SAHEEH AL-BUKHARI VOLUME-2

23: Kitab-ul-Janaaiz
(Janaaze Se Mutaalliq Ahkaam-o-Masaael)
[Funerals (Al-Janaa'iz)/كتاب الجنائز]
[1237 To 1394]





Baab 1: Jiska Aakhri Kalaam “لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ” Ho






Hazrat Wahab bin Munabba se poocha gaya “ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ” Jannat ki chaabi nahi? 
Unho’n ne farmaya: Kyou’n nahi, lekin har chaabi ke dandaane hote hain. Agar tu aisee chaabi laae jiske dandaane hain to taala khul jaaega, ba-soorat-e-deegar nahi khulega.






Narrated Abu Dhar:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Someone came to me from my Lord and gave me the news (or good tidings) that if any of my followers dies worshipping none (in any way) along with Allah, he will enter Paradise."
I asked, "Even if he committed illegal sexual intercourse (adultery) and theft?" 
He replied, "Even if he committed illegal sexual intercourse (adultery) and theft."


Ravi Hazrat Abu Zar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Mere Rabb ki taraf se mere paas aane waala aaya aur mujhe khush-khabri di ke meri ummat mein se jo shakhs baaee’n haalat faut hoke wo Allah ke saath kisi ko shareek na karta ho to wo Jannat mein daakhil hoga”. 
Maine arz kiya: Agarche usne zina kiya ho aur chori ki ho? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haa’n, agarche usne zina kiya ho aur chori ki ho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1237

 : Volume 2, Book 23, Hadith 1
 
: Also see Hadith No. 
1408, 2388, 3222, 5827, 6268, 6443, 6444, 8487 




Narrated 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Anyone who dies worshipping others along with Allah will definitely enter the Fire." 
I said, "Anyone who dies worshipping none along with Allah will definitely enter Paradise."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs is haal mein faut hoke wo Allah ke saath shirk karta ho, wo dozakh mein daakhil hoga”. 
Maine kehta hoo’n: Jo shakhs is haal mein faut hoke Allah ke saath kisi ko shareek na karta ho, wo janant mein daakhil hoga.



Reference : Sahih al-Bukhari 1238

 : Volume 2, Book 23, Hadith 2
 
: Also see Hadith No. 
4497, 6683 





Baab 2: Janaze Mein Shareek Hone Ka Hukum






Narrated Al-Bara' bin 'Azib:

Allah’s Apostle (ﷺ) ordered us to do seven things and forbade us to do the other seven. He ordered us:
1. To follow the funeral procession. 
2. To visit the sick, 
3. To accept invitations, 
4. To help the oppressed, t
5. To fulfil the oaths, 
6. To return the greeting and 
7. To reply to the sneezer: (saying, "May Allah be merciful on you," provided the sneezer says, "All the praises are for Allah,"). 

He forbade us:
1. To use silver utensils and
2. To use silver dishes and 
3. To wear golden rings, 
4. Silk (clothes), 
5. Dibaj (pure silk cloth), 
6. Qissi (kinds of silk cloths) and 
7. Istabraq (kinds of silk cloths).


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n saat (7) baato’n ka hukum diya aur saat (7) cheezo’n se manaa farmaya. Jin baato’n ka hukum diya tha wo: 
1. Janazo’n ke hamraah jaana, 
2. Mareez ki iyaadat karna, 
3. Daawat qubool karna, 
4. Mazloom ki madad karna, 
5. Qasam ka poora karna, 
6. Salaam ka jawab dena, aur 
7. Chee’nkne waale ke liye dua karna hain. 

Aur jin cheezo’n se manaa farmaya wo: 
1. Chaandi ke bartano’n ka istemaal aur 
2. Chaandi ki plateon ka istemaal
3. Sone ki anghoti, 
4. Resham,
5. Deeba (Rangeen aur dabeez qism ka qeemti reshmi kapda jis par sunehra, chaandi-e-rang ka ubhra hua kaam bana hota hai)
6. Qazz (Kaccha resham, ghatiya qism ka resham) 
7. Istabraq (Mota zartaar reshmi kapda) pehenna



Reference : Sahih al-Bukhari 1239

 : Volume 2, Book 23, Hadith 3
 : Also see Hadith No. 2445 5175 5635 5650 5838 5749 5863 6222 6235 6654 




Narrated Abu Huraira:

I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying, "The rights of a Muslim on the Muslims are:
1. To respond to the salaam, 
2. Visiting the sick,
3. To follow the funeral processions, 
4. To accept invitations and 
5. To reply to the sneezer. 


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Rasool Allah (ﷺ) ko farmate hue suna: “Musalman ke musalman par paanch (5) haq hain: 
1. Salam ka jawab dena, 
2. Mareez ki iyaadat karna, 
3. Janaaze mein shareek hona, 
4. Daawat ka qubool karna, aur 
5. Cheenkne waale ko dua dena”.

Abdur Razzaq ne Amr bin Abi Salama ki mataaba-at ki aur kaha ke hame’n Ma’amar ne khabar di hai, nez is hadees ko Salaamah bin Rooh ne Aqeel se bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1240

 : Volume 2, Book 23, Hadith 4
 : Also see Hadith No. 1239  





Baab 3: Wafaat Ke Baad Jab Maiyyat Kafan Mein Lapet Di Jaae to Uske Paas Jaana







Narrated 'Aisha:

Abu Bakr came riding his horse from his dwelling place in As-Sunh. He got down from it, entered the Mosque and did not speak with anybody till he came to me and went direct to the Prophet (ﷺ), who was covered with a marked blanket. Abu Bakr uncovered his face. He knelt down and kissed him and then started weeping and said, "My father and my mother be sacrificed for you, O Allah's Prophet (ﷺ)! Allah will not combine two deaths on you. You have died the death which was written for you."

Narrated Abu Salama from Ibn Abbas: Abu Bakr came out and 'Umar , was addressing the people, and Abu Bakr told him to sit down but 'Umar refused. Abu Bakr again told him to sit down but 'Umar again refused. Then Abu Bakr recited the Tashah-hud (i.e. none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah’s Apostle (ﷺ)) and the people attended to Abu Bakr and left 'Umar. 
Abu Bakr said, "Amma ba'du, whoever amongst you worshipped Muhammad, then Muhammad is dead, but whoever worshipped Allah, Allah is alive and will never die. Allah said: 'Muhammad is no more than an Apostle (ﷺ) and indeed (many) Apostle (ﷺ)s have passed away before him ..(up to the) grateful.' " (Quran 3.144) 
(The narrator added, "By Allah, it was as if the people never knew that Allah had revealed this verse before till Abu Bakr recited it and then whoever heard it, started reciting it")


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apne muqam-e-sakh waale ghar se ghode par sawaar ho kar aae to sawaari se utar kar masjid mein daakhil hue, logo’n se koi baat na ki, hatta ke Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gae aur Nabi (ﷺ) ka qasd kiya. Aap (ﷺ) ki dhaaridaar Yemeni chaadar mein lapeta gaya tha. Unho’n ne chadar hataa kar chehra khola aur jhuk kar aap ko bosa diya, phir ro-pade, aur farmaya: Allah ke Nabi (ﷺ)! Mere maa-baap aap par qurban! Allah Ta’ala aap par do maute’n jamaa nahi karega. Bahar-haal ek dafa jo maut aap ke muqaddar mein thi wo to aachuki hai.

Raawi Abu Salama kehte hain: Mujhe Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne bataaya ke jab Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) baahar aae to Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) logo’n se baate’n kar rahe the. 
Unse farmaya: Baith jaao. 
Unho’n ne (baithne se) inkaar kar diya. 
Aap ne unhe’n dobaara baithne ko kaha, lekin wo na baithe. 
To Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne khutba dena shuru kar diya. 
Chunache log Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko chodkar aap ki taraf mutawajja ho gae. 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Amma Ba’ad (أَمَّا بَعْدُ) ke baad farmaya: Tum mein se jo koi Hazrat Muhammad (ﷺ) ki ibaadat karta tha to Hazrat Muhammad (ﷺ) ab wafaat paa chuke hain, aur jo shakhs Allah Azzawajal ki ibaadat karta tha to wo zinda jawed hai. Usey maut nahi aaegi. 
Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٌۭ قَدْ خَلَتْ مِن قَبْلِهِ ٱلرُّسُلُ ۚ أَفَإِي۟ن مَّاتَ أَوْ قُتِلَ ٱنقَلَبْتُمْ عَلَىٰٓ أَعْقَـٰبِكُمْ ۚ وَمَن يَنقَلِبْ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ فَلَن يَضُرَّ ٱللَّهَ شَيْـًۭٔا ۗ وَسَيَجْزِى ٱللَّهُ ٱلشَّـٰكِرِينَ
Aur Muhammad (ﷺ) Ek (1) Rasool Hi To Hain. Unse Pehle Bhi Bohot Se Rasool Guzar Chuke Hain. Agar Wo Wafaat Paa Jaae’n, Yaa Shaheed Ho Jaae’n To Kya Tum Ulte Paao’n Phir Jaaoge?
Aur Koi Ulte Paao’n Phir Bhi Jaaega To Allah Ka Kuch Nahi Bigaad Sakta, Aur Shukar Guzaaro’n Ko Allah Ta’ala Jald Hi Accha Badla De Ga. [Surah Aale Imran: 144]

Allah ki qasam! Goya log pehle jaante hi na the ke Allah Ta’ala ne ye aayat naazil farmaai hai, hatta ke Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne usey padha aur unse logo’n ne ye aayat seekhi. Phir har shakhs ki zuban par is aayat ka wird tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1241, 1242

 : Volume 2, Book 23, Hadith 5
 
Hadees No. 1241-3667 3669 4452 4455 5710
 : Hadees No. 1242-3668 3670 4453 4454 4457 5711




Narrated Kharija bin Zaid bin Thabit:

Um Al-'Ala', an Ansari woman who gave the pledge of allegiance to the Prophet (ﷺ) said to me, "The emigrants were distributed amongst us by drawing lots and we got in our share 'Uthman bin Maz'un. We made him stay with us in our house. Then he suffered from a disease which proved fatal when he died and was given a bath and was shrouded in his clothes, Allah’s Apostle (ﷺ) came I said, 'May Allah be merciful to you, O Abu As-Sa'ib! I testify that Allah has honoured you. 
The Prophet (ﷺ) said, 'How do you know that Allah has honoured him?' 
I replied, 'O Allah’s Apostle (ﷺ)! Let my father be sacrificed for you! On whom else shall Allah bestow His honour?' 
The Prophet (ﷺ) said, 'No doubt, death came to him. By Allah, I too wish him good, but by Allah, I do not know what Allah will do with me though I am Allah’s Apostle (ﷺ). ' By Allah, I never attested the piety of anyone after that."


Ravi Kharija bin Zaid bin Thabit:

Ek (1) Ansari khatoon Hazrat Umme A’alaai se riwayat hai (jo un aurto’n mein shamil hain) jinho’n ne Nabi (ﷺ) ki bait ki thi. Unho’n ne farmaya: Jab muhajireen ba-zariya-e-qura andaazi taqseem hue to hamaare hisse mein Hazrat Usman bin Mazoon (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae, jinhe’n ham apne ghar le aae aur wo achaanak marz-e-wafaat mein mubtalaa ho gae. Jab wo faut hue to unhe’n ghusl diya gaya aur unhi ke kapdo’n mein kafnaaya gaya. Daree’n asna Rasool Allah (ﷺ) tashreef laae to maine kaha: Aye Abu Saaeb! Tum par Allah ki rahmat ho. Tumhare liye meri shahadt ye hai ke Allah Ta’ala ne tumhe’n sarfaraz kar diya hai.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tumhe’n kya maaloom ke Allah Ta’ala ne unhe’n izzat di hai?”
Maine arz kiya: Allah ke Rasool! Mere maa-baap aap par qurban ho’n! To phir Allah Ta’ala kisey safaraz karega?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bila-shubha unhe’n acchi haalat mein maut aai hai. Wallah! Main bhi unke liye bhalai ki ummeed rakhta hoo’n, lekin Allah ki qasam! Main Allah ka rasool ho kar bhi apne mutalliq nahi jaanta ke mere baare mein kya muaamala kiya jaaega?”
Hazrat Umme A’alaai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) kehti hain: Allah ki qasam! Uske baad maine kisi ke pakbaaz hone ki shahadat nahi di.
Saeed bin Ufair ne bhi Lais se isi tarah bayan kiya hai. Naafe bin Yazeed ne Uqail raawi se ye alfaaz bayan kiye hain: “Main nahi jaanta ke Usman ke saath kya muaamala kiya jaaega”.
Shuaib, Amr bin Dinar aur Ma’amar ne Uqail ki mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1243

 : Volume 2, Book 23, Hadith 6
 : Also see Hadith No. 2687 3929 7003 7004 7018 




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

When my father was martyred, I lifted the sheet from his face and wept and the people forbade me to do so but the Prophet (ﷺ) did not forbid me. Then my aunt Fatima began weeping and the Prophet (ﷺ) said, "It is all the same whether you weep or not. The angels were shading him continuously with their wings till you shifted him (from the field)."


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Mere waalid jab (ghzwa-e-uhud mein) Shaheed hue to main baar-baar unke chehre se parda hataata aur rota tha. Log mujhe usse mana karte the, lekin Nabi (ﷺ) mujhe manaa nahi farmate the. Phir meri phoophi Hazrat Fatima (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) bhi rone lagi to Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tu ro, yaa na ro, farishte to un par apne paro’n ka saaya kiye rahe, hata ke tum ne umhe’n uthaa liya”.

Ibne Juraij ne Shu’ba ki mataaba-at ki hai. Unho’n ne kaha: Mujhe Muhammad bin Munkadir ne khabar di ke unho’n ne Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1244

 : Volume 2, Book 23, Hadith 7
 : Also see Hadith No. 1293 2816 4080 





Baab 4: Jo Shakhs Maiyyat Ke Azizo’n Ko Uske Marne Ki Khud Khabar De







Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) informed (the people) about the death of An-Najashi on the very day he died. He went towards the Musalla (praying place) and the people stood behind him in rows. He said four Takbirs (i.e. offered the Funeral prayer).


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne Hazrat Najjashi ke faut hone ki khabar sunaai jis din wo faut hue the. Phir aap eid-gaah tashreef le gae, safe’n durust karne ke baad chaar (4) takbeere’n kahee’n aur uski namaz-e-janaza adaa ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 1245

 : Volume 2, Book 23, Hadith 8
 : Also see Hadith No. 1318 1327 1328 1333 3880 3881 




Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) said, "Zaid took over the flag and was martyred. Then it was taken by Jafar who was martyred as well. Then 'Abdullah bin Rawaha took the flag but he too was martyred and at that time the eyes of Allah’s Apostle (ﷺ) were full of tears. Then Khalid bin Al-Walid took the flag without being nominated as a chief (beforehand) and was blessed with victory."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “(Jung-e-Mu’tah mein) Pehle Hazrat Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jhanda uthaya aur wo saheed ho gae. Phir Hazrat Jafar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jhanda uthaya aur wo bhi Shaheed ho gae. Aakhir mein Hazrat Abdullah bin Rawaaha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne jhanda uthaya to wo bhi Shaheed ho gae …us waqt Rasool Allah (ﷺ) ki aankhe’n ashkbaar* theen… Phir Hazrat Khalid bin Waleed (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne salaari ke baghair hi jhanda uthaya to unke haatho’n fatah hui”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1246

 : Volume 2, Book 23, Hadith 9
 : Also see Hadith No. 
2798 3063 3630 3757 4262
 : *Aansu barsaane waala, rone waala



Baab 5: Janaze Ki Ittela Dena






Hazrat Abu Raafe, Syedna Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat karte hain, unho’n ne kaha: Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tum logo’n ne mujhe (namaz-e-janaza ki) ittela kyou’n na di”.




Narrated Ibn Abbas:

A person died and Allah’s Apostle (ﷺ) used to visit him. He died at night and (the people) buried him at night. In the morning they informed the Prophet (ﷺ) (about his death). He said, "What prevented you from informing me?" 
They replied, "It was night and it was a dark night and so we disliked to trouble you." 
The Prophet (ﷺ) went to his grave and offered the (funeral) prayer.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) shakhs ki iyaadat kiya karte the. Wo raat ke waqt faut ho gaya to logo’n ne usey raat hi ko dafan kar diya. Jab subah hui to unho’n ne uske mutalliq Rasool Allah (ﷺ) ko ittela di. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe (raat ke waqt hi) khabar dene se tumhe’n kis cheez ne baaz rakha?” 
Unho’n ne arz ki: Raat ka waqt tha aur sakht andhera tha, is liye ham ne aap ko takleef dena munaasib na samjha. 
Chunache aap (ﷺ) uski qabar par tashreef le gae aur namaz-e-janaza padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1247

 : Volume 2, Book 23, Hadith 10





Baab 6: Us Shakhs Ki Fazilat Jiska Koi Bacha Mar Jaae To Wo Sawaab Ki Ummeed Se Sabr Kare







Irshad-e-Baari Ta’ala hai: “Aap sabr karne waalo’n ko khush-khabri suna de’n”.


Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "A Muslim whose three children die before the age of puberty will be granted Paradise by Allah due to his mercy for them."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jis musalman ke teen (3) na-baaligh bacche mar jaae’n to Allah Ta’ala baccho’n par apni inaayat ziyada hone ke baais usey Jannat mein daakhil farmaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1248

 : Volume 2, Book 23, Hadith 11
 
: Also see Hadith No. 1381
 




Narrated Abu Sa'id:

The women requested the Prophet (ﷺ), "Please fix a day for us." So the Prophet (ﷺ) preached to them and said, "A woman whose three children died would be screened from the Hell Fire by them," Hearing that, a woman asked, "If two died?" 
The Prophet (ﷺ) replied, "Even two (would screen her from the (Hell) Fire."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Aurto’n ne Nabi (ﷺ) se arz kiya: Hamaare liye koi din muqarrar farma de’n, chunache aap ne unhe’n waaz kiya aur farmaya: “Jis aurat ke teen (3) bacche mar jaae’n wo dozakh ki aag se uske liye rukawat ban jaae’nge”. Ek (1) aurat ne kaha: Do (2) bhi? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Do (2) bhi (hijab bane’nge)”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1249

 : Volume 2, Book 23, Hadith 12




Narrated Abu Sa'id:

And Abu Huraira added, "Those children should be below the age of puberty."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki riwayat mein hai: “Wo bacche jo buloogh* ko na pohche ho’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1250

 : Volume 2, Book 23, Hadith 13
 
*Jawaani, shabaab, fikr-o-aqal ki pukhtagi haasil hone ki kaifiyat




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "No Muslim whose three children died will go to the Fire except for Allah's oath (i.e. everyone has to pass over the bridge above the lake of fire)."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab kisi musalman ke teen (3) bacche faut ho jaae’n wo dozakh mein daakhil nahi hoga, sirf qasam ko poora karne ke liye dozakh par waarid hoga”.

Abu Abdullah (Imam Bukhari) ne farmaya: Isse muraad hai, Allah ka farmaan:

وَإِنْ مِنْكُمْ إِلاَّ وَارِدُهَا‏
"Aur Tum Mein Se Har Shakhs Is (jahannum) Par Waarid Hone Waala Hai." [Surah Maryam: 71]



Reference : Sahih al-Bukhari 1251

 : Volume 2, Book 23, Hadith 14
 : Also see Hadith No. 6656 





Baab 7: Qabar Ke Paas Mard Ka Aurat Ko Sabr Ki Talqeen Karna







Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) passed by a woman who was sitting and weeping beside a grave and said to her, "Fear Allah and be patient."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ek (1) aurat ke paas se guzre jo qabar ke paas ro rahi thi. Aap ne usse farmaya: “Allah se dar aur sabr se kaam le”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1252

 : Volume 2, Book 23, Hadith 15
 : Also see Hadith No. 1283 1302 7154 





Baab 8: Maiyyat Ko Paani Aur Beri Ke Patto’n Se Ghusl Dena Aur Usey Wazoo Karana







Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Saeed bin Zaid ke bete ko khushboo lagaai, usey uthaaya aur namaz padhai, lekin wazoo nahi kiya.

Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Musalman zinda yaa murda napaak nahi hota. 
Hazrat Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Agar (Saeed bin Zaid ki) na’ash (نعش )* najis hoti to main usey naa choota. 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Momin napaak nahi hota”

*Insaan ka murda jism, laash, maiyyat, murda, janaaza




Narrated Um 'Atiyya al-Ansariya:

Allah’s Apostle (ﷺ) came to us when his daughter died and said, "Wash her thrice or five times or more, if you see it necessary, with water and Sidr and then apply camphor or some camphor at the end; and when you finish, notify me." 
So when we finished it, we informed him and he gave us his waist-sheet and told us to shroud the dead body in it.


Ravi Hazrat Umme Atiya Ansariya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab aap ki sahibzaadi faut huee’n to aap (ﷺ) hamaare paas tashreef laae aur farmaya: “Usey teen (3) yaa paanch (5) martaba ghusl do. Agar munaasib khayaal karo to usse ziyada baar bhi de sakti ho. Ghusl ke paani mein beri ke patte mila lo aur aakhir mein kuch kaafoor bhi istemaal karo, phir jab ghusl se faarigh ho jaao to mujhe ittela dena”. 
Chunache jab ham usey ghusl de kar faarigh huee’n to aap ko ittela di. 
Aap (ﷺ) ne hame’n apna the-band diya aur farmaya: “Is mein poora badan lapet do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1253

 : Volume 2, Book 23, Hadith 16





Baab 9: Maiyyat Ko Taaq Martaba Ghusl Dena Pasandeeda Hai







Narrated Um 'Atiyya:

Allah’s Apostle (ﷺ) came to us and we were giving a bath to his (dead) daughter and said, "Wash her three, five or more times with water and Sidr and sprinkle camphor on her at the end; and when you finish, notify me." 
So when we finished, we informed him and he gave us his waist sheet and told us to shroud her in it. Aiyub said that Hafsa narrated to him a narration similar to that of Muhammad in which it was said that the bath was to be given for an odd number of times, and the numbers 3, 5 or 7 were mentioned. It was also said that they were to start with the right side and with the parts which were washed in ablution, and that Um 'Atiyya also mentioned, "We combed her hair and divided them in three braids."


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) hamaare paas tashreef laae, jabke ham aap ki saahibzaadi ko ghusl de rahi thee’n. Aap ne farmaya: “Usey teen (3) yaa paanch (5) yaa usse ziyaada baar paani aur beri ke patto’n se ghusl do aur aakhri martaba kafoor shaamil kar lo. Jab tum ghusl se faarigh ho jaao to mujhe ittela dena”. 
Chunache ham ne faarigh ho kar aap ko ittela di to aap ne hame’n apna the-band diya aur farmaya: “Usey is mein lapet do”.

Ayyub Raawi kehte hain ke Mujhe Hafsa bint Sireen ne Muhammad bin Sireen ki tarah hadees bayan ki. Hafsa ki hadees mein hai: “Usey taaq adad mein ghusl do” aur us mein ye bhi hai: “Usey teen (3), paanch (5) yaa saat (7) martaba ghusl do”. 
Aur us mein ye bhi hai ke aap ne farmaya: “Uske daae’n azaa aur wazoo ki jagho’n se ghusl dena shuru karo”. 
Us hadees mein ye tha ke Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: “Ham mein se uske baalo’n mein kanghi karke uski teen (3) chotiya’n bana dee’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1254

 : Volume 2, Book 23, Hadith 17



Baab 10: (Ghusl e) Maiyyat Ke Daae’n Atraaf Se Shuru Kiya Jaae







Narrated Um 'Atiyya:

Allah’s Apostle (ﷺ), concerning his (dead) daughter's bath, said, "Start with the right side and the parts which are washed in ablution."


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ne apni sahibzaadi ko ghuls dene ke mutalliq farmaya: “Unki daae’n atraaf aur wazoo ke muqamaat se ghusl ka aghaaz kare’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1255

 : Volume 2, Book 23, Hadith 18





Baab 11: Maiyyat Ke Azaa-e-Wazoo






Narrated Um 'Atiyya:

When we washed the deceased daughter of the Prophet (ﷺ), he said to us, while we were washing her, "Start the bath from the right side and from the parts which are washed in ablution."


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab ham Rasool Allah (ﷺ) ki lakht-e-jigar ko ghusl dene lagee’n to aap ne farmaya: “Uske daae’n atraaf aur wazoo ke muqamaat se ghusl shuru karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1256

 : Volume 2, Book 23, Hadith 19





Baab 12: Kya Aurat Ko Mard Ke Tah-band Mein Kafnaaya Jaa Sakta Hai?







Narrated Um 'Atiyya:

The daughter of the Prophet (ﷺ) expired, and he said to us, "Wash her three or five times, or more if you see it necessary, and when you finish, notify me." 
So, (when we finished) we informed him and he unfastened his waist sheet and told us to shroud her in it.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ki lakht-e-jigar faut ho gaee’n to aap ne ham se farmaya: “Usey teen (3) yaa paanch (5) yaa agar zaroorat ho to ziyaada baar ghusl do, aur jab faarigh ho jaao to mujhe khabar do”.
Chunache jab ham faarigh ho gaee’n to ham ne aap ko ittela di. Aap ne apni kamar se tah-band khola aur farmaya: “Usey is mein lapet do”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1257

 : Volume 2, Book 23, Hadith 20





Baab 13: Aakhri Baar Paani Mein Kaafoor Milaaya Jaae






Narrated Muhammad:

Um 'Atiyya said, "One of the daughters of the Prophet (ﷺ) died and he came out and said, 'Wash her three or five times or more, if you think it necessary, with water and Sidr, and last of all put camphor (or some camphor) and when you finish, inform me.' " 
Um Atiyya added, "When we finished we informed him and he gave us his waist sheet and said, 'Shroud her in it.' " And Um 'Atiyya (in another narration) added, "The Prophet (ﷺ) said, 'Wash her three, five or seven times or more if you think it necessary.'" 
Hafsa said that Um 'Atiyya had also said, "We entwined her hair into three braids."


Ravi Muhammad:

Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) ki sahibzadiyo’n mein se ek (1) sahibzaadi faut ho gai to aap baahar tashreef laae aur farmaya: “Usey teen (3) baar yaa paanch (5) baar, aur agar munaasib khayaal karo to usse ziyada baar paani aur beri ke patto’n se ghusl do. Aur aakhri baar paani mein kaafoo* mila do. Jab faarigh ho jaao to mujhe ittela do”.
Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) kehti hain: Jab ham faarigh ho gaee’n to ham ne aap ko muttala kiya, aap ne hamari taraf apna tah-band phenka aur farmaya: “Usey is mein lapet do”.
Hazrat Ayyub raawi ne Hazrat Hafsa se, unho’n ne Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se bhi isi tarah ki riwayat ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 1258

 : Volume 2, Book 23, Hadith 21
 
*Safed aur tez khushboo ka gond umooman murde ki jism par malte hain




Narrated Hafsa bint Sirin:

Um 'Atiyya said that they had entwined the hair of the daughter of Allah’s Apostle (ﷺ) in three braids. They first undid her hair, washed and then entwined it in three braids."


Ravi Hafsa bint Sirin:

Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Usey teen (3) baar, ya paanch (5) baar, ya saat (7) baar, aur agar munasib khayaal karo to usse bhi ziyaada baar ghusl do”.
Hafsa ne kaha ke Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya: Ham ne uske baalo’n ki teen (3) mendhiya’n* banaae’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1259

 : Volume 2, Book 23, Hadith 22
 
*Baalo’n ki choti, latt (لٹ ) jise choti ki tarah goondha gaya ho





Baab 14: Maiyyat Aurat Ke Baal Kholna






Imam Ibne Sireen (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke (khatoon) maiyyat ke baal kholne mein koi harj nahi.


Narrated Hafsa bint Sirin:

Um 'Atiyya said that they had entwined the hair of the daughter of Allah’s Apostle (ﷺ) in three braids. They first undid her hair, washed and then entwined it in three braids."


Ravi Hafsa bint Sirin:
 
Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Aurto’n ne Rasool Allah (ﷺ) ki sahibzaadi ke baalo’n ki teen (3) mendhiya’n banaee’n, is tarah ke unho’n ne baal khole, unhe’n dhoya, phir unki teen (3) chotiya’n banaee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1260

 : Volume 2, Book 23, Hadith 23





Baab 15: Maiyyat Par Kapda Kaise Lapeta Jaae?






Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke paancho’n kapde ke saath qamees ke neeche dono’n raan aur siren lapete jaae’n.




Narrated Ibn Sirin:

Um 'Atiyya (an Ansari woman who gave the pledge of allegiance to the Prophet (ﷺ) ) came to Basra to visit her son, but she could not find him. She narrated to us, "The Prophet (ﷺ) came to us while we were giving bath to his (dead) daughter, he said: 'Wash her three times, five times or more, if you think it necessary, with water and Sidr, and last of all put camphor, and when you finish, notify me.' " 
Um 'Atiyya added, "After finishing, we informed him and he gave us his waist sheet and told us to shroud her in it and did not say more than that."


Ravi Muhammad bin Sireen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا)… wo ansaar ki un aurto’n mein se hain jinho’n ne Rasool Allah (ﷺ) ki bait bhi ki thi… Apne bete se mulaqaat ke liye basra aaee’n, lekin usey wahaa’n na paaya. Unho’n ne bayan kiya ke Nabi (ﷺ) hamaare paas tashreef laae, jabke ham aap ki sahibzaadi ko ghusl de rahi thee’n.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Usey teen (3) baar yaa paanch (5) baar, ya agar zaroorat ho t usse ziyada baar paani aur beri ke patto’n se ghusl do, aur aakhri baar us mein kaafoor milaao, aur jab faarigh ho jaao to mujhe ittela karo”.
Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Jab ham faarigh ho gaee’n to aap ne hamair taraf apna tah-band phenka aur farmaya: “Usey is mein lapet do”. Aur usse ziyada kuch na kaha.
Ibne Sireen kehte hain: Mujhe maaloom nahi wo aap ki kaunsi sahibzaadi thee’n.

Raawi ne kaha: Ash’aar ye hai ke usey chadar mein lapet do. Isi tarah Ibne Sireen aurat ke mutalliq hukum dete the ke usey kapde mein lapet diya jaae aur usey tah-band na bandha jaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1261

 : Volume 2, Book 23, Hadith 24 





Baab 16: Aurat Ke Baalo’n Ki Teen (3) Mendhiyaa’n Banadi Jaae’n







Narrated Um 'Atiyya:

We entwined the hair of the dead daughter of the Prophet (ﷺ) into three braids.
Waki said that Sufyan said, "One braid was entwined in front and the other two were entwined on the sides of the head."


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ham ne Nabi (ﷺ) ki sahibzaadi ke baal goondh* kar unki teen (3) mendhiya’n bana di thee’n.
Hazrat Wakee ne apne shaikh Hazrat Sufyan se uski tafseel bayan ki hai ke ek (1) peshaani ki taraf se baalo’n ki choti aur baaqi do (2) atraaf ke baalo’n ki chotiya’n muraad hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1262

 : Volume 2, Book 23, Hadith 25
 
*Mendhiyaan banana, choti banana, lambe baalo’n ki lado’n ko ek-doosre se milaa
    kar choti ki shakl dena





Baab 17: Faut-shuda Aurat Ke Baal (teen (3) chotiya’n banakar) Uske Peeche Daal diye Jaae’n







Narrated Um 'Atiyya:

One of the daughters of the Prophet (ﷺ) expired and he came to us and said, "Wash her with Sidr (water) for an odd number of times, i.e. three, five or more, if you think it necessary, and in the last, put camphor or (some camphor on her), and when you finish, notify me." 
So when we finished we informed him. He gave his waist sheet to us (to shroud her). We entwined the hair (of the deceased girl) in three braids and made them fall at her back.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ki sahibzadiyo’n mein se ek (1) sahibzaadi ka inteqal ho gaya to Nabi (ﷺ) hamaare paas tashreef laae aur farmaya: “(Paani mein) Beri ke patte daal kar usey teen (3) baar yaa paanch (5) baar, aur agar zaroorat mehsoos karo to usse bhi ziyaada baar ghusl do, aur aakhri baar (paani mein) mein kuch kaafoor ki aamezish kar do, aur jab faarigh ho gaee’n to aap ko ittela di. Aap ne hamari taraf apna tah-band phenka, ham ne unke baal goondh-kar teen (3) chotiya’n banaaee’n aur unhe’n baith kar peeche daal diya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1263

 : Volume 2, Book 23, Hadith 26



Baab 18: Kafan Ke Liye Safed Kapdo’n Ka Hona






Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) was shrouded in three Yemenite white Suhuliya (pieces of cloth) of cotton, and in them there was neither a shirt nor a turban."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ko teen (3) safed kapdo’n mein kafan diya gaya, jo Yemeni sahooli* rooi se bane hue the, un mein na to qamees thi aur na amaama.



Reference : Sahih al-Bukhari 1264

 : Volume 2, Book 23, Hadith 27
 
: Also see Hadith No. 
1271 1272 1273 1287
 : *Pieces of cloth (sunnah.com) 





Baab 19: Do (2) Kapdo’n Mein Kafan Dena






Narrated Ibn Abbas:

While a man was riding (his Mount) in 'Arafat, he fell down from it (his Mount) and broke his neck (and died). The Prophet (ﷺ) said, "Wash him with water and Sidr and shroud him in two pieces of cloth, and neither perfume him, nor cover his head, for he will be resurrected on the Day of Resurrection saying, 'Labbaik,' (i.e. like a pilgrim)."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs muqaam-e-arfa mein thehra hua tha ke achanak apni sawaari se gira, jisse uski gardan toot gai. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Usey paani aur beri ke patto’n se ghusl de kar do (2) kapdo’n mein kafan do. Magar hanoot (ek khushboo) na lagaana aur na uska sar dhaanpna, kyou’nke ye qiyamat ke din labbaik kehta hua uthaya jaaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1265

 : Volume 2, Book 23, Hadith 28
 
: Also see Hadith No. 
1266 1267 1268 1839 1849 1850 1851 





Baab 20: Maiyyat Ko Khushboo Lagaana






Narrated Ibn Abbas:

While a man was at 'Arafat (for Hajj) with Allah’s Apostle (ﷺ) the fell down from his Mount and broke his neck (and died). So Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Wash him with water and Sidr and shroud him in two pieces of cloth and neither perfume him nor cover his head, for Allah will resurrect him on the Day of Resurrection and he will be saying 'Labbaik."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs Rasool Allah (ﷺ) ke hamraah muqam-e-arfa mein thehra hua tha, ke achaanak apni sawaari se gir-pada jisse uski gardan toot gai.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Usey paani aur beri ke patto’n se ghusl de kar do (2) kapdo’n mein kafan do. Usey khusboo na lagaao, aur na auske sar hi ko dhaanpo, kyou’ne usey Allah Ta’ala qiyamat ke din is haal mein uthaaega ke ye talbiya keh raha hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1266

 : Volume 2, Book 23, Hadith 29





Baab 21: Mohrim Ko Kis Tarah Kafan Diya Jaae?






Narrated Ibn Abbas:

A man was killed by his camel while we were with the Prophet (ﷺ) and he was a Muhrim. So the Prophet (ﷺ) said, "Wash him with water and Sidr and shroud him in two pieces of cloth and neither perfume him nor cover his head, for Allah will resurrect him on the Day of Resurrection and he will be saying 'Labbaik'. "


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs ke oont ne uski gardan tod di, jabke ham sab Nabi (ﷺ) ke saath the. Aur wo shakhs mohrim tha.
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Usey paani aur beri ke patto’n se ghusl do, aur kafan ke liye do (2) kapde pehnao, nez usey khusboo na lagaao aur na uska sar hi dhaanpo, kyou’nke Allah Ta’ala usey qiyamat ke din is haalat mein uthaaega ke ye talbiya keh raha hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1267

 : Volume 2, Book 23, Hadith 30




Narrated Ibn Abbas:

A man fell from his Mount and died while he was with the Prophet (ﷺ) at 'Arafat. The Prophet (ﷺ) said, "Wash him with water and Sidr and shroud him in two pieces of cloth and neither perfume him nor cover his head, for he will be resurrected on the Day of Resurrection saying, 'Labbaik'."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) shakhs Nabi (ﷺ) ke hamraah muqam-e-arfa mein thehra hua tha. Wo apni sawaari se gir gaya.
Ayyub raawi ne kaha: “فوقصته” aur Amr ne kaha: “فأقصعته ”, yaane sawaari ne uski gardan tod di aur wo mar gaya.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Usey paani aur beri ke patto’n se ghusl do aur do (2) kapdo’n mein kafnao. Usey khusboo na lagaao aur na uska sar hi dhaanpo, kyou’nke ye qiyamat ke din uthega to talbiya pukaar raha hoga”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1268

 : Volume 2, Book 23, Hadith 31





Baab 22: Sili aur An-sili Qamees Mein Kafan Dena






Narrated Ibn 'Umar:

When 'Abdullah bin Ubai (the chief of hypocrites) died, his son came to the Prophet (ﷺ) and said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Please give me your shirt to shroud him in it, offer his funeral prayer and ask for Allah's forgiveness for him." So Allah’s Apostle (ﷺ) gave his shirt to him and said, "Inform me (When the funeral is ready) so that I may offer the funeral prayer." So, he informed him and when the Prophet (ﷺ) intended to offer the funeral prayer, 'Umar took hold of his hand and said, "Has Allah not forbidden you to offer the funeral prayer for the hypocrites? The Prophet (ﷺ) said, "I have been given the choice for Allah says: 

'(It does not avail) Whether you (O Muhammad) ask forgiveness for them (hypocrites), or do not ask for forgiveness for them. Even though you ask for their forgiveness seventy times, Allah will not forgive them. (Quran 9.80)" 

So the Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer and on that the revelation came: 

"And never (O Muhammad) pray (funeral prayer) for any of them (i.e. hypocrites) that dies." (Quran 9. 84)


Ravi Hazrat Abdullah Bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Abdullah bin Ubai (munafiq) mar gaya to uska beta Nabi (ﷺ) ki khidmat mein haazir hua aur arz kiya: Mujhe apni qamees inaayat farmae’n, take main apne baap ko us mein kafan doo’n. Nez aap uski namaz-e-janaza padhe’n, aur uske liye maghriat ki dua kare’n.
Nabi (ﷺ) ne usey apni qamees di aur farmaya: “Janaza taiyyaar ho jaae to mujhe ittela karna, main uska janaza padhu’nga”.
Chunache usne janaza taiyyaar hone ki aapko ittela kardi. Jab aap ne us par namaz-e-janaza padhne ka irada kiya to Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne aap ka daaman thaam kar arz kiya: Allah Ta’ala ne aapko munafiqeen ka janaza padhne se mana nahi farmaya?
Aap (ﷺ) ne jawab diya: “Mujhe do (2) baato’n ka ikhtiyar diya gaya hai. Irshad-e-Baari Ta’ala hai:”

‏‏اسْتَغْفِرْ لَهُمْ أَوْ لاَ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ إِنْ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ سَبْعِينَ مَرَّةً فَلَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ‏
"Aap Unke Liye Maghfirat Ki Dua Kare’n Ya Na Kare’n, Agar Unke Liye Sattar (70) Martaba Bhi Bakhshish Ki Dua Kare’nge To Allah Unhe’n Hargiz Moaaf Nahi Farmaega." [Surah Tauba: 80]

Chunache aap ne uski namaz-e-janaza padh di, to ye aayat naazil hui:

وَلاَ تُصَلِّ عَلَى أَحَدٍ مِنْهُمْ مَاتَ أَبَدًا
"Un Munafiqeen Mein Se Agar Koi Mar Jaae To Uski Namaz Na Padhna (aur na uski qabar hi par khade hona)." [Surah Tauba: 84]



Reference : Sahih al-Bukhari 1269

 : Volume 2, Book 23, Hadith 32
 : Also see Hadith No. 4670 4672 5796 




Narrated Jabir:

The Prophet (ﷺ) came to (the grave of) 'Abdullah bin Ubai after his body was buried. The body was brought out and then the Prophet (ﷺ) put his saliva over the body and clothed it in his shirt.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) Abdullah bin Ubai munaafiq ke dafan hone ke baad tashreef laae, usey qabar se baahar nikaala aur uske mu’n mein apna luaab* daala aur usey apni qamees pehnaai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1270

 : Volume 2, Book 23, Hadith 33
 : Also see Hadith No. 1350 3008 5795
 : *Zabaan se risne waali ratoobat ya nami, mu’n se nikalne waali ratoobat 





Baab 23: Qamees Ke Baghair Kafan Dena






Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) was shrouded in three pieces of cloth which were made of Suhul (a type of cotton), and neither a shirt nor a turban was used.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ko sahooliya basti ke taiyyaar-shuda teen (3) sooti kapdo’n mein kafan diya gaya, jin mein qamees aur pagdi nahi thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1271

 : Volume 2, Book 23, Hadith 34




Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) was shrouded in three pieces of cloth and neither a shirt nor a turban was used.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ko teen (3) kapdo’n mein kafan diya gaya. Un mein na to qamees thi aur na amaama.



Reference : Sahih al-Bukhari 1272

 : Volume 2, Book 23, Hadith 35





Baab 24: Amaama Ke Baghair Kafan Dena






Narrated Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) was shrouded in three pieces of cloth which were made of white Suhul and neither a shirt nor a turban were used.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ko teen (3) kapdo’n mein kafan diya gay, jin mein na to qamees thi aur na amaama hi tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1273

 : Volume 2, Book 23, Hadith 36



Baab 25: Kafan Ke Akhrajaat Maiyyat Ke Tamaam Maal Se Ho’n







Hazrat Ataa, Imam Zohri, janab Amr bin Dinar aur Hazrat Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne yehi kaha hai. Amr bin Dinar ne kaha ke khushboo waghaira bhi jamee maal se li jaaegi. Hazrat Ibrahim Nakhai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Maiyyat ke maal se pehle kafan-dafan ke akhrajaat minha* kiye jaae’n, phir qarz utaara jaae, phir wasiyyat waghaira ko jaari kiya jaae. Sufyan sori ne kaha hai: Qabar aur ghusl waghaira ki ujrat bhi kafan mein shamil hai.

*Ghataana, katoti karna, kam karna




Narrated Sad from his father:

Once the meal of 'Abdur-Rahman bin 'Auf was brought in front of him, and he said, "Musab bin 'Umar was martyred and he was better than I, and he had nothing except his Burd (a black square narrow dress) to be shrouded in. Hamza or another person was martyred and he was also better than I and he had nothing to be shrouded in except his Burd. No doubt, I fear that the rewards of my deeds might have been given early in this world." Then he started weeping.


Ravi Sad apne walid se:

Hazrat Abdur Rahman bin Awf (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas ek (1) din khana laaya gaya to farmaane lagey ke Musa’b bin Umair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko saheed kar diay gaya aur wo mujhse behtar the. Unke tarke se ek (1) chadar ke siwa kafan na mil saka. Isi tarah Hazrat Hamza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ya koi aur shakhs jo mujh se behtar tha, Shaheed kiya gaya to unke liye bhi ek (1) chaadar ke alaawa kafan muyassar na aa saka. Mujhe andesha hai ke mabaada hamari aakhirat ki paakiza cheez’n is duniyawi zindagi hi mein hame’n de di jaae’n. Uske baad unho’n ne rona shuru kar diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1274

 : Volume 2, Book 23, Hadith 37
 
: Also see Hadith No. 
1275 4045 





Baab 26: Agar Maiyyat Ke yahaa’n Sirf Ek (1) Hi Chaadar Mile To Kya Kiya Jaae?







Narrated Ibrahim:

Once a meal was brought to 'Abdur-Rahman bin 'Auf and he was fasting. He said, "Musab bin 'Umar was martyred and he was better than I and was shrouded in his Burd and when his head was covered with it, his legs became bare, and when his legs were covered his head got uncovered.
Hamza was martyred and was better than I. Now the worldly wealth has been bestowed upon us (or said a similar thing). No doubt, I fear that the rewards of my deeds might have been given earlier in this world." Then he started weeping and left his food.


Ravi Hazrat Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Abdur Rahman bin Awf (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas khana laaya gaya, jabke wo roze ki haalat mein the.
Unho’n ne farmaya: Hazrat Musa’b bin Umair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) shaheed kiye gae, halaa’nke wo mujhse behtar the. Unhe’n sirf ek (1) hi chaadar mein kafan diya gaya. Agar unka sar dhaanpa jaata to paao’n khul jaate, aur agar unke paao’n chupaae jaate to sar khul jaata.
Raawi kehte hain: Mere khayaal ke mutaaibq unho’n ne ye bhi kaha: Hazrat Hamza (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) shaheed kiye gae, halaa’nke wo bhi mujhse behtar the, phir ham par duniya ke darwaze khol diye gae. Hame’n khatra hai ke kahee’n hamari nekiyo’n ka badla hame’n duniya hi mein na de diya gaya ho. Phir unho’n ne rona shuru kar diya, hatta ke khana chodh diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1275

 : Volume 2, Book 23, Hadith 38





Baab 27: Jab Kafan Ke Liye Itna Kapda Muyassar Ho Ke Usse Sar Aur Paao’n Dono Ekatthe Na Dhaanpe Jaa Sake’n To Sar Ko Dhaanp Diya Jaae








Narrated Khabbab:

We emigrated with the Prophet (ﷺ) in Allah's cause, and so our reward was then surely incumbent on Allah. Some of us died and they did not take anything from their rewards in this world, and amongst them was Musab bin 'Umar, and the others were those who got their rewards. Musab bin 'Umar was martyred on the day of the Battle of Uhud and we could get nothing except his Burd to shroud him in. And when we covered his head his feet became bare and vice versa. So the Prophet (ﷺ) ordered us to cover his head only and to put idhkhir (a kind of shrub) over his feet.


Ravi Hazrat Khabbab bin Arat (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham ne Nabi (ﷺ) ke hamraah hijrat ki. Hamara maqsad sirf Allah ki raza-joi* tha. Ab hamaara ajar Allah Ta’ala ke zimme tha. Ham mein se baaz hazraat faut hue to unho’n ne duniya mein apne ajar ka kuch hissa bhi nahi khaya. Hazrat Musa’b bin Umair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi aise logo’n mein se the, aur kuch aise bhi hain jin ka phal pak chuka hai, aur wo chun-chun kar kha rahe hain. Hazrat
Musa’b bin Umair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) jung-e-uhud mein shaheed hue to hame’n (unke tarke mein) kafan ke liye ek (1) choti si chaadar ke alaawa kuch na mila. Jab ham unka sar chupaate to paao’n khul jaate aur jab paao’n dhaanpte to sar zaahir ho jaata. Chunache Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n hukum diya ke ham unka sar dhaanp de’n aur unke qadmo’n par azkhar naami ghaas daal de’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1276

 : Volume 2, Book 23, Hadith 39
 : Also see Hadith No. 3897 3913 3914 4047 4082 6432 6448
 : *Ijaazat ki khwahish, ijaazat-talabi 





Baab 28: Zamaana-e-Nabuwwat Mein Jisne Apna Kafan Taiyyaar Kiya Aur Us Par Koi Eteraaz Na Hua







Narrated Sahl:

A woman brought a woven Burda (sheet) having edging (border) to the Prophet (ﷺ), Then Sahl asked them whether they knew what is Burda, they said that Burda is a cloak and Sahl confirmed their reply. 
Then the woman said, "I have woven it with my own hands and I have brought it so that you may wear it." 
The Prophet (ﷺ) accepted it, and at that time he was in need of it. So he came out wearing it as his waist sheet. 
A man praised it and said, "Will you give it to me? How nice it is!" 
The other people said, "You have not done the right thing as the Prophet (ﷺ) is in need of it and you have asked for it when you know that he never turns down anybody's request." 
The man replied, "By Allah, I have not asked for it to wear it but to make it my shroud." 
Later it was his shroud.


Ravi Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek aurat Nabi (ﷺ) ke liye taiyyaar-shuda haashiya-daar chaadar laai, tumhe’n maaloom hai ke “bardah” kya cheez hai?
Logo’n ne kaha: Chaadar ko kehte hain.
To unho’n ne kaha: Haa’n.
Al-gharz aurat ne kaha: Maine us chadar ko apne haath se taiyyaar kiya hai, aur aapko pehnaane ke liye laai hoo’n.
Nabi (ﷺ) ko us waqt zaroorat bhi thi, is liye usey qubool farma liya. Phir aap baahar tashreef laae to wo chadar aap ki izaar thi.
Ek (1) shaksh ne uski taareef ki aur kehne laga kya hi umda chaadar hai, ye mujhe inaayat kar deejiye. Logo’n ne usse kaha: Toone accha nahi kiya, kyou’nke Nabi (ﷺ) ne intehai zaroorat ke pesh-e-nazar usey zeb-tan kiya tha, magar toone usey maang liya hai aur tujhe ilm hai ke Aap (ﷺ) kisi ka sawal radd nahi karte.
Us shakhs ne kaha: Allah ki qasam! Maine usey pehenne ke liye nahi maanga, balke is liye ke wo mere kafan ho.
Hazrat Sahal (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) farmate hain ke phir wohi chaadar us shakhs ka kafan bani.



Reference : Sahih al-Bukhari 1277

 : Volume 2, Book 23, Hadith 40





Baab 29: Khawateen Ka Janaze Ke Hamraah Jaana






Narrated Um 'Atiyya:

We were forbidden to accompany funeral processions but not strictly.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hame’n janaze ke saath chalne se mana kiya gaya, lekin is silsile mein ham par sakhti nahi ki jaati thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1278

 : Volume 2, Book 23, Hadith 41
 : Also see Hadith No. 8510 6036 





Baab 30: Aurat Ka Shauhar Ke Alaawa Kisi Doosre Shakhs Par Sog Karna







Narrated Muhammad bin Sirin:

One of the sons of Um 'Atiyya died, and when it was the third day she asked for a yellow perfume and put it over her body, and said, "We were forbidden to mourn for more than three days except for our husbands."


Ravi Muhammad bin Sireen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ka beta faut ho gaya, jab teesra din hua to unho’n ne zard rang ki khushboo mangwaai aur usey badan par lagaaya aur farmaya ke hame’n khaawind ke alaawa kisi doosre par teen (3) din se ziyaada sog manaane se manaa kiya gaya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1279

 : Volume 2, Book 23, Hadith 42




Narrated Zainab bint Abi Salama:

When the news of the death of Abu Sufyan reached Sham, Um Habiba on the third day, asked for a yellow perfume and scented her cheeks and forearms and said, "No doubt, I would not have been in need of this, had I not heard the Prophet (ﷺ) saying: "It is not legal for a woman who believes in Allah and the Last Day to mourn for more than three days for any dead person except her husband, for whom she should mourn for four months and ten days."


Ravi Hazrat Zainab bint Abi Salmah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab ilaaqa-e-sham se Hazrat Abu Sufyan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke faut hone ki ittela aai to Hazrat Umme Habiba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne teesre roz zard rang ki khushboo mangwaai aur usey apne haatho’n aur rukhsaaro’n par lagaaya aur farmaya: Agarche mujhe iski qat-an zaroorat na thi, lekin maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate suna hai: “Jo aurat Allah par imaan aur yaum-e-akhirat par yaqeen rakhti ho, uske liye ye halaal nahi ke wo kisi maiyyat par teen (3) din se ziyaada sog karey, lekin usey apne khaawind par chaar (4) maah dus (10) din tak sog karna chaahiye”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1280

 : Volume 2, Book 23, Hadith 43 
 : Also see Hadith No. 1281 5334 5339 5345 




Narrated Zainab bint Abi Salama:

I went to Um Habiba, the wife of Prophet (ﷺ), who said, "I heard the Prophet (ﷺ)s saying, 'It is not legal for a woman who believes in Allah and the Last Day to mourn for any dead person for more than three days except for her husband, (for whom she should mourn) for four months and ten days." 


Ravi Hazrat Zainab bin Abi Salmah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Main Nabi (ﷺ) ki zauja-e-mohtarma Umme Habiba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gai to unho’n ne kaha: Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai: “Jo aurat Allah aur yaum-e-akhirat par yaqeen-o-imaan rakhti hai, uske liye jaaez nahi ke wo shauhar ke siwa kisi doosri maiyyat par teen (3) din se ziyaada sog kare. Albatta usey shauhar ke marne par chaar (4) maah dus (10) din tak sog karna chaahiye”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1281

 : Volume 2, Book 23, Hadith 44




Narrated Zainab bint Abi Salama:

Later I went to Zainab bint Jahsh when her brother died; she asked for some scent, and after using it she said, "I am not in need of scent but I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying, 'It is not legal for a woman who believes in Allah and the Last Day to mourn for more than three days for any dead person except her husband, (for whom she should mourn) for four months and ten days.' "


Ravi Hazrat Zainab bin Abi Salmah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Phir main (Ummul Momineen) Hazrat Zainab bint Jahash (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas gai, jabke unka bhai faut ho gaya tha to unho’n ne khusboo mangwa kar apne badan par lagaai. Phir farmaya: Mujhe khushboo ki zaroorat na thi, magar maine Rasool Allah (ﷺ) ko mimbar par ye kehte hue suna hai: “Kisi bhi aurat ke liye, jo Allah par imaan aur yaum-e-akhirat par yaqeen rakhti ho, jaaez nahi ke kisi maiyyat par teen (3) din se ziyaada sog kare, lekin usey apne khaawind par chaar (4) maah dus (10) din tak sog karna chaahiye”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1282

 : Volume 2, Book 23, Hadith 45
 : Also see Hadith No. 5335 



Baab 31: Qabro’n Ki Ziyaarat Karna






Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) passed by a woman who was weeping beside a grave. He told her to fear Allah and be patient. She said to him, "Go away, for you have not been afflicted with a calamity like mine." And she did not recognize him. 
Then she was informed that he was the Prophet (ﷺ) . so she went to the house of the Prophet (ﷺ) and there she did not find any guard. 
Then she said to him, "I did not recognize you." 
He said, "Verily, the patience is at the first stroke of a calamity."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) dafa Nabi (ﷺ) ka ek (1) aurat ke paas se guzar hua, jo qabar ke paas baithi ro rahi thi.
Aap (ﷺ) ne usse farmaya: “Allah se dar aur sabr kar”.
Wo aap (ﷺ) ko na pehchaan saki aur kehne lagi: Mujh se door raho, kyou’nke tumhe’n mujh jaisi museebat nahi pohchhi.
Jab usey bataaya gaya ke ye to Nabi (ﷺ) the to wo (maazarat ke liye) Nabi (ﷺ) ke dar-e-daulat par haazir hui. Usne aapke darwaze par koi darban na dekha, haazir ho kar arz karne lagi: Maine aap ko pehchaana nahi tha (mujhe moaaf farma deejiye).
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Sabr to sadme ke aghaaz mein hota hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1283

 : Volume 2, Book 23, Hadith 46





Baab 32: Irshad-e-Nabawi (ﷺ): “Maiyyat ko uske rishtedaaro’n ke us par rone ki wajah se azaab hota hai”. Ye Us Waqt Hai Jab Rona Peetna Marne Waale Ka Wateera Ho








Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

قُوٓا۟ أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًۭا

"Apne Aap Ko Aur Apne Ghar Waalo’n Ko Aag Se Bachaao." [Surah at Tahreem: 6]

Nez irshad-e-nabawi (ﷺ) hai:
 
“Tum mein se har ek (1) nigehbaan hai aur usse apni raiyyat* ke mutalliq sawaal hoga”. Aur jab noha** karna uski aadat na ho to wo Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke farmaan ke mutaaibq hai: “Koi bojh uthaane waala kisi doosre ka bojh nahi uthaaega”. Nez wo farmaan-e-ilaahi ke mutaabiq hai ke:

وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌۭ وِزْرَ أُخْرَىٰ
"Koi Bojh Uthaane Waala Kisi Doosre Ka bojh Nahi Uthaaega." [Surah Anaam: 164]

Nez wo farmaan-e-ilaahi ke mutaabiq hai ke:

إِلَىٰ حِمْلِهَا لَا يُحْمَلْ مِنْهُ شَىْءٌۭ
"Agar Koi Bojh Uthaane Waali Jaan Kisi Doosre Ko Bojh Uthaane Ke Liye Bulaae To Usse Koi Cheez Na Uthaai Jaaegi." [Surah Faatir: 18]

Aur nauha ke baghair rone ki ijaazat di gai hai. Nabi (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Koi jaan bhi naa-haq qatal hoti hai to Hazrat Aadam (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke bete (Qaabeel) par us khoon-e-naa-haq ka bojh hoga, kyou’nke usne qatal-e-naa-haq ka tareeqa raaej kiya tha”.

*Riaayaa, wo log jo baadshah ya raja ki sultanat mein aabaad ho’n
**Maatam karna, murde par chilla ke rona




Narrated Usama bin Zaid:

The daughter of the Prophet (ﷺ) sent (a messenger) to the Prophet (ﷺ) requesting him to come as her child was dying (or was gasping), but the Prophet (ﷺ) returned the messenger and told him to convey his greeting to her and say: "Whatever Allah takes is for Him and whatever He gives, is for Him, and everything with Him has a limited fixed term (in this world) and so she should be patient and hope for Allah's reward." She again sent for him, swearing that he should come. 
The Prophet (ﷺ) got up, and so did Sad bin 'Ubada, Muadh bin Jabal, Ubai bin Ka'b, Zaid bin Thabit and some other men. The child was brought to Allah’s Apostle (ﷺ) while his breath was disturbed in his chest (the sub-narrator thinks that Usama added: ) as if it was a leather water-skin. On that the eyes of the Prophet (ﷺ) started shedding tears. 
Sad said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! What is this?" 
He replied, "It is mercy which Allah has lodged in the hearts of His slaves, and Allah is merciful only to those of His slaves who are merciful (to others).


Ravi Hazrat Usama bin Zaid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ki ek (1) sahibzaadi ne aap (ﷺ) ko paighaam bheja ke mera beta faut ho raha hai, aap (ﷺ) hamaare yahaa’n tashreef laae’n. Aap (ﷺ) ne salaam kehte hue waapas paighaam bheja aur farmaya: “(Allah Ta’ala hi ka saara maal hai.) Jo Allah ne liya wo uska tha, aur jo usne ataa kiya wo bhi usi ka hai. Uske yahaa’n har cheez ka waqt muqarrar hai, is liye usey chaahiye ke sabr kare aur sawaab ki talabgaar rahe”. 
Sahibzaadi ne phir paighaam bheja aur aap ko qasam di ke zaroor tashreef laae’n, chunache aap (ﷺ) khade hue aur aap ke saath Hazrat Saad bin Ubadah, Moaaz bin Jabal, Ubai bin Kaab, Zaid bin Saabit aur mazeed chand log the. Bacche ko Rasool Allah (ﷺ) ke paas laaya gaya, jabke uska saans ukhda hua tha. 
Raawi ne kaha: Mera gumaan hai ke usne kaha: Goya wo mashkeeza hai. Rasool Allah (ﷺ) kid ono aankhe’n (ye manzar dekh kar) behne lagee’n, to Hazrat Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool! Ye rona kaisa hai? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ye rahmat hai, jise Allah Ta’ala ne apne bando’n ke dilo’n mein rakha hai, aur Allah Ta’ala rahem karne waale bando’n hi par rahem karta hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1284

 : Volume 2, Book 23, Hadith 47
 
: Also see Hadith No. 
5655 6602 6655 7377 7448 




Narrated Anas bin Malik:

We were (in the funeral procession) of one of the daughters of the Prophet (ﷺ) and he was sitting by the side of the grave. I saw his eyes shedding tears. 
He said, "Is there anyone among you who did not have sexual relations with his wife last night?" 
Abu Talha replied in the affirmative. And so the Prophet (ﷺ) told him to get down in the grave. And so he got down in her grave.


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Nabi (ﷺ) ki sahibzaadi ke janaze mein haazir the, jabke Rasool Allah (ﷺ) qabar ke paas baithe hue the. Maine dekha ke aap ki ankho’n se aansu rawaa’n the, phir aap ne farmaya: “Kya tum mein se koi aisa shakhs hai jisne aaj raat ham-bistari na ki ho?” 
Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Main hoo’n. 
To Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Tum qabar mein utro”. 
Chunache wo unki qabar mein utre.



Reference : Sahih al-Bukhari 1285

 : Volume 2, Book 23, Hadith 48
 : Also see Hadith No. 1342 




Narrated 'Abdullah bin 'Ubaidullah bin Abi Mulaika:

One of the daughters of 'Uthman died at Mecca. We went to attend her funeral procession. Ibn 'Umar and Ibn Abbas were also present. I sat in between them (or said, I sat beside one of them. Then a man came and sat beside me.) 'Abdullah bin 'Umar said to 'Amr bin 'Uthman, "Will you not prohibit crying as Allah’s Apostle (ﷺ) has said, 'The dead person is tortured by the crying of his relatives.?" 
Ibn Abbas said, "Umar used to say so." 


Ravi Hazrat Abdullah bin Obaidullah bin Abi Mulaika:

Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki ek (1) sahibzaadi makkah mukarrama mein faut ho gai to ham unke janaze mein shareek hue. Hazrat Abdullah bin Umar aur Hazrat Abdullah bin Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi wahaa’n maujood the aur main unke darmiyan baitha hua tha. Ya kaha: Main un mein se kisi ek (1) ke paas baitha hua tha, phir doosre sahib tashreef laae aur wo mere pehlu mein baith gae. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Hazrat Amr bin Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se kaha: (Un aurto’n ko) Rone se manaa kyou’n nahi karte ho? 
Kyou’nke Rasool Allah (ﷺ) ka farmaan hai: “Maiyyat ko uske ahle-khaana ke us par rone ki wajah se azaab diya jaata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1286

 : Volume 2, Book 23, Hadith 49




Narrated 'Abdullah bin 'Ubaidullah bin Abi Mulaika:

Then he added narrating, "I accompanied Umar on a journey from Mecca till we reached Al-Baida. There he saw some travellers in the shade of a Samura (A kind of forest tree). 
He said (to me), "Go and see who those travellers are." 
So I went and saw that one of them was Suhaib. I told this to 'Umar who then asked me to call him. So I went back to Suhaib and said to him, "Depart and follow the chief of the faithful believers." 
Later, when 'Umar was stabbed, Suhaib came in weeping and saying, "O my brother, O my friend!" (on this 'Umar said to him, "O Suhaib! Are you weeping for me while the Prophet (ﷺ) said, "The dead person is punished by some of the weepings of his relatives?" 


Ravi Hazrat Abdullah bin Obaidullah bin Abi Mulaika:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bhi aisa hi farmaya karte the. Phir unho’n ne khabar di ke main Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke hamraah makkah mukarrama se aaraha tha. Jab ham muqam-e-baeda pohche to achanak ek (1) qafila keekar* ke saae taley tha. 
Unho’n ne farmaya: Jaao dekho ye kaun log hain? 
Maine dekha to wo Hazrat Suhai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) the. 
Maine unhe’n khabar di to unho’n ne farmaya: Unhe’n mere paas bula laao. 
Main Hazrat Suhaib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas gaya aur unse kaha: Chale’n aur Ameer-ul-Momineen se mulaqaat kare’n. Jab Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) zakhmi kiye gae to Suhaib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) aae aur rote hue ye kehne lagey: Haae mere bhai! Haae mere saathi! Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Aye Suhaib! Kya mujh par ro rahe ho, halaa’nke Rasool Allah (ﷺ) ka irshad-e-giraami hai: “Maiyyat ko uske ghar waalo’n ke us par rone ki wajah se azaab hota hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1287

 : Volume 2, Book 23, Hadith 50
 : Also see Hadith No. 1290, 1292
 *Babool, babool ka chota darakht 




Narrated 'Abdullah bin 'Ubaidullah bin Abi Mulaika:

Ibn Abbas added, "When 'Umar died I told all this to Aisha and she said, 'May Allah be merciful to Umar. By Allah, Allah’s Apostle (ﷺ) did not say that a believer is punished by the weeping of his relatives. But he said Allah, increases the punishment of a non-believer because of the weeping of his relatives." 
Aisha further added, "The Quran is sufficient for you (to clear up this point) as Allah has stated: 
"No burdened soul will bear another's a burden." (Quran 35.18). 

Ibn Abbas then said, "Only Allah makes one laugh or cry." Ibn Umar did not say anything after that.


Ravi Hazrat Abdullah bin Obaidullah bin Abi Mulaika:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke jab Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Shaheed ho gae to maine Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se ye zikr kiya. Unho’n ne farmaya: Allah Ta’ala Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) par rahem kare. Allah ki qasam! Rasool Allah (ﷺ) ne ye nahi farmaya tha ke momin ko uske ghar waalo’n ke us par rone ki wajah se azab hota hai. Rasool Allah (ﷺ) ne to ye farmaya tha: “Allah Ta’ala kaafir ko uske ghar waalo’n ke us par rone ki wajah se mazeed azaab karta hai”. Aur farmaya ke Quran-e-Kareem ki ye aayat-e-karima tumhare liye kaafi hai:

وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌۭ وِزْرَ أُخْرَىٰ
"Aur Koi Bojh Uthaane Waala Kisi Doosre Ka Bojh Nahi Uthaaega." [Surah al Anaam: 164]

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us waqt kaha: Allah Ta’ala hi hasaata aur rulaata hai. Hazrat Ibne Abi Mulaika ne kaha: Allah ki qasam! Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne us waqt kuch na kaha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1288

 : Volume 2, Book 23, Hadith 51
 : Also see Hadith No. 1289 3987 




Narrated 'Aisha:

(the wife of the Prophet (ﷺ)) Once Allah’s Apostle (ﷺ) passed by (the grave of) a Jewess whose relatives were weeping over her. He said, "They are weeping over her and she is being tortured in her grave."


Ravi Syeda Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) yahooiya aurat ke paas se guzre, jabke uske ghar waale us par ro rahe the, aap ne farmaya: “Ye to us par ro rahe hain, halaa’nke usey qabar mein azaab diya jaa raha hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1289

 : Volume 2, Book 23, Hadith 52




Narrated Abu Burda:

That his father said, "When Umar was stabbed, Suhaib started crying: O my brother! 'Umar said, 'Don't you know that the Prophet (ﷺ) said: The deceased is tortured for the weeping of the living?"


Ravi Abu Burda:

Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Kya tumhe’n maaloom nahi ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Maiyyat ko zinda ke rone ki wajah se azaab diya jaata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1290

 : Volume 2, Book 23, Hadith 53





Baab 33: Maiyyat Par Nauha Karna Makrooh Hai






Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke un aurto’n ko chod do, wo Hazrat Abu Sulaiman (Khalid bin Waleed) (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) par roee’n jab tak naqa’a aur laq-laqa na ho. Naqa’a se muraad sar par mitti daalna aur laq-laqa ke maane awaaz nikaalna hain.


Narrated Al-Mughira:

I heard the Prophet (ﷺ) saying, "Ascribing false things to me is not like ascribing false things to anyone else. Whosoever tells a lie against me intentionally then surely let him occupy his seat in Hell-Fire." 
I heard the Prophet (ﷺ) saying, "The deceased who is wailed over is tortured for that wailing."


Ravi Hazrat Mugheera (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ko ye farmate hue suna: “Meri taraf jhoot mansoob karna doosre logo’n ki taraf jhoot mansoob karne ki tarah nahi. Jisne daanista meri taraf jhoot mansoob kya wo apna thikaana dozakh mein bana le”. 
Aur maine Nabi (ﷺ) se ye bhi suna hai ke aap ne farmaya: “Jis shakhs par nauha kiya jaata hai, usey us nohe ki wajah se azaab diya jaata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1291

 : Volume 2, Book 23, Hadith 54




Narrated Ibn 'Umar from his father:

The Prophet (ﷺ) said, "The deceased is tortured in his grave for the wailing done over him."
Narrated Shu'ba: The deceased is tortured for the wailing of the living ones over him.


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Maiyyat ko apni qabar mein us par nauha kiye jaane ke sabab azaab hota hai”.
Abdaan ki Abdul Aala ne mataaba-at ki hai aur Aadam ne Shu’ba se riwayat karte hue ye alfaaz bayan kiye: “Maiyyat ko zindo’n ke us par rone ki wajah se azaab diya jaata hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1292

 : Volume 2, Book 23, Hadith 55





Baab 34: Bila-Unwaan






Narrated Jabir bin 'Abdullah:

On the day of the Battle of Uhud, my father was brought and he had been mayhemed and was placed in front of Allah’s Apostle (ﷺ) and a sheet was over him. I went intending to uncover my father but my people forbade me; again I wanted to uncover him but my people forbade me. Allah’s Apostle (ﷺ) gave his order and he has shifted away. At that time he heard the voice of a crying woman and asked, "Who is this?" 
They said, "It is the daughter or the sister of Amr." 
He said, "Why does she weep? 
(or let her stop weeping), for the angels had been shading him with their wings till he (i.e. the body of the martyr) was shifted away."


Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Mere waalid-e-giraami ko uhud ke din is haalat mein laaya gaya ke unka musla* kiya gaya tha. Unhe’n Rasool Allah (ﷺ) ke saamne rakh kar kapde se dhaanp diya gaya. Main is iraade se unke qareb gaya ke unke chehre se kapda hataau’n, lekin meri qaum ne mujhe manaa kar diya. Main dobaara unke paas gaya, take kapda uthaau’n mujhe phir logo’n ne manaa kar diya. Itne mein Rasool Allah (ﷺ) ne unki maiyyat ko uthaane ka hukum diya to aap ne cheekh maarne waali aurat ki awaaz suni. Aap ne farmaya: “Ye kaun hai?” 
Logo’n ne bataaya ke Amr ki beti yaa unki behen hai. 
Aap ne farmaya: “Ye kyou’n roti hai?”
Ya farmaya: “Ye na roe, farishte apne paro’n se un par saaya kiye hue the, ta-aa’nke unhe’n utha liya gaya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1293

 : Volume 2, Book 23, Hadith 56
 
*(Bataur-e-saza ya inteqaam waghaira) naak, kaan kaat daalna, naash ko maskh karna





Baab 35: Jo Girebaan Phaade Wo Ham Mein Se Nahi






Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) said, "He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs apne rukhsaar peete aur girebaan phaade, nez ahd-e-jaahiliyyat ki tarah cheekh-o-pukaar kare, wo ham mein se nahi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1294

 : Volume 2, Book 23, Hadith 57
 : Also see Hadith No. 1297 1298 3519 





Baab 36: Hazrat Saad bin Khaula (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Par Nabi (ﷺ) Ka Izhar-e-Ranj-o-Malaal Karna







Narrated 'Amir bin Sad bin Abi Waqqas:

That his father said, "In the year of the last Hajj of the Prophet (ﷺ) I became seriously ill and the Prophet (ﷺ) used to visit me inquiring about my health. I told him, 'I am reduced to this state because of illness and I am wealthy and have no inheritors except a daughter, (In this narration the name of 'Amir bin Sad is mentioned and in fact, it is a mistake; the narrator is 'Aisha bint Sad bin Abi Waqqas). Should I give two-thirds of my property to charity?' 
He said, 'No.' I asked, 'Half?' 
He said, 'No.' then he added, 'One-third, and even one-third is much. You'd better leave your inheritors wealthy rather than leaving them poor, begging others. You will get a reward for whatever you spend for Allah's sake, even for what you put in your wife's mouth.' 
I said, 'O Allah’s Apostle (ﷺ)! Will I be left alone after my companions have gone?' 
He said, 'If you are left behind, whatever good deeds you will do will up-grade you and raise you high. And perhaps you will have a long life so that some people will be benefited by you while others will be harmed by you. O, Allah! Complete the emigration of my companions and do not turn them, renegades.' 
But Allah’s Apostle (ﷺ) felt sorry for poor Sad bin Khaula as he died in Mecca." (but Sad bin Abi Waqqas lived long after the Prophet (ﷺ).)


Ravi Hazrat Saad bin Abi Waqqas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) hajjatul wida ke saal, jabke main ek (1) sangeen marz mein mubtalaa tha, meri iyaadat ke liye tashreef laate the. 
Maine arz kiya: Meri bimaari ki intehai shiddat ko to aap (ﷺ) dekh hi rahe hain, main ek (1) maaldaar aadmi hoo’n magar meri ek (1) beti ke siwa mera aur koi waaris nahi. Kya main apne maal se do-tihaai khairat kar sakta hoo’n? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”. 
Maine arz kiya: Kya apna aadha maal? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Nahi”. 
Maine phir arz kiya: Kya ek-tihaai khairat kar du’n? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ek-tihaai khairat karne mein koi muzaaeqa nahi, agarche ek-tihaai bhi ziyaada hai”. “Apne wurasaa* ko maaldaar chodh kar jaana tumhare liye isse behtar hai ke unhe’n faqeer aur tang-dast chodh jaao, aur wo logo’n ke saamne haath pahilate phire’n. Tum Allah ki raza-joi ke liye jo kuch kharch karoge uska ajar tumhe’n zaroor milega, hatta ke jo luqma apni biwi ke mu’n mein do-ge uska bhi sawaab milega”. 
Maine arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya main bimaari ki wajah se apne saathiyo’n se peeche reh jaau’nga? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum hargiz peeche na rahoge, jo nek amaal karoge unse tumhare darajaat mein izaafa hota chala jaaega aur tumhara martaba unse buland hota rahega, aur shayad tum baad tak zinda rahoge, yahan tak ke baaz logo’n ko tumse nafaa pohchega aur kuch logo’n ko tumhari wajah se nuqsaan hoga. Aye Allah! Mere ashaab ki hijrat ko kaamil karde aur unhe’n ediyo’n ke bal na lauta, yaane unhe’n makkah mein maut na aae. Lekin be-chaare Saad bin Khaula!”. 
Rasool Allah (ﷺ) unke liye izhar-e-ranj-o-gham karte the ke wo makkah hi mein inteqal kar gae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1295

 : Volume 2, Book 23, Hadith 58
 : Also see Hadith No. 2742 2744 3936 5354 5668 6373 6733
 : *Waaris ki jamaa 





Baab 37: Museebat Ke Waqt Sar Mundwaana Manaa Hai






Narrated Abu Burda bin Abi Musa:

Abu Musa got seriously ill, fainted and could not reply to his wife while he was lying with his head in her lap. When he came to his senses, he said, "I am innocent of those, of whom Allah's Messenger (ﷺ) was innocent. Allah's Messenger (ﷺ) is innocent of a woman who cries aloud (or slaps her face) who shaves her head and who tear off her clothes (on the falling of a calamity)


Ravi Hazrat Abu Bardah bin Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) dafa Abu Moosa (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) sakht bimaar hue aur un par ghashi taari ho gai. Unka sar unke ghar ki ek (1) aurat ki godh mein the. (Wo rone lagi) Hazrat Abu Moosa Ashari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) mein itni taaqat na thi ke usey manaa karte. Hosh aaya to kehne lagey: Main us shakhs se baree hoo’n jisse Hazrat Muhammad (ﷺ) ne izhar-e-baraa-at farmaya hai. Yaqeenan Rasool Allah (ﷺ) ne museebat ke waqt chilla kar rone waali, sar mundhwaane waali aur girebaan phaadne waali aurat se izhar-e-baraa-at farmaya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1296

 : Volume 2, Book 23, Hadith 59





Baab 38: Jo Koi Rukhsaar Peete Wo Ham Se Nahi






Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) said, "He who slaps the cheeks, tears the clothes and follows the tradition of the Days of Ignorance is not from us."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Wo shakhs ham mein se nahi jo apne rukhsaar peete, kapde phaade aur jaahiliyyat ka sa bakwaas kare”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1297

 : Volume 2, Book 23, Hadith 60





Baab 39: Museebat Ke Waqt Waawela Karne Aur Daur-e-Jaahiliyyat Ke Alfaaz Pukaarne Ki Mumaaneat







Narrated 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) said, "He who slaps the cheeks, tears the clothes and follows the traditions of the Days of Ignorance is not from us."


Ravi Hazrat Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ne (museebat ke waqt) apne rukhsaar peete, girebaan phaada aur daur-e-jaahiliyyat ke najaaez kalimaat kahe wo ham se nahi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1298

 : Volume 2, Book 23, Hadith 61





Baab 40: Museebat Ke Waqt Ghamgeen Baithna






Narrated 'Aisha:

When the Prophet (ﷺ) got the news of the death of Ibn Haritha, Ja'far and Ibn Rawaha he sat down and looked sad and I was looking at him through the chink of the door. A man came and told him about the crying of the women of Ja'far. The Prophet (ﷺ) ordered him to forbid them. The man went and came back saying that he had told them but they did not listen to him. 
The Prophet (ﷺ) said, "Forbid them." 
So again he went and came back for the third time and said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! By Allah, they did not listen to us at all." 
('Aisha added): Allah’s Apostle (ﷺ) ordered him to go and put dust in their mouths. 
I said, (to that man) "May Allah stick your nose in the dust (i.e. humiliate you)! You could neither (persuade the women to) fulfil the order of Allah’s Apostle (ﷺ) nor did you relieve Allah's Apostle (ﷺ) from fatigue. "


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab Nabi (ﷺ) ke paas Hazrat Zaid bin Haaritha, Hazrat Jaafar aur Hazrat Ibne Rawaaha (رضي الله عنهم) ke shaheed hone ki khabar aai to aap ghamgeen ho kar baith gae. Main darwaze ki daraad se dekh rahi thi ke ek (1) shakhs aap ke paas aaya jisne Hazrat Jaafar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki aurto’n ke rone-dhone ka zikr kiya. 
Aap (ﷺ) ne usey hukum diya ke unhe’n girya-wizaari se manaa karo, chunache wo gyaa aur waapas aakar arz kiya ke wo nahi maantee’n. 
Aap (ﷺ) ne phir yehi farmaya: “Unhe’n manaa karo”. 
Wo teesri martaba waapas aakar kehne laga: Allah ke Rasool (ﷺ)! Allah ki qasam wo ham par ghalib aagaae’n aur nahi maantee’n. 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Aakhir-kaar Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jaa! Unke mu’n mein khaak jhonk de”. 
Maine kaha: Allah teri naak-khaak aalood karega! Jis kaam ka tujhe Rasool Allah (ﷺ) ne hukum diya wo bhi nahi karta aur (baar-baar aakar) Rasool Allah (ﷺ) ko takleef dene se bhi baaz nahi aata.



Reference : Sahih al-Bukhari 1299

 : Volume 2, Book 23, Hadith 62
 : Also see Hadith No. 1305 4263 




Narrated Anas:

When the reciters of the Quran were martyred, Allah’s Apostle (ﷺ) recited Qunut for one month and I never saw him (i.e. Allah’s Apostle ﷺ) so sad as he was on that day.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab qurra Shaheed hue to Rasool Allah (ﷺ) ne ek (1) maah tak qunoot farmaai. Maine Rasool Allah (ﷺ) ko kabhi usse ziyaada ghamgeen nahi dekha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1300

 : Volume 2, Book 23, Hadith 63



Baab 41: Jo Shakhs Museebat Ke Waqt Apne Ranj-o-Alam Ko Zaahir Na Hone De







Muhammad bin Kaab Qurzi bayan karte hain ke “jaza’a” “ُجَزَع ” buri baat aur bure gumaan dono ko kaha jaata hai. Hazrat Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne farmaya: (jaisa ke irshad-e-Baari Ta’ala hai:)

إِنَّمَآ أَشْكُوا۟ بَثِّى وَحُزْنِىٓ إِلَى ٱللَّهِ
"Main Apne Ranj-o-Gham Ka Shikwa Sirf Allah Se Karta Hoo’n." [Surah Yusuf: 86]




Narrated Anas bin Malik:

One of the sons of Abu Talha became sick and died and Abu Talha at that time was not at home.
When his wife saw that he was dead, she prepared him (washed and shrouded him) and placed him somewhere in the house. 
When Abu Talha came, he asked, "How is the boy?" 
She said, "The child is quiet and I hope he is in peace." 
Abu Talha thought that she had spoken the truth. Abu Talha passed the night and in the morning took a bath and when he intended to go out, she told him that his son had died, Abu Talha offered the (morning) prayer with the Prophet (ﷺ) and informed the Prophet (ﷺ) of what happened to them? 
Allah’s Apostle (ﷺ) said, "May Allah bless you concerning your night. (That is, may Allah bless you with good offspring)." 
Sufyan said, "
One of the Ansar said, 'They (i.e. Abu Talha and his wife) had nine sons and all of them became reciters of the Quran (by heart).' "


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka ek (1) beta bimaar tha. Wo faut ho gaya, jabke Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) us waqt ghar par maujood nahi the. Unki biwi ne bacche ko ghusl-o-kafan de kar usey ghar ke ek (1) goshe mein rakh diya. 
Jab Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ghar tashreef laae to poocha: Ladke ka kya haal hai? 
Unki biwi ne jawab diya: Usey aaraam hai, aur mujhe ummed hai ke usey sukoon muyassar hua hai. 
Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne samjha ke wo saheeh keh rahi hain (bacha ab theek hai). Phir wo raat bhar apni biwi ke paas rahe aur subah ko ghusl karke baahar jaane lagey to biwi ne unhe’n bataaya ke ladka to faut ho chuka hai. 
Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) ke hamraah subah ki namaz adaa ki, phir raat ke maajre ki Nabi (ﷺ) ko khabar di, jis par Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala tum dono miyaa’n biwi ko tumhari is raat mein barkat de ga”.*
Ek (1) Ansari shakhs ka bayan hai ke maine Hazrat Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) (ki nasl) se nau (9) ladke dekhe, jo saare ke saare hafiz-e-quran the.**



Reference : Sahih al-Bukhari 1301

 : Volume 2, Book 23, Hadith 64
 
: Also see Hadith No. 
*4570, **5470 





Baab 42: Sabr Wohi Hai Jo Aghaaz-e-Sadma Mein Ho






Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke “do idl” (عِدل ) kis qadar acche hain, aur ilaawah (عِلاوه ) kitna behtar hai? ke:

ٱلَّذِينَ إِذَآ أَصَـٰبَتْهُم مُّصِيبَةٌۭ قَالُوٓا۟ إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُونَ أُو۟لَـٰٓئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَٰتٌۭ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌۭ ۖ وَأُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُهْتَدُونَ
"Jin Logo'n Ko Jab Koi Museebat Aati Hai To Kehte Hain Ke Ham Allah Hi Ke Hain, Aur Usi Ki Taraf Hame'n Laut Kar Jaana Hai. Aise Hi Logo'n Par Unke Rabb Ki Taraf Se Inayaat Aur Rahmate'n Barasti Hain Aur Yehi Log Hidayat Yaafta Hain." [Surah Baqara: 156-157]

Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

وَٱسْتَعِينُوا۟ بِٱلصَّبْرِ وَٱلصَّلَوٰةِ ۚ وَإِنَّهَا لَكَبِيرَةٌ إِلَّا عَلَى ٱلْخَـٰشِعِينَ
"Sabr Aur Namaz Se Madad Haasil Karo. Yaqeenan Namaz Bhaari Hai Magar Un Logo’n Par Jo Allah Se Darte Hain, Yaane Un Par Namaz Bhaari Nahi Hogi." [Surah Baqara: 45]




Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "The real patience is at the first stroke of a calamity."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Sabr wohi hai jo ibteda-e-sadma mein ho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1302

 : Volume 2, Book 23, Hadith 65





Baab 43: Irshad-e-Nabawi (ﷺ) Ke: “(Ibrahim! Ham Teri Judaai Se Ranjeeda Hain”







Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se bayan kiya ke aap ne farmaya: 
“Aankh ashkbaar aur dil ghamzada hai”.




Narrated Anas bin Malik:

We went with Allah’s Apostle (ﷺ) to the blacksmith Abu Saif, and he was the husband of the wet-nurse of Ibrahim (the son of the Prophet (ﷺ)). Allah’s Apostle (ﷺ) took Ibrahim and kissed him and smelled him and later we entered Abu Saif's house at that time Ibrahim was in his last breaths, and the eyes of Allah’s Apostle (ﷺ) started shedding tears. 
'Abdur Rahman bin 'Auf said, "O Allah's Apostle (ﷺ), even you are weeping!" 
He said, "O Ibn 'Auf, this is mercy." Then he wept more and said, "The eyes are shedding tears and the heart is grieved, and we will not say except what pleases our Lord, O Ibrahim! Indeed we are grieved by your separation."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Rasool Allah (ﷺ) ke saath Abu Saif Lohar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke yahaa’n gae, jo Hazrat Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka razaai baap tha. Rasool Allah (ﷺ) ne Hazrat Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko le kar bosa diya aur uske oopar apna mu’n rakha. Uske baad ham dobaara Abu Saif ke yahaa’n gae to Hazrat Ibrahim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) haalat-e-nazaa’ mein the. Rasool Allah (ﷺ) ki aankhe’n ashkbaar huee’n. 
Hazrat Abdur Rahman bin Awf (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Aap bhi rote hain? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Ibne Awf! Ye to ek (1) rahmat hai”. 
Phir aap (ﷺ) ne rote hue farmaya: “Aankh ashkbaar aur dil ghamzada hai, lekin ham ko zuban se wohi kehna hai jisse hamaare maalik raazi ho. Aye Ibrahim! Ham teri judaai se yaqeenan ghamgeen hain”.

Is riwayat ko Moosa ne Sulaiman bin Mugheera se bhi bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1303

 : Volume 2, Book 23, Hadith 66





Baab 44: Mareez Ke Paas Rona






Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

Sad bin 'Ubada became sick and the Prophet (ﷺ) along with 'Abdur Rahman bin 'Auf, Sad bin Abi Waqqas and 'Abdullah bin Masud visited him to enquire about his health. When he came to him, he found him surrounded by his household and he asked, "Has he died?" 
They said, "No, O Allah's Apostle (ﷺ)." 
The Prophet (ﷺ) wept and when the people saw the weeping of Allah’s Apostle (ﷺ) they all wept. 
He said, "Will you listen? Allah does not punish for shedding tears, nor for the grief of the heart but he punishes or bestows His Mercy because of this." 
He pointed to his tongue and added, "The deceased is punished for the wailing of his relatives over him." 
'Umar used to beat with a stick and throw stones and put dust over the faces (of those who used to wail over the dead).


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Saad bin Ubadah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bimaar hue to Nabi (ﷺ) Hazrat Abdur Rahman bin Awf, Saad bin Abi Waqqas aur Abdullah bin Masood (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki maieeyat* mein unki iyaadat ke liye tashreef le gae. Jab aap wahaa’n pohche to usey apne ahle khana ke darmiyan paaya to aap ne dariyaaft farmaya: “Aaya inteqal ho gaya hai?” 
Logo’n ne arz kiya: Allah ke Rasool! Nahi.
Phir Nabi (ﷺ) ro pade, chunache Rasool Allah (ﷺ) ko rota dekh kar doosre log bhi rone lagey. Phir uske baad aap ne farmaya: “Kya tum sunte nahi ho?” “Allah ki aankh ke rone aur dil ke ghamzada hone se azaab nahi deta balke …aap ne apni zuban ki taraf ishaara karke farmaya… Iski wajah se azaab ya rahem karta hai. Beshak maiyyat ko uske azeezo’n ke chilla kar girya wizaari karne se azaab diya jaata hai”.
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) nauha karne waalo’n ko laathi aur pattharo’n se maara karte the aur unke mu’n mein khaak daalte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1304

 : Volume 2, Book 23, Hadith 67 
 
*Saath hone ki haalat ya kaifiyat, saath hona





Baab 45: Nauha Aur Girya-wizaari Se Mumaaneat Aur Us Par Daa’ntna







Narrated Aisha:

When the news of the martyrdom of Zaid bin Haritha, Ja'far and 'Abdullah bin Rawaha came, the Prophet (ﷺ) sat down looking sad, and I was looking through the chink of the door. A man came and said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! The women of Ja'far," and then he mentioned their crying. 
The Prophet (ﷺ) ordered him to stop them from crying. The man went and came back and said, "I tried to stop them but they disobeyed." The Prophet (ﷺ) ordered him for the second time to forbid them.
He went again and came back and said, "They did not listen to me, (or "us": the sub-narrator Muhammad bin Haushab is in doubt as to which is right). " 
('Aisha added: The Prophet (ﷺ) said, "Put dust in their mouths." 
I said (to that man), "May Allah stick your nose in the dust (i.e. humiliate you)." By Allah, you could not (stop the women from crying) fulfil the order, besides you did not relieve Allah's Apostle (ﷺ) from fatigue."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab Zaid bin Haaritha, Jaafar-e-Taiyyaar, aur Abdullah bin Rawaaha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke Shaheed hone ki khabar pohchi to Nabi (ﷺ) baithe aur aap ki zaat-e-giraami se huzn-o-ranj* zaahir ho raha tha. Main is manzar ko darwze ke suraakh se dekh rahi thi. Ek (1) shaksh aap ke paas aaya aur arz karne laga: Allah ke Rasool! Jaafar-e-Taiyyaar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki aurte’n ro rahi hain. 
Aap (ﷺ) ne usey hukum diya ke unhe’n rone se manaa kare. Wo shakhs gaya aur waapas aakar kehne laga: Maine unhe’n manaa kiya hai, lekin wo baaz nahi aatee’n. 
Aap (ﷺ) ne usey dobaara farmaya ke wo unhe’n manaa kare. Wo dobaara gaya aur waapas aakar kehne laga: Allah ki Qasam! Wo mujh par ghalib aagaae’n …Yaa ham par ghalib aagaee’n. Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne alfaaz ke mutalliq shak ka izhaar kiya hai… Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jao unke mu’n mein khaak jhonk do”. 
Maine kaha: Allah teri naak khaak-alood kare! Jis kaam ka tujhe Rasool Allah (ﷺ) ne hukum diya hai wo bhi nahi karta aur baar-baar aakar Rasool Allah (ﷺ) ko takleef dene se bhi baaz nahi aata.



Reference : Sahih al-Bukhari 1305

 : Volume 2, Book 23, Hadith 68




Narrated Um 'Atiyya:

At the time of giving the pledge of allegiance to the Prophet (ﷺ), one of the conditions was that we would not wail, but it was not fulfilled except by five women and they are Um Sulaim, Um Al-'Ala', the daughter of Abi Sabra (the wife of Muadh), and two other women; or the daughter of Abi Sabra and the wife of Muadh and another woman.


Ravi Hazrat Umme Atiya (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne ham se bait lete waqt ye ehed liya tha ke ham nauha nahi kare’ngi, magar us ehed ko sirf paanch (5) aurto’n ne poora kiya. Yaane Umme Sulaim, Umme Aalaa, Abi Sabrah ki beti jo Moaaz ki biwi thee’n aur mazeed do (2) aurte’n yaa you’n kaha ke Abi Sabrah, Moaaz ki zauja aur ek (1) koi doosri aurat.



Reference : Sahih al-Bukhari 1306

 : Volume 2, Book 23, Hadith 69
 : Also see Hadith No. 4892 7215
 : *Gham, ranj, ghamgeen hona 





Baab 46: Janaza Dekh Kar Khade Hona






Narrated 'Amir bin Rabi'a:

The Prophet (ﷺ) said, "Whenever you see a funeral procession, stand up till the procession goes ahead of you." 
Al-Humaidi added, "Till the coffin leaves you behind or is put down."


Ravi Hazrat Amir bin Rabeea (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum janaza dekho to khade ho jaao, hatta ke wo tumhe’n peeche chodh jaae”.
Hazrat Humaidi ki riwayat mein ye izaafa hai: “Hatta ke wo tumhe’n peeche chodh jaae ayaa usey zameen par rakh diya jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1307

 : Volume 2, Book 23, Hadith 70
 : Also see Hadith No. 1308



Baab 47: Janaze Ke Liye Khada Ho to Kab Baithe?






Narrated 'Amir bin Rabi'a:

The Prophet (ﷺ) said, "If any one of you see a funeral procession and he is not going along with it, then he should stand and remain standing till he gets behind it, or it leaves him behind, or the coffin is put down before it goes ahead of him. "


Ravi Hazrat Amir bin Rabeea (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi janaaza dekhe to khwah uske saath na jaae, magar khada zaroor ho jaae, hatta ke wo janaze ko peeche chodh de, yaa janaza usey peeche chodh jaae, yaa peeche chodne se qabl janaza zameen par rakh diya jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1308

 : Volume 2, Book 23, Hadith 71




Narrated Said Al-Maqburi:

That his father said, "While we were accompanying a funeral procession, Abu Huraira got hold of the hand of Marwan and they sat down before the coffin was put down." 
Then Abu Said came and took hold of Marwan's hand and said, "Get up. By Allah, no doubt this (i.e. Abu Huraira) knows that the Prophet (ﷺ) forbade us to do that." 
Abu Huraira said, "He (Abu Said) has spoken the truth."


Ravi Said Al-Maqburi:

Hazrat Keesaan (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai ke ham ek (1) janaze ke saath the, Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne marwaan ka haath pakada aur janaza rakhe jaane se qabl hi dono baith gae. Itne mein Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) wahaa’n aagae to unho’n ne Marwan ka haath pakad kar kaha: Khade ho jaao. Allah ki Qasam! In (Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) ko maaloom hai ke Nabi (ﷺ) ne hame’n isse manaa farmaya hai. 
Us par Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke unho’n ne sach kaha hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1309

 : Volume 2, Book 23, Hadith 72 
 
: Also see Hadith No. 1310 





Baab 48: Jo Shakhs Janaze Ke saath Ho Usey Chaahiye Ke Kandho’n Se Neeche Rakhe Jaane Se Pehle Na Baithe, Agar Baith Jaae To Usey Khada Hone Ke Liye Kaha Jaae








Narrated Abu Said Al-Khudri:

The Prophet (ﷺ) said, "When you see a funeral procession, you should stand up, and whoever accompanies it should not sit till the coffin is put down."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum janaza dekho to khade ho jaao aur jo shakhs uske hamraah jaa raha ho, wo na baithe ta-aa’nke usey zameen par rakh diya jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1310

 : Volume 2, Book 23, Hadith 73





Baab 49: Yahoodi Ke Janaza Ke Liye Khada Hona






Narrated Jabir bin 'Abdullah:

A funeral procession passed in front of us and the Prophet (ﷺ) stood up and we too stood up. We said, 'O Allah’s Apostle (ﷺ)! This is the funeral procession of a Jew." 
He said, "Whenever you see a funeral procession, you should stand up."


Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hamaare saamne se ek (1) janaza guzra to Nabi (ﷺ) uske liye khade ho gae. Ham bhi khade ho gae aur arz kiya: Allah ke Rasool! Ye to ek (1) yahoodi ka janaza tha. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum janaza dekho to khade ho jaaya karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1311

 : Volume 2, Book 23, Hadith 74




Narrated 'Abdur Rahman bin Abi Laila:

Sahl bin Hunaif and Qais bin Sad were sitting in the city of Al-Qadisiya. A funeral procession passed in front of them and they stood up. They were told that the funeral procession was of one of the inhabitants of the land i.e. of a non-believer, under the protection of Muslims. 
They said, "A funeral procession passed in front of the Prophet (ﷺ) and he stood up. When he was told that it was the coffin of a Jew, he said, "Is it not a living being (soul)?"


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abi Laila:

Hazrat Sahal bin Haneef aur Hazrat Qais bin Saad (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) dono Qaadisiya mein baithe hue the, ke unke paas se log janaza le kar guzre to dono khade ho gae. Unse arz kiya gaya ke ye janaza to ahle arz, yaane dhimmi* yahoodi ka hai. Unho’n ne farmaya ke Nabi (ﷺ) ke paas se ek (1) janaza guzra to aap bhi khade ho gae the. Aap se arz kiya gaya ke ye yahoodi ka janaza hai, to aap ne farmaya: “Kya ye nafs nahi hai?”



Reference : Sahih al-Bukhari 1312

 : Volume 2, Book 23, Hadith 75
 
*Wo mushrik ya ahle kitaab jo islaami hukumat ki amaan mein rehta ho aur usne
 : shart-e-zimma (jiziy) ko qubool kar liya ho




Narrated 'Abdur Rahman bin Abi Laila:

Same as above (Hadith no. 1312)


Ravi Hazrat Abdur Rahman bin Abi Laila:

Main Hazrat Qais aur Hazrat Sahal (رضي الله عنهم) ke saath tha, un dono ne farmaya ke ham Nabi (ﷺ) ke hamraah the. Ibne Abi Laila se ek (1) aur riwayat mein hai ke Hazrat Abu Masood aur Hazrat Qais (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) dono janaze ke liye khade ho jaate the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1313

 : Volume 2, Book 23, Hadith 76





Baab 50: Aurto’n Ke Bajaae Sirf Mardo’n Ko Janaza Uthana Chaahiye







Narrated Abu Sa'id Al-Khudri:

Allah’s Apostle (ﷺ) said When the funeral is ready and the men carry it on their shoulders if the deceased was righteous it will say, 'Present me (hurriedly),' and if he was not righteous, it will say, 'Woe to it (me)! Where are they taking it (me)?' 
Its voice is heard by everything except man and if he heard it he would fall unconscious."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab janaza (taiyyaar karke) rakh diya jaata hai aur log usey apne kandho’n par utha lete hain phir agar wo nek hota hai to kehta hai: Mujhe jaldi le chalo, aur agar nek nahi hota to kehta hai: Haae afsos! Mujhe kaha’n liye jaate ho? 
Uski awaaz insan ke alaawa har cheez sunti hai, agar insan sunle to (maare dehshat ke) behosh ho jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1314

 : Volume 2, Book 23, Hadith 77 
 : Also see Hadith No. 1316 1380 





Baab 51: Janaze Ko Jaldi Le Jaana






Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Tum janaza aagey le jaane waale ho, khwah uske aagey yaa peeche, daae’n ya baae’n chalo. Hazrat Anas ke alawa doosro’n ne kaha: Uske qareeb qareeb chalo.




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "Hurry up with the dead body for if it was righteous, you are forwarding it to welfare; and if it was otherwise, then you are putting off an evil thing down your necks."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Janaze ko jaldi le kar chalo, kyou’nke agar wo nek hai to tum usey khair ki taraf le jaa rahe ho, aur gar bura hai to buri cheez ko apni gardano’n se utaar kar subak-dosh* ho jaaoge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1315

 : Volume 2, Book 23, Hadith 78
 
*Najaat haasil karne waala, chutkaara paane waala, kisi amr ya zimmedaari se
 :  faarigh ho jaane waala





Baab 52: Chaar-paai Par Rakha Hua Janaza Kehta Hai Ke Mujhe Jaldi Lekar Chalo







Narrated Abu Sa'id Al-Khudri:

The Prophet (ﷺ) said, "When a funeral is ready and the men carry the deceased on their necks (shoulders), if it was pious then it will say, 'Present me quickly, and if it was not pious, then it will say, 'Woe to it (me), where are they taking it (me)?' 
And its voice is heard by everything except mankind and if he heard it he would fall unconscious."


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab janaza taiyyaar karke rakh diya jaata hai aur log usey apne kandho’n par utha lete hain to agar wo nek ho to kehta hai: Mujhe jaldi aagey le chalo aur agar wo nek na ho to wo apne ghar waalo’n se kehta hai: Afsos! Tum mujhe kaha’n le jaa rahe ho? 
Insano’n ke alaawa uski awaaz ko har cheez sunti hai. Agar insan usey sun le’n to (maare dehshat ke) behosh ho jaae’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1316

 : Volume 2, Book 23, Hadith 79



Baab 53: Janaze Ke Liye Imam Ke Peeche Do (2) Ya Teen (3) Safe’n Banaana







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) offered the funeral prayer for An-Najashi and I was in the second or third row.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne Najjashi ki namaz-e-janaza padhi aur main doosri yaa teesri saff mein tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1317

 : Volume 2, Book 23, Hadith 80
 
: Also see Hadith No. 
1320 1334 3877 3878 3879 





Baab 54: Janaze Ke Liye Mutaaddid Safe’n Banaana






Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) informed his companions about the death of AnNajashi and then he went ahead (to lead the prayer) and the people lined up behind him in rows and he said four Takbir.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne apne Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ko Hazrat Najjashi ke faut hone ki khabar di, phir aap aagey badhe to Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne aap ke peeche safe’n baandhee’n aur aap ne chaar (4) takbeere’n kahee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1318

 : Volume 2, Book 23, Hadith 81




Narrated Ash-Shaibani:

Ash Sha'bi said, "I was informed by a man who had seen the Prophet (ﷺ) going to a grave that was separate from the other graves and he aligned the people in rows and said four Takbir." 
I said, "O Abu 'Amr! who narrated (that) to you"? 
He said, "Ibn Abbas. "


Ravi Hazrat Shu’ba:

Mujhe us shakhs ne khabar di jo Nabi (ﷺ) ke paas maujood tha ke aap ek (1) alag-thalag qabar par tashref laae aur Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ki saff-bandi farmaai. Aap ne chaar (4) takbeere’n kahee’n.
Shaibani kehte hain: Maine dariyaaft kiya: Aye Abu Amr Sha’abi! Tum se kisne bayan kiya? 
To unho’n ne kaha: Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne (ye hadees bayan ki thi).



Reference : Sahih al-Bukhari 1319

 : Volume 2, Book 23, Hadith 82




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) said, "Today a pious man from Ethiopia (i.e. An Najashi) has expired, come on to offer the funeral prayer." 
(Jabir said): We lined up in rows and after that, the Prophet (ﷺ) led the prayer and we were in rows. Jabir added I was in the second row."


Ravi Hazrat Jaabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Aaj mulk-e-habsha ka ek (1) saaleh shakhs faut ho gaya hai. Aao uski namaz-e-janaza padho”. 
Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Ham ne safe’n durust kee’n aur Nabi (ﷺ) ne us par namaz-e-janaza padhi, jabke ham aap ke peeche saff-basta the.

Abu Zubair, Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se bayan karte hain, unho’n ne farmaya: Main doosri saff mein tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1320

 : Volume 2, Book 23, Hadith 83





Baab 55: Namaz-e-Janaza Mein Mardo’n Ke saath Baccho’n Ka Saff-bandi Karna







Narrated Ibn Abbas:

Allah’s Apostle (ﷺ) passed by a grave of a deceased who had been buried at night. He said, "When was this (deceased) buried?" 
The people said, "Yesterday." 
He said, "Why did you not inform me?" 
They said, "We buried him when it was dark and so we disliked to wake you up." 
He stood up and we lined up behind him. (Ibn Abbas said): I was one of them, and the Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ek (1) aisee qabar ke paas se guzre jis mein raat ke waqt maiyyat ko dafan kiya gaya tha. 
Aap (ﷺ) ne dariyaaft farmaya: “Isey kab dafan kiya gaya tha?” 
Logo’n ne arz kiya: Guzishta raat. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum ne mujhe ittela kyou’n na di?” 
Logo’n ne arz kiya: Ham ne usey Andheri raat mein dafan kiya tha aur aap ko us waqt bedaar karna munaasib khayaal na kiya. 
Chunache aap khade hue aur ham ne aap ke peeche saff-bandi ki. 
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Main bhi un logo’n mein shamil tha, phir aap ne us par namaz-e-janaza padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1321

 : Volume 2, Book 23, Hadith 84





Baab 56: Namaz-e-Janaza Ka Sharai Tareeqa






Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo koi namaz-e-janaza padhe….” 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Apne saathi ki namaz padho”. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Najjaashi par namaz-e-janaza padho”. 
In tamaam riwayaat mein Rasool Allah (ﷺ) ne janaza ko namaz ke naam se taabeer* kiya hai. Halaa’nke us mein rukoo aur sajda nahi hoga, us mein guftagu karna bhi manaa hai, nez us mein bhi takbeer-e-tahreema aur salaam hota hai.

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) wazoo ke baghair namaz-e-janaza nahi padhte the, aur na tuloo-e-aftaab aur ghuroob-e-aftaab hi ke waqt usey adaa karte the, nez wo (takbiraat mein) raf-ul-yadain karte the.

Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne farmaya: Maine logo’n ko paya hai ke wo namaz-e-janaza ki imaamat ka ziyada haqdaar usko jaante the jisko wo namaz-e-farz mein apna imam banana pasand karte the. Jab koi namaz-e-eid ya namaz-e-janaza mein be-wazoo ho jaae to wo paani talash kare aur tayammum na kare. Jab koi dauran-e-janaza mein aae to takbeer kehkar unke saath shaamil ho jaae.

Hazrat Ibne Musaiyyib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) kehte hain ke raat ho ya din, safar ho yah azar, namaz-e-janaza mein chaar (4) takbeere’n kahe.

Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke pehli takbeer namaz-e-janaza shuru karne ki hai. Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰٓ أَحَدٍۢ مِّنْهُم مَّاتَ أَبَدًۭا وَلَا
"Agar Munafiqeen Mein Se Koi Mar Jaae To Uski Namaz-e-Janaza Na Padhe’n." [Surah Tauba: 84]

*Afhoom, muraad, tashreeh maane, bayaan karna




Narrated Ash-Shaibani:

Ash-Sha'bi said, "Somebody who passed along with your Prophet (ﷺ) by a grave that was separate from the other graves informed me (saying), "The Prophet (ﷺ) led us (in the prayer) and we aligned behind him." 
We said, "O Abu 'Amr! Who told you this narration?" 
He replied, "Ibn Abbas."


Ravi Hazrat Sha’abi:

Mujhe us shakhs ne khabar di, jiska Nabi (ﷺ) ke hamraah ek aisee qabar se guzar hua jo doosri qabro’n se alag-thalag ek (1) taraf thi. (Unho’n ne kaha ke) Aap (ﷺ) ne hamari imaamat karaai aur ham ne aap ke peeche saff-bandi ki (aur aap ke hamraah namaz-e-janaza adaa ki). 
Ham ne kaha: Aye Abu Amr! Tum se kis shakhs ne ye hadees bayan ki thi? 
Unho’n ne jawab diya: Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne.



Reference : Sahih al-Bukhari 1322

 : Volume 2, Book 23, Hadith 85





Baab 57: Janaze Ke saath Jaane Ki Fazilat






Hazrat Zaid bin Saabit (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke jab toone namaz-e-janaza padh li to jo maiyyat ka haq tha usey toone adaa kar diya.

Humaid bin Hilal ne kaha: Ham namaz-e-janaza padhne ke baad waapas hone ke liye ijaazat lene se maanoos* nahi. Lekin jo koi namaz-e-janaza padh kar waapas chala aae usey ek qiraat** sawaab milega.

*Aadi, khoogar, jise kisi baat ki aadat pad jaae
**Ek (1) wazan jo dirham ke baarwen hisse ki miqdaar ke baraabar hota hai




Narrated Nafi:

Ibn Umar was told that Abu Huraira said, "Whoever accompanies the funeral procession will have a reward equal to one Qirat." Ibn 'Umar said, "Abu Huraira talks of a too enormous reward." 


Ravi Nafee:

Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unse kaha gaya ke Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain: "Jo shakhs janaze ke saath jaaega usey ek (1) qiraat sawaab milega." Us par Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Abu Huraira bohot ziyada ahadees bayan karte hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1323 

 : Volume 2, Book 23, Hadith 86




Narrated Nafi:

Aisha attested Abu Huraira's narration and said, "I heard Allah’s Apostle (ﷺ) saying like that."
Ibn Umar said, "We have lost numerous Qirats."


Ravi Nafee:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki tasdeeq farmaai aur kaha ke maine Rasool Allah (ﷺ) ko aise hi farmate suna hai. Us par Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Ham ne to bohot se qiraat ka nuqsaan kar liya hai. Quran-e-Kareem mein “ُ‏فَرَّطْتُ” ke maane hain: Maine Allah Ka Hukum Zaae Kiya Hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1324

 : Volume 2, Book 23, Hadith 87

 


Baab 58: Jis Ne Maiyyat Ke Dafan Hone Tak Intezaar Kiya






Narrated Abu Huraira:

that Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Whoever attends the funeral procession till he offers the funeral prayer for it will get a reward equal to one Qirat, and whoever accompanies it till burial, will get a reward equal to two Qirats." 
It was asked, "What are two Qirats?" 
He replied, "Like two huge mountains."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs janaze mein shareek hua, yahaa’n tak ke namaz-e-janaza padha to uske liye ek (1) qiraat ka sawaab hai. Aur jo koi janaze mein uske dafan hone tak shareek raha, usey do (2) qiraat sawaab milta hai”. 
Kaha gaya: Ye do (2) qiraat kya hain? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Do (2) badey badey pahaado’n ki maanind”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1325

 : Volume 2, Book 23, Hadith 88





Baab 59: Baccho’n ka Logo’n Ke Hamraah Namaz-e-Janaza Padhna







Narrated 'Amir:

Ibn Abbas (who was at that time a boy) said, "Allah’s Apostle (ﷺ) came to a grave and the people said, 'He or she was buried yesterday.' " 
Ibn Abbas added, "We aligned behind the Prophet (ﷺ) and he led the funeral prayer of the deceased."


Ravi Amir:

Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Rasool Allah (ﷺ) ek (1) qabar ke paas tashreef laae to logo’n ne arz kiya: Isey guzishta raat dafan kiya gaya hai. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya ke ham ne aap ke peeche saff-bandi ki, phir aap ne us par namaz-e-janaza adaa ki.



Reference : Sahih al-Bukhari 1326

 : Volume 2, Book 23, Hadith 89





Baab 60: Eidgaah Aur Masjid Mein Namaz-e-Janaza Ada Karna







Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) informed us about the news of the death of An-Najash (King of Ethiopia) on the day he expired. He said, "Ask Allah's forgiveness for your brother. " 


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne hame’en habsha ke farma-rawa najjashi ke faut hone ki khabar usi din sunaai jis din wo faut hua tha. 
Aap ne farmaya: “Apne bhai ke liye astaghfar karo”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1327

 : Volume 2, Book 23, Hadith 90




Narrated Abu Huraira: 

The Prophet (ﷺ) made them align in rows at the Musalla and said four Takbir.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne eidgaah mein logo’n ki saff-bandi ki aur us (Najjashi) par chaar (4) takbeere’n kahee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1328

 : Volume 2, Book 23, Hadith 91




Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

The Jew brought to the Prophet (ﷺ) a man and a woman from amongst them who had committed (adultery) illegal sexual intercourse. He ordered both of them to be stoned (to death), near the place of offering the funeral prayers beside the mosque."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Yahoodi Nabi (ﷺ) ke paas ek (1) mard aur aurat ko le kar aae, jinho’n ne bad-kaari ka irtekaab kiya tha. Aap ne unhe’n rajm ka hukum diya, chunache masjid ke paas janaze padhane ki jagah ke qareeb unhe’n sangsaar kiya gaya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1329

 : Volume 2, Book 23, Hadith 92
 : Also see Hadith No. 3635 4556 6819 6841 7332 7543 





Baab 61: Qabro’n Par Masaajid Banaana Haraam Hai.






Jab Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke potey Hazrat Hasan bin Hasan faut hue to unki biwi ne ek (1) saal tak unki qabar par kheema lagaae rakha. Jab usey uthaya gaya to logo’n ne haatif-e-ghaib se ye awaaz suni: Kya unho’n ne apni gumshuda cheez ko paa liya? 
Ek doosri awaaz aai: Nahi, balke maayoos ho kar waapas chale gae.




Narrated 'Urwa:

Aisha said, "The Prophet (ﷺ) in his fatal illness said, 'Allah cursed the Jews and the Christians because they took the graves of their Prophet (ﷺ)s as places for praying."' 
Aisha added, "Had it not been for that the grave of the Prophet (ﷺ) would have been made prominent but I am afraid it might be taken (as a) place for praying.


Ravi Urwa:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, Nabi (ﷺ) ne apni marz-e-wafaat mein farmaya: “Allah Ta’ala yahood-o-nasaara par laanat kare, ke unho’n ne apne paighambaro’n ki qabro’n ko sajda-gaah bana liya”. 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Agar ye darn a hota to aap ki qabar-e-mubaarak ko bilkul zaahir kar diya jaata, magar mujhe andesha hai ke mubaada usey bhi sajda-gaah bana liya jaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1330

 : Volume 2, Book 23, Hadith 93





Baab 62: Zachgi Ke Dauran Mein Marne Waali Aurat Ki Namaz-e-Janaza Padhna







Narrated Samura bin Jundab:

I offered the funeral prayer behind the Prophet (ﷺ) for a woman who had died during child-birth and he stood up by the middle of the coffin.


Ravi Hazrat Samra bin Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ke peeche ek (1) aisi aurat ki namaz-e-janaza padhi jo dauran-e-zachgi* mein faut ho gai thi, to aap uske darmiyan mein khade hue the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1331

 : Volume 2, Book 23, Hadith 94
 *Bacche ki wilaadat, baccha janne ki haalat 





Baab 63: Aurat Aur Mard Ki Namaz-e-Janaza Padhate Waqt Imam Kaha’n Khada Ho?







Narrated Samura bin Jundab:

I offered the funeral prayer behind the Prophet (ﷺ) for a woman who had died during child-birth and he stood up by the middle of the coffin.


Ravi Hazrat Samra bin Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Nabi (ﷺ) ke peeche ek (1) aurat ki namaz-e-janaza padhi jo ba-haalat-e-nifaas faut ho gai thi. Aap uske wast* mein khade hue the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1332

 : Volume 2, Book 23, Hadith 95
 
*Beech, darmiyaan, kisi cheez ke beech ka hissa, mutawassit





Baab 64: Namaz-e-Janaza Mein Chaar (4) Takbeere’n Kehna






Humaid ne kaha: Hame’n Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne namaz-e-janaza padhai to teen (3) takbeere’n kahee’n aur salaam pher diya. Unse iske mutalliq kaha gaya to wo qibla-roo hue aur chauthi takbeer kahi, phir salaam phera.


Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) informed about the news of the death of An-Najash on the day he died. He went out with us to the Musalla and we aligned in rows and he said four Takbirs for An-Najashi's funeral prayer.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jis din habsha ke baadshah Najjashi ki wafat hui, to usi roz Rasool Allah (ﷺ) ne hame’n uske faut hone ki khabar sunaai. Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ke hamraah aap eid-gaah tashreef le gae, unki saff-bandi ki aur uski namaz-e-janaza mein aap ne chaar (4) takbeere’n kahee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1333

 : Volume 2, Book 23, Hadith 96




Narrated Jabir:

The Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer of As-Hama An-Najash and said four Takbir.


Ravi Hazrat Jaabir bin Samra (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ne As-hamah Najjashi ki namaz-e-janaza padhi to chaar (4) takbeere’n kahee’n. Yazeed bin Haroon aur Abdul Samad ne bhi Saleem bin Hayaan se As-hamah bayan kiya hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1334

 : Volume 2, Book 23, Hadith 97





Baab 65: Namaz-e-Janaza Mein Surah Faatiha Padhna






Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) bayan karte hain ke bacche ke janaze par Imam Surah Faatiha padhe aur phir ye dua kare:

اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ لَنَا فَرَطًا وَسَلَفًا وَأَجْرًا
"Aye Allah! Isey hamaare liye meer-e-kaarwaan, zakheera-e-akhirat aur baais-e-ajar-o-sawaab banaade."




Narrated Talha bin 'Abdullah bin 'Auf:

I offered the funeral prayer behind Ibn Abbas and he recited Al-Fatiha and said, "You should know that it (i.e. recitation of Al-Fatiha) is the tradition of the Prophet (ﷺ) Muhammad.


Ravi Hazrat Talha:

Maine Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke peeche namaz-e-janaza padhi. Us mein aap ne Surah Faatiha ki qiraa-at farmaai. Faraghat ke baad faramaya (ke maine is liye padhi hai) take tumhe’n iske sunnat hone ka ilm ho jaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1335

 : Volume 2, Book 23, Hadith 98





Baab 66: Dafan Kiye Jaane Ke Baad Qabar Par Namaz-e-Janaza Padhna







Narrated Sulaiman Ash-Shaibani:

I heard Ash-Sha'bi saying, "I was told by a man who had passed with the Prophet (ﷺ) by a grave that was separate from the other graves that he (the Prophet (ﷺ) ) led them in the prayer and they prayed behind him." 
I said, "O Abu 'Amr! Who narrated that to you?" 
He replied, "Ibn Abbas."


Ravi Sulaiman Ash-Shaibani:

Hazrat Sha’abi (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se riwayat hai, unho’n ne kaha: Mujhe us sahkhs ne hadees bayan ki, jo Nabi (ﷺ) ke hamraah ek (1) alag-thalag qabar ke paas se guzra. Rasool Allah (ﷺ) ne wahaa’n logo’n ki imaamat ki aur logo’n ne aap ke peeche namaz (e janaza) padhi. Shaibani kehte hain: Maine Abu Amr Sha’abi se dariyaaft kiya: Aap ko ye hadees kis ne bayan ki thi. 
Unho’n ne farmaya: Mujhe Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne iske mutalliq bataaya tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1336

 : Volume 2, Book 23, Hadith 99




Narrated Abu Huraira:

A black person, a male or a female used to clean the Mosque and then died. The Prophet (ﷺ) did not know about it. One day the Prophet (ﷺ) remembered him and said, "What happened to that person?"
The people replied, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! He died." 
He said, "Why did you not inform me?" 
They said, "His story was so and so (i.e. regarded him as insignificant)." 
He said, "Show me his grave." 
He then went to his grave and offered the funeral prayer.


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) siyaah-faan (mard ya aurat) masjid mein rehta aur jhaadu diya karta tha. Uska inteqal ho gaya aur Nabi (ﷺ) ko uski maut ka ilm na ho saka. 
Ek din Rasool Allah (ﷺ) ne uska zikr farmaya aur dariyaaft kiya: “Wo shakhs kaha’n hai?” Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Uski wafaat ho gai hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum logo’n ne mujhe muttala* kyou’n na kiya?” 
Unho’n ne arz kiya: Hazrat Uska qissa to is tarah hai, goya unho’n ne uska muaamala itna ahem na samjha. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe uski qabar se agaah karo”.
Chunache aap uski qabar par tashreef laae aur namaz-e-janaza padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1337

 : Volume 2, Book 23, Hadith 100
 
*Ittela, khabardaar, waaqif, aagaah





Baab 67: Murda Jooto’n Ki Awaaz (bhi) Sunta Hai






Narrated Anas:

The Prophet (ﷺ) said, "When a human being is laid in his grave and his companions return and he even hears their foot steps, two angels come to him and make him sit and ask him: What did you use to say about this man, Muhammad? 
He will say: I testify that he is Allah's slave and His Apostle (ﷺ). Then it will be said to him, 'Look at your place in the Hell-Fire. Allah has given you a place in Paradise instead of it.' " 
The Prophet (ﷺ) added, "The dead person will see both his places. But a non-believer or a hypocrite will say to the angels, 'I do not know, but I used to say what the people used to say! It will be said to him, 'Neither did you know nor did you take the guidance (by reciting the Quran).'
Then he will be hit with an iron hammer between his two ears, and he will cry and that cry will be heard by whatever approaches him except human beings and jinns."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab bande ko uski qabar mein rakh diya jaata hai, aur uske saathi dafan se faarigh ho kar waapas hote hain to wo unke jooto’n ki awaaz suntan hai. Us waqt uske paas do (2) farishte aate hain aur usey bitha kar poochte hain: Tu us shakhs Muhammad (ﷺ) ke mutalliq kya eteqaad rakhta tha? 
Agar wo jawab de: Main gawaahi deta tha ke wo Allah ke bande aur uske Rasool hain to usey kaha jaata hai: Tu apne dozakhi muqaam ko dekh, iske ewaz Allah Ta’ala ne tujhe jannat mein thikana diya hai”. 
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Wo dono muqamaat ko dekhta hai, lekin kaafir ya munaafiq ka ye jawab hota hai: Main kuch nahi jaanta, jo doosre log kehte the, main wohi keh deta tha. 
Phir usse kaha jaata hai: Toone aqal se kaam liya na Ambiya ki pairawi di, phir uske dono kaano’n ke darmiyan lohe ke hathode se ek (1) zarb lagaai jaati hai ke wo cheekh uthta hai. Uski cheekh-pukaar jinn-o-ins ke alaawa uske aas-paas ki tamaam cheeze’n sunti hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1338

 : Volume 2, Book 23, Hadith 101 
 : Also see Hadith No. 1374 





Baab 68: Arz-e-Muqaddas Yaa Kisi Aur Mutabarrik Muqaam Mein Dafan Hone Ki Aarzu Karna







Narrated Abu Huraira:

The angel of death was sent to Moses and when he went to him, Moses slapped him severely, spoiling one of his eyes. The angel went back to his Lord, and said, "You sent me to a slave who does not want to die." Allah restored his eye and said, "Go back and tell him (i.e. Moses) to place his hand over the back of an ox, for he will be allowed to live for a number of years equal to the number of hairs coming under his hand." (So the angel came to him and told him the same). 
Then Moses asked, "O my Lord! What will be then?" 
He said, "Death will be then." 
He said, "(Let it be) now." 
He asked Allah that He bring him near the Sacred Land at a distance of a stone's throw. Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Were I there I would show you the grave of Moses by the way near the red sand hill."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Malik-ul-maut ko Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ke paas bheja gaya. Jab wo unke paas aae to unho’n ne ek tamaacha-raseed-kiya* (jisse uski ek (1) aankh phoot gai). Farishte ne apne Rabb ke paas jaakar arz kiya: Toone mujhe ek (1) aise bande ke paas bheja hai jo marna nahi chahta. Allah Ta’ala ne uski aankh durust kardi aur farmaya ke un (Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ)) ke paas dobaara jaa kar kaho ke wo apna haath ek bael (Ox) ki peeth par rakhe’n, jitney bhi baal unke haath ke neeche aae’nge to har baal ke badle unhe’n ek (1) saal ki zindagi di jaaegi. 
Us par Hazrat Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: Aye parwardigaar! Phir kya hoga? 
Allah Ta’ala ne farmaya: Phir marna hoga. 
Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ne kaha: To phir abhi aajaae. 
Unho’ ne Allah se dua ki, ke unhe’n ek pathar phenkne ke miqdaar ke baraabar arz-e-muqaddas se qareeb karde.
Raawi-e-hadees (Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)) ne kaha ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Agar main wahaa’n hota to Moosa (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki qabar surkh teele ke paas raaste ke kinaare par tumhe’n dikha deta”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1339

 : Volume 2, Book 23, Hadith 102 
 : Also see Hadith No. 3407
 : *Thappad lagaana 





Baab 69: Maiyyat Ko Raat Ke Waqt Dafan Karna






Syedna Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) raat ke waqt dafan kiya gae the.


Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) offered the funeral prayer of a man one night after he was buried, he and his companions stood up (for the Prayer). He had asked them about him before standing, saying, "Who is this?" 
They said, "He is so and so and was buried last night." 
So all of them offered the funeral prayer.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne ek (1) shakhs ki namaz-e-janaza padhi jo raat ke waqt dafan kiya gaya tha. Aap (ﷺ) aur aap ke Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) uthe aur aap ne us shakhs ke mutalliq dariyaaft kiya aur farmaya: “Ye kaun hai?” 
Logo’n ne arz kiya: Ye falaa’n shakhs hai, jise guzishta raat dafan kiya gaya tha, chunache aap (ﷺ) ne aur aap ke Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne us par namaz-e-janaza padhi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1340

 : Volume 2, Book 23, Hadith 103





Baab 70: Qabar Par Masjid Taameer Karna






Narrated 'Aisha:

When the Prophet (ﷺ) became ill, some of his wives talked about a church which they had seen in Ethiopia and it was called Mariya. Umm Salma and Um Habiba had been to Ethiopia, and both of them narrated its (the Church's) beauty and the pictures it contained. The Prophet (ﷺ) raised his head and said, "Those are the people who, whenever a pious man dies amongst them, make a place of worship at his grave and then they make those pictures in it. Those are the worst creatures in the Sight of Allah."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Jab Nabi (ﷺ) bimaar hue to aap ki baaz biwiyo’n ne ek (1) girje ka tazkira kiya, jise unho’n ne habsha ki sarzameen mein dekha tha aur usey Mariya kaha jaata tha. Hazrat Umme Salama (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) aur Umme Habiba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) habsha gai thee’n. Unho’n ne girje ki khoobsoorti aur us mein rakhi hui tasaweer ka bhi aap se zikr kiya. 
To aap ne sar-e-mubaarak uthaya aur farmaya: “Ye wo log hain jab un mein koi nek shakhs mar jaata to uski qabar par masjid bana lete, phir us mein ye tasaweer banaakar lagaa dete. Allah Ta’ala ke nazdeek ye log tamaam makhlooq se bad-tareen hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1341

 : Volume 2, Book 23, Hadith 104



Baab 71: Aurat Ki Qabar Mein Kaun Utar Sakta Hai?






Narrated Anas:

We were in the funeral procession of the daughter of Allah’s Apostle (ﷺ) and Allah’s Apostle (ﷺ) was sitting near the grave and I saw his eyes full of tears. He said, "Is there anyone amongst you who did not have sexual relations with his wife last night?" Abu Talha replied in the affirmative. And so Allah's Apostle (ﷺ) told him to get down in her grave and he got down in her grave and buried her.


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham Rasool Allah (ﷺ) ki lakht-e-jigar ke janaze mein shareek hue. Rasool Allah (ﷺ) qabar ke paas tashreef farma the. Maine dekha ke aap ki aankhe’n ashkbaar thee’n. 
Aap ne farmaya: “Tum mein se koi shakhs aisa hai jo aaj raat apni biwi se ham-bistar na hua ho?” 
Hazrat Abu Talha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Main hoo’n. 
Aap ne farmaya: “Tum qabar mein utro”. Chunache wo sahibzaadi ki qabar mein utre aur unhe’n lahed* mein rakha.

Abdullah bin Mubaarak apne shaikh Fulaih ke hawaale se bayan karte hain ke “لَمْ يُقَارِفِ” ke maane “Jisne gunah na kiya ho” hain.
Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain ke “‏لِيَقْتَرِفُوا” [Surah Anaam: 113] ke maane hain: “لِيَكْتَسِبُوا‏” “Taake wo gunah ka kasb (Husool, kamaai) kare’n”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1342

 : Volume 2, Book 23, Hadith 105
 
*Baab 75 H1347 se pehle





Baab 72: Shaheed Ki Namaz-e-Janaza






Narrated Jabir bin Abdullah:

The Prophet (ﷺ) collected every two martyrs of Uhud in one piece of cloth, and then he would ask, "Which of them had (knew) more of the Quran?" 
When one of them was pointed out for him, he would put that one first in the grave and say, "I will be a witness on these on the Day of Resurrection." 
He ordered them to be buried with their blood on their bodies and they were neither washed nor was a funeral prayer offered for them.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) shohada-e-uhud mein se do-do (2-2), ko ek-ek (1-1) chaadar mein rakh kar farmate the: “In mein se quran ka ilm kisko ziyada tha?” 
To jab un mein se kisi ki taraf ishaara kiya jaata to lahed mein aap usey aagey rakhte aur farmate: “Qiyamat ke din main unke mutalliq gawaahi du’nga”. 
Phir aap ne unhe’n isi tarah khoon lagey hue ghusl diye baghair dafan karne ka hukum diya aur un par namaz-e-janaza bhi na padhi gai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1343

 : Volume 2, Book 23, Hadith 106
 
: Also see Hadith No. 
1345 1346 1347 1348 1353 4079 




Narrated 'Uqba bin 'Amir:

One day the Prophet (ﷺ) went out and offered the funeral prayers of the martyrs of Uhud and then went up to the pulpit and said, "I will pave the way for you as your predecessor and will be a witness on you. By Allah! I see my Fount (Kauthar) just now and I have been given the keys of all the treasures of the earth (or the keys of the earth). By Allah! I am not afraid that you will worship others along with Allah after my death, but I am afraid that you will fight with one another for the worldly things."


Ravi Hazrat Uqba bin Aamir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ek din baahar tashreef laae aur shohada-e-uhud par namaz padhi jis tarah amwaat par namaz-e-janaza padhi jaati hai. Phir mimbar ki taraf laute aur farmaya: “Main tumhara ameer-e-karwaan aur tum par gawaah hoo’n. Allah ki Qasam! Main ab apne hauz ko dekh raha hoo’n aur mujhe zameen ya zameen ke khazano’n ki kunjiya’n ataa ki gai hain. Allah ki qasam! Main apne baad tumhare mutalliq shirk mein mubtalaa hone ka andhes nahi rakhta, lekin mujhe khatra hai ke tum duniya mein raghbat rakhte hue ek-doosre se aagey badhne ki koshish karoge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1344

 : Volume 2, Book 23, Hadith 107
 
: Also see Hadith No. 
3596 4042 4085 6426 6590 





Baab 73: Do (2) Yaa Teen (3) Aadmiyo’n Ko Ek Hi Qabar Mein Dafan Karna







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) buried every two martyrs in of Uhud in one grave.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) shohada-e-uhud ke do-do (2-2) aadmiyo’n ko jamaa karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1345

 : Volume 2, Book 23, Hadith 108





Baab 74: Jiske Nazdeek Shaheed Ko Ghusl Dena Jaaez Nahi






Narrated Jabir:

The Prophet (ﷺ) said, "Bury them (i.e. martyrs) with their blood." 
(that was) On the day of the Battle of Uhud. He did not get them washed.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Nabi (ﷺ) ne uhud ke din farmaya: “In shohada ko khoon samet dafan kar do”. 
Aur aap ne unhe’n ghusl bhi na diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1346

 : Volume 2, Book 23, Hadith 109





Baab 75: Lahed Mein Aagey Kisko Rakha Jaae?






Lahed ko is liye ye naam diya jaata hai ke wo ek (1) kinaare mein hoti hai. Har zaalim mulhid hai. Quran mein “مُلْتَحَدًا” [Surah Kahaf: 27] ke maane “Jaae Panaah” hain. Agar kinaare ke bajaae seedhi ho to usey zareeh kehte hain.

Wazaahat: Lahed ke maane hain, ek taraf hatt jaana. Deen se ek (1) taraf hatt jaane waale ko mulhid kaha jaata hai. Qabar ki lahed bhi darmiyan se hatt kar ek taraf hoti hai, is liye usey lahed kaha jaat hai. Uske muqaable mein qabar ke darmiyan ghadha khodne ko “shaq” kehte hain, jaisa ke aainda iski wazaahat hogi.




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) shrouded every two martyrs of Uhud in one piece of cloth and then he would ask, "Which of them knew more Quran?" 
When one of them was pointed out he would put him first in the grave. 
He said, "I am a witness on these." 
Then he ordered them to be buried with blood on their bodies. Neither did he offer their funeral prayer nor did he get them washed. 


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Rasool Allah (ﷺ) shohada-e-uhud mein se do-do (2-2) aadmiyo’n ko ek (1) kapde mein jamaa karte the. 
Phir farmate: “In mein se kisko quran ziyada yaad hai?” 
Jab un dono mein se ek (1) ki taraf ishaara kiya jaata to usey lahed mein aagey karte aur farmate: “Main in par gawaah hoo’n”. 
Nez, unhe’n khoon samet dafan karne ka hukum diya aur un parn amaz-e-janaza na padhi aur na unhe’n ghusl hi diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1347

 : Volume 2, Book 23, Hadith 110




Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to ask about the martyrs of Uhud as to which of them knew more of the Quran." 
And when one of them was pointed out as having more of it he would put him first in the grave and then his companions. (Jabir added): My father and my uncle were shrouded in one sheet.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

Rasool Allah (ﷺ) shohada-e-uhud ke mutalliq farmate the: “Un mein se kisko quran ziyada yaad hai?” 
Jab kisi aadmi ki taraf ishaara kiya jaata to usey lahed mein uske saathi se pehle rakhte. Hazrat Jaabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mere walid-e-giraami aur chacha mohtaram ko ek (1) hi safed-o-siyaah dhaaridaar moti chaadar mein dafan diya gaya tha.

Sulaiman bin Kaseer bayan karte hain ke mujhe Zohri ne khabar di, unho’n ne kaha: Mujhe usne bataaya jisne Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se suna tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1348

 : Volume 2, Book 23, Hadith 111





Baab 76: Qabar Mein Azkhar Aur Khushk Ghaas Bichaana






Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) said, "Allah has made Mecca a sanctuary (sacred place) and it was a sanctuary before me and will be so after me. It was made legal for me (to fight in it) for a few hours of the day. None is allowed to uproot its thorny shrubs or to cut its trees or to chase its game or to pick up its fallen things except by a person who announces it publicly." 
On that Al-Abbas said (to the Prophet (ﷺ)), "Except Al-Idhkhir for our goldsmiths and for our graves." And so the Prophet (ﷺ) added, "Except Al-Idhkhir. " 
And Abu Huraira narrated that the Prophet (ﷺ) said, "Except Al-Idhkhir for our graves and houses." 
And Ibn Abbas said, "For their goldsmiths and houses."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala ne makkah mukarrama ko haram qaraar diya hai. Mujhse pehle bhi kisi ke liye halal nahi hua aur na mere baad hi kisi ke liye halal hoga. Mere liye bhi din ke kuch hisse mein halal kiya gaya tha, is bainaa par na to uski taaza ghaas ko ukhaada jaae aur na uske darakht hi kaate jaae’n. Nez uske shikaar ko bhi khaufzada na kiya jaae, aur na uski giri-padi cheez hi ko uthaya jaae. Haa’n! Uske mutalliq elaan karne waala utha sakta hai”. 
Is par Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya ke azkhar ghaas to hamaare zar-garo’n* aur hamari qabro’n ke liye istemaal hoti hai.
Aap ne farmaya: “Haa’n! Azkhar ghaas (isse mustasna hai)”.
Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se bayan karte hue farmaya: “Khushk ghaas hamari qabro’n aur hamaare ghar ke liye hai”.
Hazrat Safiya bint Shaiba (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) farmati hain: Maine Nabi (ﷺ) se isi tarah suna hai.
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se ba-riwayat Mujahid ye alfaaz manqool hain ke khushk ghaas unke loharo’n aur gharo’n ke liye hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1349

 : Volume 2, Book 23, Hadith 112
 : Also see Hadith No. 1587 1833 1834 2090 2433 2783 2825 3077 3189 4313
 : *Sunaar, sone ka kaam karne waala 





Baab 77: Kya Kisi Zaroorat Ke Pesh-e-Nazar Maiyyat Ko Qabar Aur Lahed Se Nikaala Jaa Sakta Hai?







Narrated Jabir bin 'Abdullah:

Allah’s Apostle (ﷺ) came to Abdullah bin Ubai (a hypocrite) after his death and he has been laid in his pit (grave). He ordered (that he be taken out of the grave) and he was taken out. Then he placed him on his knees and threw some of his salivae on him and clothed him in his (the Prophet (ﷺ)'s) own shirt. Allah knows better (why he did so). 'Abdullah bin Ubai had given his shirt to Al-Abbas to wear. 
Abu Harun said, "Allah’s Apostle (ﷺ) at that time had two shirts and the son of 'Abdullah bin Ubai said to him, 'O Allah’s Apostle (ﷺ)! Clothe my father in your shirt which has been in contact with your skin.' 
Sufyan added, "Thus people think that the Prophet (ﷺ) clothed 'Abdullah bin Tubal in his shirt in lieu of what he (Abdullah) had done (for Al Abbas, the Prophet (ﷺ)'s uncle.)"


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) rayees-ul-munafiqeen Abdullah bin Ubai ke paas aae, jabke usey qabar mein dakhil kar diya gaya tha. Aap ne usey nikaalne ka hukum diya, chunache usey baahar nikaala gaya. Aap ne usey apne ghutno’n par rakh liya aur uske mu’n mein apna luaab-e-mubaarak daala. Nez usey apni qamees pehnaai. Waise to iski wajah Allah hi behtar jaanta hai, albatta usne Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko apni qamees pehnaai thi. Abu Haroon ka bayan hai ke Rasool Allah (ﷺ) ke badan par do (2) qameese’n thee’n, aur Abdullah bin Abdullah bin Ubai (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool! Mere baap ko neeche waali qamees pehnaae’n jo aap ke badan se lag chuki hai. Sufyan ne kaha: Logo’n ke khayaal ke mutaaibq Nabi (ﷺ) ne raees-ul-munafiqeen Abdullah ko qamees ka badla chukane ke liye pehnaai thi, kyou’nke usne Hazrat Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko pehnaai thi.



Reference : Sahih al-Bukhari 1350

 : Volume 2, Book 23, Hadith 113


Narrated Jabir:

When the time of the Battle of Uhud approached, my father called me at night and said, "I think that I will be the first amongst the companions of the Prophet (ﷺ) to be martyred. I do not leave anyone after me dearer to me than you, except Allah’s Apostle (ﷺ)'s soul and I owe some debt and you should repay it and treat your sisters favourably (nicely and politely)." 
So in the morning he was the first to be martyred and was buried along with another (martyr). I did not like to leave him with the other (martyr) so I took him out of the grave after six months after his burial and he was in the same condition as he was on the day of burial, except for a slight change near his ear.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab uhud ka waqea pesh aaya to mere waalid-e-girami Hazrat Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne mujhe us raat bulaya aur farmaya ke mere gumaan ke mutaaibq Nabi (ﷺ) ke Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) mein se jo shaheeh ho’nge un mein pehla maqtool main khud hu’nga aur main Rasool Allah (ﷺ) ki zaat-e-karima ke siwa apne baad kisi ko tujhse ziyada aziz nahi chodh raha hoo’n. Mujh par qarz hai usey adaa kar dena aur apni behno’n se accha bartaao karna. Subah hui to sabse pehle Shaheed hone waale wohi the, chunache unke saath qabar mein ek doosre Shaheed ko bhi dafan kar diya gaya, lekin mere dil ko ye baat acchi na lagi ke main apne walid-e-giraami ko doosre shakhs ke saath chodh doo’n, is liye maine che (6) maah baad unhe’n qabar se nikaal liya. Wo usi tarah the, jis tarah maine unhe’n dafan kiya tha, sirf kaan ka thoda sa hissa mutaassir hua tha.



Reference : Sahih al-Bukhari 1351

 : Volume 2, Book 23, Hadith 114
 
: Also see Hadith No. 1352 




Narrated Jabir:

A man was buried along with my father and I did not like it till I took him (i.e. my father) out and buried him in a separate grave.


Ravi Hazrat Jabir (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Mere walid-e-girami ke hamraah ek (1) aur Shaheed bhi dafan kiya gaya tha, lekin meri tabiyyat ko ye pasand na aaya, is liye maine unhe’n nikaala aur alaaheda qabar mein dafan kar diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1352

 : Volume 2, Book 23, Hadith 115





Baab 78: Baghli Yaa Sandooqi Qabar Banana






Narrated Jabir bin 'Abdullah:

The Prophet (ﷺ) collected every two martyrs of Uhud (in one grave) and then he would ask, "Which of them knew the Quran more?" 
And if one of them was pointed out for him as having more knowledge, he would put him first in the Lahd. The Prophet (ﷺ) said, "I will be a witness on these on the Day of Resurrection." Then he ordered them to be buried with their blood on their bodies and he did not have them washed.


Ravi Hazrat Jabir bin Abdullah (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) shohada-e-uhud se do-do (2-2) aadmiyo’n ko jamaa karte, phir farmate: “In mein se kisko quran ziyada yaad hai?” 
Jab un mein se kisi ek (1) ki taraf ishaara kiya jaata to usey lahed mein aagey rakhte aur farmate: “Main qiyamat ke din in logo’n ke mutalliq gawaahi du’nga”. 
Phir unhe’n khoon samet dafan karne ka hukum farmaya aur unhe’n ghusl bhi na diya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1353

 : Volume 2, Book 23, Hadith 116





Baab 79: Jab Koi Baccha Musalman Ho Jaae To Kya Uski Namaz-e-Janaza Padhni Chaahiye? Nez, Kya Bacche Par Islam Pesh Kiya Jaae?








Hasan Basri, Qaazi Shuraih, Ibrahim Nakhai, aur Hazrat Qatada (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne kaha: Jab waledain mein se koi ek (1) musalman ho jaae to bacha musalman ke saath hoga. Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) apni walida ke hamraah “مُسْتَضْعَفِينَ” (naa-tawaa’n) mein se the aur apne walid ke hamraah apni qaum ke deen par nahi the. Nez farmaya ke islam ghalib rehta hai, maghloob nahi hota.




Narrated Ibn 'Umar:

'Umar set out along with the Prophet (ﷺ) with a group of people to Ibn Saiyad till they saw him playing with the boys near the hillocks of Bani Mughala. Ibn Saiyad at that time was nearing his puberty and did not notice (us) until the Prophet (ﷺ) stroked him with his hand and said to him, "Do you testify that I am Allah’s Apostle (ﷺ)?" 
Ibn Saiyad looked at him and said, "I testify that you are the Messenger of illiterates." 
Then Ibn Saiyad asked the Prophet (ﷺ), "Do you testify that I am Allah's Apostle (ﷺ)?" 
The Prophet (ﷺ) refuted it and said, "I believe in Allah and His Apostle (ﷺ)." 
Then he said (to Ibn Saiyad), "What do you think?" 
Ibn Saiyad answered, "True people and liars visit me." 
The Prophet (ﷺ) said, "You have been confused as to this matter." 
Then the Prophet (ﷺ) said to him, "I have kept something (in my mind) for you, (can you tell me that?)" 
Ibn Saiyad said, "It is Al-Dukh (the smoke)."
The Prophet (ﷺ) said, "Let you be in ignominy. You cannot cross your limits." 
On that 'Umar, said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Allow me to chop his head off." 
The Prophet (ﷺ) said, "If he is he (i.e. Dajjal), then you cannot over-power him, and if he is not, then there is no use of murdering him." 


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Nabi (ﷺ) ke saath deegar chand logo’n ki ma’iyyat* mein Ibne Saiyyad ke paas gae. yahaa’n tak ke unho’n ne usey Banu Maghala ki ghadiyo’n ke qareeb kuch ladko’n ke saath khelta hua paaya. Ibne Saiyyad us waqt qareeb-ul-buloogh tha. Usey Nabi (ﷺ) ki aamad ka ilm na hua, hatta ke aap ne usey apne dast-e-mubarak se usey maara. 
Phir Ibne Saiyyad se farmaya: “Kya tu is baat ki gawaahi deta hai ke main Allah ka Rasool hoo’n?” 
Usne aap (ﷺ) ko dekha to kehne laga: Main gawaahi deta hoo’n ke aap an-padh logo’n ke rasool hain. Phir Ibne Saiyyad ne Nabi (ﷺ) se kaha: Aap is baat ki gawaahi dete ke main bhi Allah ka firistaada** hoo’n? 
Aap (ﷺ) ye baat sun kar usse alag ho gae aur farmaya: “Main Allah aur uske rasoolo’n par iman laata hoo’n”. 
Phir aap (ﷺ) ne usse poocha ke tu kya dekhta hai? 
Ibne Saiyyad bola: Mere paas sacchi-jhooti dono khabre’n aati hain. 
Us par Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Tujh par muaamala mushtaba kar diya gaya hai”. 
Phir Nabi (ﷺ) ne usse farmaya: “Maine tere liye ek baat apne dil mein sochi hai (bata wo kya hai?)”. 
Ibne Saiyyad bola: Wo dukh (دخ ) hai. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tu dafaa hoja, apni bisaat*** se kabhi aagey nahi badh sakega”. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Mujhe ijaazat de’n, main uski gardan udaa doo’n.
Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Agar ye wohi (dajjaal) hai to tum us par qaabu nahi paa sakte aur agar wo nahi to phir uske qatal karne mein koi faaeda nahi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1354

 : Volume 2, Book 23, Hadith 117
 : Also see Hadith No. 3055 6173 6618
 : *Saath hone ki haalat ya kaifiyat, saath hona
 : **Bheja hua, qaasid, safer
 : ***Qudrat, haisiyat, asal, haqeeqat, hasti 




Narrated Ibn 'Umar:

(Ibn 'Umar added): Later on, Allah’s Apostle (ﷺ) once again went along with Ubai bin Ka'b to the date-palm trees (garden) where Ibn Saiyad was staying. The Prophet (ﷺ) wanted to hear something from Ibn Saiyad before Ibn Saiyad could see him, and the Prophet (ﷺ) saw him lying covered with a sheet and from where his murmurs were heard. Ibn Saiyad's mother saw Allah's Apostle (ﷺ) while he was hiding behind the trunks of the date-palm trees. She addressed Ibn Saiyad, "O Saf ! (and this was the name of Ibn Saiyad) Here is Muhammad." And with that Ibn Saiyad got up. The Prophet (ﷺ) said, "Had this woman left him (Had she not disturbed him), then Ibn Saiyad would have revealed the reality of his case.


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Uske baad phir ek (1) dafa Rasool Allah (ﷺ) aur Hazrat Ubai bin Kaab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) khajooro’n ke us bagh mein gae jis mein Ibne Saiyyad tha. Aap chaahte the ke usse kuch baate’n sune’n, qabl iske, ke wo aap ko dekhe. Chunache Nabi (ﷺ) ne usey baae’n-haalat dekha ke wo ek (1) chadar odhe kuch gungunaa raha tha. Aap khajoor ke darakhto’n ki aadh mein chal rahe the ke Ibne Saiyyad ki maa’n ne Aap (ﷺ) ko dekh liya aur usey awaaz di: Aye Saaf! …Ye Ibne Saiyyad ka naam hai… Ye Muhammad (ﷺ) aagae hain. Ye sun kar Ibne Saiyyad uth baitha. Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Agar wo aurat usey (uske haal par) chodh deti to wo apna muaamala uch waazeh kar deta”.

Shuaib ki riwayat mein zamzamah (زمزمه ) ke alfaaz hain aur rafzah (رفضه ) ki jagah rafsah (رفصه ) hai. Ishaq Kalbi aur Uqail ki riwayat mein ramzah (رمزه ) ke aflaaz hain. (In tamaam alfaaz ke maane hain: Uski ek aisee khafi awaaz thi jo samajh mein nahi aati thi).



Reference : Sahih al-Bukhari 1355

 : Volume 2, Book 23, Hadith 118
 : Also see Hadith No. 2638 3033 3056 6174 




Narrated Anas:

A young Jewish boy used to serve the Prophet (ﷺ) and he became sick. So the Prophet (ﷺ) went to visit him. He sat near his head and asked him to embrace Islam. The boy looked at his father, who was sitting there; the latter told him to obey Abu-l-Qasim and the boy embraced Islam. 
The Prophet (ﷺ) came out saying: "Praises be to Allah Who saved the boy from the Hell-fire."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) yahoodi ladka Nabi (ﷺ) ki khidmat kiya karta tha. Wo bimaar ho gaya to Nabi (ﷺ) uski iyaadat ke liye tashreef le gae aur uske sirhaane baithkar usse farmaya: “Tu musalman hoja”. Usne apne baap ki taraf dekha jo uske paas baitha hua tha. Usne kaha: Abul Qasim (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki baat maan lo, chunache wo musalman ho gaya. Phir Nabi (ﷺ) ye farmate hue baahar tashreef le aae: “Allah ka shukar hai, jisne us ladke ko aag se bachaa liya”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1356

 : Volume 2, Book 23, Hadith 119 
 : Also see Hadith No. 5657 




Narrated Ibn Abbas:

My mother and I were among the weak and oppressed. I am from among the children, and my mother is from among the women.


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Main aur meri walida natawaa’n logo’n mein se the. Main baccho’n mein se aur meri waalida aurto’n mein se kamzor thee’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1357

 : Volume 2, Book 23, Hadith 120  
 : Also see Hadith No. 4587 4588 4597 




Narrated Ibn Shihab:

The funeral prayer should be offered for every child even if he were the son of a prostitute as he was born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah Alone). If his parents are Muslims, particularly the father, even if his mother were a non-Muslim, and if he after the delivery cries (even once) before his death (i.e. born alive) then the funeral prayer must be offered. And if the child does not cry after his delivery (i.e. born dead) then his funeral prayer should not be offered, and he will be considered a miscarriage. 
Abu Huraira narrated that the Prophet (ﷺ) said, "Every child is born with a true faith (i.e. to worship none but Allah Alone) but his parents convert him to Judaism or to Christianity or to Magainism, as an animal delivers a perfect baby animal. Do you find it mutilated?" 
Then Abu Huraira recited the holy verses: 

'The pure Allah's Islamic nature (true faith i.e. to worship none but Allah Alone), with which He has created human beings.' " (Quran 30.30).


Ravi Hazrat Shuaib:

Imam Ibne Shihab Zohri bayan karte hain ke har faut hone waale bacche ki namaz-e-janaza padhi jaaegi, agarche wo zina ki paidawaar hi kyou’n na ho. Kyou’nke uski paidaaish fitrat-e-islam par hui hai. Ba-sharte ke uske waledain dono, yaa sirf baap musalman ho. Uski maa’n khwah ghair-muslim ho aur ye bhi shart hai ke wo bacha paidaaish ke waqt cheekh maar kar roya ho. Agar usne paidaaish ke waqt cheekh nahi maari to wo na-tamaam bacha hai. Is liye uski namaz-e-janaza nahi adaa ki jaaegi. Kyou’nke Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Har bacha fitrat (e islam) par paida hota hai. Uske maa-baap usey yahoodi, nasraani ya majoosi bana lete hain, jaisa ke jaanwar saheeh-o-saalim a’zoo waal abaccha janta hai, kya tum un mein koi kaan kata hua dekhte ho?” 
Phir Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne ye aayat-e-karima tilaawat ki:

‏فِطْرَةَ اللَّهِ الَّتِي فَطَرَ النَّاسَ عَلَيْهَا‏
"(Ye) Allah Ki Fitrat Hai Jis Par Usne Logo’n Ko Paida Kiya Hai." [Surah Rome: 30]



Reference : Sahih al-Bukhari 1358

 : Volume 2, Book 23, Hadith 121
 : Also see Hadith No. 1359 1385 4775 6599 




Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Every child is born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah Alone) but his parents convert him to Judaism, Christianity or Magainism, as an animal delivers a perfect baby animal. Do you find it mutilated?" Then Abu Huraira recited the holy verses: 

"The pure Allah's Islamic nature (true faith of Islam) (i.e. worshipping none but Allah) with which He has created human beings. No change let there be in the religion of Allah (i.e. joining none in worship with Allah). That is the straight religion (Islam) but most of the men know, not." (Quran 30.30)


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Har bacha fitrat-e-islam hi par paida hota hai, phir uske waledain usey yahoodi, nasraani, ya majoosi bana lete hain, jis tarah koi jaanwar bacha janam deta hai, kya tum us mein koi kaan kata hua paate ho?” Phir Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ye aayat-e-karima padhte:

‏فِطْرَةَ اللَّهِ الَّتِي فَطَرَ النَّاسَ عَلَيْهَا لاَ تَبْدِيلَ لِخَلْقِ اللَّهِ ذَلِكَ الدِّينُ الْقَيِّمُ‏
"Ye Allah Ki Fitrat Hai, Jis Par Usne Logo’n Ko Paida Kiya Hai. Allah Ke Paida Karne Mein Koi Tabdeeli Nahi Hai. Yehi Allah Ka Seedha Deen Hai." [Surah Rome: 30]

Hamaare nazdeek na-tamaam bacche ke mutalliq namaz-e-janaza ki sharaaet mahal-e-nazar hain ke agar wo paidaaish ke waqt cheekh maare to uski namaz-e-janaza padhi jaae, ba-soorat-e-deegar na padhi jaae. Kyou’nke jis riwayat par is mauqif ki bunyaad hai wo saheeh nahi, jaisa ke Allama Albani (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne iske mutalliq tafseel bayan ki hai.* Hadees mein hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Na-tamaam bacche ki namaz-e-janaza padhi jaaegi”.[ Ahkam-ul-Janaez: P105-105]

Waazeh rahe ke na-tamaam se muraad wo bacha hai jis ke chaar (4) maah mukammal ho chuke ho’n aur us mein rooh phoonk di gai ho, phir wafaat paa jaae. Agar is muddat se pehle saaiqt ho jaae to uski namaz-e-janaza nahi padhi jaaegi, kyou’nke wo us soorat mein maiyyit kehla hi nahi sakta.



Reference : Sahih al-Bukhari 1359

 : Volume 2, Book 23, Hadith 122
 
*Sunan Abu Dawood: Al Janaez: H3180



Baab 80: Agar Koi Mushrik Marte Waqt Kalma-e-Tauheed Padhle







Narrated Said bin Al-Musaiyab from his father:

When the time of the death of Abu Talib approached, Allah’s Apostle (ﷺ) went to him and found Abu Jahl bin Hisham and 'Abdullah bin Abi Umaiya bin Al-Mughira by his side. Allah’s Apostle (ﷺ) said to Abu Talib, "O uncle! Say: None has the right to be worshipped but Allah, a sentence with which I shall be a witness (i.e. argue) for you before Allah. Abu Jahl and 'Abdullah bin Abi Umaiya said, "O Abu Talib! Are you going to denounce the religion of Abdul Muttalib?" Allah’s Apostle (ﷺ) kept on inviting Abu Talib to say it (i.e. 'None has the right to be worshipped but Allah') while they (Abu Jahl and Abdullah) kept on repeating their statement till Abu Talib said his last statement that he was on the religion of Abdul Muttalib and refused to say, 'None has the right to be worshipped but Allah.'
(Then Allah’s Apostle (ﷺ) said, "I will keep on asking Allah's forgiveness for you unless I am forbidden (by Allah) to do so." So Allah revealed (the verse) concerning him (i.e. It is not fitting for the Prophet (ﷺ) and those who believe that they should invoke (Allah) for forgiveness for pagans even though they be of kin after it has become clear to them that they are companions of the fire (Quran 9.113).


Ravi Hazrat Musaiyyib bin Hizn (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Abu Talib marne laga to Rasool Allah (ﷺ) uske paas tashreef laae. Wahaa’n us waqt Abu Jahal bin Hisham aur Abdullah bin Abu Umaiyya bin Mugheera bhi the. Rasool Allah (ﷺ) ne Abu Talib se farmaya: “Aye Chacha! Kalma-e-tauheed “لا إله إلا الل ” kehde to main Allah ke yahaa’n teri gawaahi du’nga”. Abu Jahal aur Abdullah bin Abu Umaiyya bole: Abu Talib! Kya tum (apne baap) Abdul Muttalib ke tareeqe se phirte ho?
Rasool Allah (ﷺ) to baar-baar usey kalma-e-tauheed ki talqeen karte rahe aur wo dono apni baat dohraate rahe, hatta ke Abu Talib ne aakhir mein kaha: Wo Abdul Muttalib ke tareeqe par hai aur “لا إله إلا الل ” kehne se inkar kar diya. 
Jis par Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ab main us waqt tak tere liye Allah Ta’ala se dua-e-maghfirat karta rahoo’nga jab tak mujhe uss manaa na kar diya jaae”. 
Us par Allah Ta’ala ne ye aayat naazil farmaai: 

مَا كَانَ لِلنَّبِىِّ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ أَن يَسْتَغْفِرُوا۟ لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوٓا۟ أُو۟لِى قُرْبَىٰ مِنۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَـٰبُ ٱلْجَحِيمِ
“Nabi Ke Liye Jaaez Nahi (ke wo mushrikeen ke liye dua-e-maghfirat kare, agarche wo qareebi rishtedaar hi ho’n)”. [Surah Tauba: 113]



Reference : Sahih al-Bukhari 1360

 : Volume 2, Book 23, Hadith 123
 
: Also see Hadith No. 
3884 4675 4772 5657 6681 





Baab 81: Qabar Par Khajoor Ki Shaakh Rakhna






Hazrat Buraida Aslami (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne wasiyyat ki thi ke unki qabar mein kahjoor ki do (2) shaakhe’n rakhi jaae’n. Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Abdur Rahman ki qabar par kheema dekha to farmaya: Aye Ghulam! Isey ukhad do, uska amal us par saaya kar raha hai. Hazrat Kharija bin Zaid ne kaha: Jab ham Hazrat Usman (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke daur-e-khilaafat mein naujawan the, to maine apne aap ko is haalat mein dekha ke ham mein sabse badi chalaang lagaane waala wo hota tha jo Hazrat Usman bin Mazoon (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ki qabar ko chalaang laga kar uboor kar jaata tha. Usman bin Hakeem ne kaha ke Kharija ne mera haath pakada aur mujhe ek (1) qabar par bitha diya. 
Phir unho’n ne apne chacha Yazid bin Saabit ke hawaale se bataaya ke qabar par baithna us shakhs ke liye makrooh hai jo us par bol-o-baraaz (Peshab-o-pakhaana) kare. Hazrat Naafe ne kaha: Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) qabro’n par baith jaaya karte the.

Wazaahat: Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ke andaaz se maaloom hota hai ke Rasool Allah (ﷺ) ka do (2) qabro’n par chadiya’n gaadne waala amal un hi ke saath khaas tha, kyou’nke ye saabit nahi ho saka ke Rasool Allah (ﷺ) ne kisi aur qabar par ye amal kiya ho. Agar ye amal sunnat hota to aap tamaam marne waalo’n ki qabro’n par aisa karte aur uske baad Khulafa-e-Rashideen aur kubaar Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) is sunnat par amal karte, lekin aisa karna manqool nahi. Hazrat Buraida (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka apna ijtehaad hai, jis mein ghalati aur durusti ke dono pehlu hoe hain. Qabar par khajoor ki tehniyaa’n rakhne ke mutalliq durust mauqif yehi hai ke usse ijtenaab kiya jaae. Balke uske oopar phool waghaira daalna bhi durust nahi. Imam Bukhari (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) ne is asar ko ye bataane ke liye pesh kiya hai ke Rasool Allah (ﷺ) ka qabar par khajoor ki do (2) shaake’n rakhna aap ki khusoosiyat hai. Hazrat Buraida (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka usey umoom mahmool karna saheeh nahi. والل أعلم 

[Fath-ul-Baari: V3 P284]




Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) once passed by two graves, and those two persons (in the graves) were being tortured.
He said, "They are being tortured not for a great thing (to avoid). One of them never saved himself from being soiled with his urine, while the other was going about with calumnies (to make enmity between friends). He then took a green leaf of a date-palm tree split it into two pieces and fixed one on each grave. 
The people said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Why have you done so?" 
He replied, "I hope that their punishment may be lessened till they (the leaf) become dry."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ek (1) dafa do (2) qabro’n ke paas se guzre, jin (mein madfoon murdo’n) ko azaaab diya jaa raha tha. 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Un dono ko azaab diya jaa raha hai, lekin ye azab kisi mushkil baat ki wajah se nahi. Un mein se ek (1) peshab se parhez nahi karta tha, aur doosra chugli khata tha”. 
Uske baad aap ne khajoor ki taaza shaakh li aur usey cheer kar do (2) hisse kar diye, phir har ek (1) qabar par ek-ek (1-1) gaad di. Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne arz kiya: Allah ke Rasool (ﷺ)! Aap ne aisa kyou’n kiya hai? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Ummeed hai ke jab tak ye dono tukde khushk na ho’nge unke azaab mein takhfeef hoti rahegi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1361

 : Volume 2, Book 23, Hadith 124





Baab 82: Mohaddis Ka Qabar Ke Paas Waaz Karna Aur Shaagirdo’n Ka Uske Ird-gird Baithna







Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

يَوْمَ يَخْرُجُونَ مِنَ ٱلْأَجْدَاثِ
"Jis Din Wo Purani Qabro’n Se Nikle’nge." [Surah Ma-aarij: 43]

أجداث se muraad qabre’n hain.

بُعْثِرَتْ
"(Jab qabre’n) Ukhed di jaae’ngi." [Surah Infitaar: 4]

بُعْثِرَتْ ke maane ukhedna hain, jaisa ke kaha jaata hai: "بَعْثَرْتُ حَوْضِي” Maine hauz ka nichla hissa oopar kar diya. “إِيفَاضُ” ke maane hain: Tez daudna. 

Imam Amash ne irshad-e-Baari:

إِلَىٰ نُصُبٍۢ يُوفِضُونَ
"Wo Aastaano’n Ki Taraf Tez Daud Rahe Ho’nge." [Surah Ma’arij: 43]

Ke maane ye kiye hain ke wo ek-doosre se sabqat kar rahe ho’nge. 
“يَوْمُ الْخُرُوجِ” [Surah Qaaf: 42] se muraad nikalne ka din hai. “يَنْسِلُونَ” [Surah Yaseen: 51]




Narrated 'Ali:

"We were accompanying a funeral procession in Baqi-I-Gharqad. The Prophet (ﷺ) came to us and sat and we sat around him. He had a small stick in his hand then he bent his head and started scraping the ground with it. He then said, "There is none among you, and not a created soul, but has place either in Paradise or in Hell assigned for him and it is also determined for him whether he will be among the blessed or wretched." A man said, "O Allah’s Apostle (ﷺ)! Should we not depend on what has been written for us and leave the deeds as whoever amongst us is blessed will do the deeds of a blessed person and whoever amongst us will be wretched, will do the deeds of a wretched person?"
The Prophet (ﷺ) said, "The good deeds are made easy for the blessed, and bad deeds are made easy for the wretched." Then he recited the Verses:--

"As for him who gives (in charity) and is Allah-fearing And believes in the Best reward from Allah. " (Quran 92.5-6)



Ravi Hazrat Ali (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ham ek (1) janaze ke saath baqee-e-garqad mein the ke Nabi (ﷺ) hamaare qareeb tashreef laakar baith gae, aur ham log bhi aap ke gird baith gae. Aap ke haath mein ek chadi thi. Aap ne apna sar jhuka liya aur chadi se zameen kuredne lagey, phir aap ne farmaya: “Tum mein se koi aisa jaandaar nahi jiski jagah Jannat ya dozakh mein na likhi gai ho, aur har shakhs ka nek-bakht ya bad-naseeb hona bhi likha gaya hai”. Us par ek (1) shakhs ne arz kiya: Allah ke Rasool! Phir ham us noshte (likhe hue) par etemaad karke amal chodh na de’n, kyou’nke ham mein se jo shakhs khush-naseeb hoga wo ahle saadat ke amal ki taraf rujoo karega aur jo shakhs bad-naseeb hoga wo ahle shaqaawat ke amal ki taraf rujoo karega. Aap ne farmaya: “Saeed ko amal-e-saadat ki taufeeq di jaati hai, aur shaqee ke liye amal-e-shaqaawat asaan kar diya jaata hai”. Uske baad aap ne ye aayat tilaawat farmaai:


فَأَمَّا مَنْ أَعْطَىٰ وَٱتَّقَىٰ وَصَدَّقَ بِٱلْحُسْنَىٰ
"Phir Jo Shakhs Sadqa De Ga Aur Parhegaari Ikhteyar Karega, Nez Umda Baad Ki Tasdeeq Karega (to ham usey zaroor aasaani (amal-e-saadat) ki taufeeq de’nge)." [Surah Layl: 5-6]



Reference : Sahih al-Bukhari 1362

 : Volume 2, Book 23, Hadith 125
 : Also see Hadith No. 4945 4946 4947 4948 6217 6605 7552 





Baab 83: Khud-kushi Karne Waale Ke Mutaalliq Waeed Ka Bayan







Narrated Thabit bin Ad-Dahhak:

The Prophet (ﷺ) said, "Whoever intentionally swears falsely by a religion other than Islam, then he is what he has said, (e.g. if he says, 'If such thing is not true then I am a Jew,' he is really a Jew). And whoever commits suicide with a piece of iron will be punished with the same piece of iron in the Hell Fire." 


Ravi Hazrat Saabit bin Zahack (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs islam ke alaawa kisi doosre mazhab ki daanista* jhooti qasam uthaae to wo waisa hi hoga jaisa usne kaha hai. Aur jo shakhs tez hathiyaar se khud ko maar daale, usko usi hathiyaar se jahannum mein azaab diya jaaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1363

 : Volume 2, Book 23, Hadith 126
 : Also see Hadith No. 4171 4843 6047 6105 6652
 : *Jaan-boojh kar, qasdan ke maane hain: Wo apni qabro’n se nikle’nge. 




Narrated Thabit bin Ad-Dahhak:

Narrated Jundab the Prophet (ﷺ) said, "A man was inflicted with wounds and he committed suicide, and so Allah said: My slave has caused death on himself hurriedly, so I forbid Paradise for him."


Ravi Hazrat Saabit bin Zahack (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Unho’n ne Rasool Allah (ﷺ) se bayan kiya ke aap ne farmaya: “Ek (1) shakhs ko zakhm lag gaya tha, usne khud ko qatal kar daala to Allah Ta’ala ne farmaya: Choo’nke mere bande ne mujh se sabqat chaahi, lehaaza maine us par Jannat ko haram kar diya hai”.

Hazrat Hasan Basri (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) se riwayat hai, unho’n ne kaha: Hame’n Hazrat Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne is masjid mein hadees bayan ki, jise ham bhoole nahi aur na hame’n ye andesha hi hai ke unho’n ne Nabi (ﷺ) par jhoot bola hoga. 



Reference : Sahih al-Bukhari 1364

 : Volume 2, Book 23, Hadith 127 
 : Also see Hadith No. 3463 




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "He who commits suicide by throttling shall keep on throttling himself in the Hell Fire (forever) and he who commits suicide by stabbing himself shall keep on stabbing himself in the Hell-Fire."

Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jo khud apna gala ghot le wo dozkah mein apna gala ghot-ta hi rahega aur jo shakhs neza maar kar khud-kushi karey wo dozakh mein bhi khud ko neza maarta hi rahega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1365

 : Volume 2, Book 23, Hadith 128
 : Also see Hadith No. 5778 





Baab 84: Munafiqeen Ki Namaz-e-Janaza Aur Mushrikeen Ke Liye Dua-e-Maghfirat Makrooh Hai







Uske mutalliq Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi-e-Akram (ﷺ) se riwayat ki hai.

Narrated 'Umar bin Al-Khattab:

When 'Abdullah bin Ubai bin Salul died, Allah’s Apostle (ﷺ) was called upon to offer his funeral prayer. When Allah’s Apostle (ﷺ) stood up to offer the prayer, I got up quickly and said, "O Allah's Apostle (ﷺ)! Are you going to pray for Ibn Ubai and he said so and so on such and such occasions?" 
And started mentioning all that he had said. Allah’s Apostle (ﷺ) smiled and said, "O 'Umar! Go away from me." 
When I talked too much he said, "I have been given the choice and so I have chosen (to offer the prayer). Had I known that he would be forgiven by asking for Allah's forgiveness for more than seventy times, surely I would have done so." 
('Umar added): Allah’s Apostle (ﷺ) offered his funeral prayer and returned and after a short, while the two verses of Surat Bara' were revealed: i.e. 

"And never (O Muhammad) pray for any of them who dies . . . (to the end of the verse) rebellion (Quran 9.84)" 

('Umar added), "Later I was astonished at my daring before Allah’s Apostle (ﷺ) on that day. And Allah and His Apostle (ﷺ) know better."


Ravi Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab Abdullah bin Ubai bin Salool mara to Rasool Allah (ﷺ) ko uski namaz-e-janaza padhne ke liye daawat di gai. Jab Rasool Allah (ﷺ) namaz ke liye khade hue to main aap ki taraf tezi se kood pada aur arz kiya: Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Kya aap Abdullah bin Ubai ki namaz-e-janaza padhe’nge, halaa’nke usne falaa’n-falaa’n roz aisa-aisa bakwaas kiya tha? Maine uski baate’n shumaar karne laga. 
Rasool Allah (ﷺ) ne muskura kar farmaya: “Umar! Tum yahaa’n se ek (1) taraf hatt jaao”. 
Jab main ziyada israar karne laga to aap (ﷺ) ne farmaya: “Mujhe ikhteyar diya gaya hai, lehaaza maine istighfaar karna ikhteyar kiya hai. Agar mujhe ilm ho ke mere sattar (70) se ziyada martaba istighfaar karne se Allah usey moaaf kar de ga to main sattar (70) se ziyaada martaba uske liye istighfaar kar lunga”.

Raawi kehta hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne uski namaz-e-janaza padhi aur waapas tashreef le aae. Abhi chand lamhaat hi theherne paae ho’nge ke Surah Tauba ki ye do ayaat naazil huee’n:

وَلَا تُصَلِّ عَلَىٰٓ أَحَدٍۢ مِّنْهُم مَّاتَ أَبَدًۭا وَلَا تَقُمْ عَلَىٰ قَبْرِهِۦٓ ۖ إِنَّهُمْ كَفَرُوا۟ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَمَاتُوا۟ وَهُمْ فَـٰسِقُونَ
"Aye Habeeb! Jab Koi Munafiqeen Mein Se Mar Jaae, Us Par Kabhi Namaz-e-Janaza Na Padhe’n na kabhi uski qabr par khade hon, kyunki unhoe Allah aur uske Rasool ke saath kufr kiya aur wo mare hain is haal me ke wo fasiq (nafarmaan) thein." [Surah Tauba: 84]

Is waaqea ko bayan karne ke baad Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mujhe baad mein taajjub hua ke kis tarah us din Rasool Allah (ﷺ) ke huzoor maine aisee jur-at ki thi. Halaa’nke Allah aur uske Rasool (har maslahat ko) ko khoob jaante hain.



Reference : Sahih al-Bukhari 1366

 : Volume 2, Book 23, Hadith 129
 : Also see Hadith No. 4671 





Baab 85: Logo’n Ka Maiyyat Ki Taareef Karna






Narrated Anas bin Malik:

A funeral procession passed and the people praised the deceased. 
The Prophet (ﷺ) said, "It has been affirmed to him." 
Then another funeral procession passed and the people spoke badly of the deceased.
The Prophet (ﷺ) said, "It has been affirmed to him". 
'Umar bin Al-Khattab asked (Allah’s Apostle (ﷺ), "What has been affirmed?" 
He replied, "You praised this, so Paradise has been affirmed to him; and you spoke badly of this, so Hell has been affirmed to him. You people are Allah's witnesses on earth."


Ravi Hazrat Anas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Log ek (1) janaza le kar guzre to Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne uski taareef ki. 
Us par Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Uske liye waajib ho gai”. 
Uske baad log doosra janaza le kar guzre to Sahaba Ikraam (رضي الله عنهم) ne uski buraai ki. 
Us par Aap (ﷺ) ne farmaya: “Uske liye laazim ho gai”. 
Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne arz kiya: Kya wajib ho gai. 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Pehla shakhs jiski tum ne taareef ki, uske liye Jannat waajib ho gai aur doosra shakhs jiski tumne buraai ki, uske liye jahannum laazim ho gai. Tum log zameen mein Allah ki taraf se gawaahi dene waale ho”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1367

 : Volume 2, Book 23, Hadith 130
 : Also see Hadith No. 2642 


Narrated Abu Al-Aswad:

I came to Medina when an epidemic had broken out. While I was sitting with 'Umar bin Al-Khattab a funeral procession passed by and the people praised the deceased. 'Umar said, "It has been affirmed to him." 
And another funeral procession passed by and the people praised the deceased.
'Umar said, "It has been affirmed to him." 
A third (funeral procession) passed by and the people spoke badly of the deceased. 
He said, "It has been affirmed to him." 
I (Abu Al-Aswad) asked, "O chief of the believers! What has been affirmed?" 
He replied, "I said the same as the Prophet (ﷺ) had said, that is: if four persons testify the piety of a Muslim, Allah will grant him Paradise." 
We asked, "If three persons testify his piety?" 
He (the Prophet (ﷺ)) replied, "Even three." 
Then we asked, "If two?" 
He replied, "Even two." 
We did not ask him regarding one witness.


Ravi Hazrat Abul Aswad:

Main ek (1) dafa madina taiyyaba aaya jabke wahaa’n wabaa phaili hui thi. Main Syedna Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas baith gaya. Unke paas se ek (1) janaza guzra to us maiyyat ki acchi taareef ki gai. 
Us par Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wajib ho gai. 
Phir doosra janaza guzra to uski bhi taareef ki gai.
To Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Wajib ho gai. 
Phir teesra janaza guzra to uski buraai bayan ki gai. 
Us par Aap (ﷺ) ne farmaya: Waajib ho gai. 
Abul Aswad kehte hain: Maine kaha: Ameer-ul-Momineen! Kya wajib hogai? 
Unho’n ne farmaya: Maine wohi kaha hai jo Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jis musalman ke liye chaar (4) aadmi acchi gawaahi de’n to Allah Ta’ala usey jannat mein daakhil karega”. 
Ham ne arz kiya: Agar teen (3) aadmi gawaahi de’n to? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Teen (3) bhi”. 
Phir ham ne arz kiya: Do (2) aadmi bhi? 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Do (2) aadmi bhi”. 
Phir ham ne ek (1) shakhs ki gawaahi ke mutalliq sawal nahi kiya.



Reference : Sahih al-Bukhari 1368

 : Volume 2, Book 23, Hadith 131
 
: Also see Hadith No. 2643 





Baab 86: Azaab-e-Qabr Ka Bayan






Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

 وَلَوْ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ فِى غَمَرَٰتِ ٱلْمَوْتِ وَٱلْمَلَـٰٓئِكَةُ بَاسِطُوٓا۟ أَيْدِيهِمْ أَخْرِجُوٓا۟ أَنفُسَكُمُ ۖ ٱلْيَوْمَ تُجْزَوْنَ عَذَابَ ٱلْهُونِ
"Aur Agar Aap Deke’n Jabke Zulm Pasha Log Maut Ki Sakhtiyo’n Mein Ho’nge Aur Farishte Apne Haath Phaila Kar Unse Kahe’nge: Nikaalo Apni Jaane’n. Aaj Tumhe’n Zillat Ke Azaab Se Do-chaar Kiya Jaaega." [Surah Anaam: 93]

Abu Abdullah (Imam Bukhari) (رَحِمَهُ ٱللَّٰهُ) farmate hain: 

هُون ke maane هَوَان, yaane ruswaai ke hain aur هَوْن narmi ko kehte hain. Allah Jalle Shanahu ka irshad hai:

سَنُعَذِّبُهُم مَّرَّتَيْنِ ثُمَّ يُرَدُّونَ إِلَىٰ عَذَابٍ عَظِيمٍۢ 
"Jald Hi Ham Unhe’n Do (2) Martaba Saza De’nge, Phir Wo Bade Azaab Ki Taraf Lautaae Jaae’nge." [Surah Tauba: 101]

Nez irshad-e-Baari Ta’ala hai:

وَحَاقَ بِـَٔالِ فِرْعَوْنَ سُوٓءُ ٱلْعَذَابِ ٱلنَّارُ يُعْرَضُونَ عَلَيْهَا غُدُوًّۭا وَعَشِيًّۭا ۖ وَيَوْمَ تَقُومُ ٱلسَّاعَةُ أَدْخِلُوٓا۟ ءَالَ فِرْعَوْنَ أَشَدَّ ٱلْعَذَابِ
"Aur Aale Firaun Ko Burey Azaab Ne Gher Liya, Jo Aag Hai, Wo Subah-o-Shaam Us Par Pesh Kiye Jaate Hain, Aur Jis Din Qiyamat Qaaem Hogi (to hukum hoga ke) Aale Firaun Ko Sakht-tareen Azaab Mein Daakhil Kar do." [Surah Ghaafir: 45-46




Narrated Al-Bara' bin 'Azib:

The Prophet (ﷺ) said, "When a faithful believer is made to sit in his grave, then (the angels) come to him and he testifies that none has the right to be worshipped but Muhammad is Allah’s Apostle (ﷺ). And that corresponds to Allah's statement: 

Allah will keep firm those who believe with the word that stands firm . . . (Quran 14.27).


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jab momin ko uski qabar mein bithaya jaata hai to uske paas farishte aate hain, phir wo gawaahi deta hai ke Allah ke siwa koi maabood-e-bar-haq nahi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke rasool hain. Yehi irshad-e-Baari Ta’ala hai:”

‏يُثَبِّتُ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّابِتِ
"Jo Log Imaan Laae Allah Ta’ala Unhe’n Qaul-e-Saabit (kalma-e-taiyyaba) Ke Zariye Se Duniya Ki Zindagi Mein Bhi Saabiq Qadam Rakhta Hai Aur Akhirat Mein Bhi Rakhega." [Surah Ibrahim: 27]

Muhammad bin Basshar ki riwayat mein ye izaafa hai ke ye aayat “‏يُثَبِّتُ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا” azaab-e-qabr ke mutalliq naazil hui.




Reference : Sahih al-Bukhari 1369

 : Volume 2, Book 23, Hadith 132
 
: Also see Hadith No.
 4699




Narrated Ibn `Umar:

The Prophet (ﷺ) looked at the people of the well (the well in which the bodies of the pagans killed in the Battle of Badr were thrown) and said, "Have you found true what your Lord promised you?" 
Somebody said to him, "You are addressing dead people." 
He replied, "You do not hear better than they but they cannot reply."


Ravi Hazrat Ibne Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) ne (badr ke) kooe’n mein pade hue mushrikeen ki laasho’n ko dekha aur farmaya: “Aaya tum ne us cheez ko theek-theek paa liya jiska tumhare Rabb ne tum se waada kiya tha?” 
Aap (ﷺ) se arz kiya gaya: Aap murdo’n ko awaaz dete hain (halaa’nke wo to sunte nahi hain). 
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum unse ziyada nahi sunte, lekin wo jawab nahi de sakte”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1370

 : Volume 2, Book 23, Hadith 133
 : Also see Hadith No. 3980 4026 




Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) said, "They now realize that what I used to tell them was the truth. "And Allah said, 

'Verily! You cannot make the dead hear (i.e. benefit them, and similarly the disbelievers) nor can you make the deaf hear. (Quran 27.80).


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne qaleeb*-e-badr waalo’n ke mutalliq farmaya tha: “Ab unhe’n ilm ho gaya hai ke main jo kaha karta tha wo haq tha”. Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

‏إِنَّكَ لاَ تُسْمِعُ الْمَوْتَى
"Aap Murdo’n Ko Nahi Suna Sakte." [Surah an Naml: 80]



Reference : Sahih al-Bukhari 1371

 : Volume 2, Book 23, Hadith 134
 : Also see Hadith No. 3979 3981
 : *Puraana kooaa’n, kaccha kooaa’n 




Narrated Masruq:

'Aisha said that a Jewess came to her and mentioned the punishment in the grave, saying to her, "May Allah protect you from the punishment of the grave." 
'Aisha then asked Allah’s Apostle (ﷺ) about the punishment of the grave. 
He said, "Yes, (there is) punishment in the grave." 
'Aisha added, "After that I never saw Allah’s Apostle (ﷺ) but seeking refuge with Allah from the punishment in the grave in every prayer he prayed."


Ravi Masruq:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai ke ek (1) yahoodi aurat unke paas aai aur usne azab-e-qabr ka zikr kiya to kaha ke Allah Ta’ala aap ko azab-e-qabr se mehfooz rakhe. Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne Rasool Allah (ﷺ) se azab-e-qabr ke mutalliq dariyaaft kiya to aap ne farmaya: “Haa’n azaab-e-qabr (bar-haq) hai”. 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne farmaya ke uske baad maine Rasool Allah (ﷺ) ko dekha ke har namaz ke baad azaab-e-qabr se panaah maanga karte the.
Ghundar ki riwayat mein ye izaafa hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Azaab-e-qabr bar-haq hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1372

 : Volume 2, Book 23, Hadith 135 




Narrated Asma' bint Abi Bakr:

Allah’s Apostle (ﷺ) once stood up to deliver a sermon and mentioned the trial which people will face in the grave. When he mentioned that, the Muslims started shouting loudly.


Ravi Hazrat Asma bin Abi Bakr (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek (1) dafa Rasool Allah (ﷺ) khutbe ke liye khade hue to aap ne qabar ke fitne ka zikr kiya, jis mein aadmi mubtalaa hota hai. Jab aap ne ye zikr kiya to musalman cheekhe’n maar kar rone lagey.



Reference : Sahih al-Bukhari 1373

 : Volume 2, Book 23, Hadith 136 




Narrated Anas bin Malik:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When (Allah's) slave is put in his grave and his companions return and he even hears their footsteps, two angels come to him and make him sit and ask, 'What did you use to say about this man (i.e. Muhammad)?' 
The faithful Believer will say, 'I testify that he is Allah's slave and His Apostle (ﷺ).' 
Then they will say to him, 'Look at your place in the Hell Fire; Allah has given you a place in Paradise instead of it.' So he will see both his places." 
(Qatada said, "We were informed that his grave would be made spacious." 
Then Qatada went back to the narration of Anas who said;) Whereas a hypocrite or a non-believer will be asked, "What did you use to say about this man." 
He will reply, "I do not know, but I used to say what the people used to say." 
So they will say to him, "Neither did you know nor did you take the guidance (by reciting the Quran)." 
Then he will be hit with iron hammers once, that he will send such a cry as everything near to him will hear, except Jinns and human beings. 


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Aadmi ko jab qabar mein dafan kar diya jaata hai aur dafan karne waale waapas laut-te hain, wo abhi unke jooto’n ki chaap sun raha hota hai, ke uske paas do (2) farishte aajaate hain. Jo usey bithakar poochte hain ke tu us aadmi, yaane Muhammad (ﷺ) ke baare mein kya eteqaad rakhta tha? 
Momin jawab mein kehta hai: Main gawaahi deta hoo’n ke wo Allah ke bande aur uske Rasool hain. 
Phir usse kaha jaata hai: Tu jahannum mein apna thikana dekh le, Allah ne uske badle tujhe Jannat mein thikana diya hai. Wo dono’n thikano’n ko baek waqt dekhta hai”. 
Hazrat Qatada ne kaha: Hadees mein ye bhi zikr hua hai ke uski qabar ko kushada kar diya jaata hai. Phir usne Hadees-e-Anas ki taraf rujoo kiya. 
Farmaya: “Jab kaafir aur munaafiq se sawal kiya jaata hai to us shakhs ke baare mein kya eteqaad rakhta tha? 
To wo kehta hai: Main kuch nahi jaanta. Jo kuch log kehte the main bhi wohi kuch keh deta tha. 
Phir usse kaha jaata hai ke tu khud samajha na kisi samjhane waale ki raae par chala. Phir usey lohe ke hathodo’n se itni maar padti hai ke wo chilla uthta hai. Jinn-o-ins ke alaawa sab uske aas-paas waale uski cheekh-o-pukaar sunte hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1374

 : Volume 2, Book 23, Hadith 137





Baab 87: Azaab-e-Qabr Se Panaah Maangna






Narrated Abi Aiyub:

Once the Prophet (ﷺ) went out after sunset and heard a dreadful voice, and said, "The Jews are being punished in their graves."


Ravi Hazrat Abu Ayyub Ansari (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Ek din ghuroob-e-aftaab ke baad Nabi (ﷺ) baahar tashreef laae to aap ne ek (1) haulnaak awaaz suni. Us waqt aap ne farmaya: “Yahood ko unki qabro’n mein azaab diya jaa raha hai”.
Hazrat Nazar ke tareeq se bhi ye riwayat marwi hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1375

 : Volume 2, Book 23, Hadith 138




Narrated Musa bin 'Uqba:

(From the daughter of Khalid bin Sa id bin Al-'Asi) who said that she had heard the Prophet (ﷺ) seeking refuge with Allah from the punishment in the grave.


Ravi Musa bin 'Uqba:

Hazrat Umme Khalid bint Khalid (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne Nabi (ﷺ) se suna ke aap azab-e-qabr se panaah talab karte the.



Reference : Sahih al-Bukhari 1376

 : Volume 2, Book 23, Hadith 139
 : Also see Hadith No. 6364 


Narrated Abu Huraira:

Allah’s Apostle (ﷺ) used to invoke (Allah): 

"Allahumma ini a'udhu bika min 'adhabi-l-Qabr, wa min 'adhabi-nnar, wa min fitnati-l-mahya wa-lmamat, wa min fitnati-l-masih ad-dajjal. 
(O Allah! I seek refuge with you from the punishment in the grave and from the punishment in the Hellfire and from the afflictions of life and death, and the afflictions of Al-Masih Ad-Dajjal."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) aksar ye dua padha karte the:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، وَمِنْ عَذَابِ النَّارِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ
"Aye Allah! Main azab-e-qabr se, aur azab-e-jahannum se, zindagi aur maut ke fitne se, aur maseeh-e-dajjaal ke fitne se teri panaah chaahta hoo’n."



Reference : Sahih al-Bukhari 1377

 : Volume 2, Book 23, Hadith 140





Baab 88: Gheebat Aur Peshab Se Na Bachne Ke Baais Azab-e-Qabr Hona







Narrated Ibn Abbas:

The Prophet (ﷺ) once passed by two graves and said, "They (the deceased persons in those graves) are being tortured not for a great thing to avoid." 
And then added, "Yes, (they are being punished for a big sin), for one of them used to go about with calumnies while the other never saved himself from being soiled with his urine." (Ibn Abbas added): Then he took a green leaf of a date palm) and split it into two pieces and fixed one piece on each grave and said, "May their punishment be abated till these (two pieces) get dry."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Nabi (ﷺ) ka guzar do (2) qabro’n ke paas se hua to aap ne farmaya: “Un dono ko azab ho raha hai, aur kisi bade gunah ki padaash mein unhe’n sazaa nahi di jaa rahi”. 
Phir farmaya: “Kyoun nah! Ek (1) un mein se chugli khata-phirta tha aur doosra apne peshab (ke cheento’n) se parhez nahi karta tha”. 
Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Phir aap ne (khajoor ki) ek (1) taaza shaakh li aur uske do (2) tukde kiye, phir har ek (1) ki qabar par gaad kar farmaya: “Jab tak ye khushk na ho’nge ummeed hai ke unke azaab mein takhfeef hoti rahegi”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1378

 : Volume 2, Book 23, Hadith 141





Baab 89: Maiyyat Ko Subah Aur Shaam Dono Waqt Uska Thikana Dikhaya Jaata Hai







Narrated 'Abdullah bin 'Umar:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When anyone of you dies, he is shown his place both in the morning and in the evening. If he is one of the people of Paradise; he is shown his place in it, and if he is from the people of the Hell-Fire; he is shown his place there-in. Then it is said to him, 'This is your place till Allah resurrects you on the Day of Resurrection."


Ravi Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum mein se koi mar jaata hai, to har subah-o-sham usey uska thikana dikhaya jaata hai. Agar wo jannati hai to Jannat mein aur agar dozakhi hai to jahannum mein. Phir usey kaha jaata hai ke yehi tera muqaam hai, yahaa’n tak ke qiyamat ke din Allah tujhe uthaaega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1379

 : Volume 2, Book 23, Hadith 142
 
: Also see Hadith No. 
3240 6515 





Baab 90: Chaar-paai Par Maiyyat Ka Kalaam Karna






Narrated Abu Sa'id Al-Khudri:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "When the funeral is ready (for its burial) and the people lift it on their shoulders, then if the deceased is a righteous person he says, 'Take me ahead,' and if he is not a righteous one then he says, 'Woe to it (me)! Where are you taking it (me)?' And his voice is audible to everything except human beings, and if they heard it they would fall down unconscious. "


Ravi Hazrat Abu Saeed Khudri (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):
 
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Jab maiyyat ko chaar-paai par rakha jaata hai, phir log usey apne kandho’n par utha lete hain to agar wo nek aadmi hota hai to kehta hai: Mujhe aagey le chalo. Mujhe aagey le chalo. Aur agar wo badkaar hota hai to kehta hai: Afsos tum mujhe kaha’n le jaa rahe ho? Maiyyat ki us awaaz ko insan ke alaawa har cheez sunti hai. Agar insan sunle to behosh ho jaae”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1380

 : Volume 2, Book 23, Hadith 143





Baab 91: Musalmano Ki (Naa-baaligh) Aulad Ke Mutaalliq Jo Kaha Gaya Hai







Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne Nabi (ﷺ) se riwayat karte hue farmaya: “Jis shakhs ke teen (3) naa-baaligh bacche faut ho jaae’n to wo uske liye dozakh ki aag se hijab ban jaae’nge, ya farmaya ke wo zaroor Jannat mein dakhil hoga”.




Narrated Anas bin Malik:

Allah’s Apostle (ﷺ) said, "Any Muslim whose three children died before the age of puberty will be granted Paradise by Allah because of His mercy to them."


Ravi Hazrat Anas bin Maalik (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Logo’n mein se jis kisi musalman ke teen (3) bacche mar jaae’n jo bulooghat ko na pohche ho’n to Allah Ta’ala usey Jannat mein daakhil farmaega aur aisa mahez uski khaas rahmat ki binaa par hoga, jo wo un par karega”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1381

 : Volume 2, Book 23, Hadith 144




Narrated Al-Bara':

When Ibrahim (the son of Prophet (ﷺ)) expired, Allah’s Apostle (ﷺ) said, "There is a wet-nurse for him in Paradise."


Ravi Hazrat Baraa bin Aazib (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Jab (jigar gosha-e-rasool) Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki wafat hui to Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Janna mein uske liye ek (1) doodh pilaane wali ko taenaat kar diya gaya hai”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1382

 : Volume 2, Book 23, Hadith 145





Baab 92: Mushrikeen Ki (Naa-baaligh) Aulaad Ke Mutaalliq Kya Kaha Gaya Hai?







Narrated Ibn Abbas:

Allah’s Apostle (ﷺ) was asked about the children of (Mushrikeen) pagans. 
The Prophet (ﷺ) replied, "Since Allah created them, He knows what sort of deeds they would have done."


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) se aulad-e-mushrikeen ke mutalliq dariyaaft kiya gaya to aap ne farmaya: “Jab Allah Ta’ala ne unhe’n paida kiya to wo khoob jaanta tha ke wo kaise amal kare’nge”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1383

 : Volume 2, Book 23, Hadith 146




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) was asked about the offspring of pagans (Mushrakeen); so he said, "Allah knows what sort of deeds they would have done."


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) se mushrikeen ki aulaad ke mutalliq poocha gaya to aap ne farmaya: “Allah hi behtar jaanne waala hai, jo amal wo karne waale hain”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1384

 : Volume 2, Book 23, Hadith 147
 : Also see Hadith No. 6598 6600 




Narrated Abu Huraira:

The Prophet (ﷺ) said, "Every child is born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah Alone) and his parents convert him to Judaism or Christianity or Magianism, as an animal delivers a perfect baby animal. Do you find it mutilated?"


Ravi Hazrat Abu Huraira (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “Har bacche ki paidaaish fitrat par hoti hai, phir uske maa-baap usey yahoodi, nasraani ya majoosi bana dete hain, jaisa ke haiwanaat ke bacche saheeh-o-salaamat paida hote hain. Kya tum ne (paidaaishi taur par) unke jism ka koi hissa kata hua dekha hai?”



Reference : Sahih al-Bukhari 1385

 : Volume 2, Book 23, Hadith 148



 Baab 93: Bila-Unwaan






Narrated Samura bin Jundab:

Whenever the Prophet (ﷺ) finished the (morning) prayer, he would face us and ask, "Who amongst you had a dream last night?" 
So if anyone had seen a dream he would narrate it. 
The Prophet (ﷺ) would say: "Ma sha'Allah" (An Arabic maxim meaning literally, 'What Allah wished,' and it indicates a good omen.) One day, he asked us whether anyone of us had seen a dream. 
We replied in the negative.
The Prophet (ﷺ) said, "But I had seen (a dream) last night that two men came to me, caught hold of my hands, and took me to the Sacred Land (Jerusalem). There, I saw a person sitting and another standing with an iron hook in his hand pushing it inside the mouth of the former till it reached the jawbone, and then tore off one side of his cheek, and then did the same with the other side; in the meantime, the first side of his cheek became normal again and then he repeated the same operation again.
I said, 'What is this?' 
They told me to proceed on and we went on till we came to a man Lying flat on his back, and another man standing at his head carrying a stone or a piece of rock, and crushing the head of the Lying man, with that stone. Whenever he struck him, the stone rolled away. The man went to pick it up and by the time he returned to him, the crushed head had returned to its normal state and the man came back and struck him again (and so on). 
I said, 'Who is this?' 
They told me to proceed on; so we proceeded on and passed by a hole like an oven; with a narrow top and wide bottom and the fire was kindling underneath that hole. Whenever the fire flame went up, the people were lifted up to such an extent that they were about to get out of it, and whenever the fire got quieter, the people went down into it, and there were naked men and women in it. 
I said, 'Who is this?' 
They told me to proceed on. So we proceeded on till we reached a river of blood and a man was in it, and another man was standing at its bank with stones in front of him, facing the man standing in the river. Whenever the man in the river wanted to come out, the other one threw a stone in his mouth and caused him to retreat to his original position, and so whenever he wanted to come out the other would throw a stone in his mouth, and he would retreat to his original position. 
I asked, 'What is this?' 
They told me to proceed on and we did so till we reached a well-flourished green garden having a huge tree and near its root was sitting an old man with some children. (I saw) Another man was near the tree with fire in front of him and he was kindling it up. Then they (i.e. my two companions) made me climb up the tree and made me enter a house, better than which I have ever seen. In it were some old men and young men, women and children.
Then they took me out of this house and made me climb up the tree and made me enter another house that was better and superior (to the first) containing old and young people. 
I said to them (i.e. my two companions), 'You have made me ramble all night. Tell me all about that I have seen.'
They said, 'Yes. As for the one whose cheek you saw being torn away, he was a liar and he used to tell lies, and the people would report those lies on his authority till they spread all over the world. So, he will be punished like that till the Day of Resurrection.
The one whose head you saw being crushed is the one whom Allah had given the knowledge of the Quran (i.e. knowing it by heart) but he used to sleep at night (i.e. he did not recite it then) and did not use to act upon it (i.e. upon its orders etc.) by day, and so this punishment will go on till the Day of Resurrection. And those you saw in the hole (like oven) were adulterers (those men and women who commit illegal sexual intercourse). 
And those you saw in the river of blood were those dealing in Riba (usury). 
And the old man who was sitting at the base of the tree was Abraham and the little children around him were the offspring of the people. 
And the one who was kindling the fire was Malik, the gatekeeper of the Hellfire. And the first house in which you have gone was the house of the common believers, and the second house was of the martyrs. I am Gabriel and this is Michael. Raise your head.' I raised my head and saw a thing like a cloud over me. 
They said, 'That is your place.' 
I said, 'Let me enter my place.' 
They said, 'You still have some life which you have not yet completed, and when you complete (that remaining portion of your life) you will then enter your place.' "


Ravi Hazrat Samra bin Jundub (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Nabi (ﷺ) jab namaz (e fajr) se faarigh hote to hamari taraf mu’n karke farmate: “Tum mein se kisi ne aaj raat koi khwaab dekha hai?” 
Agar kisi ne koi khwaab dekha hota to wo bayan kar deta. Phir jo kuch Allah chahta aap uski taabeer bayan karte. 
Chunache isi tarah ek (1) din aap ne ham se poocha: “Kay tum mein se kisi ne koi khwaab dekha hai?” 
Ham ne arz kiya: Nahi. 
Aap ne farmaya: “Magar maine aaj raat do (2) aadmiyo’n ko khwaab mein dekha hai ke wo mere paas aae aur mera haath pakad kar mujhe ek (1) muqaddas zameen par le gae. Wahaa’n main kya dekhta hoo’n ke ek (1) aadmi baitha aur doosra khada hai, jiske haath mein lohe ka aankda* hai, jise wo baithe hue aadmi ke jabdey mein daakhil karta hai, jo us taraf ko cheerta hua, uski guddi tak pohoch jaata hai, phir uske doosre jabde mein bhi aisa hi karta hai. Is arse mein pehla jabda theek ho jaata hai. Phir ye dobaara aise hi kar deta hai.
Maine poocha: Ye kya hai? 
Un dono ne mujhe kaha: Aagey chaliye. Ham chale to ek (1) aise shakhs ke paas pohche jo bilkul chit-leta (Peeth ke bal) hua hai aur ek (1) aadmi uske sirhaana patthar liye khada hai. Wo us patthar se uska sar phod raha hai. Jab patthar maarta hai to wo ludhak kar door chala jaata hai, phir wo usey jaakar utha laata hai, aur jab us lete hue shakhs ke paas laut kar aata hai to us waqt tak uska sar jud-kar accha ho jaata hai, aur jaise pehle tha usi tarah ho jaata hai. Phir usey dobaara maarta hai. 
Maine poocha: Ye kaun hai? 
Un dono ne kaha: Aagey chaliye. Chunache ham ek (1) gadhe (Khadda) ki taraf chale jo tannoor (Tandoor) ki tarah tha. Uska mu’n tang aur penda chauda tha. Us mein aag jal rahi thi, aur us mein barhana mard aur aurte’n thee’n, jab aag bhadakti to wo (barhana log) sholo’n ke saath uchal padte aur nikalne ke qareeb ho jaate, phir jab aag dheemi ho jaati to wo bhi dhadaam se neeche gir-padte. 
Maine kaha: Ye kaun hain? 
Un dono ne kaha: Aagey chaliye. 
Chunache ham chale aur ek khooni neher par pohche. Us mein ek (1) shakhs khada tha aur uske kinaare par doosra aadmi tha, jiske saamne bohot se patthar pade the, neher ke andar waala admi jab baahar aana chahta to kinare waala aadmi uske mu’n par is zor se patthar maarta ke wo phir apni jagah par laut jaata, phir aisa hi karta tha. Jab kabhi wo nikalna chahta to doosra is zor se uske mu’n par patthar maarta ke usey apni jagah par lauta deta. 
Maine poocha ye kya hai? 
Un dono ne kaha: Aagey chaliye. 
Ham chal diye. Chalte-chalte ham ek (1) sar-sabz baagh mein pohche jis mein ek (1) bada sa darakht tha. Uski jadd ke qareeb ek (1) boodha aadmi aur kuch bacche baithe the. Ab achanak main kya dekhta hoo’n ke us darakht ke paas ek (1) aur aadmi hai, jiske saamne aag hai aur wo usey sulga raha hai. Phir wo dono mujhe us darakht par Chadha le gae aur wahaa’n unho’n ne mujhe ek (1) aise makaan mein daakhil kiya jisse behtar makan maine kabhi nahi dekha. Us mein kuch boodhe, kuch jawaan, kuch aurte’n aur kuch bacche the. Phir wo dono mujhko wahaa’n se nikaal laae aur darakht par chadhaaya. Wahaa’n bhi ek (1) makan tha, jis mein mujhe daakhil kiya. Ye makan pehle se bhi ziyada umda aur shandaar tha. Us mein bhi kuch boodhe aur jawan aadmi maujood the. 
Tab maine un dono se kah: Tum ne mujhe raat bhar phiraaya hai, ab maine jo kuch dekha hai, uski haqeeqat bataao?”.
“Unho’n ne jawab diya: Accha. 
Wo shakhs jise aap ne dekha ke uska jabda cheera jaa raha tha, wo bohot jhoota aadmi tha, aur jhooti baate’n kiya karta tha, jo usse naqal ho kar tamam atraaf-e-aalam mein pohoch jaati thee’n. Is liye qiyamat tak uske saath aisa hi muaamala hota rahega. 
Aur wo shakhs jise aap ne dekha ke uska sar kuchla jaa raha hai, ye wo shakhs hai, jise Allah Ta’ala ne quran ka ilm diya tha, magar wo quran ko chodhkar raat bhar sota rehta aur din mein bhi us par amal nahi karta tha. Roz-e-qiyamat tak uske sar par yehi amal hota rahega. 
Aur wo log jinhe’n aap ne gadhe (Khadde) mein dekha, wo zaani hain. 
Aur jise aap ne neher mein dekha wo sood-khor hain. 
Wo boodha insan jo darakht ki jadd ke qareeb baitha hua tha, wo Hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) the aur chote bacche jo unke gird baithe hue the, wo logo’n ke wo bacche the jo (buloogh se pehle) mar gae. 
Aur jo aadmi aag tez kar raha tha, wo Maalik, jahannum ka daarogha tha. 
Aur wo pehla makan jis mein aap tashreef le gae the, aam musalmano ka ghar hai aur ye doosra shaheedo’n ke liye hai. 
Main Jibraeel hoo’n aur ye Mikaeel hain. 
Ab aap apna sar uthaae’n. 
Maine sar uthaaya to yaka-yak dekhta hoo’n ke mere ooopar abar ki tarah koi cheez hai. Unho’n ne bataaya ke ye aap ki iqaamat-gaah hai. 
Maine kaha: Mujhe apne makaan mein jaane do.
To unho’n ne kaha: Abhi aap ki kuch umr baaqi hai, agar aap usey poora kar chuke hote to apni rahaaish-gaah mein jaa sakte the”.



Reference : Sahih al-Bukhari 1386

 : Volume 2, Book 23, Hadith 149
 
*Lohe ki salaakh jis ka ek (1) sira muda hua ho (jo baaz cheezo’n ko latkaane,
   atkaane, kheench kar nikaalne, ya kuredne waghaira ke kaam aata hai)





Baab 94: Do-shubma (Peer) Ke Roz Wafaat






Narrated Hisham's father:

Aisha said, "I went to Abu Bakr (during his fatal illness) and he asked me, 'In how many garments was the Prophet (ﷺ) shrouded?' She replied, 'In three Sahuliya pieces of white cloth of cotton, and there was neither a shirt nor a turban among them.' 
Abu Bakr further asked her, 'On which day did the Prophet (ﷺ) die?' 
She replied, 'He died on Monday.' 
He asked, 'What is today?' 
She replied, 'Today is Monday.' 
He added, 'I hope I shall die sometime between this morning and tonight.' 
Then he looked at a garment that he was wearing during his illness and it had some stains of saffron. 
Then he said, 'Wash this garment of mine and add two more garments and shroud me in them.' 
I said, 'This is worn out.' 
He said, 'A living person has more right to wear new clothes than a dead one; the shroud is only for the body's pus.' He did not die till it was the night of Tuesday and was buried before the morning."


Ravi Hisham ke walid:

Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) se riwayat hai, unho’n ne farmaya: Main Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke paas haazir hui to unho’n ne farmaya: Tum ne Nabi (ﷺ) ko kitne kapdo’n mein kafan diya tha? 
Maine jawab diya: Teen (3) sahooli chaadaro’n mein, jin mein na qamees thi aur na amaama hi tha. 
Phir unho’n ne farmaya: Nabi (ﷺ) ne kis roz wafaat paai thi? 
Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne kaha: Peer ke din. 
Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Aaj kaunsa din hai? 
Unho’n ne jawab diya: Aap peer ka din hai. 
Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Main ummeed karta hoo’n ke is waqt se le kar raat tak wafaat paa jaau’nga. 
Phir unho’nne apne kapde ki taraf dekha jis mein wo bimaar hue the, aur us mein ek (1) zaafraan ka nishaan tha. 
Aap ne farmaya ke mere isi kapde ko dho daalo, us mein do-chaadaro’n ka izaafa kar do aur un mein mujhe kafan dena. 
Maine kaha: Ye kapda to puraana hai. 
Unho’n ne farmaya: Zinda aadmi nae kapdo’n ka murde se ziyada haqdaar hai, kyou’nke aakhir-kaar kafan to peep ki nazar hone waala hai. 
Phir mangal ki raat unho’n ne wafaat paai aur subah se pehle-pehle dafan kar diye gae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1387

 : Volume 2, Book 23, Hadith 150





Baab 95: Maut Ka Achaanak Aana






Narrated Aisha:

A man said to the Prophet (ﷺ), "My mother died suddenly and I thought that if she had lived she would have given alms. So, if I give alms now on her behalf, will she get the reward?" 
The Prophet (ﷺ) replied in the affirmative.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Ek (1) shakhs ne Nabi (ﷺ) se arz kiya: Meri walida ka achanak inteqal ho gaya hai aur mujhe yaqeen hai ke agar wo bol saktee’n to zaroor sadqa-o-khairat kartee’n. 
Kya main unki taraf se sadqa doo’n to unhe’n kuch sawab milega? 
Aap ne farmaya: Haa’n.



Reference : Sahih al-Bukhari 1388

 : Volume 2, Book 23, Hadith 151 
 
: Also see Hadith No. 2760
 





Baab 96: Hazrat Abu Bakar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Aur Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) Ki Qabro’n Ka Bayan







Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

فَأَقْبَرَهُ
Us Ne Usey Qabar Mein Rakha. [Surah Abasa: 21] ke maane hain: Maine aadmi ki qabar taiyyaar ki, aur “أَقْبَرْتُ الرَّجُلَ” ke maane hain: Maine usey dafan kiya. 

Irshad-e-Baari Ta’ala hai: 

قَبَرْتُهُ
(Kya ham ne zameen ko) Samet Kar Rakhne Waali (nahi banaaya?). [Surah Mursalat: 25]

Iska matlab hai ke is zameen mein log zindagi basar kare’nge aur marne ke baad us mein dafan kiye jaae’nge.




Narrated 'Aisha:

During his sickness, Allah’s Apostle (ﷺ) was asked repeatedly, "Where am I today? 
Where will I be tomorrow?"
And I was waiting for the day of my turn (impatiently). 
Then, when my turn came, Allah took his soul away (in my lap) between my chest and arms and he was buried in my house.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) apni marz-e-wafaat mein baar-baar izhar-e-khayaal farmate: “Main aaj kahaa’n hoo’n?, kal kaha’n hoo’nga?” Aisa Ayesha ki baari ko bohot door khayaal karne ki wajah se karte the. Bil-aakhir jab mera din aaya to Allah Ta’ala ne aap ko mere pehlu aur seene ke darmiyan qabz* kiya aur aap mere ghar hi mein dafan hue.



Reference : Sahih al-Bukhari 1389

 : Volume 2, Book 23, Hadith 152
 
*Qabza, pakadna, giraftagi, apne ikhtiyaar mein laana




Narrated 'Aisha:

Allah’s Apostle (ﷺ) in his fatal illness said, "Allah cursed the Jews and the Christians, for they built the places of worship at the graves of their Prophets." And if that had not been the case, then the Prophet (ﷺ)'s grave would have been made prominent before the people. So (the Prophet (ﷺ) ) was afraid, or the people were afraid that his grave might be taken as a place for worship.


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Rasool Allah (ﷺ) ne apni us marz mein jisse aap sehat-yaab na hue the, farmaya: “Allah Ta’ala yahood-o-nasaara par laanat kare, unho’n ne apne Ambiya (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki qabro’n ko masaajid bana liya”. 
Agar aap ki qabar ko masjid bana lene ka andesha na hota to usey zaroor zaahir kar diya jaata. 

Raawi-e-hadees Hazrat Hilal ne kaha ke Hazrat Urwah bin Zubair ne meri kuniya rakhi, halaa’nke meri koi aulaad nahi.
Hazrat Sufyan Tammaar se riwayat hai, unho’n ne bataaya: Maine Nabi (ﷺ) ki qabar-e-mubaarak ko kohaan-e-shatar (oont ki kohaan) ki tarah ubhri hui dekha hai.
Hazrat Urwah bayan karte hain ke jab Waleed bin Abdul Malik ke zamane mein hujra-e-mubaarak ki deewaar gir gai aur log usey taameer karne mein masroof hue to unhe’n ek paao’n dikhaai diya. Wo ghabraa gae aur khayaal karne lagey ke shayad ye Nabi (ﷺ) ka paao’n mubaarak hai. Chunache uske mutalliq unhe’n saheeh maaloomaat dene waala koi na mil saka, hatta ke Hazrat Urwah bin Zubair ne unse kaha: Allah ki Qasam! Ye Nabi (ﷺ) ka qadam-e-mubaarak nahi, balke ye paao’n Hazrat Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ka hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1390

 : Volume 2, Book 23, Hadith 153




Narrated 'Aisha:

She made a will to 'Abdullah bin Zubair, "Do not bury me with them (the Prophet (ﷺ) and his two companions) but bury me with my companions (wives of the Prophet (ﷺ) ) in Al-Baqi as I would not like to be looked upon as better than I really am (by being buried near the Prophet (ﷺ))."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Hazrat Abdullah bin Zubair (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko wasiyyat ki, ke mujhe Rasool Allah (ﷺ) aur aap ke saathiyo’n ke saath dafan na karna, balke mujhe meri doosri saukano’n ke hamraah baqee (e garqad) mein dafan karna. Main nahi chaahti ke un hazraat ki wajah se meri bhi taareef hua kare.



Reference : Sahih al-Bukhari 1391

 : Volume 2, Book 23, Hadith 154 
 : Also see Hadith No. 7327 




Narrated 'Amr bin Maimun Al-Audi:

I saw 'Umar bin Al-Khattab (when he was stabbed) saying, "O 'Abdullah bin 'Umar! Go to the mother of the believers Aisha and say, 'Umar bin Al-Khattab sends his greetings to you,' and request her to allow me to be buried with my companions." 
(So, Ibn 'Umar conveyed the message to 'Aisha.) 
She said, "I had the idea of having this place for myself but today I prefer him ('Umar) to myself (and allow him to be buried there)." 
When 'Abdullah bin 'Umar returned, 'Umar asked him, "What (news) do you have?" 
He replied, "O chief of the believers! She has allowed you (to be buried there)." 
On that 'Umar said, "Nothing was more important to me than to be buried in that (sacred) place. So, when I expire, carry me there and pay my greetings to her ('Aisha ) and say, 'Umar bin Al-Khattab asks permission; and if she gives permission, then bury me (there) and if she does not, then take me to the grave-yard of the Muslims. I do not think any person has more right for the caliphate than those with whom Allah’s Apostle (ﷺ) was always pleased till his death. And whoever is chosen by the people after me will be the caliph, and you people must listen to him and obey him," and then he mentioned the name of 'Uthman, 'Ali, Talha, Az-Zubair, 'Abdur-Rahman bin 'Auf and Sad bin Abi Waqqas (رضي الله عنهم).
By this time a young man from Ansar came and said, "O chief of the believers! Be happy with Allah's glad tidings. The grade which you have in Islam is known to you, and then you became the caliph and you ruled with justice and then you have been awarded martyrdom after all this." 
'Umar replied, "O son of my brother! Would all that privileges will counterbalance (my shortcomings), so that I neither lose nor gain anything? I recommend my successor to be good to the early emigrants and realize their rights and protect their honour and sacred things. And I also recommend him to be good to the Ansar who before them, had homes (in Medina) and had adopted the Faith. He should accept the good of the righteous among them and should excuse their wrongdoers. I recommend him to abide by the rules and regulations concerning the Dhimmis (protectees) of Allah and His Apostle (ﷺ), to fulfil their contracts completely and fight for them and not tax (overburden) them beyond their capabilities."


Ravi Hazrat Amr bin Maimoon Aodee (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Maine Hazrat Umar bin Khattab (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ko dekha, unho’n ne Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) se farmaya: Aye Abdullah! Tum Ummul Momineen Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ke paas jaao, unse kaha ke Umar bin Khattab aap ko salaam kehte hain, aur unse dariyaaft karo ke maine apne don saathiyo’n ke saath dafan hona chahta hoo’n. 
Ummul Momineen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne jawab diya: Main apni zaat ke liye is jagah ka iraada rakhti thi, lekin aaj main unko apni zaat par tarjeeh deti hoo’n. 
Hazrat Abdullah bin Umar (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) waapas aae to unho’n ne poocha: Kya jawab laae ho?
Unho’n ne arz kiya: Ameer-ul-Momineen! Ummul Momineen (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا) ne aap ko ijaazat dedi hai. 
Hazrat Umar Farooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Mujhe sabse ziyada fikr isi khwaab-gaah ki thi. Jab main faut ho jaau’n to mujhe utha kar wahaa’n le jaana, salaam karna, phir kehna ke Umar bin Khattab ijaazat maangte hain. Agar wo ijaazat de de’n to mujhe wahaa’n dafan kar dena, ba-soorat-e-deegar mujhe musalmano ke qabarstan mein wapas le jaana. Main khilaafat ka mustahiq un logo’n se ziyada kisi ko khayaal nahi karta, jinse Rasool Allah (ﷺ) khush ho kar faut hue hain. Ye log mere baad jise bhi khalifa bana le’n, wohi khalifa hoga. Uski baat sunna aur itaa-at karna, phir aap ne Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Abdur Rahman bin Awf, aur Hazrat Saad bin Abi Waqqas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke naam zikr kiye. 
Daree’n asna ansaar ka ek (1) naujawan aap ke paas aaya aur kehne laga: Ameer-ul-Momineen! Aap ko Allah Ta’ala ki basharat se khush hona chaahiye, kyou’nke aap ko islam mein qadaamat (Qadeem hona) ka sharf* haasil hai, jo aap bhi acchi tarah jaante hain. Alaawa azee’n aap khalifa muntakhab hue aur adl-o-insaaf se kaam liya. Phir un sab ke baad aap ne shahadat paai.
Hazrat Umar Farooq (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ne farmaya: Aye mere bhatije! Kaash ke main unki wajah se barabar-barabar choot jaau’n. Na mujhe koi azaab ho aur na koi sawaab miley. Main apne baad aane waale khalifa ko muhajireen-e-awaleen se acche sulook ki wasiyyat karta hoo’n. Wo unke huqooq ko pehchaanne aur unki izzat-o-hurmat ki nigahdaasht kare. Aur ansar ke mutalliq bhi khair-khwahi ki wasiyyat karta hoo’n, jinho’n ne madina ko apna ghar banaaya aur (muhajireen ke madina aane se pehle) iman le aae ke un mein se mohsin ka ehsan qubool kiya jaae aur un mein se jo bura kaam karne waale ho’n, unse darguzar kiya jaae.
Main hone waale khalifa ko wasiyyat karta hoo’n ke wo us zimmedari ko poora kare jo Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki zimmedari hai.
Yaane unke ehed-o-paiman ko poora kiya jaae aur unke aagey dushman se lada jaae aur taaqat se ziyada un par koi bojh na daala jaae.



Reference : Sahih al-Bukhari 1392

 : Volume 2, Book 23, Hadith 155 
 : Also see Hadith No. 352 3162 3700 4888 727
 : *Buzurgi, badaai, bartari, tarjeeh, bhalaai 





Baab 97: Murdo’n Ko Bura-bhala Kehne Ki Mumaaneat Ka Bayan







Narrated 'Aisha:

The Prophet (ﷺ) said, "Don't abuse the dead, because they have reached the result of what they forwarded."


Ravi Hazrat Ayesha (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهَا):

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Murdo’n ko bura-bhala na kaho, wo jo kuch kar chuke hain usse ham aaghosh (Hamkinaar) ho chuke hain”.

Is riwayat ko Abdullah bin Abdul Quddus aur Muhammad bin Anas ne bhi Amash se bayan kiya hai. Shu’ba se riwayat karne mein Ali bin Ja-ad, Muhammad bin Ar-ar aur Ibne Abi Adi ne Aadam ki mataaba-at ki hai.



Reference : Sahih al-Bukhari 1393

 : Volume 2, Book 23, Hadith 156
 : Also see Hadith No. 6516 





Baab 98: Murdo’n Ki Buraai Zikr Karna






Narrated Ibn Abbas:

Abu Lahab, may Allah curse him, once said to the Prophet (ﷺ), "Perish you all the day."
Then the Divine Inspiration came: 

"Perish the hands of Abi Lahab! And perish he!" (Quran 111.1).


Ravi Hazrat Ibne Abbas (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ):

Abu Lahab ne ek (1) dafa Nabi (ﷺ) se kaha tha: Saara din aap ke liye barbaadi ho. Us par ye aayat naazil hui:

تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ‏
"Toot Gae Haath Abu Lahab Ke Aur Wo Khud Bhi Halaak Ho Gaya." [Surah Masad: 1]



Reference : Sahih al-Bukhari 1394

 : Volume 2, Book 23, Hadith 157
 : Also see Hadith No. 3525 3526 4770 4801 4971 4972 4973 








PREVIOUS <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>NEXT