not know but I heard the people saying something (about him) so I said the same' " 
Hisham added, "Fatima told me that she remembered that narration completely by heart except that she said about the hypocrite or a doubtful person that he will be punished severely."


Ravi Fatima bint Al-Mundhir:

Hazrat Asma bint Abi Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya ke main Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas aai jabke log namaz padh rahe the. Maine dariyaaft kiya ke logo’n ko kya ho gaya hai? Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne apne sar ke saath asman ki taraf ishaara farmaya. Maine arz kiya: Koi nishaani hai? 
To unho’n ne apne sar se ishaara kiya ke haa’n. Wo (Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا)) kehti hain ke phir Rasool Allah (ﷺ) ne itni tawaalat ki, ke mujh par ghashi taari hone lagi. Mere pehlu mein paani ka ek (1) mashkeeza tha, maine usey khola aur usse paani le kar apne sar par daalne lagi. Phir Rasool Allah (ﷺ) jab namaz se faarigh hue to sooraj raushan ho chuka tha. Uske baad aap ne khutba diya. Us mein Allah ki hamd-o-sana bayan ki jiska wo mustahiq hai, phir “أَمَّا بَعْدُ” Amma Ba’ad kaha. Wo (Hazrat Asma (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا)) kehti hain ke ansaar ki kuch aurto’n ne shor karna shuru kiyato main unhe’n khamosh karane ke liye unki taraf mutawajja hui. Is asna mein maine Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se dariyaaft kiya ke Rasool Allah (ﷺ) ne kya farmaya hai? 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Koi cheez aisee nahi hai jo mujhe na dikhaai gai ho, maine usey aaj apni isi jagah se dekh liya hai, hatta ke maine jannat aur dozakh ko bhi dekh liya aur meri taraf ye wahee ki gai ke tumhara maseeh-e-dajjaal ke fitne ki tarah yaa uske qareeb-qareeb qabro’n mein imtehaan liya jaaega. Chunache tum mein se (har) ek (1) ke paas farishta aaega aur us (har ek (1)) se poocha jaaega ke us ‘shaksiyat’ ke mutaalliq tum kya jaante ho? 
Jo iman ya yaqeen waala hoga to wo kahega ke ye Allah ke Rasool Hazrat Muhammad (ﷺ) hain, jo hamaare paas hidayat ki baate’n aur khuli daleele’n le kar aae. Ham un par iman laae, unki daawat ko qubool kiya, nez unki pairawi aur tasdeeq ki. Phir us shakhs se kaha jaaega ke tu itmenan-o-sukoon se soja. Ham jaante hain ke tu yaqeen-o-imaan waala tha aur jo shakhs munafaqat ya shak rakhne waala hoga …Hisham ko shak hai... Usse kaha jaaega ke tu us shakhs ke mutaalliq kya maaloomaat rakhta hai? 
To wo kahega ke main to kuch nahi jaanta. Logo’n se ek (1) baat suntan tha, to main bhi waise hi keh deta tha”.

Hisham kehte hain ke mujhe Fatima bint Munzir ne jo kaha, maine usey khoob yaad kar liya. Albatta munafiqeen par ki jaane waali sakhtiyaa’n jo usne bayan ki thee’n, wo yaad na rahee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 922

 : Book 11, Hadith 47




Narrated 'Amr bin Taghlib:

Some property or something was brought to Allah's Apostle (ﷺ) and he distributed it. He gave to some men and ignored the others. Later he got the news of his being admonished by those whom he had ignored. So he glorified and praised Allah and said, "Amma ba'du. By Allah, I may give to a man and ignore another, although the one whom I ignore is more beloved to me than the one whom I give. But I give to some people as I feel that they have no patience and no contentment in their hearts and I leave those who are patient and self-contented with the goodness and wealth which Allah has put into their hearts and 'Amr bin Taghlib is one of them." 
Amr added, By Allah! Those words of Allah's Apostle (ﷺ) are more beloved to me than the best red camels.


Ravi Hazrat Amr bin Taghlib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ke paas kuch maal ya koi aur cheez laai gai, jise aap ne taqseem farma diya, lekin aap ne kuch logo’n ko diya aur kuch ko na diya. Phir aap ko ittela mili ke jin ko aap ne nahi diya wo naa-khush hain. Aap ne Allah ki hamd-o-sana ke baad farmaya: “أما بعد ” “Amma Ba’ad! Allah ki qasam! Main kisi ko deta hoo’n aur kisi ko nahi deta, lekin jise chodh deta hoo’n wo mere nazdeek us shakhs se ziyada aziz hota hai jise deta hoo’n”. “Nez, kuch logo’n ko is liye deta hoo’n ke un mein be-sabri aur bokhlaahat dekhta hoo’n aur kuch ko unki saer-chashmi* aur bhalai ki wajah se chodh deta hoo’n jo Allah ne unke dilo’n mein paida ki hai. Amr bin Taghlib bhi unhi mein se hai”. Unka bayan hai ke Allah ki qasam! Main ye nahi chahta ke Rasool Allah (ﷺ) ke is kalme ke ewaz mujhe such oont mile’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 923

 : Book 11, Hadith 48
 
: Also see Hadith No. 
3145, 7535
 : *Tabiyyat mutmaeen hona, qanaa-at
 




Narrated Aisha:

Once in the middle of the night Allah's Apostle (ﷺ) went out and prayed in the mosque and some men prayed with him. The following day the people spoke about it and so more people gathered and prayed with him (on the second night). They circulated the news in the morning, and so, on the third night, the number of people increased greatly. Allah's Apostle (ﷺ) (p.b.u.h) came out and they prayed behind him. On the fourth night, the mosque was overwhelmed by the people till it could not accommodate them. Allah's Apostle (ﷺ) came out only for the Fajr prayer and when he finished the prayer, he faced the people and recited "Tashah-hud" (I testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is His Apostle (ﷺ)), and then said, "Amma ba'du. Verily your presence (in the mosque at night) was not hidden from me, but I was afraid that this prayer (Prayer of Tahajjud) might be made compulsory and you might not be able to carry it out."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) martaba aadhi raat ke waqt ghar se nikle to masjid mein aakar namaz padhi. Kuch logo’n ne bhi aapke saath namaz adaa ki. Subhe ke waqt log baate’n karne lagey to doosre roz unse bhi ziyada log jamaa ho gae aur unho’n ne bhi Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah namaz adaa ki. Subah ko logo’n ne ek (1) doosre se bayan kiya to teesri raat unse bhi ziyada log ekatthe ho gae. Chunache Rasool Allah (ﷺ) tashreef laae to logo’n ne aapke saath namaz adaa ki. Phir jab chauthi raat hui to log is qadar jamaa hue ke masjid mein gunjaesh na rahi. Rasool Allah (ﷺ) namaz-e-fajr ke liye baahar tashreef laae. Jab fajr ki namaz se faarigh hue to logo’n ki taraf tawajjo farmaai. Tasshahud, yaane khutba padhte hue farmaya: أَمَّا بَعْدُ” “Amma Ba’ad! Beshak tumhara ijtema mujhse makhfi na tha, lekin mujhe khauf hua ke mabaada tum par farz ho jaae to phir tum uske adaa karne se aajiz ho jaaoge”. Iski Yunus bin Yazid ne mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 924

 : Book 11, Hadith 49




Narrated Abu Hummaid As-Sa'id:

One night Allah's Apostle (ﷺ) stood up after the prayer and recited "Tashah-hud" and then praised Allah as He deserved and said, "Amma ba'du."


Ravi Hazrat Abu Humaid Sa’adi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) raat namaz ke baad khade ho gae aur Allah Ta’ala ki aisee hamd bayan ki, jo uske shayaan-e-shaan thi. Phir farmay: “أَمَّا بَعْدُ” “Amma Ba’ad!“ 
(Imam Zohri ke saath) Abu Muawiya aur Abu Usama ne is riwayat ki mataaba-at (Hisham se) ki hai, isi tarah Adni bhi Sufyan se riwayat karte hue lafz-e-amma ba’ad bayan karne mein uski mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 925

 : Book 11, Hadith 50
 
: Also see Hadith No. 
1500, 2597, 6636, 6979, 7174, 7197 




Narrated Al-Miswar bin Makhrama:

Once Allah's Apostle (ﷺ) got up to deliver the Khutba and I heard him after "Tashah-hud" saying "Amma ba'du."


Ravi Hazrat Miswar bin Makhrama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) martaba Rasool Allah (ﷺ) khade hue, jab aap ne tasshahud, yaane khutba padha to maine aap ko “أَمَّا بَعْدُ” “Amma Ba’ad!” kehte suna.
Zubaidi ne Imam Zohri se bayan karne mein Shuaib ki mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 926

 : Book 11, Hadith 51
 
: Also see Hadith No. 
3110, 3714, 3729, 3767, 5230, 5278 




Narrated Ibn Abbas:

Once the Prophet (ﷺ) ascended the pulpit and it was the last gathering in which he took part. He was covering his shoulder with a big cloak and binding his head with an oily bandage. He glorified and praised Allah and said, "O people! Come to me." So the people came and gathered around him and he then said, "Amma ba'du." "From now onward the Ansar will decrease and other people will increase. So anybody who becomes a ruler of the followers of Muhammad and has the power to harm or benefit people then he should accept the good from the benevolent amongst them (Ansar) and overlook the faults of their wrong-doers."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) mimbar par tashreef farma hue aur ye aap ki aakhri nashisht thi, jis mein aap shareek hue. Aap ne apne shaano’n par badi chaadar daale hue sar par chikni patti baandhe hue the. Aap ne Allah ki hamd-o-sana ke baad farmaya: “Logo! Mere qareeb ho jaao”. Chunache log aapke qareeb jama ho gae, to aap ne farmaya: “أَمَّا بَعْدُ” “Amma Ba’ad! Deegar log to badhte jaae’nge, magar qabila-e-ansaar kam hota jaaega. Lehaza ummat-e-muhammadiya (ﷺ) mein se jo shakhs kisi bhi shakl mein hukumat kare, jiski wajah se doosro’n ko nafaa yaa nuqsaan pohonchne ka ikhteyar rakhta ho to usey chaahiye ke ansaar ke nekukaaro’n ki neki qubool kare aur khatakaaro’n ki laghzisho’n se darguzar kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 927

 : Book 11, Hadith 52
 
: Also see Hadith No. 3800
 





Baab 30: Juma Ke din Do (2) Khutbo’n Ke Darmiyan Baithne Ka Bayan







Narrated 'Abdullah Ibn Umar:

The Prophet (ﷺ) used to deliver two Khutbas and sit in between them


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) do (2) khutbe dete aur unke darmiyan baithe the.



Reference : Sahih al-Bukhari 928

 : Book 11, Hadith 53




Baab 31: Juma Ke din Khutba Ba-ghaur Sunna






Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "When it is a Friday, the angels stand at the gate of the mosque and keep on writing the names of the persons coming to the mosque in succession according to their arrivals. The example of the one who enters the mosque in the earliest hour is that of one offering a camel (in sacrifice). The one coming next is like one offering a cow and then a ram and then a chicken and then an egg respectively. When the Imam comes out (for Jumua prayer) they (i.e. angels) fold their papers and listen to the Khutba."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab juma ka din hota hai to farishte masjid ke darwaze par khade ho jaate hain, pehle aur uske baad aane waalo’n ke sawab ko likhte rehte hain. Subah sawere aane waale ko oont ki qurbani dene waale ki tarah, uske baad gae zibah karne waale ki misl, phir mendha qurbani karne waale ki tarah, uske baad murgha aur uske baad anda Allah ki raah mein dene ka sawab milta hai. Lekin jab imam khutbe ke liye bar-aamad* hota hai to farishte apne dafaatir lapet kar zikr-e-ilaahi sunne mein masroof ho jaate hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 929

 : Book 11, Hadith 54
 
: Also see Hadith No. 3211
 : *Baahar aaya hua, nikaala hua, khurooj 





Baab 32: Dauran-e-Khutba Mein Agar Imam Kisi Ko Aate Dekhe to Usey Do (2) Rakat Adaa Karne Ka Hukum De







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

A person entered the mosque while the Prophet (ﷺ) was delivering the Khutba on a Friday. The Prophet (ﷺ) said to him, "Have you prayed?" 
The man replied in the negative. 
The Prophet (ﷺ) said, "Get up and pray two Rakat."


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Juma ke din ek (1) shakhs us waqt aaya jab Nabi (ﷺ) logo’n se khitab farma rahe the. 
Aap (ﷺ) ne poocha: “Aye falaa’n! Kya toone namaz padhi hai?” 
Usne arz kiya: Nahi. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Khade ho kar namaz adaa karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 930

 : Book 11, Hadith 55
 
: Also see Hadith No. 
931, 1166 





Bab 33: Agar Koi Dauran-e-Khutba Mein Aae To Usey Chaahiye Ke Halki-phulki Do (2) Rakate’n Padh Le







Narrated Jabir:

A man entered the Mosque while the Prophet (ﷺ) was delivering the Khutba. 
The Prophet (ﷺ) said to him, "Have you prayed?" 
The man replied in the negative. 
The Prophet (ﷺ) said, "Pray two Rakat."


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Juma ke din ek (1) shakhs us waqt aaya jab Nabi (ﷺ) khutba irshad farma rahe the. 
Aap (ﷺ) ne usse poocha: “Kya toone namaz padhi hai?” 
Usne jawab diya: Nahi. 
To aap (ﷺ) ne farmaya: “(Khade ho kar) do (2) rakate’n padho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 931

 : Book 11, Hadith 56



Baab 34: Khutbe Mein Dono Haatho’n Ka Uthaana






Narrated Anas:

While the Prophet (ﷺ) was delivering the Khutba on a Friday, a man stood up and said, "O, Allah's Apostle (ﷺ)! The livestock and the sheep are dying, so pray to Allah for rain." So he (the Prophet (ﷺ)) raised both his hands and invoked Allah (for it).


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Juma ke din Nabi (ﷺ) khutba de rahe the, ke us asna* mein achanak ek (1) aadmi uth-khada hua aur usne arz kiya: Allah ke Rasool! Maal-maweshi aur bakriya’n halaak ho gae. Allah Ta’ala se dua keejiye ke ham par baarish barsaae. Chunache aap ne dono haath phaila kar dua farmaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 932

 : Book 11, Hadith 57
 
: Also see Hadith No. 
933, 1113, 1019, 1029, 1033, 3582, 6093, 9342
 : *(waqt, zamaana, kalaam, muqaam, wagahria ka) darmiyaan 





Baab 35: Khutba-e-Juma Ke Dauran Mein Barish Ke Liye Dua Karna







Narrated Anas bin Malik:

Once in the lifetime of the Prophet (ﷺ), the people were afflicted with drought (famine). While the Prophet (ﷺ) was delivering the Khutba on a Friday, a Bedouin stood up and said, "O, Allah's Apostle (ﷺ)! Our possessions are being destroyed and the children are hungry; Please invoke Allah (for rain)". So the Prophet (ﷺ) raised his hands. At that time there was not a trace of cloud in the sky. By Him in Whose Hands my soul is as soon as he lowered his hands, clouds gathered like mountains, and before he got down from the pulpit, and I saw the rain falling on the beard of the Prophet (ﷺ). It rained that day, the next day, the third day, the fourth day till the following Friday. The same Bedouin or another man stood up and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! The houses have collapsed, and our possessions and livestock have been drowned; Please invoke Allah (to protect us)". So the Prophet (ﷺ) I raised both his hands and said, "O Allah! Round about us and not on us". So, in whatever direction he pointed with his hands, the clouds dispersed and cleared away, and Medina's (sky) became clear as a hole in between the clouds. The valley of Qanat remained flooded, for one month, none came from outside but talked about the abundant rain.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ke zamane mein ek (1) martaba log qahet* mein mubtalaa hue. Daree’n-asna Nabi (ﷺ) juma ke din khutba irshad farma rahe the ke ek (1) eraabi** ne khade ho kar arz kiya: Allah ke Rasool! Maal talaf (barbaad) ho gaya aur bacche bhooko’n marne lagey, aap Allah se hamaare liye dua farmaiye. Aap ne dua ke liye apne dono haath uthaae aur us waqt hame’n aasmaan par abr ka ek tukda bhi nazar nahi aa-raha tha. Magar us zaat ki qasam jiske haath mei meri jaan hai! Aap apne haatho’n ko neeche bhi na kar paae the ke pahaado’n jaisa baadal ghir-aaya***. Phir aap mimbar se bhi na utre the ke maine aap ki daadhi mubarak par barish ke qatro’n ko tapakte dekha. Us din khoob baarish hui, aur doosre-teesre din bhi, phir chauthe din bhi, yahaa’n tak ke doosre juma tak ye silsila jaari raha. Uske baad wohi eraabi yaa koi doosra shakhs khada hua aur arz karne laga: Allah ke Rasool! Makanaat gir-gae aur maal garq ho gaya, is liye aap Allah se hamaare liye dua kare’n. Chunache aap ne (dono’n) haath uthakar farmaya: “Aye Allah! Hamaare aas-paas baarish ko barsa, magar ham par na barsa”. Phir aap us waqt abr ke jis tukde ki taraf ishaara farmate wo hat-jaata, aakhir-kaar madina talaab ki tarah ho gaya aur waadi-e-qanaat mahina-bhar khoob behti rahi, phir jis taraf se bhi koi shaksh aata wo barish ki kasrat bayan karta tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 933

 : Book 11, Hadith 58
 
*Khush-saali, sookha, bohot ziyaada kami
 : **Arab ka sehra-nasheen, arab ka baddu, dehaati
 : *** Umand aana, chaa-jaana, jhoom kar aana





Baab 36: Juma Ke Din Dauran-e-Khutba Mein Khamoshi Ikhteyar Karna







Jab koi dauran-e-khutba apne saathi ko khamoshi ikhteyar karne ke mutaalliq kehta hai to yaqeenan wo laghoo baat karta hai. Hazrat Salman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) se riwayat karte hue kehte hain ke aap ne farmaya: “Jab imam guftagu karta hai to wo khamoshi ikhteyar karta hai”.




Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) said, "When the Imam is delivering the Khutba, and you ask your companion to keep quiet and listen, no doubt you have done an evil act."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar toone dauran-e-khutba mein apne saathi se keh diya ke khamosh reh, to toone laghoo aur be-hooda baat ki”.



Reference : Sahih al-Bukhari 934

 : Book 11, Hadith 59




Baab 37: Us Ghadi Ka Bayan Jo Juma Ke Din Hoti Hai






Narrated Abu Huraira:

Allah's Apostle (ﷺ) talked about Friday and said, "There is an hour (opportune time) on Friday and if a Muslim gets it while praying and asks something from Allah, then Allah will definitely meet his demand." And he (the Prophet (ﷺ)) pointed out the shortness of that time with his hands.


Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne juma ke dauran wa’az* farmaya: “Is mein ek (1) aisee ghadi hai, ke agar theek us ghadi mein banda-e-muslim khada ho kar namaz padhe aur Allah Ta’ala se koi cheez maange to Allah Ta’ala usko wo cheez zaroor ataa karta hai”. Aur aap ne apne haath se ishaara karke bataaya ke wo ghadi thodi der ke liye aati hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 935

 : Book 11, Hadith 60
 
: Also see Hadith No. 
5294, 6400
 : *Naseehat, talqeen, hidaayat, mazhabi taqreer 





Baab 38: Agar Namaz-e-Juma Mein Kuch Log Imam Ko Chodkar Chale Jaae’n To Imam Aur Baaqi-maanda Namaziyo’n Ki Namaz Saheeh Hogi








Narrated Jabir bin 'Abdullah:

While we were praying (Jumua Khutba & prayer) with the Prophet (ﷺ), some camels loaded with food, arrived (from Sham.~ The people diverted their attention towards the camels (and left the mosque), and only twelve persons remained with the Prophet (ﷺ). So this verse was revealed: "But when they see Some bargain or some amusement, They disperse headlong to it, And leave you standing." (Quran 62.11)


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz padh rahe the ke achanak ek tijarati qaafila aaya, jin ke saath oonto’n par ghalla* lada hua tha. Log us qaafile ki taraf daud pade, hatta ke Nabi (ﷺ) ke hamraah sirf 12 aadmi reh gae. Us par ye aayat naazil hui:
“Aur Jab Wo (log) Tijarat Ka Maal Yaa Khel-kood Ka Saamaan Dekhte Hain To Aapko Khada Chod Kar Uski Taraf Daud Jaate Hain”. [Surah Juma: 11]



Reference : Sahih al-Bukhari 936

 : Book 11, Hadith 61
 
: Also see Hadith No. 
258, 264, 4899
 : *Anaaj, daana jo zameen se ugey 





Baab 39: Juma Ke Baad Aur Usse Pehle Sunnate’n Padhna






Narrated 'Abdullah bin Umar:

Allah's Apostle (ﷺ) used to pray two Rakat before the Zuhr prayer and two Rakat after it. He also used to pray two Rakat after the Maghrib prayer in his house, and two Rakat after the 'Isha' prayer. He never prayed after Jumua prayer till he departed (from the Mosque), and then he would pray two Rakat at home.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) zohar se pehle do (2) rakate’n aur uske baad do (2) rakate’n, nez maghrib ke baad apne ghar mein do (2) rakate’n aur namaz-e-isha ke baad do (2) rakate’n padhte the. Juma ke baad namaz nahi padhte the, ta-aa’nke ghar laut aate. Waapas aakar do (2) rakate’n padhte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 937

 : Book 11, Hadith 62
 
: Also see Hadith No. 
1165, 1172, 1180 





Baab 40: Irshad-e-Baari Ta’ala Ke “Jab Namaz Poori Ho Jaae To Zameen Mein Phail Jaao Aur Allah Ka Fazal Talash Karo”. [Surah Juma: 10]








Narrated Sahl bin Sad:

There was a woman amongst us who had a farm and she used to sow Silq (a kind of vegetable) on the edges of streams on her farm. On Fridays, she used to pull out the Silk from its roots and put the roots in a utensil. Then she would put a handful of powdered barley over it and cook it. The roots of the Silk were a substitute for meat. After finishing the Jumua prayer we used to greet her and she would give us that food which we would eat with our hands, and because of that meal, we used to look forward to Friday.


Ravi Hazrat Sahal bin Saad Saa’di (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham mein ek aurat thi, jisne choti si neher ke kinare apne khet mein chuqandar* kaasht** kar rakhe the. Jab juma ka din hota to chuqandar ke chand paode jado’n se kheench laati aur unhe’n handiya mein daal kar pakaati. Uske oopar mutthi bhar jao*** ka aata daalti j usne pees kar rakha hua tha. Taiyyaar hone ke baad wo chuqandar (zaaeqe mein) you’n lagte jis tarah haddi par laga gosht hota hai. Jab ham namaz-e-juma se faarigh hote to us aurat ke paas aakar usey salaam karte aur wo taiyyaar shuda khana hamaare paas laakar rakh deti thi, to ham usey tanaawul karte the, chunache ham logo’n ko uske us khane ki wajah se juma ke din ki tamanna hoti thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 938

 : Book 11, Hadith 63 
 
: Also see Hadith No. 
939, 941, 2349, 5403, 6248, 6279
 : *Shaljam ki qism mein se surkh rang ki ek (1) tarkaari
 : ** Kheti, ziraa-at
 : *** Ek (1) qism ka anaaj jo zardi-maael safed rang ka chilkedaar hota hai,
         iski shakl gehoon se kisi qadar mukhtalif hoti hai
 




Narrated Sahl:

As above with the addition: We never had an afternoon nap or meals except after offering the Jumua prayer.


Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Wo mazkoora hadees ke saath ye bhi farmate the ke ham namaz-e-juma ke baad hi dopaher ka khana tanaawul karte aur qaeloola karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 939

 : Book 11, Hadith 64




Baab 41: Juma Ke Baad Qaeloola Karna






Narrated Anas:

We used to offer the Jumua prayer early and then have the afternoon nap.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Ham juma ki namaz jaldi adaa kar lete, phir (faraaghar ke baad) qaeloola karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 940

 : Book 11, Hadith 65


Narrated Sahl:

We used to offer the Jumua prayer with the Prophet (ﷺ) and then take the afternoon nap.


Ravi Hazrat Sahal bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham log Nabi (ﷺ) ke hamraah namaz-e-juma padhte the, phir hamaara qaeloola hota tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 941

 : Book 11, Hadith 66






PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT